• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Taqdeer [Completed]

mashish

BHARAT
8,032
25,905
203
Update 21

Jaab Rohan aur Zara dono ander aate hai to dekhte hai ki Ruhi apni sar pakad ke bethi huyi hai aur glass niche pada hua hai.
Rohan Ruhi ke paas bethte huye….
Rohan : kya hua?
Ruhi : pata nahi bhai, sar bahut ghum raha hai aur dard se phata ja raha hai. Aur..aur..ye kiska ghar hai, mai kanha pe hun…
Zara : Rohan aap yanhi rahiye mai abhi aayi, ye bolke Zara nikal jati hai..
Zara ke jane ke baad,
Rohan : relax Ruhani ye mera hi dusra ghar hi hai.
Ruhi : kya???
Rohan : relax Ruhani itni zor se chilane ke kya jarurat hai, ye mera dost Rajveer ka hi ghar hai, hua na mera dusra ghar, aur iss sahar mai apne dam pe Rajveer ne apni pehli kamayi se iss ghar niv suru ki thy, aur dhire dhire itna bada ghar bana liya..aur….
Ruhi : baas bhai, mujhe pata lag gaya ye sir ka ghar hai per abhi mera sar phata ja raha hai.
Rohan : aab pehli baar vodka pi hai to asar to hona hi hai.
Rohan ki baate sunke Ruhi ko ek dam jhatka lagta hai aur wo usse dekhne lagti hai. Tabhi Zara bhi aajati hai,
Zara : Ruhani ye nimbu pani pi lo acha lagega, aur fresh ho jao..
Rohan : aab jyada soch maat, aur bahar aajana, ham dono bahar hi hai.
Ruhi : thik hai bhai..
Rohan : bahar aa fir saab kuch bata dunga, aur iss chote se dimag mai jyada jor maat daal..
Ruhi (chid ke) : kya bhai….
Rohan hasta hua bahar aajata hai aur usse piche piche Zara bhi aajati hai.
Zara (mann mai) : saab se hasi majak ho raha hai baas mujhe hi tension mai dalna tha..khud ladke hai pehle inhe apna dil ki baat bolna chahiye, per nahi…inhe to pehle mujhse sunna hai…
Ander Ruhi apne apko mirror mai dekhti hai,
Ruhi : ye kapde kiske hai, aur..aur..maine vodka kaab pi, pata nahi kya kya ho raha hai mere sath..bilkul shanti se ji rahi thy mai, jaab se na ye Rajveer sir aaye hai taab se kuch jyada hi adventure ho gaya hai meri life, ek minute mai ye baate sir se kyu jod rahi hun mai….
Aaaahhhhh…ho kya gaya hai mujhe…..
Bahar Rohan aur Zara baas ek dusre ko ghure ja rahe thy, Raj ko aaye huye 15 minutes se bhi upar go gaya tha aur wo baas in dono ko dekh raha hota hai.
Raj (mann mai) : inka acha hai, gusse mai bhi ek dusre ko dekhne ka kaam karte hai, aur ek meri wali hai abhi boss hun taab bhi itna gussa karti hai pata nahi aage mera kya hoga!!!
Chalo beta lage raho tum dono, mai jata Ruhi ko dekhke aata hun, kya kar rahi hai.
Raj dhire dhire Ruhi wale kamre mai chala gaya, per wanha koi bhi nahi hai.
Raj : aab ye kanha gayi..acha bathroom gayi hai (bathroom se awaj aarahi thy). Chalo jaab tak wo aati hai mai yanhi uska wait karta hun.
Raj wanhi bed pe hi Beth jata hai, adhi raat tak jagne ke wajah se Raj ko nind aajata hai aur wo pet ke baal wanhi bed pe let jata hai.
Thodi der baad Ruhi bhi kamre mai aajati hai aur bina bed mai dekhe hi bethne lagti hai per Raj ke leg mai ulajh ke Raj ke upar hi gir jati hai. Aur dar ke maare chilane lagti hai.
Raj Ruhi ki chilane ke awaj se hi uth jata hai aur uski chilane ki awaj sunke Raj bhi chilane lagta hai, fir dono ek dusre ko dekh ke chup bhi ho jate hai.
Raj : tum mere upar kyun ho, aur itni jor se kyun chila rahi ho.
Ruhi : aab koi yese bina bataye kamre mai aakar yese hi pada hoga to dar lagega hi na.
Raj : OOO..madam lagta hai raat ki utri nahi hai, mai to tumhe hi dekhne aaya tha.
Ruhi : kyun ?
Raj : wo..wo..kaal tumhara sare nakhre maine hi jhele thy to dekhne aagaya ki abhi bhi tun hi ho ya thik ho warna meri fir se waat lag jati.
Ruhi (gusse se) : kya matlab aur mai roj roj nahi piti hun jesse aap bol rahe ho, aur wese bhi ye kis tarah ki language use kar rahe hai, tun..waat…
In dono ki chilane ki awaj se Rohan aur Zara bhi aagaye thy, aur kaab se darwaje pe khade in dono ko dekh rahe thy aur haas bhi rahe thy.
Jaab Raj aur Ruhi ke kaano mai Rohan aur Zara ki hasne ki awaj aayi taab in dono ko hosh aaya, aab bhi Ruhi Raj ke upar thy aur Raj ne Ruhi ko kamar se pakda hua tha.
Rohan : tum dono ladho ham jate hai.
Ruhi to saram se gadi ja rahi thy wo sidha Raj ke upar se uth jati hai aur bina kuch kahe hi kamre se bahar chali jati hai, aur uske piche piche Zara bhi.
Rohan aab bhi hass raha tha to Raj bhi uth ke uske paas aajata hai,
Raj : aab yese hi dant dikhayega ya bahar chal ke nasta bhi karega, chal….
Rohan : chal….
Fir ye dono bhi ajate hai bahar,
Raj : Zara ye raha khana, tum bahar nikalo mai abhi aaya.
Rohan : tu kanha ja raha hai..
Raj jate jate Rohan ko dekh ke,
Raj : wo Anu ka phone aaya tha raste mai to baat nahi ho payi to abhi baat kar ke aaya.
Jese hi Raj aage badhne ko hua samne se Ruhi aarahi thy to dono mai takar ho gayi, Ruhi to apna sar pakad ke khadi ho gayi per Raj ne Ruhi ko ek baar dekha per bina kuch kahe hi bahar hi chala gaya.
Ruhi bhi aake ke Rohan aur Zara ke sath beth gayi aur saab nasta karne lage. Raj bhi thodi der baad aagaya aur aake unko join kar liya.
Rohan ne Raj ko jaab dekha,
Rohan : oye, tera chehre pe 12 kyun baje huye hai.
Raj : wo mujhe aur Zara ko kaal hi Dubai aur America 1 mahine ke liye jana hai, wanha ke hamare 5 projects khatam hone ko aaye hai baas aab ja kar final touch dekhna hai, per…
Rohan Raj ke baato ko kat te huye,
Rohan : to isme kya hai, jo ki tera munh utra hua hai.
Raj : Anu yanha aarahi hai to wo yanha kesse..mere bina…
Rohan : tu bhul raha hai ki yanha ek aur bhai bhi hai uska, aur mai hu na..
Zara ko in saab bato se koi farak nahi pad rahi thy usse to baas Rohan se dur jana hi dikh raha tha.
Ruhi baas apna sar ko pakde kha rahi thy, tabhi uski nazar Zara pe gayi, uska chera utra hua tha. Ruhi ko samajh aagaya ki kya ho sakta hai…
Raj bhi apna breakfast karne lagta hai, aur Zara apna khana khatam karke bahar ja kar beth jati hai. Rohan ne Zara ko jaab yesa dekha to usse bhi feel hua ki Zara bhi mujhse 1 mahine ke liye dur ja rahi hai. To wo apne seat se uth ke Zara ke paas chala jata hai aur uske side mai beth jata hai, aur bethne ke baad uska hath pakad ke apne dil pe rakh deta hai.
Rohan : janta hun bahut kuch bolna hai tumhe per iss samaya tumhara jana jaruri hai, Raj ke ye project kitne jaruri hai, hamari company ko no.1 position per pahunchane ke liye. Mai apne dost ko top pe dekhna chahta hun.
Zara : per apne kaal kuch jawab manga tha..wo….
Rohan : yaad hai tumhe, wo to tum aaj bhi de sakti ho nahi to ek mahine ke baad de dena, kya pata taab tak koi aur hi ye jawab de de.
Rohan ki baate sunke Zara ne usse gusse se dekha. Ruhi ne bhi inki sari baat sun li thy, kyun ki wo bhi Rohan ke piche piche aagayi thy Zara ke paas.
Udhar Raj bhi khana khatam karke apne kamre mai chala gaya tha aur kisike sath phone pe baate kar raha tha,
Raj : to iske piche Manav ka hath hai….
Dusri taraf se : ji sir usne hi iss waiter ko phone per Ruhani ma’am ki drink ko badal ne liye kaha tha, aur baad mai bahar uski car tak lane ko bhi bola tha, per Ruhani maam iske baad kahi dikhi hi nahi, maam ki kismat achi thy.
Puri baat sunne ke baad Raj behed hi gusse mai idhar udhar ghum raha tha apne phone ko cut karne ke baad.
Udhar se Ruhi bhi aagayi thy Raj ke kamre mai aur wo bhi bilkul gusse mai subha ki harkat ke liye, per jaab ander aayi aur Raj ko itne gusse mai dekhi to uski bhi hawa nikal gayi.
Ruhi (mann mai) : kese Hulk ki tarah gusse mai hai, per kyun….ek to mujhe kuch yaad bhi nahi maine raat mai kiya kya tha….
Ruhi bhi wanhi darwaj ke paas apne soch mai ghum thy jaab Raj ki nazar Ruhi pe padi to uska bhi gussa shant ho gaya.
Raj : ham bolo Ruhani kuch chahiye kya….
Ruhi bhi Raj ke baato se apne hosh mai aajati hai,
Ruhi : sir mujhe aapse kuch baat karni hai….

Good update
 
  • Like
Reactions: NewWriter23

NewWriter23

Member
368
2,071
123
Update 22
Jese hi Ruhi ne Raj ko kuch baat karne ke liye kahi Raj jake apne room ke sofe pe beth gaya aur Ruhi ko bethne ki liye kaha, Ruhi bhi bina kuch kahe jake beth gayi.
Raj : hmm, aab bolo kya puchna tha tumhe.
Ruhi : han..wo..mai..wo….
Ruhi baas atak atak bol rahi thy, jisse dekhke Raj ko haasi aagayi.
Ruhi : aap haas kyun rahe hai?
Raj : wo kal raat wali baat yaad aagayi, kaal to bol bol ke mera dimag hila diya tha, aur aaj madam atak rahi hai....
Raj ki baate sunke Ruhi jo abhi taak tension mai thy ki kaal raat usne kya kiya abhi wo aur jyada tension mai aagayi, jisko Raj ne dekh liya.
Raj : acha wo chodo kya baat karni hai?
Ruhi : wo..wo mai ye..
Sayad Raj Ruhi ki baat thoda thoda samajh raha tha isiliye usne hi usse puch liya,
Raj : mai Zara ko leke jaraha hun yanhi puchna chahti ho na….
Ruhi : han..per apko kesse pata ki mai kya puchne wali hun.
Raj : wo to mai Zara ko sath lekar ja raha hun, kyun ki Rohan aur Zara dono ke liye ye jaruri hai. Dono pyaar to karte hai per pahal koi nahi kar raha hai wo sochti hai ki Rohan pehle karega aur Rohan sochta hai ki Zara hi pehle karegi. Wese bhi pyaar mai thodi duri bhi aani chahiye tabhi to pata chalta hai ki samne wala inshan hamare liye kya hai.
Ruhi Raj ki baate sunke usko dekh rahi thy aur aaj fir se usse Rajveer mai hi Raj nazar aaraha tha.
Raj : to kuch samajh aaya miss Ruhani ya aur samjhau….
Ruhi : per sir….
Raj : yaar tum khud hi dekh lena baad mai, aur ye batao tumhara sar dard thik hai aab.
Ruhi : aapko kese pata..abhi bhi sar dard kar raha hai.
Raj haste huye : pehli baar vodka pi thy to hangover bhi hoga hi na..
Raj baat sunke Ruhi ghabra ke jane lagti hai to Raj uska hath pakad leta hai. Aur Raj uthke Ruhi ke piche aajata hai. Ruhi ko bahut hi ajib sa yehsas ho rahi thy kuch acha behed hi acha.
Raj Ruhi ke kaan ke paas bolta hai : wese Ruhani tum apne sabse pyara dost ka haal bhi nahi puchogi..kaal tumne uski halat bahut buri kar di thy.
Ruhi : ko..kon..do..dost….
Raj : mai aur kon kaal tumne hi mujhe kaha tha….
Ruhi jaldi se piche ki aur mud jati hai aur Raj ke ek dam samne aajati hai.
Ruhi : kaal maine kya kya kiya tha..please mujhe batayiye.
Raj : thik hai, tumhe kya yaad hai.
Ruhi : yanhi ki wo juice pi kar mai bahar pool ke paas beth gayi thy. Fir..aap aaye thy..hai na….
Raj (hasta hua) : han aur uske baad pata hai kya kya kiya..
Ruhi apni sar ko naa mai hilate huye : pata nahi kaal maine kya kya kar diya.
Raj : aare yaar tum tension maat lo..jo kuch bhi kiya mere sath hi kiya tha….
Ruhi : kya….
Raj : aare mera matlab ye hai ki jo bhi bola mujhe hi bola tha aur kiya bhi tha ulti mujhpe….
Ruhi : oohh..jaab sab baat uske dimag mai ghuma to jor se chikh padi..
Kyaaaaa…..
Ruhi : ulti ki thy..sorry sir….
Raj : it's ok, maine tumhe maaf kiya, chalo mai chalta hun kuch kaam hai tum rest karo….
Ruhi : per aaj to Sunday hai to aap kanha ja rahe hai..
Raj : kaal ja raha hun to kuch kaam khatam karne hai aaj hi baas, tum Rohan aur Zara ke paas raho mai aata hun.
Raj bahar jane ke liye jane lagat hi ki Ruhi ko dekhta hai jo ki wanhi beth jati hai aur Raj ke baare mai sochne lagti hai.
Raj : pagal ladki….Fir Raj chala jata hai….
Chaliye Raj ko jaane dete hai haam chalte hai Mr. Manav ke taraf dekhne ke liye, itna bada kand karke kya kar rahe hai,
Manav ek hotel ke kamre mai betha pi raha tha aur apne har mai hi bokhlaya hua tha, ki uska darwaja kisne khat khataya, to manav uthke jake darwaja khola to bahar Rajveer hi tha, Manav do minute ke liye dar gaya tha fir baad mai hasne lagta hai.
Manav : mujhe pata tha ki tu jarur aayega, per maine uska bhi intezam kiya hua hai.
Rajveer bina kuch bole usko side hatate huye kamre mai ghus gaya aur sofe pe jake beth gaya aur room service mai phone laga liya,
Raj : ek white sauce pasta with extra cheese, and apple juice, do minute mai chahiye iss room mai.
Manav Raj ka yesa behaviour dekhke heran pareshan wanhi khada hua tha.
Manav : tu apne aap ko samajh ta kya hai sale, dekh mera business to tune le liya, per tu janta nahi ki mai kya cheez hun, 100 kamine mare honge to mai paida hua tha, rukh tu mai abhi tujhe bata ta hun.
Fir kisi ko call kart hai,
Manav : bhai wo mere kamre mai hai aap aajao….
Fir call cut karke Raj se; aab bhagne ki kossis bhi mat karna.
Raj ne ek word bhi nahi kaha wo baas betha raha aur Manav ki harkat ko dekhne laga.
Darwaj ki khat khat se Manav ki face pe smile aagayi aur wo jake darwaja khola to samne room service wala tha, wo ander aake khana deke chala gaya.
Raj usko aram se khane laga, abhi kuch hi der huyi thy ki ek baar fir se khat khat huyi to ek baar aur Manav jake darwaja khola, to bahar ek admi tha jisse Manav ne hi bulaya hua tha phone pe.
Manav : Damu bhai, aayiye..ander hi betha hai aur maje se kha raha hai.
Damu : thik hai, abhi uska sara khana nikal dete hai.
Jese hi Damu ander aaya to Raj ko dekh ke wanhi rukh gaya aur jo uske hath mai gun tha wo bhi gir gayi.
Damu ko kuch samjah nahi aaraha tha ki wo kya kare, fir bhi himmat juta ke ek kaas ke Manav ke gaal mai diya,
Damu : aabe saale, tu..tu inhe marne ke liye mujhe bulaya hai, tu janta bhi hai ye..ye kon hai..
Manav ko kuch samajh hi nahi aaraha tha wo baas apne gaal mai hath deke gusse se Damu ko dekh raha tha aur sath mai Raj ko bhi jo abhi aaram se khana kha raha tha.
Damu apne baat jari rakhte huye : tujhe pata bhi hai Mumbai aur Bangalore mai land mafia kisne khatam kiya, aur tujhe pata hai ki ye kya kya kar sakte hai.
Aab ki baar Manav ki bhi hawa tight ho gayi wo kya socha tha aab kya ho raha hai uske sath.
Raj ne apna khana khatam karke Manav ke samne aake khada ho gaya.
Raj : han to tu mujhe kya keh raha tha, ki tu bada kamina hai..to sun mai apne family aur kaam mai tujhse bhi bada kamina hun. Aur tune to meri jaan per hath dalne ki kossi ki..
Teri kismat bahut achi thy ki usse kuch hua nahi, nahi to tu soch bhi nahi sakta tera kya haal hota.
Tabhi Manav ka phone baja,
Manav : hello…kya..ye..ye..kese..
Manav baas Raj ko dekh raha tha dar ke mare aur uski fati padi thy.
Raj : tujhe pehle bhi warn kiya tha per kya kare kutte ki dum kabhi sidhi ho hi nahi sakti, teri sari family tujhe chod ke ja chuki hai, teri puri Company mere naam pe hai aur tu sadak per..nahi nahi..sadak pe nahi sidhe jail mai hoga..tabhi wanha police bhi aajati hai aur Raj ke issare pe Manav ko pakad ke le jate hai.
Manav ke jane ke baad Raj Damu se,
Raj : tu baas apna kaam dekh yese loogo se paisa le kar kaam karna chod de.
Damu : ji..ji..bhai….
Raj wanha se chala jata hai to Damu ki sanso mai sans aati hai.
Bahar aake Raj Rohan ko phone karta hai.
Raj : hello….
Rohan : hello chod..ye baata tu kaab tak aayega.
Raj : baas aaraha hun, aur han tu Zara ke sath ghar ja kar uski packing mai madat kar aur raat tak sidhe mere ghar aajana ham dono wanhi se hi nikal lenge, aur Ruhi ki ghar per hi rehne de mai aaraha hun.
Rohan : thik hai..bye….
 
Awesome update
 
Top