• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Taqdeer [Completed]

NewWriter23

Member
368
2,071
123
Oh to isliye late hone par bina kuch khaye nikal gaya tha kyunki raj ko mandir jana tha...
ruhi ko bhi rohan ke jariye dhire dhire raj se related baatein jaanne ko mil rahi hai..
wohi official works ko lekar kaafi seriousness rakhta hai raj...
waise shayad ruhi aisi ladki nahi hai ki uske samne zara ki thodi bahot taarif kar dene se ushe jalan hogi ya wo gussa ho jayegi...
par kya kare rohan ko jo laga wohi samjhane ki koshish ki raj ko...
Well.... update kaafi dilchasp tha aur sath hi kirdaaro ki bhumika bhi...
Btw... the story has quite a enthralling twist..
The qualities and passion of a writer is that through the character of story , make story's name meaningful. In which you were completely successful.

Let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skills :applause: :applause:
Thank you, for such a lovely comment.
 
  • Like
Reactions: Naina and mashish

NewWriter23

Member
368
2,071
123
Update 8
Jaab dono baas kitab ke sahare baat karte thy, taab Ruhi to mann hi mann mai Raj ko pasand karti thy per kabhi bhi ye bolne ki kosis nahi ki thy.
Aur Raj to Ruhi ko pehle hi nazar mai dil de betha tha. Pata nahi kitni baar dono bilkul paas se gujarte thy per Raj to Ruhi ko dekh leta tha per Ruhi to ye bhi nahi janti thy. Pura din Ruhi baas masti hi karti rehti thy, kabhi kabhi bacho ke sath bhi milke hasti khelti rehti thy matlab bole to bilkul bachi ban jati thy.
Ek din Ruhi ki bachpan ki dost Palak ko Ruhi aur raj ke bare mai pata lag gaya, Ruhi ne hi bataya tha usse. Jaab Palak ne Raj ke baare pata kiya to usko Raj ka anath hone ka pata chala, baas yanhi se dono ki dosti ki katam hone ki suruwat thy.
Sir..sir..may I come in sir.. Rajveer sir…ye awaj thy ek ladki ki jo ki Raj ke cabin ke bahar se aarahi thy kyun Raj apne yaadon mai kho gaya tha aur ankhe band karke betha hua tha issliye wo ladki ne jaab ye dekha to wo bahar se hi awaj lagani suru kar di.
Jaab Raj ne apni ankhe khol ke dekha to darwaja ke paas Ruhi khadi huyi thy. Raj jaab yadoon mai tha taab uske ankho mai pani aagaya tha, jo ki wo Ruhi ko dikhana nahi chahta tha, to jaldi jaldi apne ankho ko saaf kar liya.
Raj : yes miss ruhani please come in.
Jaab Ruhi cabin ke ander aayi to usne bhi Raj ki ankhe notice kar lia jo ki lal hua pada tha jo ki saaf bata raha tha ki raj ke ankho mai pani aaya tha. Pata nahi kyun per Ruhi ko Raj yese bilkul bhi acha nahi lag raha tha. wo to baas Raj ko hi dekh rahi thy.
Raj : ji kahiye aapko kuch kaam tha kya?
Ruhi : sir conference room mai apki wait kar rahi thy mai.
Raj : kyu kya hua kuch kaam tha kya wanha?
Ruhi : sir hame project per kaam karna tha. (Mann mai, kya boss bhul gaye hai)
Raj : ohh..han...han…sorry mai thoda…aap chaliye mai aaraha hun.
Ruhi : ok sir, ye kehke wo chali gayi wapas conference room ki aur.
Kyun ki Raj pichle 1 ghante se upar apne khyalo mai khoya hua tha iss liye Ruhi wait kar kar ke aagayi thy Raj ko bulane.
Idhar Rohan, Zara ka name plate le kar uski wait kar raha tha. Tabhi ek ladki uske samne aake khadi ho gayi.
Uski dress up bilkul funky type ka tha. Skin tight jean, red and white check shirt aur uske upar black leather jacket and black shoe aur sar ke upar ek black cap.
Ladki : hey, I am Zara Malick and you?
Rohan usse hi dekhte huye : hey I am Rohan, Rajveer’s friend.
“To chale Mr. Rohan”, ek cute si smile me sath Zara ne kahi thy Rohan ko, Rohan to baas suru se usse hi dekhe ja raha tha.
Jaab Zara ki baato ka ashar Rohan pe nahi hota dekha to Zara ne Rohan ko hilla ke,
Zara : oo janab kanha kho gaye aap, aab chalne ki jahmat uthayenge ya hame khud hi kuch karna padega.
Rohan jhep hi gaya tha yesi harkat ki wajah se,
Rohan : ji..ji..sorry wo mai..wo chaliye chalte hai.
Fir aake car mai beth gaya aur uske piche piche Zara bhi aake car mai beth gayi. Pure raste Rohan ne Zara ko nahi dekha, wo nahi chahta tha ki Zara uske baare mai kuch galat soche. Zara se chup raha nahi gaya wese bhi wo kabhi kisi anjaan se baate nahi karti thy per pata nahi kyun wo khud Rohan se baat karna chahti thy. Issi liye bol hi padi,
Zara : acha to aap hai Raj bhai ke jigri dost Rohan unhone bataya hua hai mujhe apke baare mai.
Rohan Zara ki baate sunke Rohan ko tension ho gayi, “pata nahi kya bakwas kiya hoga mere bare mai gadha, pata to hai nahi kuch ki kaab kya bolna hai, hamesha se to baas gusse mai hi kaam kiya hai pakka gusse mai hi kuch ulta sidha bol diya hoga mere bare mai. Aur mann hi mann Raj ko gali dena suru kar diya.
Zara ne jaab Rohan ke taraf se kuch nahi suna to usne bolna jari rakha : pata hai unhone mujhe bola tha ki wo bahut kismat wale hai jo ki aapke Jessa bhai mil gaya hai unhe.
“Acha to usne ye kaha hai”, aab jake Rohan ki jaan mai jaan aayi.
Aur fir dono bahut se baate karte hai fir thodi der baad office bhi aagaya to dono car se utar ke office ke ander chale gaye.
Rohan : Zara ji aap mere cabin mai bethiye mai Raj ko dekhke aaya kisi meeting mai na ho?
Zara : ji, wo aap ke cabin.
Rohan : ek aur ishara kar deta, ji ye raha aap wait kijiye. Fir Rohan chala gaya Raj ko dekhne. Aur Zara bhi Rohan ke cabin mai chali gayi aur uska wait karne lagi.
Aur idhar Raj aur Ruhi dono conference room mai kaam kar rahe thy. Jaab Rohan jake dekha to dono baas files mai hi dube huye thy.
Rohan : hello everyone..
Raj : aare tu aagaya, chal acha hua, aa dekh le maine ye statistics set kiya hai. Aab to ye project hame hi milega.
Rohan : pehle tu chal mere sath cabin mai Zara wanha wait kar rahi hai aur tum bhi ruhani.
Ruhi : per sir mai kyun?
Rohan : aare aab sath mai kaam karna hai na issliye. Chalo aab.
Teeno Rohan ke cabin ke ander chale gaye. Jaab teeno cabin mai ghuse to Ruhi ne dekha ki ek ladki puri Tom boy look mai bethi thy.
Raj, Zara se hath milate huye : hey Zara..
Zara : hello Mr. Rajveer, kese hai aap?
Raj : mai to bilkul thik hun, aao apne team members se mil lo ye hai hamari branch manager Miss Ruhani, aur Ruhani ye hai miss Zara aur Zara tum to Rohan se mil hi chuki hogi.
Ruhi : hello miss Zara, apse milke khusi huyi.
Zara : hamme bhi, aur yanha aakar bahut acha laga.
Rohan, Zara ko dekh ke dhire se : aur hame bhi…
Per Raj aur Ruhi dono ne Rohan ke baat sun liya. Sabhi beth gaye aur Raj Zara ko kaam samajhane laga per Rohan to baas Zara ko hi dekh raha tha. Tabhi Ruhi ne Rohan ke kaan mai,
Ruhi : kya baat hai bhai..lagta ye hogi meri bhabhi.
Aur baas ye baat tha ki Rohan ki chehre ki rang ud gaya aur Ruhi baas hasne lag gayi.
Raj, Ruhi ke haste huye dekhke : ye kya ho raha hai, hamme bhi to pata chale ki baat kya hai?
Rohan : kuch nahi yaar ye mera aur meri behen ki baat hai tu chod isse, aur Ruhi ko ishare karne lag gaya chup hone ke liye. Aur Ruhi kyun chup hogi wo to baas Rohan ko chedne laga jati hai.
 
NewWriter23

Member
368
2,071
123
Update 9

Saab kaam le lage huye thy, Raj aur Zara ek taraf to Rohan aur Ruhi ek taraf. Jaab Rohan ne waqt dekha to raat ke 9 bajne ko ho rahe thy.
Rohan : yaar bahut der ho gayi hai, chalo baas karo saab, baki ka kaam kal kar lenge aur mujhe bahut joro se bhuk bhi lagi hai.
Raj ko achanak kuch yaad aajata hai, "oh shit!!!!sorry Zara really really sorry.. "
Raj baas Zara se mafi mag raha tha per kisiko kuch bhi samajh nahi aaraha tha ki ye achanak Raj ko hua kya.
Rohan : oye batayega ki hua kya hai, ya for yese hi maffi mangta rahega?
Raj : wo maine jaldi jaldi mai Zara kuch rehna ka intezam nahi kiya hai.
Zara baas Raj ko gusse se ghur rahi thy, Raj ki baato ko sun ke.
Ruhi (kuch soch ke) : koi problem nahi hai, Zara mere ghar mai reh sakti hai. Ruhi ye baate bol ke jaab Zara ko dekha to wo tha kasmakash mai thy ki jaun ya jaun.
Itna maat socho Zara mere ghar mai, mai akeli rehti hun, aap rukh sakti ho mere sath.
Zara bhi ruhani ki baare thik lagti hai : thank you so much Ruhani, nahi to in bhai sahab ne to aaj mujhe iss office mai rukhne ka bolna tha, kyun ki ye yese hi karte hai.
Raj jo aab bhi file dekh raha hota hai wo Zara ki baate sunko usko ghurne lag jata hai.
Ruhi ne dekha ki Rohan baas Zara ko hi dekh raha hota hai to uska dimag mai kuch chalne laga isiliye usne Rohan se,
Ruhi : bhai ye lo mere ghar ki key aap aur Zara ghar jao, kyun ki apko bhi bhuk lagi hai aur Zara bhi travel karne ke baad aur itna kaam karke thak gayi hogi usse rest ki jarurat hai.
Mujhe aur Raj sir ko aur thoda kaam hai (isiliye bola tha ki raj aab bhi file mai ghusa pada tha) to ham baad mai aayenge. Zara apko to koi pareshani nahi hai na?
Zara : nahi hamme koi dikkat nahi hai aur hamara to sara saman bhi inke car mai hai. Fir Rohan ko dekh ke, "chale Mr. Rohan".
Baas itna tha ki Rohan bhi khushi khushi han kar deta hai. Aur ishara se Ruhi ko thanks bhi kar deta hai aur Ruhi bhi welcome bol deti hai. Fir dono chale jate hai.
Aab iss waqt pure office mai in dono ko chod ke aur koi nahi tha saab apne apne ghar ja chuke thy. Raj kaab se chup tha kuch bhi nahi bol raha tha. Aur ye Ruhi ko ye chupi bardast nahi huyi to usne Raj se baat karna start kadiya per Raj ne kuch bhi nahi kaha.
Ruhi : sir koi baat hai kya..ya fir meri koi baat apko buri lagi hai, agar yesa hai to I sorry sir for that.
Raj : nahi Ruhi... Ruhani yesa kuch nahi hai mai baas ye soch raha hun ki inshan jitne marji perfect banne ki kosis kare per koi na koi kami rah hi jata hai, har kisi ko ham khushi nahi de sakte kuch adhura sa reh hi jata hai.
Ruhi baas Raj ko hi dekh rahi thy. Jo khidki per khada ho kar bahar dekh raha hota hai.
Raj : pata hai Ruhani, mujhse bahut log nafrat karte hai wo log jinko mai harata hun, wo ladkiya jinse mai dur bhagta hun, wo ladkiya jo mere paiso ko dekh kar kuch bhi karne ko tayar ho jati hai, isiliye hamesha unse bura bartan hi karta hun. Per jisse apni jindegi mai aane deta hun wo bhi dukhi ho jate hai.
Achanak bahar barish suru ho jati hai aur Raj khidki per hi khada rehta hai. Ruhi uske paas aati hai khidki band karne ke liye per Raj, Ruhi ka hath pakad leta hai.
Raj : fir apni baate jari rakhta hai, pata nahi mai tumhe ye saab kyun bata raha hun, tum yanhi soch rahe ho na....tum bhi dur ho raho mujhse. Ye bol ke Raj, Ruhi ka hath chod deta hai.
Ruhi ko pata nahi magar kyun usse gussa bahut aaya. Issiliye,
Ruhi : mujhe bhi koi souk nahi hai aap ke paas aapne ka per aap ki wajah se cabin mai pani aaraha hai, baas issliye apke paas aarahi thy khidki band karne ke liye.
Ye bol kar Ruhi ne khidki band kar di aur files band karne lagi tabhi Raj aake Ruhi ke hath se file le leta hai.
Raj (thode gusse ke sath) : mujhe abhi aur kaam karna hai.
Ruhi : sir bahar barish tez ho jayegi upar se mumbai ka traffic, sir please mai request karti hun hamme ghar chalna chahiye.
Raj manne wala tha per Ruhi ke chehre pe ghabrahat dekh ke usse aur Tang karne ke liye socha,
Raj : nahi pehle kaam...
Ruhi ne Raj ke hatho se file lene ki kosis ke sath hi bolne lagi, "nahi pehle ghar chalenge".
Nahi kaam.....
Nahi ghar.....
Baas yahi chalta raha dono ke bich thodi der, dono ek dusre se file lene mai lage huye thy. Raj to baas Ruhi ko hi dekhe kar hi bol raha tha per Ruhi ka pura dhyaan file lene per tha.
Tabhi dono me hath se file chut ke niche gir jata hai, jesse hi dono usse uthane ke liye niche jhukte hai, pehli baar tha jaab Raj, Ruhi ko itne karib se dekh raha tha, aur usse mehsus kar rah tha, jesse hi Raj file ko utha ke utne laga uska sar table ke kone se takra gaya.
Aaaahhhhhh!!! Raj ne apna sar pe hath rakh liya.
Ruhi ne jaab Raj ke hatho mai dekha to usme se khun nikal raha tha.
Ruhi : sir khun!!!!!
 
mashish

BHARAT
8,032
25,905
203

NIce update
 
Good update
 
Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,259
189
Raj kabhi kabhi apne purane dino ko, apni purani yaadon ko yaad kar is kadar kho jata hai ki aas paas kya ho raha hai, uska dhyaan hi nahi rehta
to zara ne entry le hi li hai.... udhar rohan bhi zara ko dekh uspe lattu ho gaya...
So zara ab ruhi ke ghar rehne wali hai...
Waise raj bhi kabhi kabhi mann ki baatein share kar leta hai ruhi se...
ye jo barish suru huyi hai shayad kuch changes laye raj ruhi ke jindagi mein...
Btw....
Every word of the story like the first rain drops. While reading, I started to feel that I am connected with every character. Perhaps it is the magic of your writing. Keep writing like this and keep us entertained through your stylus.
.....
well let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skills :yourock: :yourock:
 
Thank you🙏
 
  • Like
Reactions: Naik and mashish
Top