• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller Strange World (completed)

Opinion About The Story


  • Total voters
    32

KR$NA

NooB MembeR
Super-Moderator
6,465
5,003
259
Chill guys, Jisko pashand nahi aarahi hai ye story wo yahan se ja sakte hai TS ko pareshan na kare, Story Thread mein Writer ka update and Reader ka Review/Comments hi hona chahiye isse jyada bahas mudda PM mein kar le jisko dikkat aarahi ho wo.
 

Milan2010

Well-Known Member
4,809
3,582
159
Update : 31 (End Of the WORLD)


“mai ek baar apni pari ko kho chukka hai, iss baar mai tuje nahi khona chahta, I promise you Pari..chahe kuch bhi ho jaaye, mai Dexter ko rokkar hi rahunga, sirf TERE LIYE”



Ab aage…



Mayank ki baat sidhe pari ke dil ko chu gayi thi, iss waqt voh jo mehsus kar rahi thi use mai shabdo me bayan nahi kar sakta, Pari ka dil iss waqt bahut hi joro se dhadak raha tha, aur voh bina palke japkaaye sidhe mayank ki aankho me dekh rahi thi aur fir voh apne aap hi Mayank ke gale lag gayi aur apna sar mayank ke dil par rakhte hue behad pyaar se boli “I don’t want to loose you too”


Khair kuch der voh dono ese hi idhar udhar ki baate karte rahe aur fir sham ke waqt voh dono bhi INFINITY Mall ki aur nikal pade, vaha pahuchte hi dono sidhe ek restaurant me gaye jaha unke sare dost bahar hi intezaar kar rahe the

Sabhi ki najre Pari ke chehre par tiki hui thi..kyunki kisine bhi aajse pehle Pari ko itna jyada khush kabhi nahi dekha tha..vahi Mayank aur Pari abhi bhi apni baato me masghul the


Khair khaana khate waqt sabne ek dusre ki khichayi ki, aur raat ko sabhi log vapas Mayank ke room me ikhatta hue


Pari ki baat sunne par Rajendra ko yakin nahi ho raha tha, voh thoda chuankte hue chillaya “kyaa..?? yeh kese ho sakta hai..??”



Manthan ne mayank ki aur dekhte hue pucha “aur tu keh raha hai ki tuje iss baat ka koi andaza hi nahi tha..??”


Pathik “mere toh kuch samaj me nahi aa raha ki yeh kese ho sakta hai, I mean jab tune dexter ko chua tha, tuje iss baat ka andaaza bhi nahi hua..??”


Mayank gehri saans lete hue “jab mera pehli baar Dexter se contact hua tha, tab maine usko cross kiya tha..almost 90o degree ke angle par, lekin aaj..aaj jab Dexter aur mera contact hua..tab meri position thik uske samne the..180o par, aur muje laga ki Dexter ke samne jaane ki vajah se mai uski powers seh nahi paaya aur usse dur jaa gira aur fir maine uss baat par jyada dhyaan bhi nahi diya”


Siddhi “voh sab toh thik hai, lekin tune abhi tak yeh nahi bataya ki jab tum dono ka contact hua tab tune kya dekha tha..?? aur kya iss baar bhi tune vohi dekha..??”


Mayank thoda rukkar “jese ki maine pehle bhi kaha tha..maine ek saath apna past, present aur future dekha tha, maine apna past dekha..jisme mere mom dad mere aankho ke samne mare the, mera present dekha..yaani pari ki death, aur future me jo dekha tha, voh tha iss earth ka ant, sab kuch jalkar rakh ho chuka tha”


Uss din jab meri najar uss chote bache par padi..aur Dexter ko uski taraf aate dekh mai khud ko rok nahi paaya tha, bina kuch soche samje mai kud gaya..aur maine uss chote se bache ko toh bacha liya..lekin uss waqt ek ajib si baat hui thi, chalaang lagate waqt mera pair Dexter se chu gaya tha..aur thik usi waqt mai ek ajib si jagah par pahuch gaya..yaa fir kisi aur dimension me..mai nahi janta tha ki voh kya chiz thi..lekin aaj muje pata hai ki mai Time Force ke andar tha, Time Force ek closed..par hollow tunnel ke jesa tha..aur mai teji se uss tunnel me aage badh raha tha..mere charo aur uss tunnel me kahi sari tasweere thi..lekin meri najar sirf mere samne the..jaha muje voh 3 tasweere dikhayi de rahi thi jisne muje upar se niche tak hila diya tha

Pehli tasweer me maine apne mom dad ko marte dekha..unka accident..voh truck, dusri tasweer me maine Pari ko ek aur baar marte hue dekha..voh mere bahut hi jyada karib thi, aur fir jab maine sabse aakhri tasweer dekhi..mai seham gaya, kyunki maine uss tasweer me iss Earth ka ant dekha tha

Ek aisa ant jo hum kabhi apne sapne me bhi nahi soch sakte, sab kuch jalkar rakh ho chuka tha, jaaha najar pahuchti vaha sirf khander me badli hui imarate thi, asmaan me andhakar chaaya hua tha..aur zameen par jo roshni thi voh sirf vaha lagi hui aag se aa rahi thi


Mayank ki baat sunkar kisi se kuch bola nahi jaa raha tha..sabhi log uss aane vaale waqt ki kalpana kar rahe the, Pathik “toh kya sach me Dexter ko roka nahi jaa sakta..??”


Mayank “I don’t know, dexter se jeetna muskil hi nahi..naamumkin hai, par jo baate muje aaj pata chali hui..uske baad mai lade bina haar nahi manunga, kyunki muje lag raha hai..kuch toh ajib hai..kuch hai jo mai abhi tak nahi dekh paa raha”


Siddhi “hamari ladayi waqt se hai, kya hum sach me waqt ko hara paayenge..??”


Mayank “agar Dexter ne muje voh future dikhaya taaki hum apna future badal sake, Time Force muje kuch bhi dikha sakta tha..lekin usne sirf voh tabahi dikhayi, shayad waqt bhi yahi chahta hai ki hum uss aane vaali tabahi ko roke”


Kruti “aur iss baar tune kya dekha..??”


Mayank ne pehle kruti ki aur dekha “sach kahu toh..” aur fir Pari ki aur dekhte hue “iss baar maine sirf pari ko dekha tha, voh muje bachane ke liye khud Dexter ke pass aa rahi thi..dil me ek ajib sa dar lag raha tha, vohi dar jo maine apni Pari ko khote waqt mehsus kiya tha..janta hu ki yeh meri pari nahi hai..par fir bhi dil me Pari ko khone ka dar tha..agar ek aur baar meri vajah se Pari ko kuch ho jaata..toh mai apne aap ko kabhi maaf nahi kar paata, bas itna hi yaad hai muje”


Jab mayank yeh baate bol raha tha..tab Pari ke dil ki dhadkan badh gayi thi..jo palke niche juki hui toh sidhe Mayank ki aur uthkar use niharne lagi..Mayank ke hare k lafz uske kaano se hote hue sidhe uske dil me pahuch rahe the


Siddhi jo manthan ke pass baithi thi usne dheere se uske kaan me kaha “lagta hai yeh dono hi ek dusre ko pasand karne lage hai”


Sabhi log mayank aur pari ko saath dekhkar khush the, lekin Rajendra ko inn sab ke baare me kuch nahi pata tha, aur iss waqt uske dimaag me sirf Dexter ghum raha tha

Rajendra “par ek baat meri samaj me nahi aayi, dexter tuje kuch kar kyu nahi paaya..??”


Rajendra ki awaaz se sabhi log hosh me aaye aur mayank ne uska jawab dete hue kaha “simple theory hai, frequency aur time ke bich me ek chota sa..lekin bahut hi important relation hai, Frequency is a reciprocal of time, yaani jab frequency jyada hogi..time kam hoga, aur jab time jyada hoga toh frequench kam hogi”


Rajendra apna sar khujate hue “matlab...??”


sirf rajendra nahi..vaha maujud sabhi log apna sar khuja rahe the, aur manthan ne firse kaha “yaar, tuje kitni baat samjau, hindi me bataya kar, hum sab anpadh log hai, teri yeh language hum nahi samaj sakte”


Mayank haste hue “khair yeh sab samajna jaruri nahi hai, jaruri itna hai ki Dexter ka asar mujpar isiliye nahi ho raha tha kyunki mere pass yeh tha” usne apne watch ki aur ishara kiya “yeh frequency manipulator..isi ki vajah se voh mera kuch nahi bigad paa raha tha”


Rajendra “I get it, frequency manipulator me koi na koi frequency use hoti hi hai..frequency aur time dono hi ek dusre ke opposite hai..agar ek badhega toh dusra kam hoga, aur isi vajah se Dexter ka tujpar koi asar nahi ho raha”


Mayank “exactly..aur yahi vajah thi ki jab Dexter ne aaj subah muje pakda..tab uski raftar kam ho gayi thi”


Pathik “voh sab toh thik hai, par manipulator tha se tera kya matlab hai..??”



Mayank “yeh kharab ho chuka hai, dexter ke contact me aane se isne kaam karna band kar diya hai” usne apni watch dikhayi


Paridhi “agar yeh kharab ho chuka hai toh tu thik toh haina..??” uski awaaz me mayank ke liye chinta saaf jhalak rahi thi



Siddhi “agar yeh device subah se kaam nahi kar rahi toh tera brain crash kese nahi ho raha..?? I mean bina iss watch ke..”


Mayank “kyunki meri body aur mera brain abhi bhi uss frequency par stable hai, aur jabtak mai so nahi jaata..tabtak muje kuch nahi ho sakta”



Pathik “how..??”


Mayank “simple, jis taraf computer se kisi bhi software ko delete karne ke baad..uske saare traces ko khatam karne ke liye computer ko restart karna padta hai..thik usi tarah mera brain aur meri body me uss frequency ki image abhi bhi maujud hai”



Paridhi “yaani tu ab bina iss watch ki madad ke reh sakta hai..??”



Mayank “nahi pari, jab tak mai so nahi jaata..tab tak muje kuch nahi hoga”


Manthan “yaar, sach me..tune toh sab kuch badal ke rakh diya..kabhi sapne me bhi nahi socha tha ki iss universe me itna sab kuch hai..lekin aaj samaj me aaya ki jo chize itni basic hai..unka hamari life me kitna baad haath hai..I mean newton ka law, time ka relation…sach me, it’s incredible”


Paridhi ne manthan ki baat ko ignore karte hue kaha “toh ab kya hoga..?? bina iss watch ke…” voh bolte hue ruk gayi


Mayank “muje kuch nahi hoga, mai iss thik kar dunga..jyada waqt nahi lagega”



Rajendra “par sawal abhi bhi vohi hai..?? Dexter ko kese rokenge..??”



Mayank “pehle toh maine nahi socha tha, lekin Pari ne job yeh bataya ki Dexter ki raftar kam ho gayi thi..aur muje dur fainkne ke baad usne apna rasta badal liya..muje aisa lag raha hai ki kuch toh gadbad hai..koi esi baat hai jo mai abhi bhi nahi dekh paa raha..I need Gideon, muje delhi jaakar use yaaha laana hoga”



Pathik “par gideon se toh tu kahi se bhi contact kar sakta hai”



Mayank “haa, par iss earth ke computers utne capable nahi hai ki voh Gideon ke data ko 1 hafte me bhi process kar paaye, isiliye muje Gideon ko yaaha laana hai”



Manthan “well uske liye tuje delhi jaane ki jarurat nahi hai, meri ek buri adat hai..mai kahi bhi jaata hu..apne laptop ko saath me lekar hi jaata hu, aur isiliye maine Gideon ko apne saath lekar aaya hu”



Mayank “well..fir toh tune kaafi asan kar diya, aur tabhi mai sochu ki Gideon ne muje koi message kyu nahi kiya”



Manthan “haa..voh sorry, lappy ki battery khatam ho gayi thi..aur mai charge pe rakhna bhul gaya”



Mayank “koi na, now let’s get to work” Aur fir mayank ne Gideon ko on kiya aur ON hote hi Gideon ne sabko great kiya


“Welcome Back Sir..Good Evening”


Mayank “Good Evening Gideon, any news..??”


Gideon “not at all sir, but I have something”


Mayank “what’s that..??”



Gideon “Aap jungle me dexter ke baare me pata lagane gaye the, uss waqt mai khud se hi apne kuch naye algorithms par kaam kar raha tha”


Mayank “aur tumhare naye algorithms kya kehte hai..??”


Gideon “sir..dexter apne har hamle ke baad ek jagah jarur jaata hai, mere pass uska koi reason nahi hai, lekin jo baat maine notice ki hai voh yeh hai ki karib 1 minute tak uski energy pure planet se gayab ho jaati hai”


Gideon ki baat sunte hi Mayank ka dimaag joro se chalne laga “Good Work Gideon..I knew it, kuch toh gadbad hai, Gideon..kuch aur jo tumhe ajib laga ho..anything”


Gideon “no sir, par sir..aap shayad unki madad le sakte hai”


Mayank kuch sochte hue “hmm..thanks Gideon, and haa..mai chahta hu ki tum aur bhi algorithms par kaam karo” aur fir voh Rajendra ki aur dekhte hue “dad..muje aapki madad chahiye”



Rajendra “kesi madad”


Mayank “bura mat maniye..par muje aapke assistant, Dr. Ajit ki madad chahiye, kyunki Dexter ke baare me iss waqt sabse jyada koi janta hai toh voh Ajit hai, agar Dexter ko rokna hai..toh muje Ajit ke saath milkar kaam karna hoga”



Rajendra “muje aisa kyu lag raha hai ki tuje Dexter ke baare me koi bahut badi baat pata chali hai”


Mayank kutil muskan dete hue “yup..shayad mai janta hu ki Dexter ko kese roka jaa sakta hai”


To be continued...
 

Milan2010

Well-Known Member
4,809
3,582
159
Update : 32 (Can They Beat TIME..??)



“ohhhh freak, unbelievable, yeh kese ho sakta hai” computer ke samne baithe hue ajit ne kaha “Dexter ka raaj kuch aisa hoga yeh toh maine sapne me bhi nahi socha tha” apne chehre par dono haath rakhte hue bola

Ajit ke chehre se hi pata chal raha tha ki use koi bahut badi lekin khatarnak baat pata chali hai, voh baar baar apne chasmhe thik kar-kar ke computer ki screen par aaye hue results ko dekh raha tha, voh seat se khade hote hue khud se hi bola “agar yeh results sach hai..toh humari earth bahut hi bade khatre me hai..ek ese khatre me jisse bahar nikalna impossible hai, muje jald se jald Rajendra sir ko yeh baat batani hogi” aur voh turant hi rajendra ko call karta hai


In Hotel

Rajendra “muje aisa kyu lag raha hai ki tuje Dexter ke baare me koi bahut badi baat pata chali hai”


Mayank kutil muskan dete hue “yup..shayad mai janta hu ki Dexter ko kese roka jaa sakta hai, aur isiliye muje Ajit ki madad chahiye”


Sab ek saath “kese..??”



Mayank “isiliye toh muje Ajit ki madad chahiye, kyunki Dexter ko mai akele nahi rok sakta, kuch aesi baate hai..kuch ese sawal hai jiske jawab muje sirf Ajit se hi mil sakte hai”


Rajendra mayank ko dekhte hue kehta hai “thik hai, tuje jo karna hai kar, mai tere saath hu” aur utne me hi rajendra ke cell par Ajit ka call aaya


Phone ki screen par Ajit ka naam dekhte hi Rajendra ne Mayank ki aur dekha aur jese hi usne call receive kiya Ajit ki awaaz sunai di “sir, muje aapse abhi isi waqt milna hai” uski awaaz me gabhrahat saaf jalak rahi thi


Rajendra “what happened..?? is everything okay..??”


Ajit vese hi bola “no sir, kuch bhi sahi nahi hai, we are in big trouble, sir..mai janta hu yeh sahi waqt nahi hai..lekin baat hi kuch esi hai, mera aapse milna bahut jaruri hai”


Rajendra ke chehre par bhi dar ki lakire aa gayi thi “relax Ajit, calm down..aur aram se bata kya baat hai”


Ajit “sir..mai iss waqt aapko kuch nahi bata sakta, mere pass kuch ese evidence hai jo mai aapko dikhana chahta hu, sir please..i want to meet you”



Rajendra “thik hai, mere hotel pe aaja” aur voh hotel ka address de deta hai


Rajendra ke phone rakhte hi Manthan ne pucha “kya hua dad..?? Kahi dexter ne firse..” voh bolte hue ruk gaya


Rajendra “pata nahi, lekin Ajit bahut jyada dara hua lag raha tha, shayad koi bahut badi baat pata chali hai, ya fir koi aur baat hai, par voh yaha aa raha hai, uske aane ke baad hi pata chalega ki kya baat hai”


Karib 30 min ke baad Ajit Hotel Landmark me pahuch gaya, aur bahar receptionist se puch kar voh siddha Rajendra ke room me chala gaya

Room me jaate hi Ajit bola “I am sorry sir, mai iss waqt aapko pareshan kar raha hu”


Rajendra “it’s okay, no problem, lekin esi toh kya jaruri baat hai jo tu muje itni raat ko milne aaya”


Ajit bahut hi gambhirta se kehta hai “sir..pata nahi kese kahu par, muje kuch bhi samaj nahi aa raha” uske chehre se hi lag raha tha ki Ajit iss waqt bahut hi jyada dara hua hai..aur use sahi me kuch bhi nahi samaj aa raha


Rajendra ne use paani ki bottle dete hue kaha “relax Ajit, tu pehle shant hoja, aur aaram se bata ki kya baat hai”


Ajit ne paani piya aur gehri saans lete hue bola “sir I think we are in big trouble, it could be the end of the world”


Yeh baat sunkar Rajendra ko shock laga, isliye nahi ki earth khatam hone vaali hai..balki isliye ki yeh baat usne Ajit ke muh se suni

Rajendra ko samaj me nahi aa raha tha ki voh iss baat par kese react kare, lekin voh kuch bolta uske pehle Ajit ne kaha “janta hu ki meri baat aapko majak lag rahi hogi, ya fir aap yeh soch rahe honge ki mai koi behuda baat kar raha hau..but I have evidence, and I am damn sure ki yeh toh sirf ek shuruwat hai, aur iss earth ka sirf ek hi dushman nahi hai”


Rajendra use sawaliya bhari najro se dekhta hai “matlab..?? mai kuch samja nahi”


Ajit “matlab yeh ki hume sirf Dexter se khatra nahi hai, jis raat ko Dexter hamari earth par aaya..uss raat voh akela nahi tha, uske saath koi aur bhi tha jo hamari Earth par aaya hai”


Ajit ki baat sunkar Rajendra apne man me kehta hai “ise mayank ke baare me kese pata chala..??” fir voh kehta hai “kesa evidence..??”


Ajit “yaad hai sir, maine aapko National Park ke baare me bataya tha, Dexter ke nishan ke baare me”


Rajendra haa mein apna sar hilata hai, aur Ajit ne aage kaha “lekin aaj subah jab hum uss Jungle me gaye, humne pura jungle chaan mara..lekin voh nishan kahi nahi mile, kyunki kisi ladke ne yeh kaha ki kuch der pehle usne Dexter ko dekha tha..aur Dexter ke darr ki vajah se kisine jungle me dhyan nahi diya”


Rajendra “ho sakta hai, par inn baato ko kya matlab..??”


Ajit “sir matlab yeh hai ki meri calulations galat nahi ho sakti, muje ajib lag raha tha, isliye maine firse unn saari reports ko study kiya, maine saare satellites images ko ek aur baar tudy kiya and I found that location once again, mai galat nahi tha, voh jagah thik usi jagah hai jaha honi chahiye, usi National Park me, samandar ke pass”


Rajendra “tu kehna kya chahta hai..?? saaf saaf bata”


Ajit “sir mai bas itna kehna chahta hu ki human race bahut bade khatre me hai, jo main soch raha hu..agar yahi baat hui toh fir hume koi nahi bacha sakta”



Rajendra abhi bhi kuch nahi samaj raha tha, usne thoda chidte hue kaha “tu baat ko gol-gol mat ghuma, jo bhi baat hai..just say it”


Ajit “sir..bura mat manna par maine kuch rules tode hai, jab aaj subah jungle me kuch nahi mila toh maine apni hi reports ko re-verified kiya, aur results same aane ke baad maine socha ki agar muje Dexter ke yaaha aane ki koi vajah mil jaaye toh shayad hamara kaam asan ho sakta hai, isiliye maine hamare main server ko hack kiya”



Rajendra “toh kya pata chala..??”



Ajit “pehle toh muje kuch samaj me nahi aaya, bahut sochne ke baad muje ek clue mila, Dexter ke baar baar National Park me jaane ki koi toh vajah ho sakti hai, aur mera shak sahi tha, apne har attacks ke baad Dexter National Park me jaata tha, yeh baat muje bahut hi jyada ajib lagi..isiliye maine socha ki agar Dexter ko rokna hai toh sabse pehle uske yaaha aane ke baare me janna hoga..aur Dexter ne apna sabse pehla hamla..karib 6 mahine pehle kiya tha, aur bas isiliye maine 6 mahine pehle ke images dekhe..aur unhi images mese muje yeh mila” kehte hue usne voh pic dikhayi jise dekhne ke baad Ajit itna jyada dar gaya tha


Rajendra ne voh pic dekhi lekin use itna jyada kuch samaj nahi aaya toh usne Ajit ki aur dekha, Ajit uss pic ko samjate hue kehta hai “sir yeh satellites thermal images hai, toh isse saaf nahi dikh raha, lekin iss pic ko jab maine ache se study kiya toh muje vohi energy ke traces mile jo Dexter ke aane par milte hai..uske har attacks ke baad milte hai, aur uss ladki ki body me bhi yahi energy ke traces the..lekin uss raat jab jungle se Dexter aaya, uss raat voh akela nahi tha..uske saath koi aur bhi tha jo hamare earth par aaya hai, and I think he is an alien”


Rajendra apne man me sochta hai “Ajit you are really genious, shayad isiliye Mayank ko teri madad ki jarurat hai”


Ajit “sir..aapko yeh baat ajib nahi lagti, agar uss raat do log aaye the, ek Dexter hai..toh fir dusra kaun hai..?? aur sabse bada sawal agar voh do the..voh dusra kaha gaya..aur iss waqt kaha hai..??” ajit ne kuch sawal Rajendra ke samne rakhe..lekin Rajendra ke chehre ke haw-bhaw dekhkar voh bola “sir..muje aisa kyu lag raha hai ki aap yeh baat jante hai” fir thoda duk-kar “yaani aap jante hai ki voh dusra kaun hai..??”


Rajendra “haa..haa mai yeh baat janta hu, aur yeh bhi janta hu ki uss raat jungle me kya hua tha”



Ajit “toh sir aap ne muje yeh baat pehle kyu nahi batayi..?? aur aapko iss baare me kese pata chala”


Rajendra ne uski baat ko ignore karte hue kaha “muje ab samaj me aaya ki Manthan tere saath kaam kyu karna chahta hai, I must say I am totally impressed”


Ajit ajib si shakal banate hue “manthan..?? voh toh apka son hai, mai kuch samja nahi”


Rajendra uske kandhe par haath rakhte hue “come, I want to show ypu something, aur shayad sab kuch jaane ke baad tuje samaj me aajayega ki maine tuje kuch kyu nahi bataya”


Ajit ko lekar Rajendra sidhe Mayank ke kamre me aagaya, jaha par already sab log maujud the

Lekin andar jaate hi chaunkne ki baari Ajit ki thi..kyunki jese hi usne kamre ke andar kadam rakha..voh chalte hue ruk gaya aur bas apne charo aur ghur ghur kar dekhne laga, jaha najar karta vaha par use kuch alag hi dekhne ko milta, har taraf transparent video clips dikthi..toh kahi par images dikhte, aur kahi par toh reports open the..aur unmese kuch Ajit ke reports the


Ajit ko kuch samaj nahi aa raha tha, kyunki iss waqt voh jo dekh raha tha voh uske liye kisi sapne se kam nahi tha..voh toh apne man me yahi soch raha tha ki yeh sab kese possible ho sakta hai..aisa toh usne sirf movies me dekha tha, Ajit sawaliya bhari najro se Rajendra ki aur dekhta hai jo iss waqt Mayank ke piche khada tha


Rajendra “he is here”



Mayank “turn it off Gideon”


Mayank se command milte hi voh transparent clips aur images palak japakte hi band ho gaye, aur Mayank ne ghumte hue Ajit se kaha “I must say I am impressed, tumhari saari research sahi hai..everything, itni jaldi toh mai bhi Dexter ke baare me nahi jaan paaya tha, aur jo evidence tumne ikhata kiye voh kabil-e-tariff hai”


Mayank ko dekhne ke baad Ajit ka dimag ghumne laga tha, voh kabhi Manthan ki aur dekhta toh kabhi Mayank ki aur, kyunki voh janta tha ki Rajendra ka sirf ek hi beta hai..isliye use kuch bhi samaj me nahi aa raha tha

Ajit atak atak kar kehta hai “unbelievable, jaha tak muje yaad hai aapka toh ek hi beta tha,,?? Fir yeh kaun hai..??” usne Rajendra se sawal kiya


Rajendra “haa..par yeh bhi mera hi beta hai..bas thoda alag hai, and he needs your help”


Ajit sawal karte hue “kesi madad..?? yaaha ho kya raha hai, muje kuch bhi samaj me nahi aa raha”


Mayank “Dexter ko rokne ke liye muje tumhari madad chahiye”


Rajendra “kuch der pehle tune mujse ek sawaal kiya tha ki uss jungle me aaya hua voh dusra shaks kaun hai..toh yeh raha tumhara jawab”



Ajit ko ek bahut hi bada jatka laga “yaani uss raat Dexter ke saath tum aaye the..??”



Mayank “haa..voh mai hi tha, lekin yeh sab mai kabhi nahi chahta tha”



Ajit bas ek hi sawal karta hai “who are you..?? aur tumhari shakal Manthan se kese milti hai..??”



Mayank “sirf shakal hi nahi milti, I am him, but not from this universe, let say I am from EARTH-2”


Ajit chaunkte hue ek dum se chillaya “tt..ttaa..cchhhh..yyyyyooooo…oonnn..nnnn..sssss”


Ajit ke muh se tachyons shabd sunkar sabhi uski aur ghur ke dekhne lage, Ajit “I knew it, mai hamesa se jaanta tha ki multiverse exist karta hai, aur sirf tachyons hi voh missing particles hai jo inter-dimensioanl travel karne me madad kar sakte hai”


Mayank apna sar haa mein hilate hue “yup, it’s true, tachyons hi voh chiz hai jiski madad se multiverse me travel kar sakte hai” fir voh shuru se lekar ab tak sab kuch bata deta hai


Ajit “yaani mera andaaza sahi tha, sabki maut umar ke badhne ki vajah se hi hui hai, par yeh maine kabhi nahi socha tha ki DEXTER khud TIME hoga, maine bahut si jung ke baare me suna hai..lekin yeh kabhi nahi socha tha ki ek jung esi bhi hogi jisme HUMAN v/s TIME amne samne honge”



Pathik “mayank, ab toh bata ki Dexter ko rokenge kese”



Mayank “dexter ko roka nahi jaa sakta”



Manthan “yaar kabhi kehta hai use roka jaa sakta hai, toh ab keh raha hai ki use roka nahi jaa sakta..?? mere toh kuch bhi samaj me nahi aa raha”



Mayank “mai janta hu, lekin time ko rokna hum humans ke bas ke bahar hai, lekin mere pass ek idea hai, jise hum uska path badal sakte hai..lekin ek problem hai”



Rajendra “kesi problem..??”



Mayank “Dexter ko rokna ka sirf ek hi tarika hai, By creating particle accelerator explosion”


Rajendra aur Ajit ek saath “what..??” voh dono hi jor se chillaye


To be continued..
 

Milan2010

Well-Known Member
4,809
3,582
159
Update : 33 (Getting Ready)



Rajendra aur Ajit ek saath “what..??” voh dono hi jor se chillaye



Ab aage..


Rajendra “tu pagal toh nahi ho gaya..?? I mean..tu janta bhi hai isse kya hoga..??”



Ajit “it’s very dangerous”



Ajit aur Rajendra ke chehre ko dekhte hue Pathik bola “y..yee..eehh…hh particle accum….” Voh bolte hue ruk gaya


Mayank “particle accelerator”


Pathik uski aur haath ka ishara karte hue “haa vahi, voh hai kya..?? aur aap sab itna kyu pareshan ho rahe ho..?? agar uss chiz se Dexter ko roka jaa sakta hai toh problem kya hai..??” Pathik ne apna vichar vyakt kiya


Rajendra “beta, voh koi chiz nahi hai, mayank uss chiz ko firse banana chahta hai..jiski badaulat voh yaaha aaya tha”


Pathik thoda asamaj me tha, voh sawaliya bhari najro se dekhte hue kehta hai “matlab..?? voh underground pipe aur tachyons..??”


Mayank haa mein apna sar hilata hai “haa..vahi”



Pathik “par kyu..?? agar firse vohi hua toh..??”


Mayank “relax..relax, aisa kuch bhi nahi hoga, just trust me on this one”


Rajendra “mayank..mai yeh risk nahi le sakta, aur yeh jante hue toh bilkul bhi nahi ki pichle baar iss experiment ki vajah se tere earth par kya hua tha, agar firse kahi choti si bhi gadbad ho gayi..uska anjaam shayad Dexter se bhi jyada bura ho sakta hai..??”


Mayank “iss baar aisa kuch nahi hoga, I have a plan



Ajit “agar hum particle accelerator explosion ke liye maan bhi jaaye, lekin use banane me toh saalo lag jayenge”


Mayank “ji nahi, muje sirf 2 mahine chahiye”


Ajit chaunkte hue use ghurta hai “how..??”


Mayank haste hue “kaha na mere pass ek plan hai”


Rajendra ko kuch samaj me nahi aaya tha, kyunki Mayank ki earth par iss chiz ko banne me 5 saal lage the, aur vohi chiz dubara banane ke liye mayank sirf 2 mahine ka waqt maang raha hai, voh asamajbhav se hi Mayank se puchta hai “manthan..tu exactly karna kya chahta hai..??”


Mayank kuch sochte hue “just a min, muje ek sawal ka jawab chahiye” aur voh kehta hai “Gideon”


Gideon ki awaaz sabko sunayi di “yes sir”


Mayank “kuch pata chala” aur voh khud se kehta hai “please say yes”


Gideon “yes sir, date is 21st June 2017”


Mayank “thanks Gideon, kya lagta hai mera plan kaam karega”


Gideon “definitely sir, but sirf ek problem hai, aap jante hai aapko kya karna hai”


Mayank gehri saanse lete hue kehta hai “I know Gideon, I know, thanks buddy” aur fir voh Rajendra ki aur dekhte hue “I am ready”


Rajendra ne mayank ke samne apna sawal rakha “21st June, kya hoga uss din..??”


Mayank “well, jaisa maine socha tha thik vaisa hi hai, iss earth par bhi 21st June ko saal ka sabse lamba din hota hai”


Rajendra aur Ajit dono ko hi Mayank ki baate samaj me nahi aa rahi thi, voh dono Mayank ki aur dekhte hai..aur mayank unhe samjate hue kehta hai “uss din earth ka northern hemisphere..yaani uttaree golaardh, voh surya ke karib hota hai, yaa fir yeh bhi keh sakte hai ki uss din time, yaani ke waqt ke baaki ke aam dino ke mukable dheere chalta hai”

Manthan “yeh kese ho sakta hai..?? I mean waqt dheere chalta hai matlab..?? agar yahi baat hai toh jis din saal ka shortest day hota hai..yaani 21st December ko..kya uss din waqt teji se chalega..??”

Mayank haste hue “nahi manthan, maine sirf yeh as an example kaha..hum ek type se longest day ko time ke saath iss concept se compare kar sakte hai”

Rajendra “yeh toh samaj me aagaya, lekin uss hi din hi kyu..??”

Mayank “yaad hai maine kaha tha ki Dexter apne har hamle ke baad voh uss jungle me jaate hai, because hi is unstable, voh baar baar jungle isiliye jaata hai taaki voh TIME FORCE me vapas jaa sake, aur yeh kyu ho raha hai iska reason muje pata hai”

Ajit utsukta se puchta hai “kya..??”

Mayank “Dexter khud TIME hai, aur TIME FORCE se alag hone ki vajah se voh unstable ho chuka hai”

Ajit chuankte hue “yaani ki voh Time Force me vapas jaana chahta hai, aur jo ki voh trans-dimensional energy uss jungle me maujud hai, aur isiliye voh baar baar uss jungle me jaata hai..brilliant”

Pathik “agar Dexter Time Force ka ek hissa hai, aur unstable hai toh Time Force ko kuch kyu nahi ho raha..?? I mean voh bhi toh unstable hokar break ho jaana chahiye”

Mayank “nahi pathik, aisa kuch nahi hoga” thoda rukkar “kese batao, haa, maan le ki Time Force ek nadi ki tarah hai..jo aage badhta hai, rukta hai aur mudta bhi hai, ab yeh soch ki agar kisi nadi mese ek balti paani ko nikal diya jaaye, toh uss balti me rahe paani se nadi ko kya farak padega..?? nadi toh vese hi behti rahegi jese pehle behti thi..lekin jo nadi ka paani balti me hai, use farak padega, voh ek jagah sthir ho jayega..yaani balti me, aur agar uss balti vaale paani ko vapas nadi me naa milaya gaya toh kuch waqt ke baad voh paani bigadna shuru ho jaayega”

Aage ki baat ko ajit ne samajte hue pura kiya “yaani thik iss nadi ki tarah, DEXTER ke nikalne par TIME FORCE ko koi farak nahi pada..lekin DEXTER unstable ho gaya”

Mayank ke iss example se sabhi ko samaj me aagaya tha, Rajendra ne firse apna sawal dohraya..jo voh shuru se puch raha tha “ab sabse jaruri sawal, Dexter ko rokna kese hai..??”

Mayank “maine kaha tha ki mai particle accelerator ka explosion create karunga, par mera matlab kuch iss tarah se tha, itna toh sab jaante hai ki space me waqt hamare earth ke mukable dheere chalta hai, yaani agar koi chiz earth ki surface se dur space me hai toh uske umar badhne ki rafter kam hogi, agar kisi chiz ki umar eaeth ke surface par 10 saal hai..toh space voh 10 saal se kam hi hogi”

Pathik “toh kya hume space me jaana hoga..??” usne apna sar khujate hue kaha

Siddhi “tu pagal toh nahi ho gaya, hum bhala space me kese jaa sakte hai..?? aur agar hum chale bhi gaye toh Dexter ko vaha kese le jayenge”

Mayank haste hue “hahaha, nahi pathik, koi space me nahi jaa raha, balki hum space ko yaha layange, I mean thik uske jesa atmosphere earth par banayenge..aur mai ek jagah janta hu aha yeh chiz possible hai”

Ajit “trans-dimensional energy”

Mayank “almost, agar vaha trans-dimensional energy maujud hai..toh usi jagah par Trans-Dimensional Gate hoga, bas muje uss gate ko kholna hai, aur Dexter ko uske andar bhejna hai”

Ajit “no way, mana ki tu Dexter ko chu sakta hai, lekin use jaan bujkaar andar pahuchana..asan nahi hoga”

Mayank “haa..isiliye muje aap dono ki madad chahiye” usne rajendra aur Ajit ki aur ishara kiya, aur unhe apne plan samjaya jise sunkar Ajit aur Rajendra dono ne mayank ko salute karte hai, kyunki mayank ne aisa plan banaya tha jo unn sab ke dimag se toh bahar tha..lekin Dexter ko rokne ke liye perfect tha

Pari jo abhi tak chup thi, voh puchti hai “Gideon ki voh baat..voh konse problem ki baat kar raha tha..??”

Mayank uski aur dekhte hue “relax pari, koi badi baat nahi hai, voh mai aur Ajit milkar solve kar denge..I promise”

Paridhi mayank ke pass jaakar uski aankho me dekhte hue kehti hai “pakka..?? tu juth toh nahi bol raha na..??”

Mayank smile karte hue haa mein apna sar hilata hai “haa..pakka, bas ek choti si problem hai, solve ho jayegi”

Manthan “mayank..voh toh thik hai, lekin inn 2 mahino tak Dexter pata nahi aur kitne logo ko, kitno sehero ko tabah karega”

Mayank “janta hu..but I am really sorry, filhal mere pass iss ke liye koi jawab nahi hai, par jaldi hi mai iska bhi koi na koi solution dhund lunga”

Rajendra “thik hai mayank, tuje jo bhi madad chahiye, sirf ek awaaz dena..and all the best”

Mayank thoda senti ho jata hai, kyunki pehli baar uske papa ne usko best wishes diye the, maana ki Rajendra uske asli papa nahi thi..par fir bhi voh apne aap ko rok nahi paaya aur jaakar Rajendra ke gale lag gaya..aur yeh itne saalo me pehla mauka tha jab Mayank ko apne papa ke pyaar ka eshas mila tha
Rajendra bhi yeh baat ache se janta tha, isliye usne bhi mayank ki pith par haath thapthapaya aur usse kaha “do your best..son”
#002060"> aur Mayank ne smile karte hue haa mein apna sar hilaya

After 2 Weeks
Uss baat ko karib 2 hafte beet chuke the..Mayank aur Ajit ne apni puri jaan laga di thi, voh dono hi din raat pagalo ki tarah kaam kar rahe the
Vese hi ek din dono jab saath me baithe hue the tab Ajit ne ek sawal kiya “mayank, uss din tune Paridhi se juth bola tha..voh kya problem hai, and please use taalna mat”

Mayank “haa, sahi kaha..maine Pari se juth bola tha, voh problem yeh hai ki…”

Jise sunne ke baad Ajit apni jagah se khada ho gaya, aur voh bola “tu janta bhi hai iska kya matlab hai..??”

Mayank “haa..ache se janta hu..par hamare pass sirf yahi ek option hai, and please iss baare mai kisi se koi baat nahi karna, waqt aane par mai unhe sab kuch bata dunga”

Tabhi Gideon uss kamre me project hua “sir, it’s done”

Ajit “what is it Gideon”

Mayank “Gideon khud se hi apne kuch algorithms par kaam kar raha tha, Dexter ke har attacks ke baad voh kaha jaata hai..konsi jagah se gujar ta hai, uske har ek attacks k bich me koi pattern hai ya nahi..uss sab ki study kar raha tha, aur jo algorithms bane hai..usse hum pata kar sakte hai ki Dexter apna agla hamla kaha aur kab karega, atleast agar hume location pata hai toh hum logo ko bacha sakte hai..atleast unn sab ko kisi safe jagah par le jaa sakte hai”

Jab yeh baat Ajit aur Mayank ne Rajendra ko batayi, toh use government se kehkar ek SPECIAL SQUAD banvayi, jo Gideon ki di hui location par jaakar logo ko kisi safe jagah pahuchane ka kaam karte the
Lekin jo sabse pehla hamla hua, uske liye SQUAD trained nahi hui thi..aur time ki kami ki vajah se ek pura sehar tabah ho gaya
Uss din pata chal gaya ki Gideon ke algorithms kaam kar rahe hai..Fir toh jese yeh silsala ban gaya tha, Gideon ki location se log bachne lage the, halaki nuksaan bahut ho raha tha..lekin masum logo ki jaane bach rahi thi

Par shayad inn logo ki kismet utni bhi achi nahi thi..Dexter ki taqat din bhar din badhti jaa rahi thi..SPECIAL SQUAD bhi ab fail hone lagi thi, firse logo ki maut ka silsala chalu ho chuka tha..aur isiliye ab logo ko bachane ke liye dusra rasta apna na tha
Iss problem ka solution nikalne ke liye Rajendra, Ajit aur Mayank ne milkar kaam kiya, aur uska bhi ek solution nikala..jo device Mayank ke haath me thi, usi device ko magnified karke Dexter ke path ko cross kiya jaata tha..halaki ab voh waqt bahut hi najdik tha

Time : 15 June 2017
Location : Hotel Landmark


Mayank pichle do mahine se kaam me laga hua tha, lekin ab uska kaam kaafi had tak khatam ho chuka tha, aur Paridhi ne use jidd karke sabke saath Dinner karne ke liye bulaya..aur mayank ko Pari ki zid ko maana pada
Raat ke dinner ke baad Paridhi aur Mayank dono hi tehelne ke liye ek park me aaye the, pichle 2 mahino me voh dono ek dusre ke kaafi karib aa chuke the, aur Pari hi thi jisne Mayank ka pura khayal rakha tha, Pari ki halat ab esi ho gayi thi ki use Mayank se dur rehna bilkul bhi acha nahi lagta tha

Voh dono bench par baithe hue the, aur Paridhi ne apna sar Mayank ke kandhe par rakha hua tha, aur usne pyaar se pucha “manthan, tu Siddhi se itni nafrat kyu karta hai”

Mayank uski aur dekhte hue “iss Earth ki siddhi kafi achi hai, lekin jo mere earth par hai usne muje bahut hurt kiya hai, voh toh meri sabse achi dost hua karti thi, par fir usne bina kuch bataye mujse friendship tod di, usne yeh bhi nahi bataya ki usne aisa kyu kiya, aur jab maine use puchne ki koshish ki tab usne mujse saaf keh diya ki ab mai usse baat nahi karu..voh sirf meri dost isliye bani thi taaki voh kisi ke saath baat kar sake..aur jab college khatam hui toh usne voh dosti bhi tod di”

Paridhi “thik hai chal ab gussa chod de, kya mai tujse ek sawal puch sakti ho”

Mayank “haa puchna, isme permission lene ki kya jarurat hai”

Paridhi “dekh meri baat ka bura nahi manna, par jab yeh sab khatam ho jayega tab kya..?? I mean jab Dexter yaha se chala jayega tab”

Mayank “dexter jab vapis time force me chala jayega, toh voh portal..jaha se mai aaya tha voh hamesa ke liye band ho jayega aur mai iss earth par hamesa ke liye trap hokar reh jaunga”


Yeh sunkar Pari man hi man bahut khush hui lekin usne Jahir nahi kiya, voh apne man me kehti hai “manthan, aaj mai tuje yeh batane aayi thi ki mai tuje pasand karne lagi hu, tere bina muje bilkul bhi acha nahi lagta..mai aaj apne pyaar ka izhaar karke tuje hamesa mere saath rahne ke liye kehne vaali thi, par ab nahi..mai intezaar karungi..uss din mai tuje sabke samne yeh baat keh dungi ki I LOVE YOU”
Khair inn dono ke bich kuch der baate hue aur Manthan vapis apne kaam par lag gaya, aur aakhir kar voh din aahi gaya jis din ka inn sab ko intezaar tha

Date : 21 June 2017
Location : Jungle Near Mumbai


Mayank “ajit, what is the status..??”

Ajit “it’s done”

To be continued…
 
Last edited:

King Aryan

Active Member
1,807
1,826
143
Waiting For Next Update
 

King Aryan

Active Member
1,807
1,826
143
Sorrrry Pard Kar Comment Do Ga Page kafi der se open tha isi liye pata nahi chala
 
  • Like
Reactions: king cobra

king cobra

Well-Known Member
5,259
9,858
189
nice story
 
Top