• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller Strange World (completed)

Opinion About The Story


  • Total voters
    33

Milan2010

Well-Known Member
4,809
3,582
159
This story is unbelievable... Itna high level of science fiction manana padega bro ...upar se your updates are not just great in quantity... But also in quality...hats off.....
:thanks: thank you so so much bhai :dost:
jaankar acha laga ki aapko yeh story pasand aayi :hug:
bhai, koshish karunga ki high level ko uss tarah se likh paau ki sab ko pasand aaye
 
  • Like
Reactions: Indian

Milan2010

Well-Known Member
4,809
3,582
159
Update : 28 (Worm Hole)


Manthan “well agar tu samaj hi gaya hai toh please hum sab ko samja..but please iss baar jara hindi me samjana”


Ab aage..



Manthan ke aisa bolne par sab use dekhne lage, jise Manthan thoda jhepte hue “kya..?? mai iske jitna padha likha nahi hu, aur naahi muje inn sab chizo ki utni samaj hai, par agar hume dexter ko rokna hai..toh hum sab ko milkar kaam karna hoga, aur yeh tabhi possible hai jab hum uske baare me sab kuch jaan sake..samaj sake”


Manthan ka saath dete hue siddhi ne kaha “haa, yeh toh tune sahi kaha, quantum physics ke baare me sirf uncle jaante hai, so manthan ke kehne ka matlab hai ki agar tu thoda detail me samjayega toh hamare liye asani hogi”


Mayank apne man me “jitna mai soch raha tha, Siddhi utni bhi buri nahi hai, I mean iss earth ki Siddi aur mere Earth vali siddhi me kaafi farak hai” fir Mayank haste hue kehta hai “it’s okay..mai samaj gaya, and I need to apologize, actually pichle kuch mahino se yaha par jo kuch bhi ho raha hai, uske baare me maine pehle kabhi nahi suna tha, mai khud sure nahi tha ki Dexter khud TIME hai, jis tarah se logo ki maut ho rahi hai..voh sab mere liye bhi bilkul naya tha, kyunki yaaha aane se pehle..naa toh kabhi maine iss tarah ke hadso ke baare me suna tha..aur naahi kabhi dekha tha” thoda rukkar “dexter ko rokne se pehle uske baare me janna bahut jaruri thi, halaki muje Dexter ka khud time hone par shaq jarur tha..but I am not sure, muje laga ki shayad jo mai soch raha hu voh galat bhi ho sakta hai..shayad yeh bhi ho sakta hai ki Dexter meri hi tarah INTER-DIMENSION travel karke iss earth par aaya hai, aur maybe..just may be voh bhi usi jungle se aaya hoga jaha se mai aaya tha, isiliye mai yaha..mumbai aaya, and I guess maine jo socha tha voh galat nahi tha, DEXTER is TIME and ab muje sab kuch samaj me aa chukka hai ki yeh aakhir kese hua”


NOTE : aage jyada confusion naa ho, isliye abse mai Earth-1 aur Earth-2 ke characters unke number vise likhunga

Earth-1 yaani jaha Manthan aur Siddhi couple hai, Manthan-1 aur Siddhi-1

Earth-2 yaani Manthan dimension travel karke yaha aaya hai, yaani Mayank urf Manthan-2, yaani manthan-2 likhu toh samaj lena ki mai mayank ki baat kar raha hu


Rajendra “manthan-2, ek baat mere samaj me nahi aayi”



Mayank unhe sawaliya bhari najro se dekhta hai, Rajendra
“dexter ki vajah se jitney bhi log mare hai, unn sab ki death ka reason toh muje samaj me aagaya, par uss ladki ki maut..uski maut me kuch ajib tha, mera matlab ki…”


Rajendra ki baat ko Mayank puri karte hue bola “yahi ki uske sharir ke ek hisse par Dexter chune ka koi asar nahi hua tha” rajendra apna sar haa me hilata hai, Mayank “hmm..time ko samajna muskil hi nahi..namumkin hai, time ke ese bahut se anginat raaz hai, jisko hum kabhi nahi samaj sakte, atleast hum insaan toh kabhi bhi nahi”


Fir kuch der sablog chup rahe, Paridhi ne pucha “tu yaaha par tachyons ki vajah se haina..??”


Kruti “pichle kuch dino me hume voh jaan ne mila hai, jo shayad hume impossible sa lagta tha, hum log yahi maan rahe the ki time travel, multiverse..yeh sab sirf theories me hota hai, lekin yeh sab kisi sapne se kam nahi hai”


Kruti ki aur dekhte hue mayank bola “hum akshar sapne ka majak banate hai, kyunki kahi baar hume ese chize dikhayi deti hai jispar belive karna impossible hota hai, lekin iska matlab yeh nahi ki unn sapno ka koyi matlab nahi hota, hum akshar sapne me jo dekhte hai..voh sirf sapne nahi hote, kisi ki zindagi hoti hai, bas farak itna hota hai ki hum uss zindagi ko jee nahi paate..kyunki humhare dopplegangers..yani hamare counter-part, kisi alag space-time me voh life jee rahe hote hai, aur uss life ki kuch tasweer hume sapne ke jariye dikhayi deti hai”


Pathik “agar yeh sach hai toh hamare kitne counter-part ho sakte hai..??”


Mayank “well..yeh toh mai nahi janta, anginat bhi ho sakte hai..ya fir sirf do, no one can tell about that, because multiverse me yeh bhi possible hai ki space aur time me hamari earth kabhi exist hui hi naa ho, ya fir pehle hi destroy ho chuki ho..ya fir uss earth par abhi bhi cretaceous period chal raha ho..mera matlab dinosaurs ka waqt”


Kruti “ek sawal hai..tune yeh kaha tha ki teri earth aur yeh earth dono alag-alag frequency se vibrate karti hai, toh kya yeh possible hai ki unn dono earth ki frequency kabhi ek ho jaaye..??”


Mayank “haa..yeh possible hai”



Kruti “uss waqt kya hoga..??”


Mayank “simple, blach hole, and I am sure ke black hole ke baare me aap sab jaante hi honge, aur yeh ek strong possibility hai ki dono earth ki frequency kabhi na kabhi ek particular time par same ho jaati hai, aur jab aisa hota hai toh uss hi waqt par voh dono hi earth collapse hokar extinct ho jayegi..matlab universe se mit jayegi”


Yeh sunkar sab log chaunk jaate hai, Manthan “aur hume yeh pata kese chalega ki yeh kab hua hai..ya kab hone vala hai”


Mayank “it can take millions of years ya fir usse bhi jyada, no one can find about that”



Paridhi “par black hole toh”



Mayank “nahi Pari, voh black hole bahut hi chota hoga..usse kuch nahi ho sakta”


Siddhi “ab sabse bada question, tu yaaha par kese aaya..?? maine padha tha ki multiverse me travel karne ki sirf ek hi possibility hai, black hole ke through, aur abhi tune kaha ki black-hole tabhi create ho sakta hai jab multiverse ke do planets collide ho, iska matlab toh yeh hua ki teri Earth..” voh bolte hue ruk gayi



Mayank “yeah, tuje kaafi kuch pata hai, par black-hole aur bhi kahi reasons se create ho sakte hai, even jab same universe ke do planets ek dusre se takrayenge..tab ek bahut hi bada dhamaka hoga, uss dhamake se jo energy nilkegi..voh kahi light years tak dikhayi de sakti hai..aur uss energy ki vajah se ek bahut hi chota par temporary black hole create hoga”


Pathik “par black hole toh sab kuch apne andar khich leta hai, voh toh ek infinite tunnel hai, aur uski energy toh hume vaporize kar degi”


Mayank “worm hole ke baare me suna hai..??”


Iss baar koi kuch nahi bola, sirf haa mei apna sar hilaya, Mayank “worm hole voh chiz hai jo space-time ko ek dusre se connect karti hai, worm hole long-distance travel karne ke liye kaam ki jaa sakti hai, and long-distance means hundreds of light years in seconds, aur dimension-travel bhi worm hole ki vajah se possible ho sakta hai”



Sab ek saath “how..??”



Mayank “worm hole ek tunnel hai, jiske do end-points hai, aur dono end-points are just like a gate, ab yeh maan lo ki worm-hole ka ek gate black hole hai, yaani entry gate..toh worm hole ka dusra gate hua exit-gate, jise white hole bhi kehte hai”



Rajendra “aur ywh worm-hole kese bana..??”


Mayank “answer aapko pata hai” voh rajendra ki aur dekh raha tha


Rajendra kuch sochte hue bola “tachyons..??” jese sawal kar raha ho


Mayank “yeah, agar koi bhi chiz light ki raftar se jyada tez chalti hai, toh voh chiz space and time barrier ko cross kar sakti hai”


Pathik “yeh baat se toh mai agree karta hu, par tu tachyons nahi hai, you are just a human, ham sab ki tarah”


Mayank “haa..mai insaan hu, but I am damn sure ki jab CDC lab me tachyons ka dhamaka hua, tab tachyon particles mere body ke saath fuse ho gaye the”


Sab ek saath “kese..??”


Mayank kuch yaad karte hue “jab hum tachyons par experiment kar rahe the, tab uss hollow pipeline me tachyon ka ek particle inject kiya tha, aur tachyon ki speed ko humne light ki speed par stable kiya, and according to simple science, agar kisi bhi chiz ki raftar ko kam karte hai, toh uske andar se ek energy release hoti hai..jise hum heat kehte hai” fir thoda rukkar “bilkul vaise hi jab hum car ki speed ko break lagakar slow down karte waqt, tab tyre se heat nikalti hai, aur uss tyre ko thanda karne ke liye air yaani haawa as a coolant ka kaam karti hai, but agar iski jagah hum kisi badi machine par koi kaam karte hai toh usme water ya fir kisi aur liquid ko as a coolant ke tarah use kiya jaata hai”


Manthan uski baat ko bich me kaat te hue “yeh sab toh hume bhi pata hai, par inn sab ka tachyons ke saath kya lena dena..??”


Mayank uski aur dekhte hue “bilkul thik vaise hi, tachyons ko slow karne par bahut hi jyada heat release hoti hai, uss heat ko counter karne ke liye humne cooling systems ko design kiya tha, experiment ke waqt bahar teji se baarish ho rahi thi aur saath me bijli kadak rahi thi, aur tachyons ki raftar ne bijli ko zameen tak khich liya, bijli ke girne ki vajah se system ki primary cooling system destroy ho gayi, cooling system ke band hone ki vajah se pipeline me heat itni jyada badh gayi ki vaha ek bahut hi bada dhamaka hua, aur dhamake ne uss single particle ko bhi destroy kar diya, lekin voh particle pehle se unstable tha aur destroy hone par usme ek unknown energy release hue jisne baaki rahe tachyons ko bhi unstable kar diya” saans lete hue “aur jab mai Pari ki aur bhaag raha tha” voh kehte hue chup ho gaya, aur usne apni aankhe band kar di


Jese hi mayank ne apni aankhe bandh ki, usne Pari ko vese hi uss aag ke ghere me dekha, Pari ne uski aur madad ke liye haath badhaya hua, yeh sab dekhkar uski aankho se paani aagaya, aur usko saaf karte hue “jab mai pari ko bachane ke liye uske pass gaya, thik usi waqt jo tachyons unstable hue the, voh underground se mere aur aaye, aur bahar bijli lagatar kadak rahi thi, and according to newtons third law, agar kisi bhi do chiz ko same speed aur same energy se ek dusre se takrayenge..toh dhamaka hoga, aur jitni jyada energy..utna bada dhamaka, tachyons ki speed ko counteract sirf vaha maujud radio waves kar sakti thi, kyunki uss waqt mere pocket me cell phone tha, cell phone radio waves aur uski specific frequency se operate hota hai, and radio wave continuously satellite ke contact me rehti hai, yaani mobile aur satellite ke bich connection banaye rakhti hai”


Mayank saans lekar “basically radio waves electromagnetic waves hai, jo light ki speed se travel karti hai, but uske andar tachyons ke jitni energy nahi hoti, so lightning bolt yaani bijli ne as a booster ka kaam kiya, just like a nitrous in car, so radio waves ki speed aur lightning bolt ki energy ka combination tachyons ko counter kar sakta hai”



Pathik “yaani unn dono ke takrane se dhamaka hua aur uss dhamaka se vaha worm hole open ho gaya..??”



Mayank “haa, thik yahi hua”



Manthan “par tune toh kaha ki tachyons teri body ke saath fuse hua tha”


Mayank “actually jis point par dhamaka hua, voh point khud mai tha, worm hole ka entry gate black hole tha aur black hole sab kuch apne andar khich leta hai, toh mere saath tachyons particles bhi black hole me khiche chale gaye, aur black hole me tachyons meri body se fuse ho gaye and as simple black hole sari chizo ko apne andar khichta hai, thik vaise hi white hole apne andar ki chize bahar nikal fainkta hai”


Manthan ajib si shakal banata hai aur apne baal ko khujate hue “inn sab ko samajna mere dimag ke bahar hai”


Mayank haste hue “hahaha, bas itna samaj le ki worm hole ek straw hai, jiska ek hisse par entry hai aur dusre par exit”



Siddhi manthan ko samjate hue “yaani Earth-2 par black hole create hue, jiske andar mayank khicha chala gaya aur Earth-1 par white hole hai, jaha se Mayank hamari earth par aaya”


Paridhi kuch der baad kehti hai “dexter ko rokenge kaise..??”



Mayank “dexter ko hum nai rok sakte”


To be continued..

END OF PHASE-III
 
Last edited:

Milan2010

Well-Known Member
4,809
3,582
159
Update : 29 (Feelings)


Paridhi kuch der baad kehti hai “dexter ko rokenge kaise..??”



Ab aage…


Mayank ne jese ek bomb fodte hue kaha “dexter ko roka nahi jaa sakta, we can’t stop him"


Mayank ki baat sunkar sab log chaunk gaye the, Manthan "common yaar, dekh mere pass tere jitni knowledge toh nahi hai, par itna toh mai yakin ke saath keh sakta hu ke pichle kuch dino mei maine jo kuch bhi dekha..jo kuch bhi jaana hai, uske baad tu haar nahi maan sakta..iss universe me agar multiverse exist kar sakta hai, koi chiz light se bhi jyada tezz ho sakti hai, toh fir dexter ko rokne ka bhi koi na koi rasta jarur hoga, aur tu inn sab ke baare me jitna janta hai..utna iss pure world me shayad hi koi janta hoga..so please, don’t give hope”



Pathik "haa..mere bhai, aur tune hi kaha thana ki multiverse ke hone par tuje bhi bharosa nahi tha, iss earth par aane ke baad tune sabse pehle timet-travel ke baare me socha, agar koi unbelievable chiz exist kar sakti hai, tu agar dimension cross karke dusre earth par aa sakta hai, toh fir tu dexter ko lekar haar nahi maan sakta, and this earth need you Manthan, aur haa..hamare pass ek benefit bhi hai, sirf tu hi voh eklauta insaan hai jo dexter ke chune se bacha ho..agar hum iss baare me aur jyada pata kar paaye toh we can save people, aur kya pata isi ke through hume dexter ko rokne ka rasta bhi mil jaaye”



Siddhi “haa..manthan, yeh dono sahi keh rahe hai, aur ek pal ke liye bhi yeh mat soch ki tu iss earth par yaa iss mission me akela hai..hum sab tere saath hai and voh AI Computer..gideon bhi toh tere saath hai"


Mayank "guys..dexter is much more than me or Gideon or anything else in the entire universe, mai ek mamuli sa insaan hu jo ek mamuli se planet par rahta hai, maana ki maine kabhi bhi multiverse ko sach nahi maana, lekin mai ek experiment ki galti ki vajah se iss earth par fasa hua hu, Gideon ek super computer hai..lekin uske powers ki bhi ek limit hai, but dexter..Dexter ke powers ki koi limit nahi hai” voh saans lete hue “time-travel, dimension travel, multiverse..yeh sab Dexter ke aage bahut hi choti chize hai, aur ek pal ke liye bhi yeh naa bhulna ki hamari ladayi kisi aam jeev se nahi..balki uss chiz se hai jo kabhi bhi kisi ke liye nahi rukti, bade se bada jeev uski taqat ke aage bebas ho jaata hai, hamari ladayi khud TIME ke saath hai”


Kruti "toh kya hum ese hi apni earth ke khatam hone ka intezaar kare, aur yeh soche ki kab dexter hume bhi hamesa ke liye sula de..??"


Kruti ne behad hi ukhde hue swar me kaha jise sunkar mayank uski aur dekhne laga, Siddhi ne kruti ke sawalo ka jawab dete hue kaha “nahi manthan-2, mai itni jaldi marna nahi chahti, i want to leave"



Mayank "marna kisi ko bhi pasand nahi hota, but yeh kudrat ka khel hai aur shayad yeh kudrat ke saath khilwaad karne ka hi natiza hai, and i am really sorry, iss earth par jo kuch bhi ho raha hai..yeh sab hamari ki gayi hui galtiyo ka asar hai, kaash ke humne uss experiment ko kabhi shuru hi naa kiya hota toh aaj aap sab ki yeh haalat nahi hoti”



Rajendra "son, sabse pehle toh khud ko criticise karna chod de, mana ki dexter tere earth ki galtiyo ki vajah se aaya hai, par yeh pura sach nahi hai, hum logo ne kabhi bhi kudrat ki kadar nahi ki, sirf aur sirf nuksan pahuchaya hai, aur kahi na kahi galti hamare earth ki bhi hai, aaj hamare planet par crime, pollution itni had tak badh gaya hai ki earth ka ant dheere dheere najdik aa raha hai, aur yeh rates agar isi tarah badhte rahe toh hamari earth bahut jaldi khatam ho jaayegi..but agar tu really me hamari madad karna chahta hai, toh tuje khud ko dosh dena band karna hoga..aur yeh sochna chalu kar ki Dexter ko roka kese jaaye”



Kruti “yes manthan, jo ho chukka hai hum badal nahi sakte, but aage jo hone vala hai use rokne ki koshish jarur kar sakte hai”


Paridhi jo abtak chup thi, voh kehti hai “manthan, ham sab jante hai ki hamari ladayi waqt ke saath hai, aur waqt ko rokna impossible hai, par kya sirf issi baat ke dar se hum ummid toh nahi chod sakte na..?? kya waqt ka darr apno ki judayi ke darr se jyada hai..?? agar hum aise hi Dexter se darte rahe toh hum apne aap ko bhi nahi bacha payenge, aur mai bina lade haar nahi manna chahti”


Mayank "mai aap sab ki baat ko samaj raha hu, aur yakin maaniye, mai khud aap sab ki madad karna chahta hu, but I really don't know how to stop him, meri har knowledge iss waqt Dexter ke samne bekar lag rahi hai, koyi bhi theories kaam nahi aa rahi”


Kuch der vaha par chuppi chaayi rahi, rajendra "kabhi kabhi hume theories ko chodkar kuch aur baato par dhyan dena padta hai, hume apne sawalo ke jawab kahi aur se bhi mil sakte hai, jese ki maine kabhi nahi socha tha ki Dexter ke baare me muje iss tarah se pata chalega, aur tu khud bhi yeh baat janta hai..multiverse sirf theories me exist nahi karta” thoda rukkar “well, i need to go, muje crime branch jaake reports taiyaar karni hai, I am sorry"


Rajendra ke jaane ke baad bhi koi kuch nahi bola, karib 15 min ke baad pathik kuch sochte hue mayank se ek sawal karta hai "manthan-2, mere dimag me ek baat kabse ghum rahi hai, tune abhi abhi kuch der pehle Dexter ko lekar kuch kaha tha”


Mayank uski aur sawaliya bhari najro se dekhta hai, pathik "tune kaha tha ki jab dexter ne tuje chua tha uss waqt tuje tera past, present aur future ek hi waqt par dikhayi diya tha"


Mayank haa mein apna sir hilate hue "haa muje yaad hai, par tu kehna kya chahta hai"



Pathik "mai bas yeh janna chahta hu ki uss waqt tune kya dekha tha..??"



Mayank ne sab kuch bata diya tha, lekin Dexter ke chune par usne kya dekha voh kisi ko nahi bataya aur naa hi voh yeh kisi ko batana chahta tha

Pathik ke sawal se sabhi log mayank ki aur dekhne lage..unn sab ki najar mayank ke chehre par tiki hui thi, iss aas me ki mayank ab kuch bolega


Lekin aisa nahi hua, mayank kuch nahi bola, voh apne najre jukate hue khada hua aur room ki gallery me aagaya, kisi ko kuch bhi samaj me nahi aaya ki mayank ne aisa kyu kiya..par haa uski aankho se nikalne vaale aansu sabne dekh liye the


Siddhi "ise kya hua..?? Iss ladke ko jitna samajne ki koshish karte hai utna hi usme ulajte jaa rahe hai"


Sabne siddhi ki baat me haami bhari, kruti "mayank ne hume sab kuch bataya, lekin usne yeh nahi bataya ki usne kya dekh tha"



Siddhi "aisa toh kya ho sakta hai jo voh humse chupana chahta hai"


Lekin siddhi ke iss sawal ka jawab kisike pass nahi tha, sivay paridhi ke, paridhi "i think i know, voh hume kyu nahi batana chah raha"



Sab ek sath "kya..??"



Paridhi "but I am not sure, shayad mai galat bhi ho sakti hu, I think usne jo dekha tha voh shayad bahut hi bura tha, ab tak mayank ne jin jin logo ko khoya hai..shayad unhi mese kisi ki death ko dekha hoga"


Manthan "pari, maybe you are right, jese hi tune" pathik ki aur ishara kiya "yeh sawal kiya, uski aankho me dard aur aansu dono hi ek saath aagaye the"


Kruti "mayank hume naa batakar khud ko hi hurt kar raha hai"


Siddhi "but voh share kare bhi toh kisse..??"



Kruti "wo hamare saath share kar sakta hai, we are his friends"



Paridhi "nahi kruti, khud ko uski jagah rakhkar dekh, uske parents ki death uske bachpan me uske hi aankho ke samne hui thi, voh jisse pyaar karta tha uski maut usse kuch fanslo ki duri par hui thi..Mayank ne apne pyaar ko bachani ki koshish puri ki..par hua kya, voh yaaha..hamare earth par aakar fans gaya, aur sirf itna hi nahi..jab voh vapas apne gahr Delhi aaya…tab usne sab kuch badla hua dekha, aur fir unn logo ko dekha jisko dekhne ki usne kabhi sapne me bhi ummid nahi ki hogi…yaani uske Mom Dad, yaani Rajendra Uncle aur Madhvi Aunty, lekin shayad uske liye yeh kaafi nahi tha, Mayank ne muje haste hue dekha, aur meri shakal uski Pari se milti hai, ab baata kya tuje lagta hai ki voh yeh sab baate kisse share kare..?? unse jo uske mummy papa ke jese dikhte hai..ya usse jo uske pyaar ki humshakal hai..yaa fir usse jisse voh sabse jyada nafrat karta hai, I mean teri humshakal se” usne siddhi ki aur ishara karte hue kaha “humne kabhi yeh nahi socha ki hum sab ko iss tarah dekhkar uspar kya beet rahi hogi..??"


Paridhi ki baat sunkar koi kuch nahi bola, kuch der ke liye uss room me ekdum sannata cha gaya, sabhi bahar gallery me khade mayank ki aur dekhne lage jo gallery me khade khade bahar ka najara dekh raha tha, ya fir nahi dekh raha tha


Manthan "I think muje usse baat karni chahiye" aur voh uthkar jaane laga ki tabhi use siddhi ne toka "nahi manthan, muje lagta hai ki Mayank se Paridhi ko baat karni chahiye, kyunki iss waqt Mayank se sabse jyada close Paridhi se hai” aur voh pari ki aur dekhte hue “voh apni har baat tujse share karta hai”


Paridhi ajib si najro se dekhte hue sawal kiya "mai..??"


Siddhi "haa pari, maana ki tu uski girlfriend ki hamshakal hai, but he still believes in you, voh tere saath khul kar baat kar sakta hai"



Pathik "and yaa pari, jabse voh hum sab se mila hai, uska dhyan jyadatar tere par rehta hai, aur maine dekha hai ki jab voh tujse baat karta hai tab kuch der ke liye hi sahi..par voh tere sath baat karte waqt sab kuch bhul jaata hai, use tere saath rehna acha lagta hai"


Yeh sunkar pari sab ki aur dekhne lagi, par uske man me ek saath bahut saare sawaal ghum rahe the, voh apne man me sochti hai "kya sach me manthan ko mere saath rehna pasand hai..?? Sach kahu toh muje khud uske saath rehna acha lagta hai, pata nahi kyu par..bas acha lagta hai, man ko ek ajib sa sukun milta hai, aur dil..dil toh karta hai ki mai hamesa uske saath hi rahu..aur mera bas chale toh usko kabhi sad naa hone du..?? Par yeh sab mere sath kyu ho raha hai, mai toh usko thik se janti bhi nahi, usko mile hue abhi ek hafta hua hai, aur Manthan ke liye jo feelings mere dil me hai voh kahi attraction ki vajah se toh nahi hai..?? Lekin jab manthan ne muje kiss ki, kyu mai usko mana nahi kar paayi, kyu khud ko uski baanho me pighalta hua mehsus karti hu..?? kyu baar-baar yeh man karta hai ki mai usi ke baanho me rahu, Yeh..yeh sab kya ho raha hai mere saath..?? mere toh kuch bhi samaj me nahi aa raha"


Tabhi kruti ne pari ke aankho ke samne chutki bajayi "darling kaha kho gayi..??"


Paridhi jese neend se jagte hue "aahhhh, kk..kkku..uuccc….hh nahi, shayad tum sab thik keh rahe ho, I should go and talk to him"


Siddhi kuch sochte hue "paridhi..tum dono ko walk par kyu nahi jaate, shayad voh baahar jaakar khud ko fresh mehsus kare aur kya pata voh tujse apni baate bhi share kar paaye..?? aur vese bhi ab kuch hi ghanto me raat ho jayegi"


Paridhi usko sawaliya bhari najro se dekhti hai, siddhi "i mean dekh jab voh tere saath akela hoga toh jyada se jyada khul kar baat kar payega, and kehte haina, ki jab man halka ho jaaye tab hamara dimag sahi se kaam karta hai"


Paridhi bas apni pyaari si smile deti hai aur voh manthan-2 ke pass jaane lagi, tabhi siddhi ne use rokte hue kaha "and yeah, hum sab log direct infinity mall me milenge, raat ka dinner bhi vahi se karenge"



Pari haa mein apna sar hilati hai aur gallery me chali gayi, uske jaate hi manthan bola "tu karna kya chah rahi hai..?? Iss tarah se pari aur manthan dono ek dusre se close ho jayenge..??"


Kruti "haa siddhi, tu toh jaanti hai ki paridhi ke dil me bhi mayank ke liye kuch feelings hai"


Siddhi "haan, I know, aur usme problem kya hai..?? Mayank ko apna khoya pyaar vaapis mil jaayega, aur yeh tum log bhi janti ho ki Mayank ke aane ke baad Paridhi kitni khush rehne lagi hai"


Pathik "haa siddhi, hum jante hai, lekin yahi toh problem hai, jab mayank apne earth vapas chala jayega tab Paridhi ka kya hoga tune socha hai..?? muskil se usne hasna sikha hai, agar iss baar uske saath aisa kuch hua, voh toh bichari tut hi jayegi"



Siddhi "mai janti hu..pathik, par paridhi jo sapne akshar mayank ke life ke dekha karti thi, har raat maine uske chehre ko dekha hai, usko utna khus maine kabhi nahi dekha, and yakeen maan agar unn dono ke dil me sach me ek dusre ke liye feelings hai, toh paridhi mayank ko kabhi vapas nahi jaane degi"


Bahar gallery me railing ki tek liye hue mayank bahar ka najara dekh raha tha, paridhi uske pass aakar uske kandhe par haath rakhti hai

Paridhi ke aisa karne par mayank ne bina uski aur dekhe hue kaha "kitna khubsurat najara haina pari, par dexter yeh sab tabaah kar dega” pata nahi kese par mayank ko ehsas ho gaya tha ki uske pass aane vala shaks aur koi nahi paridhi hai


Paridhi "tuje kese pata ki mai hi hu..??" Voh sawaliya bhari najro se mayank ko dekh rahi thi, Mayank ne vese hi juke hue apna chehra paridhi ki aur kiya aur bina kuch kahe uski aankho me dekhne laga


Siddhi unn dono ki aur ishara karte hue "see, kaha tha na maine, so let's go now"


Manthan rone jesi shakal banate hue "kya tuje sach me mall jaana hai..?? tuje iss waqt shopping karni hai..??"



Siddhi "haa and please ab der mat kar, jab tak mayank kuch bataega nahi..hum kuch nahi kar sakte, aur mai yaha aakar yeh mauka bilkul bhi miss nahi karna chahti, and mera manna hai ki jab tak hamare pass waqt hai..hume life ko puri tarah se enjoy karna chahiye"


Uske baad voh sab vaha se chale gaye, vahi mayank kuch der baad bola "pata nahi, par mere dil ne kaha ki tu hi hai"



Mayank fir sidha khada hua aur mudkar hall ki aur dekha par vaha koi nahi tha "yeh sab kaha gaye..??"



Paridhi "infinity mall..Siddhi yeh mauka miss nahi karna chahti"



Mayank "shopping toh tuje bhi pasand hai, fir tu kyu nahi gayi..??"



Paridhi ne ek dum masum sa chehra banate hue kaha "tu bhi na..ek dum pagal hai, unn dono love birds ke bich mai kya karti, aur muje bore hone ka koi shokh nahi hai"


Mayank haste hue "kruti aur pathik bhi toh the saath me"


Paridhi "nahi, Kruti ka bf yahi rahta hai..toh voh pakka usse milne jaayegi, aur Pathik ke saath rehkar mai uski boring padhayi vaali baate nahi sunna chahti, so please leave it, par tu muje bhagana kyu chahta hai, kya mai itni buri hu..??"


Mayank ko iss baat ki bilkul bhi ummid nahi thi, voh jhep jaata hai aur haklate hue "nn..naahi nahi, mm.mme..rrr.a.aaa voh matlab nahi tha, i am sorry"



Paridhi haste hue “paglu kahi ka” aur voh pyaar se Mayank ke baalo ko khujati hai aur “mai change karke aati hu” aur bathroom me ghus gayi


Mayank haste hue apne man me kehta hai “yeh ladki bhi na, hamesa aisa hi karti hai” aur use firse ek baar apni pari ki baate yaad aagayi, voh manthan ko pyaar se paglu bulaya karti thi


To be continued..
 

Milan2010

Well-Known Member
4,809
3,582
159
Update : 30 (Tere Liye)


“are sun toh sahi, kaha bhaag rahi hai” pari ke piche bhagte hue manthan bola


Paridhi apna muh banakar manthan ko chidate hue bhaag rahi thi “hehehe, pakdo pakdo..heheheh”


Manthan “are yaar please ruk jaa na, kyun itna tang kar rahi hai” kehte hue manthan paridhi ke samne aa gaya


Sofe ki aad liye hue Paridhi manthan ko chida rahi thi, “hehehe, tu manta hai na ki tu muje nahi pakad sakta”


Manthan “acha bachu, muje challenge”


Paridhi “hmm, haa, yahi samaj lo” kehte hue usne aankkh maar di


Manthan “agar maine challenge puri kar li toh muje kya milega..??”



Paridhi sochne ka natak karte hue “pata nahi..aur naahi mai tuje kuch dene vaali hu” aur fir usne apna angutha dikhaya aur sofe ki aad me hi bhagti rahi


Manthan aur paridhi dono hi sofe ke aaspass bhaag rahe the, kabhi dayi taraf jaate toh kabhi baayi taraf, lekin manthan use pakad nahi paa raha tha, iss pakdam pakdayi me dono ki hi saanse foolne lagi thi, lekin dono mese koi bhi haar manne ko taiyaar nahi tha

manthan ki halat dekhkar Paridhi ko aur bhi jyada maza aa raha tha, usne manthan ko chidane ke liye apni jaban bahar nikali aur anguthe se naa ka ishara kiya aur fir voh khilkhilakar hasne lagi

Paridhi ki yeh harkat dekhte hi Manthan ne turant sofe par pair rakha aur paridhi ki aur chalang lagayi..lekin jaldbaazi me Manthan ka pair sofe me hi atak gaya, aur voh kuch samaj paata uske pehle hi voh apne muh ke bal gir pada


Paridhi bhagte hue ruk gayi aur manthan ke uthne ki raah dekhne lagi, lekin kuch der baad bhi jab manthan ne koi harkat nahi ki, toh Paridhi ke chehre se muskaan hi gayab ho gayi aur voh chalte hue Manthan ke pass aayi, aur apne ghunto ke bal baithkar manthan ko uthane ki koshish karne lagi

Lekin manthan vaise hi laita raha, manthan ki aur se koi pratikriya naa dekhkar Paridhi ke dil ki dhadkan badh gayi, usne Manthan ko siddha kiya aur uske sar ko apni godi me rakha, aur pyaar se uske baalo ko sehlate hue boli “manthan, dekh yeh tera natak haina toh please band karde, muje aisa majak bilkul bhi nahi pasand” yeh kehte hue voh thodi raunsi ho gayi thi


Ab manthan bhi pari se bahut pyaar karta tha, usse Pari ki ye halat nahi dekhi nahi jaa rahi thi, Paridhi ne pass me rakha vaas se paani lekar manthan ke chehre par chidka, lekin manthan fir bhi jaise tha vaise hi laita raha toh Pari ne vese hi ruanse swar me bola “manthu, please uth jaa, I am sorry, dekh mai aage se aisa majak kabhi nahi karungi, I promise”


Manthan ne dheere se apni aankho ko halke se khola aur usne dekha ki Pari ki aankhe nam ho gayi hai, usne turant hi pari ko kaske apni baaho me le liya aur vese hi use gudgudi karte hue hasne laga “hihihi, dekh pakad liya, ab kaha jaayegi”


Pari ko turant samaj me aagaya ki manthan behos hone ka natak kar raha tha, isliye voh uhkde hue swar me boli “stop it manthan, tuje majak suj raha hai, yaaha meri halat kharab ho gayi thi..aur tu hai ki…huh”


Manthan khada hua aur pari ke samne baith gaya aur pari ke chehre par haath rakhte hue uski aankho se aansuo ko hataya aur fir bola “sorry jaan, ab maaaf bhi kar de, mai majak bhi nahi kar sakta..??”


Lekin paridhi ne apna muh ghuma liya, Manthan ne apne haatho ko pari ke kaano par rakha aur bola “acha baba, sorry, dekh ab toh maine kaan bhi pakad liye, ab toh maaf karde”


Manthan ki yeh harkat dekhkar Paridhi khud ko rok nahi paayi, aur haste hue voh manthan ke gale lag gayi “paglu kahi ka…huh, muje pareshan karne me tuje bahut maja aata haina..??”


Manthan “haanji, tuje pareshan karne ka toh muje haq hai..aur agar mai aaj yeh nahi karta toh mai teri godi me sar rakhkar kese lait ta hmmm..??”



Paridhi “huh..ek dum paglu hai tu”


Manthan ajib sa muh banate hue “are yaar, yeh paglu mat bola kar, muje nahi pasand”



Paridhi “mai toh tuje abse yahi bolungi…paglu, paglu, paglu”



“kaha kho gaya, chale yaa yahi rehne ka irada hai..??” awaaz sunte hi mayank ko jese hosh aaya aura jib si shakal banate hue voh paridhi ki aur dekhne laga

Mayank ki shakal iss waqt esi ho gayi thi ki paridhi khud ko hasne se rok nahi paayi, aur pari ko hasta dekh mayank usse puchta hai “kya hua..?? itna kyu has rahi hai..??” lekin paridhi ne kuch nahi kaha aur voh firse hasne lagi


Apne samne khadi Pari ke haste hue chehre me mayank kho sa gaya tha, ekdum pyaara sa chehra aur chehra par naa koi make-up, uski voh choti-choti lekin behad hi pyaari aankhe, aur aankho me ekdum halka sa kajal, pari iss waqt bahut hi jyada cute lag rahi thi


Kuch der baad paridhi kehti hai "kya hua..?? Ese kya dekh raha hai..??"



Mayank "teri smile, tu janti toh hai ki muje hamesa teri yeh smile dekhna pasand hai"


Paridhi apni aankhe thodi badi karte hue "kya..??"


Mayank "ii..ii meaann ki tu hasti hui jyada achi lagti hai, i am sorry mera tuje hurt karne ka koi irada nahi tha"


Paridhi apni finger mayank ke lips par rakhti hai "ssshhhhhh….chup, tune kuch bhi galat nahi kaha"


Mayank aur paridhi ki aankhe firse ek aur baar mil gayi..voh dono bina apni palke japkaye ek dusre ki aankho me dekhe jaa rahe the


Kuch der baad Mayank ne pucha “toh kya plan hai..??”



Paridhi “agar tuje koi problem naa ho toh National Park chale..??”



Mayank “haa..sure” aur voh dono hotel se nikal kar national park aagaye, lekin pure raste dono mese koi kuch bhi nahi bola


National Park pahuchkar Mayank vaaha ke nazare dekh raha tha, lekin usne abhi tak Paridhi se koi baat nahi ki thi..aur vahi Paridhi Mayank ke kuch bolne ka intezaar kar rahi thi

Dono chalte hue ek fountain ke pass aagaye, paani ki choti choti boonde beh rahi hawa ke saath milkar ek bheeni si khusboo faila rahi thi, aur jab paani ki chinte chehre par padte toh ek alag hi maza de rahe the


Paridhi ko yeh bahut hi pasand tha, voh apni aankhe band kiye hue unn boondo ke eshas ko mehsus kar rahi thi, aur vahi Mayank ki najar firse ek baar Pari ke pyaare se chehre par hi ruk gayi thi, voh bas ek tak pari ki aur dekhe jaa raha tha


Kuch der baad Paridhi apni aankhe kholti hai toh mayank ko apni aur dekhta paati hai, pata nahi kyu par aaj pehli baar Paridhi ko sharam aa rahi thi :blush:, voh blush karti hui apni najre niche karti hai aur dheere se kehti hai “kya dekh raha hai..??”



Mayank “tu bilkul bhi nahi badli, I mean you are the same, muje ek pal ke liye bhi aisa nahi lag raha ki mai apni pari ke saath nahi…balki kisi aur ladki ke saath hu”


Paridhi “tu aisa sochta hi kyu hai..?? mai bhi toh pari hi hu” lekin fir turant hi pari baat ko ghumate hue kehti hai “I mean tuje aisa kyu lag raha hai..??”


Mayank “teri har ek adat usse milti hai, uski har pasand, naa pasand, uska baat karne ka tarika..sab kuch, aur use sabse jyada park me ghumna pasand tha..muje aajtak kabhi samaj me nahi aaya ki use yeh itna kyu pasand tha”



Pari “kyunki nature, iss duniya ka sabse khubsurat tohfa hai, mai apna akelapan, apni pareshaniya park me aakar hamesa bhul jaati hu”


Mayank smile karte hue “voh hamesa kehti thi ki use baarish me bhigna bahut hi jyada pasand hai..aur”


Paridhi “aur kya..??” kehte hue voh aage gayi, aur fountain ka paani haath me lekar mayank ke upar chidak diya aur fir jor jor se hasne lagi


Mayank bhi uske saath hasne laga, aur fir usne pucha “kya tuje tere mom dad ki yaad aati hai..??”


Yeh sawaal sunte hi Paridhi ke chehre ki muskaan turant hi gayab ho gayi, lekin usne apne aap ko sambhala aur fir smile karte hue kaha “haa, muje unn sab ki bahut yaad aati hai, lekin mai jaanti hu…voh log muje chodkar kahi nahi gaye, hamesa mere saath hai”


Mayank uski aur dekhne laga, Paridhi “haa..manthan, mom..dad, aarav, yeh teeno hamesa mere saath hai, kyunki hum jinse bahut jyada pyaar karte hai..voh hamare dil se kabhi juda nahi hote, bas farak itna hai ki voh ab hume dikhayi nahi dete..lekin voh hamera pass hamesa maujud hote hai, aur jabtak hum jinda hai, unhe hamse koi alag nahi kar sakta”


Mayank kuch nahi bola, Paridhi ne apni baat ko aage badhaya “mai janti hu tune kya khoya hai, aur unhe khone ka dard mai bahut hi achche se mehsus bhi kar sakti hu, par kya voh yeh chahenge ki tu unki yaad me akshar ese hi sad rahe..?? jab tu pari se mila tha..tune apni har khushi ko uske naam kar di thi, tune usse promise kiya tha ki tu dubara kabhi sad nahi hoga..?? lekin tu usse kiya hua promise tod raha hai..tune ek baar bhi socha ki Pari ko kitna jyada bura laga raha hoga..?? pari toh yeh kabhi nahi chahti thi ki tu dubara sad ho, voh toh bas tuje khush dekhna chahti thi”


Mayank “tu yeh sab kese kar leti hai..?? tu aarav se bahut hi jyada close hai..fir uske bina kese reh rahi hai..??”


Paridhi gehri saans lekar “haa, aarav mere dil ke sabse jyada karib tha aur aaj bhi hai, par mai itna toh jaanti hu ki voh apni sis ko kabhi udaas nahi dekh sakta” kuch der rukkar “manthan, jo hua hum use nahi badal sakte, lekin abhi jo ho raha hai, use hum rok sakte hai..yaa aage jo hone vala hai hum use badal sakte hai”


Mayank “nahi pari, ab kuch nahi ho sakta, there is no way”


Paridhi “mai nahi maanti, tu itni jaldi haar kese maan sakta hai..?? kya tu yahi chahta hai ki jo hamare saath hua voh har kisi ke saath ho..?? kya inn bacho ke saath bhi vahi hona chahiye, jo hum dono ke saath hua hai..??” voh thodi dur khel rahe chote bachcho ki aur ishara karti hai


Mayank kuch pal ke liye unhe dekhta hai aur fir “mai yeh kabhi sapne me bhi nahi chahunga ki jo mere saath hua hai voh kisi aur ke saath ho, par..”


Paridhi uski baat ko bich me hi kaat te hue kehti hai “manthan, mai yeh toh nahi jaanti ki tune Time-Force me kya dekha tha, lekin mai itna toh jarur jaanti hu ki mai jisse pyaar karti hu voh itne jaldi haar nahi maan sakta, aur mera dil keh raha hai ki tu Dexter ko rokne ka koi na koi rasta toh jarur nikalega”


Mayank pari ki aankho me dekh raha tha, Pari “har insaan ki madad sirf waqt karta hai..fir chahe hamari ladayi khud waqt se kyu naa ho..?? iss pure planet par bahut se log hai..lekin waqt ne sirf tuje chuna, sirf tu uss future ko dekh paaya hai jo kisi aur ne nahi dekha..toh kya hua ki voh bahut hi bhayank tha..shayad waqt bhi tujse kehna chah raha hai ki hum apna future badal sakte hai..hum unn sab ko bacha sakte hai jisse hum pyaar karte hai”


Pari ki baato ko mayank bade hi dhyaan se sunn raha tha, uske man me jo bhi baate ghum rahi thi voh akhir uske jubaan par aahi gayi “par kaise..?? kash ki muje ek chota sa bhi clue bhi mil jaata hai, toh mai apni puri jaan laga deta, par aisa kuch bhi nahi hai”



Paridhi “manthan..iss ladayi me tu akela nahi hai, hum sab tere saath hai, agar hum iss ladayi me ek saath hokar rahenge toh koi na koi rasta toh jarur dhund lenge, bas ek baat yaad rakhni hai..agar time ko humne cheda hai..toh use thik karne ki jimmedaari bhi hamari hai”


Voh dono kuch der chup rahe, tabhi paridhi ko achanak se kuch yaad aaya “manthan, tune ek baat notice ki..??”


Mayank sawaliya bhari najro se dekhte hue “kya..??”


Aur fir paridhi ne jo bataya uske baad Mayank ki aankho me ek josh aa gaya tha, voh paridhi ke chehre ko apne haath me lete hue kehta hai “mai ek baar apni pari ko kho chukka hai, iss baar mai tuje nahi khona chahta, I promise you Pari..chahe kuch bhi ho jaaye, mai Dexter ko rokkar hi rahunga, sirf TERE LIYE”


To be continued..
 

Mayaviguru

Active Member
1,090
2,477
159
Marvellous yar. Bhai mtlb manana padega...basically you are superb...
Teri story mai exact wahi chij hai jo mai aksar dhudta hu...proper suspense..no sex ..full romantic.. Full scientific.. And thriller ke liye apne koi magic ka use nhi kiya....aur ek itna perfect plot.....apki story mai god ka koi chakkar nhi hai..their are only two things.. Nature and science...jo reality...apki story sabkuch imagination hai apki but while reading we feel its real...Agle update ka intezaar rahega
 
  • Like
Reactions: The_lost_love

Milan2010

Well-Known Member
4,809
3,582
159
Marvellous yar. Bhai mtlb manana padega...basically you are superb...
Teri story mai exact wahi chij hai jo mai aksar dhudta hu...proper suspense..no sex ..full romantic.. Full scientific.. And thriller ke liye apne koi magic ka use nhi kiya....aur ek itna perfect plot.....apki story mai god ka koi chakkar nhi hai..their are only two things.. Nature and science...jo reality...apki story sabkuch imagination hai apki but while reading we feel its real...Agle update ka intezaar rahega
:thanks: bhai :dost:
thank you so much bhai, jankar bahut hi acha lag raha hai ki aapko story pasand aayi
bhai, mai itna bhi acha nahi likha jitna aap keh rahe hai, bas ek koshish ki hai kuch likhne ki
haa bhai, har chiz me sex daalna sahi nahi hai, aur love me agar bina sex ke sirf feelings ke saath likha jaaye toh usse padhne me bahut maaja aata hai
haaa bhai....muje kuch hatke likhna tha, kuch aisa jo shayad hi kisine llikha hao isliye maine yeh topic socha
bas bhai 6 updates hi bache hai, uske baad mai iska second part chalu karunga
i hope ki aapko voh bhi itni hi pasand aayegi
 
  • Like
Reactions: Indian

Mayaviguru

Active Member
1,090
2,477
159
:thanks: bhai :dost:
thank you so much bhai, jankar bahut hi acha lag raha hai ki aapko story pasand aayi
bhai, mai itna bhi acha nahi likha jitna aap keh rahe hai, bas ek koshish ki hai kuch likhne ki
haa bhai, har chiz me sex daalna sahi nahi hai, aur love me agar bina sex ke sirf feelings ke saath likha jaaye toh usse padhne me bahut maaja aata hai
haaa bhai....muje kuch hatke likhna tha, kuch aisa jo shayad hi kisine llikha hao isliye maine yeh topic socha
bas bhai 6 updates hi bache hai, uske baad mai iska second part chalu karunga
i hope ki aapko voh bhi itni hi pasand aayegi
Bhai wait nhi hota wo bhi post kar hi do jiski jalti hai jalne do
 

King Aryan

Active Member
1,807
1,826
143
Awesome Mind Blowing Updates Ziada Kuch Nahi Kaho Ga Kiu K Mera Pass Kehne K liye Kuch Nahi Hai
 

Rahul

Kingkong
60,556
70,670
354
wonderful story dear
 
Top