• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller Strange World (completed)

Opinion About The Story


  • Total voters
    33

Milan2010

Well-Known Member
4,809
3,582
159
Update : 25 (Jungle)



Next Day

Khair subah hote hi sab log uth chuke the..aur aneri ne sab ke liye chaayi bana li thi, sab fresh hokar mayank ke aaspass baithe hue the, tab aneri kehti hai


Aneri "aap iss duniya se nahi hona..??"



Mayank "kya matlab..??"



Aneri "maine kal aapki baate suni thi, muje jyada toh kuch samaj me nahi aaya, par itna pata chala ki aap dusri duniya se aaye hai"


Mayank "haa..aneri, mai yaha se nahi hu"



Aneri "aap isiliye jungle me aaye haine..usi aag se jo uss din lagi thi"


Mayank "aag...kesi aag..??"


Aneri "jis din baapu aapko lekar gaanv me aaye..uss raat ko jungle me bhayanak aag lagi hui thi..par kisiko uss aag ke lagne ke baare me pata nahi chala"


Mayank "kya voh samandar ke side thi..??"



Aneri " haa..jis aur se aap aaye the..vaha se samandar jyada dur nahi tha"


Mayank "that's it..mera shaq sahi tha"


Voh turant apni watch se gideon ko contact karta hai "gideon..tell me ki jo maine socha tha voh sach nahi hai"



Gideon "sir..jo aap soch rahe hai..vohi hai, aap usi jagah se aaye the..and according to my calculations, vaha aag aapke aane ke vajah se hi lagi thi,aur voh unknown energy ke traces uss jagah par bahut hi jyada hai"


Mayank "thanks gideon, agar yeh dexter vahi se aaya hai..then use rokne ka tarika bhi hume vahi se milega"


Fir voh sabse kehta hai "pathik, manthan..tum dono mere saath chalo"


Pathik "nahi mayank, i think muje yaha rukn chahiye, yaha par kisi ek ka rukna jaruri hai, agar dexter sahi me yaha se aaya hai tum aneri ko yaha akele nahi chod sakte"



Mayank "thik hai, tu aur saari ladkiya yahi par ruk rahi hai"


Siddhi "nahi manthu, mai tuje akele nahi jaane dungi"



Paridhi "aur naa hi mai, mai bhi tere saath aa rahi hu" voh mayank ki aur dekhte hue kehti hai


Mayank "nahi pari please..mai apni pari ko kho chuka hu..ab tuje kuch nahi hone de sakta"



Paridhi "nahi nahi nahi, muje kuch nahi sunna, maine keh diya na, mai aarahi hu bas”



Kruti "mayank, mai aur pathik yaha rukte hai, tum charo ho aao"



Manthan "are you sure..??"



Pathik "yes manthan, but be safe"


Manthan "pathik..ek kaam kar, yaha rukna khatre se khaali nahi hai, isse aacha tum log Mumbai, hum tuje vahi milenge"



Pathik "thik hai, mai tuje message drop kar dunga" fir voh ek dusre gale milte hai


Kruti siddhi ke gale lagte hue uske kaan me kehti hai "i think pari loves him"



Siddhi "muje bhi aisa hi laga"


Uske baad kruti, aneri aur pathik mumbai ki aur nikal gaye, aur mayank, manthan, paridhi aur siddhi uss jungle me andar jaane lage


Unhe chalte hue kaafi samay ho gaya tha, aur aakhir me voh log vaha pahuch gaye jaha par mayank behosh hokar gir gaya tha

Vaha pahuchte hi manthan kehta hai "voh chacha..jungle me itni dur kyu aaye the, voh bhi aadhi raat ko"


Mayank "pata nahi..par iske aage hume sambhal kar jaane hoga, kuch bhi hi sakta hai"



Voh log karib 15 min hi chale honge ki unhe ek police jeep najar aayi, use dekhte hi siddhi boli "yeh police ki jeep itni andar kya kar rahi hai"


Mayank "shayad yeh unn dono inspector ki hogi, yeh jungle ka sabse andar ka hissa hai, aur gaanv me ji kahaniya bani hui hai, shayad isliye jungle ke itne andar koyi nahi aata"


Fir mayank aur manthan ne jeep mese gun li aur aage chalne lage..chalte hue voh aage badhe ki unhe do kankaal najar aaye, unn dono kankaal ki halat bhi vesi hi thi, mayank unn kankaal ke pass jaakar apne ghutne ke bal baith gaya “yup..yeh dono vohi inspector hai, jiske baare me aneri ne bataya tha"



Manthan "tuje kese pata..??"


Mayank ek kankaal ke gale ki aur ishare karte hue "yeh locket…patil ke gale me tha"



Siddhi "mayank..yeh nishan, yaha par yeh nishan bahut jyada hai, aur voh uss aur jaa rahe hai” apne haath se ishara karte hue kaha”


Mayank kuch sochkar "yaha se samandar dur nahi hoga, Manthan, tu siddhi aur paridhi ko lekar uss jeep ke pass ruk, mai tuje vahi milunga"


Manthan “tu vaha andar akele nahi jaa raha”



Mayank “I have to go, yaaha ke halat dekhkar lag raha hai ki isse aage tum sab ka aana safe nahi hai, agar by chance vaha par dexter hua, mai koi risk nahi lena chahta..so please yaha wait kar”



Manthan “thik hai, mai agar tu 30 min me vapis nahi aaya toh hum vaha aajayenge”



Mayank “nahi manthan, agar mai vapas nahi aaya, tum log yaha se chale jaoge, aur papa ko iss jagah ke baare me bata dena, aur Gideon tumhari help karega”


Paridhi “fir bhi, tu akela nahi jaayega, mai tere saath aa rahi hu, aur tu muje mana nahi karega”



Mayank “nahi pari please, samaj ne ki koshish kar”



Paridhi “nahi matlab nahi, mai tere saath aa rahi hu, varna tub hi vaha nahi jaayega”


Pata nahi kyu par, mayank paridhi ki baat ko taal nahi paaya aur voh dono samundar ki aur badhne lage, karib 10 min chalne ke baad paridhi kehti hai “manthan, yeh sab”


Mayank paridhi ke ishare ki aur dekhta hai “yeh bichare nirdosh janwar bhi nahi bach paaye” aur fir voh dono sawdhani se aage badh rahe the, aur karib 5 min chale honge ki voh loh ek jagag jaakar ruk gaye


Paridhi "yeh nishan yaha par khatam ho rahe hai"


Mayank chalte hue thoda aage aaya..aur jaha voh nishan khatam hue the voh thik vaha jaakar ruk gaya, aur apne ghutno ke bal baith te hue bola "ya fir yeh nishan yahi se shuru hue hai"


Paridhi "matlab..??"



Mayank "yeh vohi jagah hai..yahi se mai iss earth par aaya hu"



Paridhi "tu itne yakin se kese keh raha hai"



Mayank ne apne haath ko uss nishaan par ghumaaye..yeh nishan dekhkar lag raha tha ki kisi ko ghasita gaya ho..par darasal yeh nishan dexter ke chalne ke vajah se bane the..aur yeh vohi jagah thi jo ajit ne satellite image me dekhi thi


Mayank chalte hue paridhi ke pass aaya aur usne "pari..tere pass paani ki bottle haina, please give it"


Paridhi paani ki bottle deti hai, pari ke haath se bottle leti hi mayank cap kholkar bottle ko utli kar di, jise dekhkar halke gusse me boli "yeh tu kya kkkaaa.." voh bolte hue ruk gayi kyunki uski aankhe jo dekh rahi thi..uspar use yakin nahi ho raha tha


Paani niche girne ki bajay hawa me tair raha tha, paridhi aankhe faade hue paani ko ghu rahi thi

Paridhi “impossible..yeh kese ho sakta hai”



Mayank "i think i know ki mai yaha par kaise aaya"



Paridhi "tuje lagta hai ki dexter bhi tere hi earth se hai"


Mayank naa mein apna sar hilata hai "nahi pari..voh koi insaan nahi hai, use koi nahi rok sakta"


Mayank "gideon..tell me, yeh energy"



Gideon "yes sir, yeh unknown energy aur kuch nahi balki yeh trans-dimensional energy hai, it's because of singularity and tanchyon particles"


Mayank "thanks gideon"



Paridhi “tu janta hai dexter kaun hai, use kese rok sakte hai”



Mayank "you can't run from it, voh sab kuch khatam kar dega, dexter ko mai toh kya, iss pure universe me koyi nahi rok sakta, because he is…."


To be continued…
 

Rajurajsingh91

Active Member
991
1,546
143
Waiting more update
 

Milan2010

Well-Known Member
4,809
3,582
159
Update : 26 (Who is HE..??)



"What..?? Yeh kese ho sakta hai, matlab ki yeh impossible hai" mayank ki baat sunkar paridhi puri tarah shocked ho chuki thi, use Mayank ki kahi baat par bilkul bhi yakin nahi ho raha tha


Mayank "yeh kese possible hai, yeh toh mai khud bhi nahi janta"



Paridhi ne thoda ruk-ruk kar "aaa..aa..rrr…reee you sure about him..??" firse ek baar pucha, iss ummid ke shayad usne jo suna hai voh galat hai


Mayank "yes pari, I am damn sure, aur trans-dimensional energy ka yaaha hona iss baat ka proof hai"


Paridhi iske aage kuch nahi boli, mayank firse vahi uss nishan ke pas apne ghutno ke bal baith gaya, aur uss meetti ke dhal par haath firane laga


Kuch der baad paridhi ne firse ek sawal kiya "tune abhi dexter ke baare me jo kuch bhi kaha..agar voh sach hai, fir uska asar tuj par kyu nahi ho raha..?? I mean aaj tak aisa ek bhi insaan ya janwar nahi hai jo usse bacha ho, fir tuje kuch kyu nahi hua..??"


Mayank yeh sunkar chaunk gaya aur khade hote hue bola "yeh baat toh muje bhi kuch samaj nahi aa rahi, agar dexter khud…." Voh bolte hue ruk gaya


Mayank ki najar samne pari ki aur thi, voh apni baat puri karta uske pehle hi uski najar thik pari ke piche se aa rahe dexter par gayi


Achanak se mayank ke aise chup hote dekh paridhi boli “kya hua..??” aur voh kuch samaj paati uske pehle hi mayank furti se paridhi ke pass aaya aur use dhakka dete hue side me gira diya


Pichli baar Mayank par dexter ke chune ka koyi asar nahi hua tha, lekin iss baar Mayank khud Dexter ke samne aaya tha, Dexter ke sharir se nikal rahi asmaani rang ki roshni me Mayank ka pura sharir kaid ho chukka tha, jiss vajah se Mayank ka sharir akad gaya tha, lekin iska asar sirf Mayank par hi nahi pada tha, Mayank ke saath milne se Dexter ki rafatar bhi bahut kam ho gayi thi, Dexter iss waqt kisi normal insaan ki speed se chal raha tha


Mayank ka iss tarah se dhakka dena paridhi ko bilkul bhi samaj me nahi aaya, par jese hi usne khud ko sambhal kar apni najar mayank ki aur ki, uske muh se chikh nikal gayi "nnnnnnnnooooooooooooo" aur apni parwaah kiye bina hi jaldi se khadi hokar mayank ke tarah bhaagi


Mayank ka pura sharir akad chukka tha..lekin uski najar Paridhi par hi thi, usne dekha ki Pari dexter ke kaarib aa rahi hai toh voh bahut hi muskil se bola “pari..please, go away"


Pari ko kuch bhi samaj me nahi aa raha tha ki voh kya kare, uska dil keh raha tha ki voh mayank ke karib jaaye, voh use aise akele dexter ke saath nahi chod sakti, lekin vahi uski najar mayank ke aur thi jo badi muskil se apne sar ko naa me hilaakar use mana kar raha tha


Aur fir tabhi achanak se mayank 20 foot dur jaakar gira, aur dexter apna rasta badalkar samandar ki aur chala gaya


Mayank ka maatha teji se paid se jaakar takaraya aur girte hi uske muh se dardnak cheekh nikal gayi, yeh dekh paridhi daudte hue mayank ke pass gayi aur uske pass jaakar apne ghutno ke bal par baith gayi

Mayank ke maathe se khun nikal raha tha, Paridhi ne turant hi mayank ke sar ko apne gaud me liya aur apne haath se khoon ko rokne ki koshihs karne lagi, aur dusre haath se pyaar se uske sar par firane lagi


Mayank ne dekha ki paridhi ki aankho se aansu nikal rahe hai, usne apne haath ko paridhi ke gaalo par rakha aur uske aansuo ko saaf karte hue bola "it's okay pari, i am fine, muje kuch nahi hua hai" kehte hue voh baith gaya


Lekin paridhi bahut hi udass ho gayi thi, uski najar baar baar mayank ke sar se nikal rahe khooj par jaa rahi thi, aur aansu the ke rukne ka naam nahi le rahe the

Mayank ne firse uske aansu ko saaf kiye aur "pari, let's go from here, mai jo jaan ne yaha aaya tha voh muje pata chal gaya hai"


Paridhi "no manthu, hum kahi nahi jaa rahe, tere sar se khun beh raha hai"


"Manthu" sunkar mayank kuch nahi bola, aur pyaar bhari najro se paridhi ki aur dekhne laga, kyunki isi naam se uski pari use hamesa bulaya karti thi


Iss waqt paridhi bahut jyada ghabra gayi thi, shayad use dar lagne laga tha…mayank ko khone ka dar, jab usne mayank ko dexter ke haatho me dekha, uska dil joro se dhadakne laga, uske man me dar baith gaya tha ki ab mayank bhi usse dur chala jayega

Paridhi mayank ki chot ko dekhte hue keh rahi thi, shayad usne mayank ki baat bhi nahi suni thi "tuje bahut pain ho raha haina..?? Mai hi pagal thi jo maine tere saath aane ki jid ki, tune mana bhi kiya tha, par mai..mai bahut hi selfish hu, meri hi vajah se tuje yeh chot lagi, na mai yaaha aane ki jid karti..aur naa hi tuje yeh chot lagti, sab isiliye mujse dur chale jaate hai..dekhna tu bhi muje chodkar chala jaayega"


Pata nahi kyu par mayank yeh aakhri baat sun nahi paaya, usne turant hi apne dono haatho ko pari ke chehre par rakha aur apne hoth ko pari ke hoth par rakh diye, aur fir uski aankho me dekhte hue bola "ssssshhhhhhh..chup, bilkul chup, muje kuch nahi hua, aur naa hi tu selfish hai, and i promise mai tuje chodkar kahi nahi jaunga"


Paridhi bhi mayank ki aankho me dekhte hue boli “pakka..??”


Mayank smile karte hue “haa..pakka”


Paridhi iske aage kuch nahi boli, voh turant mayank ke gale lag jaati hai, aur mayank bhi kuch der paridhi ko apne seene se lagaye rakhta hai


Kuch der baad alag hote hue mayank bola "pari, ab hume chalna chahiye, manthan aur siddhi abhi bhi jungle me hai" paridhi ke baalo ko sehlate hue manthan bola


Pari jese neend se jaaagi ho, voh mayank se alag hui aur mayank ki chot ko dekhte hue "but pehle iss chot ka ilaaj karna hoga, wait mere pass band aid hai" usne turant hi apne bag se first-aid kit nikali


Mayank yeh dekh bola “tu hamesa yeh nikal ghumti hai”



Paridhi “haa, mere bag me yeh hamesa rehti hai” aur fir usne darte hue mayank ke maathe se khuun saaf karne lagi


Paridhi ke haatho ko kaanpte dekhe Mayank hasne laga, jise dekhkar Paridhi puchti hai “kya hua..?? has kyu rahe ho..??”



Mayank “kuch nahi”



Pari “don’t make me laugh, ek toh yeh firstaid vala kaam mujse hota nahi hai”


Mayank “haa..voh toh dikh raha hai, tum toh ese saaf kar rahi ho..jese painting bana rahi ho, itne dhyan se kaun karta hai bhala”


Paridhi “listen mister, iss waqt tumhari dekhbhal karne koyi angel ya hot ladki nahi aane vaali, mujse hi kaam chalana padega”


Mayank “yup, yeh toh hai” fir thoda rukkar “you know what, iss earth me aur mere earth me sirf ek hi chiz common hai”


Pari band aid lagate hue boli “kya..??”


Mayank “you, matlab ki meri pari aur tum..bilkul ek jesi ho, har chiz..har insaan apne apne tariko se alag hai, but you..you are just like her”


Paridhi uski aankho me dekhte hue “flirt kar raha hai..??”


Mai “pata hai, tumhare jesi ladki ke saath mai flirt nahi kar sakta”



Paridhi apni aankhe chadte hue “kyu..?? mai itni buri hu..??”



Mayank “nahi..tum itni achi ho, mai toh kya koyi bhi ladka tere saath 2-3 din nahi bita sakta, puri life bita sakta hai”


Paridhi yeh sunkar thoda sharma gayi, aur apni palke niche karte hue “ab agar tune flirt kar liya ho toh chale”


Vahi Jungle me


Siddhi aur Manthan uss jeep me baithe hue the, Siddhi “manthan, unn dono ko gaye hue kaafi der ho gayi hai, I think we should go and check in there”


Manthan kuch sochte hue :yeah, you are right”


Tabhi vaha par kuch log aaye aur unn mese ek ne Manthan ko rokte hue kaha “hey ladke, tum dono yaha kya kar rahe ho..?? yeh jagah tum jese bacho ke liye nahi hai”


Manthan kuch bolta uske pehle hi uske kaano me ek jaani pehchani awaaz padi “manthan, tu yaha kya kar raha hai”



Manthan jeep se utar te hue bola “papa, voh mai, kya mai aapse kuch baat kar sakta hu, akele me”


Rajendra thoda gambhir hote hue “baat kya hai manthan”



Manthan “yaha nahi, please”


Aur fir voh dono thoda dur jaate hai, aur manthan unhe sab bata deta hai, saari baat sunte hi rajendra bola “yeh kese possible hai..?? dexter ke chune ke baad bhi mayank ko kuch nahi hua”



Manthan “haa..aur mayank, Mumbai se nahi..balki isi jungle se aaya hai”



Rajendra “kaha hai voh..??”



Manthan “voh aur paridhi aage gaye hai, par unhe gaye hue kaafi waqt ho gaya hai, mai aur siddhi unhe dhundne hi jaa rahe the”



Tabhi vaha par swat ka ek member aaya aur bola “sir, do aur naujawan uss jungle ke andar se aa rahe hai”


Rajendra aur Mayank ne jeep ki aur dekha, jaha Mayank aur Paridhi dono khade the, Manthan ne mayank ko apne pass bulaya

Mayank kea ate hi manthan bola “abe yeh chot..?? kese..??”



Mayank “dexter..voh vaha aaya tha”



Manthan “kya..?? tu thik toh haina..?? aur paridhi..??”



Mayank “hum dono hi thik hai” fir voh rajendra ko dekhte hue “aap yaha kya kar rahe hai..??”



Rajendra “manthan me bataya ki tu yaha kyu aaya hai..?? kuch pata chala..??”



Mayank “haa..bahut kuch pata chala hai, and I guess, aap logbhi vahi jaa rahe hai”



Rajendra “tuje kese pata..??”



Mayank “voh sab chodiye, aap vaha nahi jaa sakte, aap log Dexter ko nahi rok sakte”



Rajendra “tu janta hai, tuje pata hai ki dexter kaun hai”



Mayank “haa..yakin maaniye, use mai toh kya koi bhi nahi rok sakta”



Rajendra “kaun hai voh..??”



Mayank “yeh sab baad me, hum yaha jyada der nahi ruk sakte”



Rajendra “par mai yaha se ese hi nahi jaa sakta, mai khud inhe yaha lekar aaya hu, aur bina kuch pata kiye ab mai vapas nahi jaa sakta”


Mayank kuch sochte hue “thik hai fir, yaha se 5 min ki duri par unn dono police officer ke kankaal pade hai, aap vahi se vapas laut aaye”



Rajendra “thik hai, par muje toh bata ki aakhir dexter hai kaun”


Mayank ka jawab sunkar Rajendra ki aankhe badi ho gayi, aur fir Mayank, Paridhi, Mayank aur Siddhi Mumbai vapas aagaye, aur usi hotel me chale gaye jaaha unke dost the


Rajendra ne bhi Mayank ki baat maankar, aadhe jungle se hi vapas aagaya, usne Karan aur Patil ki laasho ko study karne ke liye apne saath le aaya


To be continued…
 

Milan2010

Well-Known Member
4,809
3,582
159
Update : 27 (Time is the Answer)



Location : Crime Branch, Mumbai

Rajendra aur uski team jungle se vapaas aa chuki thi, aur unke aate hi commissioner ne emergency meeting bulayi thi

Dr. Rajendra “sir..aap sahi the, humne almost pura jungle chaan liya, lekin kuch nahi mila..aur naa hi voh nishaan hume kahi par dikhe, par haa..hume uss jungle me 2 kankaal mile the, aur unn kankaal se thodi duri par ek police ki jeep khadi thi, I think voh dono kankaal aapke officers ke hai” ne apni baat ko sabke samne rakhi


Commissioner gehri saans lete hue “agar aapka yeh idea bhi kaam nahi aaya, toh ab hum dexter ko rokenge kese”



Ajit “sir, muje jo images mili thi..voh fake nahi thi, matlab ki voh nishan iss earth par kahi na kahi toh maujud jarur hai, mai uss jagah ki location ko decode karne ki try karta hu, but I need some time”



Commissioner “okay doc, take your time, but be quick”



Ajit “yes sir, mai jald se jald pata karne ki koshish karta hu”


Loaction : Hotel LandMark, Mumbai

Mayank, Paridhi, Manthan aur Siddhi, jungle se nikalkar hotel aagaye the, jaha Pathik, Siddhi aur Aneri pehle se maujud the

Mayank ke mathe par band-aid ki patti dekhkar Kruti puchti hai “tuje kya hai..?? yeh chot kese lagi..??”


Mayank ne sabkuch bata diya, uski baat khatam hote hi Manthan puchta hai “mayank, yeh kese ho sakta hai..?? I mean Dexter kese..” voh bolte hue ruk gaya, kyunki darwaje par knock hua tha, aur aane vala shaks aur koyi nahi Manthan ke papa the


Meeting khatam hote hi Rajendra crime branch se nikal kar Landmark Hotel me aagaya..Room me jaate hi Rajendra ne sawal kiya “Mayank..are you sure, tu jo keh raha hai voh sach hai..??”


Mayank haa mein apna sar hilata hai, Rajendra “tu itne yakin se kese keh sakta hai, voh bhi bina kisi proof ke..??”


Mayank “haa..mere pass koi pakka proof nahi hai, but I know some theories about time, jab mai pehli baar Dexter ke contact me aaya tha, uss waqt muje bhi yahi laga tha..ki shayad yeh mera veham hai, par jab aaj Dexter ne muje dubara pakda, muje yakin ho gaya ki Dexter kuch nahi..balki khud TIME hai”


Rajendra chaunkte hue “tune aisa toh kya dekh liya ki tu itna sure hai..??”


Mayank “Papa..I mean Uncle” bolte hue voh ruk gaya


Rajendra “it’s okay son, you can call me”


Mayank muskurate hue “iss kudrat ke aage hum insaan ek mamuli se jeev hai, ise mai yaa aap kabhi samaj nahi sakte, lekin hum lalaach aur technology ke dam par itne andhe ho chuke hai ki..hume lagta hai ki humse jyada powerful iss universe aur koyi ho hi nahi sakta, aaj samaj me aa raha hai ki time machine ko kyu nahi banaya gaya, isi nasamaj ki vajah se hum insaan unn raaj ko jaane ki koshish karte hai jinke baare me hume kabhi nahi jaana chahiye, aur sirf utna hi nahi..unn raaz ko jaankar hum kudrat ko badalne ki koshish karte hai, mere earth par hum logo ne bahut si galtiya ki hai..shayad usi galtiyo ki vajah se hamare pass ek theory thi, aaj mere earth ki har ek techonolgy, har ek theory iss kudrat ke samne bekar lag rahi hai, aisa lag raha hai ki unn theories ka iss universe me koyi vajud hi nahi hai..maine kabhi sapne me bhi nahi socha tha ki hamari ek galti ki vajah se pura universe khatre me aajayega”


Rajendra “yeh toh tune sach kaha, hum insaan chahe kitne bhi aage kyu naa badh jaaye, lekin..hamesa iss kudrat se hum peeche hi rahenge”


Pathik “aesi konsi theory hai jisse tuje yeh lagta hai ki Dexter khud ek time hai..??”



Rajendra “aur tune aisa toh kya dekh liya ki tuje yakin ho gaya ki Dexter Time hai”


Mayank unn dono ki aur dekhte hue “sab kuch, mera past, mera present, mera future..sab kuch, yeh sab kuch maine thik ek saath dekha”


Siddhi “yeh kese ho sakta hai..?? I mean koi bhi apna bhut kaal, vartman aur bhavishya..ek hi saath ek hi jagah ek hi waqt par kese dekh sakta hai..??”



Mayank “yes siddhi, yeh ho sakta hai, agar hum TIME FORCE ke contact me aajaye..toh yeh possible hai”


Sab ek saath “time force..??”


Mayank “yeah, it’s like river”



Rajendra “yeh sab tu baad me samjana, bas ek baat bata, agar Dexter Time ka hissa hai, toh voh alag kese hua..?? aur sabse bada sawaal, sirf ek theory ke based par tune yeh kese maan liya ki Dexter khud waqt hai..??”


Mayank “bilkul bhi nahi, jabtak theories practically proov nahi ho jaati, tab tak voh theory ek assumptions hi rehte hai”


Pathik “toh fir tuje itna yakin kese hai ki Dexter khud ek TIME hai..??”



Mayank rajendra ki aur dekhte hue kehta hai “voh ladki ki death body yaad hai, jo aap Mumbai se study karne ke liye Delhi laaye the..??”



Rajendra sawaliya bhari najro se dekhta, toh mayank kehta hai “vohi ladki jiski age 25 years thi, but PM report me uski age 85 dikha rahi thi”


Rajendra “tuje kese…” voh bolte hue ruk gaya aur “you hacked it”



Mayank “yeah..yeah, I hacked”



Rajendra “but how..?? it was encrypted by the X-axis bionumeric algorithm, no one can decrypte it, and agar koi karta bhi hai, toh voh pakda jayega”


Mayank “aapko sach me lagta hai ki mere earth ki technology ko aapke yeh bacho ke khelne vali chize rok paayegi”


Mayank ne yeh baat ese kahi jese yeh algorithm uske liye English ke alphabets ho, Rajendra apne daant piste hue “toh kya hua..?? uss ladki ka aur dexter ke time ke hone ka kya relation”


Mayank “agar mai galat nahi hu toh, shayad aapke assistant ne yeh kaha tha ki yeh saari deaths time drug ya umra I mean age badhane vali medicines se ho rahi hai”



Rajendra mayank ko ghur raha tha, mayank ne apni baat jaari rakhi “actually..he was telling the truth, but partially”



Manthan “what do you mean by that, aaaaa time drug..??”


Mayank “naahhhh, voh time drug nahi hai, but voh baat alag thi, main point yeh hai ki dexter jis kisi ko bhi chuta hai, fir chahe voh living being ho..ya non-living, uss chiz ki umar bahut teji se badhne lagti hai, aur time ke aage hamari age kuch bhi nahi hai, it is just like a small atom in whole universe, hum insaan ko maarne ke liye Dexter ke liye 1 second bhi bahut jyada hai”


Rajendra taana marte hue “aur yeh bhi tere earth kahi saari crazy theories mese ek hai..?? right..??”


Mayank haste hue “nope, yeh meri ya mere earth ki theory nahi hai”



Rajendra “fir..??”



Mayank “jab hum Delhi se Mumbai aane ke liye nikale, Gideon apne khud se kuch naye algorithms par kaam kar raha hai, aur iss earth par jitni bhi death hui hai..ya jitni bhi report soft copy ya internet par available hai..unn sab ki study karne par pata chala hai ki dexter ke contact me aane se uss chiz ki age kaafi jyada badh jaati hai”


Pathik “so tune abhi abhi jo kuch bhi kaha, voh sab Gideon ne research karne ke baad bola, toh fir gideon ke hisab se 1 second me Dexter ke chune par kitne saal badhte hai..??”



Mayank “approx. or on an average 50-60 years”


Rajendra “ohhh freeekkk, yeh baat toh maine sochi hi nahi, shayad isi vajah se har ek insaan ka kankaal hume milta hai, par ek min..agar 1 seconds me 50 years badh rahe hai, toh fir kankaal totally decompose kese ho jaate hai..?? unhe decompose hone me toh kahi saal lag jaate hai..ya yu kahu ki sadiya beet jaati hai”


Mayank “iske kahi saare reasons ho sakte hai, like humidity, bacteria, and even dexter, because I am not sure ki exactly dexter kitne saal time ko aage badha deta hai, yeh sirf ek approx. data hai, precisely nahi”


Paridhi “aur yeh bhi toh ek reason ho sakta hai ki dexter sanp ke jese chalta hai, toh usi vajah se kisi bhi chiz ka uske saath contact time badh jaata hai”


Mayank “exactly, maine abhi abhi kaha, bahut se factors affect karte hai..even bodies to bodies bhi depend karti hai, so I am not sure”



Rajendra “thik hai, humne maan liya ki Dexter khud waqt hai, aur log umra badhne ki vajah se mar rahe hai, par Dexter ke chune par tujpar koi effect kyu nahi ho rahi..??”


Mayank “shayad tachyons aur dimension travel ki vajah se, because tachyons have imaginary mass..and dimension travel (DT) indirectly space and time se jude hai”


Rajendra “no..it can’t be, tachyons practically exist nahi karte hai”



Mayank “well, chalo iss earth par koi toh aisa hai jisko tachyons ke baare me kuch toh pata hai”


Rajendra “iska kya matlab ki iss earth par koyi toh hai..??”



Mayank fir tachyons aur apne experiment ke baare me sab kuch bata deta hai, jise sunkar rajendra shock ho jaata hai “unbelievable, yeh kisi sapne se kam nahi hai, kuch scientist ne tachyons par theory likhi toh thi, unhone yeh bhi kaha tha ki tachyons particles hamare universe me exist karte hai, par kisine bhi unpar ya unn theories par believe nahi kiya, kyunki tachyons ke hone ka koi proof nahi tha..aur isiliye unki theories ko kabhi release nahi ki gayi”


Mayank “bas ek problem hai..?? aakhir tachyons muje iss earth par kese laa sakte hai, I mean white hole..aur black hole, dono hi exist karte hai, par unke bich ka path..mai tachyons ki vajah se uss path par travel toh kar sakta hu, but sirf tachyons ki speed ki vajah se worm hole ya gateway open nahi ho sakta”


Rajendra kuch sochte hue “muje jyada toh kuch nahi pata, par ek simple logic mere dimag me aa raha hai, I am not sure ki voh sahi hai ya galat”



Mayank “konsa logic..??”



Rajendra “Newtons third law, every action has equal and opposite reaction, matlab har ek chiz ke do pehlu hote hai..dono hi samantar par ek dusre se alag, aur in simple language tum jitni jor se apna pair jameen par patkoge..utni hi jyada tumhe chot lagegi”



Mayank chaunkte hue “thanks dad, thank you so much, yeh maine pehle kyu nahi socha”



Rajendra “well..kahi baar hamare earth ki purani aur outdated chize bhi kaam aa sakti hai, aur kya pata voh sabse important ho”


Mayank ko shayad apni galti ka ehsas ho gaya tha “I am sorry, mai samaj gaya ki aap kya kehna chahte hai, maine hamesa aapke earth ki technology ka majak banaya, mai yeh bhul gaya tha ki ek waqt par meri earth bhi isi phase se gujri hai, hum chahe jitney aage nikal jaaye..par basics ko nahi bhulna chahiye..and uski kadar karni chahiye”


Rajendra mayank ke kandhe par haath rakhte hue “tuje hurt karne ka koyi irada nahi tha, bas tuje apne earth ki technology par ghamand ho gaya tha, beta ek baad hamesa yaad rakhna..agar tumhare pass knowledge hai..toh uspar kabhi ghamand naa karo, kyunki knowledge ek esi chiz hai jo har kisi ke pass hoti hai, kisi ke pass jyada toh kisi ke pass kam..lekin iska yeh matlab nahi hota ki jiske pass jyada knowledge hai voh sabse jyada buddhi maan hai”


Mayank apne papa (earth-2) ko hug karte hue “mai yeh baat yaad rakhunga papa, yaad rakhunga”



Pathik “so hamare sabse bade gyani baba, newton baba ke niyam se tumhe kya madad mili..??”


Mayank “jis raat ko dhamaka hua..uss waqt mere pass phone tha, matlab ki radio waves..jiski speed bhi light ki speed ke barabar hai, because basically radio waves khud electromagnetic waves hai..par ek min”



Rajendra “ab kya hua..??”


Mayank “tachyons ke andar bahut jyada energy hai, aur mobile me use hone vali frequency me utne voltage nahi hote, jo tachyons ki energy ke barabar ho and radio waves sirf space me light ki speed se travel karti hai”


Rajendra kuch sochte hue “haa, voh baat toh hai, but agar high magnitude ke current se radio waves ko energise kiya jaaye toh it can be possible, aur uss range ki energy articially create karna almost impossible hai, without tachyons”


Rajendra ki baat sunkar Mayank soch me pad gaya, lekin voh kuch sochta uske pehle Pathik bola “well aap dono kya baat kar rahe hai, hamare samaj me bilkul bhi nahi aa raha, but agar articially utni energy create nahi kar sakte..then what about natural cause”


Rajendra “naturally utni energy ya toh sun me hoti hai..ya fir”



Mayank ne rajendra ki baat ko bich me hi kaat te hue “lightning bolt, matlab ki bijli..jis raat hum yeh experiment kar rahe the, uss waqt bahar baarish ho rahi thi, aur tacyons unstable the, mai khud bhag raha tha, and uss waqt bijli ka girna, it all make the sense, finally I know mai iss earth par kese aaya hu”


Manthan “well agar tu samaj hi gaya hai toh please hum sab ko samja..but please iss baar jara hindi me samjana”



To be continued…
 

Mayaviguru

Active Member
1,090
2,477
159
Agla update kav aayega
 

Indian

Member
112
242
43
This is my one of the best fav stories
This is also one of all time great great story
Keep posting continue
Bhai iska 2nd part likhna start karo
Pahle wale ki ending ne dil tod diya tha
ab aisa mat karna
 

Mayaviguru

Active Member
1,090
2,477
159
Agla update kav aayega
 

Mayaviguru

Active Member
1,090
2,477
159
This story is unbelievable... Itna high level of science fiction manana padega bro ...upar se your updates are not just great in quantity... But also in quality...hats off.....
 

Milan2010

Well-Known Member
4,809
3,582
159
This is my one of the best fav stories
This is also one of all time great great story
Keep posting continue
Bhai iska 2nd part likhna start karo
Pahle wale ki ending ne dil tod diya tha
ab aisa mat karna
:thanks: bhai :dost:
thank u so much bhai
yeh jaankar acha laga ki aapko meri story pasand aayi
jarur jarur bhai, mai second part ke liye hi ise yaha post kar raha hu, par shayad kisiko lag raha hai ki meri yeh story meri nahi balki cnp kar raha hu
anyways, end toh likh dene dijiye sirji :D
aur ho sake toh ise dobara padh lijiye, sw2 me kaam ayega :haha:
anyways, thanks a ton bhai
 
  • Like
Reactions: Indian
Top