• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Sci-FI StRanGe WoRLd : APOCALYPSE

Which part is better in Strange World Series? (strange world series ka konsa part behtar hai?)

  • Total voters
    22

King Aryan

Active Member
1,807
1,826
143
Waiting For Next Update
 
Guffy

Well-Known Member
2,064
2,173
159
Update : 3 (Yeh Kese Ho Sakta hai)

“what do you mean ki yeh akhri baar tha”

Ab aage..

Bennet iss sawal ka jawab hatash hokar deta hai “iska matlab yeh ki, we lost them..hamari puri army khatam ho chuki hai”

Bennet ki baat sunkar uss kadak awaaz vale admi ke pair dagmaga se gaye, voh haklate hue dubara puchta hai “aa…rrr..eee yyy.yyy..oooo..uuuuu ss….sssss…..uuuuu.uu..rrre…eeeee”

Bennet ne vaise hi kaha “yes commander”

Voh dusra shaks aur koi nahi balki Earth ki Special force ka Head tha, voh kehta hai “yeh kese possible hai..?? they are the best of all”

Bennet “I don’t know sir, I really don’t, muje kuch bhi samaj me nahi aa raha”

Head “bennet, I want to know yeh sab kese hua”

Bennet “I am already working on it sir”
aur voh transparent screen par kuch karne laga aur kuch der baad kehta hai “sir, sam ko vapas laana hoga”

Head “uska resignation muje ek hafte pehle hi mil chuka hai”

Bennet “par aapne uska resignation approve nahi kiya, kyunki aap jante the ki hume uski jarurat padegi, aur Akshita usko lene gayi hai”

Head gehri saans lete hue kehta hai “I hope ki voh Sam ko lekar hi aaye”

Back to Sam’s House
Sam “agar uss ladki ki jagah tu hoti toh..?? kya tu tab bhi yahi kehti..??”

Sam ke iss sawal ka jawab akshita ne bahut hi pyaar se uski aankho me dekhte hue diya “haa sam, mai tab bhi yahi kahti, kyunki muje tere par pura bharosa hai” thoda rukkar “sam, mai nahi janti ki tu uss waqt kya karta…par mai bas itna janti hu ki jabtak tu mere saath hai muje kuch nahi ho sakta, I trust you”

Sam apna chehra jukate hue kehta hai “lekin I don’t, mai khud se hi haar chuka hu aksh, isiliye mai tujse Keh raha hu, please akshita..please mujse dur chali jaa..itni dur ki mera saaya tak tere karib naa aasake” darasal sach toh yeh tha ki voh ab akshita ki aankho me nahi dekh sakta tha

Aur akshita ki halat bhi kuch thik nahi thi..balki uski halat sam se bhi jyada kharab thi..sam ki iss tarah ki baate use dara rahi thi..uska dil tha ki joro se ro raha tha..par fir bhi usne muskil se khud ko sambhal rakha tha…kyunki voh janti thi ki iss waqt use apne sam ko sambhalna hai, sam ka iss tarah se najre churane uske dil me kaante ki tarah chub raha tha…shayad voh aur kuch bardasht kar leti..lekin sam ka usse yu nahre churana voh seh nahi paa rahi thi…akshita kaa gaala bhari ho chuka tha aur voh ruansi awaaz me kehti hai “sam..mai nahi janti ki tu aisa kyu kar raha hai..muje yeh bilkul bhi samaj me nahi aa raha ki uss hadse se mera tujse dur jaane me kya relation hai..par mai tujse kuch kehna chahti hu" voh rukkar kehti hai “agar tuje yahi karna tha toh kyu mere itne kareeb aaya..?? kyu muje voh ehsaas dilaya jo mai bhul chuki thi, shayad tu nahi janta ki tera saath mere liye kitna mayne rakhta hai, mai nahi janti kabse..par mai tujse pyaar karne lagi hu..yes sam I LOVE YOU, tujse dur rehna ka mai soch bhi nahi sakti” par akshita khud ko rok nahi paayi..jo dard uska dil bayaan kar raha tha voh uski aankho se behne lage the aur apna sar jukaaye rone lagi

Akshita ke liye sam ke dil me bhi vohi pyaar hai, par voh kabhi apne pyaar ka izhaar nahi kar paaya tha, lekin aaj jab uske kaano me akshita ke yeh lafz sunai diye.toh voh khud ko rok nahi paaya
Haroj jiss chehre par muskaan rehti thi uss chehre par aaj aansu beh rahe the..jo sam se bardast nahi hui..akshita ki ruansi awaaz ne sam ko akshita ki aur dekhne ke liye majbur kar diya
Sam toh akshita se uss din se pyaar karne laga tha jis din akshita ne usko haraya tha..aur vahi voh akshita ke dil ka haal nahi janta tha…use dar tha ki agar usne apne pyaar ka izhaar kiya toh shayad voh akshita ki dosti tak kho dega..sirf yeh vajah thi ki usne akshita se kuch nahi oaha tha
Sam chalte hue akshita ke karib aaya…aaj pehli baar tha jab voh akshita ke itni karib jaane par dar raha tha..uske dil joro se dhadak raha tha…usne apne haatho ko pyaar se akshita ke chehre par rakha aur akshita ka chehre apni aur kiya..ab akshita ki najar sam ki aur thi..aur dono hi ek dusre ki aankho me ektak dekhe jaa rahe the..lekin naa toh sam kuch bol raha tha aur naahi akshita ne ek lafz kaha..bas voh dono hi ek dusre ki aankho me deekhte hue aankho se baate kar rahe the

Jab sam ne akshita ke gaal par aansu ko dekha toh usne pyaar se apne haatho see uss unn aansu ko hataya..aur naa mein apna sar hilate hue kehne laga “nahi aksh…muje teri aankho me yeh aansu nahi dekhne…mai bilkul bhi teri inn aankho me aansu nahi dekh sakta" fir voh thoda rukkar kehta hai “aksh…mai nahi janta tha ki tu mujse pyaar karne lagi hai…par sach toh yeh ki mai tujse bahut pyaar karta hu…aaj se nahi..uss din se jab maine tuje pehli baar dekha tha…I love you Akshita..i love you so much aksh"

Akshita yeh sunte hi voh sam ke gale lag jaati hai..aur sam bhi akshita ko joro se apne gale laga deta hai…aaj dono ne hi apne pyaar ka izhaar kar diya tha…akshita vaise hi sam ke gale lage hue kehti hai “pagal..jab itna pyaar karta hai toh kyu khud ko mujse alag kar raha hai..kyu muje khud se dur karne me laga hua hai…hmmm..??”

Akshita ke puche hue sawal ka jawab sam ke pass nahi tha..yaa tha, par voh kya kahe use samaj me nahi aa raha tha, voh kese bataya ki uske dil ka haal kya hai, sam ke ese chup rehne par akshita fir se puchti hai “bolna…tu chup kyu hai"

Akshita ko khud se alag karte hue kehta hai “kya kahu aksh..kese kahu mai..??”

Akshita sawaliya bhari najro se sam ki aur dekhti hai toh sam kehta hai “mai voh sam nahi hu jise tu janti hai..mai tujse bahut jyada pyaar karta hu aksh..shayad yeh baat tu nahi jaanti..aur mai yeh kabhi nahi chahunga ki mai khud ko tujse alag karu..par mai majbur hai aksh, agar mai tere saath raha toh sirf tuje takleef pahuchegi..tuje hurt karunga…aur yeh mai nahi chahta, mai jaan gaya hu aksh ki yeh ladayi mere baski nahi hai…hum unhe nahi hara sakte..we can’t win…. agar mai tere saath raha..aur tuje kuch ho gaya toh mai khud ko kabhi maaf nahi kar paunga”

Akshita turant hi sam ke gale lag jaati hai “sam, yeh toh mai nahi jaanti ki hum unhe hara sakte hai yaa nahi..par ek baat mai bahut hi ache se jaanti hu..maine jisse pyaar kiya hai, jo mera sabse achcha dost hai use mai jaanti hu aur voh itni jaldi haar nahi maan sakta”

Akshita ki aankho me dekhte hue sam kehta hai “tuje itna bharosa hai mujpar..??”

Akshita bhi sam ki aankho me dekhte hue jawab deti hai “khud se bhi jyada, yaad hai jab team selection ke waqt sab mere against the..tab tune hi muje select kiya tha..uss waqt mai tuje jaanti bhi nahi thi..aur uske baad hamari team ne kabhi piche mudkar nahi dekha…hamari team sabse jyada kamiyab rahi..humne apne sare missions pure kiye, kyu..?? kyunki hamari team ke pass ek bahut hi acha leader hai”

Sam “yeh sahi nahi hai aksh…hamari team isliye hamesa kamiyab rahi hai kyunki tu har waqt mere saath thi..isliye mai apne sare missions ko pura kar paaya hu, par tune bhi dekha tha..tu khud bhi mere saath thi..tu jaanti hai ki uss raat ko kya hua tha, uss hadse se mai bahut hi jyada dar gaya hu…isliye nahi ki mai fight nahi kar sakta…mera darr unn logo se nahi hai…mai aajtak kabhi kisise nahi dara…life me first time muje dar lag raha hai, aur darr bhi kaisa, tuje khona ka darr..mai nahi chahta hai ki meri koi bhi galti ki vajah se tuje kuch ho”

Akshita “sam, hum ek esi jung lad rahe hai jaha har mod par kamiyabi nahi milti, yeh ek aisi fight hai jisme har mood par jeet nahi hoti…yaad hain tune hi kaha tha ki iss jung ko jeetne ke liye hume bahut si kurbaniya deni hogi”

Sam “haann…mai janta hu, yaad hai muje, par aksh..mai tuje khona nahi chahta”

Akshita “jab tak tu mere saath hai muje kuch nahi hone vala, aur naa hi mai tuje kuch hone dungi, voh bas ek haadsa tha sam..aur mai janti hu ki agar aisa kuch fir kabhi hua…toh tu muje kuch nahi hone dega, now please sam..let’s go, we need to get back to the bureau, hamari condition bahut hi kharab hai”

Tabhi ek message aaya, jo room me sunayi dene laga “sam, I know you want to quit, but iss waqt muje tumhari jarurat hai, yu samaj le ki yeh ek akhri mission hai”

Sam ne akshita ko hug karte hue kaha “we are coming sir”

Sam ki aankho me ek alag si chamak aagayi thi, usne akshita ke hotho par ek pyaara sa kiss kiya, akshita iske liye taiyaar nahi thi toh voh pyaar se sam ko marti hai aur fir voh sam ko hug karti hai

Thodi hi der me sam aur akshita dono hi kamre ke baahar aate hai, sam ke chehre par firse muskurahat dekhte hi sam ki mom samaj jaati hai ki ah sab thik hai

Sam ko dekhti hi uski mom aksh se kehti hai “thanks aksh, mai janti thi ki tu hi iss nalayak ko thik kar sakti hai”

Sam “haa mom, yeh toh aapne sahi kaha, aur ab muje toh ise puri zindagi jhelna hai”

Sam ki iss baat ko sunte hi akshita aur sam ki mom dono hi use ghurne lagi, akshita sam ko gusse me dekh rahi thi aur vahi sam ki mom sawaliya bhari najro se dekhte hue kehti hai “kya matlab..??”

Sam “we love each other”

Sam ki mom yeh sunkar khush ho jati hai aur voh akshita ko gale lagate hue “I am happy for both of you, toh yeh baat thi..isliye yeh Bandar kamre me band tha, tum dono ke bich jagda hua tha..??” aur voh akshita se puchti hai “aur tune toh kaha tha ki tuje sam ke ese behaviour ke baare me nahi pata hmmmm"

Akshita ki haal aisa tha ki kaanto toh khun nahi…voh sharam ke maare paani paani ho rahi thi..voh bina kuch bole bas niche dekh rahi thi, toh sam yeh dekhkar haste hue apni mok se kehta hai “nahi mom, jo aap soch rahi hai vaisa kuch bhi nahi hai, voh sab mai aapko vapas aakar bataunga...but right now, I need to get back to the bureau”

Sam aur akshita ne ab bina deri kiye sidhe bureu jaane ke liye nikal gaye..voh dono sam ki garage gaye aur vaha se sam ne apni jet bike li aur akshita uske piche baith gayi
Bike par baith te hi sam ne bike par 2 buttons press karke commands diye..jise accept karte hi bike hawa me lehrane lagi aur garrage ka gate open hote hi balcony se sam aur akshita vaha se nikal gaye

Sam ka ghar 150th floor par tha..aur raat ka waqt plus emergency hone ki vajah se uski bike kaafi teji se nikali thi..aur vahi raste me sam aur akshita kuch baate karte hai
Akshita ne sam ko piche se hug karte hue kaha “sam, tune muje pehle kyu nahi bataya..??”

Sam “kya nahi bataya..??”

Akshita “that you love me”

Sam “yaar, mai khud confuse tha, vaise toh mai jaanta tha ki mai tuje like karta yaalekin mai yeh tayy nahi kar paa raha tha ki mai tujse love karne laga hu, par jab uss ladki ko dekha tab ehsas hua ki hum dono ke bich sirf friendship nahi hai”

Akshita “bada aaya muje nahi pata vala, huh, aur fir yeh sab kya nautanki thi teri, bata toh muje"

Sam “kesi nautanki..??”

Akshita “vahi jo tu kar raha tha, mujse dur hoja bla bla bla"

Sam “aksh..mere dil me yahi dar tha ki agar meri vajah se tuje kuch ho gaya toh mera kya hoga..?? Bas isi dar ki vajah se maine khud ko tujse dur karna chaha..lekin jab tune muje aaj bataya ki tu bhi mujse pyaar karti hai…jo mai tere liye feel karta hu..vohi feeling tere dil me mere liye hai…toh fir mai tuje iss fight me akele kese jaane du..?? ab chahe kuch bhi ho jaye..mai hamesa tere saath rahunga..yeh mera promise hai, kyunki tu meri sabse badi taqat hai”

Akshita ne pyaar se uske kamar me mukka maara “pagal kahi ka, mai toh hamesa tere saath hu, tuje na ek di hona tab pata chale huh”

Sam “acha..kya dena hai hmm..?? Kissi ya fir huggy”

Akshita “kuch bhi nahi..besharam…chup chap aage dhyaan de"

Ese hi yeh dono baat karte hue bureu pahuch gaye, lekin bureau ke halaat dekhkar lag raha tha ki halat bahut hi jyada kharab hai, kyunki vaha par kaam kar rahe sabhi agents bahut hi jyada pareshan the
Unn agents ko dekhkar Sam sawaal karta hai “aksh, yeh sab kya hai..?? inn logo ke chehro se toh lag raha hai ki hamari condition bahut hi jyada kharab hai”

Aksh “I think, tuje yeh baat commander se hi sunni chahiye”

Sam bina deri kiye hue sidhe Head aur Bennet ke pass pahuch gaya aur Head se pucha “sir..baat kya hai..??”

Commander “sam, we lost everyone, ab sirf tum dono hi bache ho”

Sam aur akshita ek saath chillate hai “what..?? how..??”

Bennet “sam, pichle week ke compare me casualties bahut hi jyada high rahi hai..upar se yeh haadse itne jyada ajeeb hai ki muje kuch bhi samaj me nahi aa raha”

Sam ekdum se serious hote hue puchta hai “bennet, baat kya hai..??”

Bennet “tere yaaha se jaane ke baad..yaani ke iss ek hafte me Zorians ne hamari 60% team ko already khatam kar diya tha..aur baaki ki 40% team achanak se gayab ho chuki hai”

Bennet ki baat sunkar sam ko jatka laga, jatka isliye ki usne ek agent ke muh se aise baat suni thi jo ki impossible hai “gayab..?? kese..??”

Bennet “pata nahi, lekin jaha par Delta aur Bravo team thi, uss jagah se muje kuch ajib se energy signatures mile hai..aur jab tak mai uss energy ko trace karke study kar pau usse pehle toh voh energy hi gayab ho jaati hai, aur toh aur jabse maine uss energy ko dekha hai tabse hi hum apni dono hi team se contact nahi kar paa rahe hai”

Sam “nahi ho paa raha, matlab..?? aur baaki ki teams ka kya hua..?? Tune abhi yeh kaha ki hamari sari army khatam ho chuki hai..iska kya matlab hai..?? Aur tu itne yaakeen se kese keh sakta hai ki hamari puri army hi nahi rahi”

Bennet “ha sam, tune sahi suna..Zorians se ho rahi ladai ki sari report hume Delta aur Bravo team se milti thi, but ek week se unse koi contact nahi kar paa raha hu”

Sam “bennet contact naa kar paana aur army khatan hona, yeh toh koi reason nahi hua..maybe shayad connection problem ho”

Bennet “maine bhi pehle yahi socha tha, lekin jab kisi se contact nahi hua toh maine traffic cams ki madad li, aur muje yeh mila..”
Aur usne ek traffic cam ki footage chala di

Room ke bicho bich ek badi si transparent screen me voh clip dikahyi dene lagi, uss clip kp dekhkar Sam aur Akshita ke chehre par bahut sare bhaav ek saath aaye

Sam apne baalo ko khujate hue bennet se sawal karta hai, jese ki bennet ne uske saath koi majak kiya ho “bennet, yeh majak ka time nahi hai”

Bennet “mai majak nahi kar raha, bravo aur delta team ko inhone hi khatam kiya hai”

Yeh sunkar sam aur akshita ek dusre ke chehre dene lage, aur fir dono ne apni najar firse uss transparent screen ki aur ghumayi aur dono hi ek saath chaunkte hue bole “DINOSAURS”

To be continued…
Dinosaurs kaha se aa gaye bhai mast update hai sam aur akshita ki kiss bhi karwa di tumne aur sam ne toh apne mom ko bhi bol diya ki main akshita se shadi kar raha hu but ek baat samjh nahi aayi sam garage gaya waha se bike li garage ka darwaja khula aur bike balcony se kaise nikal gayi
Baki WATING NEXT
 
Milan2010

Well-Known Member
4,809
3,582
159
Sam Mayank nhi ho sakta...suppose kar liya ki dusre dimension mai life span high ho but dead ones can't be alive in future at any cost..mayank yani manthan ke mom dad uske dimension mai bachpan mai hi guzar gye the...so ye possibility to nhi ho sakti ....
Dusre dimensnion me mtlb ki dusri earth
Toh dusri earth pr yoh manthan ke mom dad jinda the

Anyways saath bane rahiye bhai :dost:
 
Milan2010

Well-Known Member
4,809
3,582
159
Dinosaurs kaha se aa gaye bhai mast update hai sam aur akshita ki kiss bhi karwa di tumne aur sam ne toh apne mom ko bhi bol diya ki main akshita se shadi kar raha hu but ek baat samjh nahi aayi sam garage gaya waha se bike li garage ka darwaja khula aur bike balcony se kaise nikal gayi
Baki WATING NEXT
Bhai sam unchi building me rehta hai...aage samaj jaoge

Aur dinosaurs kaha se aagaye voh toh mai bhi nahi janta...khud unhi se jaakar puch lo :D

Anyways :thanks: bhai :dost:
 
Milan2010

Well-Known Member
4,809
3,582
159
Update : 4 (Dinosaurs)

Time : 2 Days Ago, 1:00 AM
Location : Coronal City

City..yaani sapno ki duniya, jise hum seher bhi kehte hai….aur “CITY" yeh shabd sunkar hamare dimag me ek chavi ubhar aati hai..unchi unchi imarte..badi aur chaudi sadake aur bhagdaud bhari zindagi
Aur esi bhagdaud bhari zindagi me log naa din dekhte hai aur naa hi raat….bas seher ki kathputliya bankar reh jaate hai..subah hote hi nikal pade ghar se kaam par, aur kaam khatam hote hi vapas ghar

Lekin iss bhagdaud bhari zindagi me bhi insaan khud ke liye aur apne dosto ya family ke liye thoda waqt nikal hi leta hai….aur log akshar raat ke samay hi bahar nikalte hai..aur yahi vajah rehti hai ke seher me raat ka waqt me bhi din jaisa lagta hai

Iss waqt raat ke karib 1 baj rahe the aur coronol city ke halat kuch alag hi bayaan kar rahe the..kyunki naa toh yaha par koi roshni thi aur naa hi koi shor sharaba..vaha kuch tha toh voh sirf channata, ghor sannata…aur aisa saannata tabhi hota hai jab yaa toh koi bahut hi bada toofaan aane vala ho ya toh kuch bahut hi bura ghatit hua ho

Aur coronal city me hua bhi toh kuch aisa hi tha..seher ki halat bahut hi jyada kharab thi..ya yu kahu ki yeh ek seher naa hokar kabristan bann chuka tha..jaha bhi najar pahuche vaha par bas khoon aur laashe dikhayi de rahi thi

ek waqt tha jab yaaha par ek hasti hui duniya hua karti thi, chahe rat ho ya din..akshar logo ki chehal pehel lagi rehti thi…aur raat ke waqt sadke roshniyo ne jagmaga uthti thi…lekin aaj, yeh coronol city ek jang ka maidan ban chuka tha..pichle kahi mahino se ho rahi ladayi ne iss dhadakte hue seher ko tabaah kar diya tha..kuch reh gaya ho toh voh tha buildings ka malba aur inn malbo me giri hui laashe

Lekin…yeh seher ki halat sabse jyada pichle hafte bigdi..anginat baar zorians aur insaan ke bich me khoon ka khel khala gaya..aur jo seher bacha hua tha voh use zorians ne malbe me tabdil kar diya tha..aur usi malbo par insaan ka laal khoon chikh chikh kar uss tabahi ko bayaan kar raha tha

Thand ka mausam ho aur saath me jab dheere dheere hawa beh rahi ho toh mann ko sukun milta hai…lekin jab mausam ki yahi hawa agar aapke mann ko darana chalu kar dena toh yeh khatre ki nishaani hoti hai

Earth’s special force ki army ke team leaders iss waqt ek ardh tuti hui building ki add me chupkar kuch baate kar rahe the

“sir, aapko kya lagta hai, Zorians se hum log kabhi jeet payenge..??”

“John, zorians ke jeetne ka matlab hai apni earth ko alwida kehna, aur yeh hum kabhi hone nahi de sakte”

“mai janta hu sir, lekin pichle 5 din me humare aadhe se jyada log maare jaa chuke hai, hamari ammunition almost khatam hone par hai”

“john, ladayi ka matlab armory aur numbers se nahi hota, toh kya hua ki hum unki taadat ke aage bahut kam hai, lekin hamare pass better option hai, hume unki kamjori ko apni taqat bannani hogi..and earth hamara ghar hai..chahe kuch bhi ho hume hamare ghar ko har haal me bachana hoga”

“yahi toh problem hai sir, Zorians ki koi kamjori nahi hai”
inn do logo ki baato ko bich me hi rokte hue ek naya shaks aakar kehta hai jiske saath aur bhi 5 log the

“Shane..aisa toh ho hi nahi sakta, I mean yeh mai achche se janta hu ki Zorians hum logo se bahut hi jyada powerful hai, lekin har kisiki koi na koi kamjori toh jarur hoti hai, bas hume uss kamjori ko dhundna hai”

John “sir, mai shane ki baat se sehmat hu..we don't have any options kyunki zorians iss universe ki ek aisi race hai jinki koi kamjori nahi hai”

Voh pehle vala shaks jise sab sir keh rahe hai voh shane ki aur dekhte hue ek sawaal karta hai “Shane..tu itne yakeen se kese keh sakta hai..??”

Shane baith te hue bolta hai “yaar, hum pichle 6 mahino se Zorians se lad rahe hai, lekin hamari casualties unse kahi jyada hai, hum unke najdik tak nahi jaa paate”

Sir “shane..casualties ko lekar hum yeh toh nahi maan sakte na ki zorians ki koi kamjori hi nahi hai..kuch toh hai jo hum bhul rahe hai”

John kuch sochte hue “sir…muje ek baat bahut hi ajeeb lag rahi hai, pata nahi jo mai soch raha hu voh sahi hai yaa galat hai"

Sir “kya baat hai john..??”

John “sir..aapko yeh ajeeb nahi lag raha, I mean ke zorians humse itne jyada powerful hai, voh chahe toh hume asani se khatam kar sakte hai..par fir bhi voh sirf din ke waqt hi ladayi karte hai…aur raat ke waqt voh log sab apne apne ships me vapas chale jaate hai"

Shane “haa yaar, yeh toh mai bhi soch raha hu, zorians ki taqat hamare sun ki roshni se aur bhi nadh jaati hai..par kuuch toh aisa jarur hai jo unhe raat ke waqt ladayi karne se rokti hai"

Sir “nahi yaar, muje nahi lagta ki unhe din yaa raat se koi farak padta hai...baat kuch aur hi hai, aur hume vahi dhundhna hai ki aakhir voh aisa kyu kar rahe hai"

Shane “hmm..yeh baat toh hai sir, kyunki raat ke waqt agar voh chahe toh hume palak japakte hi khatam kar sakte hai..kyunki raat ke waqt saare Zorians apne space me rehte hai aur unn sabpar Zorians ki MotherShip ki najar hoti hai, jo outer space se bhi 100% accuracy se hamare sabse powerful missilies ka khaatma kar sakti hai”

Sir “aur yeh naa bhule ki din me unke Giant robos ko humari missiles aur hamari technology kaffi takkar de rahi hai..toh jahir hai maintenance toh karna hi hoga, ya fir naye robos ka mfg karna..yeh sab raat ke waqt hi possible ho sakta hai"
thodi der rukka voh kehta hai “hume, bureau ko casualties ke bare me inform karna hoga”

John “hum inte kamjoor, itne laachar ho jayenge yeh maine sapne me bhi nahi socha tha, coronal city destroy hone ki vajah se hum direct contact bhi nahi kar paa rahe”

Shane “aur toh aur hume bureu me contact karne ke liye bravo aur delta team ki madad leni pad rahi haim..jo karib yaha 200 km dur hai”

Lekin aaj itna kaafi nahi tha, kuch aur bhi bura hona baaki tha..kyunki yeh toh bas ek shuruwat thi, tabhi achanak se vaha par daute hue ek aadmi aaya aur joro se hanfte hue bolta hai “sir, ek buri khabar hai”

Leader “haa bolo cadet, baat kya hai”

Voh hanfte hue kehta hai “sir, bravo aur delta team..voh ab nahi rahi”

Yeh khabar sunkar sabhi log apni jagah se khade ho jaate hai, aur sabhi log uss shaks ki aur dekhne lagte hai
Shane “how..?? kaise..zorians, inki toh..”

Cadet ne shane ki baat ko bich me hi rokte hue kaha “sir, yeh kaam zorians ka nahi hai”

John sawaliya bhari najro se puchta hai “zorians ka nahi hai..?? Matlab..??"

Cadet “sir, hamara cadet jo bravo team se contact karne ke liye gaya tha..voh vapas aagaya hai..par uski haalat bahut hi jyada buri hai, filhaal toh voh behos hai..par usne aate hi muje yeh khabar di"

Shane “kya bataya usne..??”

Cadet “karib shame ke 6 baj rahe honge, zorians se hamari ladayi chal rahi thi..aur tabhi achanak se kahi saaree jeev vaha par aagaye..dikhne me vishal par ajeeb se, aur aate hi unn jeevo ne sabko marna aur kuchal na shuru kar diya..aur unhone sirf hamari army ko hi nahi…zorians tak ko nahi choda"
voh saans lete hue kehta hai “uss jeev ne vaha maujud har ek zorians ko khatam kar diya..aur sabse badi baat yeh hai ki unke robots unke weapons bhi kaam nahi kar rahe the"

Shane “yaar, yeh kya chiz ho sakti hai..?? Iss tarah ke jeev ke baare me toh maine aajtak nahi suna"

John “kya koi Zorians se bhi jyada taqatwar hamari earth par aaya hai..??”

Lekin isse aage kuch aur baat hoti uske pehle hi unhe lasers guns aur missilies ki awaaze sunayi dene lagi, John “yeh ho kya raha hai..?? Zorians..raat ko..??” aur bas voh sab bhi uss building se bahar aagaye aur bahar aate hi unn sabhi ki aankhe khuli ki khuli reh gayi

Jese hi yeh sab bahar aaye unhone dekha ki 2 bahut hi bade vishal jeev unke aadmiyo ko kachcha chaba rahe hai, laser guns ka unnpar koi asar nahi ho raha tha, aur yeh dono jeev ki unchayi Zorians ke Powerful Androids se bhi kahi jyada bade the

Leader “dammit, dinosaurs, par kese..??”

Leader ki baate sunkar baaki ke saare log chaunk jaate hai, kyunki dinosaurs ke baare me itna toh jante the ki voh jeev hamari pruthvi se kaafi saalo pehle hi jaa chuke hai

Shane “yeh dinosaurs kese ho sakte hai”

Leader “I don’t know, but we must stop them, agar aisa hi raha toh hamari puri army kuch hi mins me khatam ho jayegi”

Back to Present
Location : Bureau, MediTown Dessert

Yeh sunkar sam aur akshita ek dusre ke chehre dene lage, aur fir dono ne apni najar firse uss transparent screen ki aur ghumayi aur dono hi ek saath chaunkte hue bole “DINOSAURS”

Yeh ek aisa shabd tha jo sirf movies me sunai deta tha, par aaj halat kuch alag the, jese hi Bennet ne Dinosaurs ka jikar kiya vaha maujud har kisi ka dimag sunn pad gaya, kyunki Dinosaurs jesi cheez ka apni aankho se dekhna..voh bhi 31st century me impossible tha

Sam “yeh nahi ho sakta, I think you are joking”

Akshita bhi haste hue “haa, dinausours ko mare hue laakho saal beet chuke hai voh kese aasakte hai”

Lekin sam ki najar jab Commandar par padi toh uski hasi achanak se gayab ho gayi, aur thoda serious hote hue bola “but how..??”

Bennet “yeh baat hi toh samaj me nahi aa rahi”

Sam “aliens..??”

Bennet “nahi sam, muje nahi lagta ki yeh Zorians ne kiya hai”

Sam “yeh tu kese keh sakta hai, yeh tu bhi janta hai ki Zorians kya kar sakte hai”

Bennet “sirf mai hi nahi, yeh har ek shaks janta hai ki Zorians kya kar sakte hai, but Zorians were also missing, yeh jo bhi chiz hai..chahe dinosaurs ho ya koi aur alien, inhone Zorians ko bhi nahi choda”

Akshita “are you sure bennet ki yeh kaam issi dinosaurs jese dikhne vali cheez ka hai..??”

Bennet haa mein apna sar hilata hai “haa akshita, I am damn sure ki yeh dinosaurs ka hi kaam hai, kyunki maine thermal images ki madad li thi, dinosaurs ne hamari team ke saath saath Zorians ko bhi khatam kar diya hai”

Sam “kab hua yeh sab..??”

Bennet “do din pehle”
saans lete hue “Bravo Team aur Delta Team Zorians ke 50 androids aur unki fauz se lad rahi thi, thik uss waqt 10 dinosaurs achanak se vaha aagaye aur unpar hamla kar diya”

Sam “what about the Charlie team”

Bennet “Charlie team pichle ek hafte se Coronal city me thi, aur coronal city iss waqt puri tarah se tabah ho chuka hai..aur iss vajah se hum Charlie team ka contact nahi kar paa rahe the, lekin Bravo Team ko as a medium bana kar unse contact kiya jaata tha..but bravo team ke jaane ke baad charlie team se bhi contact tut chuka hai, and I think Charlie team were down too, because muje vaha par ek bhi heat signature nahi mil raha, thermal images are totally blank”

Bennet ki yeh baat kisi dhamake se kam nahi thi, Sam aur Akshita bhi shocked ho gaye the, kabhi ek dusre ke chehre dekhte toh kabhi uss screen ki aur najar karte jisme dinosaurs insaano ko kacha hi nighal rahe the
Sam gusse me apna haath desk par marta hai “what the f**k”

Sam “Bennet, muje har ek report chahiye, choti si choti baat bhi nahi chutni chahiye, muje exactly janna hai ki vaha par aakhir ho kya raha tha”

Bennet khus hote hue “so..that means, you are back on the team”

Akshita ki aankho me dekhte hue sam bola “yup, sorry I was gone for so long, but now I am back” aur usne apne haath ke panje ko mutthi bana diya

Bennet “let’s do it bro” aur voh tino vaha se ek alag room me chale gaye aur vahi commander unn teeno ko dekhte hue halke se mukurane laga

Location : MediTown se karib 250 km dur
Time : 10:00 PM

“aaaaahhhhhhhh” ek ladka langdate hue chal raha tha, chehra pura khoon se latpath tha, aur uski aankhe muskil se khulli hui thi..mathe par baal ya yu kah ki chamdi nahi thi, aur vaaha se khoon fuanre ki tarah beh kar chehra par gir raha tha, uss ladke ka dard uske chehre par saaf dikha jaa raha tha, lekin fir bhi usne abhi tak himmat nahi haari thi

Voh ladka ladkhadate hue vahi par gir gaya, uski aankho ke samne voh tasweere thi jo usne abhi kuch pal pehle dekhi thi, unn tasweero ke alawa uske dimag me aur bhi bahut si baate chal rahi thi..kyunki usne abhi jo kuch bhi dekha tha voh ek bhram ke alawa kuch nahi ho sakta tha..par darasal voh ek sachayi thi jo insaan ke dimaag ke samajne ke bahar thi

Uske mann me yahi baat chal rahi thi “muje yeh head-quarters ko inform karna hi hoga, par kya voh meri yeh baat manenge..?? kyunki meri inn baato ka koi vajuud hi nahi hai, ek dum behuniyad baate hai, shayad yeh mera bhram hai aur kuch nahi”

Lekin fir bhi uska dil tha jo baar baar keh raha tha ki usne abhi abhi jo kuch bhi dekha voh sach tha “lekin kuch toh ajib tha..?? par kya..?? sabse bada sawal toh yeh hai ki aisa kese ho sakta hai..?? ek pal pahle hum unn aliens se lad rahe the, aur agle hi pal..” voh khud se baate kiye jaa raha tha “mere pass aisa koi proof nahi hai, jiski madad se mai unhe yakeen dilwa saku ki maine jo dekha voh sach tha”
Lekin shayad ab uski zindagi ka saath yahi tak tha, achanak se use ek badi ichki aayi aur usne vahi par apna dum tod diya

Back to HeadQuarters

Achanak se bennet ke side vali screen par ek pop-up aaya, jise dekhkar “sam, come here..fast”

Sam ke saath akshita aur commander bhi aagaye, aur aate hi sam bola “kya baat hai bennet”

Bennet “achanak se ek heat signature detect hui hai, I think charlie team ka ek soldier vaha par abhi bhi maujud hai”

Akshita “that’s good news, try to contact with him”

Bennet “hum usse contact hi toh nahi kar sakte”

Akshita “tumne traffic cams try kiye..??”

Bennet “voh already destroy ho chuke hai”

“signal lost” ek awaaz headquarters me gunj uthi, jise sunkar Sam jor se chillata “damn it”

Kuch der vaha par ekdum sannata ho gaya, aur uss chupi ko todte hue akshita kehti hai “sam, kya sach me hamari duniya me..Dinaosours hai..??”

Sam naa mein apna sar hillate hue kehta hai “nahi aksh, dinasuours jesi koi chiz nahi hoti, kyunki unhe gaye hue laakho saal beet chuke hai, and I can proov that ki yeh dinosaurs nahi balki yeh Zorians ka kaam hai”

Commander “tum itna sure kese..??”

Sam “simple si baat hai sir, bravo team par hamla 2 din pehle hua tha, Charlie team ke heat signatures bhi 2 din se gayab hai, aapko yeh kuch ajeeb nahi lag raha"

Head “ajeeb..??”

Sam “sir..agar dinosaurs ne hamari army ko mara hai..toh jaahir hai ki unki dead bodies toh vahi par hogi..aur kisi bhi dead body ka heat signature do din me blank ho jaana..yeh impossible hai"

Bennet “yeh baat maine pehle kyu nahi sochi, shit”

Sam “aur rahi baat dinosaurs ki..agar voh sach me hamari earth par hai…toh kaha hai voh..?? Agar unhone hamari army ko 2 din pehle maara tha..toh unke heat signatures hamari system pr kyu nahi dikhe..?? Aur inn 2 dino me hume kahi par bhi dinosaurs nahi dikhe, yaa kisi aur jagah se hume dinosaurs ke baare me koi news nahi mili”
voh thoda rukkar “mere bas 2 hi sawal hai, agar hamari team ko sach me dinosaurs ne khatam kiya hai toh pichle 2 din se dinosaurs kaha hai..?? Aur mai yeh maan bhi lu ki yeh kaam dinosaurs ka hai..toh voh hamari aur zorians ki ladayi ke bich me kaha se aagaye..??” voh gehri saans lete hue kehta hai “sir, aapko yeh baate ajib nahi lagti, agar dinosaurs sach me yaha hai, toh humse chupe hue kyu hai..?? kyu unki heat signatures bhi hume nahi mil paa rahi..?? kyunki reason bahut hi simple hai..yeh bas Zorians ki ek chal hai, nothing else”

Bennet kuch sochte hue “okay sam, teri baat me dum hai, you are 100% right, but ek cheez bahut hi ajeeb hui hai”

To be continued…
 
PARADOX

ଗପ ହେଲେ ବି ସତ
6,068
3,428
189

kya update hai bro :applause: dimag me abhi bhi dinesoures ghum rahe hain.
tujhsi great ho:adore:
 
  • Like
Reactions: Milan2010

King Aryan

Active Member
1,807
1,826
143
Superb & Amazing Update
 
  • Like
Reactions: Milan2010

King Aryan

Active Member
1,807
1,826
143
Waiting For Next Update
 
King Aryan

Active Member
1,807
1,826
143
Waiting For Next Update
 
Top