• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Sci-FI StRanGe WoRLd : APOCALYPSE

Which part is better in Strange World Series? (strange world series ka konsa part behtar hai?)

  • Total voters
    22

Milan2010

Well-Known Member
4,809
3,582
159
Beautiful update brother na keval kahani balki wo sari bate to aaj ki sacchai hai ,in sabhi bato ko bahut acche se dikhaya h aapne
:thanks: Anky@123 bhai :dost:
haa bhai, bas vahi toh mai chahta tha ki log samaj paaye ki asal me ho kya raha hai
:thanks:
 
  • Like
Reactions: Rahul and Anky@123

Milan2010

Well-Known Member
4,809
3,582
159
Superb update :thumbup:
Ab sab log jaayenge doctor avishkar se milne... Uske baad shayad kuch aur samajh payein ye sab ki aage kya karna hai.... Ek bahut hi mushkil ladayi ladni hai inhe, dekhte hain kya kya hota hai uss ladayi mein... Intjar rahega agle update ka :dost:
:thanks: Devraj007 bhai :dost:
haa aapki yeh icha aaj jarur puri ki jayegi bhai :dost:
 
  • Like
Reactions: Rahul

Milan2010

Well-Known Member
4,809
3,582
159
Update : 35 (Game of Time)

Jese jese mai CDC lab ke karib pahuch raha tha mere dil ki dhadkan badhti jaa rahi thi, isliye nahi kyunki vaha par tabahi apne charam thi balki isliye kyunki yanha par maine apna sab kuch khoya bhi tha aur apna sab kuch paaya bhi tha
Yeh kambhakt zindagi bhi kesi ajeeb hai..jiss haath se lete hi usi haath se deti hai, aise kitne log hote honge jo maut ko chukar bhi vapaas aajate hai, apne khoye tak vapas mil jaate hai, aakhir me yeh waqt chahta kya hai

Yeh sochte hue mayank apne dosto ke saath aage badh raha tha, Particle accelerator aur Zorians ke dwara ki gayi tabahi ki vajah se yeh jagah kachre aur malbo ka ghar ban chuka tha, akshar yeh dekha gaya hai ki esi jagaho par insaan nahi rehte..lekin yanha toh insaan toh thik dur dur tak koi parinda bhi najar nahi aa raha tha
Pari ne mayank ka haath pakadte hue pucha “manthu, yaha toh kuch bhi nahi bacha hai”

Pari ki baat sunkar mayank apne vicharo mese baahar aata hai aur uski najar samne pade malbo par jaati hai, jise dekhkar voh ektak uss jagah ko dekhte rehta hai, pari ne mayank ki najro ka picha kiya aur uss jagah ko dekhte hue kehti hai “yahi par tune mujse vaada kiya tha ki tu muje kabhi nahi bhulega..mai hamesa teri first priority rahungi”

Pari ki awaaz sunkar mayank ki aankhe bhar aati hai, aur voh pari ke haatho par apni pakad majbut karta hai jese voh pari ko yeh ehsaas dila raha hai ki voh apni baat aaj bhi nahi bhula
Fir voh dono bina kuch bole vaha se chalte hue thode aage jaane lagte hai ki tabhi Akshita puchti hai “koi aisi jagah par kyu rehna chahega”

Mayank “agar jo maine socha hai aur yeh sach hai toh voh yahi hoga”

Pari “lekin manthan, yanha par toh koi bhi nahi dikh raha”

Mayank ne halki si muskurahat dete hue “yahi toh alag baat hai hum jese pagal scientist ki, pipe line jameen ke andar hai, aur voh yahi hai” usne haath se ek ishara karte hue kaha

Mayank ka ishara paate hi voh sabhi log najar uss taraf karte hai jaha unnse thodi hi doori par CDC lab ke piche vali imarat dikhayi dene lagti hai..mayank chalte hue uss dewaar me maujud ek gate ke pass gaya aur uss gate ko kholne ki koshish karne laga

Yeh dekh Sam, Manthan aur Pathik bhi uski madad karte hai aur badi muskil se voh uss gate ko khol paate hai, gate kholte hi unki najar CDC ki tuti hui lab ki dewar par jaati hai..ek lamba sa galiyaara unhe dikhayi deta hai jaha par dher saara kachra aur malba pada hua tha..galiyare ki deeware bhi kaafi had tak tut kar bikhar gayi thi

Siddhi-2 “kya yaha jaana surukshit hoga..??” usne samne ke najara dekhte hue pucha

Mayank “haa siddhi, yeh jo abhi hum dekh rahe hai yeh CDC lab ka upar ka hissa hai, kuch der pehle jaha mai ruk gaya tha vaha ke haalat isliye itne kharab the kyunki voh dhamaka vahi par hua tha..aur abhi jo hum dekh rahe hai yeh sab Zorians ki vajah se hai..lekin zameen ke niche jo pipeline banayi gayi hai voh itni majboot hai ki voh asani se todi nahi jaa sakti, kyunki tachyons se kya nikalata uska andaza hummese kisiko nahi tha..isiliye humne particle accelerator ke explosion ko dhyaan me rakhte hue uska design banaya tha..so it’s safe to go there”

Mayank uss galiyare me sabse aage chal raha tha, kuch der chalne ke baad yeh sab pipeline ke andar jaane vali sidiyo ke pass pahuch gaye the, mayank torch nikalkar on karte hue unn sidiyo se hote hue niche utar gaya..use dehkte hue baaki sab log bhi uske piche niche pipline me aajate hai

Mayank ne torch ko samne ki aur karte hue kaha “voh raha andar jaane ka rasta”

Gate ke pass me ek lever laga hua hai lekin itne din band rehne ki vajah se usme jang lag gaya tha, iss lever ko operate karne me Mayank ko kaafi time lag jaata hai, lekin voh bina haar maane uss lever ko operate kar deta hai aur uss darwaaze ko kholte hue sabhi log andar chale jaate hai
Andar jaate hi unn sabhi ke dil ki dhadkan thodi si badh jaati hai, kyunki andar ka maahool hi aisa tha, ek lamba sa galiyaara dono taraf faila hua tha..aur uss galiyare me andhkaar ke alawa aur kuch nahi tha, aur shor ka maano naamonishaan nahi tha, aur awaaz ke naam par sirf inke padte kadam ki ho rahi thi

Galiyaare me roshni ka ekmatr jariya ab sirf Mayank ke haath me rahi torch se nikal ki roshni ka..lekin voh bhi thoda dur jaate hi uss andhere me kahi ghum ho jaata..mayank baar baar apni torch se daaye baye dekh raha tha..aisa prateet ho raha tha maano voh iss andhere me bhi kuch dhund raha hai..aur use voh cheez bhi dikhayi de jaati hai

Mayank chalte hue thoda side me aaya aur usne kuch levers operate kiye aur dekhte hi dekhte uss pure galiyaare me roshni fail jaati hai, Akshita ne “yeh tune kese kiya..??” achanak se hui pipeline me lights ko dekhte hue usne mayank se sawal kiya

Mayank “mai yanha par kaam kar chukka hu..so muje iss pipeline ke baare me thoda bahut pata hai”

Akshita “toh ab kaaha jaana hai” usne lambi saans lete hue pucha

Mayank kuch sochte hue apne left side ishara karte hue uss aur jaane laga, “tu itna sure kese hai ki voh vahi par hoga..i mean yeh jagah bahut badi hai, voh kahi bhi ho sakta hai” pathik ne uske piche chalte hue sawal kiya

Mayank “tachyons ko jis kamre me rakha gaya tha, time-travel karne ke liye usse behtar jagah aur koi nahi ho sakti”

Kuch der ke baad voh sab ek band kamre ke samne aajate hai, lekin voh room lock tha, Sam use kholne ki koshish karta hai lekin voh use khol nahi paaya

“tuje kya lagta hai yeh darwaaza itni aasani se khulega..??” aarav ne sam ko mehnat karte dekh sawal kiya

“agar yeh itna aasaan hota toh ab tak kisi na kisi ko toh Doc Avishkar ke baare me maalum ho jaata” pathik ne aarav ka saath dete hue kaha

“iss darwaaze ki security CDC lab me rahi security se sabse best hai, ise tod paana impossible hai, kyunki isi darwaaze ke piche tachyons particles ko store kiya jaata tha..yeh itni asani se nahi khulega” mayank ne sam ko prayas karte dekh kaha

“damm it” sam apne haath ko uss darwaze par pachadte hue kehta hai “agar hum iss darwaaze ko tod nahi sakte toh yanha aane ka faiyda hi kya hua..??” usne halke gusse se kaha

Mayank “maine yeh kab kaha ki hum iss darwaaze ko todenge, ise todana aasan nahi hai..lekin hum ise khol jarur sakte hai”

Akshita “how..??”

Mayank kuch sochte hue uss kamre ke gate ke pass gaya, aur ek jagah par apna haath rakha, toh uss jagah deewar mese hi ek roshni ubhar kar baahar aayi jisne mayank ke pure haath ko scan kiya
Achanak se ek awaaz vanha par gunj uthti hai “DNA matched, please enter the password”

AI ki awaaz sunkar mayank ke chehre par ek pal ke khushi jhalak aayi thi, lekin use password ke baare me kuch pata nahi tha, voh apne mann me sochne laga “ab password kya hoga..?? think manthan think, kuch toh hona chahiye” vo apne dono haatho ko apne sar par rakhkar sochne laga

Mayank ke aisa karte dekh sabhi ko ehsaas ho jaata hai ki mayank password ke baare me nahi jaanta, Aarav “ab hum kya kare..?? agar password nahi mila toh hum kabhi andar nahi jaa payenge”

Aarav ki baat sunkar mayank ne uski aur dekha, fir ekak uski najar apni watch par gayi, aur usne turant hi Gideon ke bahar bulaya…uss watch mese ek hologram bahar aaya aur mayank ne use deewar se aarahi roshni ke samne rakha
Aisa karne par kuch waqt ke liye sabkuch shant raha lekin ekak uss deewar mese ek roshni bahaar aayi jisne mayank ki watch ko kuch pal ke liye scan liya aur “ID No. ML2005, Series Operator Gideon..Owner Manthan Shah” fir kuch der ke liye firse vaha sannata chaa gaya aur “Identity Confirmed..access granted” ki awaaz aate hi voh darwaaza apne aap khul jaata hai

Siddhi “yeh abhi abhi kya hua..??”

Mayank “pehle mera DNA check hua, aur password ke liye Gideon ka mere sath hona jaruri tha, bas use scan karte hi yeh apne aap unlock ho gaya”

Siddhi “iss tarah security hamare earth par nahi hai” uske baad yeh sabhi log uss kamre ke andar chale jaate hai

unke jaate hi ek awaaz unn sab ke kaano me gunti hai “jo koi bhi hai chale jao, I said get out”

Sam apni laser gun nikalte hue apne charo aur dekhne laga, room ke andar andhera hone ki vajah se kuch saaf dikhayi nahi de raha tha, halki halki roshni pipeline se toh aa rahi hai lekin voh bhi andar kamre me aakar ojhal ho jaati hai, tabhi room ke dayi side se unke samne ek aadmi haath me pistol liye aaya “I said get out from here”

“it’s me sir, it’s manthan” kehte hue mayank uske samne aa jata hai

Andhere ki vajah se shayad doc avishkar mayank ko thik se dekh nahi pa raha tha, isliye Mayank apni watch par kuch buttons dabate hue kehta hai “Gideon, is it working”

Gideon “yes sir”

Mayank “good, then turn on the lights” aur uske itna kehte hi uss room ki saari lights ON ho jaati hai

Manthan ko ese apne samne khada dekhkar doctor avi kuch pal ke liye chaunk jaata hai, use viswaas nahi ho raha tha ki koi markar bhi kese uske samne aa sakta hai, Gideon ki awaaz sunkar aur manthan ke samne hone ko voh juthla nahi paa raha tha, voh yeh jaan gaya tha ki yeh usi ka student manthan hai lekin uske dimaag me yeh sawaal aana lage ki yeh sach kese ho sakta hai

“no no no, yeh..yeh sach nahi ho sakta, mai pagal ho raha hu..haa pagal, nahi..nahi..nahi, tu manthan nahi hai..yeh mai I don’t know” voh apne aap se hi badbadate hue thoda side me gaya ki uski najar piche khade manthan aur Paridhi par padi

Avi kabhi manthan ko dekhta toh kabhi mayank ko dekhta, kyunki 1.5 saal me pehli baar aaj voh kisi insaan ko apni aankho se dekh raha tha, lekin dekha bhi toh kya..uske samne ek nahi balki do humshakal dikhayi de rahe the

Mayank chalte hue uske pass aaya “sir, shant ho jaiye yeh mai hi hu, aapka student, Manthan”

Lekin avi usko dekhkar darke maare do kadam piche chala jaata hai “nahi nahi nahi, yeh sach nahi ho sakta, mai jarur pagal ho raha hu, kk..kkaaunnn hai tu, manthan ki maut ko mene apni aankho se dekha tha, who the hell are you”

Mayank “nahi sir, mai kabhi mara nahi tha, mai hamesa se jinda hi tha..bas yanha nahi tha”

Avi “kya matlab hai tera..??” voh haklate hue puchta hai

Mayank “pehle toh aap shant ho jaiye” voh avi ko side me baitha te hue kehta hai

Avi “manthan ka koi judwa bhai nahi tha, fir tum dono kese” Voh aage nahi bol paata aur ektak mayank ko dekhne lagta hai

Mayank “hum dono judwa nahi hai, we are dopplegangers”

Avi “impossible, multiverse jesi koi bhi cheez reality me exist nahi karti”

Mayank “sab kuch ho jaane ke baad bhi, aapko sach me yeh lagta hai ki..” voh bolte hue ruk jaata hai

Ek pal ke liye avi chaunk jaata “agar tu sach me manthan hai, toh kuch aisa bata jo sirf hum dono hi jante hai”

Mayank haste hue kehta hai “tachyons hi time-travel karne ka rasta hai, aur Gideon ka master control aapne sirf muje diya tha, jiska ID no. hai ML2005”

Mayank ki baat sunkar avi ko vishwaas ho jaata hai ki samne baitha shaks usi ka student Manthan hai, voh ab khud ko rok nahi paata aur uske gale lagkar rone lagta hai “I am sorry manthan, I am really sorry”

Mayank bhi kuch der ke liye use rone deta hai aur fir use alag karte hue “sir, jo hua use hum badal nahi sakte..lekin jo ho raha hai use hum rok jarur sakte hai”

Avi “uss raat ko maine tuje apni aankho se marte hue dekha tha, voh dhamaka thik tere samne hua tha..fir tu..” voh ruansi awaaz me sawaal karta hai

Mayank “nahi sir, voh dhamaka mere samne nahi..balki voh dhamaka mai khud tha, aur usi dhamake ki vajah se mai zinda bacha hu”

Avi “uss range ke dhamake se bachna impossible hai”

Mayank “sir, har baar aankho se dekhi hui ghatna sachchi nahi hoti, insaan ki aankhe akshar dhokha khaa jaati hai..maana ki uss range ke dhamake se bachna impossible tha..but somehow mai bach gaya aur ek alag hi dimension me pahuch gaya, voh jagah koi aur nahi balki EARTH-1 hai”

Avi “how..?? tune dimension travel kese kiya..??”

Uske baad mayank apni kahani shuru se lekar ant tak sabkuch bata deta hai “aur sir, mai yeh bhi jaanta hu ki uss hadse ke baad aap hi ne time-travel kiya hai, so please tell me exactly aapke time-travel me hua kya tha”

Avi “matlab ki yeh jo kuch bhi ho raha hai, yeh sab kuch meri hi vajah se ho raha hai, maine hi time-travel karke anjaane me hi sahi lekin maine hi time ko tod diya” voh ekdum se niraash hote hue bola “ab muje samaj me aa raha hai ki mai apna ateet kyu nahi badal paaya..tere iss dimension travel aur time-wraith ki ladayi ko maine anjaane me rokne ki koshish kari, aur uska anjaam yeh hua ki aaj pura time hi tut gaya hai”

Mayank “sir, aapne anjaane me hi sahi..lekin aapne hume ek mauka diya hai hamari earth ko bachane ka, aaj nahi toh aajse 1100 saal future me, hamari earth ka tabaah hona nishchit hai..isi Zorians ke dwara khatam honi hai hamari Earth, lekin ab shayad hamare pass ek chance hai ki hum Zorians ko hara sakte hai”

Sam “aapne aisa kyu kaha ki aap apne atit ko change nahi kar paaye..??”

Avi apni kahani sunana chalu karta hai “disha ki maut ke baad mai tut sa gaya tha, uss dhamake me maine apna sab kuch kho diya..yanha tak ki mere pass ab jeene ki koi vajah nahi bachi thi..lekin fir muje manthan ki baat yaad aayi, tachyons ki madad se time-travel kiya jaa sakta hai, toh maine isi-related data collect kiya aur maine khud ki apni ek time-machine banayi, maine yeh sochkar time-travel kiya ki agar mai iss hone vale tabahi ko rok du toh disha ke saath saath mai manthan ko bhi bacha sakta hu..unn sabhi logo ko bacha sakta hu jinki maut meri iss experiment ke vajah se hui thi” voh gehri saans lete hue aage batata hai “yahi sochkar mai nikal gaya apne atit ko badalne ke liye” uske baad voh apni kahani suna deta hai ki kese usne time travel karke particle accelerator ke experiment ko rokna chaha
“maine apne atit me jaakar khud ko yeh samjaya ki hum yeh experiment nahi kar sakte, apne aap ko samjane me muje kaafi mehnat lagi..lekin ant me maine mere atit vaala Avi ko experiment ko naa karne ke liye maana hi liya aur uske baad yeh experiment kabhi hua hi nahi, uske baad mai apne aap ko samja kar vapas apne time me vapas aagaya..lekin”

“lekin past change nahi hua aur sabkuch bikhar gaya” sam ne avi ki baat ko pura kiya

Manthan “yeh kese ho sakta hai..?? agar Doc Avi ne uss experiment ko rok diya tha toh unka past change kyu nahi hua..??”

Avi “parallel worlds..amazing” manthan ki aur dekhkar muskurata hai “uss din se lekar aajtak mai khud se bhi yahi sawaal kar raha hu..lekin mai mai kabhi samaj hi nahi paaya”

Mayank ne kataksh bhare swar “samaj nahi paaye yaa samajna nahi chahte the” usne avi ki aur dekhte hue kaha

Avi sawaliya bhari najro se mayank ki aur dekhne laga “common sir, ab aap itne bhi bewkoof naa baniye, time-machine aur time-travel ke side-effects ke baare me aapne hi muje bataya tha..aap yeh ache se jaante hai ki time-travel karne par kya ho sakta hai” manthan ne avi ki aur dekhte hue kaha

Yeh sunkar avi apna sar juka deta hai, Pathik “koi hume bhi samjayega ki yeh sab ho kya raha hai”

To be continued…
 
Devraj007

मुसाफिर अंजान राहों का....
6,016
7,785
143

Avi “uss raat ko maine tuje apni aankho se marte hue dekha tha, voh dhamaka thik tere samne hua tha..fir tu..”
voh ruansi awaaz me sawaal karta hai

Mayank “nahi sir, voh dhamaka mere samne nahi..balki voh dhamaka mai khud tha, aur usi dhamake ki vajah se mai zinda bacha hu”

Avi “uss range ke dhamake se bachna impossible hai”

Mayank “sir, har baar aankho se dekhi hui ghatna sachchi nahi hoti, insaan ki aankhe akshar dhokha khaa jaati hai..maana ki uss range ke dhamake se bachna impossible tha..but somehow mai bach gaya aur ek alag hi dimension me pahuch gaya, voh jagah koi aur nahi balki EARTH-1 hai”

Avi “how..?? tune dimension travel kese kiya..??”

Uske baad mayank apni kahani shuru se lekar ant tak sabkuch bata deta hai “aur sir, mai yeh bhi jaanta hu ki uss hadse ke baad aap hi ne time-travel kiya hai, so please tell me exactly aapke time-travel me hua kya tha”

Avi “matlab ki yeh jo kuch bhi ho raha hai, yeh sab kuch meri hi vajah se ho raha hai, maine hi time-travel karke anjaane me hi sahi lekin maine hi time ko tod diya”
voh ekdum se niraash hote hue bola “ab muje samaj me aa raha hai ki mai apna ateet kyu nahi badal paaya..tere iss dimension travel aur time-wraith ki ladayi ko maine anjaane me rokne ki koshish kari, aur uska anjaam yeh hua ki aaj pura time hi tut gaya hai”

Mayank “sir, aapne anjaane me hi sahi..lekin aapne hume ek mauka diya hai hamari earth ko bachane ka, aaj nahi toh aajse 1100 saal future me, hamari earth ka tabaah hona nishchit hai..isi Zorians ke dwara khatam honi hai hamari Earth, lekin ab shayad hamare pass ek chance hai ki hum Zorians ko hara sakte hai”

Sam “aapne aisa kyu kaha ki aap apne atit ko change nahi kar paaye..??”

Avi apni kahani sunana chalu karta hai “disha ki maut ke baad mai tut sa gaya tha, uss dhamake me maine apna sab kuch kho diya..yanha tak ki mere pass ab jeene ki koi vajah nahi bachi thi..lekin fir muje manthan ki baat yaad aayi, tachyons ki madad se time-travel kiya jaa sakta hai, toh maine isi-related data collect kiya aur maine khud ki apni ek time-machine banayi, maine yeh sochkar time-travel kiya ki agar mai iss hone vale tabahi ko rok du toh disha ke saath saath mai manthan ko bhi bacha sakta hu..unn sabhi logo ko bacha sakta hu jinki maut meri iss experiment ke vajah se hui thi” voh gehri saans lete hue aage batata hai “yahi sochkar mai nikal gaya apne atit ko badalne ke liye” uske baad voh apni kahani suna deta hai ki kese usne time travel karke particle accelerator ke experiment ko rokna chaha
“maine apne atit me jaakar khud ko yeh samjaya ki hum yeh experiment nahi kar sakte, apne aap ko samjane me muje kaafi mehnat lagi..lekin ant me maine mere atit vaala Avi ko experiment ko naa karne ke liye maana hi liya aur uske baad yeh experiment kabhi hua hi nahi, uske baad mai apne aap ko samja kar vapas apne time me vapas aagaya..lekin”

“lekin past change nahi hua aur sabkuch bikhar gaya”
sam ne avi ki baat ko pura kiya

Manthan “yeh kese ho sakta hai..?? agar Doc Avi ne uss experiment ko rok diya tha toh unka past change kyu nahi hua..??”

Avi “parallel worlds..amazing” manthan ki aur dekhkar muskurata hai “uss din se lekar aajtak mai khud se bhi yahi sawaal kar raha hu..lekin mai mai kabhi samaj hi nahi paaya”

Mayank ne kataksh bhare swar “samaj nahi paaye yaa samajna nahi chahte the”
usne avi ki aur dekhte hue kaha

Avi sawaliya bhari najro se mayank ki aur dekhne laga “common sir, ab aap itne bhi bewkoof naa baniye, time-machine aur time-travel ke side-effects ke baare me aapne hi muje bataya tha..aap yeh ache se jaante hai ki time-travel karne par kya ho sakta hai” manthan ne avi ki aur dekhte hue kaha

Yeh sunkar avi apna sar juka deta hai, Pathik “koi hume bhi samjayega ki yeh sab ho kya raha hai”

To be continued…
Dr. Avi ne hi kiya time travel aur past ko badalne ki koshish ki, lekin badal nahi sake... Par uske chakar mein timeline break ho gyi... Jiska natija hai prithvi ki tabahi... Dekhte hain ab kaise rokenge ye sab is tabahi ko... Intjar rahega next update ka...
 
  • Love
  • Like
Reactions: Rahul and Milan2010

Kirti.s

Member
404
1,361
123
Update : 34 (Human v/s Time)

Janam aur maut..yeh hamari jindagi ke do ese pehelu hai jise saara brahmand juda hua hai, lekin kya kabhi kisine yeh socha hai ki agar dono mese koi ek naa hota toh kya hota..?? kya hota agar kisi ki jindagi me maut naa hoti..kya hota agar kisiki zindagi hi naa hoti..??

Lekin yeh ek esi sachaayi hai ke jindagi maut ke bina adhuri hai aur maut jindagi ke bina..brahmand me aisi koi jagah nahi hai janha bina mrutyu ke jivan ho..aap pure brahmaand me kahi bhi chale jaao..jeevan ka aarambh mrutyu se hi hota hai..fir voh janam chahe hamare brahmaand ka hi kyu naa ho

Agar mai yeh sawal karu ki jivan pehle aaya tha ya mrutyu…toh kahi saare log apni mangadh kahaniya banayenge..par vastavikta kuch aur hi hoti hai, asal me yeh koi nahi jaanta ki sabse pehle kya aaya tha
Janta hu aap sab log soch rahe honge ki yeh mai kya bakwaas kar raha hu..lekin iss baat par guar karna bahut hi jyada awasyak hai...kehte hai ki brahmand ki shuruwat big bang se hui thi..aur pruthvi par jeevan ki shuruwat paani se hui thi

Par yeh kitna sach hai yeh kise pata..?? Mera matlab ki bigbang se pehle kya tha..andhkaaar, aur uss andhkar ke khatam hone par hi toh brahmand ka janam hua hai..yeh kehna galat nahi hoga ki andhkar ke mrutyu hone par brahmand ka janam hua hai..toh yaha fir meri baat sahi saabit hoti hai..kisi bhi chiz ka jaanam mrutyu ke baad hi hota hai

Lekin fir hamare samne ek aur sawaal aakar khada ho jaata hai..aakhir aandhkaar ka janam kese hua..?? kehne ko toh hum bahut kuch keh sakte hai..lekin jab baari saboot ki aati hai tab hamare pass iska koi jawab nahi hota..naa hamare science ke pass aur naa hi hamari intellegance ke pass

Isliye yeh tay karna asambhav hai ki pehle janam hua tha ya mrutyu..par yeh saaf pata chalta hai ki janam aur mrutyu yeh dono hi chize aapas me judi hui hai..dono hi ek dusre par nirbhar hai..kisi ek ke naa hone par dusre ka astitva apne aap hi mit jaayega

Shayad kudrat ne isiliye hum insaan yaa brahmand me maujud har ek chiz ki ek aayu (age) nirdharit ki gayi hai..jo waqt aane par khud hi apne aap ko khatam kar degi
Lekin khatam hone ke matlab sach me khatam hona hai..?? iska jawab hai nahi..khatam hone par ek nayi chiz ka janam hota hai..aur voh nayi chiz kya hogi iski kalpana koi nahi kar sakta, na mai..na aap aur naahi koyi anya jeev..sivay ek chiz ke

hum jiss brahmand me reh rahe hai voh vastavik me yeh kya hai..?? kya sach me yeh brahmand hi hai yaa fir kuch aur..?? kyunki hum insaan toh sirf hamare iss brahmaand ke ek chote se bhi chote hisse me rehte hai, lekin fir bhi hum yeh tak kalpana kar dete hai ki brahmand se aage kya hai, yaa fir piche..par asal me yeh kabhi nahi jaan paaye ki aakhir brahmand hi kya hai…??

Yeh kuch aise sawaal hai jiska jawab mai toh nahi de sakta..lekin koi hai jo inn saare sawalo ke jawab jaanta hai, voh yeh jaanta hai ki yeh asal me brahmand hi hai yaa fir kuch aur..?? brahmaand se pehle kya hua tha aur baad me kya hoga..har ek sawaal ka jawab uss chiz ke paas hai jiska shabdh bahut hi chota hai

Haa sahi samje aap, mai usi chiz ki baat kar raha hu jise hum WAQT(TIME) kehte hai..sirf vohi janta hai ki akhir me janam se pehle kya tha..janam ke baad kya hai..aur mrutyu ke baad kya hone vaala hai
Hum yeh maan lete hai ki jise hum brahmand kehte hai voh asal me brahmand hi hai aur uska sabse bada sashtra..sabse bada hathiyaar yeh Time hi hai…jise naa toh toda jaa sakta hai aur naa hi moda jaa sakta hai

Time hamara dost hai..vohi toh hume janam aur mrutyu deta hai..shayad isiliye Time sirf hamare hi nahi..balki iss pure mutli-universe me yeh sabse jyada taqatwaar hai..toh hum isse harayenge kese..??

Mayank ne apni baat kehte hue sabhi se ek aisa sawaal kiya jiska jawab kisi ke pass nahi tha “agar ek waqt ke liye time ruk bhi jaata hai toh uss palme hui ghatna bhi time me ho rahi ghatna ke jesi hi hogi..hum apne bole hue shabd ko vaapis nahi le sakte, humare dwara kiye gaye kaam bhi vapas nahi le sakte”

Manthan “matlab ki yeh jo movies me dikhate hai ki time ruk gaya hai aur space time ke bahar bhi koi jagah hai jaha time nahi gujarta..voh juth hai..??”

Mayank “nahi manthan, yeh juth toh nahi hai, par sach bhi nahi hai, bas uss jagah ka time hamare time se thoda alag hota hai, uss jagah par kiye gaye har ek kaam hamare time se koi relation nahi rakhte, bas farak itna hai ki vaha kiye gaye kisi bhi kaam ka asar hamare time-line par nahi padta”

Sam “inshort time ke roop alag ho sakte hai..par voh kabhi rukta nahi hai”

Mayank “exactly, jese hamara milky way galaxy khatam hota toh uske baad Andromeda Galaxy aata hai, jaha hamara universe khatam hota hai toh ek dusra universe aata hai, lekin yeh saari chize kahi na kahi hoti toh ek saath hi hai”

Pathik “mai kuch samja nahi mere bhai”

Mayank “hum dono ke ghar kaha hai..??”

Pathik “sector-58 me”

Mayank “aur sector-58 kaha hai”

Pathik “delhi me”

Mayank “delhi kaha hai..??”

Pathik “india me”

Mayank “india kaha hai”

Pathik “earth me”

Mayank “thik vese hi earth hamare solar system me, hamari solar system milky way galaxy me, aur hamari galaxy iss brahmand me, aur yeh brahmand ussi bhi kisi badi chiz me”

Pathik “tu kehna chahta hai”

Mayank “bas itna hi ki humare ghar alag hai, dono ke structure, design alag hai..lekin voh hai toh hamare iss brahmand ke andar hi” fir voh thoda ruk-kar kehta hai “tere ghar me agar kuch tut-ta hai toh uska asar sirf tuje pata chalega, uska koi bhi asar mere ghar par nahi padega..aur naa hi mai yeh kabhi jaan paunga ki tere ghar me kya tuta hai” fir voh vahi par side me baith te hu kehta hai “agar tera ghar tut kar gir bhi jaata hai toh usse mere ghar ko koi farak nahi padega..mera ghar toh vese hi rahega jese voh pehle hai”

Sam “thik isi tarah hamari time-line tut gayi hai, lekin jo jagah space time ke baahar hai vaha par uska time toh chal hi raha hai, toh hamare timeline ke tutne ka asar uss jagah ke timeline par koi asar nahi karega”

Manthan “matlab agar koi ghatna space time ke baahar ghatit ho rahi hai toh uska asar hamari time-line par nahi padega, agar hume voh event change karni hai toh hamare time-line me time-travel karke use badal nahi sakte”

Mayank “exactly, ab yeh dusra time kya hoga kesa hoga yeh toh hamare bas ke baahar hai”

Manthan ‘yeh toh samaj me aagaya ki time-line tutne par bhi hum log jinda kyu hai..par yeh samaj me nahi aa raha ki parallel worlds ki earth tabaah kyu ho rahi hai”

Mayank “jesa ki abhi maine kuch waat pehle kaha, ghar jab tutta hai toh uske andar maujud har ek chiz bhi tut jaati hai, yeh time hamara ghar hai aur parallel worlds ghar ke andar ki chize”

Siddhi “toh hum iss tabahi ko rokenge ke kese..??”

Mayank “hum ise rok nahi sakte..lekin bacha jarur sakte hai”

Pathik “ghar jab tutta hai toh instantly nahi tutta, jab tak voh khud ko bachaye hue hai voh apni chizo ko bacha sakta hai, jabtak ghar ki diwaare majboot hai tab tak andar ki chize sahi salamat hai”

Mayank “hume bhi yahi karna hai, aur jab ghar tut jaata hai toh use hum dubaara banate hai, hum apne waqt ko bachayenge bhi aur use dubara banayenge bhi”

Paridhi “isiliye tune yeh kaha ki hume Zorians se pehle time se ladna hoga”

Mayank “haa pari, agar waqt hi nahi raha toh Zorians se ladkar koi fayda nahi, hum khud khatam ho jayenge..yeh ladayi pure history me hone vaali eklauti ladayi hogi, yeh ladayi hai HUMAN v/s TIME”

Siddhi “toh kya Zorians par iska asar nahi ho raha hoga..?? I mean voh bhi toh time se hi jude hue hai”

Akshita “agar unpar asar ho raha hota toh hume pata chal hi jaata, lekin yanha par baat kuch aisi hai jo hum bhi puri tarah se nahi jaante”

Mayank “exactly, trod ne jo bataya voh bas ek myth hai, jo use bachpan me kahaniyo ke taur par sunate the..asal me reality kya hai yeh toh voh bhi nahi jaanta”

Sam “isiliye toh hume brahmaand ke sabse taqatwaar hathiyaar ko laana hoga”

Pathik “bas ek sawaal manthan, yeh space time se bahar vaali jagah kaha hogi, kya yeh hamari tenth-dimension me hogi yaa fir kahi aur..??”

Mayank “yeh jagah naa toh hamare 10th dimension me hogi..aur naa hi yeh khud koi dimension hoga”

Uske baad yeh sab kuch der ke liye chup ho jaate hai, Aarav kuch sochte hue kehta hai “manthan, tu time-wraiths ko kese hamare saath layega..?? I mean voh toh sirf tabahi hi kar rahe hai”

Mayank “sach kahu toh iss baare me bhi mai nahi jaanta, hume doc se aaj hi milna hoga”

Pathik “hum sab chalenge bhai, lekin abhi nahi..raat ke karib 2 baje ke aaspass, lekin..”

Mayank “lekin kya..??”

Pathik “hum nahi jante ki voh kaha hai”

Mayank “shayad mai jaanta hu voh kaha hoga” ne sochte hue kaha

Pathik “kaha par..??”

Mayank “particle accelerator ki pipeline me, usse behtar jagah aur koi naa hogi”

Uske baad yeh sab log raat ke 2 bajne ka intezaar karne lagte hai, Kruti-Pathik, Manthan-Siddhi, Sam-Akshita aapas me waqt beeta rahe the, aur vahi aarav mayank aur pari aapas me milkar baat kar rahe the
Aarav “manthan, I am sorry..muje itna gussa nahi karna chahiye tha”

Mayank “nahi aarav, sorry ki koi jarurat nahi hai..kyunki tune sach hi kaha tha..maine hi pari ko maaara hai..apne haatho se”

Paridhi “please manthan..” voh uske kandhe par haath rakhte hue kehti hai

Aarav “mai nahi janta tu kya bol raha hai, mai bas itna jaanta hu ki meri behen aaj mere saath hai”

Iske baad unn mese koi kuch nahi bola aur vahi siddhi-2 chup chaap bina kuch bole Mayank aur Pari ko dekhte jaa rahi thi
Mayank ko chup dekhte hue pari ne apna sar uske kandhe par rakha aur apni aankhe band karte hue kaha “manthu, maine kabhi yeh nahi socha tha ki hum iss tarah se milenge”

Mayank “I am just happy ke tu mere saath hai”

Pari “always, mai kabhi tuje ab akela nahi chodne vali” aur voh manthan ke haath par apni pakad aur bhi majbut kar deti hai

Mayank upar asmaan ki aur dekh raha tha, pari bina uski aur dekhe hue kahti hai “kya soch raha hai”

Mayank “bas yahi ki humne kudrat ko kitna jyada naaraz kiya hai”

Pari “yeh toh sahi kaha”

Mayank “is it worth saving it..?? kyu jo insaan toh badal ne se rahe..fir vahi sab shuru hoga..fir vahi tabahi”

Pari “tu kyu aisa soch raha hai..hmm”

Mayank “humlog yeh toh keh rahe hai ki hume nature ko bachana chahiye..par yeh sirf kehne ki hi baat rah gayi hai, kahi na kahi aaj jo hamare haalat hue hai voh hamare hi vajah se hue hai”

Pari “manthan, haa yeh sach hai ki humne nature ka nuksaan kiya hai..”

Mayank ne uski baat ko bich me kaat te hue kaha “nuksaan..nahi pari, humne nature ko bahut dukh diye hai, bahut rulaya hai, aur isi ke liye aaj kudrat hume saja de rahi hai, global warming..earthquakes, tsunamis, draught kya kya nahi ho raha, janwaar ke rehne ke liye jungle nahi bache..peene ke liye paani khatam ho raha hai..aur mausum..iska toh koi vajood hi nahi reh jaata, kab kya ho jaaye iska andaaza lagana bhi muskil hai”

Paridhi “haa sahi kaha, mai maanti hu ki yeh sab hamare dwara hi kiya gaya hai”

Mayank “isse toh acha hai ki ham isse khatam hone de..yeh kudrat hum insaano ke bina kitni khubsurat lagti hai”

Yeh toh manthan ne sahi kaha, aap sabko kya lagta hai..?? aaj hamari duniya me ek aisi mahamaari aayi hai jisse hum lad rahe hai, lekin yeh ladayi ne hume ek sabak bhi shikhaya hai
Hum jinn janwaaro par pinjere me dekhkar hasa karte the aaj hum khud apne hi banaye hue pinjoro me kaid ho chuke hai..insaan insaan se darne laga hai, yeh sochkar ki agar mai iske paas bhi gaya toh mai khud iss bimari ke chapet me aajaunga
Lekin vahi dusri aur kudrat ne khud ko bachane ke rasta nikal diya hai..insaan kaid ho gaye aur jaanwaar aaj maje se kahi bhi ghum sakte hai..nadiya raste sab kuch apne aap hi saaf ho rahe hai..vatavaran shudh ho raha hai, asmaan saaf ho raha hai
Jo chiz hum karne ke liye sochte the usi chiz ko kudrat ne khud se bina hamari madad ke kiya hai..yeh toh proov ho gaya hai ki kudrat ko hum jese insaano ki jarurat nahi hai..lekin hume jeene ke liye iss kudrat ki jarurat hai

Kudrat hamare bina bhi jinda reh sakti hai..lekin hum nahi, yeh kudrat hi toh hai jiski vajah se hum itne aage badh paaye hai..lekin humne aage badhkar kiya kya..?? kya paaya humne..?? kuch bhi nahi…kuch bhi toh nahi

Paridhi “manthan, kuch der pehle tune hi kaha tha ki jab kisi ka janam hota hai toh uski kalpana koi nahi kar sakta, agar kudrat ne hum insaano ko banaya hai toh usne kuch soch samajkar hi banaya hoga”

Mayank “tu jaanti hai pari, aaj yeh jo me keh raha hu..ek pal tha jab mai khud bhi isi kudrat ka majaak udaya karta tha..lekin aaj mai khud ek majak ban gaya hu..kabhi sapne me bhi nahi socha tha ki aisa kuch mere saath hoga, uss hadse ne meri puri soch hi badal daali hai”

Pari “kabhi kabhi jeevan me badlaav ache ke liye hota hai”

Mayank “haa pari, ab muje vishwaas ho gaya hai ki science ke pass bhi har sawal ka jawab nahi hota, har chiz ko sahi saabit karne ke liye proof ki jarurat nahi hoti”

Pari “manthan, maana ki science hamari zindagi se juda hua hai, yah science hi hai jo hume aage badhata hai..lekin voh bhi ek jagah aane par ruk jaata hai, itna sab kuch jaan ne ke baad bhi hamara science inn baato ko shayad hi kabhi proof kar paayega, science feelings ko proof nahi kar sakta, science mrutyu ke baad aur jeevan se pehle ko proof nahi kar sakta”

Mayank ne pari ko apne gale lagaya aur “pari, ek baat kahu..??”

Pari ne pyaar se uski aankho me dekhte hue apna sar haa mein hilaya, “maine kabhi tujse apne pyaar ka ijhaar nahi kiya, uss din bhi jab tu mere pass baithi thi muje yeh ehsaas ho gaya tha ki tere dil me kya chal raha hai..lekin tu bol nahi paayi thi”

Pari ne apni cute si smile dete hue kaha “haa manthan, mai bas uss waqt tuje disturb nahi karna chahti thi..lekin maine khud se promise kiya tha ki dexter se ladayi khatam hoti hi mai tuje apne dil ki baat bata dungi” voh kehte hue thodi udaas ho jaati hai

Mayank ne pyaar se apne hontho ko pari ke honth par rakha aur ek pyaari se kiss karte hue “I love you Paridhi, I love you so much”

Pari “I love you too manthan”

Mayank “I think ab hume chalna chahiye, ab waqt aagaya hai kuch sawaalo ke jawab jaane ka”

Iske baad yeh sab milkar uss jagah chale jaata hai jaha se iss kahani ki shuruwat hui thi, jaaha se manthan ko ek nayi zindagi mili thi

To be continued…
Maan gye sir ji aap ko
:adore:.aaj ke update ne toh speechless kr diya.itne bakhubi tarike se aap ne apne maan ki baat add kr di nature ko le or jeevan or mrityu ko lajawab tarike se describe kiya h aap ne????
 
  • Love
  • Like
Reactions: Rahul and Milan2010

Genius

The Emperor of Inferno 🔥
4,524
3,976
159
Superb update ye kuch kuch the flash wala laga, a bit ye particle accelerator ki tunnel and all lakin baaki sab ek dam alag hai

Bas ye last me nawi theory ka question mark laga ke gaye ye mere bhi upar se gaya well mera wild guess ye hai ke agar future wale avi ki baat maan kar past wale avi me experiment rok diya tha to iska mtlb ki time machine kabhi bani hai nahi aur ye aai grandpa paradox wali theory aur yahan se jo loop hole create hua usse time line bhikhar gai

Waise yeera wild guess tha agle update me pata chalega ke mai kitna sahi tha
Well once again superb update

:applause:
 
  • Love
  • Like
Reactions: Rahul and Milan2010

Anky@123

Well-Known Member
2,061
6,872
143
Shandar update Milan bhai ?? aakhir sab sath milkar CDC lab ki pipeline m aa hi gaye aur dr avi jaha se sab shuru hua wo ab bhi apne karmo se bhag rha hai ,per lagta h jald hi mayank unhey sacchai ka sabak dega aur dr avi hi is barbaadi se bachne ki ladai ka aagaz karnge.
 
  • Love
  • Like
Reactions: Rahul and Milan2010
Top