• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Sci-FI StRanGe WoRLd : APOCALYPSE

Which part is better in Strange World Series? (strange world series ka konsa part behtar hai?)


  • Total voters
    22

Milan2010

Well-Known Member
4,809
3,582
159
Update 24
Boring, wahi SW k first part ka flash back dikha dale faltu ka... ??? Aur to aur thriller me over dose Love story... ??‍♂️??‍♂️.
Next update dhang ka do... Nhi to bhukamp me hi building ke niche gira dunga???
:lol: :lol: :lol; bhai janta tha ki aapko yeh update nahi pasand aayega
thodi toh taariff kar lete..3 din lage the iss update ko likhne me :weep:
bhai..bhukump ke niche gira deni vaali baat ka aapka pura maan rakha jayega aur aapki yeh ichcha aaj ke update me jarur puri ki jayegi :smarty:
 
  • Like
Reactions: Rahul and Anky@123

Milan2010

Well-Known Member
4,809
3,582
159
Nice update bro waiting for next control. Karna mushkil hota update parkar owsm. Bhai
:thanks: Yuvi2890 bhai :dost:
bhaim samaj sakta hu..ab jyada din dur nahi h story khtm hone par hai
saath bane rahiye :dost:
 
  • Like
Reactions: Rahul

Milan2010

Well-Known Member
4,809
3,582
159
Update : 25 (Welcome to Earth-1)

Mayank “don’t worry, mai usi ke liye aaya hu, bas thodi si madad chahiye tum sab ki”

Kruti “par tu itne din kaha tha..??”

tabhi achanak se vaha par bhookamp ka jatka aaya aur saath me joro se dhamaka hua jise sunkar Mayank chaunk jaata hai

“yeh..yeh kya tha..??” aur voh apne charo aur dekhte hue bola “yanha par ho kya raha hai..??”


Ab aage…

NOTE : Iss updates se kahani me aage do Manthan hai, lekin alag alag Earth se, toh mai first part ki tarah hi jo Manthan (Earth-2) se aaya tha uska naam aage se Mayank likhunga taaki confusion naa ho

Mayank ne dekha ki Manthan ek ajeeb se gun liye hue uske samne khada hai, aur itna hi nahi, uske Earth-1 pe vapas aane par kuch aisa dikha jise dekhkar voh puri tarah se hil jaata hai
Jab mayank pichli baar yanha se gaya tha tab ke haalat aur aaj ke haalat me kaafi farak aagaya tha, Manthan ke pass ek ajeeb si dikhne vali gun thi..jisme halke se nile rang ki roshni gun ke bich me ek strip type me chamak rahi thi..Manthan ke hath aur chehre par halki halki chout ke nishan the..aur rahi Manthan ke ghar ki baat toh voh ghar naa hokar ab ek tute hue ghar ka malba ban chukka tha

Mayank “yeh ho kya raha hai yanha par..??” uske itna bolna tha ki pass mese ek jordar dhamake ki awaaz sunayi di

Uss awaaz ko sunkar Manyank ko yeh samaj ne me der nahi lagi ki vanha par kya ho raha hai, voh gusse se bol utha “Zorians.?? Voh yanha par kese..??”

Mayank ke aisa bolne par Siddhi, Manthan aur Kruti ajeeb si najro se use dekhne lage “kya..?? yahi soch rahe hona ki muje kesa pata..??” mayank halke gusse me bola

Manthan “naa, yeh soch rahi hai ki yeh Zorians kya hai..??”

Siddhi “aur yeh bhi ke teri yeh haalat kese hui”
siddhi ne mayank ke sar bandhi patti dekhte hue kaha

Manthan ki baat sunkar Mayank chaunk jaata hai, voh apne baal khujate hue bola “are vahi aliens ki baat kar raha hu, jisse tum sab lad rahe ho”

Manthan “lekin mere bhai, hum toh kisi bhi aliens se nahi lad rahe”
voh asamaj bhare bhaav apne chehre par laate hue bola

Mayank “kyyaa…????”
usne apne charo aur dekhte hue kaha “toh fir yaanha ke haalat..yeh sab kisne kiya..??”

Manthan ne apni gun ko side me rakhte hue “we are dying bro, tune sahi kaha tha...hamare earth ka ant najdik hai” voh ruasni awaaz me apne chehre par haath firate hue kehta hai

Mayank ko kuch bhi samaj me nahi aa raha tha, voh unn tino ki aur halke gusse se dekhte hue bola “koi muje bataega ki yanha par ho kya raha hai”

Siddhi “voh sab chod, tu itne din kaha tha..?? aur aaj achanak 8 mahine ke baad kese aaya..?? kya tuje apni Earth mili ya nahi..??”
siddhi ne uski aankho me dekhte hue kaha

Mayank “haa, mai apni earth se hi aa raha hu, aur muje yanha se gaye hue bas 2 din hi hue hai”

Manthan chaunkte hue “kese..?? I mean..muje ache se yaad hai tuje gaye hue 8 mahine beet chuke hai”

Mayank “haa..real me shayad utna hi waqt hua hai..par mere liye voh 8 mahine 2 din ke baarbar the..aur yakeen maan mere bhai..yeh do dino me maine 2 baar hamare planets ki yeh haalat dekhi hai”


Siddhi ajeeb si shakal banate hue puchti hai “2 din..kese..??”

Manthan “2 planets se tera kya matlab hai.??”

Mayank “yaar muje nahi pata ki yeh worm hole kese kaam karte hai, but jab mai apne earth se yanha aaya toh dono earth ki date aur time same the..lekin jab mai yanha se apne ghar vapas gaya tab time dugna ho gaya”


Kruti ne taana marte hue kaha “bhai, yaha kisi ke bhi palle kuch nahi pada”

Mayank “simple way me samjata hu, mai iss Earth par pehli baar 20 October 2016 ko aaya tha, aur jab mai apne Earth vapas gaya toh uss din date 28 June 2017 thi, yaani ke mai karib 8 mahine ke liye iss Earth par ruka tha”
fir voh thoda saans lete hue “lekin jab mai apne Earth par pahucha tab date thi 16 February 2018”

Manthan “yeh kese ho sakta hai..?? I mean aaj date 17 February 2018 hai, matlab ke tu 2 din apne Earth par ruka tha..??”
kuch samajte hue apna sawal rakha

Mayank “haa..2 din ke liye mai apne earth par ruka tha, mai nahi janta exactly yeh dimension travel kese kaam karta hai..shayad ho sakta hai ki yeh hamari dono earth ki alag frequency ki vajah se ho”

Siddhi “leave it manthan, hume nahi jaana iske piche ka science kya hai, aakhir fayda kya..?? par tu yanha vapas aaya hi kyu..?? Please manthan..tu vapas chale jaa, yeh planet ab rehne ke liye nahi bacha”
siddhi ne nirash hote hue kaha

Siddhi ki awaaz me uske dard ko Mayank ache se mehsus kar raha tha, voh chalte hue uske pass gaya aur use sahara dete hue puchta hai “par yanha par ho kya raha hai..??”

Manthan “sab kuch khatam ho gaya mere bhai, hum bhi ab zinda nahi bachenge..yeh planet, hamari earth tabaah ho raha hai”
uske awaaz me bhi dard aur nirasha saaf jhalak rahi thi

Mayank ne pichle dino me aisa kuch dekha aur suna tha ki ab toh jese use inn sab ki aadat si ho gayi thi “kkesseee..?? aur kaun kar raha hai..??” voh haklate hue puchta hai

Siddhi “yeh koi nahi jaanta, bas achanak se hi yeh sab shuru hua hai”


Mayank unn sab ke chehre dekh raha tha..sabhi log kaafi jyada niraash lag rahe the, unn sabko ese dekh use kuch yaad aata hai “pathik kaha hai..?? mom dad aur baaki sab” usne vese halkate hue unn sabhi ke naam liya

Yeh sunna tha ki Manthan aur Kruti dono ke hi aankho se aansu nikal aaye, Siddhi bhi kaafi ruansi hote hue boli “manthan, koi nahi bacha..voh sab maare gaye hai”

Siddhi ki yeh baat mayank ke liye kisi bomb ke futne se kam naa thi, yeh sunkar voh 2 kadam piche chala gaya, aur bhari awaaz me bola “kese..??” uski aankho me halke halke aansu jhalak aate hai
Manthan bhi ruansi awaaz me jawab deta hai “jab tu gaya, uske baad pruthvi safe thi..dheere dheere logo ke dil se Dexter ka khaunf kam ho raha tha..aur roj mara ki zindagi bhi dheere dheere shuru hone lagi thi..aur yakeen maan mere bhai, isse behtar hamari zindagi kabhi itni hasin..itni khubsurat kabhi nahi hui thi, humne dharti ko itni khubsurat kabhi nahi dekhi jitni humne inn pichle 7 mahino me dekhi hai, aisa lag raha tha maano dharti khud ko thik kar rahi hai, har ek takleef jo hum insaano ne hamare planet ko di hai..voh unn sabse upar aakar firse khilne lagi thi..naa koi jung aur naa hi kisi se koi dushmani, aisa lag raha tha maano pura planet finally ek ho gaya hai, lekin…” voh bolte hue ruk gaya

Mayank “lekin kya..??”

Siddhi “lekin yeh din jyada nahi tike, har jagah se achanak se bhukump, tsunami, landslides ki khabar aane lagi, bhukamp ki intensity scale itne jyada ki shehar ke shehar tabah hone lage, tsunami me paani ki lehre itne badi aayi ke har ek coastal sehar aaj samandar me dub gaye hai..aur yeh sab pure planet pe har jagah ho raha hai”

Manthan “itna kaafi nahi tha, dharti ke andar raha lawaa bhi ab toh har jagah se fut fut kar bahar aane laga hai, aur yeh jo dhamaka tune kuch der pehle suna..voh bhi kuch aisa hi tha”


Mayank yeh sab sunkar bahut shock ho gaya tha..use kuch bhi samaj me nahi aa raha tha ki iss earth ki itni jyada buri haalat kese ho sakti hai, usne fir jab upar asmaan ki aur dekha toh uske hosh udd jaate hai
Asmaan jo hamesa nile rang ka rehta hai..voh halka sa kaal pad chukka tha..asmaan me hi halki halki bijliya lagatar bina ruke kadak rahi thi..ek khaufnaak maahol iss pure planet par ban chukka tha
Fir ek aur baar bhukamp ke jabardast aanchke unn sabhi ko mehsus hue, aur iss baar Mayank bhi use mehsoos kar raha tha lekin voh kuch bol nahi pata

Kuch der ke liye sabhi log shant khade rahte hai, aur uss chuppi ko Siddhi apna sawal dohrate hue todti hai “tune bataya nahi, tu vaapas kyu aaya..??”

Mayank “actually, muje papa ki help chahiye thi”
usne apni watch dikhate hue kaha

Uss watch ko dekhkar sabhi samaj jaate hai ki Mayank kya kehna chahta hai Siddhi “firse..?? yaani teri yeh haalat iski vajah se hui hai”

Mayank haa mein apna sar hilate hue bola “haa bhi aur nahi bhi” voh kaafi nirash hote hue bola

Manthan “kya teri earth par bhi aisa ho raha hai..??”

Mayank “nahi manthan, lekin mere planet ke bhi haal sahi nahi hai..humpar aliens, time-wraiths aur dinosaurs ka ek saath hamla hua hai”

Kruti “kyaaa..?? tere planet par dinosaurs jinda hai..??”
uski mann ki utsukta dikh rahi thi

Mayank “nahi kruti” fir voh apne 2 din ki kahani bata deta hai

Manthan “papa toh ab nahi hai..aur hum itne intelligent nahi ki teri kisi bhi baat ko samaj paaye, but I think agar koi teri madad kar sakta hai toh voh Ajit hai, akhir iss gun ko usne hi banaya tha”

Mayank uss gun ko dekhte hue “yeh hai kya..??”

Manthan “tere jaane ke baad, Ajit ne teri hi concept se yeh gun banayi thi..yeh sochkar ki agar kabhi future me Dexter vapas aaya toh hum usse lad sake”
fir voh Ajit ko phone karke apne ghar bulata hai

Mayank “kab yeh hua yeh sab..?? I mean earth ki yeh haalat”

Manthan “yahi koyi..15 din pehle”


Mayank kuch sochte hue “15 din me yeh haalat, yeh ajeeb hai” fir usne kuch aur pucha “kese hua..papa aur mummy”

Iss par manthan kuch nahi bolta, Siddhi ne manthan ka haath pakadte hue kaha “hum sab college se vapas aa rahe the, aur raste me humne bhukamp ke dil dehla dene vale aanchke feel hue, bhukump itna tezz tha ki hamare samne hi kahi buildings puri puri ki gir gayi..kam se kam 2 lakh se bhi jyada log uss din Delhi me maare gaye the..hamare parents yaa toh ghar par the yaa apne office me..unke saath bhi” voh isse aage nahi bol paati aur manthan ke gale lagkar rone lagti hai

Yeh sab sunkar mayank bhi khud ko rok nahi paata, uski aankho se bhi aansu nikal aate hai, kyunki kahi na kahi pichle 8 mahino me use inn sabhi log se lagav ho gaya tha
Pichle 8 mahino me Mayank ne jindagi me bahut se dukh sahan kiye the..lekin shayad abhi bhi bahut kuch hona baaki tha
Mayank kuch sochte hue bolta hai “nahi, mai tum sab kuch nahi honge dunga”

Kruti “kese mayank..?? Pathik ne bhi mujse aakhri baar yahi vaada kiya tha..lekin uske saath bhi..”
voh bhi rone lagti hai

Manthan “kuch nahi kar sakte mere bhai, yeh koi tere science ke Dexter ke saath me ladayi nahi hai..government already declare kar chuki hai ki yeh hamare Planet ka ant hai”

Mayank “mai pure planet ko toh shayad nahi bacha sakta..lekin mai tum sabko jarur bachaunga, tum sab mere saath..mere earth par aa rahe ho”


Mayank fir kruti ke pass jaakar uske aansuo ko hatata hai aur apna sar naa mein hilate hue “nahi kruti, pathik mara nahi hai..voh jinda hai, mai tuje uske paas le jaunga, ab hum mese koyi nahi marega, I promise”

Tabhi mayank ke kaano me ek jaani pehchani awaaz gunjti hai “aise promise nahi karne chahiye jo tum kabhi pure naa kar sako”

Ek behad hi pyaari si awaaz mayank ke kaano me sunayi di, aur mayank samaj jaata hai ki yeh awaaz Pari ki hai..uski Pari ki
Lekin saath me voh yeh bhi mehsoos kar raha hai ki Pari ki uss awaaz me kitna jyada dard aur kitna jyada gussa hai

Mayank apni aankhe band karte hue Pari ki aur muda lekin aaj voh apni aankhe nahi khol paa raha tha

To be continued..
 
Last edited:

Milan2010

Well-Known Member
4,809
3,582
159
update posted friends

iss update ke end par aap sab samaj hi gaye hogi ki aane vale update me kya hone vala hai
next update unn sabhi readers ke liye hoga jinhone SW1 ka end padhkar muje bahut saari gaaliya di thi
kahi dosto ki yeh shikhayt rahi thi ki manthan ne vapas jaane se pehle Pari se kyu nahi mila yaa voh use apne saath kyu nahi le gaya
well..iss sawal ka jawab toh aap sabko phase 2 me mil gaya hoga
pichle update me maine Pari ke dil ka haal bataya tha jo Manthan ke jaane ke baad hua tha..ab waqt aagaya hai ki Manthan aur Paridhi firse mile

well..i hope ki aapko next update bhi pasand aayega
 
Last edited:

Anky@123

Well-Known Member
2,061
6,872
143
:thanks: Anky@123 bhai :dost:
bhai maafi chahtu hu ki aapko yeh update boring laga
shaayad aap sach kah rahe hai..lekin yeh update bhi story aur uske characters ke liye utna hi jaruri hai jitna baaki ke updates rehte hai
I hope aapko meri baat ka bura nahi laga hoga
saath bane rahiye bhai :dost:
phase-3 me aapko aapke sabhi sawalo ke jawab mil jayenge..voh bhi jald hi :dost:
Milan bhai aap ek shandar writer ho .bura lagne ki to kahi bat hi nahi hai .bus aap apni kalam ka jadu chalate rhiye
 

Anky@123

Well-Known Member
2,061
6,872
143
update posted friends

iss baat ke end par aap sab samaj hi gaye hogi ki aane vale update me kya hone vala hai
next update unn sabhi readers ke liye hoga jinhone SW1 ka end padhkar muje bahut saari gaaliya di thi
kahi dosto ki yeh shikhayt rahi thi ki manthan ne vapas jaane se pehle Pari se kyu nahi mila yaa voh use apne saath kyu nahi le gaya
well..iss sawal ka jawab toh aap sabko phase 2 me mil gaya hoga
pichle update me maine Pari ke dil ka haal bataya tha jo Manthan ke jaane ke baad hua tha..ab waqt aagaya hai ki Manthan aur Paridhi firse mile

well..i hope ki aapko next update bhi pasand aayega
[/QUOTE
ek no bhai ??
 
Top