• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Sci-FI StRanGe WoRLd : APOCALYPSE

Which part is better in Strange World Series? (strange world series ka konsa part behtar hai?)


  • Total voters
    22

Milan2010

Well-Known Member
4,809
3,582
159
Update 19
Ye solid update tha... Naye naye raaz open huye... Ab manthan apna raaz batayega to sbki farebi... ???? Abhi tak ye smjh me nhi aya ye zorians ne time travel kaise kiya... ? Itni badi army le k yaha se kaise dhamak pade... Aur ye earth 2 hi hai... Correct guess... Lekin zorains ka rahasya abhi baki hai mere dost... Early morning 4.23 ho rha h... Lekin next update abhi bhi padhne ka mann h.. chalo padhte h... Din apna hai aram se sounga... ??
:thanks: ankit bhai :dost:
hahaha usne toh pehle hi kaha tha
par koi uski sunta hai kaha hai :banghead:
bahut bahut shukhriya bhai :dost:
 

Milan2010

Well-Known Member
4,809
3,582
159
Update 20

Ye update thik thak tha... Jada kuch likhne ka mann nhi.... Haa ye extra 8 mahine ka jhol bahut dimag kharab kar rha hai... aur lagta h paridhi ye earth me wapas ayegi... Gn
:thanks: ankit bhai :dost:
bas yeh rahasya se parda aage uth jaayega
 

Milan2010

Well-Known Member
4,809
3,582
159
U

Update 21

Update jada achcha nhi tha lekin ye Bhutiya time (time wraith) wale chacha bade wale harami nikale ?? abki baar kuch bata ke hi nhi gye mayank urf manthan ko.... But dekhte h kab solve hoti h extra 8 mahine wali story aur Gideon and Godfrey ki amma kab jawan ho ke information nikalti hai...?????
:thanks: ankit bhai :dost:
haa yeh toh jhol h master sahab
ab manthan kya karega :hmm2:
 

Milan2010

Well-Known Member
4,809
3,582
159
Update 22
Siddhi aur manthan ka lafda aa gya... Love triangle triangle khelne me writer ko maja ata h... Lagta h inke sath b jhol ho chuka hai. ?? Wo Earth Dexter to chala gya tha lekin wapas aya h... Aur iss bar mayank ki watch b kaam nhi kar rhi h aur usko dard wapas ho rha h matlab wahi pichli baar jaisa kahi frequency aur time wraith wala hi to lafda nhi? Chalo dekhte h aage kya hota...
:thanks: ankit bhai :dost:
haa ab kya kare, aadat ho gayi haina
abhi yeh trending par hai toh socha chalu likh deta hu yahich
ho sakta hai, kuch keh nahi sakte
 

Milan2010

Well-Known Member
4,809
3,582
159
Update 23

Mast tha kadak... Sari bate clear huyi... 16 mahine ka jhol b lekin ek baat hai jo smjh ka pare hai... Earth 1 ki siddhi ne abhi ye kyu kaha ki tu itne din kaha tha matlab wo 8 mahine cross kar chuka hai jo earth 2 me pahucha tha... aage ki date pe, wahi se wapas aya h earth 1 me to date aage badh chuki hai?


Aur ek guess lagta h iss earth pe l*ude na lage qki abhi abhi jo bhukamp aya h zorains ye manthan urf mayank k chakkar me earth 1 me b naa pahuch jaye... Mereko to lag rha h mayank ko ek aisa device chahiye teen jagah kaam kar sakte sam k time , earth 2 , earth 1....
:thanks: The_lost_love ankit bhai :dost:
ab aisa kyu kaha yeh toh ab aane wala waqt hi bataega
dekhte hai ab mayank iss baar apne saaath kya lekar aaya hai
saath bane rahiye bhai :dost:
 

Milan2010

Well-Known Member
4,809
3,582
159
Update : 24 (Dil hai ki Maanta Nahin)

Location : Earth-1
8 Months Ago


“pari.. muje yeh promise chahiye ki chahe kuch bhi ho jaaye, kitne bhi bure halat kyu naa ho..tu manthan ka saath kabhi nahi chodegi”

“aaj bhi meri aankho ke samne Paridhi ka chehra aata hai, uska dard..uski takleef aaj bhi muje mehsoos ho rahi hai, jab bhi mai apni aankhe band karti hu muje paridhi ki voh aankhe dikhati hai jisme ek aass thi, kitna dard tha uski aankho mein..voh sirf main hi mehsus kar sakti hu” pari chal toh rahi thi lekin uska pura dhyaan paridhi par tha “tu jaanti hai kruti, apne aakhri waqt usne manthan ke bajay mujse baat ki, ek aisa promise manga jo shayad duniya ki koi bhi ladki nahi kar sakti..usne mujse apna pyaar baanta tha..sirf mai jaanti hu uss waqt uske dil me kitna dard tha..fir bhi voh chehre par muskaan liye hue mujse promise mangti hai ki mai uske manthan ka khayaal rakhu..mere manthan ka khayaal rakhu”
pari ne apne pass baithi hui Kruti se kaha

Kruti “pari, uss hadse ko 1 hafta beet chukka hai, fir tu kyu khud ko takleef de rahi hai, aur voh bhi uske liye jo kabhi hamara hai hi nahi”

Pari ne behad pyaar se kruti ki baat ka jawaab diya “kisne kaha ki voh apna nahi hai, usne kya kuch nahi kiya hamare liye..tu bhi toh jaanti hai, hume bachane ke liye usne apni pyaar ko kurbaan kar diya yahan tak ki usne apni jaan ki bhi fikar nahi ki..yeh koi apna hi kar sakta hai”

Kruti “pari..mai manti hu usne jo kiya voh aur koi nahi kar sakta, par ab toh yeh ladayi khatam ho chuki hai, ab kya voh yanha rukega..?? pari voh vapas apne ghar chala jayega”

Pari “nahi kruti, mai use kahi nahi jaane dungi, voh yahi rahega..hamare saath, mere saath”
usne apni aankhe band karte hue kaha

Kruti “tu pagal ho gayi hai pari, sach me”

Pari “haa shayad, par agar ise pagal hona kehta hai toh yahi sahi”


Kruti thodi der rukkar kehti hai “pari..kya tu mayank se pyaar karne lagi hai..??”

Yeh sunna tha ki pari ke chehre par sharam ki laalaash aa jati hai, voh apna chehra jukate hue kehti hai “haa kruti, mai manthan se pyaar karne lagi ho” pari ne jaanbujkar apne jawab me Manthan ka asli naam liya

Kruti “kab hua..?? I mean tuje toh iss pyaar vyaar me beileve nahi tha”

Pari “pata nahi kruti, par aisa lagta hai ki mai use saalo se janti hu, uski aankhe..pata nahi kya hai uski aankho me, bas mann karta hai mai unn aankho me ese hi dekhte hue dub jau, tuje pata hai Kruti, uske saath rehne ka jo ehsaas haina, voh mai shabdo me bayaan nahi kar sakti”
pari ke chehre par ek alag hi chamaak thi

Pari ko iss kadar khush dekh Kruti bhi uske liye bahut khush thi, lekin usse voh jaana tha ki Pari kisi anjaan ladke se iss kadar kese pyaar kar sakti hai “jis ladke ko tu jaanti nahi hai, jiske saath tune kuch hi din beetaye hai tu usse itna jyada pyaar kese karne lagi”

Pari uski aur dekhte hue kehti hai “ise hi toh pyaar kehte hai, pyaar kabhi kisi se bata kar nahi hota..voh toh ek ehsaas hai jise hum mehsus kar sakte hai, maana ki maine kabhi iss manthan ko nahi dekha..par jo sapne muje Paridhi ke aate the, voh muje kabhi sapne lage hi nahi..aisa lag raha tha jese mai unn sapno ko jee rahi hu, aur tuje pata hai Kruti..jab maine mayank ko pehli baar dekha tha na..mai usi waqt samaj gayi thi ki yeh hamara vala manthan nahi balki koi aur hai..mai kese bhul sakti hu..uski aankho ko jise mai akshar haar raat apne sapno me dekha karti thi..??”

Kruti “acha acha baba, maan liya maine ki tu usse pyaar karti hai, par kya mayank ne tuje kabhi kuch kaha..?? kya use iss baat ka eshaas bhi hai ki tu usse pyaar karne lagi hai..??”



Mayank ne firse uske aansu ko saaf kiye aur "pari, let's go from here, mai jo jaan ne yaha aaya tha voh muje pata chal gaya hai"


Paridhi "no manthu, hum kahi nahi jaa rahe, tere sar se khun beh raha hai"

"Manthu" sunkar mayank kuch nahi bola, aur pyaar bhari najro se paridhi ki aur dekhne laga, kyunki isi naam se uski pari use hamesa bulaya karti thi

Iss waqt paridhi bahut jyada ghabra gayi thi, shayad use dar lagne laga tha…mayank ko khone ka dar, jab usne mayank ko dexter ke haatho me dekha, uska dil joro se dhadakne laga, uske man me dar baith gaya tha ki ab mayank bhi usse dur chala jayega

Paridhi mayank ki chot ko dekhte hue keh rahi thi, shayad usne mayank ki baat bhi nahi suni thi "tuje bahut pain ho raha haina..?? Mai hi pagal thi jo maine tere saath aane ki jid ki, tune mana bhi kiya tha, par mai..mai bahut hi selfish hu, meri hi vajah se tuje yeh chot lagi, na mai yaaha aane ki jid karti..aur naa hi tuje yeh chot lagti, sab isiliye mujse dur chale jaate hai..dekhna tu bhi muje chodkar chala jaayega"

Pata nahi kyu par mayank yeh aakhri baat sun nahi paaya, usne turant hi apne dono haatho ko pari ke chehre par rakha aur apne hoth ko pari ke hoth par rakh diye, aur fir uski aankho me dekhte hue bola "ssssshhhhhhh..chup, bilkul chup, muje kuch nahi hua, aur naa hi tu selfish hai, and i promise mai tuje chodkar kahi nahi jaunga"

Paridhi bhi mayank ki aankho me dekhte hue boli “pakka..??”

Mayank smile karte hue “haa..pakka”

Paridhi iske aage kuch nahi boli, voh turant mayank ke gale lag jaati hai, aur mayank bhi kuch der paridhi ko apne seene se lagaye rakhta hai


Pari ne apni aankhe band karte hue uss pal ko yaad kiya jab manthan ne uspar apna haq jataya tha, Pari aaj fir ek baar manthan ke chune ke uss ehsus me ghum ho gayi thi, aisa lag raha tha maano Pari apni hi yaado ke samandar me dubkiya laga rahi hai
Jab use yeh pal yaad aata hai toh apne aap hi uske chehre par ek pyaari si muskaan aa jati hai, jo ehsaas manthan ke hotho ka apne hotho par chune ka tha voh use apne andar mehsus kar rahi thi..sirf itna hi nahi, jab jab manthan ne use apni baanho me bhara tha tab tab usne apne liye Manthan ke dil rahe uss pyaar ko mehsoos kiya hai

Kruti uske aage chutki bajate hue boli “madam ji, kaanha kho gayi..??”

Pari ne dheere si apni aankhe kholi aur vahi muskaan liye hue manthan ke pyaar ko mehsoos karte hue kehti hai “jab insaan kisi se pyaar karta haina..toh use kehne ki jarurat nahi hoti, uski aankho me apne liye pyaar dikh jaata hai..aur maine kahi baar manthan ki aankho me apne liye pyaar ko dekha hai”

Pari ki baate kahi na kahi Kruti ke dil par bhi asar kar rahi thi, voh isse aage kuch nahi keh paati aur fir voh dono normal baate karte hue Manthan ke ghar ki aur chal padte hai
Yeh dono baate karte hue manthan ke ghar pahuch jaate hai aur jese hi pari ki najar samne padi toh use laga jese uska sab kuch khatam ho gaya..voh vahi par apne ghutno ke pal gir jaati hai aur aankho se aansu nikal aate hai

Pathik “so ab kya..?? yeh toh gaya..pari koooo kkkkkeee…keeessseeeeee” uski najar samne se aa rahi pari par padi

Pathik ko aise dekh Siddhi aur Manthan samaj jaata hai ki kya hua hai, voh dono mudkar uss taraf dekhte hai janha par pari iss waqt apne ghutno ke bal baithe hue ro rahi thi

Manthan “pari ko kese sambhalenge..??” usne siddhi se sawaal kiya

Siddhi chalte hue pari ke saath pahuchi, aur uske pass baithe hue “ppariiii..” voh kuch bol paati uske pehle hi pari ne ek aisa sawaal kiya jise sunkar sabhi log chup ho jaate hai

Pari “voh chala gaya na..?? bina mujse mile..kese jaane diya tum logo ne..?? tum sab toh mere dost the na..use roka kyu nahi”

Siddhi vese hi use side se apne gale lagate hue “pari..voh, voh apne ghar gaaya hai, humne use rokne ki bahut koshish ki..lekin voh nahi maana”

Pari vese hi siddhi ki aankho me dekhte hue boli “kya mai itni buri hu siddhi..??” uski aankho se lagatar aansu beh rahe the

Siddhi “nahi pari..tu aisa kyu soch rahi hai”

Pari “fir mere saath sab aisa kyu karte hai..?? jisse bhi mai pyaar karti hu voh muje iss tarah akela chodkar kyu chale jaate hai..?? pehle papa mummy aur aarav unhe mai aakhri baar bhi nahi paayi thi..voh iss duniya me muje akela chodkar chale gaye, aur aaj manthan..usne bhi mere saath vahi kiya..kya mai itni buri hu siddhi ki usne muje ek aakhri baar dekhna bhi nahi chaha..??”
ne behad hi narmi se apne uss dard ko bayaan kiya jo iss waqt uske dil me bojh bankar khada tha

Siddhi yaa vaha maujud mese koi bhi kuch nahi bol paa raha tha, aur vahi pari ek tak uss aur dekh rahi thi jaha se kuch der pehle usne manthan ko aakhri baar dekha tha

Pari “bol na siddhi, kya mai itni buri hu..?? kya muje pyaar karne ka koi haq nahi hai..??” voh siddhi ke dono haatho ko pakadte hue puchti hai

Siddhi bhi pari ke haal ko nahi dekh paa rahi thi, pari ne aise sawaal kiye the jiska jawaab naa toh uske tha aur naa hi kisi aur ke pass
Siddhi naa mein apna sar hilate hue Pari ko joro se apne seene se laga di “nahi pari, tu buri nahi hai, tuje bhi pyaar karne ka pura haq hai, aur koi tuje chodkar nahi gaya”

Pari “kyu jaane diya use..?? tu jaanti hai na ki mai usse pyaar karne lagi hu..?? kyu nahi roka tune use..?? agar voh mayank naa hokar tera manthan hota toh
” voh iss tarah tut chuki thi ke ab use rote naa bann raha tha..voh badi muskil se saans le paa rahi thi

Siddhi “please pari, chup ho ja..please”
voh kuch nahi bol paati

Pari “nahi..voh nahi jaa sakta, galat hai..nahi manthan muje chodkar aise nahi jaa sakta..nahi voh..voh bhi mujse pyaar karta hai, mai jarur firse koi sapna dekh rahi hu, haina siddhi..mai sapna dekh rahi hu na”


Kuch hi der me Pari ka hasta khela chehra firse bikhar gaya tha..jo muskurahat voh apne chehre par sajaye Pari ghum rahi thi voh ab kahi bhi nahi dikhayi de rahi thi
Pari ne ro-rokar apna pura chehra bigad diya tha..aansuo ke saath uske aankho me raha kaajal bhi uske komal se chehre ko bigad raha tha, pari ki aankho me rahe dard ko manthan bhi nahi paata aur voh pari ke pass baithte hue kehta hai “nahi pari, voh sach me chala gaya hai”

Pari “juth, juth bol raha hai tu”
voh apni bheegi aankho se manthan ke aur dekhti hai

Manthan sirf naa mein apna sar hilata hai, jiske baad pari ki aakhri ummid bhi tut jaati hai, yaa yu kahi ki pari khud puri tarah se bikhar jaati hai aur siddhi ke gale lagkar jor jor se rone lagi

Siddhi “pari” lekin manthan uska haath pakad kar use rok deta hai aur apna sar naa mein hilane laga

Today
”aaj 8 mahine beet chuke hai..lekin aaj bhi mai manthan ko bhula nahi paayi hu, meri zindagi bhi kitni ajeeb haina” pari ek kamre me baithe hue Siddhi se baat kar rahi thi

Siddhi “pari kab tak..kab tak tu khud ko ese hi hurt karegi”

“mai kaha hurt kar rahi hu, usne kaha tha mujse..promise kiya tha usne muje ki voh meri aankho me kabhi aansu nahi aane dega, usne mujse yeh bhi promise kiya tha ki chahe kuch bhi ho jaaye..voh muje akela chodkar nahi jaayega”
fir kuch der ruk-kar pari kahti hai “tu jaanti hai Siddhi..mai sahi thi”

Siddhi sawaliya bhari najro se dekhte hue apna sar hilati hai “yeh pyaar vyaar kuch nahi hota, sab majak hai” pari ne apni baat rakhi

Siddhi “pari, tu kyu aisa soch rahi hai ki manthan ne kabhi tuje pyaar nahi kiya..??”

Pari “agar voh pyaar karta toh muje aise chodkar nahi jaata, aur agar use ghar hi jaana tha toh kya mai mana karti..?? kya meri usse itni ummid rakhna bhi galat hai..?? apne ghar se jaane se pehle kya voh mujse ek baar mil bhi nahi sakta tha..??”

Siddhi “pari..maine uss din bhi kaha tha tuje ki voh kyu vapas apne ghar gaya hai”


Pari naam aankho se “aur mera kya..?? meri feelings ka kya..?? chalo maana ki use takleef thi..voh muje face nahi kar sakta tha..par jab Paridhi ne mujse promise liya tab voh bhi toh vahi tha..kya voh apni pari ke khaatir mujse nahi mil sakta tha..??”

Siddhi iss baat par kuch nahi bol paati hai, Pari “kehte hai ki jab pyaar hota hai toh insaan ki puri zindagi hi badal jaati hai, jab voh meri life me aaya tab mere pass kya tha..?? mai toh yeh bhi nahi jaanti thi ke mai zinda kyu hu..?? yanha tak ki mere pass jeene ki bhi koi vajah nahi thi” voh aankhe band karte hue “lekin usne muje vajah di..usi ke karan maine firse hasna sikha tha, usi ne muje bataya ki yeh zindagi bhi itni khubsuraat ho sakti hai”

Siddhi “mai jaanti hu Pari ki tu usse kitna pyaar karti hai, maine dekha hai tuje”

Pari “tuje pata hai siddhi, manthan ke meri zindagi me aane ke baad meri toh puri life hi badal gayi thi..mai firse sapne dekhne lagi thi..khush rehne lagi thi”

Siddhi “pari, sapne dekhna koi buri baat nahi hai..akshar jo sapne hum dekhte hai voh hamesa pure nahi hote”

Pari “haa..par uss ehsaas ka kya..?? mai toh usse tabse pyaar karne lag gayi thi jabse muje voh sapne aa rahe the..voh ehsaas hi toh tha jisne muje manthan se milaya tha, mere akelepan..mere khaalipan ko bharne vale toh yahi sapne the aur inhi sapno ki vajah se mai uss insaan se pyaar kar baithi thi jisse mai kabhi mili bhi nahi”

Siddhi “par tu kyu nahi saamaj rahi hai”

Pari “mai samaj rahi hu siddhi..akshar hamare sapne tut jaate hai..mere saath bhi vahi hua, maine jo sapne dekhe the..jise dekhkar mai firse jeene lagi thi voh tut gaye hai, haalat ne firse muje vahi par laakar khada kar diya janha mai pehle the..ekdum akeli”

Siddhi “yeh juth hai, tu akeli nahi hai..hum sab tere saath hai”

Pari “haa, par..”
voh aage kuch nahi bol paati aur uski aankho se aansu nikal aaye

Siddhi “par kya..??”

Pari “Paridhi ne mujse jo vaada liya tha..mai uss vaade ko nahi nibha paayi”
voh apni aankhe band kar deti hai

“thank you so much paridhi..mere iss paglu ka khayal rakhne ke liye, aur mai yeh bhi janti hu ki tu iss pagal se pyaar karne lagi hai, aur mai tujse vaada karti hu ki mai tum dono ke bich nahi aaungi, bas muje ek promise chahiye”……..“muje yeh promise chahiye ki chahe kuch bhi ho jaaye, kitne bhi bure halat kyu naa ho..tu manthan ka saath kabhi nahi chodegi”


Paridhi “I promise you, mai manthan ka saath kabhi nahi chodungi”

Siddhi “tuje aaj bhi paridhi dikhayi de rahi haina..??”

Pari “haa siddhi, muje har raat jab soti hu uske chehra dikhta hai, uss din voh khush thi jab maine usse vaada kiya tha..uss din ke baad mere sapne me voh kabhi khush nahi dikhi, naa hi koi shikayat aur naa hi koi khushi..aisa lag raha tha maano voh andar hi andar ghut rahi hai”

Siddhi “pari..aisa kab tak chalega”


Pari gehri saans lete hue “jyada din nahi, vese bhi ab yeh planet tabaah ho raha hai, jyada din nahi hai hamare pass..bas ek aakhri iccha thi ki marne se pehle mai ke baar..bas ek baar Manthan ko dekh paau, usse mil paau aur yeh puchu ki usne mere saath aisa kyu kiya..??”

Siddhi ke pass ab kehne ke liye aur kuch nahi tha, voh pari ko hug karte hue kehti hai “tu usse jarur milegi, mera dil keh raha hai tuje apna pyaar jarur milega” aur voh vanha se chali jaati hai

Vahi pari apni aankhe band kar unn lamho me kho jaati hai jo usne manthan ke saath bitaye the
Pari ki haalat dekhkar Siddhi bhi bahut jyada pareshan thi..voh chalte hue manthan ke pass aayi thi lekin uski najar Mayank par padti hai jo vaha par khada tha

Pata nahi siddhi ko kya hua ki voh daudte hue mayank ke pass gayi aur uske gale lagte hue ek saath kahi saare sawaal karne lagi “kaha tha tu itne din..?? tuje pata bhi hai hume teri kitni fikar ho rahi hai”

Mayank “mai thik hu siddhi”
voh siddhi se alag hote hue bola

Siddhi “manthan, 8 mahine beet chuke hai, teri koi khabar nahi..aur pari ki haalat, please I beg you please tu pari ko sambhal le..mujse nahi hota ab..mai nahi sambhal sakti pari ko”
yeh kehti hue uski aankho se aansu nikal aaye

Mayank “don’t worry, mai usi ke liye aaya hu, bas thodi si madad chahiye tum sab ki”

Kruti “par tu itne din kaha tha..??”


tabhi achanak se vaha par bhookamp ka jatka aaya aur saath me joro se dhamaka hua jise sunkar Mayank chaunk jaata hai

“yeh..yeh kya tha..??” aur voh apne charo aur dekhte hue bola “yanha par ho kya raha hai..??”

To be continued…
 
Top