• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Sci-FI StRanGe WoRLd : APOCALYPSE

Which part is better in Strange World Series? (strange world series ka konsa part behtar hai?)


  • Total voters
    22

Milan2010

Well-Known Member
4,809
3,582
159
Manthan toh samjhdar hai lekin woh aap ke isharo pe chalta hai aap jaisa chahe waisa us se karwaye
hehehehe are nahi kirti ji
mai toh vahi likhta hu jo manthan muje batata hai :smarty:
 
  • Like
Reactions: Kirti.s and Naina

Milan2010

Well-Known Member
4,809
3,582
159
Brilliant update
Yha sawalo ke jawab dhundhne ki koshish mein or naye naye sawal samane aate ja rhe hai.ab toh dheere dheere hi sari chizen clear hogi
:thanks: Kirti.s ji :dost:
haa yeh toh haai, abhu toh aage aur jhol hone vala hai
 
  • Like
Reactions: Kirti.s

Milan2010

Well-Known Member
4,809
3,582
159
chalo kuch suspense se toh parde hate...
Yeh bechare akshita, pathik aur Sam confusion mein hain.... ab kahani Milan sir ki hain.... impossible kuch bhi nahi yahan par.... isliye yeh strange world hain :D

Let's see what happens next
Brilliant update Milan ji...... great going :applause: :applause:
:thanks: Naina ji
jaankar acha laga ki aapne yeh story bhi padhi
par mai bas itna kehna chahunga ki aap pehle iss story ka first padhiye, varna aap yeh story samaj nahi payegi
haa, strange world toh hai
saath bane rahiye :dost:
 
  • Love
  • Like
Reactions: Kirti.s and Naina

Milan2010

Well-Known Member
4,809
3,582
159
Mera manna hai jis tarah mayak earth 2 se earth 1 per gaya aur sab se mila usi tarah Sam bhi earth 1 se earth 2 ke mumbai m pehucha hai wo earth 1 ke future se hai tabhi uske planate ke past history me kahi alian attack nahi hai ...thoda confusing hai but ab dheere 2 bate clear ho rhi hai
:thanks: Anky@123 bhai :dost:
:welcome1: to the story :hug:
jaankar acha laga ki aapko story pasand aayi
aapka guess acha hai, ab toh yeh waqt hi bataega ki aage kya hone vala hai
saath bane rahiye
 
  • Like
Reactions: Anky@123

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,620
92,259
189
:thanks: Naina ji
jaankar acha laga ki aapne yeh story bhi padhi
par mai bas itna kehna chahunga ki aap pehle iss story ka first padhiye, varna aap yeh story samaj nahi payegi
haa, strange world toh hai
saath bane rahiye :dost:
xp pe first part mein rebu di thi :D
 
Last edited:

Milan2010

Well-Known Member
4,809
3,582
159
Update : 20 (Kudrat ki Taaqat)

Manthan “kyunki mai ese pehle bhi kar chukka hu, jab mai Earth-1 par tha..tab mai usse lada tha, Dexter naam tha uska”

Sam “muje abhi bhi yakeen nahi ho raha..kese..?? tune dimension barrier kese cross kiya..??”

Ab aage…


Manthan “hamara experiment kaafi had tak kamiyaab ho gaya tha, almost 10 minutes tak saare system stable the, but shayad Dr. Avi ki calculations me kuch gadbad ho gayi thi..hum jaante the ki hamare experiment se kuch esi chize samne aayegi jise control karna hamare bas ke baahar hoga, lekin hum sab ne uske liye bhi taiyaariya kar rahi thi..but fir bhi hamare calculations galat hue aur tachyons unstable ho gaye” voh saans lete hue kehta hai “hum sab ne milkar bahut koshish ki ke hum vapas tachyons par apna control vapas hasil kar sake, lekin hum jo bhi command dete voh system accept nahi kar raha tha, yanha tak ke hamare system ne EMERGENY SHUTDOWN aur hamara FAILSAFE ka command bhi accept nahi kiya”

Pathik “fir..fir kya hua..??”

Manthan “hum kuch samaj paate uske pehle hi pipeline me ek dhamaka hua aur uski vajah se sare electrical equipments me short-circuit hua aur pure lab me aag lag gayi”
voh bolte hue ruk gaya

Manthan “aag lagne ki vajah se muje pari ki fikar ho rahi thi, toh bina kuch soche mai siddha cabin se bahar nikalkar Pari ki aur bhaga, lekin shayad bahut der ho chuki thi, Pari aag ke ghere me fas gayi thi..mai hi use Lab ke andar lekar aaya tha..yeh sochkar ki jab experiment pura hoga toh mai use surprise dunga, par uss aag ne sab kuch jalakar rakh kar diya tha” yeh bolte hue uska gala bhaari hone laga tha “mere samne Pari madad ke liye bheekh maang rahi thi..vanha aag itni jyada fail gayi thi ki koi bhi uski madad ke liye kuch bhi nahi kar paa raha tha..muje bas apni Pari ki fikar ho rahi thi..mai uski aur dekhte hue uss ramp par gaya jo vanha par tuta hua pada tha, ussi ramp ke sahare mai uss aag me bhagte hue pari ke pass pahucha..iss baat se anjaan ki hamari zindagi me kuch aisa hone vala hai jo insaan ki soch ko badal kar rakh dega”

Siddhi “aisa toh kya hua tha..??”

Manthan “mai bhaag raha tha, pari ke karib pahuch raha tha..hum dono hi ek dusre ko dekh rahe the..ki achanak se thik mere aage ek bahut hi bada dhamaaka hua aur dhamaake ne muje hawa me piche ki aur dhakel diya..mai kuch samaj paata uske pehle hi mai ek paid se jaa takraya aur fir behosh ho gaya..jab aankh khuli toh pata chala ki mai ek gaanv me hu”


Vaha maujud kisiko bhi kuch samaj nahi aa raha tha, Siddhi “aivay, matlab dhamaka hua aur tu dusre earth par chala gaya..?? kese..??”

Manthan “mai batata hu, jab mai dusre earth par tha, tab maine iss baare me study kiya ki mai vanha kese pahucha”

Pathik “ab tu kuch aisa kehne vala hai jisme hamare dimaag ki battiya ghul hone vali hai”


Manthan haste hue uski aur dekhta hai, “tachyons ki speed ko hume light ki speed par control karna tha aur uss speed par tachyons particles ka kya behaviour rehta hai use study karne ka tha, hum yeh jaante the ki jab tachyons ki speed hum light ki speed tak le aayenge toh pipe line me bahut jyada matra me heat generate hogi, toh uss heat ko counter kanre ke liye humne cooling systems install kiye hue the..lekin uss raat baha teji si bearish ho rahi thi aur saath me bijli kadak rahi thi, pata nahi kese par tachyons ke itni rafter ki vajah se voh bijli ko apne aur kheech rahi thi..shayad isliye aisa ho raha tha ki tachyon particles mese koi unknown energy bahar nikal rahi thi, ab hua yu ke jab bijli jameen se takrayi toh usne hamare primary cooling system ko tabah kar diya, aur uss vajah se pipline me temperature itna jyada badh gaya ki voh single particle jo pipeline me tha voh blast ho gaya aur CDC lab me pehla dhamaka hua, lekin usne baaki ke particles unstable ho gaye”

Sam “kese..?? I mean baaki ke particles kaha tha”

Manthan “voh underground bunker me store kiye hue the, jab particle pipeline me destroy hua, tab usme se nikal rahi unknown energy har jagah fail gayi thi..usi energy ne baaki rahe tachyons ko bhi unstable kar diya”

Akshita “yeh toh samaj me aagaya, lekin tera dusre earth par jaana, yeh abhi bhi koi nahi samaj paa raha”


Manthan ne ek aur baar firse bolna chalu kiya “jab mai pari ko bachane ke liye uske pass gaya, thik usi waqt jo tachyons unstable hue the, usme se ek tachyon underground se mere aur aaye, saath me bahar bijli bhi bhayank tarike se kadak rahi thi, and according to newtons third law, agar kisi bhi do chiz ko same speed aur same energy se ek dusre se takrayenge..toh ek force create hoga, jitni jyada energy..utna bada dhamaka, tachyons ki speed ko counteract sirf vaha maujud radio waves kar sakti thi..aur radio waves ka eklauta device mere jeb me tha...mera cell phone”

Sam aage ki baat ko pura karte hue bola ”cell phone ek particular frequency band par kaam karta hai, aur radio wave continuously satellite ke contact me rehti hai, aweomse”

Mayank saans lekar “exactly..basically radio waves ek type ki electromagnetic waves hi hai, jo light ki speed se travel kar sakti hai, but uske andar tachyons ke jitni energy nahi hoti, so lightning bolt yaani bijli ne radiowaves ke liye as a booster ka kaam kiya, so radio waves ki speed aur lightning bolt ki energy ka combination ne tachyons ko counter kar diya”

Pathik “yaani tachyons aur radiowave plus lightining bolt ke takrane se dhamaka hua aur uss dhamaka se vaha ek worm hole open ho gaya..??”

Manthan “haa, thik yahi hua”
ajeeb si shakal banate hue pathik ki aur dekhta hai

Pathik “kya..??”

Manthan “nothing”
use earth-1 vale pathik ki baat yaad aajati hai, kyunki thik yahi baat uss Pathik ne bhi kahi thi

Siddhi “manthan, yeh sab toh thik hai, par black hole me tu zinda kese raha..??”

Mayank “actually jis point par dhamaka hua, voh point khud mai tha, worm hole ke open hote hi mai uske andar khicha chala gaya, par mere saath tachyons ke particles bhi andar khiche aaye aur wormhole hole ke andar voh mere body ke saath fuse ho gaye”

Siddhi “wow, it’s amazing”

Pathik “seriously, tune sahi kaha tha, believe karna impossible hai”


Sam bhi utna hi shocked tha jitna Pathik aur Siddhi the, kyunki iss tarah ki baate unke samay me bhi hona impossible tha

Sam “hum dono ki hi kahani ek jesi hai..mera matlab ki kisi bhi kahani par believe karna..it’s almost like impossible”

“Dimension Travel aur Time-Travel, yeh dono ese shabd hai jise sunkar har insaan ke maann me bas ek hi khayaal aayega..IMPOSSIBLE”
manthan sam ki aur dekhte hue kehta hai “agar yeh koi aur waqt hota toh shayad yeh mai kabhi nahi manta ki tum dono future se aaye ho, lekin aaj haalat ese hai ki muje yeh bilkul bhi ajeeb nahi lag raha”

tabhi Pathik manthan se puchta hai “manthan, kya mai puch sakta hu..??”

Manthan “haa bhai, puchna”


Pathik atakte hue puchta hai “jo tere saath hua, voh…kya yeh ho sakta hai ki..I mean teri tarah” voh ruk ruk kar bol raha tha “PARI bhi jinda ho..??”

Manthan “mai nahi jaanta”
usne bahut hi ruansi awaaz me kaha, voh pata nahi kyu par sach nahi baata paa raha tha, yaa fir use sach batane ki himmat nahi ho rahi thi

Sam “fir kya hua..?? voh time-wraith ke baare me tuje kese pata chala..??”

Manthan “mai karib 8 mahine ke liye Earth-1 par ruka tha, pehle toh muje laga ki maine time-travel kiya hai, kyunki maine firse apne mom-dad se mila, pathik..pari…siddhi..kruti..aur khud se mila”
uske baad voh apni puri kahani sabko bata deta hai ki kese usne Dexter ke baare me jaana aur kese usne Dexter ko harakar Earth-1 ko bachaya, lekin jo aakhir me Dexter aur Pari ke saath hua usne iss baare me kisi se kuch bhi nahi kaha

Pathik “wow, vishwaas nahi ho raha, yaani ki mai..I mean ke universe me ek aur mai hu”

Siddhi “toh kya manthan, pari vanha par bhi teri girlfriend hai”


Manthan naa mein apna sar hilate hue kehta hai “nahi siddhi, vaha par manthan aur pari dost hai..vese toh unn dono ki apas me kabhi nahi bani thi..lekin pari ke saath hue hadse ne unn dono ke bich ki ladayi ko khatam kar diya tha”

Pathik thoda sochte hue puchta hai “toh fir vaha par teri gf kaun hai..?? I mean vaha vale manthan ki”

Manthan kuch bolta nahi hai, voh bas siddhi ki aur dekhta hai, toh voh dono hi samaj jaate hai ki manthan kya kehna chah raha hai

Pathik “bas ek aur sawal, agar tu vaha 8 mahine ruka tha, toh yanha par 1.5 saal ke baad kese aaya…??”

Manthan “muje nahi pata, and I don’t know ki mai yeh kese pata laga paunga”

Pathik “mere khayal se aajke liye itna kaafi hoga, hum kuch der aaram kar lena chahiye”

Akshita “haa..mere khayal se tu sahi keh raha hai”
kyunki voh aur sam bhi kaafi thake hue the

Uske baad Pathik, sam aur akshita ko lekar andar chala jaata hai, aur vahi manthan aur siddhi dono kuch der ke liye vahi par baith te hai
Kaafi der ho gayi lekin dono mese koi bhi kuch nahi bola, Manthan aankhe band kiye hue baitha tha aur siddhi pyaar se uski aur dekh rahi thi

Siddhi “manthan” voh bas itna hi bol paayi, manthan apni aankhe kholte hue uski aur dekhta hai

Manthan “haaa”

Siddhi “kya tu muje maaf kar paayega..??”

Manthan “siddhi, mai uss hadse ko bhul chukka hu, aur maine tuje maaf kar diya hai, so tu bhi bhul jaa”

Siddhi “thanks manthan, and I am sorry once again”


Manthan uski aur dekhte hue kehta hai “tune sahi kaha tha, tu itni bhi buri nahi hai jitni maine socha tha”

Siddhi apni aankhe chadte hue uski aur dekhti hai, jese puch rahi ho ki maine aisa kab kaha, ise dekh manthan hasne lagta hai “I mean, tune dusre earth me mujse kaha tha”

Siddhi “tune sach me vaha vali siddhi ko gaali di thi..?? itna jyada naaraz tha tu mujse..??”


Manthan haa mein apna sar hilata hai “haa, but anjane me, lekin tuje pata hai, usne meri bahut madad ki, pata hai usne mujse kya kaha”

Siddhi naa mein apna sar hilati hue dheere se puchti hai “kya kaha tha”

Manthan ko aaj bhi siddhi ke saath bitaye hue paal yaad the, voh pyaar se uski aur dekhte hue kehta hai “yahi ki manthu, mai itni bhi buri nahi hu jitna tu muje samaj raha hai, muje pura yakeen hai ki meri kuch majburi rahi hogi jiski vajah se maine tere saaath aisa kuch kiya”

Siddhi “kya mai uss manthan se..”
voh aage nahi bol paati hai

Manthan samaj jaata hai “haa siddhi, voh usse bahut jyada pyaar karti hai”

Siddhi yeh sunkar apna chehra niche juka deti hai, uski aankho se aansu ki bund nikal aayi thi, jise manthan dekh leta hai..toh voh siddhi ke chehre ko apni taraf karta hai aur uske aansuo ko hata deta hai

Siddhi yeh sahan nahi kar paati aur voh jor se manthan ke gale lagkar rone lagti hai, manthan bhi pyaar se use apne seene laga deta hai aur kuch der use ese hi rone deta hai

Siddhi rote hue “I am sorry manthan, I am really sorry”

Manthan pyaar se uske baalo ko sehlate hue kehta hai “sssshhhhh, jo hua voh bhul jaa, aur dosto ke bich sorry nahi hota”

Siddhi usse alag hote hue kehti hai “kya sach..?? kya hum dono sach me dost hai..??”

Manthan “haa siddhi, hum hamesa dost rahenge, vaada karta hu”


Yeh sunkar siddhi ekdum pyaari si smile deti hai, jise dekhkar manthan kuch der ke liye siddhe ki uss pyaari si aankho me dekhta rehta hai
Siddhi bhi apni najre manthan se milaye hui thi, kuch der ke liye vaha par ekdum se shanti ho jaati hai, siddhi dheere se kehti hai “manthan, kya mai tuje kuch puch sakti hu..??”

Manthan “haa puch na”

Siddhi “tu..vanha vali pari se bhi pyaar karta haina..??”


Manthan yeh sunkar firse udaas ho jaata hai, use samaj me nahi aa raha tha ki voh kese bataye ki uske dil me kya chal raha hai

Siddhi “mai tuje kya ek dost ke naate kuch keh sakti hu..??”

Manthan haa mein apna sar hilata hai, siddhi “manthan, muje lag raha hai ki tune jo pari ke saath kiya voh galat tha, voh bhi toh tuje utna hi pyaar karti hai jitna hamari pari tujse karti thi” voh manthan ke chehre ki aur dekhte hue hi kehti hai “maana ki tera uss earth par jaana ek hadsa tha, par kahi na kahi tu aur pari ek dusre se jud chuke ho”

Siddhi “shayad ise pyaar kahte hai, agar aap kisi se sacha pyaar karte hai..toh aapka pyaar hamesa aapke saath rahega, fir chahe tum dusre dimension me hi kyu naa chale jao” voh rukte hue kehti hai “do insaan..jo kabhi ek dusre se mile kabhi mile hi nahi the, fir bhi voh dono hi ek dusre se itne jyada jud gaye hai ki unhe ab koi alag nahi kar sakta”

Manthan “nahi siddhi, mai shayad uske layak nahi hu, tune dekha nahi ki meri vajah se hamari pari maari gayi, meri vajah se uss pari ne apne family ko kho diya”

Siddhi “manthan, yeh sab teri vajah se nahi hua hai, bas yeh jo kudrat haina, voh bahut kamaal ki chiz hai, jab voh kuch humse chin leti hai toh vahi kudrat hume ais tohfa de jaati hai jiski hum kalpana bhi nahi kar sakte”

Manthan “mai kuch samja nahi”

Siddhi “tuje kya lagta hai, duniya me ese kitne log hoge jiska pyaar marr ke bhi laut aata hai..?? tune ek baar bhi yeh socha ki uss pari par iss waqt kya beet rahi hogi..?? voh toh bas ek sapno ke sahare hi tuje apna dil de baithi thi, lekin fir bhi uska pyaar utna hi sachcha tha jitna ki teri pari tujse karti thi”
voh manthan ke chehre ko apni aur karte hue kehti hai “manthan, mana ki tere saath jo hua voh bahut hi bura tha, par tuje ek aur baar kudrat ne mauka diya hai, usne tuje apne pyaar ko vapas lautaya hai, please ise aisa hi jaaya naa kar, tere iss kadam se ek nahi balki do-do zindagiya tabah ho jayegi”

Manthan ko shayad apni galti ka ehsaas ho raha tha ki usne jo pari ke saath kiya voh kitna galat tha, uski aankho se aansu nikal aate hai, siddhi “kya aisa koi tarika nahi hai jisse tu uske pass vapas jaa sake..??”

Manthan “haa siddhi, ek tarika hai, mai vaada karta hu ki pari ko uske hisse ka pyaar jarur milega, usne jo kuch bhi gawaya hai mai use voh sab vapas dunga”

Siddhi “kese..?? uske mom dad toh mar chuke hai”

Manthan “nahi siddhi, uske mom dad jinda hai, uska bhai jinda hai..mai pari ko yanha par lekar aunga..i promise mai hamari pari ko vapas jarur lekar aaunga”
uske aankho me ek chamak thi

To be continued..
 
Top