• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Sci-FI StRanGe WoRLd : APOCALYPSE

Which part is better in Strange World Series? (strange world series ka konsa part behtar hai?)


  • Total voters
    22

Milan2010

Well-Known Member
4,809
3,582
159
Dost mujhe is story mai do teen naate kuch samja nahi....First coronal city mai jaha par energy ka nishant mile the wahi se portal open hoke sam mumbai Jake aaye toh phir jab sam kuch logo ko bachane jata h tab ek ladki mar jaati h uskai samne jis kai wahj se wo khud ko doshi manta h....Par wo toh zinda h and usne jo dekha tha us waqt bhi wo mumbai aya tha portal kai jariye...Or akshita bhi kehtai h ki tum shyad bahut bar mumbai aake gaye lekin yeh kaise possible h matlab yeh man le ki pure coronol city mai har jagah portal h....Or wo unknown energy matla Dexter h kya ??? Jis se manthan ladta h or sam ko bacha leta h lekin usko toh manthan mai khatam kar diya h jo ki pari kai sath juda tha toh yeh or ek kaha sa aya....Or yeh Dorian's yeh 32st century mai the toh yeh wapas is earth pai kaise....
Mujhe lagh raha h yeh sab manthan or dr. Avishkar kai prayog kai wahj se hua h jo CDC lab mai kar rahe the tachyon ko control karne kai liye....Or phir time force and time line gadbadi kai wahj se yeh sab ho raha h may be mere guess sahi nikle ? See next update mai pata chal jayega....
:thanks: $ur@j bhai :dost:
bhai, aapka guess kaafi acha hai
yeh nahi kahunga ki sahi hai yaa galat
sam coronal city se mumbai gaya toh usi portal se tha, par voh turant vapas bhi aa jaata hai, aur yeh kyu ho raaha hai yeh toh muje bhi nahi paata
bas aap saath jude rahiye, aapke saare sawalo ke jawaab aane vale updates me mil jayenge :dost:
voh dexter hai ya nahi voh toh ab waqt hi bataega.
dekhte hai bhai yeh sab kaun aur kyu kar raha hai yaa fir yeh kese hua
yeh sab aane vala waqt hi bataega
sath bane rahiye, lots more to come :dost:
 

Milan2010

Well-Known Member
4,809
3,582
159
Very nice update
Lekin abhi abhi bht sare confusion hai jo samjh se bahar hai.dexter ne phle hi manthan ko bhavishya dikha diya tha.or manthan2 manthan1 ke earth mein 8month rha toh yha use pathik ye kyu bta rha hai woh 1.5 saal kaha rha
:thanks: Kirti.s ji :hug:
haa, confusion toh honge hi na, kyunki yeh hai STRANGE WORLD
yeh sawaal ka jawaab toh ab manthan hi de paayega, uske jitna samajdar toh mai nahi huna :smarty:
 

Milan2010

Well-Known Member
4,809
3,582
159
Update : 19 (Earth-2)

Sam kehta hai “ab agar tumhara milan khatam hua hai toh kya hum kuch kaam ki baat kare..??”

Manthan “thik hai, mai sabkuch bataunga, par pehle muje yeh janna hai ki what the hell is going on here”

Ab aage…

Pathik kuch kehta uske pehle Manthan kehta hai “bhai, sabkuch janna hai muje, uss din se jab voh hadsa hua tha”

Pathik “thik hai bhai, uss din jab voh dhamaka hua, uss dhamake me karib 150 se jyada log maare gaye the, aur 300 se bhi jyada log ghaayal the, kisiko choti moti chaute aayi thi toh kisi ki haalat critical thi, jab uss dhamake ke baare me hume pata chala toh humne police se madad maangi”
voh thoda rukkar apni baat aage badhata hai “tere aur Paridhi ko dhundne ki unhone aur humne bhi bahut koshish ki, lekin voh bas...” voh aage nahi bol paa raha tha

Siddhi uski baat ko pura karti hai “manthan, sabne tum dono ko dhundne ki bahut koshish ki, lekin kuch nahi mil raha tha, yanha tak ki police ne har ek jagah chaan mari, par naa toh unhe tum mile aur naa hi tumhare sharir” yeh kehte hue Siddhi ki aankho me thodi si name aa jati hai ”lekin fir bhi unn logo ne haar nahi maani thi, voh apni aur se pura prayash kar chuki thi, uske baad unhone hume yeh bataya ki jaha par tum dono the, voh dhamaka bhi thik usi jagah par hua tha, toh ho sakta hai ki tumhare sharir naa rahe ho..kyunki voh dhamaka itna jyada powerful tha ki vaha kuch bhi nahi bacha tha, not a single thing”

Pathik “jab yeh baate hume batayi gayi toh hum samaj nahi paa rahe the ki kese react kare”

Siddhi “aur aarav..voh toh bichara tut hi gaya jab use yeh pata chala ki ab voh apni behen ko dubara fir kabhi nahi dekh paayega”

Pathik “hum sab jaante hai ki aarav apni behen se bahut pyaar karta hai, yeh kehna galat nahi hoga ki uski jaan Paridhi me basti thi, lekin uss hadse ne sab kuch badal diya tha”

Siddhi “aarav bahut roya hai, yeh hum dono hi jante hai ki use sambhalana kitna jyada muskil tha”

Pathik “haa manthan, tu jaanta voh tujse itni jyada nafrat kyu karta hai..??”
iss sawal ka jawab manthan kuch nahi deta “uski ek vajah yeh bhi hai ki voh apni behen ko aakhri baar bhi nahi dekh paaya tha” pathik ne khud hi apne sawaal ka jawab diya

Iss waqt sabhi log bina kuch bole Pathik aur Siddhi ki baat sunn rahe the, Pathik “dheere dheere din beet rahe the, hum uss hadse ko bhulne lage the, lekin aarav uss hadse se ubhar nahi paaya tha, use khud ko sambhalne me kaafi waqt chala gaya, dheere dheere hum sabhi ki life normal hone lagi thi..lekin”

Siddhi “lekin pichle mahine achanak se Zorians hamari prithvi par aaye, koi nahi jaanta tha ki voh kyu aur kaanha se aaye hai, bas achanak se voh hamare samne aaye aur sabkuch tabah karne lage”

Pathik “lekin voh akele nahi the, unhe saath koyi aur bhi aaya tha”


Sam samaj jaata hai ki Pathik kiski baat kar raha hai “dinosaurs”

Pathik naa mein apna sar hilate hue kehne laga “nahi sam, dinosaurs ke alawa bhi koyi aaya tha..aisa lag raha tha jese koi special type ke army hai, par voh kaafi ajeeb log the, I mean unn sab ke kapde, unke weapons aur unke ladne ki style..voh kaafi alag thi”


Akshita sawaliya bhari najro se pathik ki aur dekhte hue kehti hai “alag the matlab..??”

Siddhi “matlab yeh ki hamare pass uss tarah ki army ki koi details nahi thi, matlab kisi bhi country ke pass uss tarah ki army nahi thi, lekin fir bhi hum unka saath dene ko taiyaar the, kyunki hamare pass aur koi option nahi tha..sirf vahi ek army thi jo Zorians ka datkar muqabla kar rahi thi”

Pathik “haa, aaj tak yeh samaj me nahi aaya ki voh army kab aur kaha se aayi thi..lekin unke log Zorians ko kadi takkar de rahe the, yanha tak ki unhone kaafi Zorians ko maar bhi giraya tha lekin..”
voh bolte hue ruk jaata hai

Sam “lekin kya..??”

Pathik “kuch hi dino me unn logo ke marne ki khabar aane lagi, koi kuch samaj paata ki unn logo ke saath aisa kyu ho raha hai uske pehle hi voh puri army khatam ho chuki thi”

Manthan “achanak se puri army kese khatam ho sakti hai”

Pathik “bhai, yeh toh hume bhi nahi pata ki yeh kese hua”


Manthan jo abhi tak sab sunn raha tha, voh kuch yaad karte hue kehta hai “aur yeh dinosaurs ka kya lafda hai..??” usne akshita ki baat yaad dilate hue kaha

Siddhi “manthan, yaha jo ghatna ae ghat rahi hai voh kaafi ajeeb hai, sabse pehle maine dinosaurs ko dekha tha”

Akshita “pehle toh hume bhi yakeen nahi hua, hume laga ki ho sakta hai ki voh Zorians ki koyi nayi chal ho, but yanha aane ke baad hum sure ho gaye ki voh dinosaurs hi the”

Manthan “yeh kese ho sakta hai..?? I mean dinosaurs ko toh mare hue laakho saal beet chuke hai”


Sam iss waqt kuch nahi bol raha tha, uske maann me kuch chal raha tha, usi ko sochte hue usne pathik se sawal kiya “ek min, voh army..kya voh Zorians se pehle aayi thi yaa uske baad”

Pathik “mere khayal se voh dono karib karib ek saath hi aaye the”

Sam “kya tumhare pass unki koi tasweer hogi..??”

Akshita “sam, kya soch raha hai tu”


Lekin sam iss waqt akshita ke sawaal ka koi jawab nahi deta, aur voh pathik ke device me voh tasweer dekhne laga, jise dekhte hi Akshita bhi samaj jaati hai ki Sam ne yeh kyu pucha tha
Sam “pathik, voh hamari army thi..matlab voh sabhi log mere waqt se aaye the”

Akshita “iska matlab toh yeh hua ki hamare satellites sahi se kam kar rahe hai”

Sam “haa aksh, Bennet hamari army se contact isliye nahi kar paa raha tha kyunki voh kabhi vaha par the hi nahi”


Akshita gehri saans lete hue bolti hai “haa sam, isiliye hume unke heat-signatures nahi mil rahe the” fir voh kuch yaad karte hue “aur voh jo ek soldier jiske heat-signatures hume mile the..?? tab tune hi kaha tha ki hamari satellites thik se kaam nahi kar rahi”

Sam “haa, galat tha mai, ab muje samaj me aa raha hai ki hume apni amry ke heat-signatures kyu nahi mil rahe the” thoda rukkar kehta hai “aur voh soldier, muje lagta hai ki voh aanjaane me hi shayad yanha se vapas hamare waqt me aagaya hoga, bilkul vese hi jese mai kahi baar mere saath ho chukka hai”

Siddhi “iskya kya matlab ho sakta hai..??”

Akshita “mere toh kuch bhi samaj me nahi aa raha”

Sam “iska matlab toh sirf yahi hai ki kisine time ke saath bahut bada khilwaad kiya hai”


Manthan bhi yeh baato ko sunkar kaafi shocked ho gaya tha, lekin saath me uska dimaag bhi kaafi tej daudne lagta hai, voh har ek kadi ko aapas me jodne ki koshish kar raha tha, voh janta hai ki jab tak use puri baate nahi pata chalegi voh kuch nahi kar paayega “sam, tum dono aakhir hamare waqt me aaye kese..?? I don’t think ke tum dono yanha apna past change karne aaye ho”

Sam uski aur dekhte hue kehta hai “nahi manthan, mai aur akshita history badalne nahi aaye hai”

Manthan ke mann me jitney bhi sawaal the voh ek-ek karke sam se puchne laga “agar yeh jo Pathik aur siddhi ne kaha voh sach hai, toh I guess ki tum dono ne iss waqt me aane ke liye time machine ka istemaal nahi kiya, kyunki puri army time machine se toh nahi aa sakti..atleast ek se toh nahi”


Sam samaj jaata hai ki manthan kya janna chahta hai, isliye voh use sabkuch bata deta hai jo use aur akshita ko pata tha, Sam ki kahani sunne ke baad manthan “3146, amazing, teri baat sunne ke baad ek baat toh sure ho gayi hai, yeh Zorians, voh tere hi waqt se aaye hai, par kyu..??” fir voh kuch sochte hue pathik se bola “pathik, kya hum CDC lab jaa sakte hai..??”

Pathik “nahi bhai, CDC lab toh usi waqt khatam ho gaya tha, aur uss hadse ke baad Government ne uss jagah ko puri tarah se seal kar diya tha, ab vanha par kuch nahi bacha”


Yeh baat sunkar manthan thoda nirash ho jaata hai, Pathik yeh dekhkar usse puchne laga “bhai, par tuje CDC lab kyu jaana hai..??”

Manthan “muje Gideon ki madad chahiye thi, and I don’t think ki mai use yanha par bina kisi supporting device ke use activate kar saku”

Pathik “I am sorry manthan, lekin Zorians ke aane baad hamare ek bhi AI kaam nahi kar rahe, yanha tak ki hume ek dusre ko contact karne ke liye voh purana tarika hi apnana pad raha hai”


Sam jo inn logo ki baate sunn raha tha, unhe rokte hue usne manthan se apna purana sawal firse dohraya “kya hum yeh baate baad me kar sakte hai..?? muje janna hai ki voh kya tha jisse tune muje bachaya”

Manthan “haa jarur, yeh sab baate sunne ke baad shayad ab uske baare me batana utna ajeeb nahi hoga”
usne sam ki aur dekhte hue kaha “time-wraiths ke baare me kabhi suna hai..??”

Sam “haaa, voh ek ese jeev hote jo time-line ko protect karte hai”

Pathik “haa par voh toh sci-fic movies me hota hai”

Manthan “haa, hota toh usi me hai but…”
voh bolte hue ruk gaya

Akshita uski baat ko samajte hue kehti hai “you mean to say ki voh roshni..voh ek time-wraith tha..??”

Manthan haa mein apna sar hilata hai “yup, it is”

Pathik “manthan, yeh tu keh raha hai..?? tu pagal toh nahi ho gaya”


Sam kuch sochte hue “tu itna sure kese ho sakta hai ki voh time-wraith hi tha..??”

Manthan “kaaha tha na, agar maine tumhe bata bhi diya tab bhi tu believe nahi kar payega”


Pathik bhi kaafi shocked tha “bhai, believe kese hoga, tu uss jeev ke baare me baat kar raha hai jiske existence ka hamare pass koi proof nahi hai”

Sam “but how..??”

Pathik “par kese ho sakta hai, manthan, muje aisa kyu lag raha hai ki, kya hua tha tere saath”


Akshita sawaliya bhari najro se dekhte hue puchti hai “tu usse pehle bhi mil chukka hai, right..??”

Manthan iss baar halki si muskaan ke saath apna sar haa mein hilata hai, jise dekh Sam ekdum narmi se puchta hai “how..?? and who are you..??”

Manthan “I am just human, like you all, bas ek chota sa change hai”
fir voh pathik ki aur dekhte hue kehta hai “mai uss din mara nahi tha, infact mai kabhi mara hi nahi”

Yeh baat Pathik aur siddhi par kisi bomb ki tarah futi thi, voh dono hi asamaj bhari aankho se manthan ki aur dekhe jaa rahe the, Pathik haklate hue puchta hai “toh tu itne din kanha tha..??”

Manthan unn sabhi ki aur dekhte hue dheere se bola “main kaha tha” usne apna chehra niche ki aur juka liya “dusre Earth par, more preciously on EARTH-1”

Ab baari sabhi logo ke chaunkne ki thi, voh saare ek saath kehte hai “kyaa…??”

Akshita “yeh impossible hai”

Sam “maana ki hum dono future se hai, lekin hamare waqt me bhi multiverse ke baare me koyi pata nahi laga paaya”

Pathik “manthan, kese.?? Kya sach me tu dusre dimension me chala gaya tha..??”
Voh aur kuch nahi bol paata

Pathik ki aur dekhte hue “tuje kya lagta hai, uss dhamake se mai kese bacha hounga..??” manthan ne ek sawaal pathik se kiya

Pathik “kese..?? how..?? tu dusre earth par kese gaya..??”

Sam “tu time-wraith se kese mila..?? aur uski raftaar..kese tune use, I mean uska tujpar koi asar kyu nahi hua..??”

Manthan “kyunki mai ese pehle bhi kar chukka hu, jab mai Earth-1 par tha..tab mai usse lada tha, Dexter naam tha uska”

Sam “muje abhi bhi yakeen nahi ho raha..kese..?? tune dimension barrier kese cross kiya..??”


To be continued…

 

Rahul

Kingkong
60,556
70,670
354
badhiya update bhai ji
 
  • Love
  • Like
Reactions: Milan2010 and Naina

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,259
189
chalo kuch suspense se toh parde hate...
Yeh bechare akshita, pathik aur Sam confusion mein hain.... ab kahani Milan sir ki hain.... impossible kuch bhi nahi yahan par.... isliye yeh strange world hain :D

Let's see what happens next
Brilliant update Milan ji...... great going :applause: :applause:
 

Anky@123

Well-Known Member
2,061
6,872
143
Mera manna hai jis tarah mayak earth 2 se earth 1 per gaya aur sab se mila usi tarah Sam bhi earth 1 se earth 2 ke mumbai m pehucha hai wo earth 1 ke future se hai tabhi uske planate ke past history me kahi alian attack nahi hai ...thoda confusing hai but ab dheere 2 bate clear ho rhi hai
 
  • Love
  • Like
Reactions: Naina and Milan2010
Top