• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest Samraat ..The Tales of Debauchery, Hate & Revenge

Daksh The King

Active Member
905
6,390
124
Covid Se Pahle....

covid se pahle meri busyness kuch aisi thi.. mere liye lunch ka samay nikaal pana mushkil tha... mera kaam hi aisa tha.. upar ki krpa se sab koshal mangal tha.. par covid ne aisa disturb kiya.. kuch aise halat kharab hue.. karze ke bojh tale ja daba.. jo abhi tak utar nahi saka... life jaise taise kat rahi rahi thi..
samay freee tha bohut free tha.. so XP ko khub samay dia maine...

parrr abbb

uparwale ki krpa se mera dhanda firse apni routine par aane laga ha... aise me samay ki firse kami ho gayi ha mere paasss....
ab aap sab se juda hon to to juda rahunga.... update ki speed kabhi zayda samay mila to zayada likh kar post kar dia karnga....
kam mila to kammm...

jaise hi last kuch days se udpate likhna to door ki baat.. likhna kya ha. wo bhi nahi sochne ka samay tha mere paas..

aaj kuch din me samay mila.. to socha kya likha jaaye.. fir abhi dedh ghante me update likh daala... aur post bhi kar di...

so update let ho to mayus nahi hona.. updates aate rahenge.. der se sahi.. par aap ka sath bana rahega...

Thanks For You Love......
 

Daksh The King

Active Member
905
6,390
124


Episode:05



Aam police walun ke liye ek baat badi mashahoor ha, police wale agar sachhe mann se kisi case ko solve karne pe aayen toh case kitna bhi rahasmaai kyun na ho. Koi clue bhi unke paas na ho, fir bhi wo case solve kar hi lete han. Asal mujrim tak pohnch jaate han.


Daksh ke maamle me toh fir bhi world ki best organizations active ho chuki thee, wo kaise na fir daksh ki detail nikaal paati.

Jaise hi daksh urf dk ki baat sab tak pohnchi. R.P.O ki ek submarine us ship tak ja pohnchi aur dk baare detail hasil karne lagi. Dk kon tha, ye toh wo nahi jaan paaye, par dk ek indian ha, ye baat woh shuru me hi jaan gaye the. Ship par maujud kuch logon ko sath liya gaya aur lekar chal pade apne ek island par.. Wahin dk ka sketch tayyar karwaya gaya.

Fir shuru hui dk ki khoj.. Dk indian ha, kya wo india me hi rehta ha ya kahin aur. Ye baat toh wo nahi jaan sake. Puri organization ke members ko dk ki pics transfer kar di gayee. Jahan kahin bhi dk mile. Turant sabko khabar kar di jaaye. Kisi bhi haal me usay apne hathon se nikalne na dia jaaye. Dk ki pics india me bhi maujud apne agents ko bhej di gai.. Wo bhi dk ki khoj me lag gaye.

Jitne din daksh island par raha, utne dino me daksh ke bare me detail hasil kar li gayi thi. Aur ye detail b.A.O wale bhi kisi tarah se hasil karne me safal rahe.

Daksh pichhle 6 saal se apne ghar se, apne parivar se door tha. Ye baat bhi sab jaan gaye the. Kyun door tha, ye baat abhi wo nahi jaan paaye. Dono organizations ko dk ke ghar walun se kuch lena dena nahi tha. Isliye dk ke ghar walun par dhayan chhod kar dk ko dhundne me lag gaye.

Dk ke parivar baare jaan kar bhi woh khamosh ho gaye the. Dk parivar india me kuchh gine chune parivaron me se ek parivar tha. Unhe disturb karna, matlab seedha seedha political issues create karna tha. Dono organizations ne dk ki detail dk ke ghar walun tak nahi pohnchne di. Agar pohnch jaati toh wo bhi itne powerfull the, dk ke liye dono deshon ki organizations se lad jaate. Is tarah se dono organizations ke india se relatiions disturb ho jaate. Kyunki dk parivar india me inteha ka powerfull parivar tha. Unhe disturb karne se puri sarkar hil kar reh jati. Aisa dono organizations nahi chahti thee.

Ship ke apni manzil par pohnchne ke bad underworld wale bhi dk ka sketch banwa kar dk ki khoj shuru kar chuke the. Wo bhi puri dunya me phel kar nimoons aur dk ko dhundne lage.

Dunya badi heran thi. Nimoons ka kahin bhi koi pata nahi chal paya tha. Aisa hi haal organizations ka bhi tha. Par woh himmat nahi haare the. Dk samudra me kahin maara bhi ja sakta ha. Jaisa woh sab soch rahe the. Shimuna jo ek light ki surat me earth par aate hue dikhi thi. Uska aur dk dono ka kahin bhi pata nahi chal paya tha, uske baad nimoons ka ship par hamla karna bhi organization ko aisa sab samjha raha tha.. Jis se lage, dk mara nahi ha, wo us light wale ke sath kahin ghayab ho gaya ha.

Isi baat ko saamne rakhte hue sab searching me lage hue the.


:::::::::::::



Daksh china pohnch gaya. Subah hone tak wo paani me hi raha, subah hone se kuch der pehle wo samuda se bahar nikal pada.

Ye daksh ka koi pehla china visit nahi tha. Ship par rehte hue wo pehle bhi kai baar china aa chuka tha. Master chi-fang se milne ki nahi sochi thi kabhi daksh ne.

Daksh samudra se bahar jis area me nikla tha, us area ke baare me daksh ke pass koi info nahi thi. Sahil par khade hokar daksh ne ek angdai li. Fir upar aakaash ko dekhne laga.

Upar aakaash me abhi bhi andhera tha. Par daksh ko aakaash me badal saf dikhaai de rahe the. Sufed badal, kale badal ek sath ek disha me bhaag rahe the. Mano jese race lagi ho. Dono ek dusre se aage nikal jaane ke liye betaab the.

Aisa hi haal kuch daksh ke sath bhi tha. Sufed, kaale siyah baadal organizations ki surat me daksh ke piche bhi lag chuke the. Aur usay apne kabze me karke nayi dunya discover karne ke liye, nayi power paane ke liye betaab the.

Shimuna : ehehehe daksh hamara sawagat karne ke liye koi bhi maujud nahi ha pure china me.

Daksh bhi hasta hua bola..

Daksh : toh hum khud se hi kahe dete han. Daksh and aseem shaktiyon ki malik shimuna ka sawagat ha china ki sar zameen par... Daksh haste hue bola toh shimuna bhi firse hassne lagi.

Shimuna : badhiya andaz tha tumhara daksh!

Daksh : main aisa kabhi bhi nahi tha shimuna. Tumhare aane se main bohut badal gaya hon.

Shimuna : ehehehe mere aane se utna fark nahi pada daksh. Jitna rare things ke use se tumme fark aaya ha. Tum pehle jaise the, ab vaise nahi rahe ho. Tumhare andar ka mahol sara hi badal chuka ha.

Daksh : haan shimuna! Pehle me har dum serious hi raha karta tha. Man chahta tha toh zindagi ke maze bhi loot liya karta tha. Ek aag thi hamesha se mere dil me. Par ab mujhe apne andar ki wo aag apni shiddat khoti hui mehsus ho rahi ha shimuna. Pehle jahan me yaadon me doob kar dukhi ho jaya karta tha. Kabhi kabhi pagalpan ki had me parvesh kar jaya karta tha. Par ab wahin mujhe apne andar kahin bhi dukh dard feel nahi ho raha ha. Abb to jaise zindagi me har pal mast rehne ko mann karne laga ha.

Shimuna : daksh aksar aukat hum khud dukh me rehna pasand karte han. Jis waja se hum andar se kamzor hone lagte han. Fir chah kar bhi hum khud ko andar se strong nahi bana paate. Ya fir hum khud ko strong banane ki koshish nahi karte. Jo kuch tum khaa chuke ho daksh. Uske khaane se tum andar se na keval strong huwe ho, tum andar se change bhi ho gaye ho. Ab jo tumhara roop khul kar saamne aa raha ha. Wo asal me tumhara woh roop ha, jise tum apne andar kahin daba chuke the. Ab tum firse pehle jaise ho gaye ho. Haan agar kabhi tumhe tumhari guzri zindagi se jude hue mile toh fir pata chalega, tumhare andar kis had tak badlaao aaye han. Abhi toh tum sabse door ho na. Isliye bhi tum khud ko strong feel kar rahe ho.

Daksh ne ek gehri saaans li.

Daksh : shayad tum sahi keh rahi ho.

Shimuna : daksh tum na toh island par ho aur na samudra me.

Daskh : toh?

Shimuna : ehehehe tum abhi bhi fitri halat me ho daksh!!

Daksh bhi hasne laga.

Daksh : pata nahi kyun, par aise rehne me bada maza aane laga ha. Itne din bina kapdon ke raha hon toh achha bhi lagne laga ha. Daksh haste hue bola to shimuna khul kar hasne lagi.

Daksh : shimuna tum ud kar aai thi na earth par.

Shimuna : haan, par tum ab kyun poochh rahe ho.

Daksh : wo isliye samudra me tum mujhe flash speed se tairne me madad deti rahi ho. Ab zameen par han. Yahan bhi kuch aisa scene ho sakta hai kya?

Shimuna : nahi daksh! Tumne abhi tak ghor nahi kiya, na hi mujhse poochha, main kyun itni speed se aai thi earth par.

Daksh : toh ab bata do.

Shimuna : daksh maine jo shoes pehn rakhe han woh hamare planet ki sabse special invention ha.

Daksh : achha! Woh kaise?

Shimuna : blend of metals se bane han mere shoes. Jo nimoons mere piche aaye han wo bhi aise hi shoes pehn kar aaye han earth par.

Daskh : shocked!!!

Shimuna : main samudra me rehte hue apne shoes ko tumhare pairon se thoda sa bahar nikal kar swimming karti thi daksh. Tabhi to main itni speed use kar paai hon.

Daksh : mujhe is baat ka ehsas kyun nahi ho paya shimuna.

Shimuna : kaise ho pata daksh! Tum bhaag daud me busy the, main bhi is taraf dhayan nahi de paai. Warna tumhe bata deti.

Daksh : aisa karne se nimoons tumhe paa nahi sake. Aisa kyun?

Shimuna : hum nimoons ki ek khas mehak hoti ha daksh! Jo keval hum hi feel kar sakte han. Me agar tumhare andar se nikalti hon toh nimoons foran jaan jaayenge, fir se kisi ke andar se nikal kar earth par kahin hon. Khushki par rahun ya fir samudra me. Woh jaan jaayenge. Khali shoes nikalne se wo meri bu nahi pa sakte daskh!

Daskh ne ek lambi saans li, shimuna ki hairat bhari baten sunkar wo shocked bhi tha aur excited bhi. Bada anokha aur hatke sunne ko mil raha tha daksh ko.

Daksh : toh ab yahan bhi tum mujhe leke ud sakti ho.

Shimuna : haan daksh! Par ye sahi nahi rahega. Aise tum sabki nazron me aa jaaoge aur mere shoes bhi. Fir toh sach me hi puri dunya pagal ho jaayegi daksh! Tumhare liye, mere shoes ke liye. Shoes se nikalne wali light door se hi sab dekh jaayene. Door se kisi gun se bhi tumhe target bhi kiya ja sakta ha.

Daksh : main bhi ek normal life jeena chahta hon shimuna. Jitna tum mere liye kar rahi ho, woh bhi bohut zayada ha. Mujhe zameen par ek normal insan ki tarah hi rehne dena.

Daksh kheton ke beech me se guzar raha tha. Adhe ghante baad daksh ek sadak par pohncha. Ab sadak par toh wo aage badh nahi sakta tha. Daksh road se hatkar chalne laga. Kuch aage usay ek house dikha. Daksh ne us house ke bahar latak rahe ek kapde ko liya.. Usay cheer kar lamba kiya. Fir usay lungi ki surat me bandh liya.

Shimuna : chalo ek kaam toh hua. Ab master chi-fang ko dhundna hoga tumhe.

Daksh : usse pehle hi mujhe dhundne wale dhund nikalenge. Agar toh mere baare me, tumhare aur dusre nimoons baare khabar puri dunya me phel chuki ha toh.

Shimuna : is baat par toh main 100% sure hon daksh! Earth wale sab jaan chuke honge, sab tumhare aur nimoons ke piche honge.

Daksh : dekh lenge shimuna sab ko. Ab toh baat hi dusri ha.

Shimuna : baat dusri ho ya teesri. Abhi tum strong bane ho daksh, fighter nahi. Aur ek fighter hamesha taqatwar par bhari hota ha.

Daksh : janta hon shimuna!! Ye toh mai bhi samjh sakta hon. Ab sab ke saamne aane wala hon to hungama toh khub khub rahega.

Daksh chalta hua aage badhne laga. Halki sardi thi. Par daksh ko koi fark nahi pad raha tha. Daksh lungi bandhe sadak par chal raha tha. Bohut der baad piche ke raste se ek gaadi ke aane ki awaz sunaai dene lagi toh daksh ruk kar, mud kar gaadi ko dekhne laga. Suraj nikalne hi wala tha. Suraj ki chamak shuru ho chuki thi. Andhera totally khatam ho chuka tha.

Daksh ne lift ke liye hath aage kiya toh gaadi uske paas aa kar ruk gai.. Daksh ne driver wale sheeshe par jhuk kar andar dekha toh gadi ek boodha shakhs drive kar raha tha. Koi aur nahi tha gaadi me.

Daksh : mujhe aage tak chhod denge.. Daksh english me bola. Daksh chinese nahi bol sakta tha.

Woh chinese, english samjh gaya, par bola kuch nahi, front door ke andar ka lock usne hata dia toh daksh ghoom kar,door khol kar front seat par aa baitha. Gadi firse sadak par daudne lagi.

Shimuna : kuch sanki sa lagta ha mujhe toh ye?

Daksh : kya keh sakte han shimuna. Humen lift mil gayi, hamare liye itna hi bohut ha. Ab jaisa bhi ha, humen isse kya.

Bees mint baad gaadi ek daurahe par ruk gai. Chinese bodha daksh ko dekh kar kuch bola. Daksh ko toh smjh nahi aai aur na hi shimuna ko.

Shimuna : mujhe lagta ha daksh ye dusre road par mudne ka keh raha ha.

Daksh ne jis side me budhe ne mudna tha, udhar dekha toh kuch false par usay ek farmhouse dikha. Daksh english me bodhe ka shukriya ada karke door khol kar bahar aa gaya.

Gaadi usi farmhouse ki orr badh gai.

Daksh : ab samjh aaya woh kya keh raha tha.

Shimuna : haan dusre road par shehar ha. Ye apne farmhouse par ja raha ha. Shayad wahi uska ghar bhi hoga.

Daksh dusre road par chalne laga. Ab tak suraj bhi nikal kar apni aab o taab dikhane laga tha.

15 mint baad shehar ka main ilaka shuru ho gaya. Daksh ke paas paise the aur na hi kapde. Aisi halat me daksh shehar me dakhil hota toh sab usay hairat bhari nazron se dekhte. Ek toh daksh indian tha, dusra daksh ek wehshi insan bhi dikh raha tha. Sar aur chehre ke baal bade bade aur uljhe hue the. Lift dene wale ne to kuch nahi kaha tha daksh se. Par ab zarur daksh ko dekh kar sab chonk jaate.

Shimuna : daksh tumhe kisi ghar me mehman ban jana chahiye.

Daksh : haan china mehman nawazi me bohut famous ha. Daksh ek house dekh kar uski orr badh gaya.. Door knock karne ki zarurat nahi padi. Door khula hua tha. Aur ek boodhi chinese aurat ke sath ek boodha chinese ghar ke andar kursiyon par baithe hue the. Daksh ko dekh kar dono ne daksh ko andar bula liya. Dono daskh ko dekh khush bhi ho gaye the. Daksh ke paas aate hi dono uth kar khade ho gaye.

Daksh unke paas pohncha. Daksh ko chinese andaz me pranam karna aata tha, daksh ne dono ko chinese andaz me pranam kiya. Dono daksh ke chinese pranam se aur bhi khush ho gaye.

Daksh english me kuch bolta boodhi hindi me bol padi.

Aurat : tum indain ho na?

Daksh aurat ke mohn se hindi sunkar heran reh gaya. Khushi bhi bohut hui daksh ko.

Daksh : ji autny ji main indian hi hoon!.. Daksh seena taan kar bola.

Aurat : i love india and i love indians too!!

Daksh ke sath sath shimuna bhi khush ho gai. Bodha apni sathi aurat ko pyar se dekhne laga.

Budha : jiang aaj to tumhare dil ko badi khushi mil gayi. Subah subah ek indian jo tumhe mil gaya ha.

Jiang : haan chen aaj sach me mujhe badi khushi mili ha. Beta naam kya ha tumhara?

Daksh sochne laga usay kya naam bataye

Shimuna : bata do daksh! Apna real naam bata do. Bhale log han aur fir humne konsa zayada der yahan rukna ha. Jiang aur chen dono daksh ka mohn takne lage. Naam banate me kya sochna.

Daksh : ji mera naam dk hai.

"dk" jiang aur chen ek dusre ko kar daksh ko upar niche se dekhne lage.

Shimuna : wahi hua na daksh, dekho dono ne bhi naam sun rakha ha. Zarur news me all over the world tumhare naam ko discuss kiya gaya ha.

Daksh : ab kya karen?

Shimuna : kya karna ha, okhli me sarr diya ha to musal se kya darna. Shimuna haste hue boli.

Daksh : waah hamare desh ki kahavaten bhi bolne lagi tum.

Shimuna : ehehehe ab to pata nahi main kya kya bolne lagungi.

Jiang : beta tum---

Daksh : ji aunty ab aap se kya chhupana. Jald hi puri dunya bhi ye jaan jaayegi, main china pohnch chuka hon.

Daksh ka jawab sunkar dono jhatka kha gaye. Dono ne bade josh se daksh ke ek ek kandhe ko pakad liya. Dono ke chehre khushi aur josh ke kaaran surkh hone lage the.

Chen : daksh beta tum zinda ho toh iska matlab wo sab sach ha.

Jiang : chen main bata nahi sakti mujhe kitni khushi mil rahi ha. Ek to mujhe ek indian mila subah subah, dusre maine us insan ko dekh liya, jo puri dunya me famous ho chuka ha.

Daksh aur shimuna dono chen aur jiang ko khush dekh kar mand mand muskura rahe the.

Jiang : beta chalo hamare sath andar.

Dono daksh ko thaam kar andar le gaye. Bade pyaar se daksh ko ek kursi par bithaya. Dono bas shok se daksh ko dekhne lage.

Jald hi jiang ke chehre par chinta ke bhav aane lage.

Jiang : chen daksh bete ko toh puri dunya se ab khatra rahega.

Chen : ohh! Haan jiang tum sahi keh rahi ho.

Daksh : aap dono pareshan ho hon, mujhe kuch nahi hoga. Main koi mom ka putla nahi hon.

Jiang : beta tum china hi kyun aaye ho, apne desh kyun nahi gaye?

Daksh : aunty ji main the great master chi-fang se milne aaya hon.

"chi-fang"

Jiang aur chen dono ek dusre ko dekhne lage.

Chen : daksh beta woh toh tumhe shaolin temple me hi milenge. Par tum kyun unse milna chahte ho.

Jiang : chen main samjh sakti hon, daksh beta kyun master chi-fang se milna chahte han. Zarur daskh beta master se trainning lene aaye honge.

Daksh : aisa hi hai aunty! Ek baar master mujhe ship par mile the. Unho ne khud se kaha tha mujhe fighting seekhne ke liye.

Jiang : aisi baat ha daksh beta toh fir zarur tum kuch khas hoge. Warna toh wo kabhi kisi se aisa nahi kehte. Unhe jab apne matlab ka koi milta ha, tabhi aisi baat karte han.

Daskh : pata nahi mujhme kya dekha tha master ji ne jo mujhse aisa kaha tha. Par ab mujhe sach me hi badi zarurat mehsus hone lagi ha.

Chen : haan beta tum china aa toh gaye ho aur shaolin temple bhi yahan se senkdon mile door ha. Wahan tak sabki nazron se bach kar pohnch paana tumhare liye bohut mushkil ho jaayega.

Jiang : beta apni raksha karna, mujhe tum bohut payare lage ho.

Daksh : ji aunty ji apni raksha ke liye hi toh master ke paas ja raha hon.

Chen : jaisa humne news me suna tha daksh beta. Usse zarur tumhare liye kadam kadam par khatre bante rahenge.

Daksh : main khayal rakhunga uncle ji!

Jiang : daksh beta tum bache kaise. Aur wo roshni kaisi thi.

Shimuna : daksh inhe sab mat batana, mujhe hidden hi rehne dena dunya walun ki nazar me. Warna toh khatra tumhare liye aur bhi badh jaayega, kis kis se tum ladte firoge.

Daksh : ji aunty ji jaisa aapne suna tha, usse milti julti kuch bat ha. Aur bacha me isliye hon aunty ji pichhle 6 saal se main marine life ji raha hon, samudra mere liye kabhi khatarnaak nahi ho sakta.

Dono daksh ke jawab se santust nahi hue, par daksh se is baare kuch aur bhi nahi poocha dono ne.

Kuch der aur baten hoti rahi fir daskh ke liye chinese breakfast tayyar kiya gaya. Tab tak daksh fresh ho chuka tha ghar ke andar bane ek bathroom me ghus kar. Ek suit kapdon ka bhi usay mil gaya tha.

Dono ke siva ghar me koi aur nahi tha. Daksh ne unke sath do ghante aur bitaye. Daksh fir dono se milkar wahan se nikal pada. Yahan zayada der rehna dono ko khatre me daal sakta tha.

Daksh ka huliya badla hua tha. Daksh ko tension to banti par zayada nahi. Agar banti bhi thi toh dekhi jati.

Shimuna : daksh ab se tum saavdhan rehna. Mujhe lagta ha puri earth hi tumhare liye dangerous zone me badal gai hai.

Daksh : jaanta hon shimuna mere liye bohut khatra ha. Jald hi sab jaan bhi jaayenge main china me hon. Aaj nahi toh kal sab ko pata chal hi jaana ha.. Kab tak sabki nazron se chhupa reh sakta hon. Ek bar master ke paas pohnch jaaon, fir koi tension nahi rahegi.

Daksh ne shaolin temple ka rasta jaan liya tha dono se.. Daksh abadi se hatkar safar karne laga.

Shimuna : daksh tum koi gaadi kyun nahi le lete. Safar asan ho jaayega.

Daskh : yahan se door nikal loon, fir try karta hon. Kahin yahan par khoj na shuru ho jaaye aur dono uncle aunty ke liye na museebat ban jaaye.

Shimuna : you are such a lovely person daksh!!

Daksh : hmmm

Daksh 10 km us ilake se door ho chuka tha. Daksh ka chehra baalon se bhara hua tha. Chinese dress wo pehne hue tha. Nahane se chehre aur sarr ke baal suljh chuke the.

Shimuna : daksh dekho sab kaise tumhe ek aam sa tourist samjh kar nazar andaz kar rahe han.

Daskh hasta hua bola

Daksh : haan agar sab jaan jaaye, dk unke beech me se guzar kar jaa raha ha to ek hungama mach uthega.

Shimuna : ehehehe!! Agar aisa hua na daksh! Toh dekhna tumhara mohn hi sab choom choom kar laal kardenge.

Daksh : haha mohn laal choomne se nahi hoga shimuna, padne wali maar se hoga. Aam logon me shamil han woh log bhi jo mujhe dhund rahe han. Ek bar kisi ne mujhe pehchana toh pal bhar me hi pura china kya, pure world me khabar phel jaayega.

Shimuna : sab sochenge daksh! Tum bache kaise. Samudra ke us ilake se kaise bach kar china pohnche.

Daksh : ab toh sab ko confirm ho jaayega shimuna main tumhare sath koi na koi sambandh ha. Warna ek akela admi kaise itne khatarnaak samudra se bach sakta ha.

Shimuna : sahi kaha tumne daksh!

Daksh idhar udhar bhi dekh kar chal raha tha. Logon ke chehre bhi dekh raha tha woh. Ek jaga usay ek admi car se nikalte hue dikha.

Daksh : kya khayal ha, iski car na udaa len.

Shimuna : khayal toh achha ha. Par

Daksh : par car chheen kar nikalna khatre ko dawat dene ke barabar ha.

Shimuna : of course daksh!!

Dekhte han. Koi dusri car dekhte han. Jald koi jaan na sake maine car churaai ha.

Shimuna : ek dusra rasta bhi ha daksh!

Daksh : wo kyaaa?

Shimuna : tum kahin se paison ka intezam karo aur bus ya fir ek taxi karke bhi ja sakte ho.

Daksh : khatra toh vaise bhi banega shimuna! Raste me checking hogi, mere paas na koi passport ha aur na hi koi aur id card. Kahin bhi main safe nahi rehne wala.

Shimuna : toh iska matlab ha temple tak pohnchne me tumhe bohut se khatrat ko paar karna padega.

Daksh : achha ha naa, aise mujhe bhi pata bhi chal jaayega, main kitna strong ban chuka hon.

Shimuna :aur dusre sab bhi jaan jaayenge, daksh samudra se bach nikla hai aur kuch hi dino me kai admiyon ke barabar power bhi usme aa gai ha. Ek hi mukka me kisi ko bhi maar sakta ha. Ye toh galat baat ho jaayegi na fir daksh.

Daksh : jab trainning le lunga, tab bhi toh sab jaan hi jaayenge meri taqat ke baare me.

Shimuna : daksh woh samudri bel toh bandhi ha na tumhari kamar par?

Daksh ne hath laga kar check kiya toh wo bel kamar par bandhi hui thi.

Daksh : shukar ha bandhi hui ha. Warna toh main ise bhul hi chuka tha.

Shimuna : daksh tumhe maalish ka bohut khayal rakhna padega, warna beech raste me hi tumhara phadda agar kisi se padta ha toh tumhare liye masla ho sakta ha. Ab tu samudra ke paas bhi nahi ho. Sharir me akdan badhi toh problem ho sakti ha daksh.

Daksh : achha kiya jo yaad dila dia. Ab bach ke nikalne ki koshish karunga.

Mazeed 4 km ke baad daksh ko ek jaga ek car khadi dikhi. Daksh ne aas paas dekh kar us car ko hasil karne ki sochi. Kuch der lagi par daksh car ke andar ghus kar car ko bina key ke start karke nikal pada tha.

Shimuna : daksh pata ha hamare planet me aisi aisi gadiyan han, tum dekhoge toh heran reh jaaoge.

Daksh : abhi toh bohut kuch poochhna baaki ha shimuna tumse tumhare planet ke baare me.

Shimuna : (chehakte hue) kabhi hamare planet par jana hua na tumhara daskh toh tum dekh kar heran reh jaaoge. Inta khubsurat, itna taraffi yafta planet ha hamara. Sach me pure universe me hamare planet ke jaisa koi dusra planet nahi ha.

Daksh : (hasta hua) bas bas break laga, kitni tareef karegi apne planet ki. Koi bhi planet ho, wahan ke liye rehne walun ke liye wahi universe ka sabse best planet hota ha. Abhi tumne hamari earth ko dekha hi kahan ha. Jab dekhogi toh tum bhi heran reh jaaogi. Aaj pehli baar hum china me dakhil hue han, dekhati jaao bas tum. Fir batana earth khubsurat ha ya nimoonica.

Shimuna : (laughing) definitely nimoonica.

Daksh bhi has pada. Car ko speed se woh raod par daudaye hue aage badhne laga. Ek jaga chinese english dono language me likha hua tha "tancheng county 19km"

Shimuna : yahan ke naam bade ajeeb han daksh tancheng county.. Bhala ye bhi koi naam hua.

Daksh : ye china ha, yahan ki language hi aisi ha. Ab toh humen pata bhi chal gaya ha hum kahan han.

Shimuna : hmm ye toh ha.

15 mint me car tancheng county ke beech me se guzar rahi thi. Aur daksh ke sath sath shimuna bhi aas paas dekh rahi thi. Dono jaanna chahte the koi dk ko dekh kar chonk toh nahi raha. Par koi aisa nahi dikha.

Tancheng county cross kiya toh aage ek check post aa gai.

Daksh : ab yahan se punga shuru hone wala ha shimuna!

Shimuna : daksh jab race lage toh khud ko mere control me de dena.

Daksh : (heran hoke) usse kya hoga.

Shimuna : usse ye hoga gadi utni speed se tum gaadi drive nahi kar paoge jitni speed se main kar sakti hon. Aur majal ha jo gadi kahin ulat jaaye ya koi mujhe pakad bhi paaye.

Daksh : dekhte han kya karna sahi rahega.

Check post par daksh ko foreigner samjhte hue passport talab kiya gaya, jo daksh ke paas nahi tha. Ab to bhaagna hi banta tha. Daksh ne accelerator par ekdumm se hi dabaao badah diya... Gaadi dhuaan ugalte hue zannnnn ki awaz karti hui sabke beech me se nikalti chali gai. Har taraf hadbadi much uthi. Daksh gadi ko lekar check post se door hone laga.

Shimuna : woww maza aa gaya daksh! Aisi hi life jeene me toh maza ha. Shimuna bohut zayda excited ho gai thi.

Dusri taraf check post par khade hue police wale head office call karne lage.. Wahan se pata chala, gadi ki chori ki report bhi ki ja chuki ha. Sab alert ho gaye. Daksh ko gaadi samet arrest karne ke orders jaari kar diye gaye.

Daksh shimuna ke sath tezi se apni manzil ki orr badhne laga.

Shimuna : woww kaisa zabardast adventure ha ye daksh! Sach me mujhe toh maza hi aa gaya. Sun rahe ho police gadiyon ke siren ki awazen. Daksh mujhe gadi drive karne do na plz.. Shimuna request karne lagi.

Daksh : (hasste hue) tum itni utawali kyun hone lagi ho shimuna.

Shimuna : kya karun daksh, chor police wala khel mujhe bohut pasand ha.. Bada maza aata ha mujhe chor police khelte hue.. Shimuna bhi pure pure maze le rahi thi.

150/hr ki speed se gaadi road par daud rahi thi. Daksh khud bhi ek manjha hua driver tha. Shimuna bhi apni karigari dikhane ke liye utawali hone lagi thi. Earth par aaj uska bhi 1st adventure shuru hua tha. Woh bohut zayada excited ho gai thi.

Jald hi kai police gadiyan daksh ke kareeb pohnch gai. Aage ke ek chaurahe se aur bhi police gadiyan speed se aati hui dikhani dene lagi.

Shimuna : plz daksh mujhe drive karne do na.

Daskh : okay!

Daksh ne premission di toh daksh ko ek jhatka laga aur gadi bhi apni akhri hadd ki speed se daudne lagi. Shimuna ne daksh ko apne control me le liya tha. Seat belt daksh ne bandh rakha tha. Shimuna gaadi ko fir aise drive karne lagi, pal bhar me hi sari police gadiyan bohut piche reh gaee. Shimuna maare khushi ke cheekhti hui drive karne lagi.

Jaisa shor shimuna ki driving se mach utha tha, jaise ek shehar me ek road par ek gaadi pure shehar ki police ko apne piche lagaye hue thi. Ye khabar media par bhi aane lagi. Fir toh jaise ek kohram hi mach utha har taraf.

Road par lage hue cctv tv ki video se dk ko pehchan liya gaya. Dk ki fotage tv par bhi dikhai jaane lagi.. Sab jaan gaye dk china pohnch chuka ha.

China police ye baat pehle nahi jan paai. Baad me jab shehar me aur bhi kai gadiyan is race me shamil hui tab kahin jaa ke unke kaan khade hue. Ab unki tension badh gai thi. Woh jaan gaye the unka desh war zone me badalne wala ha. Jab tak dk china me hai ye war khatam hone wali nahi.

China police ko, agents ko bhi dk aur dusre sabke piche laga dia gaya. Dk unke liye bhi attractive person tha. China wale bhi dk ko pa kar dusre planet baare info prapt karne ka sochne lage.


:::::::::::::::::::::::


Shaolin temple me ek fighting compitition chal raha tha. Ek american ladki ek chinese trainned fighter ko tigni ka naach nachaye hue thi. Ladki jise trainning lete hue 5 months beet chuke the, bohut kam samay me hi woh top fighters me shamil ho chuki thi. Koi nahi tha uske muqable ka pure temple me. Jo bhi uske saamne aata, ladki usay pehle round me hi knockout kar deti. Aisi halat kar dia karti thi saamne wale ki, 2nd round ke liye woh uthne layak nahi rehta tha.

Abb bhi wo apne hareef ko sambhalne ka moka nahi de rahi thi. Ring ke charon orr khade hue sab ladki ke naam ki mala jap rahe the. Aur ladki chehre par vijayi muskan liye hue apne rival par tabad tod hamle kar rahi thi.

Kuch hi der me us ladki se ladne wala niche pada hua tha. Uska mohn sooj chuka tha. Uske kandhe ke dono jod hil chuke the. Ladki ne kuch pal usay dekha, fir wahin se jump karti hui ring se bahar kood gai.

Us ladki ka sathi ek towel liye hue uske paas aaya, ladki ne towel lekar apne chehre par, jism par aaya hua pasina saaf kiya. Fir water bottle apne sathi se lekar ek side jaane lagi.. Ladka bhi uske piche chal pada.

Piche reh gaye sab abhi bhi clapping kar rahe the. Ladki ek kamre me pohnchi, uske piche uska sathi bhi kamre me pohnch gaya.

Ladka : madam aj bhi aapne bohut badhiya se fight ki ha. Ladki ne ek nazar ladke ko dekha. Kuch pal dekhti rahi, fir kamre me maujud ek mirror ke saamne ja khadi hui aur khud ko dekhne lagi.

Woh ladke ko uski baat ka jawab dene hi wali thi, usi pal kamre me maujud ladki ke bag me rakhe hue fone ki ring bajne lagi. Ladki ne ek bar firse khud ko mirror me dekha, ek lambi saans li aur apne bag ke pas pohnch kar, fone nikal kar number dekhne lagi.

Number dekh kar ladki ne call pick ki.

Ladki : yes margaret speaking!

Udhar se : margaret main hon!

Awaz sunkar margaret khadi ho gai.

Margaret : yes sir!

Sir : dk china pohnch chuka ha margaret, catch him.. Isse pehle, woh kisi aur ke hath lage. Tum usay apne kabze me le lo. Wahan ke agents tayyar han, bas tumhare pohnchne ki der ha.

Margaret : ok sir! Main abhi nikalti hon... Call end hui margaret ne turant dress change kiya fir woh ladke se boli.

Maragret : jimmy tum yahin rehna main ja rahi hon. Margaret ne jimmy ka jawab nahi suna. Bag me rakhe ek aur mini bag ko hath me liya aur kamre se nikal padi.

Margaret R.P.O se connected thi. Trainning ke liye woh shalin temple me pichhle 5 mahino se trainning le rahi thi. Abhi 4 mahine ki trainning aur baki thi margaret ki.


Margaret: Age:27......R.P.O Special Agent.
1

:::::::::::::::::



Gadi shimuna drive kar rahi thi aur shimuna ko toh 11 mulkon ki police bhi nahi pakad sakti thi. Ye muthi bhar picha karne wale kaise pakad sakte the. Jabse se sara control shimuna ke hath me aaya tha. Tab se shimuna sab ko apne piche chhodte hue 50km ka safar tay kar chuki thi. Shimuna sach me hi bijli bani hui thi.. Majaal ha jo koi usay paa saka ho.

Par ek kahavat ha.. Ser ko sava bhi mil hi jata ha. Daksh shimuna ka sath paa kar ser ban chuka tha. Samudri rare things kha kar bohut power hasil kar chuka tha. Par dunya me ek se badh kar ek maujud han. Aur dunya ki sabse badi do organizations aise hi to nahi sabse badhkar thi. Aise hi to nahi wo all over the world hukumat kar rahi thee.

Unke agents koi aam agents nahi the. Sabke sab manjhe hue agents the. Taqat me aur dimag me woh daksh se kam bhi nahi the.

Khabar milte hi woh sab bhi dk ke piche lag gaye. Daksh ek veraan ilake se guzar raha tha. Police aur dusron ka door door tak koi pata nahi tha.

Shimuna toh gaadi ko plane banaye hue thi, woh kahan kisi aur taraf dhayan de paati. Woh maze se driving kar rahi thi. Daksh ne hi dhayan dia. Daksh ko helicopters ki awazen sunaai dene lagi.

Ek nahi tha helicopter, 3-3 helicopters daksh ke piche pohnch chuke the.

Daskh : shimuna helicopters!

Shimuna ne speed kam ki.. Jaise woh ab hosh me aai ho.

Shimuna : kahan?

Daksh ne sar bahar nikal kar dekha toh dekh kar heran reh gaya. 3 helicopters sar par pohch chuke the..

"woowwwww" ye toh bohut badhiya scene ha daksh!

Daksh : scene ki bachi, gaadi door le jaao inke paas se. Abhi toh hum sahil se 100km hi door hue han. Temple abhi bhi 400+km door ha. Aise toh nahi pohnch paanoga main wahan tak.

Shimuna : daksh tum keh rahe the na, khud ko parakhna chahte ho.. Toh samay aa gaya ha khud ko parakhne ka.

Daksh : hmmm samay toh gaadi ko churate samay hi shuru ho gaya tha. Khair dekhte han, jab bach sakte han, bachne ki koshish karte han. Na bach sake toh fir ladna padega.

Shimuna : aur bina lade hum inse bach kar nahi nikal sakte! Saamne dekho!!

Saamne dekha toh

Shimuna : waah kya beauty ha daksh!

Saamne ek ladki bike par aa rahi thi.


2

Beech sadak me bike ko stand par karke daksh ki orr mohn karke, dono hath seene par bandh kar khadi ho gai.



girl-motorcycle-leather-jacket-ride

Shimuna : kuchal na dun main ise daksh!

Daksh : nahi ab toh dekhna hi padega. Daksh ke kehne par shimuna ne break laga kar gaadi ko rok dia... Ladki katil andaz me chalti daksh ki orr badhne lagi. Helicopters piche fiza me chakkar kaatne lage.

Shimuna : Daksh! Kitni hot ladki ha na. Saali ke aam kitne kasse hue, kitne uthe hue han.

Itni der me ladki daksh wali side me pohnch kar jhuk gai. Daksh side ka sheesha pehle hi gira chuka tha. Ladki ne dono hath khidki me rakhe aur daksh ko ghoorne lagi. Kuch pal dekhti rahi, fir woh honto par smile laate hue daksh se boli.

Ladki : Hello Mr. Dk! I am Margaret!
.
.
.
.

Aaj ke liye itna hi mitro.. Ummeed ha aapko ye update panand aaya hoga.
::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::



 

Daksh The King

Active Member
905
6,390
124

Awesome mazedar marvelous jabardast update bro

Kya hi majedar update

Romantic❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Nice update you have done hard work to write this...thank you...👍😊💐

Awesome updates

Saari dunia waale dhoondne ke liye nomoon's ko or un per apna kabza zamane ke liye khaas ker (R.P.O) OR ( B.A.O) wale or india ki RAW ki ab dekhna yeh h ki kiske haath lagte h DK ya fir nimoons
Daksh bhai tow samudri fal khaker tow kuch or hi ban gaye kabhi has rehe tow kabhi naach rehe h or yeh sabka maza achche se utha rahi h shimuna
Baherhal Daksh ko ab takatwer banna padega jiske usne samudri aushadi khaa i shuru kerdi h ab agla stop h china jaha per daksh training lega master chi-fang k paas dekhte h aage kia hota h
Bahot khoob shaandaar lajawab update bhai

Shimuna ke aa jane se daksh ka jivan jine ka najariya or jivan dono hi badal chuka tha Vahi shimuna ne daksh ke liye samudri ausadhiya Jo usne dhundhi thi unka prayog karvaya or daksh ko majboot takatvar or furtila banne me madad ki sath hi ek aisa tel bhi banvaya Jiski madad se daksh ki Haddiya tutegi nhi, ab daksh china nikal gya hai ship me mile ek fighting master ke pass Jiska sujhav shimuna ne hi diya tha, Vahi daksh ke kale pad Jane ka raaj bhi btaya vo kadvi bel, daksh ne kacchi machhli bhi khai or baad me bhun ke bhi...
Ye America ki agency or esrial ki agency Apne Apne agent lga rakhi hai daksh or un nimuns ko pakadne ke liye sath hi underworld ne bhi apne logo ko faila diya hai pakadne ke liye pr unhe kuchh bhi hasil nhi ho rha, Indian RAW ne bhi daksh ko sahi slamat Apne Desh surakshit lane ke liye apne agent lga diye hai dekhte hai Kon kitna safal hota hai...
Nimuns India ki taraf pahuch rhe hai samudra ke raste or daksh ka pta kr rhe hai... Daksh abtk 10 admiyo ke barabar ki shakti rakhta hai or dheere dheere orbhi jyada takatvar hota ja rha hai dekhte hai or kitna takatvar ho sakta hai... Superb update bhai sandar jabarjast lajvab amazing

Nice Update


Dhasu update

nice update
Too hot


bro Jabardast Update

Fantastic update

Mast update :ban::drummer:

Behtreen UPDATE

Congratulations bhai for new story

update kab aayega

majedar update ..america aur israel ki best team apni power badhane ke liye nimoons aur daksh ki khoj karne me lag gaye .
raw bhi apne tarike se khojbin kar raha hai kyunki ek indian ka naam jud gaya hai nimoons ke saath .

rare cheejo ki wajah se ab daksh thoda powerful ban gya hai .
sea flower ki wajah se daksh ka sharir kala par gaya hai jaise koi nigro ho 🤣 aur shimuna maje le rahi hai daksh ke .
china jakar apni fighting skill badhane ka idea sahi hai daksh ka aur uske pehchan ka ek master bhi china me hai .

Shandaar update
daksh apni shaktiya bhada raha h aur usi ke liye acha world ki 2 power full agencies uske piche h sath he Raw bi usai dhund rahi h .....isliye bahut jaldi jaldi apni shaktiya bhadhani padengi.....aur shimunna toh sex mai bi open h kheli khilagyii h...jo agai bahut kaam ayegi ...aur ab dakhsh china mai martial arts sikhega ye bahut acha h trained fighter ban jayega taki dushmano se ladh sake.....
Ati Sundar.....

Fully cooked n spicy update ❤️🙂😉

Wating for update
Next update kab aayega bro


Bhai sari story acchi hai ab tak lekin yah simona ka virgin nhi hona thik nhi laga aap Aisa dikhao Na ki Daksh simona ke planet per jakar uski virginity leta hai aur vahan ka King ban jata hai aur power hasil karta hai

Iss forum par kuch he stories padne layak hai aapki Star aur ab tak ki story thik hai post karte rahiye

waiting for next update
Update 5 posted Mitro.... plz keep reading🙏🙏
 

Vk248517

I love Fantasy and Sci-fiction story.
5,705
17,758
189


Episode:05



Aam police walun ke liye ek baat badi mashahoor ha, police wale agar sachhe mann se kisi case ko solve karne pe aayen toh case kitna bhi rahasmaai kyun na ho. Koi clue bhi unke paas na ho, fir bhi wo case solve kar hi lete han. Asal mujrim tak pohnch jaate han.


Daksh ke maamle me toh fir bhi world ki best organizations active ho chuki thee, wo kaise na fir daksh ki detail nikaal paati.

Jaise hi daksh urf dk ki baat sab tak pohnchi. R.P.O ki ek submarine us ship tak ja pohnchi aur dk baare detail hasil karne lagi. Dk kon tha, ye toh wo nahi jaan paaye, par dk ek indian ha, ye baat woh shuru me hi jaan gaye the. Ship par maujud kuch logon ko sath liya gaya aur lekar chal pade apne ek island par.. Wahin dk ka sketch tayyar karwaya gaya.

Fir shuru hui dk ki khoj.. Dk indian ha, kya wo india me hi rehta ha ya kahin aur. Ye baat toh wo nahi jaan sake. Puri organization ke members ko dk ki pics transfer kar di gayee. Jahan kahin bhi dk mile. Turant sabko khabar kar di jaaye. Kisi bhi haal me usay apne hathon se nikalne na dia jaaye. Dk ki pics india me bhi maujud apne agents ko bhej di gai.. Wo bhi dk ki khoj me lag gaye.

Jitne din daksh island par raha, utne dino me daksh ke bare me detail hasil kar li gayi thi. Aur ye detail b.A.O wale bhi kisi tarah se hasil karne me safal rahe.

Daksh pichhle 6 saal se apne ghar se, apne parivar se door tha. Ye baat bhi sab jaan gaye the. Kyun door tha, ye baat abhi wo nahi jaan paaye. Dono organizations ko dk ke ghar walun se kuch lena dena nahi tha. Isliye dk ke ghar walun par dhayan chhod kar dk ko dhundne me lag gaye.

Dk ke parivar baare jaan kar bhi woh khamosh ho gaye the. Dk parivar india me kuchh gine chune parivaron me se ek parivar tha. Unhe disturb karna, matlab seedha seedha political issues create karna tha. Dono organizations ne dk ki detail dk ke ghar walun tak nahi pohnchne di. Agar pohnch jaati toh wo bhi itne powerfull the, dk ke liye dono deshon ki organizations se lad jaate. Is tarah se dono organizations ke india se relatiions disturb ho jaate. Kyunki dk parivar india me inteha ka powerfull parivar tha. Unhe disturb karne se puri sarkar hil kar reh jati. Aisa dono organizations nahi chahti thee.

Ship ke apni manzil par pohnchne ke bad underworld wale bhi dk ka sketch banwa kar dk ki khoj shuru kar chuke the. Wo bhi puri dunya me phel kar nimoons aur dk ko dhundne lage.

Dunya badi heran thi. Nimoons ka kahin bhi koi pata nahi chal paya tha. Aisa hi haal organizations ka bhi tha. Par woh himmat nahi haare the. Dk samudra me kahin maara bhi ja sakta ha. Jaisa woh sab soch rahe the. Shimuna jo ek light ki surat me earth par aate hue dikhi thi. Uska aur dk dono ka kahin bhi pata nahi chal paya tha, uske baad nimoons ka ship par hamla karna bhi organization ko aisa sab samjha raha tha.. Jis se lage, dk mara nahi ha, wo us light wale ke sath kahin ghayab ho gaya ha.

Isi baat ko saamne rakhte hue sab searching me lage hue the.


:::::::::::::



Daksh china pohnch gaya. Subah hone tak wo paani me hi raha, subah hone se kuch der pehle wo samuda se bahar nikal pada.

Ye daksh ka koi pehla china visit nahi tha. Ship par rehte hue wo pehle bhi kai baar china aa chuka tha. Master chi-fang se milne ki nahi sochi thi kabhi daksh ne.

Daksh samudra se bahar jis area me nikla tha, us area ke baare me daksh ke pass koi info nahi thi. Sahil par khade hokar daksh ne ek angdai li. Fir upar aakaash ko dekhne laga.

Upar aakaash me abhi bhi andhera tha. Par daksh ko aakaash me badal saf dikhaai de rahe the. Sufed badal, kale badal ek sath ek disha me bhaag rahe the. Mano jese race lagi ho. Dono ek dusre se aage nikal jaane ke liye betaab the.

Aisa hi haal kuch daksh ke sath bhi tha. Sufed, kaale siyah baadal organizations ki surat me daksh ke piche bhi lag chuke the. Aur usay apne kabze me karke nayi dunya discover karne ke liye, nayi power paane ke liye betaab the.

Shimuna : ehehehe daksh hamara sawagat karne ke liye koi bhi maujud nahi ha pure china me.

Daksh bhi hasta hua bola..

Daksh : toh hum khud se hi kahe dete han. Daksh and aseem shaktiyon ki malik shimuna ka sawagat ha china ki sar zameen par... Daksh haste hue bola toh shimuna bhi firse hassne lagi.

Shimuna : badhiya andaz tha tumhara daksh!

Daksh : main aisa kabhi bhi nahi tha shimuna. Tumhare aane se main bohut badal gaya hon.

Shimuna : ehehehe mere aane se utna fark nahi pada daksh. Jitna rare things ke use se tumme fark aaya ha. Tum pehle jaise the, ab vaise nahi rahe ho. Tumhare andar ka mahol sara hi badal chuka ha.

Daksh : haan shimuna! Pehle me har dum serious hi raha karta tha. Man chahta tha toh zindagi ke maze bhi loot liya karta tha. Ek aag thi hamesha se mere dil me. Par ab mujhe apne andar ki wo aag apni shiddat khoti hui mehsus ho rahi ha shimuna. Pehle jahan me yaadon me doob kar dukhi ho jaya karta tha. Kabhi kabhi pagalpan ki had me parvesh kar jaya karta tha. Par ab wahin mujhe apne andar kahin bhi dukh dard feel nahi ho raha ha. Abb to jaise zindagi me har pal mast rehne ko mann karne laga ha.

Shimuna : daksh aksar aukat hum khud dukh me rehna pasand karte han. Jis waja se hum andar se kamzor hone lagte han. Fir chah kar bhi hum khud ko andar se strong nahi bana paate. Ya fir hum khud ko strong banane ki koshish nahi karte. Jo kuch tum khaa chuke ho daksh. Uske khaane se tum andar se na keval strong huwe ho, tum andar se change bhi ho gaye ho. Ab jo tumhara roop khul kar saamne aa raha ha. Wo asal me tumhara woh roop ha, jise tum apne andar kahin daba chuke the. Ab tum firse pehle jaise ho gaye ho. Haan agar kabhi tumhe tumhari guzri zindagi se jude hue mile toh fir pata chalega, tumhare andar kis had tak badlaao aaye han. Abhi toh tum sabse door ho na. Isliye bhi tum khud ko strong feel kar rahe ho.

Daksh ne ek gehri saaans li.

Daksh : shayad tum sahi keh rahi ho.

Shimuna : daksh tum na toh island par ho aur na samudra me.

Daskh : toh?

Shimuna : ehehehe tum abhi bhi fitri halat me ho daksh!!

Daksh bhi hasne laga.

Daksh : pata nahi kyun, par aise rehne me bada maza aane laga ha. Itne din bina kapdon ke raha hon toh achha bhi lagne laga ha. Daksh haste hue bola to shimuna khul kar hasne lagi.

Daksh : shimuna tum ud kar aai thi na earth par.

Shimuna : haan, par tum ab kyun poochh rahe ho.

Daksh : wo isliye samudra me tum mujhe flash speed se tairne me madad deti rahi ho. Ab zameen par han. Yahan bhi kuch aisa scene ho sakta hai kya?

Shimuna : nahi daksh! Tumne abhi tak ghor nahi kiya, na hi mujhse poochha, main kyun itni speed se aai thi earth par.

Daksh : toh ab bata do.

Shimuna : daksh maine jo shoes pehn rakhe han woh hamare planet ki sabse special invention ha.

Daksh : achha! Woh kaise?

Shimuna : blend of metals se bane han mere shoes. Jo nimoons mere piche aaye han wo bhi aise hi shoes pehn kar aaye han earth par.

Daskh : shocked!!!

Shimuna : main samudra me rehte hue apne shoes ko tumhare pairon se thoda sa bahar nikal kar swimming karti thi daksh. Tabhi to main itni speed use kar paai hon.

Daksh : mujhe is baat ka ehsas kyun nahi ho paya shimuna.

Shimuna : kaise ho pata daksh! Tum bhaag daud me busy the, main bhi is taraf dhayan nahi de paai. Warna tumhe bata deti.

Daksh : aisa karne se nimoons tumhe paa nahi sake. Aisa kyun?

Shimuna : hum nimoons ki ek khas mehak hoti ha daksh! Jo keval hum hi feel kar sakte han. Me agar tumhare andar se nikalti hon toh nimoons foran jaan jaayenge, fir se kisi ke andar se nikal kar earth par kahin hon. Khushki par rahun ya fir samudra me. Woh jaan jaayenge. Khali shoes nikalne se wo meri bu nahi pa sakte daskh!

Daskh ne ek lambi saans li, shimuna ki hairat bhari baten sunkar wo shocked bhi tha aur excited bhi. Bada anokha aur hatke sunne ko mil raha tha daksh ko.

Daksh : toh ab yahan bhi tum mujhe leke ud sakti ho.

Shimuna : haan daksh! Par ye sahi nahi rahega. Aise tum sabki nazron me aa jaaoge aur mere shoes bhi. Fir toh sach me hi puri dunya pagal ho jaayegi daksh! Tumhare liye, mere shoes ke liye. Shoes se nikalne wali light door se hi sab dekh jaayene. Door se kisi gun se bhi tumhe target bhi kiya ja sakta ha.

Daksh : main bhi ek normal life jeena chahta hon shimuna. Jitna tum mere liye kar rahi ho, woh bhi bohut zayada ha. Mujhe zameen par ek normal insan ki tarah hi rehne dena.

Daksh kheton ke beech me se guzar raha tha. Adhe ghante baad daksh ek sadak par pohncha. Ab sadak par toh wo aage badh nahi sakta tha. Daksh road se hatkar chalne laga. Kuch aage usay ek house dikha. Daksh ne us house ke bahar latak rahe ek kapde ko liya.. Usay cheer kar lamba kiya. Fir usay lungi ki surat me bandh liya.

Shimuna : chalo ek kaam toh hua. Ab master chi-fang ko dhundna hoga tumhe.

Daksh : usse pehle hi mujhe dhundne wale dhund nikalenge. Agar toh mere baare me, tumhare aur dusre nimoons baare khabar puri dunya me phel chuki ha toh.

Shimuna : is baat par toh main 100% sure hon daksh! Earth wale sab jaan chuke honge, sab tumhare aur nimoons ke piche honge.

Daksh : dekh lenge shimuna sab ko. Ab toh baat hi dusri ha.

Shimuna : baat dusri ho ya teesri. Abhi tum strong bane ho daksh, fighter nahi. Aur ek fighter hamesha taqatwar par bhari hota ha.

Daksh : janta hon shimuna!! Ye toh mai bhi samjh sakta hon. Ab sab ke saamne aane wala hon to hungama toh khub khub rahega.

Daksh chalta hua aage badhne laga. Halki sardi thi. Par daksh ko koi fark nahi pad raha tha. Daksh lungi bandhe sadak par chal raha tha. Bohut der baad piche ke raste se ek gaadi ke aane ki awaz sunaai dene lagi toh daksh ruk kar, mud kar gaadi ko dekhne laga. Suraj nikalne hi wala tha. Suraj ki chamak shuru ho chuki thi. Andhera totally khatam ho chuka tha.

Daksh ne lift ke liye hath aage kiya toh gaadi uske paas aa kar ruk gai.. Daksh ne driver wale sheeshe par jhuk kar andar dekha toh gadi ek boodha shakhs drive kar raha tha. Koi aur nahi tha gaadi me.

Daksh : mujhe aage tak chhod denge.. Daksh english me bola. Daksh chinese nahi bol sakta tha.

Woh chinese, english samjh gaya, par bola kuch nahi, front door ke andar ka lock usne hata dia toh daksh ghoom kar,door khol kar front seat par aa baitha. Gadi firse sadak par daudne lagi.

Shimuna : kuch sanki sa lagta ha mujhe toh ye?

Daksh : kya keh sakte han shimuna. Humen lift mil gayi, hamare liye itna hi bohut ha. Ab jaisa bhi ha, humen isse kya.

Bees mint baad gaadi ek daurahe par ruk gai. Chinese bodha daksh ko dekh kar kuch bola. Daksh ko toh smjh nahi aai aur na hi shimuna ko.

Shimuna : mujhe lagta ha daksh ye dusre road par mudne ka keh raha ha.

Daksh ne jis side me budhe ne mudna tha, udhar dekha toh kuch false par usay ek farmhouse dikha. Daksh english me bodhe ka shukriya ada karke door khol kar bahar aa gaya.

Gaadi usi farmhouse ki orr badh gai.

Daksh : ab samjh aaya woh kya keh raha tha.

Shimuna : haan dusre road par shehar ha. Ye apne farmhouse par ja raha ha. Shayad wahi uska ghar bhi hoga.

Daksh dusre road par chalne laga. Ab tak suraj bhi nikal kar apni aab o taab dikhane laga tha.

15 mint baad shehar ka main ilaka shuru ho gaya. Daksh ke paas paise the aur na hi kapde. Aisi halat me daksh shehar me dakhil hota toh sab usay hairat bhari nazron se dekhte. Ek toh daksh indian tha, dusra daksh ek wehshi insan bhi dikh raha tha. Sar aur chehre ke baal bade bade aur uljhe hue the. Lift dene wale ne to kuch nahi kaha tha daksh se. Par ab zarur daksh ko dekh kar sab chonk jaate.

Shimuna : daksh tumhe kisi ghar me mehman ban jana chahiye.

Daksh : haan china mehman nawazi me bohut famous ha. Daksh ek house dekh kar uski orr badh gaya.. Door knock karne ki zarurat nahi padi. Door khula hua tha. Aur ek boodhi chinese aurat ke sath ek boodha chinese ghar ke andar kursiyon par baithe hue the. Daksh ko dekh kar dono ne daksh ko andar bula liya. Dono daskh ko dekh khush bhi ho gaye the. Daksh ke paas aate hi dono uth kar khade ho gaye.

Daksh unke paas pohncha. Daksh ko chinese andaz me pranam karna aata tha, daksh ne dono ko chinese andaz me pranam kiya. Dono daksh ke chinese pranam se aur bhi khush ho gaye.

Daksh english me kuch bolta boodhi hindi me bol padi.

Aurat : tum indain ho na?

Daksh aurat ke mohn se hindi sunkar heran reh gaya. Khushi bhi bohut hui daksh ko.

Daksh : ji autny ji main indian hi hoon!.. Daksh seena taan kar bola.

Aurat : i love india and i love indians too!!

Daksh ke sath sath shimuna bhi khush ho gai. Bodha apni sathi aurat ko pyar se dekhne laga.

Budha : jiang aaj to tumhare dil ko badi khushi mil gayi. Subah subah ek indian jo tumhe mil gaya ha.

Jiang : haan chen aaj sach me mujhe badi khushi mili ha. Beta naam kya ha tumhara?

Daksh sochne laga usay kya naam bataye

Shimuna : bata do daksh! Apna real naam bata do. Bhale log han aur fir humne konsa zayada der yahan rukna ha. Jiang aur chen dono daksh ka mohn takne lage. Naam banate me kya sochna.

Daksh : ji mera naam dk hai.

"dk" jiang aur chen ek dusre ko kar daksh ko upar niche se dekhne lage.

Shimuna : wahi hua na daksh, dekho dono ne bhi naam sun rakha ha. Zarur news me all over the world tumhare naam ko discuss kiya gaya ha.

Daksh : ab kya karen?

Shimuna : kya karna ha, okhli me sarr diya ha to musal se kya darna. Shimuna haste hue boli.

Daksh : waah hamare desh ki kahavaten bhi bolne lagi tum.

Shimuna : ehehehe ab to pata nahi main kya kya bolne lagungi.

Jiang : beta tum---

Daksh : ji aunty ab aap se kya chhupana. Jald hi puri dunya bhi ye jaan jaayegi, main china pohnch chuka hon.

Daksh ka jawab sunkar dono jhatka kha gaye. Dono ne bade josh se daksh ke ek ek kandhe ko pakad liya. Dono ke chehre khushi aur josh ke kaaran surkh hone lage the.

Chen : daksh beta tum zinda ho toh iska matlab wo sab sach ha.

Jiang : chen main bata nahi sakti mujhe kitni khushi mil rahi ha. Ek to mujhe ek indian mila subah subah, dusre maine us insan ko dekh liya, jo puri dunya me famous ho chuka ha.

Daksh aur shimuna dono chen aur jiang ko khush dekh kar mand mand muskura rahe the.

Jiang : beta chalo hamare sath andar.

Dono daksh ko thaam kar andar le gaye. Bade pyaar se daksh ko ek kursi par bithaya. Dono bas shok se daksh ko dekhne lage.

Jald hi jiang ke chehre par chinta ke bhav aane lage.

Jiang : chen daksh bete ko toh puri dunya se ab khatra rahega.

Chen : ohh! Haan jiang tum sahi keh rahi ho.

Daksh : aap dono pareshan ho hon, mujhe kuch nahi hoga. Main koi mom ka putla nahi hon.

Jiang : beta tum china hi kyun aaye ho, apne desh kyun nahi gaye?

Daksh : aunty ji main the great master chi-fang se milne aaya hon.

"chi-fang"

Jiang aur chen dono ek dusre ko dekhne lage.

Chen : daksh beta woh toh tumhe shaolin temple me hi milenge. Par tum kyun unse milna chahte ho.

Jiang : chen main samjh sakti hon, daksh beta kyun master chi-fang se milna chahte han. Zarur daskh beta master se trainning lene aaye honge.

Daksh : aisa hi hai aunty! Ek baar master mujhe ship par mile the. Unho ne khud se kaha tha mujhe fighting seekhne ke liye.

Jiang : aisi baat ha daksh beta toh fir zarur tum kuch khas hoge. Warna toh wo kabhi kisi se aisa nahi kehte. Unhe jab apne matlab ka koi milta ha, tabhi aisi baat karte han.

Daskh : pata nahi mujhme kya dekha tha master ji ne jo mujhse aisa kaha tha. Par ab mujhe sach me hi badi zarurat mehsus hone lagi ha.

Chen : haan beta tum china aa toh gaye ho aur shaolin temple bhi yahan se senkdon mile door ha. Wahan tak sabki nazron se bach kar pohnch paana tumhare liye bohut mushkil ho jaayega.

Jiang : beta apni raksha karna, mujhe tum bohut payare lage ho.

Daksh : ji aunty ji apni raksha ke liye hi toh master ke paas ja raha hon.

Chen : jaisa humne news me suna tha daksh beta. Usse zarur tumhare liye kadam kadam par khatre bante rahenge.

Daksh : main khayal rakhunga uncle ji!

Jiang : daksh beta tum bache kaise. Aur wo roshni kaisi thi.

Shimuna : daksh inhe sab mat batana, mujhe hidden hi rehne dena dunya walun ki nazar me. Warna toh khatra tumhare liye aur bhi badh jaayega, kis kis se tum ladte firoge.

Daksh : ji aunty ji jaisa aapne suna tha, usse milti julti kuch bat ha. Aur bacha me isliye hon aunty ji pichhle 6 saal se main marine life ji raha hon, samudra mere liye kabhi khatarnaak nahi ho sakta.

Dono daksh ke jawab se santust nahi hue, par daksh se is baare kuch aur bhi nahi poocha dono ne.

Kuch der aur baten hoti rahi fir daskh ke liye chinese breakfast tayyar kiya gaya. Tab tak daksh fresh ho chuka tha ghar ke andar bane ek bathroom me ghus kar. Ek suit kapdon ka bhi usay mil gaya tha.

Dono ke siva ghar me koi aur nahi tha. Daksh ne unke sath do ghante aur bitaye. Daksh fir dono se milkar wahan se nikal pada. Yahan zayada der rehna dono ko khatre me daal sakta tha.

Daksh ka huliya badla hua tha. Daksh ko tension to banti par zayada nahi. Agar banti bhi thi toh dekhi jati.

Shimuna : daksh ab se tum saavdhan rehna. Mujhe lagta ha puri earth hi tumhare liye dangerous zone me badal gai hai.

Daksh : jaanta hon shimuna mere liye bohut khatra ha. Jald hi sab jaan bhi jaayenge main china me hon. Aaj nahi toh kal sab ko pata chal hi jaana ha.. Kab tak sabki nazron se chhupa reh sakta hon. Ek bar master ke paas pohnch jaaon, fir koi tension nahi rahegi.

Daksh ne shaolin temple ka rasta jaan liya tha dono se.. Daksh abadi se hatkar safar karne laga.

Shimuna : daksh tum koi gaadi kyun nahi le lete. Safar asan ho jaayega.

Daskh : yahan se door nikal loon, fir try karta hon. Kahin yahan par khoj na shuru ho jaaye aur dono uncle aunty ke liye na museebat ban jaaye.

Shimuna : you are such a lovely person daksh!!

Daksh : hmmm

Daksh 10 km us ilake se door ho chuka tha. Daksh ka chehra baalon se bhara hua tha. Chinese dress wo pehne hue tha. Nahane se chehre aur sarr ke baal suljh chuke the.

Shimuna : daksh dekho sab kaise tumhe ek aam sa tourist samjh kar nazar andaz kar rahe han.

Daskh hasta hua bola

Daksh : haan agar sab jaan jaaye, dk unke beech me se guzar kar jaa raha ha to ek hungama mach uthega.

Shimuna : ehehehe!! Agar aisa hua na daksh! Toh dekhna tumhara mohn hi sab choom choom kar laal kardenge.

Daksh : haha mohn laal choomne se nahi hoga shimuna, padne wali maar se hoga. Aam logon me shamil han woh log bhi jo mujhe dhund rahe han. Ek bar kisi ne mujhe pehchana toh pal bhar me hi pura china kya, pure world me khabar phel jaayega.

Shimuna : sab sochenge daksh! Tum bache kaise. Samudra ke us ilake se kaise bach kar china pohnche.

Daksh : ab toh sab ko confirm ho jaayega shimuna main tumhare sath koi na koi sambandh ha. Warna ek akela admi kaise itne khatarnaak samudra se bach sakta ha.

Shimuna : sahi kaha tumne daksh!

Daksh idhar udhar bhi dekh kar chal raha tha. Logon ke chehre bhi dekh raha tha woh. Ek jaga usay ek admi car se nikalte hue dikha.

Daksh : kya khayal ha, iski car na udaa len.

Shimuna : khayal toh achha ha. Par

Daksh : par car chheen kar nikalna khatre ko dawat dene ke barabar ha.

Shimuna : of course daksh!!

Dekhte han. Koi dusri car dekhte han. Jald koi jaan na sake maine car churaai ha.

Shimuna : ek dusra rasta bhi ha daksh!

Daksh : wo kyaaa?

Shimuna : tum kahin se paison ka intezam karo aur bus ya fir ek taxi karke bhi ja sakte ho.

Daksh : khatra toh vaise bhi banega shimuna! Raste me checking hogi, mere paas na koi passport ha aur na hi koi aur id card. Kahin bhi main safe nahi rehne wala.

Shimuna : toh iska matlab ha temple tak pohnchne me tumhe bohut se khatrat ko paar karna padega.

Daksh : achha ha naa, aise mujhe bhi pata bhi chal jaayega, main kitna strong ban chuka hon.

Shimuna :aur dusre sab bhi jaan jaayenge, daksh samudra se bach nikla hai aur kuch hi dino me kai admiyon ke barabar power bhi usme aa gai ha. Ek hi mukka me kisi ko bhi maar sakta ha. Ye toh galat baat ho jaayegi na fir daksh.

Daksh : jab trainning le lunga, tab bhi toh sab jaan hi jaayenge meri taqat ke baare me.

Shimuna : daksh woh samudri bel toh bandhi ha na tumhari kamar par?

Daksh ne hath laga kar check kiya toh wo bel kamar par bandhi hui thi.

Daksh : shukar ha bandhi hui ha. Warna toh main ise bhul hi chuka tha.

Shimuna : daksh tumhe maalish ka bohut khayal rakhna padega, warna beech raste me hi tumhara phadda agar kisi se padta ha toh tumhare liye masla ho sakta ha. Ab tu samudra ke paas bhi nahi ho. Sharir me akdan badhi toh problem ho sakti ha daksh.

Daksh : achha kiya jo yaad dila dia. Ab bach ke nikalne ki koshish karunga.

Mazeed 4 km ke baad daksh ko ek jaga ek car khadi dikhi. Daksh ne aas paas dekh kar us car ko hasil karne ki sochi. Kuch der lagi par daksh car ke andar ghus kar car ko bina key ke start karke nikal pada tha.

Shimuna : daksh pata ha hamare planet me aisi aisi gadiyan han, tum dekhoge toh heran reh jaaoge.

Daksh : abhi toh bohut kuch poochhna baaki ha shimuna tumse tumhare planet ke baare me.

Shimuna : (chehakte hue) kabhi hamare planet par jana hua na tumhara daskh toh tum dekh kar heran reh jaaoge. Inta khubsurat, itna taraffi yafta planet ha hamara. Sach me pure universe me hamare planet ke jaisa koi dusra planet nahi ha.

Daksh : (hasta hua) bas bas break laga, kitni tareef karegi apne planet ki. Koi bhi planet ho, wahan ke liye rehne walun ke liye wahi universe ka sabse best planet hota ha. Abhi tumne hamari earth ko dekha hi kahan ha. Jab dekhogi toh tum bhi heran reh jaaogi. Aaj pehli baar hum china me dakhil hue han, dekhati jaao bas tum. Fir batana earth khubsurat ha ya nimoonica.

Shimuna : (laughing) definitely nimoonica.

Daksh bhi has pada. Car ko speed se woh raod par daudaye hue aage badhne laga. Ek jaga chinese english dono language me likha hua tha "tancheng county 19km"

Shimuna : yahan ke naam bade ajeeb han daksh tancheng county.. Bhala ye bhi koi naam hua.

Daksh : ye china ha, yahan ki language hi aisi ha. Ab toh humen pata bhi chal gaya ha hum kahan han.

Shimuna : hmm ye toh ha.

15 mint me car tancheng county ke beech me se guzar rahi thi. Aur daksh ke sath sath shimuna bhi aas paas dekh rahi thi. Dono jaanna chahte the koi dk ko dekh kar chonk toh nahi raha. Par koi aisa nahi dikha.

Tancheng county cross kiya toh aage ek check post aa gai.

Daksh : ab yahan se punga shuru hone wala ha shimuna!

Shimuna : daksh jab race lage toh khud ko mere control me de dena.

Daksh : (heran hoke) usse kya hoga.

Shimuna : usse ye hoga gadi utni speed se tum gaadi drive nahi kar paoge jitni speed se main kar sakti hon. Aur majal ha jo gadi kahin ulat jaaye ya koi mujhe pakad bhi paaye.

Daksh : dekhte han kya karna sahi rahega.

Check post par daksh ko foreigner samjhte hue passport talab kiya gaya, jo daksh ke paas nahi tha. Ab to bhaagna hi banta tha. Daksh ne accelerator par ekdumm se hi dabaao badah diya... Gaadi dhuaan ugalte hue zannnnn ki awaz karti hui sabke beech me se nikalti chali gai. Har taraf hadbadi much uthi. Daksh gadi ko lekar check post se door hone laga.

Shimuna : woww maza aa gaya daksh! Aisi hi life jeene me toh maza ha. Shimuna bohut zayda excited ho gai thi.

Dusri taraf check post par khade hue police wale head office call karne lage.. Wahan se pata chala, gadi ki chori ki report bhi ki ja chuki ha. Sab alert ho gaye. Daksh ko gaadi samet arrest karne ke orders jaari kar diye gaye.

Daksh shimuna ke sath tezi se apni manzil ki orr badhne laga.

Shimuna : woww kaisa zabardast adventure ha ye daksh! Sach me mujhe toh maza hi aa gaya. Sun rahe ho police gadiyon ke siren ki awazen. Daksh mujhe gadi drive karne do na plz.. Shimuna request karne lagi.

Daksh : (hasste hue) tum itni utawali kyun hone lagi ho shimuna.

Shimuna : kya karun daksh, chor police wala khel mujhe bohut pasand ha.. Bada maza aata ha mujhe chor police khelte hue.. Shimuna bhi pure pure maze le rahi thi.

150/hr ki speed se gaadi road par daud rahi thi. Daksh khud bhi ek manjha hua driver tha. Shimuna bhi apni karigari dikhane ke liye utawali hone lagi thi. Earth par aaj uska bhi 1st adventure shuru hua tha. Woh bohut zayada excited ho gai thi.

Jald hi kai police gadiyan daksh ke kareeb pohnch gai. Aage ke ek chaurahe se aur bhi police gadiyan speed se aati hui dikhani dene lagi.

Shimuna : plz daksh mujhe drive karne do na.

Daskh : okay!

Daksh ne premission di toh daksh ko ek jhatka laga aur gadi bhi apni akhri hadd ki speed se daudne lagi. Shimuna ne daksh ko apne control me le liya tha. Seat belt daksh ne bandh rakha tha. Shimuna gaadi ko fir aise drive karne lagi, pal bhar me hi sari police gadiyan bohut piche reh gaee. Shimuna maare khushi ke cheekhti hui drive karne lagi.

Jaisa shor shimuna ki driving se mach utha tha, jaise ek shehar me ek road par ek gaadi pure shehar ki police ko apne piche lagaye hue thi. Ye khabar media par bhi aane lagi. Fir toh jaise ek kohram hi mach utha har taraf.

Road par lage hue cctv tv ki video se dk ko pehchan liya gaya. Dk ki fotage tv par bhi dikhai jaane lagi.. Sab jaan gaye dk china pohnch chuka ha.

China police ye baat pehle nahi jan paai. Baad me jab shehar me aur bhi kai gadiyan is race me shamil hui tab kahin jaa ke unke kaan khade hue. Ab unki tension badh gai thi. Woh jaan gaye the unka desh war zone me badalne wala ha. Jab tak dk china me hai ye war khatam hone wali nahi.

China police ko, agents ko bhi dk aur dusre sabke piche laga dia gaya. Dk unke liye bhi attractive person tha. China wale bhi dk ko pa kar dusre planet baare info prapt karne ka sochne lage.


:::::::::::::::::::::::


Shaolin temple me ek fighting compitition chal raha tha. Ek american ladki ek chinese trainned fighter ko tigni ka naach nachaye hue thi. Ladki jise trainning lete hue 5 months beet chuke the, bohut kam samay me hi woh top fighters me shamil ho chuki thi. Koi nahi tha uske muqable ka pure temple me. Jo bhi uske saamne aata, ladki usay pehle round me hi knockout kar deti. Aisi halat kar dia karti thi saamne wale ki, 2nd round ke liye woh uthne layak nahi rehta tha.

Abb bhi wo apne hareef ko sambhalne ka moka nahi de rahi thi. Ring ke charon orr khade hue sab ladki ke naam ki mala jap rahe the. Aur ladki chehre par vijayi muskan liye hue apne rival par tabad tod hamle kar rahi thi.

Kuch hi der me us ladki se ladne wala niche pada hua tha. Uska mohn sooj chuka tha. Uske kandhe ke dono jod hil chuke the. Ladki ne kuch pal usay dekha, fir wahin se jump karti hui ring se bahar kood gai.

Us ladki ka sathi ek towel liye hue uske paas aaya, ladki ne towel lekar apne chehre par, jism par aaya hua pasina saaf kiya. Fir water bottle apne sathi se lekar ek side jaane lagi.. Ladka bhi uske piche chal pada.

Piche reh gaye sab abhi bhi clapping kar rahe the. Ladki ek kamre me pohnchi, uske piche uska sathi bhi kamre me pohnch gaya.

Ladka : madam aj bhi aapne bohut badhiya se fight ki ha. Ladki ne ek nazar ladke ko dekha. Kuch pal dekhti rahi, fir kamre me maujud ek mirror ke saamne ja khadi hui aur khud ko dekhne lagi.

Woh ladke ko uski baat ka jawab dene hi wali thi, usi pal kamre me maujud ladki ke bag me rakhe hue fone ki ring bajne lagi. Ladki ne ek bar firse khud ko mirror me dekha, ek lambi saans li aur apne bag ke pas pohnch kar, fone nikal kar number dekhne lagi.

Number dekh kar ladki ne call pick ki.

Ladki : yes margaret speaking!

Udhar se : margaret main hon!

Awaz sunkar margaret khadi ho gai.

Margaret : yes sir!

Sir : dk china pohnch chuka ha margaret, catch him.. Isse pehle, woh kisi aur ke hath lage. Tum usay apne kabze me le lo. Wahan ke agents tayyar han, bas tumhare pohnchne ki der ha.

Margaret : ok sir! Main abhi nikalti hon... Call end hui margaret ne turant dress change kiya fir woh ladke se boli.

Maragret : jimmy tum yahin rehna main ja rahi hon. Margaret ne jimmy ka jawab nahi suna. Bag me rakhe ek aur mini bag ko hath me liya aur kamre se nikal padi.

Margaret R.P.O se connected thi. Trainning ke liye woh shalin temple me pichhle 5 mahino se trainning le rahi thi. Abhi 4 mahine ki trainning aur baki thi margaret ki.


Margaret: Age:27......R.P.O Special Agent.
1

:::::::::::::::::



Gadi shimuna drive kar rahi thi aur shimuna ko toh 11 mulkon ki police bhi nahi pakad sakti thi. Ye muthi bhar picha karne wale kaise pakad sakte the. Jabse se sara control shimuna ke hath me aaya tha. Tab se shimuna sab ko apne piche chhodte hue 50km ka safar tay kar chuki thi. Shimuna sach me hi bijli bani hui thi.. Majaal ha jo koi usay paa saka ho.

Par ek kahavat ha.. Ser ko sava bhi mil hi jata ha. Daksh shimuna ka sath paa kar ser ban chuka tha. Samudri rare things kha kar bohut power hasil kar chuka tha. Par dunya me ek se badh kar ek maujud han. Aur dunya ki sabse badi do organizations aise hi to nahi sabse badhkar thi. Aise hi to nahi wo all over the world hukumat kar rahi thee.

Unke agents koi aam agents nahi the. Sabke sab manjhe hue agents the. Taqat me aur dimag me woh daksh se kam bhi nahi the.

Khabar milte hi woh sab bhi dk ke piche lag gaye. Daksh ek veraan ilake se guzar raha tha. Police aur dusron ka door door tak koi pata nahi tha.

Shimuna toh gaadi ko plane banaye hue thi, woh kahan kisi aur taraf dhayan de paati. Woh maze se driving kar rahi thi. Daksh ne hi dhayan dia. Daksh ko helicopters ki awazen sunaai dene lagi.

Ek nahi tha helicopter, 3-3 helicopters daksh ke piche pohnch chuke the.

Daskh : shimuna helicopters!

Shimuna ne speed kam ki.. Jaise woh ab hosh me aai ho.

Shimuna : kahan?

Daksh ne sar bahar nikal kar dekha toh dekh kar heran reh gaya. 3 helicopters sar par pohch chuke the..

"woowwwww" ye toh bohut badhiya scene ha daksh!

Daksh : scene ki bachi, gaadi door le jaao inke paas se. Abhi toh hum sahil se 100km hi door hue han. Temple abhi bhi 400+km door ha. Aise toh nahi pohnch paanoga main wahan tak.

Shimuna : daksh tum keh rahe the na, khud ko parakhna chahte ho.. Toh samay aa gaya ha khud ko parakhne ka.

Daksh : hmmm samay toh gaadi ko churate samay hi shuru ho gaya tha. Khair dekhte han, jab bach sakte han, bachne ki koshish karte han. Na bach sake toh fir ladna padega.

Shimuna : aur bina lade hum inse bach kar nahi nikal sakte! Saamne dekho!!

Saamne dekha toh

Shimuna : waah kya beauty ha daksh!

Saamne ek ladki bike par aa rahi thi.


2

Beech sadak me bike ko stand par karke daksh ki orr mohn karke, dono hath seene par bandh kar khadi ho gai.



girl-motorcycle-leather-jacket-ride

Shimuna : kuchal na dun main ise daksh!

Daksh : nahi ab toh dekhna hi padega. Daksh ke kehne par shimuna ne break laga kar gaadi ko rok dia... Ladki katil andaz me chalti daksh ki orr badhne lagi. Helicopters piche fiza me chakkar kaatne lage.

Shimuna : Daksh! Kitni hot ladki ha na. Saali ke aam kitne kasse hue, kitne uthe hue han.

Itni der me ladki daksh wali side me pohnch kar jhuk gai. Daksh side ka sheesha pehle hi gira chuka tha. Ladki ne dono hath khidki me rakhe aur daksh ko ghoorne lagi. Kuch pal dekhti rahi, fir woh honto par smile laate hue daksh se boli.

Ladki : Hello Mr. Dk! I am Margaret!
.
.
.
.

Aaj ke liye itna hi mitro.. Ummeed ha aapko ye update panand aaya hoga.
::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::



Nice updates
 

andyking302

Well-Known Member
6,024
14,252
174
Episode:01



South Atlantic Ocean me apni manzil ki or badh raha Harmony Of The Seas nami ship, us ship ke antim floor ki chhat par khada hua Thakur Daksh Singh.

apne desh se hazaron mile door, apnu se 6 saal se door ek marine life ji raha tha daksh. sab uske liye mar chuke the aur wo sab ke liye..


6 years.....

6 saalon se daksh thakur ne kisi ki koi bhi khabar nahi li thi. wahan se nikale jaane ke baad (dhutkar kar, zaleel karke nikaale jaane ke baad) kon is dunya me aaya aur kon is dunya se gaya. daksh thakur nahi janta tha.

dada, dadi, maa, papa, bhai behen, chacha chachi, unke bachhe aur dusre sab abhi bhi ji rahe han ya mar gaye han. daksh thakur nahi janta tha. aur na hi jaanna chahta tha. daksh thakur kisi ke baare me jaanne ki zarurat bhi nahi samjhta thi.

everyone hated him and he hated everyone

saalon se sabse door tha daksh fir bhi.. wo awazen, wo cheekhen, wo alfaz, wo nafrat wo dhutkaar, usay aaj bhi yaad thi. jab bhi un awazon ki goonj uske andar goonjti thi to wo pagal sa hone lagta hon.


zindagi......

zinda rehne ko dil nahi chahta tha daksh ka. par mar bhi nahi sakta tha.. itna dard bhar dia gaya tha uske andar. apne sharir ke andar se aatma tak ko nikaal bahar karne ke liye daksh thakur kya kuch nahi kar jaya karta tha. dunya ka konsa aisa khatarnaak kaam tha, jo daksh thakur ne na kiya ho. samudra ki us gehraai tak wo ja pohnchaa tha, jahan tak pohnch paana shayad kisi ke liye mumkin na raha ho..

par daksh thakur.....

daksh thakur bina kisi darr khauf ke har khatarnaak gehraai me utar jaya karta tha. suicide karne ki koshish kabhi nahi ki thi daksh thakur ne. haan jis kaam me uski jaan jaane ke 80%-90% bhi chances karte to wo zarur kar jaya karta tha.

dunya me koi bhi kaam 100% dangerous nahi tha daksh thakur ke liye.. agar hota to wo kab ka mar chuka hota.. usay mila dard usay is dunya ko chhod kar jaane bhi nahi deta tha.

Diksh became a multi-talented man because of the dangers he faced.


shayad wo marna bhi nahi chahta tha. agar mar jata to fir wo usay kaise hasil kar pata. ek wahi to thi jiske liye wo marna nahi chahta tha.. wo bhi daksh se nafrat karti thi..
she hated him immensely.....

wahi thi jiski waja se daksh ki zindagi barbad ho gai thi, wahi thi jiski waja se daksh thakur ko maut nahi aa rahi thi. wahi thi jiske milne ki aas liye daksh thakur hamesha hi khatron se lad jaya karta tha. jahan yakeeni maut hua karti thi, daksh thakur wahan se bhi bach jaya karta tha.

wahi thi jisne daksh thakur ko barbad kar dia tha.. wahi thi jise paane ke liye daksh thakur hamesha se betaab raha tha. wahi thi, jo shayad kabhi badal kar daksh thakur ki zindagi me firse bhi aa jaaye to daksh thakur kabhi bhi usay na apna sakun..

kuch aise hi vichar daksh thakur ke the.

kaisi ajeeb baat thi, jise daksh thakur beinteha chahta tha, jise paane ke liye daksh thakur marna bhi nahi chahta tha. jise paane ke liye daksh thakur zinda tha. agar kabhi wo daksh thakur ki zindagi me aa bhi jaati to daksh thakur usay paaye bina side se nikal jata..

jis tarha se daksh thakur ko dhutkaar dia gaya tha. shayad wo bhi kabhi moka milne par usay dhutkaar deta..


"mujhe nafrat ha tumse shadeed nafrat... i hate you daksh.. i hate you.. And I will always hate you.. mar jana par kabhi mujhse apni surat matt dikhana thuuuuuuuuuu.."

"tumm.. tumm.. mere bhai nahi ho sakte daksh.. nahi.. nahi.. tum mere bhai nahi ho sakte.. aisi neech harkat karne wala kabhi mera bhai ho hi nahi sakta.. dafa ho jaao hamari zindagi se hamesha hamesha ke liye.. kabhi apni ghattiya surat leke mere saamne bhi matt aana"

"tu meri kokh me hi kyun nahi mar gaya paapi.. kaash mujhe pata hota tu aisa nikle ga. toh main khud tujhe apne hathon se apni kokh me hi maar deti.. agar aisa kiya hota to aaj aisa din dekhna naseeb nahi hota"

"kitna chah thi mujhe ek waris ki.. kitni khushiyan manaai thi hum sab ne tere janam din par.. par tum.. tum to hamara khun kehlwane layak nahi ho. dafa ho jaao meri haveli se.. fir kabhi yahan matt aana"

"hamesha hi main khud par garv kiya karta tha tujhe apna beta paa kar.. par tu.. par tu hi mere aur mere khandan ki izzat ko mitti me mila gaya.. apne hi ghar ki bahu betiyon ki izzat ke sath khelne laga.. thuuuuuu ha tujh par.. nikalllll jaaa mere ghar se.. nikal ja hum sab ki zindgiyon se..


"nikallll jaa"

"nikallll jaa"

"nikallll jaa"

"nikallll jaa"




aakash me badal nahi the, chandni raat thi, stars chamak rahe the. thandi thandi hawa chal rahi thi. mausam suhana tha, toofan ke aane ka koi amkaan nahi tha.. par jo tofaan baar baar daksh thakur ke andar aane lagta tha. wo samudri toofan se kahin badh kar tha..

kuch bhi to nahi bhula tha daksh thakur.. sab kuch aise yaad tha daksh thakur ko, jaise kuch samay pehle ki baat ho.. firse sab yaad aane laga to uske andar ki aag firse badhne lagi. aise samay me koi kam hi uske saamne aaya karta tha.. wehshi ban jaya karta tha daksh thakur. wo pagal to nahi hota tha. lekin pagal pan ki hadd se bhi kahin badh jaya karta tha.

daksh thakur ship par pichhle 3 saal se as a engineer kaam kar raha tha. is kaam me bhi daksh thakur slefmade tha. dekh kar sab sekh gaya tha. bina degree ke hi wo ship par as a negineer kaam kar raha tha...


daksh thakur ke andar ki ghutan badhne lagi to chhat chhat par maujud intercom se neeche call karke batane laga

"main samudra me utarna chahta hon"

daksh thakur ki baat ka dhayan hamesha hi rakha jata tha. kuch der me ship dheere hokar samudra me hi ruk gaya..


raat ka akhri pehr tha. toh ship ke staf ke siva sare passengers so rahe the.. apne kapdee utaar kar, ek underwear me chhat par rehte hue hi ek long jump lagaya daksh thakur ne aur dono hath aage karte hue seedha samudra ke paani me ja pohnchaa..

paani ko cheerte hue wo bohut neeche tak gaya... fir wapis upar ki or uthne laga.. jald hi wo paani ki satah par tha. daksh thakur firse paani me jane hi wala tha keh upar asmaan se ek tez roshni ki lakeer si chamakti hui neeche apni or aate hue daksh ko dikhi..

roshni ki us lakeer ki speed bohut zayada thi. daksh heran hota usse pehle hi wo roshni ki lakeer niche aate hi usse takra gai..

roshni ke takrane se daksh thakur ko 440 volt ka jhatka laga.. daksh bina tadpe hi paani me bohut neeche jaa kar behosh ho gaya... high voltage se lagne wala jhatka wo sehn nahi kar paya tha.


hosh aane par daskh ne ankh khol kar pehle right fir left dekha.. khud ko sahil par lete hue paya to firse ankhen band kar leen.. first to daksh ko yaad hi nahi raha tha raat wo ship par tha aur samudra me naha raha tha..

jaise hi usay sab yaad aaya woh ek jhatke me uth baitha.. uthte hi wo firse piche ki or gir pada.

daksh khud se.. ye mujhe itni weekness kyun feel ho rahi ha. aise jaise main saalon se bhuka hon. jaise maine apne andar ki sari shakti ka upayug kar liya ho. daksh jaise bhi karke khud ke andar bachi khushi shakti ko ikatha karne laga.. wo ladkhadate huye uth khada hua. daksh aas paas dekhne laga.. dekhne par paya keh wo to ek mini island par tha.


what is this.. how is this possible.. main toh ship ke paas naha raha tha. yahan kaise aa gaya..

daksh samudra kinare khada island ko dekhne lagta toh kabhi samudra me.. door door tak usay wo ship nazar nahi aa raha tha.. wahan ek island ke siva kuch bhi nahi tha. kuch tha toh charon or samudra ka paani tha.


"tum bhul gaye ho daksh, tum samudra me naha rahe the.. main asmaan se girte hue tumse takra gai thi..tumse takrate hi main tumme samati chali gai thi.. tum meri power ko sehn nahi kar paaye aur behosh ho gaye"

ladki ki awaz sunkar daksh firse ladkhada gaya.. woh charon dishaon me dekhne laga.. par koi aas paas nahi tha.

"yahan tumhare aas paas koi nahi ha daksh. jo tumhe nazar aayega. yahan is sansan island par tum ho aur ek main hon"

daksh ki hairat kam hi nahi ho rahi thi.

daksh : tum kahan ho, tum mujhe nazar kyun nahi aa rahi.. kya tum invisible ho..


"main tumhare andar hon"

daksh : what nonsense.. aisa kaise ho sakta hai. koi kisi ke andar kaise samaa sakta ha. tum zarur invisible ho. aur mujhse jhut bol rahi ho.

"i'm not lying daksh.. main sach me hi tumhare andar hon.. raat main tumse takrate hi tumme samaa gai thi. yahi waja bani jo mere dushman mujhe pa nahi sake"

daksh firse baith gaya.. apne sarr ko dono hathon se thaam kar wo us awaz wali se bola

daksh : are you still kidding me?


"nahi daksh mujhe kya zarurat ha.. tumse mazak karne ki"

daksh : to mujhe bataao, tum... tum kaise mere andar samaa sakti ho aur tum ho kon, asmaan se kaise aa sakti ho tum.. asmaan se aane wala aise to nahi aata. koi aa bhi jaaye to uska zinda bach pana mumkin nahi ha.

"Ehehehehe.. ek sath itne sawal"

daksh : to batao mujhe, khud se hi sab bata do..

"universe me itne secrets han, kisi bhi planet par rehne wale pure universe ke secrets nahi jaan sakte.. main bhi aise hi palnet se aai hon"

daksh : This is all nonsense.. aisa kuch bhi nahi ha.. prithvi ke siva kisi aur planet par zindagi mumkin nahi ha. agar ha toh prithvi par uska pohnch pana mumkin nahi ha..

"daksh thakur is universe me sab mumkin ha.. apni dunya ke baare me bataao, hazaron saal pehle rehne wale kisi ek bhi viyakti ko zinda karke aaj ki dunya dikha di jaaye to wo dekh kar yahi kahega "asambhav" ye nahi ho sakta.. daksh everything is possible in this universe.. aise bohut se secrets han, jinhe koi pa nahi saka"

uski baaten sunkar daksh ke sarr me dard hone laga tha.

daskh : mujhe bas itna bata do, agar tum sach me hi mere andar ho to mai tumhe mehsus kyun nahi kar pa raha.


" daksh main tumhare andar se bahar nikal kar to tumhare saanme visible nahi ho sakti. haan tum mujhe dekh sakte ho"

daksh : wo kaise?

"wo aise keh tum apni ankhen band kar apni dono ankhon ke bech me dekho"

daksh uski baat sunkar ankhen band kar gaya.. fir wo usi ke bataye huwe par amal karne laga

daskh : ye kya mujhe to white white dikh raha ha sab


"ab apni ankhon par dono hath rakh kar dekho"

daksh ne apni ankhon me dono hath rakh kar dekha toh

daksh : oh my God tum to mujhe sach me dikh rahi ho.. tumhari surat mujhe puri kyun nahi dikha de rahi. tumhara cherha dhundla dhundla kyun dikha de raha ha mujhe.


"tum abhi mujhe clear nahi dekh sakte.. uske liye tumhe apni brain power badhani hogi.. daksh tumne apni kam ho chuki power ko bhul chuke ho"

daksh : haan ye baat to main sach me bhul hi gaya tha. tumne mujhe kuch sochne layak chhoda hi kahan tha. tumhe apne andar paa kar main shock ho gaya tha.

"tum behosh ho gaye the to main apne dushmano ki pohnch se door hone ke liye apni power ka use karte hue, behoshi me hi tumhe is island par le aai.. ye island us ship se 300 mile door ha.. isi waja se tumhari power down hui ha daksh.. jitni speed maine use kari ha, wo tumhari power se kahin badh kar ha"

apne dono hath hata kar daksh ne apni ankhen khol deen..
जबरदस्त भाई लाजवाब update bhai jann superree duperrere

Kya कॉन्सेप्ट laya hey bhai जबरदस्त jiger

Mast hey daksh se sab nafrat krte hey

Aisa kya huva hey, age dekhte hey pata chal hi jayega
Lekin ab apne bhidu ke pass kuch power aagayi hey
 

andyking302

Well-Known Member
6,024
14,252
174
Episode:02


daksh : theek ha maine dekh liya tum mere andar samaai hui ho.. kripya ab mere andar se bahar tashreef le aayen.

"sorry daksh main bahar nahi aa sakti"

daksh : wo kis khushi me miss!

"mera naam shimuna hai"

daksh : khoob, achha naam ha.. lekin main apne wajud ko kisi ka thikana nahi banne de sakta.

shimuna : daksh agar main bahar nikli to mere dushman jaan jaayenge, main kahan hon. nahi plz mujhe apne andar hi rehne do. main lozan ke kabze me nahi jana chahti, agar wo mujhe pakad kar wapis planet par le gaye toh mera pura maar diya jaayega.. shimuna sisak padi thi.. daksh ladkiyon par daya karna bhul chuka tha. lekin shimuna par daksh ko daya aa gayi. shimuna ek dusre planet se thi, daksh ko uspar daya aa gai.

daksh : achha achha nahi nikalne ko bolta..

daksh ko chakkar se aane lage the, wo let gaya

shimuna : sorry daksh meri waja se tumhari aisi halat hui ha.

daksh : its ok shimuna.. ab meri ye weekness kaise door hogi, aur kitne samay me door hogi.

shimuna : daksh main tumhari earth par upalabdh shakti badhane wali cheezon baare nahi jaanti. tum mujhe samudra me mile the, tum jaante hoge, samudra me kya kuch aisa ha, jisse se tum khud ko recover kar sakte ho.. aur

daksh : aur kya shimuna?

shimuna : daksh har planet par bohut kuch aisa bhi paya jata ha, jo har dhund nahi pata. aisi cheezon ke upayog se shakti ko kai guna badhaya bhi ja sakta ha.

daksh : ye baat to main bhi samjhta hon shimuna. hamare samudra ki gehraiyo me bohut kuch aisa ha, jinke baare me pustken bhari padi han.. par samudra ki gehraai me paayi jane wali un jadi bootiyon tak kisi ki rasayi mumkin nahi ha.

shimuna : abb mumkin ha daksh.

daksh shimuna ki baat heran reh gaya.

shimuna : tum bhul rahe ho daksh, daskh tum island par kaise aaye. jab tak main tumhare andar hon. tum samudra ki kisi bhi gehraai me ja sakte ho.. dekh sakte ho, saans le sakte ho, khaa pi sakte ho.

daksh : kyaaaaaaaaaaaaaaaaaaaa?

shimuna : haan daksh ye mumkin ha.. aur tumhe aisa hi karna padega daksh, mujhe bhi zarurat ha is sab ki. tum jitni khud ki power badhaoge daksh, utni safe main bhi rahungi.

daksh : is baat ka kya matlab hua shimuna

shimuna : daksh main bahar reh kar bhi khatre me hon aur tumhare andar reh kar bhi.

daksh : bahar rehte tumhe apne hi planet walun se khatra hoga. mere andar rehte hue bhala kaisa khatra?

shimuna : mujhe earth par aate hue earth ke space center se dekh liya gya hoga. mere peeche aa rahe nimoons bhi earth walun ki nazron se bach nahi sake honge daksh. another planet se judi hui koi bhi info ho, sab uski chhan been me lag jaate han. hum to fir bhi insano se milte julte han. humen kaise nahi earth wale dhundenge.. main to tumhare andar reh kar sabki nazron se ojhal ho gayi han. par dusre nimoons kisi ki nazron se chhup nahi sakenge.. kyun ki wo meri tahra se kisi dusre me sama nahi sakte. nimoons ne pehle to tumhe samudra me dhunda hoga. na milne par tumhari khoj ki hogi. tum kon ho kahan se aaye ho.. kaiyon ko maara hoga unho ne tumhare baare me jaanne ke liye. nimoons mere piche the. mujhe tumme samate hue wo dekh chuke honge. ab wo tumhari khoj me honge. aise wo sabki nazron me aa gaye honge. agar aisa ho chuka ha daksh toh nimoons baare saari earth wale jaan chuke honge.

daksh : mujhe kyun dhunden shimuna, wo ye bhi to soch sakte han, tum mere andar se nikal kar kisi aur me bhi sama sakti ho.

shimuna : unhe turant hi pata chal jaayega daksh, jab bhi main tumhare andar se bahar niklongi. baar baar kisi me samaane se meri power bhi kam hoti ha. aur mujhe earth par reh kar taqat hasil karni ha, na keh kam.. lozan ko maar kar firse apne meesa ko king banana ha mujhe.

daksh : meesa?

shimua : hamare planet par pita ko meesa kehte han daksh

daksh : aur maa ko?

shimuna : Ehehehe meesi

daksh : hahaha "meesa".."meesi"

shimuna : chalo daksh ab yahan se chalte han. kis country me jana chahoge tum.

daksh : pehle to samandar me rehte hue hi mujhe apni shakti wapis paani hogi.

shimuna : paani hi nahi badhani bhi hogi.. tumhe fighting aati ha daksh?

daksh : street fighting aati ha kisi had tak. bohut kam kisi se ladne ka chance bana ha mera.

shimuna : tumhe apni earth ke hisab se ladna seekhna hoga daksh. warna tumhare liye mere liye bohut mushkil ho jayegi. aur sach kahun to tumhare wajud ke best thikana mujhe kisi aur wajud me nahi milega. apne liye mere liye khud ko powerfull banaao daksh.

daksh : ab to aisa hi karna padega.. chalo chalte han samudra me

daksh utha ldakhada hua samudra me utar gaya. samudra me utarte hi daksh ko khud me kuch energy mehsus hone lagi..

kuch gehraai me jaate hi daksh ne ankhen khol kar saans lene ki koshish ki. sach me hi usay koi pareshani nahi bani. saans lene se paani uski naak me nahi gaya. aisa sab daksh ke liye hairat angez tha. daksh fir samudra ke paani me lambe lambe saans lene laga..

shimuna : maine kaha tha na daksh tumse.. paani me tumhe kisi kisam ki koi preshani nahi hogi. haan agar koi preshani ban sakti ha to wo ha samudri jeev se. khud ko usse bachane ki koshish karna. tum kisi bhi samudra jeev se zayada speed se ter kar sakte ho.

daskh : ye sab mere liye bada ajeeb ha shimuna

shimuna : ajeeb to hoga hi. tum thehre insaan, ek insan paani me saans le raha ho. uske liye ajeeb to hoga hi.. chalo ab aage badho aur neeche gehri me utro..

daksh : gehraai me abhi khatra zayada hoga. pehle khud ko recover kar lun..

daksh normal gehraai me rehte hue hi wapsi ka safar tay karne laga. aage africa tha. ship par wo laut nahi sakta tha. aage ja nahi sakta tha. abb se uski life ke maanings badal gaye the. shimuna uske andar se nikal bhi jaati to bhi dunya wale usay zinda jaan kar uske piche pad jaate.




:::::::::::::::::



shimuna ne jaisa daksh se kaha tha, hua bhi bilkul vaisa hi. puri dunya me khalbali mach gayi thi. NASA walun ne shimuna samet paanch aur nimoons ko earth par aate hue dekh liya tha. ye khabar turant hi american president ko di gai. wahan se khabar pure world ki media ko de di gai.

fir to jaise puri dunya ke news channel wale is khabar ko nashar karne lage.

sattelite cameras ko zoom karke sabko dekh liya gaya sivaye shimuna ke. paancho nimoons akaar me to dikhayi de rahe the lekin unke face clear nahi the. shimuna roshni me lipti hui dikhai de rahi thi. baaki nimoons bina roshni ke the.

samudra ke jis hisse ki or wo sab utarte dikhaai diye the. wahan se guzar rahe sabhi ships par contact kiya jane laga. jald hi daksh wale ship baare bhi sab jaan gaye. us ship par hue nimoons ke hamle ki khabar bhi pata chal gai thi. is khabar ke sath hi ship par liye gaye nimoons ke snap bhi all world me viral hote chale gaye.. passnegers ship tha. kaiyon ne snaps liye nimoons ke toh kaiyon ne videos bana li thi.

ship par nimoons ke hue hamle baare shimuna bhi daksh ko bata chuki thi. nimoons daksh ki detail paane ke liye kuch bhi kar sakte the. aur hua bhi wahi.

daksh jab samudra me naha raha tha. shimuna ko daksh me samate toh koi nahi dekh saka. lekin ship ke staf shimuna ke aane ki jhalak dekh gaya tha. shimuna ke baad dusre 5 nimoons bhi jab samudra me gire to ek zordar awaz hui thi. paani ke chheente bohut door tak gaye the.. jise ship par dekh liya gaya tha.. foran hi siren baja kar sabko saavdhan bhi kar dia gaya..

nimoons jab samudra me shimuna ko nahi pa sake. daksh ke sath wo samudra me hi rehte hue kahin door bohut door chali gai thi. wo shimuna ka peecha nahi kar paaye.. daksh ki detail hasil karne ke liye wo ship par chad gaye. nimoons ke akaar dekh kar sab dar gaye. ship ke guards jinke paas latest guns thee. un guns ka rukh nimoons ki or kar dia gaya..

ship ke captain bhi jaan gaya tha, asmaan se tapke hue insan nahi ho sakte.. unke akaar bhi insaano se bade the. captain ne security incharge ko dekha to incharge ne guards ko hamla karne ko bol dia.

ek jung chhid gayi thi ship par. bohut se guards maare gaye. nimoons ke liye earth walun se ladai asaan nahi thi. goliyan lagne se wo bhi zakhmi hone lage.. unme jo leader tha. wo sabko samudra me koodne ke liye bol gaya..

sab samudra me koodne lage.. nimoons leader ne ek guard ko pakad aur uske mathe se mathe jod kar daksh baare info lene laga.. lekin usay kuch hasil nahi hua. daksh ko ship par sab DK ke naam se jaante the.. daksh kahan se aaya tha, kahan rehta tha, koi nahi jaanta tha. daksh ne bhi apni info sahi se kisi ko nahi bataai thi.. apna ghar aur apne sab wo chhod chuka tha. toh kisi ko apne baare se sab batane ki zarurat bhi usne mehsus nahi ki thi..

nimoons leader bhi samudra me utar gaya.. woh shimuna ko paane me nakam ho gaya tha. daksh baare detail bhi wo paa nahi saka tha. kuch to karna hi tha, khali hath to wo bhi wapis nahi lautne wale the.


::::::::::::::::

ship me banaai gai nimoons ki pics nd videos amercian CIA ko bhej di gai..

Power.....

jiske paas power hoti, usi ke andar mazeed power ka lalach sabse badh kar hota hai..
planet koi bhi ho, usme rehne wale kaise bhi hon. har koi sabse badhkar khud ko powerfull dekhna chahta ha.

dusre planet se aaye huon ke liye sari dunya pagal hone lagi thi. dunya ke sabse powerfull country kisi ek bhi nimoon ko hasil kar lena chahte the. ek to space baare bohut se secrets unke hath lagte dusre wo nimoons par research karke bohut si power bhi hasil kar sakte the.

bade bade deshon ki intelligence companies ke sath sath underworld wale bhi aisi khabar sunkar lalach me aa gaye the. wo bhi nimoons ke liye sar garam hone lage..




:::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::
शानदार जबरदस्त भाई लाजवाब update bhai jann
 
Top