Lucky..
“ɪ ᴋɴᴏᴡ ᴡʜᴏ ɪ ᴀᴍ, ᴀɴᴅ ɪ ᴀᴍ ᴅᴀᴍɴ ᴘʀᴏᴜᴅ ᴏꜰ ɪᴛ.”
- 6,638
- 25,214
- 204
Awesome updateUPDATE 144 : WAPIS MUMBAI KE LIYE RAVANGI
Main apne room mein tehal raha tha. Subah ke karib 4 baje honge. Main idhar se udhar ghum raha tha bechaini mein. Mujhe sneha ki bahut chinta ho rahi thi. In kuchh hi dino mein main sneha se sachmuch bahut pyar karne laga tha aur main use kisi bhi kimat par khona nahi chahta tha.
Mere room ka darwaja khula hua tha. Kuhh der ghumne ke baad meri nigah darwaje par padi to maine dekha ke wahan par sneha khadi thi. Main use dekh ke thithak gaya aur kuchh bolne laga par judab se ek shabd bhi nahi nikla.
Mujhe aise chup dekh ke sneha mujhse boli.
Sneha…abhi tak soye nahi ho?
Main…raat se lekar ab tak pehli baar meri ankhon mein ansu aaye….main dabdabati ankhen liye usse bola…main tumhe kisi bhi kimat par nahi khona chahta sneha.
Sneha..us baat ka abhi koi fayda nahi raha vinay. Ab ham dono mein kuchh bhi nahi hai. Meri aur tumhar soch mein bahut fark hai.
Main…par tum bhi to mujhse utna hi pyar karti ho.
Sneha…karti hun nahi karti thi. Ek achhe aur sache insaan se. Aise insaan se nahi jise rishton ki kadr nahi pata.
Main…rishton ki kadr karta hun. Tabhi to unki jarurten poori karne ki koshish karta hun.
Sneha…apni aiyashi ko tum unki jaruraton ka naam mat do vinay.
Main…please ander aao sneha. Main tumhe sab kuchh clear bolna chahta hun. Par main nahi chahta ke mummy ya papa mein se koi hamari baten sune. Unhe dukh na pahuche.
Sneha..thik hai bol ke ander aa jaati hai to main usse bolta hun.
Main…itne kathor shabd na bolo please. Mujhe aiyash na bolo.
Sneha… tum ho tabhi to bol rahi hun.
Main…agar main aisa hota na to tumhare liye tadapta nahi.
Sneha..chhodo is baat ko mujhe ab tumhare saath koi talluk nahi rakhna.
Main…jab maine dekha ke wo abhi bhi gusse mein hai to maine socha ke abhi mauke ko sambhalna chahiye…ek kaam kar do please bas…mere saath mumbai chalo..maa papa ko thodi tasalli ho jayegi. Aur abhi vini bhi bahut preshan ho gayi hai meri wajah se. Please uska operation ho jaane do. Uske baad main khud hi tumhe chhod aunga.
Sneha…uski jarurat nahi hai main khud hi chali jaungi. Thik hai main uske operation tak ruk jaati hun. Par is dauran mere saath koi rishta nibhane ki koshish mat karna. Mera tumhare saath koi talluk nahi hai. Main wapis aate hi apne ghar chali jaungi.
Main…hath jodte hue..tumhara itna hi ehsaan kafi hai ke tumne meri yeh baat maan li. Warna tumhari jagah koi aur hoti to mujhe do thappad laga ke usi wakt wapis chali jaati.
Sneha….tumhe thappad lagane wali main hoti kaun hun…mujhe ab kisi se koi gila shikwa nahi hai. Main naye sire se apni life shuru karne wali hun.
Uski baat sunkar meri ankhon mein dher saare aansu aa gaye. Wo mujhe usi tarah rota hua chhod ke vini wale room mein chali gayi. Main use jaate hue dekhta reh gaya. Mujhe ab mehsus ho raha tha ke yeh rishta shayad ab khatam ho gaya hai.
===OOO===
Usne doctor shinde ko bola ke ham uske relative hain aur apne mama se us doctor ki baat batayi. Uske aisa karne se mujhe bahut khushi hui par haan usne meri taraf ek baar bhi muh karke nahi dekha.
Doctor shinde ne kaha ke ham dono ki wahan koi jarurat nahi hai. Usne to yahan tak kaha ke wo ham dono ka apne ghar mein intzam kar deta hai. Par hamne kaha ke unka itna hi ehsaan kafi hai ke unhone hame itna puchha
Par fir hamne kaha ke ham hospital ke najdik hi koi hotel dekh lete hain taki jane aane mein bhi ko mushkil na ho. Maine doctor se puchha ke kitna deposit karwana hai to usne yeh kehte hue sire se meri baat ko nakar diya ke unhone apne bhai jaise dost vikram ko bhi jawab dena hai.
Unhone to yahan tak bol diya ke unhe pata hai ke meri aur sneha ki shadi hone wali hai. Maine dekha ke doctor ki baat sunkar sneha ko achha nahi laga. Par ab wo kar bhi kya sakti thi. Doctor ne hame khane ke liye puchha par maine bola ke sneha aaj kisi restarant mein khana chahti hai mere saath.
Jab maine doctor se yeh bola to sneha ne ekdam se meri or dekha thoda gussa tha uski ankhon mein. Par doctor ne socha ke yeh sharma rahi hai. To wo bole ke isme sharmane wali kya baat hai beta. Tum logon ko umar hai abhi ghumne firne ki. Tum log vini ki bilkul bhi chinta na karo.
Hamara staff uske liye kafi hai. Abhi teen din use observation mein rakhenge. Fir operation hoga aur uske baad fir se do teen din use rakhna padega. So ek hafte se das din tak ka time tum logon ko lag sakta hai yahan.
Maine dekha ke sneha khush nahi thi is baat se. Doctor se vida leke ham hospital se bahar nikle maine ek cab bulayi aur use kisi achhe restaurane mein chalne ko bola. Cab mein sneha ekdam chupchap thi aur main bhi chup hi raha.
Restaurant pahuch kar maine dekha ke yeh sach mein bahut achha restaurant tha. Maine uski ambience dekh ke muskurate hue sneha se kaha.
Main…dekho na kitne achhe restaruant mein leke aaya hai cab wala hame. Main sachmuch bhul hi gaya tha ke sneha mujhse naraz hai abhi.
Sneha…haan achha to hai. Par yahan tumhare saath agar tumhari koi behan hoti to shayad tumhe jyada achha lagta…sneha ne taunt marte hue mujhe kaha.
Mujhe uska aisa bolna achha to nahi laga. Par fir bhi maine muskurate hue uski baat ko accept karte hue kaha.
Main…haan tab bhi achha hi hota. Par ab jitna nahi. Kyunki ab to mere dil ka tukda mere saath hai. Main use khush karna chahta tha.
In between ek waiter hame ek table par bitha chuka tha aur dono ke hath mein ek ek menu deke chala gaya tha. Usne menu mein dekhte hue bina meri or dekhe bola.
Sneha…yeh aise mithe mithe shabd bol ke mujhe lubhane ki koshish mat karo. Ab ham dono ke beech kuchh bhi nahi hai. Main insaniyat ke naate yahan hun. Aur wapis jaate hi mujhe ghar wapis jaana hai.
Main…main abhi bhi muskura raha tha. Mujhe use kisi bhi tarah khush karna tha jisme abhi tak main nakam tha. Fir bhi main bola…chalo tab ki tab dekhenge abhi kuchh order to kar do. Mujhe bahut bhukh lagi hai. Aaj ham tumhari pasand ka khayenge.
Sneha…riya ko phone kark dekh lo na uski pasand ka mangwa lete hain..uski baat par to mujhe hansi hi aa gayi.
Main…ab tum sach mein typical Indian wives ki tarah behave kar rahi ho. Aur yeh mujhe achha bhi lag raha hai. Chalo kar bhi do order please.
Sneha.. Meri or dekhe bina waiter ko bolati hai aur ham dono ki pasand ki ek ek sabji order kar deti hai use pata hai mujhe lachha parantha pasand hai wo dono ke liye lachha parantha hi order karti hai. Kya hai yeh ladki mujhe samajh nahi aa raha tha.
Main…muskurate hue…tum mano na mano. Tum mujhe aaj bhi utna hi pyar karti ho.
Sneha…main tumhari tarah ghatiya nahi hun. Maine socha tum bhukhe ho aur is halat mein insaan ko apni pasand ka khana milna chahiye.
Khair maine use jyada preshan karna thik nahi samjha. Main aur sneha dono nazren nichi karke khaye ja rahe the. Mera ek man to keh raha tha ke yeh maan jayegi. Par uske haav bhav bol rahe the ke wo mujhse bahut jyada naraz hai aur kabhi nahi manne wali.
Wo chahe mujhse naraz thi par koi jaldbaji nahi kar rahi thi khane mein. Khane ke baad maine use sweet dish puchhi. Usne order kar di. Ek aur baat hui. Main bill pay karne laga to usne saaf mana kar diya yeh kehte hue ke use mera kuchh bhi nahi chahiye. Usne khud hi ham dono ka bill pay kiya.
Fir ham jab bahar aaye to hamne dekha ke wo cab wala abhi bhi bahar hi khada tha. Maine use dekh ke ishara kiya to wo bhagta hua hamare paas aya aur bola.
Cab wala…arey sahib aap log aa gaye. Main aapka hi intzar kar raha tha.
Main…kya hua. Koi sawari mili nahi kya tumhe?
Cw…nahi sahib…abhi do din hi hue hain na curfew khule ko to log utna nikal nahi rahe ghumne ke liye.
Main…oh okay. Aisa karo hame wapis hospital le jao. Tumhara bhi kuchh ban jayega.
Cw…aisa karo na sahib. Aap log ghum lo aaj. 3-4 ghante ke liye ghuma deta hun. Mera bhi kuchh ban jayega. Aap logon ka bhi time pass ho jayega.
Mujhe uski baat sahi lagi. Normally hota to main use turant haan kar deta. Main sneha ko baah pakad ke ek or le gaya aur usse bola.
Main…dekho sneha. Jo tumhara gussa gila hai wo jayaj hai. Mujhe is baat ka ilm hai ke tum mujhse kafi naraz ho. Par main nahi chahta ke meri wajah se tum bore ho jao. Chalo na time bhi pass ho jayega.
Sneha…baat yeh hai ke main sirf aur sirf tumhara thobda nahi dekhna chahti. Ghumenge to kitne log dekhne ko milenge. Akele rahenge to tumhe dekh dekh ke mujhe gussa ayega. Isliye ghumne jana hi thik hai.
Main khush to tha ke usne haan kar di hai. Par is baat ka afsos bhi tha ke jo sneha kal tak mujh par jaan chhidakti thi. Aaj vicharon ke virodhabhas ki wajah se wo mujhse kitna door ho gayi hai. Itna door ke wo ab meri shakal tak nahi dekhna chahti.
Khair maine chalne mein hi behatari samjhi. Maine cab wale ko chalne ko bola. Ham dono kafi distance mein bathe the. Cab wala shayad yeh baat notice kar raha tha mirror mein dekh ke. Usse raha nahi gaya aur bola.
Cw…ek baat kahun sahib agar aap bura na mano to.
Main..haan bhai bolo na.
Cw…maine pehle couple dekhe hain jo itna door hoke baithe hain. Aur cab mein aap log koi baat bhi nahi kar rahe. Ek young couple ko itna decent maine pehle baar dekha hai sahib.
Main…hanste hue…arey aisa kuchh nahi hai bhai. Hamari shadi nahi hui hai abhi. To itna to chahiye na. Aur yeh kya kam hai ke hamare maa baap ne hame ikathe ghumne bhej diya.
Cw… wahi to, kaun ijjat rakhta hai aajkal maa baap ki. Aap dono sach mein bahut sukhi rahoge ek doosre ke saath.
Uski baton se sneha chidh si gayi aur boli.
Sneha…bhaiya aap please gadi chalaiye na. Dekhiye na traffic kafi hai.
Cab wale ko laga ke shayad wo interfere hone ki wajah se naraz ho gayi hai to wo bola.
Cw… sorry madam. Main hi shayad bhul gaya tha ke main ek driver hun. Mujhe aap logon ke matter mein padna hi chahiye tha.
Sneha chahe naraz thi. Par thi to dil ki achhi na. Uski baat sunkar uska dil pasij gaya aur wo boli.
Sneha…arey bhaiya mere kehne ka wo matlab nahi tha. Harek insaan ka koi na koi kaam dhandha hota hai. Aise hi aap driver ho. Koi bhikh to mang nahi rahe. Har kaam ki apni value hoti hai. Dekho agar aap hame na le jao to ham paidal ghum sakte hain kya itna. To hui na aapki value. Main sach mein trafiic ki wajah se chintit hun.
Sneha ki baton ki wajah se driver ab khush ho gaya aur bola.
Driver,,,,arey madam traffic ki aap chinta mat karo. Raju ki to life gujar gayi inhi sadkon par. Fir mujhse bola. Dekho sahib aap kitne khushkismat ho jo aisi wife mili aapko.
Main…sneha ki or dekhte hue…haan raju bhai main khushkismat to hun jo itni achhi aur sundar wife mili hai mujhe. Meri baat sunkar Sneha aur bhi gusse ho gayi aur usne doosri taraf muh kar liya. Fir uske baad hamme se koi kuchh nahi bola. Na main na raju aur sneha ne to bolna hi kya tha.
Wo hame sabse pehle laal bagh ke badshah yani ganesh ji ke mandir leke gaya. Par curfew khulne ke bawjud bhi mandir nahi khula tha. Hamne bahar se hi matha teka. Sneha ne aaj yellow color ka suit salwar pehna hua tha. Usne matha tekte hue apne sar par chunri odh li. Mujhe sach mein aise feel ho raha tha ke jaise reality mein mere saath meri wife ho.
Par abhi kuchh kaha nahi ja sakta tha. Uska gusse dekh ke lag nahi raha tha ke yeh shant hone wala hai.
Uske baad wo hame ek beach par le gaya. Har jagah bhid kam thi. Ham dono chupchap ghume ja rahe the. Wo chahe mujhse naraj thi. Par mujhse ekdam chipki rahi. Uski ek wajah yeh bhi ho sakti hai ke wo is ajnabi shahr mein thoda unsafe feel kar rahi ho.
Uske baad 2-3 jagah ham aur gaye. Sham ho chuki thi. Hamne kafi kuchh kha liya tha. Pata nahi sneha ke man mein kya tha kya nahi. Wo har chij ki payment khud hi kar rahi thi. Maine bhi use roka nahi. Main use apne man ki karne dena chahta tha.
Mujhe us par daya bhi aa rahi thi. Maine jo bhi kiya tha. Uske vicharon ke anusar sahi nahi tha. Use mujh par kitna bharosa tha. Ek tarah se maine uska bharosa toda tha. Uske baare mein soch kar meri ankhon mein ansu aa gaye. Mujhe nahi pata chala ke wo mujhe notice kar rahi thi. Ham dono ek jagah par do pathron par baithe the ek doosre ke samne.
Mere ansu dekh ke wo mujhse boli…..ab drama band karo aur yeh ansu bahana chhodo. Hame vini ko bhi dekhna hai. Tum to ghum ghum ke maze kiye ja rahe ho aur wo bechari hamari raah dekh rahi hogi.
Fir uthte wakt usne kuchh aisa kiya jiski mujhe katai umid nahi thi. Pehle umid ho sakti thi par ab jab wo naraz thi to mujhe bilkul bhi vishvas nahi ho raha tha ke usne apne rumal se mere ansu ponchhe.
Maine sneha ke kahe anusar wapis jaane ka socha. Jab ham cab wale ke pass pahuche to usne puchha.
Driver…ab kya dekhna chahte ho sahib…
Main…ab ghumna firna kal ke liye chhod do raju bhai. Ab hame wapis le chalo. Meri behan admit hai. Hame use dekhna hai.
Driver… haan fir to hame chalna chahiye sahib. Sham ho gayi hai. Pahuchte pahuchte raat ho jayegi.
Main…thik hai. Par ek kaam karna. Pehle hame hospital ke najdik ek hotel le dena.
Driver…wahan par ek hotel hai sahib. Mere friend ka hai.
Isse pehle ke koi aur baat hoti sneha beech mein bol padi.
Sneha…bhaiya ek kaam karna aap. Room 2 arrange karwana.
Sneha ki baat sunkar mujhe badi hairani hui ke wo yeh sab cab wale ke samne kyun bol rahi hai. Hotel mein pahuch ke bol deti. Mujhe sharmindgi si hui par koi baat nahi uske liye sab manjur.
Mujhe is tarah dekh ke sneha ko shayad apni galti ka ehsaas hua. Kyunki uske baad wo kuchh nahi boli. Uski baat par driver bola.
Driver…koi baat nahi aap 2 rooms le lena madam. Wo jyada charge nahi karega. Main use bol dunga ke mere janne wale hain to wo kam lega apse. Waise bhi main kabhi hotel walon se commission nahi leta to meri kafi respect karte hain.
Main…tum wakai mein kafi achhe insaan ho raju bhai.
Driver…arey jo khud achhe hote hain sahib unhe sabhi achhe lagte hain.
Main abhi bhi sneha ki baat par thoda hairan sa tha. Par kar bhi kya sakta tha. Uske baad main gardan nichi karke baitha raha.
===OOO===