• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest SAAJAN

What do you Think About this Story...??

  • Good

    Votes: 84 26.3%
  • Better

    Votes: 25 7.8%
  • Best

    Votes: 201 63.0%
  • Bad

    Votes: 2 0.6%
  • Worse

    Votes: 0 0.0%
  • Worst

    Votes: 7 2.2%

  • Total voters
    319
  • Poll closed .
Status
Not open for further replies.

sorbobhuk

Well-Known Member
2,339
5,539
158
SAAJAN

CHAPTER # 5 (Update-1)

STORY UPDATE- 301

Paridhi apni suhag raat ki dastan divya, priyadarshini aur payal ko suna rahi thi..vo bhi bade hi dhyan se sun rahi thi. Raat ke baad nayi subah hote hi paridhi ki sundarta me aur bhi nikhaar aa gaya tha.

Do din baad vrihadpur ke raj singhasan par mera rajyabhishek hona sunishchit kar diya gaya..aur uske poorv mera aur janhavi ka vivah karne ki mansha vyakt ki jise maa ne maan liya..aisa isliye nirnay liya gaya jisse rajya ki maharaj aur maharani, dono ka ek sath abhishek ho sake..sath me janhavi ke pita maharaj ne apne rajya ka vilay bhi vrihadpur me karne ki ghosna kar di jise maine swikar kar liya..poora din gurudev aur praja ke sath mantrana karne me hi vyateet ho gaya…

Raat paridhi didi ke sath premalaap me gujari…subah uthne ke baad maine mata bhawani ki pooja archana kar ke dhyan me baith gaya…tatpashchat sabhi ke paas aa kar baith gaya..lekin kuch logo ke chehre murjhaye huye the jinme vishes kar maa, ruchi didi, chanchal, mala, shikha, avni, soniya di, naina di, chandni, payal didi aur sandhya thi.

Mujhe unke kaanti heen chehre dekh kar ye samajhne me tanik bhi der nahi lagi ki unki udasi ka karan kya hai…sab ke aise malin chehre ke piche ki vajah janhavi se meri shadi hona hai..jabki maa ke udasi ki vajah raat wali ghatna thi jo ab tak unke manas patal par ghum rahi thi…halanki janhavi ka mukhda taaze kamal ki bhanti khila hua tha…akhir uski khwahish jo poori hone wali thi.

Sab ko aise udas dekh kar mujhe bhi achcha nahi lag raha tha to maine aaj vrihadpur ghumne ka mann banaya…kyon ki rajya me kayi ramniya sthal the..…aur sath me main sab ki udasi bhi door kar saku.

Raj—kyo na aaj nagar bhraman karne chale…? Hamare rajya me bahut sundar sundar picnic manane layak jagah hain..

Diksha—sachchi..? lekin vaha bhi koi bhairav nath to piche piche nahi ayega na…?

Raj—hahahaha…ab koi nahi ayega...kyo maa, aap kya kahti ho... ?

Mamta—jaisa tum kaho beta..

Mrinal—raj, ye puknic kya hota hai aur ye kaise manate hain….?

Raj—puknic nahi, picnic..pic nic…aur iska matlab hota hai ki kisi sundar jagah par ja kar kuch samay bitana…uss jagah ki prakratik sundarta ka anand uthana..

Mrinal—achcha, ab samjhi..

Sandhya (mann me)—achcha mouka hai ye mere liye….sab ka dhyan picnic par hoga..vahi main mouka dekh kar iss janhavi ko tapka dungi..sab yahi samjhenge ki koi durghatna ho gayi hai uske sath ya phir tilism ka koi ansh tootna baki rah gaya hoga jisme vo phir se phans gayi hai..

Veer—kaha jane ka vichar hai raj…?

Raj—yaha se 5-6 km doori par ek achcha picnic spot hai..vahi chalte hain..

Ruchi—theek hai betu..chalo, kaha chalna hai…?

Raj—aise nahi didi…bhesh badal kar jisse koi hame pahchan na paye..

Paridhi—vo kyo..?

Raj—sab pahchan lenge to picnic kaise ho payegi…sab hamare paas hi daude chale ayenge,jabki main apni family ke sath kuch waqt gujarna chahta hu..

Meera—ye tumne theek kaha raj..

Iske baad hum sab bhesh badal kar ghumne nikal gaye…tilism tootne ke baad jo log rajya me basne aaye the, vo apne apne kshat vikshat gharo ki marammat karne me lage the..iss kaam me sainik bhi sahayata kar rahe the..to kuch apni aur apne pariwar ke liye jivika ke sadhan jutane me vyast the.

Neha—raj, priyadarshini to dev kanya hai..vo to inn gharo ko mintus me theek kar sakti hai..aur tere paas bhi to shaktiya hain.. to inki madad kyo nahi kar deta…?

Raj—mere aisa karne se vo sab akarmanya (karm vimukh) ho jayenge…jo main nahi chahta…sab ko apna apna karm karne do.. aur phir sainik to sahayata kar hi rahe hain…yahi meri madad hai unke liye…sath me unko suvyavasthit karne me jo bhi kharcha ayega vo main karunga….lekin mehnat unhe khud karni hogi..

Aise hi baate karte huye aur logo se milte huye hum picnic spot par pahuch gaye…jagah behad khubsurat thi…sabhi vaha ki khubsurti ko niharne me hi kho se gaye…aur idhar udhar ghumte huye picnic ka maza lene lage…magar payal didi, aur divya mere hi paas rahi.

Raj—kya baat hai didi…bahut gumsum ho aaj….?

Payal—to kya karu…nachu, khushiya manau…?

Raj—baat kya hai..kya aap ko mere raja banne par khushi nahi ho rahi …? Agar aisa hai to main aaj hi sab ko rajyabhishek ke liye mana kar dunga..

Payal—tere rajyabhishek se bhala mujhe khushi kyo nahi hogi…? Aisa socha bhi kaise tune…?

Raj—to phir ... ?

Payal—tu kya chahta hai ki uss chudail janhavi se tu shadi kare aur main khush rahu... ? ye mujhse nahi hoga...main use jinda gaad dungi...teri dulhan banne se pahle hi main apni kulhadi se uski gardan kaat dungi..

Raj—ohhh...to ye baat hai....lekin didi, isme uss bechari ka kya kasoor hai... ?

Payal—dekh, tu uski jyada tarafdari mat kar..samjha...mera pahle se hi mood kharab hai..divya ho gayi..priyadarshini ho gayi.. paridhi ho gayi..main ho gayi...hum chaar chaar hain teri biwi banne ke liye..phir bhi tujhe biwi kam pad rahi hain... ? kya hum charo se tera mann bharega... ? ya phir tu ye samajhta hai ki hum charo me koi kami hai aur tujhe hum khush nahi kar payengi.. ? (nam ankhe)..tu ab pahle jitna mujhe pyar nahi karta hai...tu badal gaya hai..kal bhi holi me tune bola tha ki mere sath raat me alag se holi khelega, vo bhi special wali...main raat bhar jaagti rahi tera intazar karte huye lekin tu nahi aaya..

Raj (dono hatho se didi ka chehra utha kar)—(dard)..didi, ye aapne kaise maan liya ki main aapko ab pyar nahi karta aur badal gaya hu... ? ye sach hai ki divya meri ruh hai aur divya se jyada pyar main kisi ko nahi karta lekin jo jagah mere dil me aapki hai, mere dil ki vo jagah baki sab to kya, yaha tak ki divya bhi nahi pa sakti kabhi...aap mera maan, samman, mera guroor, abhiman..sab ho....aapne mujhe ek bahan, ek sachchi dost, ek humdard, ek premika, ek maa ka pyar diya hai..sath hi sath aapse hi maine ek guru ka pratham gyan paya hai...aapka sthan bahut ooncha hai mere dil me...aap, divya, priyadarshini aur paridhi didi ke baad hi baki sab ka number aata hai..phir aapne ye kaise maan liya ki main badal gaya hu aap ke liye... ? agar aap ko mera janhavi se shadi karna pasand nahi hai to ek bar aap kah ke dekho, aapki saugandh, main janhavi to kya, divya tak ko chhod doonga aap ke ek bar kahne par..aur ye vachan main aap ko khud divya ke hi samne de raha hu..


“Jamin Badle, Jahan Badle, Ye Jamane Ki Hawa Badle..
Jo Main Tujhse Jara Badlu, To Mera Mujhse Khuda Badle.”

(Iss shayari me last me khulne wale kahani ke sabse bade raaz ka hint chhupa hua hai.)

Payal didi ki baat se mujhe behad taklif mahsoos huyi…aur na chahte huye bhi meri ankho me nami ki boonde utar aayi..jise dekhte hi payal didi tadap uthi…unhe apni galti ka ehsaas hua…aur phir ek minute bhi jaaya kiye bina vo mujhse lipat gayi.. divya vahi mere bagal me khadi chupchap dekh rahi thi..lekin uske mann me meri baato ko sun kar dukhi hone ki bajaye sirf khushi jhalak rahi thi.

Payal (tadap kar)—(lipat kar sir ko chumte huye)..mujhe maaf kar de raj..main tere pyar me bawri ho gayi thi…kuch bhi bina soche samjhe bol gayi…mujhe maaf kar de…meri vajah se tujhe taklif huyi…main bahut kharab hu..mujhe tu bhi maaf kar de meri bahan..maine tera bhi dil dukha diya..meri vajah se raj ne tujhe chhodne ki baat tak soch li..

Raj—aap mujhse mafi maangte huye achchi nahi lagti didi…aap to mujhe hamesha haste huye hi achchi lagti ho…

Divya (mushkurate huye)—didi, aapne ye kaise socha ki aap ki baato se main dukhi ho sakti hu…? Mujhe malum hai ki aap bhi saajan se utna hi pyar karti ho jitna ki main aur priyadarshini…saajan meri ruh me basa hua hai…jise meri ruh se mout bhi alag nahi kar sakti…aap ke samne to saajan ka sirf jism hai…aur jismo ke milne ya na milne se pyar khatam nahi ho jata aur na hi kam ho jata hai…janhavi ko to saajan ka ye jism hi mil raha hai, jo ki ek na ek din iss mitti me hi vileen ho jayega…lekin meri ruh me base saajan ko mujhse koi nahi chheen sakta..aur na hi saajan ke liye aapke dil me jo pyar hai, vo koi chheen sakta..phir aap tension kyo leti ho…? Jo jo saajan ko pana chahti hain, unhe unke hisse ka pyar milne do…kyon ki kisi ko pyar karna koi gunah to nahi hai..

Payal—main teri jitni samajhdar nahi hu, gudiya….na jane kyo, lekin jab bhi raj ko kisi ladki ke sath dekhti hu to mujhe gussa aane lagta hai..mann me aata hai ki uss samay hi uss ladki ki gardan apni kulhadi se kaat du..aur main teri jaisi ban bhi nahi sakti jo apne saajan ko har kisi ke sath baantne ke liye khushi khushi taiyar ho jaye..

Divya—hihihihi…pyar baantne se kam nahi hota didi, balki aur badhta jata hai..

Yaha hum teeno baate karne me magan the vahi dusri taraf sandhya yaha vaha ghumte huye sahi jagah ki talash me thi, jaha par vah apne sath janhavi ko le ja sake aur apna maqsad anzam de sake.. aur akhir ek aisi jagah use nazar aa hi gayi..jise dekh kar vo mann hi mann khush hote huye lout kar sab ke paas aa gayi.

Sandhya (kaan me)—rajkumari janhavi, aao tumhe ek bahut hi khubsurat jagah dikhati hu..kisi ko batana mat, baad me sab ko surprize denge…aa ja jaldi se…

Janhavi—aisi koun si jagah hai yaha jo isse bhi khubsurat ho…?

Sandhya (kaan me)—dhire bolo, warna sab sun lenge..phir vo surprize nahi rah jayega...chalo jaldi se..

Janhavi—theek hai..chalo..

Janhavi uth kar sandhya ke sath chal padi...dono chalte chalte ek pahadi ke upar pahuch gayi..lekin vaha pahuchne ke baad janhavi hairan ho gayi kyon ki jaisa sandhya ne uss jagah ki khubsurti ke baare me bataya tha, vaisa vaha kuch bhi nahi tha.

Janhavi (hairan)—ye mujhe kaha le aayi ho... ? yaha to kuch bhi nahi hai aisa jaisa ki tumne bataya tha..

Sandhya—hai kaise nahi.. ? jarur hai...(ungli se ishara karte huye)..vo badi chattan dekh rahi ho na, uske upar chadh ke dekho to jara...tab vo kagah dikhegi...chalo jaldi se chadh kar dekho..

Janhavi—kya hai vaha... ?

Sandhya—uske upar chadh ke khud hi dekh lo..

Janhavi—theek hai..

Aur phir mann na hote huye bhi janhavi ne sandhya ki baat maan kar (kyon ki sandhya, raj ki bahan thi aur vo nahi chahti thi ki ek choti si baat na maanne ki vajah se raj ki bahan usse naraz ho jaye) uss chattan par chadh gayi…chattan par chadhte hi usne jo drishya dekha use dekhte hi chounk gayi..

Janhavi abhi kuch samajh pati ki achanak tabhi……


“aaaaaaaaaaaaaaaaa…..saajannnnnnn”

Update Abhi Incomplete Hai...Complete Update Dophar Tak.
bhai nice update..... complete update ka intejar hai
 

Black water

Vasudhaiv Kutumbakam
5,873
21,052
188
Waiting bhai
 
  • Like
Reactions: Raj and anandsngh12
Status
Not open for further replies.
Top