• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest SAAJAN

What do you Think About this Story...??

  • Good

    Votes: 84 26.3%
  • Better

    Votes: 25 7.8%
  • Best

    Votes: 201 63.0%
  • Bad

    Votes: 2 0.6%
  • Worse

    Votes: 0 0.0%
  • Worst

    Votes: 7 2.2%

  • Total voters
    319
  • Poll closed .
Status
Not open for further replies.

anandsngh12

Well-Known Member
28,992
64,247
173
SAAJAN

UPDATE*136

Love Story continues..........

Sher ki parchhayi ke gayab hone ke kuch der baad jab meri chetna louti to maine vaha sabhi ko bhayakrant dekh kar turant uth kar baith gaya

Mere samne maharaj maharani, guruji, vaishali, pratigya aur divya baithe huye the...sabhi ke chehre malin ho gaye the

Mai—maharaj aap yaha kyo baithe hain.... ?

Maharaj—us Trikal ne sab tahas nahas kar diya

Mai—sab theek to hai na….?

Divya—tumhe kya ho gaya tha…?

Mai—pata nahi kisi adrishya shakti se takrane ke baad mai dur aa ke gir gaya uske baad kya hua mujhe kuch hosh nahi hai

Maharani (rote huye)—vo dushta meri putri Ratna aur guruji ki putri Minakshi ko utha le gaya….na jane kaisi hongi meri betiya….?

Mai—aap ghabraiye mat maharani….mere jivit rahte unka koi bura nahi kar sakta

Maharaj—ab aur isse jyada kya bura ho sakta hai…?

Mai—kuch nahi hua maharaj…aap nishchint rahe….main unhe sakushal lekar aunga…mujh par bharosa rakhe

Guruji—ab to tumhara hi bharosa hai agyant

Mai—sabse pahle is mela ke karyakram ko suniyojit tarike se punah arambh karana hoga aur logo ke dilo se bhay mitana hoga

Maharaj—kintu ye hoga kaise ab….?

Mai—mai abhi jakar sabhi logo ko udbodhit karke samjhane ka prayatna karta hu

Mai vaha se uth kar mandir ke andar chala gaya aur vaha ki ghantiyo ko jor se bajane ke baad mandir me rakhe ek bade shankh ko baja kar mele ke shubharambh hone ki ghosna kar di…us shankh ki dhwani kafi dur tak ja rahi thi

Us shankh ki dhwani sun kar logo ka palayan tham gaya…sabhi dhire dhire karke mandir ke samne ekattrit hone laga

Mai—aap sabhi purna roop se nishchint hokar is mele ka anand uthaye….ye kshetra Mata Mahakali ka ashirwad prapt kshetra hai…yaha par koi bhi apka ahit nahi kar sakta…maa khud sabki raksha karengi jis prakar abhi unko kisi parchhayi ko bhejkar aap sab ki hifajat ki vaise hi aage bhi karti rahegi….basharte kisi ke mann me koi dwesh ya kapat na ho

Atah aap sab sapariwar mele me shamil hokar mata rani ka prasad grahan kar unka ashirwad prapt kare…ye mela nirvighna sampann hoga…isme aap sabhi ka sahyog bhi ullekhniya hai..to aaiye ham sabhi milkar mata rani ke jaykare ke sath is mele ka shri Ganesh kare

Iske baad vaha mata rani ke jay ghosh se poora kshetra goonjyaman ho utha aur logo ne mele me shirkat karni shuru kar di

Sushant—pita ji..aaj jo kuch bhi hua iska jimmedar ye agyant hai….ise saza milni chahiye

Maharaj—chup karo….mujhe sharam aa rahi hai aaj ki tum mere putra aur yaha ke rajkumar ho

Sushant—na ye Trikal se ulajhta aur na hi ye sab hua hota

Mai—apni seema me rahkar baat kijiye rajkumar

Sushant—mujhe dhamki deta hai... ?

Mai—jo agyant Trikal ko musibat me daal sakta hai uske liye aap jaiso ko samapt karna koi badi baat nahi hai....itna dhyan rakhna

Sushant—dekh liya...pita ji....ab ye aap ke samne hi yaha ke rajkumar ko jaan se maarne ki khuli dhamki de raha hai

Mai—mai dhamki nahi de raha rajkumar balki apko aagah kar raha hu....jo praja ka dushman aur insaniyat ka dushman hoga vo mera bhi shatru hi hai....aur apke lakshan isi oor ingit ho rahe hain

Mai vaha se nikal kar logo se milne laga....unhe yaha ki har vyavastha se avgat karane laga

Divya—bhaiya aap hardam agyant ke hi pichhe kyo pade rahte hain... ?

Sushant—mujhe bas vo mani chahiye....mujhe agyant se koi matlab nahi hai..aur tum usse dur raha karo

Divya—apki jankari ke liye main itna bata du ki main agyant se prem karti hu....aur vivah bhi usse hi karungi

Maharani—beti tum ye kya kah rahi ho….?

Divya—ha maa…ye sach hai….aur main hi nahi Ratna didi, Vaishali aur Minakshi bhi agyant se prem karti hain

Maharani—lekin ye kaise sambhav hai.... ?..ye nahi ho sakta

Divya—kyo nahi ho sakta.maa ?..kya kami hai agyant me….?

Maharani—agyant me koi kami nahi hai....agar hum ye bhul bhi jaye ki vo hamara senapati hai aur tum ek rajkumari tab bhi ye nahi ho sakta

Divya—akhir kyo…..?

Maharani—tumhe to koi hath bhi nahi laga sakta

Divya—agyant ko chhod kar

Maharani (hairan)—kyaaaa……? Kyaaa kaha..?

Divya—haa maa aapne sahi kaha mujhe koi hath nahi laga sakta agyant ko chhod kar…kyon ki agyant hi saajan hai

Maharaj—putri ye tum kya kah rahi ho….?

“Vo sach kah rahi hai…..” kisi ki awaz se sabhi ka dhyan uss oor gaya..jaha kuch duri par vahi sadhu khade huye the….

Aaj bhi unka poora sharir sar se pair tak ghane baalo se dhaka hua tha jisse unka chehra nazar nahi aa raha tha kewal awaz sunayi de rahi thi…aur chehre ka tez saf mahsus ho raha tha

Maharaj—pranam sadhu maharaj

Sadhu—kalyan ho

Maharani—ye aapne kya kaha sadhu baba…jabki aapne hi to kaha tha ki ….?

Sadhu—vahi to hum aaj bhi kah rahe hain….ki divya sirf saajan ki hai..usse saajan ke siwa koi nahi hath laga sakta

Maharaj—iska kya karan hai….kripya mujhe vistar se samjhaiye….?

Sadhu—chalo aao mandir ke andar…tum bhi aa jao divya..

Sabhi mandir ke andar chale gaye..rajkumar nahi gaya…ek asan par sadhu ko bithaya gaya

Sadhu—divya ke sharir ko chhute hi jhatke lagne ka karan bhi agyant hi hai

Guruji—vo kaise…?

Sadhu—inka dono ka prem sadiyo purana hai….aaj jo ghatan indra dhanush ke banne ki huyi thi vastav me vo inke saat janmo ki oor ishara karti hai…

Sadhu—aaj jo bhi ghatit hua vo agyant ke siwa kisi ne nahi dekha….ye sab divya aur saajan ke nishchal prem ka hi parinam hai

Aaj ke jaisi ghatna inke 5th janam ke ant me bhi ho chuki hai jiske phalswaroop agyant ke sharir se aakashiya bijli ki tarango ka kuch ansh divya me sama gaya tha…yahi karan hai ki use hath lagate hi bijli ka jhatka lagta hai

Maharani—to agyant ko kyo nahi laga…?

Sadhu—agyant ke andar to pahle se hi aakashiya bijli ka samavesh hai…jab divya agyant ke sharir ke sampark me hoti hai to agyant ke sharir me pravahit bijli ki tarange divya ke tarango ko apni oor akarshit kar sthir kar deti hain…agar uss samay koi divya ko hath lagayega to use jhatka nahi lagega…kintu agyant ke sharir ke sampark se alag hote hi ye prakriya phir se sakriya ho jati hai

Divya aur saajan ko koi bhi alag nahi kar sakta….ye dono do jism aur ek jaan hain….inka prem dono ki atma me sama chuka hai aur atma to amar hai isliye inka prem bhi amar hai..inke sharir to mit sakte hain kintu inka prem nahi

Maharaj—lekin ratna aur do anya ladkiya unka kya…?

Sadhu—maine pahle hi bata diya tha tumhe jo divya ka saajan hoga vahi us nakshatra me janmi anya ladkiyo ka bhi pati hoga

Guruji—it ghatna ka kya prayojan hai….?

Sadhu—indra dhanush se nikle saat rang us nakshatra me janme un saat logo ke guno ko chinhit karte hain….ye indra dhanush ki ghatna ek daivik chamatkar hai jo aaj se pahle kabhi nahi huyi

Maharaj—kintu aapne to kaha ki aisi hi ghatna pahle bhi huyi hai…?

Sadhu—maine aisi hi kaha hai.…. yahi ghatna nahi kaha…

Guruji—meri putri ko bachane ka koi upay kijiye ….

Sadhu—saajan

Maharaj—sadhu baba aap koun hain aur itna sab kaise jante hain.... ?

Sadhu—iska jawab tumhare liye awashyak nahi hai...sab sawalo ka ek hi jawab hai...saajan

Maharani kuch aur puchne wali thi lekin sadhu tab tak vaha se gayab ho gaya..sab hairat se unhe charo oor dekhne lage kintu ve kahi nazar nahi aaye

Maharani—hame jaldi hi agyant ko ratna aur minakshi ki madad ke liye bhejna chahiye

Maharaj—shayad aap sahi kah rahi hain...

Mai mele me vyast tha...pratigya mere hi sath thi...tabhi ek sainik ne akar kaha ki maharaj ne mujhe bulaya hai to mai unke paas chala gaya

Mai—ji maharaj...aapne mujhe yaad kiya

Maharaj—ha agyant..jaisa ki tumhe vidit hi hai ki Trikal ratna aur guruji ki suputri minakshi ka chhal se apharan ke ke le gaya hai....hame darr hai ki vo kahi unke sath kisi tarah ka durvyohar na kar baithe..

Maharani—agyant meri beti ko bacha lo....mai tumhare aage hath jodti hu

Mai—maharani aisa karke mujhe lajjit na kare...senapati hone ke nate ye mera kartavya hai aap nishchint rahe ...kal suryoday tak dono apke samne hogi...ye agyant ka vachan hai

Mai unke paas se bahar aa gaya aur jane ke liye taiyar hone laga...tabhi divya aur vaishali mere paas aa gayi

Divya—mai bhi tumhare sath chalungi

Mai—nahi ...mai koi ghumne nahi ja raha hu...ladne ja raha hu...yaha rahkar tum meri jagah ka kaam sambhalo

Divya—theek hai...mai tumhara intazar karungi

Vaishali—mai bhi sath me rahu divya ke

Mai—ye bhi koi kahne ki baat hai...aur pratigya tum bhi inki sayahta karti rahna

Pratigya—theek hai...apna dhyan rakhna

Mai—mai ab chalta hu…kal subah tak lout aunga

Mai mele ke kshetra se mata rani ko pranam kar bahar nikal gaya...bahar aate hi maine apna ghoda chhod kar unicorn ko yaad kiya vo turant mere samne prakat ho gaya

Mai—mujhe Ratna aur Minakshi tak le chalo

Mai uske upar baith kar kaha aue phir kya mere kahte hi usne hawa se bate karni shuru kar di...itni raftar ki maine kabhi kalpana bhi nahi ki thi jitni uski thi

Mai—yaar tumhari raftar to bahut jyada hai...aur kya kya khubiya hai tumhare andar

Unicorn—aap mujhe kaho bas mai kisi bhi prakar ke vahan ke roop me khud ko badal sakta hu

Mai—bahut sundar

Usne mujhe ek sunsan jagah par le aaya...jaha insan to kya ek parinda bhi nazar nahi aa raha tha....mai niche utar ke charo taraf nazar ghuma kar uss jagah ka jayza lene laga

Mai—ye mujhe kaha le aaye ho....isse achcha to mai adrishya shakti ke jariye un dono tak pahuch jata

Unicorn—jarur pahuch jate kintu pahuchte hi Trikal ki maya me phir phans jate

Mai—kya matlab..... ?

Unicorn—Trikal ye janta hai ki aap un dono ko bachane avashya aoge….isliye usne pahle se hi apna maya jaal phaila rakha hai vaha

Mai—chahe kuch bhi ho jaye aaj mai us papi ka ant kar ke hi rahunga

Unicorn—aap Trikal ko nahi maar sakte

Mai—kyo nahi maar sakta..... ?

Unicorn—Trikal koi bakri ka bachcha nahi hai ki use pajad liya aur halal kar diya....uske paas hazaro ki tadad me siddhiya hain

Mai—iska matlab ki mai use hara hi nahi sakta..

Unicorn—maine aisa nahi kaha....aap hara to sakte hain kintu use maar nahi sakte

Mai—jab hara sakta hu to maarne me kya dikkat hai…..?

Unicorn—ye main nahi janta…..ab mere liye kya agya hai…?

Mai—ye agya vagya chhodo...aur ye batao ki mai vaha tak jau kaise.... ?

Unicorn—ye apko sochna hai……aage samne us pahad ki kandrao me hi uski gufa hai…lekin vaha kadam rakhte hi use malum ho jayega apke bare me

Mai—theek hai tum mujhe upar akash marg se le chalo

Unicorn—jaisa kaho

Unicorn adrishya hokar mujhe akash marg se us jagah tak le gaya jaha trikal ka rahne ka adda tha

Maine adrishya halat me hi gufa ke andar ka jayza lene laga dhyan me jakar.... andar shaitan ki ek bahut badi murti rakhi huyi thi

Us murti ke samne ek vishal hawan kund tha jisme agni prajwalit ho rahi thi….hawankund ke ek oor Trikal baitha us agni me kuch ahuti daal raha mantra padhte huye

Uske samne taraf durjan singh leta hua tha…..bayi oor P’asur baitha tha tatha dahini taraf do ladkiyo ko unke hath pair baandh kar jamin me lita rakha tha

Maine dhyan se dekha to meri ankho me kroadh ke karan khoon utarne laga…ankhe lal hone lagi kyon ki vo dono ladkiya aur koi nahi balki ratna aur minakshi thi

Mai (gusse se)—mai in papiyo ka aaj sar kalam kar dunga

Unicorn—kroadh mat kijiye....ye trikal ka maya jaal hai....jo bhi aap dekh rahe ho sab mithya hai

Mai (shock)—arthat..... ?

Unicorn—arthat ye ki na to vo Trikal hai aur na hi vo dono ratna aur minakshi...vo sab Trikal janit maya hai

Mai—to phir Trikal kaha hai….? Usne Ratna aur Minakshi ko kaha kaid kar ke rakha hai…?

Unicorn—ye to is maya ko katne par hi pata chal sakta hai…kintu

Mai—kintu..kya….?

Unicorn—Trikal ne maya is prakar rachi hai ki agar koi un dono ko bachane ke uddeshya se gufa me pravesh karega to turant hi ratna aur minakshi ke sar dhad se swatah hi alag ho jayenge

Mai—ohhhhhh….to ab kaise is maya ki kaat karu….?

Unicorn—aap ko jo bhi karna ho gufa me pravesh kiye bina hi karna hai…magar ye mumkin nahi hai……andar to jana hi padega aur andar jane ka sidha matlab apki ya phir un dono ki qurbani nishchit hai

Mai—ye to bahut badi pareshani ho gayi

Unicorn—tabhi to maine kaha ki trikal ek mahir khiladi hai….sabse pahle aap uski maya ko katne ka koi upay karo

Mai—tum koi upay batao

Unicorn—ye sab mai nahi janta

Mai—chalo mai hi sochta hu kuch......mai jaisa soch raha tha ye trikal usse kahi jyada kamina khiladi nikla

Hum Akhiri Baar Phir Milenge is Break ke Baad

Mai jaise hi chanchal se milkar hospital vapis aaya..mujhe coridor par tahalte huye veer dikh gaya…mai sidha uske paas chala gaya

Mai—kya hua veer kuch kaam hua..... ?

Veer—huunnn

Mai—kya khabar hai..... ?

Veer—khabar achchi nahi hai....tu na hi sun to behtar hai

Veer ki baat sun kar meri heart beat fast ho gayi….mann me ajib tarah ke khyal aane lage

Mai (adhirta se)—mujhe phir bhi jaanna hai ki kya hua hai Paridhi didi ko…?..kaha hain vo... ? kaisi hain... ? aur sabse badi baat sabne mujhse kya chhipaya hai..ulta jab maine didi ke bare me unse kuch puchha to sab bolne me hichkicha rahe the...akhir kyo... ?

Veer—chal chhod na yaar….aa coffee pite hain

Mai—mujhe hamesha se ye yakin raha hai ki chahe poori duniya mujhse vishasghat kar le kintu mera veer mujhse kabhi jhuth nahi bolega…chahe halat kaise bhi ho…kya tu bhi aaj mera vishwas tod dega……?

Veer—Raj…sach jankar tujhe bahut dukh hoga..mere yaar

Ma—dekh ab mujhse bardast nahi ho raha hai…mujhe sach sunna hai…tujhe dosti ki kasam

Veer—ye tune kya bol diya raj……mere aaj tak jinda rahne ka maqsad hi kewal teri dosti hai teri dosti ke siwa to maine kabhi bhagwan se kuch nahi chaha…tu mujhe har khushi se kahi jyada aziz hai mere yaar

Mai—ye main janta hu veer….tabhi to mai tujhse puch raha hu…bata na sach kya hai….?

Veer—tune mujhe dosti kasam di hai to sun phir ki sach kya hai….sach ye hai ki Paridhi didi ab is duniya me nahi hain….she is dead

Ye sunkar mere sine me itna tez dard hona shuru ho gaya ki mujhe aisa lagne laga aaj phir se barso baad kisi ne mere sine me vahi khanjar ghop diya ho

Meri ankho ke samne andhera gahrane laga…..pani tap tap kar ke niche jamin me girne laga mujhse khade rahna bhi mushkil ho gaya…mai girne hi vala tha ki veer ne mujhe pakad liya

Veer—mai isliye tujhe mana kar raha tha aur yahi vajah hai ki har koi sach chhupa raha tha tujhse…..pls shant ho ja mere yaar…agar tu hi toot jayega to bakiyo ko sahara koun dega jo sirf tere aa jane se kuch rahat mahsus kar rahe hain ki tu unhe sambhal lega

Veer—jara soch mamta aunty abhi abhi theek huyi hain….agar unhe malum chal gaya to vo phir se coma me ja sakti hain…kya tu yahi chahta hai…?..sab tujhe khush dekhne ke liye apne dard ko chhupa kar mushkura rahe hain ..kya tu aise khud ko tod kar unke is pyar ka apman karega

Mai (dard me)—par ye hua kaise.... ? mujhe poori baat bata..

Veer—tere sath jab ye hadsa hua to is dukh se vo bahut jyada upset ho gayi thi…study chhod kar vo adhiktam samay apna companies ko dene lagi…us hadse ke baad ek baar jo vo ghar se nikli company tour ke liye to phir louti hi nahi

Veer—ek din company se call aaya ki Paridhi didi apne cabin ki chair par behosh ho gayi hain sab turant vaha pahuch ke unhe hospital me le gaye jaha doctor’s ne didi ko dead declare kar diya

Veer—PM report me ye baat samne aayi ki unhe blood cancer tha vo bhi last stage par jiski vajah se unhe attack aaya aur phir death ho gayi...lekin ye baat kewal kuch hi logo ko malum hai unki death ki

Mai—kis kisko.. ?

Veer—neha chachi, nani, teeno mami, mama,aur dono bua aur chacha...hame ya kisi ko bhi ye nahi bataya

Mai—impossible...ye kaise ho sakta hai.....ki unhe blood cancer ho aur kisi ko malum na chale aaj tak.... ?...Paridhi di mujhe chhod kar nahi ja sakti...mai aisa hargij nahi hone dunga

Veer—apne aap ko sambhal mere dost....abhi tujhe sabke gum ko halka karna hai...jab tujhe itna dukh ho raha hai unki death ka to jara soch neha chachi ko kitna hoga... ? lekin vo phir bhi kal se tujhe malum na hone paye sabke sath jhuthi hasi liye khush hone ka dava kar rahi hain...tujhe unko sambhalna hai mere yaar

Mai—tu theek kahta hai....ek kaam kar ab tu ghar ja lekin andar nahi....bahar se hi ghar par nazar rakhna

Veer—kyo... ?

Mai—aaj tere shikar karne ki raat hai

Idhar uday ne jisko kaam diya tha…..uske admi chandni ko marne ke liye raj ki haweli ki oor nikal pade the…lekin ye team indian to bilkul bhi nahi thi

51 members ki is team me 30 japanese ninja the baki 20 chinese taiqwando the..ek unka leader tha vo bhi ek high class ninja hi tha

Ye sabhi wel talented aur apne kaam me mahir the….inme se kuch log to underwold ke liye bhi kaam kar chuke hain

Sabhi bilkul dabe paon ja rahe the….itne logo ke hone ke bavjud raat me bhi unke pairo ki ek bhi chaap sunayi nahi de rahi thi

Itni saavdhani ke sath vo sabhi mission chandni ki oor apne kadam agrasar karte ja rahe the

Udhar ek room me ghar par sab apas me bate kar rahi thi….

Neha—didi agar raj ko paridhi ke bare me pata chala to vo toot jayega….pahle hi kya usne kam dukh jhele hain…ki ek aur gum ka pahad hum uske sar par gira de….?

Nani—tum sahi kahti ho beta….hame raj ka dhyan kisi bhi tarah se paridhi ki oor se bhatkana hoga

Rupaly—lekin ye hoga kaise….?..aap to raj ko janti hi hain ki ek baar usne jo soch liya to use kiye bina manta nahi hai..

Kajal—mai uska dhyan hataungi paridhi ki oor se….agar iske liye mujhe kuch anaitik bhi karna pade to karungi

Neha—kya matlab hai apka…?

Kajal—hamara is samay ka maqsad raj ka dhyan paridhi ke upar se hatana hai bas

Geeta—kya karne wali ho aap….?

Kajal—uska dhyan apne sath sex ki oor khichne ki koshish karungi agar jarurat padi to

Sab—kyaaaaa….?

Kajal—ha…agar jarurat padi to

Nani—lekin isme risk bhi to ho sakta hai..?

Kajal—ab koi aur chara bhi to nahi hai….risk to lena hi padega

Geeta—chalo ab sote hain…kal bhabhi se bhi to mil ke khub bate karni hain

Sab—ok good night

Vahi Chandni Mitali ke kamre me uske sath gahri need me so rahi thi…. tabhi

( Current Update Size : 3378 Words )
 
Status
Not open for further replies.
Top