• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest SAAJAN

What do you Think About this Story...??

  • Good

    Votes: 84 26.3%
  • Better

    Votes: 25 7.8%
  • Best

    Votes: 201 63.0%
  • Bad

    Votes: 2 0.6%
  • Worse

    Votes: 0 0.0%
  • Worst

    Votes: 7 2.2%

  • Total voters
    319
  • Poll closed .
Status
Not open for further replies.

anandsngh12

Well-Known Member
28,992
64,197
173
SAAJAN
UPDATE- 222
5th Janam Ki Love Story Continues....

Maine apne aas paas nazar daudayi to samajh me aaya ki hum bahut badi musibat me phans chuke hain…

Jitu (mann me)—ho na ho, ye jaal mujhe phansane ke liye hi banaya gaya hai…lekin kisne ye jaal bichhaya, mujhe phansane ke liye…? Kya vahi bhediya manav…? Nahi..vo nahi ho sakta…aur ho bhi sakta hai…agar vo janwar nahi to phir koun…?

Hum abhi surang me hi the ki tabhi jiska mujhe darr tha..akhir vahi hua….

Ab Aage…….

Tabhi pata nahi vo bhediya manav achanak kaha se aaya aur chitra ko ghayal kar ke phir gayab ho gaya….chitra dard se cheekh uthi..ye dekh main hadbada gaya aur iss hadbadahat me mere hatho se mashal chhut kar niche gir gayi aur bujh gayi…chitra dard se tadap rahi thi.

Achanak huye iss hamle se mera dil thamne laga..kuch samajh me nahi aa raha tha aur andhera hone ke karan kuch nazar bhi nahi aa raha tha…

Tabhi uss surang me achanak hi apne aap hi roshni hone lagi…charo taraf prakash hi prakash phail gaya…main ye dekh kar hairan tha…phir maine chitra ki taraf dhyan diya to ye dekh kar chounk gaya ki ab vo ek sundar bistar par leti huyi thi…uski ankho me dekhne par mujhe vaisa hi mahsoos hua jaisa ki mukhiya ki biwi ki laash ko dekhne par hua tha.

Jitu—chitra, tum theek to ho na…? maine tumhe isliye hi yaha aane se mana kiya tha, lekin tum kisi ki baat manti kaha ho….khair, himmat rakho…main yaha se bahar nikalne ka koi na koi rasta khojta hu…

Chitra (dard me)—aaaaaahhh…main..theekkk…huuuu.

Main abhi chitra se aage kuch kahne hi wala tha ki tabhi vo bhediya manav apna darawana chehra le kar phir se mere samne aa kar khada ho gaya….lekin hairani ki baat to ye thi ki iss bar vo nanga nahi tha balki pata nahi kaha se aur kaise, uske jism par kapde aa gaye the…?

Vo bhediya manav mujhe dekh kar mushkurane laga jabki main use dekh kar hairan tha…kuch der aise hi hamare naino ka milap hota raha kintu uski agli harkat ne phir se mujhe chounka diya.

Bhediya Manav—ab aapki halat kaisi hai yuvraj …?

Jitu (shocked, mann me)—ye sala goonga janwar to bolta bhi hai…! Aur aaj to nanga bhi nahi hai..kapde pahan rakhe hain…

Jitu—theek hi hu..

Magar vo abhi bhi mujhe dekh dekh kar mushkuraye ja raha tha…uski mushkurahat mujhe kuch jani pahchani lag rahi thi, magar kiski…? Ye dimag me nahi aa raha tha.

Chitra—meri jaan inhone hi bachayi hai..

Jitu (shocked)—inhone…? To phir tumhare upar hamla kisne kiya tha…?

Bhediya Manav—vo hamla maine nahi kiya tha..

Jitu—na kyon..mujhe aisa lagta hai jaise ki main tumhe janta hu…..?

Bhediya Manav—Jarur jante honge…kyon ki main hi gaon ka vo mukhiya hu jiski talash me aap kal raat jungle me aaye the..

Jitu (shocked)—kyaaaaa…..? lekin maine to kal aap ki sir kati laash dekhi thi…phir ye kaise sambhav ho sakta hai…? Tum achanak apne ghar se gayab kaise huye the…? Iske piche kis ka hath hai…?

Ye raaz sun kar main aur chitra ekdam shocked rah gaye ki ye bhediya manav aur koi nahi balki gaon ka vahi mukhiya hai jiski kal raat maine sir kati laash dekhi thi aur aaj uski patni ki laash dekhne ke baad yaha chitra ke sath aaya tha.

Hamare dimag me tarah tarah ke sawal kud rahe the…main bhediya manav se apne sabhi sawalo ke jawab janna chahta tha.. isse pahle ki main usse kuch puch pata, ki tabhi kahi se ek teer tezi se aa kar uski chhati me ghus gaya…teer lagte hi vo dard se karahne laga…main aur chitra ek bar phir se chounk gaye..vo dard se tadapte huye niche girne hi wala tha ki maine usko pakad liya…maine charo taraf dekha kintu koi nazar nahi aaya.

Jitu (pakad kar)—tum theek to ho…? Ye teer kisne mara…? Aur koun hai yaha…?

Bhediya Manav (dard me)—saajannnnnn….

Marte marte uske muh se bas ek hi shabd nikla ‘saajan’ aur phir kuch hi samay me uss bhediya manav ki mrityu ho gayi...aur saare raaz uski mout ke sath hi dafan ho gaye.

Abhi gaon se logo ke gayab hone ke rahasya par se parda utha bhi nahi tha ki ye bhediya manav ka ek naya rahasya aur samne aa gaya..mere paas koi upay nahi tha jisse iss raaz ka pata laga saku.

Jitu (mann me)—Agar ye haqiqat me gaon ka vahi mukhiya hi tha to ye bhediya manav me parivartit kaise hua…? Aur yadi mukhiya jinda tha to phir vo laash kis ki thi jise main mukhiya ki laash samajh raha tha…? Akhir kya rahasya hai iske piche…?

Mere samne kayi uljhe huye sawal the aur manzil ka kuch pata nahi tha…chitra ka jhakhm abhi bhi taza tha…maine chitra ko sahara de kar khada kiya aur dhire dhire surange me aage chalne laga kyon ki surang ka vo dwar jisse ki hum andar aaye the, vo pahle hi band ho chuka tha..isliye uss surang me aage badhne ka alawa mere paas dusra koi rasta nahi tha.

Surang me ab andhera nahi tha…charo taraf roshni jagmaga rahi thi…magar phir bhi aisa lag raha tha jaise ki ye roshni bhi mujhse kuch kahna chahti ho…?

Abhi hum uss surang me thoda aage hi gaye honge ki vaha surang ke bhitar hi ek choti surang aur nazar aayi…jo na jane kaha jati thi….main vahi khada ho kar use dhyan se dekhne laga.

Chitra (hairan)—ek aur surang…? Surang ke andar surang…? Main nahi jane wali iske andar...

Jitu—theek hai tum yahi ruko…main andar ja kar dekhta hu…

Chitra—nahi..main yaha akeli nahi rukungi….aapke andar ghuste hi kahi iss surang ka dwar bhi band ho gaya to…? Aur yaha kisi ne phir se mujh par hamla kar diya to….?

Jitu—ajib musibat hai....to phir chalo sath me..

Mere itna kahte hi vo dard se karahte huye kud kar mere gale me baahe daal kar meri kamar me chadh gayi…uske achanak aisa karne se main girte girte bacha.

Jitu—ye kya hai..? chalo utro niche…

Chitra—mujhe chot lagi hai...upar se main aapki patni hu...aap ki patni ghayal avastha me kaise chalegi...patni ki sewa karna to har pati ka param dharm hai...aisa karne se bahut punya milta hai..

Jitu—are kaha ki patni aur kaisi patni... ? aur tune ye kaha padha hai ki patni ki sewa karna pati ka dharm hai... ? jabardasti ki patni...

Chitra—mere guru dev bhi to apni patni ki roj sewa karte the…maine unko dekh kar hi sab samajh gayi thi...ki patni ki sewa karna pati ka dharm hai......

Jitu—mujhe tera gyan nahi sunna...chal utar niche aur paidal chal..

Chitra—main paidal nahi chal sakti...aap dekhte nahi ki mujhe kitni chot lagi hai...kahi paidal chalte samay kisi ne mujhe bhi teer se maar diya to... ? aur ek bar to vo mujhe pahle hi maarne ki koshish kar chuka hai...nahi, main niche nahi utarungi..

Jitu (apna sir pakad ke)—kaha se ye jabardasti ki musibat mere gale pad gayi hai... ?

Chitra—main musibat nahi hu..main to aapki raksha karungi har musibat se...

Jitu—tum musibat se meri raksha karogi jo khud ek sabse badi musibat hai... ?

Chitra—haan, main sach kahti hu….main jhuth kabhi nahi bolti….jo bhi musibat aap ki taraf ayegi, usko main aap ki god me chadhe chadhe hi apni kulhadi se kaat dungi..

Jitu—tujhse badi jhuth bolne wali maine aaj tak nahi dekha...

Chitra—main jhuth kabhi nahi bolti...apni patni ko jhuthi bolte huye aap ko sharam nahi aati... ?

Jitu (shocked)—kyaaaa....mujhe sharam aani chahiye... ?

Chitra—haan, jarur sharam aani chahiye…akhir aap mere pati ho..aap ko sharam nahi ayegi to kya padosi ko ayegi…?

Jitu—chal utar…utar niche..nahi to yahi patak dunga…

Chitra—dekhiye main janti hu ki aap mere sath suhagrat manane ke liye mujhe niche patakna chahte hain..lekin ye jagah vo sab karne ke liye theek nahi hai…

Jitu (shocked)—kyaaaa….suhag..raat….? hey bhagwan…!

Chitra—iss kaam me bhagwan ko beech me nahi bulana chahiye….paap lagta hai…

Jitu—tum utarti ho ya nahi…ki patak du niche…?

Chitra—nahi, main nahi utar sakti...mujhe bahut jyada chot lagi hai...niche utar kar main aap ko paap me nahi daal sakti..

Jitu—pata nahi aaj subah kis ka muh dekh kar utha tha..

Chitra—aapne apna hi muh dekha hoga subah...lekin aap aisa kyo bol rahe hain... ?

Jitu—tumse to baat karna hi bekar hai..

Main aise hi chitra ko taange huye uss choti surang me pravesh kar gaya….aur phir kuch der ghum phir kar hum vahi aa gaye, jaha se hamne shuruwat ki thi…vo jagah badi hi uljhi huyi bhul bhulaiya lag rahi thi.

Chitra—are..hum to phir se vahi pahuch gaye…

Jitu—phir dekhta hu..

Kafi der chakkar katne ke baad akhirkar hame uss surang me ek bada sa kamra mila…jisme darwaja laga hua tha…uss darwaje ko kisi suraksha kawach se rakshit kiya gaya tha.

Jaise hi hum uss darwaje ke paas pahuche to uss darwaje me lagi ghanti jor jor se bajne lagi….aur ghanti bajte hi kamre ke charo taraf lal roshni jagmagane lagi…jo ki kuch galat hone ka sanket kar rahi thi…lal rang vaise bhi khatre ka pratik mana jata hai.

Mere kuch samajh me nahi aaya ki ye sab kya chakkar hai…? Abhi main ye sab soch hi raha tha ki tabhi chitra ne jaise hi uss darwaje par hath rakha to vaise hi..
 
Last edited:

anandsngh12

Well-Known Member
28,992
64,197
173
Superb update anand bhai...
Ek taraf sajan tilism ko todne ki kosis me rakshak se bhid rha h. Udhar divya aur baaki sab bharav nath se lad rhe h pr unhe bharav nath ke baare me bta nhi h ki uska ant kaise hoga.
Thanks arvind bhai for liking the update.
bhairav nath ka ant kaise hoga..jaldi hi pata chal jayega..
 
  • Like
Reactions: MNSHKMR

anandsngh12

Well-Known Member
28,992
64,197
173
Behad hi shandar or jabardast update bhai.
Bahut khoob superb.

Kafi romanchak update tha yah.
Sajan ki tilismi yatra abhi chal hi rahi h or use powers milne ke baad jo bhoj patra se gyat hua h vo behad khatarnaak h .
Idhar bhairav nath ne hadkmp macha rakha h.
Bahut hi lajawab or fantastic update bhai.


Or ab ,
Aage ka intjaar
Thanks Rishabh bhai for liking the update.
Bas do teen update aur chalegi ye tilism yatra uske baad next chapter..
 
Status
Not open for further replies.
Top