• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest SAAJAN

What do you Think About this Story...??

  • Good

    Votes: 84 26.3%
  • Better

    Votes: 25 7.8%
  • Best

    Votes: 201 63.0%
  • Bad

    Votes: 2 0.6%
  • Worse

    Votes: 0 0.0%
  • Worst

    Votes: 7 2.2%

  • Total voters
    319
  • Poll closed .
Status
Not open for further replies.

Siraj Patel

The name is enough
Staff member
Sr. Moderator
133,935
110,461
354
SAAJAN
UPDATE- 283

Ab jo bhi dikkat thi, usko paar karne ka tarika yahi tha ki pahle uss dikkat ko hi dekhu jiske karan main yaha se aage nahi badh pa raha tha...maine apni iss dikkat se paar pane ke liye uss andhere hisse me roshni karne ka faisla kiya..roshni ko uss hisse me lane ke liye maine apni mani ka prayog kiya magar koi fayda nahi hua...tab maine idhar udhar bikhre chamkile pattharo me se kuch ko utha kar andhere hisse ki dahleez tak le aaya...par iska bhi koi fayda nahi hua.

Mani ki roshni ki tarah hi unn chamkile pattharo ki roshni to jaise uss andhere tak pahuchte hi kisi adrishya shakti ke madhyam se sokh li ja rahi thi...aage jane ki apni koshish me maine kuch chamkile patthar uss andhere me andar ki taraf bhi phenk kar dekh liye..magar vo bhi sab bekar...vo patthar khud uss hisse ke andhere me jane kidhar kho gaye... ?

Ab aage....

Tarah tarah ki koshish kar ke bhi koi hal na nikalte dekh kar maine apne badan par pahni huyi shirt ko utara aur use niche rakh kar ek chamkile patthar ko uss par ragadne laga...chattani jamin par uss patthar ko ragadne se usme se nikli chingariyo se shirt ne pal bhar me hi aag pakad li...aag ki roshni phailte hi andhera maano chhu mantar ho kar gayab ho gaya.

Aag ki roshni me jo dikh raha tha, usko dekh kar ek bar to mere bhi rongte khade ho gaye….abhi tak andhere se bhare samne ki gufe ke uss hisse me chakile patthar ke charo taraf lal khoon ka ek talab tha...uss khoon bhare talab me kayi tarah ke magar machchha, ghadiyal, aur na jane kitni tarah ke ajibo garib khatarnak janwar apna jabda phaile tair rahe the...agar ek bar ko bhi mera pair uss talab me pad gaya hota to ab tak shayad main bhi uss lal rang ke talab me bhare khoon ka hissa ban chuka hota.

Aur agar kisi tarah main andar jane par pani ke unn shaitano se bach bhi jata to gufa ke iss hisse ki deeware mout ki kahani likhne me pal bhar ka bhi waqt na leti...vo deeware jahrile pathrile saanpo ke ke rengne se bani thi.

Unn saanpo me se har saanp itna jahrila tha ki unki jahar bujhi saanso se kamre ki hawa lagatar kali ho rahi thi...vahi kalapan kamre ki roshni tak ko sokh lene wala andhera tha...aur to aur shartiya taur par jahar ke gadhepan se hi gufa ke uss hisse ki hawa itni gadhi ho gayi thi ki har andar aane wale ke liye ek deewar jaisa kaam kar rahi thi...ya phir shayad bade chamkile patthar ki suraksha ke inn sab khatarnak upaayo se gufa ke jivit logo ki suraksha hoti rahi, isliye vaha ek adrishya deewar thi.

Itna sab dekh lene ke baad ab mere paas niskarsh tha…ye sab kuch, jo itna darawana tha, sab kewal gufa ke uss kone tak hi simit tha....matlab saaf tha ki itna sab, kewal uss bade se chamkile patthar ko surakshit rakhne ke liye kiya gaya bandobast tha.. vo bandobast kyo kiya gaya tha, ye baat ab kewal uss suraksha ghere ko tod kar hi pata ki ja sakti thi...maine vaise bhi gufa me ab tak jo dekha tha, uske hisab se gufa se nikalne ka aur koi rasta nahi tha.

Main ab tak faisla le chuka tha..ab bas mujhe iss suraksha ghere ko todne ke vishay me sochna tha….gufa me charo taraf bikhre pade chamkile pattharo ko maine la la kar khooni talab ke apne wale chhor par rakhna shuru kar diya...phir jab meri yojna ke hisab se jarurat bhar ke patthar vaha ekattha ho gaye to maine uske baad gufa me bhari padi besh kimti cheezo ke beech se ek bada sa kapda talash kar ke laya aur usme chingariyo se aag pakda kar use bade chamkile patthar ki taraf uchhal phenka.

Aag ki roshni me samne jabde phailaye dikh rahe pani ke janwaro ke muh par maine hatho me bhar bhar kar vo chamkile patthar phenkne shuru kar diye....main unn janwaro par vo patthar itni der tak phenkta raha ki vo saare janwar meri iss harkat se pareshan ho gaye.

Iss beech pattharo ki iss badi sankhya ne khoon ke uss talab par iss paar se uss chamile patthar ke chhor tak lagbhag ek pul taiyar kar diya….maine phir bina koi pal ganwaye uss pul ke upar se sidhi daud laga di.

Aag ki roshni me gufa ke uss hisse ke muhane par moujud adrishya deewar bhi jaise be-asar ho gayi thi aur shayad sara ird gird ka jahar bhi jalkar be-asar ho gaya tha...maine lambi chhalang bharte huye sidhe uss bade chamkile patthar tak ja pahucha... patthar ko apni pahuch me dekhte hi maine use uthane ke liye apne hath uss par tika diye.

Maine abhi uss chamkile patthar ko touch kiya hi tha ki tabi pal bhar me hi uss patthar ki sari chamakdar roshni mere hatho ke jariye mere jism me samane lagi...patthar ki vo chamakdar roshni mere hatho ke jariye badan me samate hi poore badan ki banawat ekdam se badalne lagi....chand palo me jo bhi badlav ghate, uske asar se main kuch pal ke liye behosh ho gaya..jab hosh aaya to maine apne badan ko kisi chattan ki tarah kathor mahsoos kiya.

Chamkile bade patthar ki taqat mere andar aane ke baad patthar ke ird gird ka poora darawana nazara badal kar gufa ke baki hisso jaisa ho gaya...vah bada patthar mere baithne ke liye ek singhasan ke roop me badal gaya...

Badan me aur charo taraf ye badlav aane ke baad main gufa ke andar jidhar bhi nazar dalta to gufa ki har deewar par ek aisa hissa ban jata, jisme se kuch mujhe nazar aane ki koshish karta...lekin vo dikhne wala nazara kya tha, main kuch samajh nahi pa raha tha.

Udhar Mrinal ki baat sunte hi sabhi ki hasi yakayak ruk gayi….sab shocked ho kar ek dusre ka chehra dekhne lage…maha pret pushpak khud hairan ho kar kabhi mrinal ko to kabhi baki preto ki taraf dekhne laga….

Ek pret (dhire se)—ye ladki to aap ko napunsak bol rahi hai... ?

Pushpak (gusse se)—chup raho..

Mitaly (tension)—ye kaha aa kar phans gaye...rajj bhi nahi hai yaha...ab kya hoga... ?

Mrinal—aap log daro mat...kuch nahi hoga..bhala inse kya darna…ye to napunsak (pushpak) bhaiya hai…ye bahut bade napunsak hain....

Pushpak (mann me)—ye kaisi ladki hai...ek maha pret ko dekh kar darne ki jagah ye ulta mujhe napunsak bol kar sabke samne mera majak uda rahi hai…jaldi hi iska kuch karna padega nahi to inme se koi bhi mujhse nahi darega phir..

Mrinal—napunsak maha pret ji...itne bade napunsak maha pret ho kar aapko ye shobha nahi deta...chhod do hum sab ko..

Pushpak (gusse se)—Jhablaaa....jao aur pakad ke khich lao iss badatmiz ladki ko....bahut der se ye meri be-izzati kiye ja rahi hai..jao..

Ek pret (Jiska naam jhabla hai)—hihihihi...abhi laya..

Mrinal (mann me)—achcha to ye tabla ( jhabla ) hai….

Jhabla bhayanak hasi haste huye mrinal ki taraf badhne laga...jabki mrinal ke mann me to kuch aur hi khichdi pak rahi thi..uske paas aate hi jaise hi jhabla ne usko pakadne ke liye hath aage badhaya vaise hi mrinal ne usko sir ko jor jor se tabla samajh kar bajana shuru kar diya.

Mrinal (sir me thappadmarte huye)—chatt...chatt....chattt....chattt...hihihihi...arey ye to sach much ka tabla hai...bahut din se kisi ka takla nahi bajaya tha...aaj asli tabla mila hai bajane ko...khoob maza aa raha hai...hhihihihi....chatt...chattt...chattt

Jhabla (dard me)—aaaaaaaaaaaaa....bachaoooo....iss pagal ladki se bachaoooo.....aaaaaaaaaaa

Mrinal—chatt...chattt...mast bajta hai….chatt…aaj tere tabla ko itna bajaungi ki aage tu apna naam tabla se badal kar jhabla rakh lega...chattt...chattt

Mrinal ne usko aisa bajaya ki vo vahi gir kar nipat gaya...ye dekh pushpak bahut gusse me aa gaya..usne baki preto ko, sab ko ghasit kar le chalne ko kaha ...pushpak ka adesh milte hi vo pret sab ki taraf lapke.

Mrinal—ye balatkari....tu inke sath thoda balatkar (chamatkar) kar na..tu to bahut bada balatkari hai na…pakad le jo bhi paas aaye..

Pret (mann me)—balatkari hai.. !

Mrinal ki baato ka natiza ye hua ki jo pret veer ki taraf ja rahe the..vo ulte pair piche khisak gaye...ye dekh kar pushpak ka kroadh aur badh gaya.

Pushpak (chillate huye)—tum log lout kyo aaye...jao pakdo use..

Ek pret—hum uske paas nahi jayenge…aapne suna nahi ki uss ladki ne usko hame pakad kar ulta hamara hi balatkar karne ke liye kaha hai…hum uss balatkari ke paas nahi jayenge..

Pushpak (chilla kar)—tumse kuch nahi hoga..mujhe hi kuch karna padega ab..

Unn preto me se ek ne jaise hi divya ko pakadne ki koshish ki to usko aisa jhatka laga ki vo udte huye na jane kidhar gaya..dusre ne pakadne ka prayas kiya to uske sath bhi yahi hua…uske baad koi uske karib jane ki himmat nahi juta paya…

Kintu baki pret anya logo ke sath badsaluki karne lage..ye dekh kar veer, aur priyadarshini, ka gussa unki bardast ke bahar ho gaya...aur phir...
:applause:
Excellent update bhai bahut hi shandar aur lajawab mind blowing, chamkile Patthar Ki sari Chamak Raj ke andar Sama gayi ,,,,, Or dusri Taraf mrinal ki comedy to Dhamal macha rahi hai :lotpot: uski baten sunkar pret bhi Veer ke najdeek jaane se dar gaye, khair dekhte hain ab aage kya hota hai.....


Waiting for next update_____
 

anandsngh12

Well-Known Member
28,992
64,235
173
SAAJAN
UPDATE- 218
5th Janam Ki Love Story Continues...

Jungle me ghuste hi vichitra si gandh phir aane lagi...jo poori tarah jungle me aag ki tarah phaili thi...akhir kya rahasya tha, iss vichitra si gandh ka.. ? mujhe nahi pata ..bas itna janta tha ki ye na to insaan hai aur na hi janwar...phir koun si bala hai ye.. ?

Sawal abhi bhi khada tha mere samne jiska jawab mujhe talashna tha...raat kafi ho chuki thi aur chaand ghane badal hone ke karan nazar nahi aa raha tha...kuch der baad barish bhi hone lagi...

Maine abhi aadha rasta bhi tay nahi kiya tha...jo yeh barish tufani hawao ke sath purab se pashchim ki oar badi joro se bahne lagi..mujhe bar bar mashal jalana pad raha tha kyon ki barish aur tufan ki vajah se vo bar bar bujh ja rahi thi...

Raat ka sannata charo taraf pasra hua tha...main sidha kal wale apne raste par chalta ja raha tha ki tabhi achanak...

AB AAGE…..

Tabhi achanak na jane koun mere bagal wale ped se mere samne aa tapka…ye mahsoos hote hi main kuch pal ke liye aise stabdh ho gaya jaise ki meri saans atak gayi ho…vah vichitra janwar mere samne aa khada tha.

Lal chamakdar ankhe, sharir par baal hi baal, sir bhediye ka aur dhad manav ke jaise lag raha tha…hum dono ek dusre ko aise dekh rahe the jaise ki bahut saalo se bichhude huye bhaiyo ka aaj sangam hua ho.

Meri to saanse tham si gayi thi..kuch samajh me nahi aa raha tha…lekin hairani ki baat to ye thi ki vo mujh par hamla nahi kar raha tha…isse pahle ki main kuch samajh pata, usne mujhe apne sath chalne ka ishara kiya.

Main bhi jyada soch vichar na karte huye uske sath chal diya…vo mujhe dusri hi disha me le ja raha tha…mujhe mann me aisa lag raha tha jaise ki vo mujhe mere lakshya se bhatkana chahta ho.

Mere dimag me yahi sari baate ghum rahi thi ki tabhi piche se ek vichitra janwar aa gaya aur uss bhediya manav se bhid gaya.. dono lagbhag ek hi jaise dikh rahe the…kintu dono kafi alag bhi the…ye dusra vichitra janwar ke sir me badi badi seeng thi aur baki poora jism hum manav ke jaisa tha..haan, baal jarur uske sharir me bhi bahut the par ye bhediya manav to bilkul nahi tha.

Dono ladte ladte jab thak gaye to vo vichitra janwar vaha se bhag gaya…aur main phir se bhadiya manav ke piche piche chalne laga…inn dono ko dekh kar meri samajh me itna to aa gaya ki iss jungle me inn bhayanak janwar hain..ye do bhi ho sakte hain aur isse jyada bhi..

Bhediya manav mujhe ek aisi jagah par le gaya jo ki behad khubsurat thi...prakriti ka aloukik soundarya bikhra hua tha vaha par.. mashaal ki roshni me main uss jagah ki sundarta ko dekhne me hi kho gaya…koi ye soch bhi nahi sakta tha ki iss bhayanak jungle ke bhitar itni khubsurat jagah bhi ho sakti hai..

Main uss jagah ko mashaal ki roshni me achchi tarah se dekhta raha..tabhi mujhe vaha ghani ghaaso ke paas kuch ajib sa nazar aaya…paas ja kar maine dhyan se dekha to vaha ghaas ke paas patthar ki ek badi si patti rakhi huyi thi…maine uss patthar ko hataya to mujhe vaha ek surang nazar aayi…uss surang ki halat itni kharab bhi nahi thi…use dekhne par aisa lag raha tha jaise ki koi roj vaha se aata jata ho.

Uss jagah surag dekh kar maine bhediya manav ki taraf muda to chounk gaya kyon ki vo bhediya manav vaha se na jane kaha gayab ho chuka tha…maine use charo taraf nazar ghuma ka dekha lekin vo kahi nahi dikhayi diya.

Jitu (mann me)—ab ye kaha phir se achanak gayab ho gaya…? Iss surang me ja kar dekhu kya ki iske andar kaisa raaz chhupa hai.. kintu iss samay iske andar ghusna me jyada khatra ho sakta hai…kal din me hi iske bhitar jana theek rahega…subah hone me bhi jyada samay nahi hai..

Mann me ye vichar kar ke main vapis lout gaya ashram me aur chupchap let kar sone ki koshish karne laga…subah meri neend anusuiya ke uthane se khuli..uss samay vivan rishi snaan karne gaye huye the…mouka dekh kar maine anusuiya ko apne upar khich liya aur uske dono stano ko kas kas ke masalne laga…usne sharma kar mere seene me apna chehra chhupa liya…jab tak vivan rishi snaan kar ke aa nahi gaye tab tak vo mere paas hi baithe baithe apne stan masalwati rahi..vivan rishi ke aate hi vo sharma kar vaha se bhag gayi.

Uske baad maine bhi dainik kriya se mukt ho kar yagya ki suraksha ke liye chala gaya…aaj bhi koi badha nahi aayi beech me.. uske baad main divya se milne aaj uski kutiya me chala gaya…mujhe vaha dekh kar vo behad khush huyi…

Kafi samay tak main divya ke paas raha…thodi der me vaha anusuiya bhi aa gayi…dono ke sath kuch samay bitane ke baad vapis gaon lout aaya…gaon pahuchte hi mujhe kuch shor sharaba sunayi diya…maine nazar ghuma kar dekha to kuch log chillate huye ek taraf bhage ja rahe the…pata lagane ke liye main bhi unke paas pahuch gaya.

Jitu (ek admi se)—bhai kya hua…aap sab aise chillate huye kaha bhag rahe ho….?

Admi—arey bhai..kya bataye…ye gaon hi manhoos hai…iss gaon ki manhoosiyat ki vajah se vaise hi koi yaha aata nahi hai.. badi mushkil se aaj ek vyapari apna kuch samaan bechne aaya to chorni bechare ke paise loot kar champat ho gayi..

Jitu (hairan)—kyaaa..lekin hua kaise ye…?

Admi—vahi purana rona hai bhai…usne vyapari ko akela dekh kar khud ko yuvraj jitu ki biwi batate huye usko dhamkane lagi.. bechare ne darr kar usko apni kamayi de di…jab logo ko vyapari ne ye ghatna batayi to usko haqiqat malum huyi…bas ye sun kar vo uss chorni ke piche bhagne laga..to hum bhi uske sath ho liye..

Jitu—vaise kitni der pahle ki baat hai ye…?

Admi—abhi kuch der pahle hi ki baat hai…abhi vo jyada door nahi gayi hogi..

Jitu (mann me)—jungle ko baad me dekhunga pahle iss chorni ladki ko to dekhu ki koun hai jo sabse apne aap ko meri biwi kahti phirti hai…

Ye soch kar main bhi uske piche ho liya…kuch door aur bhagne ke baad vo sab vaha se vapis lout gaye kyon ki aage se jungle ke liye rasta jata tha aur uss raste me jane ki kisi ki himmat nahi thi.

Main kuch der vaha khade khade idhar udhar dekhta raha lekin jab koi nazar nahi aaya to main bhi vapis jane ke liye palat gaya magar tabhi mujhe aisa laga ki koi paas ke kisi ped se kood kar bhag raha ho.

Maine jaldi se ghum kar dekha to ek ladki kuch doori par bhagte huye ja rahi thi…main samajh gaya ki ye vahi ladki hai jiski talash sabhi kar rahe the..uske hath me ek thaila bhi tha.

Bas phir kya tha, main bhi daudne laga uske piche…jaise hi use mahsoos hua ki koi uska picha kar raha hai to vo aur tez daudne lagi…sala itna tez to ghoda bhi nahi bhagta hoga jitni tezi se vo chorni daud rahi thi.

Uske piche bhagte bhagte mere bhi pasine chhut gaye the…tabhi vo ek sunsan ghar me ghus gayi…main bhi uske piche dhire se uss ghar me chala gaya lekin darwaja andar se band tha…ye dekh kar main darwaja khatkhatane laga..kafi der baad ek surili awaz andar se sunayi padi.

Ladki—koun hai….kya chahiye….?

Jitu—main ek pardesi hu...thoda pani milega...bahut pyas lagi hai..

Ladki (sakhti se)—sharam nahi aati...ek akeli ladki ka picha karte huye... ? yaha koi pani vani nahi hai...jao yaha se..

Jitu—bina pani piye kaise chala jau..main tumhara picha nahi kar raha tha..

Ladki (gusse me)—picha nahi kar raha tha to yaha mere piche piche kaise aa gaye... ?

Jitu (darwaje ke chhed se andar jhankte huye)—vo bas…pani pine aaya tha..ji…

Main darwaje ke chhed se andar jhankne ki koshish karne laga ki uska chehra dekh saku…uska chehra to nahi dikha magar ek bark lohe ki taar jarur tezi se uss chhed se bahar nikal aayi..maine jadi se khud ko darwaje se door kar liya.

Jitu (mann me)—baap re..! ye to badi khatarnak ladki hai…achcha hua ki main jaldi hat gaya warna isne to meri ankh phod kar andha hi kar diya tha.

Ladki (gusse me)—sharam bilkul bhi nahihai kya tujhe…jo ghar me akeli ladki pa kar taak jhaank kar raha hai…? dekh jaldi se bhag ja yaha se…nahi to karagar me band karwa dungi..samajh gaya..

Jitu—karagar me..vo kyo…? Maine kya jurm kiya hai…?

Ladki—dekh mera dimag kharab mat kar...shayad tu janta nahi ki main iss rajya ke yuvraj jitu ki patni hu...agar yuvraj ko pata chala ki unki biwi ko tum pareshan kar rahe the to vo teri gardan hi kaat denge....abhi bhi waqt hai jaan bacha ke bhag ja yaha se jaldi...

Jitu—nahi..nahi...yuvraj se meri shikayat mat karna rani sahiba...main to ek gaib admi hu...agar main karagar me band ho gaya to mere bachche yatim ho jayenge aur meri biwi randawa ho jayegi.

Ladki—biwi randawa nahi hoti, admi hote hain..

Jitu—ab main to thahra anpadh admi...ye sab mujhe kya pata...main to bas pani ki talash me bhatak raha tha...lekin maine to suna hai ki yuvraj abhi tak kuware hain... ?

Ladki—haan, yuvraj mujhse bahut prem karte hain...yuvraj yaha har dus pandrah din me mujhse milne aate hain..apna bhesh badal kar....vo unhone mere sath mandir me shadi ki thi...isliye kisi ko abhi malum nahi hai...lekin jaldi hi sabko pata chal jayega..

Jitu—vo kaise... ?

Ladki—vo main yuvraj ke bachche ki maa banne wali hu na..to vo mujhe lene aane wale hain jaldi hi...

Jitu (jhatka)—hey bhagwan.. ! ye ladki to bina shadi ke hi mujhe baap banane par tuli hai...Sali jaan na pahchan, phir kahe ki biwi..

Ladki—sun ke ho gaye na hairan..ab chal bhag yaha se...kahi yuvraj na aa jaye..unke aane se pahle hi bhag ja.

Jitu—lekin main kyo bhag jau.. ? main to rajdhani ja kar yuvraj se milunga....maine suna hai ki vo sabki madad karte hain... main unse kuch dhan mangne jaunga...abhi jata hu main rajmahal...

Ladki (ghabra kar)—nahi..nahi...tumhe itne se kaam ke liye yuvraj ke paas itni door jane ki kya jarurat hai...tumhe dhan hi chahiye na to main tumhe dhan de deti hu...

Jitu—kyo...aap kyo dengi... ?

Ladki—kyon ki main yuvraj ki biwi hu...praja ka khyal rakhna mera bhi farz hai..

Jitu—theek hai..

Ladki—ye lo…aur jao yaha se..

Tabhi usne thoda sa darwaja khol kar apna ek hath bahar nikala jisme kuch swarn mudraye thi, mujhe dene ke liye…maine jaldi se dhakka de kar poora darwaja khol diya …darwaja khulte hi vo dhadam se niche ja giri…niche girte hi usne turant apni kamar me phansa bada sa chaku nikal kar mere upar jhapti lekin maine beech me hi uska hath pakad liya…tab pahli bar meri nazar uske chehre par padi jise dekhte hi main buri tarah chounk gaya….

Jitu (chounk kar)—tummmmmm...
 

anandsngh12

Well-Known Member
28,992
64,235
173
:applause:
Fantastic update bhai Jitu ne Anusuiya ko Vivah Ka prastav de Diya aur usne swikar bhi kar liya ab dekhte hai Vivan Rishi se iss bare mein kab baat karta hai aur Unka kya jawab hota Hai ,,,,, Or dusri taraf Jitu firse Jungle Mein Chala Gaya Hai, khair dekhte hain ab aage kya hota.....
Thanks Siraj bhai for Reading & Supporting.
Ye Yagya ka kaam poora hote hi shadi ki baat karega.
Stay with us.
Today's update is on page....1407
 

anandsngh12

Well-Known Member
28,992
64,235
173
:applause:
Excellent update bhai bahut hi shandar aur lajawab mind blowing, chamkile Patthar Ki sari Chamak Raj ke andar Sama gayi ,,,,, Or dusri Taraf mrinal ki comedy to Dhamal macha rahi hai :lotpot: uski baten sunkar pret bhi Veer ke najdeek jaane se dar gaye, khair dekhte hain ab aage kya hota hai.....


Waiting for next update_____
Thanks Siraj bhai for Reading & Supporting.
Mrinal ki comedy abhi agle update me bhi jari rahegi
Stay with us.
Today's update is on page....1407
 

anandsngh12

Well-Known Member
28,992
64,235
173
CHRISTMAS ME SANTA BHI AA KAR CHALA GAYA, LEKIN AAP KA UPDATE NAHI AAYA, AB DEKHTE HAI NEW YEAR ME KYA HOTA HAI....
Thanks Tony bhai for Reading & Supporting.
Ek din me do stories par update deta hu..to kal saand aur naag mani me update diya tha.
Stay with us.
Today's update is on page....1407
 
Status
Not open for further replies.
Top