• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest SAAJAN

What do you Think About this Story...??

  • Good

    Votes: 84 26.3%
  • Better

    Votes: 25 7.8%
  • Best

    Votes: 201 63.0%
  • Bad

    Votes: 2 0.6%
  • Worse

    Votes: 0 0.0%
  • Worst

    Votes: 7 2.2%

  • Total voters
    319
  • Poll closed .
Status
Not open for further replies.

anandsngh12

Well-Known Member
28,992
64,235
173
SAAJAN
UPDATE- 282

Mera ekdam se poore vajan ke sath rassi par jhul jane se rassi ke dusre chhor par aisa jhatka pada ki har koshish kar ke bhi veer rassi ko apne kabu me nahi rakh saka...sab ke dekhte hi dekhte rassi ka dusra chhor gufa ke muhane me sama gaya..rassi ke gufa me samate hi jaha vo gahra gaddha tha, vaha ab vaisa kuch bhi nahi tha...bas gaddhe ki upri satah par nazar aa rahi mitti ki jagah par dher sari chattane aa gayi thi...aur vo bhi aisi bhari bhari chattane ki unhe hatakar niche jana to door ki baat unme se ek bhi chattan ko hila pana bhi unn logo ke bas ki baat nahi thi.

Gufa ke andar jane ka rasta band hote dekh kar sabhi ghabra gaye...tabhi achanak

Ab aage…..

Gufa ke andar jane ka rasta band hote dekh kar sabhi ghabra gaye...sab ne mil kar ek sath surang ke darwaje par jama ho gaye unn pattharo ko hatane ki bahut koshish ki magar unn pattharo ko vaha se hatana to door thoda sa hila tak nahi paye.

Mamta (ghabra kar)—ab kya hoga... ? ye patthar achanak kaha se aa gaye... ? lagta hai andar bahut khatra hai...kahi mera beta kisi musibat me na phans gaya ho.. ?

Payal (tension)—ab kya karu... ? kuch samajh me nahi aa raha hai..

Priyadarshini—lagta hai ki ye surang bhi tilismi hai...isliye hi ye patthar apni jagah se tas se mas nahi ho rahe hain.

Saloni—mujhe bhi aisa hi lagta hai..

Mrinal—ye chota balatkari tu kuch kar na...jaldi se inn pattharo ka balatkar (chamatkar) kar..

Veer—dimag mat chat mera...vaise hi iss samay mood kharab hai..

Mrinal—main kaha chat rahi hu tera dimag…main to tere se door khadi hu…koi aur chat raha hoga

Ruchi (pareshan)—ab hum sab kaise betu ke paas pahuchenge…?

Divya—didi, tension mat lo…sab theek ho jayega..

Chanchal—kaise tension na le hum..baat hai hi tension wali ..

Abhi sab aapas me baat karne me lage huye hi the ki tabhi achanak kuch khunkhar parchhaiyo ne unhe charo taraf se gher liya.. apne charo taraf itni sari kisi ki parchhayi dekhte hi sab chounk gaye.

Neha (darte huye)—ab ye..kya musibat hai... ?

Paridhi—raj bhi nahi hai yaha par...ab koun bachayega sab ko... ?

Avadhesh—kkkk....koun hai... ?

Payal—kkk...koun hai..samne aao..nahi to gardan kaat dungi...

Phir tabhi unn akritiyo ne akaar lena shuru kar diya aur akaar spast hone ke baad jo chehre nazar aaye vo bade hi bhayanak aur darawane the.....itne bhayanak chehre dekh kar darr aur khauf se sabhi ki halat kharab hone lag gayi...vo rajj..rajjj chillate huye idhar udhar bhagne lag gaye sirf veer, saloni, mrinal, priyadarshini aur divya ko chhod kar..

Magar tabhi agle hi pal sab ke hath pairo me apne aap hi bediya kasti chali gayi aur vo sabhi vahi gir gaye...niche girte hi dard aur khauf mishrit cheekh sab ke muh se nikal gayi...sab ke niche girte hi vaha sab ke jor jor se hasne ki awaz goonjne lagi.

"Hahahaha....bhago..aur bhago....hahahahaha" unn bhayanak logo me se kisi ne kaha.

Paridhi (chillate huye)—raaajjjjjj...bachaoooooo ..

Veer (chilla kar)—koun ho tum log... ?

"Abhi pata chal jayega…le chalo sab ko…hahahaaha" jawab dene ki jagah phir se kisi ne kaha.

Veer (gusse me)—agar kisi ne hath bhi lagaya to aage jo hoga uske baad phir kabhi kisi ko hath lagane ke bhi kabil nahi rahoge.

Lekin vo kaha manne wale the..vo sab haste huye dhire dhire sab ki taraf badhne lage…ye dekh kar sab jo ki already pahle se hi dahshat me the….vo aur bhi darr gaye aur jor jor se cheekhne chillane lage.

Divya—koun ho tum log aur kya chahte ho…?

Tabhi vaha sab ke beech me ek akriti aur bhi aa gayi aur dhire dhire spast hone lagi…sab ke samne ek vishaldaityakar sharir wala shakhs aa kar khada ho gaya aur sab ki halat dekh kar hasne laga.

"Hahahahaha…..main hu maha pret..pushpak..hahahahaha…ye sab mere hi gulam bhoot pret hai" aate hi usne apna parichay diya.

Priyadarshini—hame kyo pakad rakha hai…?

Pushpak—hahahaha…bahut samay se kisi stri ke sath sambhog nahi kiya tha…yaha to bahut sundar sundar striya aur ladkiya hai…tum sab ko apne bhog ke liye dasi bana kar rakhunga aur inn purusho ka khoon piyunga…hahahahaha.

Sab pret—hahahahahahahaaha

Mrinal—achcha…achcha…to aap napunsak (pushpak) hain…..

Ek pret (jor se)—ye ladki…ye kya bakti hai…?

Mrinal—arey isme itna gussa hone wali kya baat hai…abhi abhi inhone to khud hi bataya na ki ye napunsak (pushpak) hain.

Mrinal ki baat sunte hi sabhi ki hasi yakayak ruk gayi….sab shocked ho kar ek dusre ka chehra dekhne lage…maha pret pushpak khud hairan ho kar kabhi mrinal ko to kabhi baki preto ki taraf dekhne laga….

Vahi dusri taraf Veer ke hath se rassi chhutne se main uss gahri suang ke andar unchayi se niche patharili jamin par gira aur behosh ho gaya.. jane kitni der tak behosh rahne ke baad phir apne aap hi meri ankhe khul gayi, aisa mahsoos hua jaise ki main gahri neend se jaag kar uth raha hu.

Aur ab surang ke muhane se chhan kar bahar ko ja rahi tez roshni ki vajah mere samne thi...vaha charo taraf bade bade heero jaise itne chamakdar patthar pade the ki unse poori jagah roshni se jagmaga rahi thi...ye roshni hi thi jisne tez chamak paida kar ke gufa ki deewaro ko garam karna shuru kar diya tha..lekin vaha par dhyan khichne wale kewal vo patthar aur roshni bhar hi nahi thi balki vaha to aur bhi bahut kuch tha.

Vaha gufa ke andar rajao ke zamane ke rajsi kapde pahne kayi ladkiya kuch aise kamo me juti thi maano vo kisi raja maharaja ki seva me juti ho....magar unn ladkiyo ke alawa na to vaha koi raja hi dikh raha tha aur na hi koi aur...aur to aur jamin ke andar iss gaharayi me itni sari zindagiyo ka moujud hona hi ek sochne layak baat thi.

Meri nazro ke samne jo bhi tha, vo sab vaisa kyo tha, uski vajah, uska raaz janne ke irade se maine vaha lagatar kaam me juti ladkiyo me se ek ladki ko rokne ki koshish ki.

Lekin, ye kya... ? Jaise hi maine apni itni bar pukarne par bhi dhyan na dene wali ek ladki ko touch kiya to ekdam se vo ladki ek nirjeev patthar ki murti me badal gayi...uss ladki ke patthar bante hi gufa ki deeware jor jor se hilne lagi, lekin agle hi pal jaise sab kuch ekdam se shant ho gaya.

Raj (mann me)—ye sab kya hai... ? kya ye vahi ladkiya hain jinhe rajya se gayab kiya gaya hai ya phir ye sab koi tilismi jaal hai.. ? mujhe iss baat ka pata lagana hi hoga...shayad yahi se mujhe apni manzil tak pahuchne ka rasta mile..

Ye sab jo bhi hua, kyo aur kaise hua... ? ye janna to kam se kam mere liye to bahut jaruri ho chuka tha..jo jaruri tha use anzam dene ke liye mere paas gufa me aur andar ki taraf dikh rahe rasto par jane ke alawa aur koi rasta tha bhi nahi kyon ki gufa se bahar nikalne ka rasta to band ho chuka tha.

Main abhi jamin ke niche uss roshni ke ambaar ke beech se apna rasta talashne ki koshish me tha …main gufa ke andar har hisse, har cheez ko chhu kar, parakh kar, tatol kar aage badhte huye iss koshish me tha ki kisi tarah pata chale ki akhir jo chal raha hai, uski vajah kya hai... ?

Mujhe iss baat ka jara bhi andaza nahi tha ki jis tarah gufa ke andar cheezo ko chhune se mujhe apne khud ke badan me jhurjhuri mahsoos ho rahi hai, uske hi anupat me upar poori jamin kampan kar rahi hai.

Chamkile pattharo ki vajah se gufa ke andar har jagah itni roshni thi ki mujhe apne kisi kadam me koi bhi pareshani nahi ho rahi thi...lekin vahi gufa me ek bada sa hissa aisa bhi tha jaha bahut jyada andhera tha.

Gufa ka vo hissa ek andhere kamre jaisa tha, jiske beecho beech ek bada sa chamkila patthar rakha hua tha….vo patthar bahut jyada chamakdar tha, par phir bhi vo gufa ke uss hisse ko roshan nahi kar pa raha tha..

Vo jo bhi raaz tha, usko janne ki koshish me main baki cheezo ki tarah andhere kamre ke uss chamkile patthar ko bhi paas ja kar chhu kar dekhna chahta tha...lekin na jane koun si adrishya taqat thi ki abhi tak jo main gufa ke andar sab kuch asani se karta aage badhta aa raha tha kintu uss chamkile patthar ki taraf aage kadam bhi nahi badha pa raha tha.

Ab jo bhi dikkat thi, usko paar karne ka tarika yahi tha ki pahle uss dikkat ko hi dekhu jiske karan main yaha se aage nahi badh pa raha tha...maine apni iss dikkat se paar pane ke liye uss andhere hisse me roshni karne ka faisla kiya..roshni ko uss hisse me lane ke liye maine apni mani ka prayog kiya magar koi fayda nahi hua...tab maine idhar udhar bikhre chamkile pattharo me se kuch ko utha kar andhere hisse ki dahleez tak le aaya...par iska bhi koi fayda nahi hua.

Mani ki roshni ki tarah hi unn chamkile pattharo ki roshni to jaise uss andhere tak pahuchte hi kisi adrishya shakti ke madhyam se sokh li ja rahi thi...aage jane ki apni koshish me maine kuch chamkile patthar uss andhere me andar ki taraf bhi phenk kar dekh liye..magar vo bhi sab bekar...vo patthar khud uss hisse ke andhere me jane kidhar kho gaye... ?
 

anandsngh12

Well-Known Member
28,992
64,235
173
Behad hi shandar or jabardast update bhai.
Bahut khoob superb.

Kamal ka update tha yah.
Adbhut h bhai adbhut.

Kya kahani h ekdam romanchit kar dene wali.
Bahut hi behtareen update yaara.
Mzaaaa aa gya bhai waah.

Or ab ,
Aage ka intjaar
Thanks for Reading & Supporting.
Shukriya Rishabh bhai iss khubsurat prati kriya ke liye.
Stay with us.
Today's update is on page....1393
 
Status
Not open for further replies.
Top