• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest SAAJAN

What do you Think About this Story...??

  • Good

    Votes: 84 26.3%
  • Better

    Votes: 25 7.8%
  • Best

    Votes: 201 63.0%
  • Bad

    Votes: 2 0.6%
  • Worse

    Votes: 0 0.0%
  • Worst

    Votes: 7 2.2%

  • Total voters
    319
  • Poll closed .
Status
Not open for further replies.

Iron Man

Try and fail. But never give up trying
37,530
94,694
304
Awesome update
Waiting for next update
 

anandsngh12

Well-Known Member
28,992
64,197
173
SAAJAN
UPDATE- 279

Avdhesh—chahe jo bhi ho, par barish se bachne ke liye kahi chhupna to padega hi…to yahi sahi..

Mrinal—yaha badbu kitni aa rahi hai…? (veer ki taraf dekh kar)…ye chota balatkari, kahi ye gandi hawa tu to nahi phaila raha hai…?

Veer—chup kar pagal…kuch bhi bina soche bol deti hai..

Abhi ye sab baate kar hi rahe the ki tabhi andar se kuch khatpat ki awaz aayi aur phir achanak…..

Ab aage…….

Phir achanak koi andar se nikal kar bahar aaya...uske bahar aate hi ek tez durgandh vaha ke vatavaran me phail gayi...badbu itni jyada ho gayi thi ki sab ko ulti karne ka mann hone laga...

Mamta—beta, chal yaha se jaldi…nahi to khaya piya sab bahar aa jayega..

Hum sab vapis mude hi the ki vo shakhs hamare aage aa kar khada ho gaya…aur phir dekhte hi dekhte usne bhayanak roop dharan kar liya jisko dekh kar sab darne lag gaye…iss tarah ki ye pahli ghatna unke samne aayi thi to darna lazimi hi tha.

Mitaly (darte huye)—ye…ye..kya bala hai…?

Shakhs (darawani awaz)—hahahahaha….aao..iss ghar me chalo….hahahaha

Veer—koun ho tum aur hamara rasta kyo roka tumne….?

Shakhs—hahahaha…..mujhe bhukh lagi hai aur tum sab ko araam karna hai….tum sab yaha araam karo, main tum sab ko kha kar apni bhukh shant karunga..

Ye kah ke usne sab ko pakadne ke liye apne bade bade hath aage badhaye hi the ki tabhi maine aage badh kar uska hath pakad liya aur jor se ghuma kar usko door phenk diya…vo na jane andhere me kaha ja kar gira.

Raj—ab chalo yaha se jaldi…kahi bhi rukna khatarnak hai..

Pooja (ghabrate huye)—bhaiya..chalo hum vapis mahal hi lout chalte hain…

Payal—ab hum yaha se vapis nahi ja sakte….ek bar vrihadpur ki seema me jo ghus gaya vo vapis nahi lout sakta jivit..isliye chupchap chalte raho..

Roopaly—kyaaaa…vapis nahi ja sakte…? Tab to pakka marna likha hai ab..

Payal—mere raj ke hote huye kisi ko darne ki jarurat nahi hai..

Hum vaha se jaldi jaldi aage badh chale…bahut ghani kali andheri raat thi,,hath ko hath nahi sujh raha tha…aasmaan me ghane kaale baadal ab bhi chhaye huye the, lekin barish kuch kam jarur ho gayi thi ab tak….bahut tez hawaye chal rahi thi…door door tak andhera sapaat maidan tha…unme ikka dukka ped bhayanak lag rahe the.

Kachchi sadak ki dhool ke sath ped ke sukhe patte darawani sarsarahat ke sath udte chale ja rahe the…tez hawa se udte apne kapdo ko sabne dono hatho se thaam rakha tha..iss andhakar me vo ankhe phade vo ye samajhne ki koshish me the ki akhir vo kaha hain lekin dimag par bahut jor dene par bhi kuch bhi samajh nahi aa raha tha.

Madhu—raj, ye itna bhayanak saand tha koun…..?

Raj—vo ek jinn tha.

Sab (hairan)—kyaaaa….jinn tha…..?

Geeta—lekin maine to tv me jiase jinn dekhe the ..ye to vaisa bilkul nahi tha…kitna bhayanak tha ye..badbudar…

Raj--Jinn paanch tarah ke hote hain…alag alag prakar ke jinn alag alag shaktiyo ko rakhte hain aur apni shaktiyo ke bal par insano ki naak me dum kar dete hain.

Chandni—paanch tarah ke koun koun se jinn hote hain….?

Raj—(Pahla Mareed Jinn)…mareed jinn duniya ke sabse khatarnak jinn hote hain…kisse aur kahaniyo me aksar inka jikra milta hai…aladin ka chirag me bhi yahi jinn ka jira kiya gaya hai…ye jinn adhiktar samudra ya phir khule pani me paye jate hain.

(Dusra Ifreet Jinn)….Insaani duniya ki tarah hi ifreet jinn bhi apni ek alag duniya rakhte hain…jisme ye mahila aur purush ke roop me samaan jode me rahte hain…ye jinn insano ke vichar samajhne ki taqat rakhte hain aur bahut hi jald unhe apna dost bana lete hain…insano ko ye pata bhi nahi chalta ki unka dost ek jinn hai…ifreet jinn achche aur bure dono prakar ke ho sakte hain.

(Teesra Sila Jinn)….sila jinn sirf aur sirf ek mahila hi ho sakti hain….kisi mahila ki mrityu ke pashchat hi aise jinn astitva me aate hain…ye jinn bahut hi kam hote hain kintu mansik roop se ye bahut hi taqatwar aur majboot hote hain.

(Choutha Ghool Jinn)…ye jinn kabristan ke aas paas dikhayi dete hain…ye jinn insani maans khate hain…ye bahut hi kroor hote hain..aur inki shakal shaitan se milti julti huyi hoti hai…insano ke liye ye bahut hi khatarnak siddh ho sakte hain.

(Paanchva Betaal Jinn)…ye jinn insano ka khoon peete hain aur jinda bhi insano ka khoon pi kar hi rahte hain…vikram betaal ki kahaniyo me bhi yahi betaal ka jikra milta hai….ye jinn past aur future dono dekh sakte hain.

Jinn bhi insani taur tarike se rahte hain, jaise ki shadi karna, bachche paida karna, marna..etc..kintu inki duniya insani duniya se bilkul alag hoti hai….jinn apne asli roop me bahut kam rahte hain…jinn adhiktar insani shakal me hi hote hain.

Jinn dharmik pushtako, dharmik jagaho, insani basti jaise ki gaon, kasba, city se door rahte hain…jinno ko sunsan jagah, khandhar jagah aur andhera pasand hai…ye inhi jagho par rahte hain.

Jinn insano ko poori tarah se prabhavit kar sakte hain…vo insani roop dhaaran kar ke unke jeevan me hastakshep kar sakte hain…jinno ki uttapatti bina dhunye ki aag se huyi hai.

Hum baate karte huye aage badhte ja rahe the magar har pal aisa prateet ho raha tha jaise ki koi hamare sath sath chal raha hai kintu dekhne par koi bhi dikhayi nahi deta tha….tabhi kisi ki cheekh se hum sab ka dhyan baato se hat gaya…ek khauf ki lahar sab ke mann me paida ho gayi.

Mamta (chounk kar)—ye …ye cheekh kis ki hai…?

Raj—pata nahi

Payal—raj..! Munni kaha rah gayi…?

Payal didi ki baat sunte hi hum sabhi chounk gaye….maine dekha to vah iss samay hamare sath nahi thi…maine sab se pucha to unhone apni anbhigyata jahir kar di.

Divya—ab kya kare…?

Roopa—kahi ye cheekh uski hi to nahi hai…?

Raj—chalo piche chal ke dekhte hain…

Hum vapis vaha se palat kar chalne lage..tabhi ek cheekh aur sunayi di jo ki dusri disha se aayi thi…to hum uss disha me hi aage badh chale…kuch door chalne par ek jhopdi nazar aayi….hum uss jhopdi me pahuch gaye ..vaha tak pahuchte hi achanak din jaisa ujala phail gaya…aur sabse badi ashcharya ki baat to ye thi ki mousam aisa ho gaya jaise ki kabhi barish huyi hi na ho…jabki abhi kuch der pahle tak yaha barish ho rahi thi…kintu ab sab kuch uske vipreet tha…ye dekh kar sab hairan rah gaye….uss jhopdi me ek ladki aur ek buddha admi tha. Iss sunsan aur shapit jagah par kisi insan ko dekh kar mera dimag chakra gaya…Shayad vah bimar tha..vo charpayi me leta hua tha..lekin jaise hi usne hame dekha to turant uth kar baith gaya.

Veer—baba, aapne idhar kisi aurat ko dekha hai…?

Buddha—nahi, maine to kisi ko nahi dekha...kaha thi vah... ?

Veer ne ghatna sthal ki taraf ishara kar ke poora mamla bataya to vah nirasha se sir hilane laga…magar mere dimag me abhi bhi inka yaha hona khatak raha tha.

Buddha—ab koi fayda nahi...ab tak jo hona tha...ho chuka hoga..

Paridhi (chounk kar)—kya matlab.... ?

Veer—kya aap jante hain ki vo aurat kaha aur kaisi halat me hogi... ?

Buddha—matlab ye hai ki yaha se khunkhar preto ki seema shuru hoti hai..unki seema ke andar ghusne par vo anjane logo ko pakad kar maar dalte hain ya phir unki bali chadha dete hain...tumhari vo sathi unke hatthe chadh gayi hai...achcha hoga ki tum sab yaha se vapis loutne ki koshish karo agar lout sakte ho to...warna tum sab bhi maare jaoge..

Uss buddhe ki baat sunte hi sab ghabra gayi...aur darne lagi..vo sab ab ummid lagaye meri taraf dekhne lage...magar maine unhe ishare se shant rahne ko kaha.

Veer—nahi..nahi..hum aise nahi jayenge...unn preto ka thikana kis taraf hai... ?

Buddha—doli beti...inhe jane ka rasta bata do..

Sab kuch bada ajib sa lag raha tha..hathode ki tarah kayi prashna hamare dimag me thokre maar rahe the....iss sunsan aur shapit jagah me itni jawan ladki aur ye lachaar buddha kaise rah rahe the.. ? aur rah bhi rahe the to hum anjan logo ke sath apni jawan ladki ko kaise itni raat me bhej raha tha... ? sadme aur inn ajib ajib baato ke karan hamara dimag ghum raha tha aur kuch bhi samajh nahi aa raha tha.

Vo ladki uthi aur hame apne piche aane ka ishara kiya...hum sab uske piche piche chalne lage...raste me kuch kisi ko ghasit kar le jane ke nishan the..rasta uske aage se hi tha...

Uss ladki ke piche chalte chalte hum ek ghane jungle me pahuch gaye jaha andhera chhaya hua tha..uss nirjanta me halki halki hawa saany saany ki dhwani uttapann kar vatavaran ko aur bhi bhayanak bana rahi thi.

Ladki aage aage ja rahi thi aur hum kaante wali jhadiyo se bachte bachate huye nikal rahe the...kuch hi der me hum uss jagah par aa gaye lekin koi dikhayi nahi de raha tha.

Vah ladki jo abhi hamare sath thi..ab vo hamse bahut door dikhayi de rahi thi...vaha aas paas mitti, baans aur patthar ke kuch jhopdi type ghar bane huye the…tabhi..

Veer (chillate huye)—vo..rahi..voh...

Hamne veer ki nazaro ka picha kiya ki tabhi munni ek ped se dhadam se ham sab ke samne aa kar giri..jaise ki kisi ne usko phenka ho...hum sab uski taraf jhuke aur usko pukarne lage..uska chehra, sharir buri tarah se nocha hua tha...khoon se lathpath uska chehra behad darawana lag raha tha.

Jaise hi hamne use dekhna chaha ki vo jinda hai ya nahi..ki tabhi jaise hamare sharir me current daud gaya...vo ladki jo abhi itni door thi..ab vah hamare piche khadi khoon jama dene wale thande swar me baat kar rahi thi.

Ladki—mat chhuo use...warna maar diye jaoge tum sab..

Mamta (shocked)—hey bhagwan.. ! ye sab kya chakkar hai.. ? ye sab kya ho raha hai yaha... ? itni jyada door ladki ekdam piche kaise aa gayi…?

Maine munni ke seene me hath rakh kar dekha, tab tak uski dhadkane band ho chuki thi..vo mar chuki thi aur samne uski laash padi huyi thi…uski aisi halat dekh sabhi ki halat kharab ho gayi.

Ladki—mere mana karne ke baad bhi tum maane nahi....ab maroge tum sab..

Uss ladki ki baat sun kar sabne piche mud kar dekha to shocked ho gaye kyon ki vo ladki vaha se achanak hi gayab ho gayi thi.. ye dekhte hi sab darr gaye buri tarah se…

Chandni (chilla kar)—bhago yaha se….

Khoon jama dene wale nazare dekh kar vo bhagne ke liye jaise hi mude to unke samne unka rasta roke munni khadi thi…uski ankhe patthar jaisi chamak rahi thi aur chehra bahut darawana lag raha tha.

Uske sath sath uski hi tarah ke nuche sharir aur chehre wale, patthar jaisi ankho wale bahut se log khade the..samna ka rasta band dekh kar sab ghabrahat aur darr se dusri taraf bhagne lagi..maine unhe rukne ko kaha lekin sab itna adhik darr chuke the ki unhone meri baat ko ansuna kar diya…darr aur khauf poori tarah se unke upar haavi ho chuka tha…kewal divya, priyadarshini, mrinal, payal, paridhi, saloni, sandhya aur veer hi vaha se nahi bhage...sab ko bhagte dekh munni ne virendra mama ko daboch liya.

Ye dekh kar maine jaldi se mama ko pakad kar apni taraf khichne ki koshish ki lekin vo tas se mas nahi ho rahe the..udhar munni ka shikanja unki gardan par kasta hi ja raha tha...unn bhayanak chehre walo ka ghera bhi paas aata ja raha tha.

Veer—raj..ab kya kare... ?

Raj—tum sab ko bhagne se roko…inko main sambhalta hu..

Veer—theek hai..

Payal—rajj..jaldi se apni power ka use kar ke khatam kar do inhe…

Jab koi upaay nahi sujha to maine jor se ek dhakka munni ko mara jisse vo door ja giri...mama uski pakad se azad ho gaye jinhe payal didi ne jaldi se utha kar apne paas khich liya…lekin vo itna darr chuke the ki vo vaha se bhagne lage..hamne unko rokne ki koshish ki lekin vo nahi maane aur bhagte huye kisi patthar se takra kar gir pade..itne me 15-20 preto ne unhe dubara pakad liya…main unhe bachane ke liye kuch kar pata tab tak unhone mama ji ko cheer phad diya apne bade bade nakhuno se…ek ne divya ke upar jhapatta mara lekin usko hath lagate hi use itna tagda jhatka laga ki vo bahut door ja kar gira.

Raj (cheekh kar)—mama jiiii

Bada hi khaufnak manzar ho chuka tha vaha ka…mout sir par naach rahi thi…darr ke maare sab ka dil itni jor jor se dhadak raha tha ki jaise abhi nikal kar halak ke bahar aa jayega.

Udhar vo sab jase hi bhagne lage to samne se vahi bhayanak preto ki fauj apni taraf aate dekh kar cheekhte huye phir se vapis palat gaye..tab tak veer unke paas pahuch chuka tha….charo taraf se hum unse ghir chuke the.

Priyadarshini (mann me)—main kuch karu…?

Raj (mann me)—nahii…abhi nahi

Virendra mama aur munni ki mout se mera chehra gusse se tamtama gaya….maine ankhe band ki apni uss divya talwar ka smaran kiya…agle hi pal vo roshni bikherti huyi mere hatho me aa gayi…

Talwar ke hath me aate hi maine unn preto ko gajar muli ki tarah katna shuru kar diya…jitne vaha pret the utni hi sankhya me main unn sabke samne khada ho gaya…kshan bhar me hi vaha bhayanak cheekhe goonjne lagi aur phir sab kuch shant ho gaya. Itne saare raj dekh kar sab ashcharya chakit rah gaye…unme se kisi ko bhi vishwash nahi ho raha tha ki unki ankhe jo dekh rahi hain vo sach hai ya phir koi chamatkarik khwab…?

Unn sab preto ke khatam hote hi sab mere paas aa kar rone lagi…lekin unn preto ke khatam hote hi mousam phir badal gaya aur din ki jagah ghani andheri raat ho gayi…mere sabhi prati roop mujhme hi vileen ho gaye…mama ji ki mout se sab dukh me doob gaye the aur mera ye roop dekh kar hairan bhi the…aur bahut jyada dare huye bhi the.

Priyadarshini (shocked, mann me)—saajan ke paas ye koun si shakti hai…?

Mamta (shocked)—ye sab kya chamatkar tha beta…?

Raj—dhire dhire sab pata chal jayega maa…ab chalo yaha se jaldi…nahi to phir koi musibat aa jayegi..

Paridhi—ye sab bhayanak chehre wale koun the…?

Raj—pret

Avadhesh—lekin vo hum par hamla kyo kar rahe the..? aur ye achanak phir se raat kaise ho gayi…?

Raj—ye shapit jagah hai..yaha ka mousam kab badal jaye, kab din aur kab raat ho jaye, kuch kaha nahi ja sakta..

Neha—main samjhi nahi..

Raj--Mrit aatmaye phir se sharir dharan karne ke liye vyakul rahti hain…vo phir se sharir pane ke liye paglo ki tarah cheekhte chillate nazar aate hain…jivit avastha me jo vyakti jis sanskar aur vichar ka hota hai, marne ke baad ussi ke anusar aur ussi ke adhaar par adrishya lok me bhi paristhiti aur vatavaran ka nirman kar leta hai….itna hi nahi, ussi vichar aur sanskar ke anusar jivit vyakti sakriya mastisk ke gyan tantuo par apna prabhav daal kar unhe achche ya bure kamo ke liye prerit bhi kiya karte hain…aur unke madhyam se apni adhuri kamna ya vasna ko poora karte hain.

Agar sach kaha jaye to manav me vichar hi mukhya hain…vicharo ke anusar sanskar bante hain aur sanskar ke adhaar par jeevan ka nirman hota hai…marne ke baad achche vichar, aise sukhad aur anand dayak vatavaran ka nirman kar dete hain ki jinhe hum swarg kah sakte hain…jabki bure vicharo se klesh, yatna aur mansik kashto ka vatavaran taiyar hota hai, vahi nark hai.

Achche vichar aursanskar jeevan ko pane ka ek mulyavan avsar hai…iss avsar ke jariye jeevan paya bhi ja sakta hai aur khoya bhi ja sakta hai…manav jeevan kitna mulyavan aur mahatvapurna hai, ye tabhi samajh me aata hai, jab mar kar hum dono ko kho baithte hain.

chalte chalte akhir hum unn pahado ke nikat pahuch hi gaye jiske dusri taraf vo qila tha….mere hath me uss divya talwar ab bhi thi jiski roshni ke karan hame rasta dekhne me koi pareshani nahi ho rahi thi.

Unn pahado ko paar karne ke liye hamne apne kadam aage badhaye hi the ki tabhi….

(3008 words)
 

anandsngh12

Well-Known Member
28,992
64,197
173
Behad hi shandar or jabardast update bhai.
Bahut khoob superb.

Aage ka intjaar
Thanks Rishabh bhai for Reading & Supporting.
Stay with us.
Today's update is on page....1365
 
Status
Not open for further replies.
Top