• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest SAAJAN

What do you Think About this Story...??

  • Good

    Votes: 84 26.3%
  • Better

    Votes: 25 7.8%
  • Best

    Votes: 201 63.0%
  • Bad

    Votes: 2 0.6%
  • Worse

    Votes: 0 0.0%
  • Worst

    Votes: 7 2.2%

  • Total voters
    319
  • Poll closed .
Status
Not open for further replies.

Iron Man

Try and fail. But never give up trying
37,641
94,872
304
Super fantastic mind-blowing dhashu update
Jabardast questions puche hain es update aur jwab bhi lajwab the .
Minral ka comedy hit hai boss
Neha payal sahit kai log pathar ke ban gaye hai .
Dekhte hai raj kaise unhe wapash lata hai kafi kathin marg hai par sajan awshay pura karega .
Waiting for next update
 

anandsngh12

Well-Known Member
28,992
64,272
173
SAAJAN
UPDATE*265

Maine pahredar ki taraf dekha aur usko bahut hilaya dulaya lekin vah behosh ho chuka tha..aur phir hum vaha se bahar nikal gaye uss gufa roopi dwar se…

Chalte chalte hum ek ghane jungle me pahuch gaye….abhi hum uss jungle me kuch kadam hi andar gaye the ki tabhi achanak aas maan me badal ghir aaye..mousam ka rukh tezi se badalne laga…kad kad karte huye bijli kadkadane lagi aur hawao ne bhi ugra roop dharan karna shuru kar diya.

Jungle me itna ghana andhkar chha gaya ki ek dusre ko dekh pana bhi dubhar ho gaya…aise me na to rasta hi kuch dikhayi de raha tha aur na hi manzil nazar aa rahi thi….jungli raste par har kadam mushil bhara ho chuka tha.

Divya—iss mousam ko bhi abhi hi kharab hona tha….aise me kitni der chal sakenge…?

Raj—tabhi to main tum logo ka vahi rukne ko kah raha tha.

Priyadarshini—vaha rukne se to achcha hai ki hum aap ke har sukh dukh ki humsafar bane….chahe jo bhi mushkil aaye,hum aap ke sath hi rahengi.

Raj—ab tumhe kya hua mrinal…? Itna hil dul kyo rahi ho…?

Mrinal (kasmasate huye)—saajan, mujhe niche utar do…..main bhi sab ke sath paidal chalungi.

Raj—kyo…?

Mrinal (kaan me)—pata nahi kyo lekin tumhare sharir ka sparsh mujhe uttejit hone par vivash kar raha hai main apni sakhi se dhokha nahi kar sakti….isliye mujhe bhi niche utar do..

Raj—ohhh…ye lo, chalo paidal.

Divya—saajan, hum ja kidhar rahe hain, kuch pata nahi chal raha hai….kahi aisa na ho ki hum kahi aur disha me hi bhatak jaye….?

Raj—hame uttar disha me jana hai, bas chalte raho jab tak ki hamari manzil hame mil nahi jati.

Mrinal—aap apni shakti se bhi to vaha jaldi pahuch sakte hain.

Raj—haan, pahuch bhi sakte hain aur kadachit nahi bhi lekin vyaktigat swarth ke liye shaktiyo ka prayog karna sarvatha anuchit aur dharm viruddh hai, vishesh kar ek manav ke liye....kintu tum aur priyadarshini rasta dekhne ke liye apni shaktiyo ka istemal kar sakti ho kyon ki tum dono dev kanya ho.

Priyadarshini—nahi...main nahi karungi aisa kuch bhi....jo kasht aap ko hoga vahi mujhe bhi unn kashto ka ehsaas hone dijiye.....aaaaaaaaa

Raj—kya hua...tum chillayi kyo... ?

Priyadarshini—vo…pair me kaanta ghus gaya hai….

Raj—ruko main nikalta hu.

Maine niche baith kar priyadarshini ke pair se kaanta nikal kar door phenk diya…mousam aur bhi roudra roop dharan karta ja raha tha….lekin ye achchi baat thi ki barish nahi ho rahi thi, hawa jarur tez ho gayi thi.

Kuch aur aage chalne par khunkhar jungli janwaro ki awaze aane lagi jo ki kafi nazdik se aa rahi thi.. halanki divya ne apne mobile ki flash light on kar rakhi thi…jiske madhyam roshni me hum nirantar aage badhte ja rahe the.

Achanak hame aisa laga ki jaise koi hamare sath sath chal raha hai…uske padchapo ki aahat saaf sunayi de rahi thi…maine ghum kar dekha to koi dikhayi nahi diya…lihaza maine iss baat ko ek bhram samajh kar aage badh gaya.

Hamare aage badhte hi vo aahat phir se sunayi dene lagi aur hamare rukte hi vo bhi tham gayi…iss baat ka ehsaas maine teen char baar kiya…jisse ye to sunishchit ho gaya ki ye kewal ek bhram nahi hai balki vastav me hi koi hamara picha kar raha hai ya phir hamari pratyek gati vidhiyo par nazar rakhe huye hai.

Mrinal—ye kis ki awaz aa rahi hai hamare sath chalne ki…?

Priyadarshini—haan, main bhi kafi samay se gaur kar rahi hu…aisa lag raha hai jaise ki koi hamara picha kar raha hai…?

Divya—saajan tum chup kyo ho…?

Raj—hoga koi..jungle hai, aadhi raat hai, lagne laga hai darr….? Agar aisa hai to aa ja meri baho me so ja rakh ke sir...chinta mat karo jab samne ayega tab dekhenge…main hu na sath me..phir kaisa darr…?

Hum aage chalte rahe aur vo aahat bhi hamare sath sath kadam se kadam mila kar chalti rahi...kuch aur door jane par yakayak main ruk gaya to vo sab bhi chounk kar thahar gayi aur meri taraf prashavachak drishti se dekhne lagi jaise ki ye puchna chahti ho ki main chalte chalte achanak ruk kyo gaya... ?

Tabhi maine unke nazro ki bhasa ko samajh kar ungli se chup rahne ka ishara kar ke ek disha me ungli se ishara kiya dekhne ka...unhone jaise hi udhar dekha to unki bhi ghigghi bandh gayi...asal me vaha kuch chattano ke beech me jungli kutto ka ek jhund tha jo iss samay kisi janwar ka maans khane me lage huye the.

Divya (dhire se)—ab kya kare...kaise aage ab jayenge..beech raste me to ye kutte khade hain... ?

Raj (dhire se)—kuch nahi…unka dhyan khane me laga hua hai abhi….hum chattano ke piche se ghum kar nikal sakte hain…lekin koi awaz bilkul mat karna…chupchap dhire dhire aa jao aur ye roshni band kar do.

Priyadarshi—lekin chattano ke piche to gahri khayi hai…? Andhere me kahi gir gaye to…?

Raj—daro mat aa jao.

Teeno mere piche piche dhire dhire chalne lagi….hum chattano ke piche se ghum kar chupchap aage badhne lagi..tabhi mrinal ka pair kisi patthar par pad gaya aur vo fisal kar niche khayi ki taraf girne lagi jor se cheekh kar lekin maine jaldi se uske khayi me girne se pahle hi uska hath pakad liya aur upar khich liya usko.

Mrinal ki cheekh ne unn kutto ke dinner me vyavdhan uttapann kar diya aur vo jor jor se gurrane lage.. unki gurrane ki awaz se teeno jaldi se mujhse chipak gayi...maine dhire dhire vaha se aage badhne me hi bhalayi samjhi.

Dhire dhire khisakte huye hum chattano ke paar nikal gaye...maine piche mud kar dekha ki kahi vo jungli kutte hamare piche to nahi aa rahe hain lekin vo phir se apne dinner karne me mast ho gaye gaye the.

Hamne ye dekh rahat ki saand li aur lambe lambe kadmo se aage chalne lage...tabhi achanak koi hamare samne aa kar khada ho gaya...uska poora sharir ekdam kala tha aur bada hi bhayanak dikh raha tha vo...teeno mujhse chipak kar khadi ho gayi.

"Tum yaha se aage nahi ja sakte....kyon ki ab mujhe bhi bhookh lag aayi hai..ab main tum sab ko kha kar apni bhookh shant karunga...hahahaha." usne jor jor se haste huye kaha.

Raj—tum koun ho aur hame hi kyo khana chahte ho... ?

"Mera naam vishnu sharma hai....main ek brahma pishach hu aur tum sab ab mera bhojan...hahahaha" usne apna parichay dete huye kaha.

Raj—iska matlab ki tum ek bramhan ho..phir tum brahma pishach kaise ban gaye... ?

Usne meri baat ka koi jawab na de kar sidhe hi mujhe utha kar patak diya…ye dekh kar sab meri taraf bhagi to usne jaise hi divya ko pakadne ke liye hath badhaya vaise hi jhatka kha kar door ja gira….phir se uth kar khada hua aur hame maarne ke liye dauda lekin tab tak main bhi taiyar ho chuka tha…andhere ka fayda utha kar usne mujhe dubara utha kar door phenk diya.

Usne mujhe door phenk kar priyadarshini ki oor lapka magar tabhi maine daud kar usko dhakka de diya aur priyadarshini ko apni taraf khich liya.

Divya (jor se)—saajannnnn

Teen char bar aisa hi kiya usne….iss bar jaise hi mere paas aaya to maine uski aahat ka andaza lagate huye uske pair me ek kich kaar ke niche gira diya aur jaldi se uski gardan jor se pakad li…jisse vo chhat patane laga.

"Kyaaa...tummmm..saajannn hoooo... ? aaaaa." Usne chhat patate huye kaha.

Raj—tum saajan ko kaise jante ho…..?

"Aaaahhh….mujhe chhod doooo…..kyon ki…saajannn ke alawa koi mujhe paraast nahi kar sakta itni jaldi." Usne karahte huye kaha.

Raj—chal ja yaha se…aur dubara mere raste me mat aana..

Vishnu sharma—mujhe kshama kare saajan....main aap ko pahchan nahi saka.

Raj—chalo koi baat nahi...ab jao

Divya—ye brahma pishach koun si yoni hoti hai... ?

Raj—Preto ki jitni yoniya hain, unme se ek yoni brahma pret ki bhi hai...brahma pret teen prakar ke hote hain....pahla brahma pishach ka roop, dusra brahma rakshas ka roop aur teesra brahma veer ka roop... inn teeno roopo ka sambandh kewal bramhan se hota hai...jab koi vidwan bramhan path bhrasht ho jata hai, apne brahman dharm ka palan karna chhod deta hai tab mrityu uparant usko ye teen yoni milti hain... jo vidwan brahman swayam kisi karan vash aatmahatya karta hai usko brahma pishach ki yoni milti hai.. yadi kisi vidwan brahman ne dharm, sampraday athwa samaj, jaati, sanskriti aadi ki raksha hetu aatmadaah kiya hai to usko brahma veer ki yoni prapt hoti hai....issi prakar jis vidwan durachari brahman ki kisi karan vash hatya kar di gayi hai athwa swayam akaalgrast ho kar marr gaya hai to usko brahma rakshas ki yoni milti hai.

Divya—kya ye itne shaktishali hote hain... ?

Raj—apne apne sthan par ye teeno prakar ke brahma pret manavetar, aayu prapt atyant shaktishali hote hain…unme aseem pran bal hota hai…mann shakti aur ichcha shakti bhi atyant prakhar aur teevra hoti hai… jisse padarth anuo (mole) ka sangathan kar ke vah apne ko kisi bhi roop me akaar ya sharir me prakat kar sakte hain…manonukul vatavaran bhi taiyar kar sakte hain…vah bhayankar durghatnao, toofano, jhanjhawato, aur samuhik nar sanhar ke bhi karan bante hain….vo prakrati me vikrati paida kar tarah tarah ka uttapat kar jan jeevan ko ast vyast karne me siddh hast hote hain….lekin aisa tabhi hota hai jab unko chheda jata hai…warna vo apne ghar pipal ke ped me hi shanti se rahte hain.

Raj—inme se kayi maha vidwan brahma preto ki sthiti prithwi ke gurutwakarsan ki paridhi se bahar hai... vah jis din aur samay apne parthiv sharir ka tyag kiye rahte hain uss din, uss samay pratyek varsh apne mrityu sthal par aate hain….yadi uss sthan par unke nimitt mandir, chabutara athwa samadhi bani hoti hai to uske paas hi kuch samay gujarte hain….vah suksham lok ke atyant shaktishali aur bhayankar prani mane jate hain…unki aayu sukshm lok me kam se kam sau varsh aur adhik se adhik ek hazar varsh hoti hai…..sthool jagat ka ek din, sukshm jagat ke ek minute ke barabar hota hai…aayu poori hone par brahma pret phir se manav yoni me janam lete hain ya phir betaal ki yoni me chale jate hain…yah preto ki antim yoni mani jati hai….iske upar kramashah yaksh, gandharv, kinnar aur dev yoniya hain…ye sabhi uchch yoniya bhi manav yoni se hi sambandhit hain.

Vishnu sharma—main aap ko vaha pahucha sakta hu jaha aap jana chahte hain..

Raj—kya tumhe pata hai uss tilismi talab ke baare me... ?

Vishnu sharma—vo talab to sirf uss aboojh paheli ko hal karne ke baad hi chaand ki roshni me hi dikhayi dega.

Raj—koun si aboojh paheli ki baat kar rahe ho tum... ?

Vishnu sharma—ye to main nahi janta ki vo kya paheli hai..lekin maine suna jarur hai ki usko hal karne ke baad hi tilismi talab tak pahucha ja sakta hai....main aap ko uss qile tak le ja sakta hu.

Raj—theek hai..le chalo.

Agle hi pal palak jhapakte hi hum sab uss qile ke bahar khade the….mousam ab bilkul saaf ho chuka tha aur chandrama ki roshni bhi jhil milate huye apna prakash bikherne lagi thi…..ye qila kahne ki jagah ek purana khandahar kahna adhik upyukt rahega kyon ki uski deeware door se dekhne me hi aisi lag rahi thi ki jaise hath lagate hi upar gir jayengi.

Vishnu sharma—saajan..hame bhi iss kasht dayak yoni se mukti dila do.

Raj—theek hai…tumhare vishay me bhi sochunga pahle ye kaam to poora kar lu.

Hum uss qile ke andar ghus gaye…halanki chaand ki roshni jarur thi lekin utna spast dikhayi nahi de raha tha….hum uss brahma pishach ke bataye anusar raste par chal rahe the.

Raj—yaha qile ke andar se uttar disha me jane ka kaha se rasta hai…?

Vishnu sharma—qile ke andar se hi rasta tha lekin ab vo deewar gir jane se band ho chuka hai...aap ko qile ke piche taraf jana padega ghum kar...vaha se ek rasta ab bhi hai uss disha me jane ke liye.

Raj—theek hai chalo

Hum ghumte huye qile ke pichle bhag par aa gaye...vaha ki deewar thoda tooti huyi thi to hum usme se ho kar uttar disha me aage badh gaye...chalte chalte achanak ek jagah bade se patthar par jaise hi chandrama ki roshni padi to mujhe vaha kuch dikhayi diya....to hum tez kadmo se chal kar uss jagah pahuch gaye....maine hath se uss patthar ki mitti ko saaf kiya to usme ek paheli likhi huyi nazar aayi.

"Chalte Chalte Ek Baar, Aise Hi Masti Mein
Gire Nadi Mein Dono, Ja Rahe The Kashti Mein."

 

anandsngh12

Well-Known Member
28,992
64,272
173
:applause:
Excellent update bhai Aakhir Raja ne sabhi sawalon ka sahi jawab Diya but Neha Paridhi aur Aur Payal Patthar ki Ban Gaye,
Ab dekhna ye hai Jab Pahredar Hosh Mein aayega tab wahan par Mrinal Ko Na Dekh Kar Kya Karega or Raj sabhi Logon Ko phir se pahle Jaisi avastha Mein laane ke liye kaun se Tilism ko todta hai or kaise uss tilismi Pani ko Hasil karta hai, khair dekhte hain ab aage kya hota hai.....

Waiting for next update_____
Thanks for Reading & Supporting.
Shukriya Siraj bhai for this awesome review.
Stay with us.
Todays update is on page.....1230
 

anandsngh12

Well-Known Member
28,992
64,272
173
Kya wo pehredaar behosh hogaya matlub uss peharedaar se bi jyada taqatwar hai mrinal
Thanks for Reading & Supporting.
Mrinal ek dev kanya hai, to uske paas shakti bhi adhik hi hogi.
Stay with us.
Todays update is on page.....1230
 
Status
Not open for further replies.
Top