• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest SAAJAN

What do you Think About this Story...??

  • Good

    Votes: 84 26.3%
  • Better

    Votes: 25 7.8%
  • Best

    Votes: 201 63.0%
  • Bad

    Votes: 2 0.6%
  • Worse

    Votes: 0 0.0%
  • Worst

    Votes: 7 2.2%

  • Total voters
    319
  • Poll closed .
Status
Not open for further replies.

Iron Man

Try and fail. But never give up trying
37,629
94,856
304

anandsngh12

Well-Known Member
28,992
64,245
173
SAAJAN
UPDATE- 195 (Revised)

Payal ki awaz ab kabhi idhar se to kabhi udhar se goonjne lagi....aisa lag raha tha ki jaise koi athakheliya kar raha ho har baar mujhe aisa mahsoos hota jaise koi mere paas khada hai.

Raj (chillate huye)—koun hai.... ? samne kyo nahi aati.... ?

Aur tabhi vaha ek madhur geet goonj utha jise sunte hi hum chounk gaye.....

“Upar Ambar Niche Dharti Beech Me hain Dil Ke Afsaane
Afsaano Me Dard Hai Kitna, Pyar Ke Dushman Ye Kya Jane”


Ab Aage……

Ye geet ke bol sunte hi hum sab chounk gaye….geet me dard bahut tha….maine kayi baar awaz lagayi ki koun ga rahi hai..samne aaye kintu vo idhar se udhar ghum rahi thi.

Payal (shocked)—ye to vahi shayari hai…jiske piche hum yaha aaye hain.

Neha—lagta hai ki minakshi idhar hi hai…ab yaha kahi vo mombatti aur mil jaye to uss sawal ka jawab poora ho jayega aur hum minakshi tak pahuch jayenge.

Achanak vo geet band ho gaya aur payal ki jhankar andhere me chhan chhan kar aati rahi…har baar mujhe aisa mahsoos hota jaise ki koi mere bilkul paas me khada hai.

Neha (cheekh kar)—aaahhhhh

Raj—kya hua….?

Neha—kisi ne mere piche jor se nakhun se chimti kaati.

Paridhi—aap bhi na mummy...ek to vaise hi hum iss bhutiya qile me darr rahe hain aur aap aur bhi dara rahi ho.

Payal—aaaaaaa

Raj—ab kya hua...... ?

Payal—kisi ne jor se mere kaan marode.

"S....a...a...j...a....n" kisi ne mere kaan me dhire se kaha to main bhi chounk gaya aur jaise palta to vaha koi nahi tha.. par nazar koi na aaya.

Aur ek baar phir se payal ki chhan...chhan karne ki awaz vaha goonjne lagi....tabhi vo chhan chhan ki awaz karib aati gayi aur jaise hi mujhe laga ki vo ab mere bagal me hi hai to turant maine usko pakadne ke liye hath badhaya ki vo awaz mujhse door ho gayi.

Hum kafi der tak uska picha karte huye bhatakte rahe....lekin kuch fayda nahi hua.....akhir me maine achanak se apni mani ka prakash vaha phaila diya....

Prakash phailte hi hum sab chounk gaye.….hum jaha khade the vaha phool hi phool bikhre huye the....main abhi kuch aur sochta ki achanak payal didi jor se cheekh uthi.

Payal (jor se)—rajjjjjj...vo...v..o

Raj—kya hua ab.... ?

Payal (darte huye)—maine...abhi vaha...ussi ladki ko dekha....vaha....vo yahi hai....

Sab ke sath main bhi chounk gaya...lekin phir jyada dhyan nahi diya ye soch kar ki aisi jagaho par iss tarah ki ghatnao ka hona koi hairat ki baat nahi hai.

Raj—come on didi....maine pahle bhi bataya hai na ki ye jagah kaisi hai.... ? phir usme itna pareshan kyo ho rahi ho aap.... ? balki main to khush hu ki uske geet se mujhe meri manzil karib nazar aane lagi hai.

Neha—vo kaise….?

Divya—vo aise chachi ki…iss shayari aur mombatti ka aapas me gahra sambandh hai…ye geet yaha sunayi diya iska matlab ki minakshi tak pahuchne ka rasta yahi se ho kar niklega aur shayad iss tilism ko todne ke baad hi hame vo rasta milega.

Raj—par hame iss tilism ko todne ka rasta to talash karna hoga…..lekin mujhe lagta hai ki sabse pahle hame yaha se juda itihas janna chahiye …bina uski jankari ke tilism ko tod pana bahut mushkil hoga.

Saloni—to chalo..apni talash aage badhate hain.

Raj—hmmmm…chalo…inn sidhiyo se chalte hain…dekhte hain kya milta hai….?

Dhool se sani tuti footi sidhiya chadhte samay dahshat se par fadfadate huye hamare kano ko chhu kar koi nikal gaya jisse sab darr se ghabra gayi.

Uss mlaan nistabdh qile me mujhe vichitra anubhuti ho rahi thi….dhool se bhare pade, patthar aur toote phoote sidhiyo par ghumte huye har kshan yahi lag raha tha ki rundhi huyi hawa ke beech koi dhire dhire hamare sath chal raha hai aur ateet ke jeern sheern kale parde ko ughar dega …..aur sahaj hi me iss darawne andhiyare vatavaran me mann prano ko ek bargi stambhit kar dega,

Abhi hum qile ke aangan me ghum rahe the ki tabhi meri nazar kisi gupt tahkhane me jane ke liye ek chote se darwaje par padi.

Raj—lagta hai ki yaha koi tahkhana hai….chalo dekhte hain

Neha—mujhe to darr lag raha hai

Payal—to aap yahi ruk kar hamare vapis loutane tak intazar karo.

Neha—nnn..nahi…nahi…main bhi sath me chalungi.

Hum darwaje ke andar aa gaye…vaha niche jane ke liye chakkar daar sidhiya thi….pahle niche utarne me sab ko darr avashya laga lekin mere utarte hi sab sahas kar ke fatafat mere piche piche utarne lagi.

Karib 8-10 sidhiya utarne ke baad mujhe kafi lamba chouda ek kamra mila….main dekhne ke liye uss kamre me ghus gaya…seelan aur badbu se bhara tha poora kamra.

Divya (naak daba ke)—kitni badbu hai yaha….

Payal—chal jaldi bahar niklo yaha se nahi to iss badbu se hi marr jayenge.

Raj—sab naak band kar lo ya kuch der bahar wait karo…main thodi talashi to le lu iss kamre ki…sab darwaje ke paas ja kar khadi ho gayi.

Main kamre ko bariki se dekhne laga….ek kone me lohe ka ek sandook rakha hua tha….lagbhag saat foot lamba, char foot ooncha aur lagbhag utna hi chouda tha vah….usme lock laga tha.

Maine gour se uss lock ko dekha to usme chabi se kholne ke liye koi jagah nahi thi…maine kayi prayas kiye kintu kamyabi nahi mili….akhir me maine mani ki shakti se uss lock ko tod diya.

Na jane kis prerna ke vashibhut ho kar maine uss box ka bhari bharkam dhakkan khol diya maine…..dhakkan khulte hi badbu ka ek tez jhonka bahar nikal kar phail gaya…uss badbu se sab ka jee machla utha to darwaje se bahar ho gayi.

Payal—uuuu….ye kya haiii…..?

Neha—mujhe to ulti hone wali hai

Divya—yahi bahar se dekhte hain…andar rukne ki himmat nahi hai ab.

Maine uss box ke andar dekha to usme taambe aur pital ki lagbhag do foot ki teen char pipes thi…..unn pipes me dhakkan lage huye the.

Unn dono pipes ko maine utha liya aur bahar aa kar khola to dekha ki usme kagaz jaise patle tambe ke patro par kisi agyat bhasa me koi pandu lipi thi….kul mila kar usme tamra patro ki sankhya chalis thi.

Neha—ye kya hai…?

Divya—chachi inko tamra patra kahte hain…..pahle ke jamane me inke upar hi likha jata tha kuch bhi.

Payal—par inme likha kya hai…? Koun si bhasa hai ye….?

Raj—yah kafi mulyavan aur ati durlabh sampatti hai.....ye pali bhasa se ek milti julti ek vishesh bhasa hai, inn pandu lipiyo ki aaj se lagbhag 500 varsh pahle ek prantiya bhasa thi.

Paridhi—kya likha hai inme..... ?

Raj—aayurved tantra ke antargat ras rasayan ke anek durlabh siddhanto aur unn siddhanto ke aadhar par anek rasaynik prayogo ka savistar varnan kiya gaya hai.

Payal—inme khas baat kya hai…..?

Raj—ab ye to inko padhne ke baad hi malum chalega…..ab chalo aur aage chalte hain

Hum vaha se aage badh gaye….kuch sidhiya aur niche utarne par do kamre dikhayi diye vaha….maine ek kamre ko chun kar uske andar ghus gaye…aur chalte chalte ussi kamre me pahuch gaye jaha kuch der pahle payal didi ne vo drishya dekha tha.

Payal—arey…ye to vahi kamra hai….?

Raj—hmmmmm

Tabhi maine nazar ghuma kar piche ki taraf khidki me dekha to vaha vo shisha phir se apni jagah par fit ho gaya tha jisko ki kuch der pahle maine niche gira diya tha.,,magar kuch dekh kar main chounk gaya.

Khidki ke bahar tez roshni thi……jaise ki din hi ho aur tez roshni me mujhe khidki se bahar thode se fasle par ek vistrat maidan dikhalayi diya.

Maidan ke ek oor kayi tope, jinka muh akash ki oor tha, ek katar me rakhi huyi thi……magar unn topo ko dagne ke liye vaha koi nahi tha…magar kuch hi pal ke baad vo tope swayam apne aap hi aag ugalne lagi.

Unme se kala sa dhua nikal kar maidan ke charo taraf phail gaya......thodi der baad hi maidan ke paas ki oonchi imarto me ek visfot hua aur aag tatha neele ranga ka dhua akash me chha gaya.

Phir achanak tope shant ho gayi aur vo dhua bhi adrishya ho gaya……aur uss maidan me antariksh se ek badi si hilti dulti vartulakar tashtari aati dikhayi dene lagi.

Pahle to main ye samajh hi nahi paya ki ye udan tashtari hai…..neele aas maan me ek lal taare jaisi dikhayi de rahi thi vo……bilkul mangal tare jaisi.

Pahle yahi vichar mere mann me aaya, par jab vah paas aane lagi to yakin ho gaya ki vah mangal tara nahi hai…aur nazdik aane par main samjh gaya ki ye udan tashtari hai.

Vah tashtari kuch hi kshan me maidan me utar kar sthir ho gayi……vo neele rang ki thi….samne ki oor ati tivra gati se ek pankha chal raha tha, jisme se aag ki halki halki lapte hawa ke sath nikal rahi thi…achanak uske bagal ka darwaja khula aur usme se jo nikla usko dekh kar main hairan rah gaya…..shakal itni bhayanak ki agar koi dekh le to vaise hi bina poison piye hi mar jayega.

Kisi bhi jivit prani se uski koi samanta nahi thi…..kaddu jaisa gol aur bada sa matha, kafi ooncha lalat, teen badi badi ankhe, ek lalat me aur do agal bagal thi.

Naak to thi hi nahi….ekdam sapat tha, mathe ke niche ka hissa…..sirf ek muh tha aur vo bhi ek lambe faank jaisa… kano ki jagah do bade bade nariyal lage huye the….aur unhi ke paas se foot dedh foot lambe baalo ki jataye upar ki oor nikli huyi thi….bilkul kisi jhingur ke muchho ki tarah.

Gala nahi tha balki gale ki jagah ek hath hi tha…..uske agal bagal hatho ke panjo me barah barah ungliya thi…..aur kafi lambe lambe nakhun the.

Uss vilakshan prani ke sharir par kapde the ya nahi ya uske sharir ka gathan hi iss prakar ka tha, yah samajh pana kathin hi tha…karan ki yadi vah kapde pahne tha to uske kapde uske badan se ekdam chipte huye the.

Chhati aur pet ka aakaar nagade jaisa tha…..aur teen pair the uske….piche ke ek pair par khade ho kar samne ke dono pair utha kar usne ek chhalang li to 40 – 50 foot ka fasla paar kar liya.

Ek chhalang le kar aur pichla pair tek kar usne phir se chhalang lagayi..iss tarah vah poore maidan me koodta phirta raha.

Iske baad vah sidhe meri taraf aaya aur pahle apni dono ankho se mujhe dekhta raha….phir mathe par ka teesra netra khula uska….atyant tivra prakash ki kiran jaisi nikli uski teesri ankh se….aur phir meri ankho ke samne andhera chha gaya.

Tad tad aur phir jhann ki awaz huyi…mere seene me dard sa uthne laga aur phir cheekh maar kar main behosh hota chala gaya.




Sorry Friends, Jitna Abhi Tak Likh Paya Utna Post Kar Raha Hu...Main Koshish Karunga Iss Story Ko Daily Update Karne Ki.
 
Last edited:

anandsngh12

Well-Known Member
28,992
64,245
173
:applause:
Dhasu update bhai kya Gajab Ka update diye ho ekdum jhakaas
lekin ghar Ke Andar Sabhi Logon ne aisa kya nazara dekh liya jo sabhi ki cheekh nikal gayi khair aage dekhte hain Aakhir yeh sab kya Majra hai iske liye aage ka intezar rahega_____
Thanks for Reading & Supporting
Stay with us.

Today's update is on page.....1040
 

anandsngh12

Well-Known Member
28,992
64,245
173
Haha chat na hone waale incidence se bhangarh ka killa yaad aagya bhai
Brilliant update
Sabse best part lagta h jab payal divya divy neha ki toli yun adventure pe jaati h
Qile ka rhasya interesting lag rha h
Dekhte h aage kya hoga
Keep rocking bhai :)
Thanks for Reading & Supporting
Shukriya Rohan bhai
Stay with us.

Today's update is on page.....1040
 
  • Like
Reactions: Rohan008

anandsngh12

Well-Known Member
28,992
64,245
173
About update 194 (A)
WAH BHAI KIA UPDATE DIA HAI.MAZA A GYA.

IS JANAM ME MINAKSHI KING KI BETI HO SAATHA HAI. JISSE TALWAR KE JEEV LEKE GYA THA.
AAB USSE HI CHURANE RAJ & CO JA RAHA HAI.

QILA ABISHAPT HAI.
WAHA SAB KUCH JAL CHUKA HAI.
ye SAAJAN ki us janam ki bath he jab wo agyntha NAM me janam liya aur usko preeti (us janam me pari ki ansh)
ne mara dia tha.Us janam me
Minakshi AUR Divya Ke Saath Pura Raj Pariwar BHI aag me jal gya tha.Aaj talwar ke prakash ki tara us janam me bhi murti se saath rang ki prakash hua tha.
ISI LIYE MUJHE LAGTA HAI YE JALA HUA NAGRI HI PURV JANAM ME AGYNTHA KI US NAGRI HAI.

Aur ek raaz bhi khulne wala hai.Kiu ki Agyntha us janam me preeti ki hamla se nahi mara tha.Kiu ki raj hi sirf raj ko mar saatha hai.Qila pe agyntha ki mritu rahasy bhi khul jaye ga.

anandsngh12 bhai main sahi hu ya galat kahi ye ga jarur.

Nice work....
Keep it up....
Thanks for Reading & Supporting
Shukriya bhai for liking the update
Agyant ki mrityu ka rahasya akhiri me khulega
Baki sawalo ke jawab agle update me mil jayenge
Stay with us.

Today's update is on page.....1040
 
  • Like
Reactions: Fighter
Status
Not open for further replies.
Top