• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy RUDRADIP- The God And Devil

RD193

Active Member
564
2,062
123
UPDATE 36

Nanaji- Beta Wo Tumhare Baba kisi Kaam se Bahar Gaye hai.. wo bhi God hai to unko Maine Kuch kaam Diya hai..

Wo usi silsile me Bahar Gaye hai aur Wo Abhi Tumse nahi mil sakte...

Par unhone Tumhare Laut and ki Khushi jatayi hai aur wo Tumhe Jald hi Milne ayenge Aisa unhone kaha hai..

Ye sunkar Sab bahut hi Shant ho jate hai jaise is Jawab ne sabko bacha liya..

Par Meri Choti bahan kaise Shant baithti use to ab Mauka hi mil Gaya tha kuch Bolne ka...

Aur Ditya bhi ye Sunkar Apne hi Tone me kahti hai............................

AGE............................

...

Ditya- (Gusse se) To Phir ye Bata Apne mujhe pahle Kyu nahi Batayi Nanaji Aap bhi mujhse Jhut bolte hai Jao Mai Apse baat nahi karti...

Ye kahkar Ditya tedha muh karke niche muh karti hai aur Gusse se Niche dekhti rahti hai...

794e98624231921a2f7d41cbedde9bd4.jpg

uske Aise bacho jaisi baat karte huye mujhe bhi ek Baar hasi aa gayi thi.

Par Mai kuch kah nahi paya Kyu ki Abhi Tak Ditya se Meri ache se baat bhi nahi huyi thi...

usi se Kya kisi se bhi Meri ache se baat nahi huyi thi to Kya kahu Isliye chup rahana hi behtar samja...

Waise ye Sunkar sabke Chehare par Smile aa jati hai par koi Abaj nahi karta nahi to Ditya sun jati aur uske baad to wo log hi Jane ..

Nanaji- Are Ditya Beta tum to mujhe naraj ho gayi Par Mai to Tumhe aaj ki Tarah hi aashchary dekhna chahata tha..

Jaise aaj Tumhe Apna Bhai Mila waise hi Mai Tumhe Tumhare Baba dene Wala tha..

par ab Jane do Tum to mujhse Gussa ho gayi ab Jane do Mai Tumhare Baba ko nahi bulata..

Ye Sunte hi Ditya Apna muh jaldi se upar karti hai aur Haste huye kahti hai...

Ditya- nahi To Nanaji Mai aapse Gussa nahi hu Mai to Majak Kar rahi thi.. Chalo Ab Baba ko bhi bulao...

Nanaji- Nahi Abhi nahi phir Tum baad me Phir se Gussa ho gayi to Isliye nahi. .

Ditya- Nahi nahi Nanaji ab Mai Apse kabhi nahi Gussa karungi.. Promise.

Maa- Haa Beta Tumhare Baba Jald hi Laut ayenge Ab Jaise Tumhare Bhai Laut aye hai waise Tumhare Baba bhi Laut ayenge..

Ditya-Phir Thik hai Ane do Baba ko Mai Un par Bahut Gussa karungi..

bahut datungi Mai Unko Kyu ki wo Hume itne din se Milne kyu nahi Aye...

Ye Sunkar Jaha par Sabki Chehare par hasi aa jati hai par waise hi usi ke Sath...

sabke Ankho me Ansu bhi the jise Mai Samaj hi nahi Paya ki ye kis Tarah ke ansu hai

Tabhi Maa ko kuch yaad ata hai to wo kahti hai...

Maa-Aap Sab log bhi na itne Dino baad Mera Beta Ghar Laut Aya hai aur Aap Sab log hai ki usse bate Kar rahe hai...

Dekho to Mera Beta Kitna patla ho Gaya hai Ise bhuk bhi bahut lagi hongi..

Ise Dekhkar lagta hai isne bahut Dino se pet bharkar Khana bhi nahi khaya honga..

Ye sunkar Mai kuch Shock hota hu Kyu ki inhe ye baat kaise Pata Chali..

Kyu ki jab se mujhe ye baat Pata Chali thi tab se Maine dhang se khana bhi nahi khaya tha...

par vahi Mai Samaj Gaya ki inko Mere bare me Sabkuch Pata hai ye to hona hi tha aur Waise bhi Ye to Meri Maa hai..

Har maa Bina bataye Bache ke Man ki baat samaj jati hai phir ye to.....

Maa-(Age kahti hai) Chalo Dipu Maine aaj Apne Hato se Tumhare liye Tumhare Man Pasand Khana banaya hai Chalo ab...

Phir Maa mujhe aur Ditya ko Apne Sath le jati hai aur Wo Shatakshi aur Triguna ko bhi Apne Sath le jati hai Khane ke liye...

Waise Mai yaha par jab se Aya tha Tabse Mai Un Dono ko baat karte huye ya aur kuch karte huye nahi dekha...

Kyu ki Mai Jab se Aya hu tab se wo mujhe hi ghure ja rahi hai par Kuch kah nahi pa rahi hai...

Ham ek Jagah Jakar dining table ki tarah tha vaha par Baith Gaye..

Nanaji sabke mid me baithe huye the Unke Dono side Mamaji Aur phir Mami..

Phir unke Dono bachiya Phir Right side me Ditya Aur Phir maa baith gayi...

Mujhe Nanaji ke Thik Samne Matlab Us dining Table ki dusri chor par ek Chair dikhayi di..

aur na Jane Kya sochte huye Mai sidha us chair par jakar baith gaya.ye Dekhkar sabke Chehare par Smile thi...

Mai-Kya huva Aap Sab Aisa has Kyu rahe ho..

Tabhi Badi Mami kahti hai...

Somya- ye Bata alag hai ki Tumhe kuch yaad nahi hai par Tumhe kuch yaad na hote huye bhi Apni purane aadatein nahi bhule ho...

Mai-Matlab... Mai kuch samja nahi...

Somya-Iska Matlab Tum pahle bhi isi chair par baithte the aur aaj bhi isi chair par baithe the..

na tab tum vaha kisi ko baithne dete the aur Tumhare Jane ke Baad bhi vaha koi nahi baitha..

balki us Chair ne kisi ko baithne ke liye sweekar hi nahi Kiya...

aur aaj dekho itne Salo baad bhi us Chair ne Tumhe pahchan liya Aur usne Tumhe bitha bhi Diya...

Mai-(Man me) Acha Isliye to mai na Jane kaise is chair par Baith Gaya.. Jaise mujhe yaha par Sirf yahi ek chair khali mahsus huyi...

Ditya-Acha tabhi to sochu Maa mujhe is chair par baithne ko Mana Kyu karti thi aur itna dantati kyu thi..

Is baat par koi kuch nahi bola par Sirf hase.Aur Tabhi kuch dasiya hamare liye Khana lekar aa gayi...

Khana Dekhkar mere Muh me Pani aa Gaya tha kyu ki Sab Meri hi Pasand ka Khana banaya tha maa ne...

Mai Khane ke hath lagane hi Wala tha ki Tabhi maa ne mere hath pe Mara aur kahne lagi...

Maa- Aaj Mai Apne Bache ko Apne hath se khana khilaungi...

Phir sabse pahle Nanaji ne niwala liya uske Baad mujhe bola Gaya khane ko to Maa ne mujhe Apne Hatho se khilaya...

Maine jaise hi niwala andar liya Mai us Khane ko mahsus Kar raha tha.. Sahi me yaar wo Khana bahut hi tasty tha..

Aisa tha jiske hatho ne mujhe khilaya Mai Usko bhi kha jau.. aur jitna bhi khau Mera Pet nahi bharega..

Mai- Sach me Khana bahut hi tasty bana hai Aisa hai ki sirf khata hi jau magar Mera Pet nahi bharega..

Maa- Tere liye hi to khana banaya hai Beta jitna khana hai Kha le..

Mere Khane ke Baad sabne Apna khana suru Kiya to Ditya maa ki taraf Gusse se Dekhkar kahne lagi...

Ditya- Ye Thik nahi Kiya Apne maa Inke ate hi Aap mujhe Bhul gayi..

Aap sirf unhe hi khana khila rahi ho meri taraf to koi Dhyan hi nahi de raha...

Maa ke kuch kahne se Pahle hi Mai Ditya ki taraf dekhte huye kahne laga...

Mai- Are.. Meri Choti ko Gussa aa Gaya.. Kya huva Tumhari maa ne Tumhe nahi khilaya..

to Mai hu na aao yaha aao Mai Tumhe Apne hath se Khana khilata hu..

Ye sunkar Ditya ne ek Dafa Apni Maa ki taraf dekha to Maa kahne lagi...

Maa- Kya...mujhe Kyu dekh rahi ho Mai Tumhe Aaj nahi khilane wali.. agar Khana khana hai to...

Jao Apne Bade Bhai ko pass Jao Mai to aaj Sirf Apne Bete ko hi khana khilaungi..
.
Ye sunkar Ditya bahut hi udas ho gayi.. use Laga ki ab Maa use nahi khana khilane wali..

Par ek taraf wo mere hath se bhi khana chahati thi.. to usne ek Dafa Nanaji ki taraf dekha to...

Nanaji ne use isharo se hi kah Diya Jao Apne Bhai ke pass Jao aur uske hath se khana Khao...

Waise mujhe Aisa lag raha tha ki Mai jab se Aya hu Ditya mujhse kuch dar rahi hai..

ab Uske Aise darne ke piche Kya karan hai Wo Mai nahi jan paya par Mai use baad me jarur puchunga...

Tab Ditya Darte huye vaha se khari hokar Meri dusri taraf akar baith gayi aur Maa ki taraf dekhne lagi..

Par maa ne uski taraf dekha hi nahi maa to bas mujhe khila rahi thi...

to Maine Apne hath se ek niwala liya aur use Khilaya to usne bhi Apna Muh kholkar kha liya...

Ab to Aisa ho Gaya tha ki Maa mujhe khila rahi thi aur Mai Ditya ko aur Sab hamare hi taraf dekh rahe the...

Shatakshi aur Triguna bhi hamare hi traraf Dekh rahe the..

Jaise kah rahi ho humne Kya Kiya hai Hume bhi khila do. To Mai Unki taraf dekhte huye kahne laga...

Mai-Tum Dono ko alag se bulana padega Kya Chalo ab jaldi se yaha Meri Dono taraf aao agar Khana khana hai to..

Shatakshi to ye sunte hi aa gayi jaise wo mere kahne ka hi intzaar Kar rahi thi..

7a744949cbdb01fca6fa3a9df9d1259c.jpg

Par Triguna mujhe ghure ja rahi thi.jaise wo mujh par bahut Gussa ho aur Shatakshi ke aise chale Jane se bhi..

d0583df4c49313333e1b9909d2fe9c75.jpg

Par wo ye chance nahi miss karna chahati thi to wo bhi akar Meri taraf baith gayi...

Ab manjar ye ho Gaya tha ki Maa mujhe aur Mai Un Tino ko khila raha tha Apne hatho se..

ek Dafa to Shatakshi aur Triguna ne jaise hi mere hath se niwala khaya Unki ankho me se do bund Ansu nikal aye..

Bich bich me Mai Maa ko bhi khilane laga to wo bhi bade pyaar se mere hath se kha rahi thi..

Waise Ye drishya dekhkar Sabki ankho me bhi ansu the.kyu ki Bahut Salo baad Aisa Khushi ka aur pyaar ka Mahal ban Gaya tha jise Dekhkar Sab Khush the..

Maine Sabki ankho me Ansu to dekhe par Maine kuch kaha nahi Kyu ki Mujhe Pata tha..

In ansuo ke piche Kya Raaz hai Isliye Maine Abhi kuch na kahna hi behatar samja...

Mera full pet bhar Gaya tha par Phir bhi maa mujhe khilati hi rahi jab Tak Unka Pet nahi bhara...

Itna Khana khane ke baad mujhe bahut Jor ki Nind aa rahi thi..

to Maine maa se kaha to Maa bhi mujhe Unke room me le Chali gayi...

Aur mujhe Apni Godi me sir rakhkar sone ko kaha aur Mai bhi waise hi so Gaya..

Mujhe aaj Maa ki God me bahut hi sukun lag raha tha.. jaise barso se Mai isi ki rah Dekh raha tha..

mere piche piche Ditya bhi aa gayi thi to wo bhi Meri ek taraf so gayi.Jaise Mai uski Maa ko usse chin raha hu..

Maa ki God me na Jane mujhe kab nind aa gayi kuch Pata hi nahi chala..

Bahut Dino baad Mai chain ki nind so raha tha.Maa ke Godi me sokar Aisa lag raha tha jaise ab mujhe kuch bhi nahi chahiye...

Mai Bahut hi gahari nind me the tabhi Meri ankh Khul gayi Kyu ki Jab mere Cheharo par Kuch Pani gira to..

Meri nind Khul gayi to Maine dekha maa mujhe hi dekhe ja rahi thi aur..

unke ankho me Ansu the Jo mere Chehare par gir Rahe the..

Mujhe ye dekha nahi Gaya ki mere hote huye maa ro rahi hai..

ye Dekhkar mere Dil me ek tis si ubhar ayi aur mere bhi Ankho me ansu aa Gaye...

Mai ye Dekhkar hi jhat se uth Gaya aur Maa ke Ansu pochkar unhe Gale lagaya aur unse kahna kaga.........................

Rohan008

Active Member
883
2,602
158

Bhqi mazza aagya
Chaa gye aap to
Magar whan dipu ki dharti wale family pr kya bit rhi hogi
Dipu ko apni is galti ka kab ehsas hoga ???

Brilliant update
Keep rocking bhai :)
 
Top