• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Adultery Rudra (adventure story) ( Completed )

Kya me is story me magic aur super natural power add karu

  • Yes

  • No


Results are only viewable after voting.

VAJRADHIKARI

Hello dosto
1,237
13,279
144
Click Here for index


Dhamesh singh (dad) died

Jyoti singh (mom) died

Rudra (hero)

Rahul (side hero)

Anjali (rudra's love interest and sister of rahul) died

Sanjana (mother of rahul and anjali) died

Siddharth (father of rahul) died

Bade papa= sujit singh sodhi (died but his body captured by igris) unexplored character

Mahamahim (friend of igris) unexplored character

Sura (friend of igris) unexplored character

Aacharya (friend of igris) unexplored character

Balveer (son of sujit singh sodhi) 1st villain

niraj pandey (rahul ke chacha) 2nd villain

Choudhary (died but his body captured by myasur) unexplored character 3rd villain

Mr. X (kaal) slave of mayasur 4th villain

Mohini (another asur and slave of mayasur) 5th villain

Daitya (somer relationship with rahul and rudra) unexplored character

Paritosh thakur (famous business man friend of raj singh) unexplored character

Raj singh (city ka mla) unexplored character

abhay = CBI chief ki post par hai (friend of siddharth)

Abhi (cbi officer and friend of Rudra)

Sam cbi officer and junior of abhi

Arun cbi officer and junior of abhi

Dev cbi officer and junior of abhi

Sangeeta cbi officer and junior of abhi

Ram sharma (criminal killed by rudra (beast) brother of sahdev)

Sahdev UCA ka agent "agent lion" and friend of rudra

Some secret police services

STF (secret task force)

SST (secret service team)

UCA (under cover agency)

Bhau another villain of story killer by rudra (beast)

Ranga another villain of story killer by rudra (beast)

Lucky hacker from underworld killed by bhau

Shankar mahadevan (olg PM of india killed by abhi slave of bhau)

Trilochan another villain of story killer by rudra and also slave of mohini

Ojha slave of trilochan another villain of story killer by rudra

Sukka guardian of rudra in isla planet

Zeba guardian of rudra in isla planet

Friends of rudra in isla planet

harry isla ke main city ka prince unexplored character

simona Sirius desh ki princess unexplored character

somi Sirius desh ki second princess unexplored character

kayko argon desh ka prince unexplored character

sayli sinour desh ki princess unexplored character

Another characters

Lord of the spiritual beasts (rahul)

Lord of dragons

Lord of demon warriors (agrasen)

Lord of demon magicians

Professor albus principal of royal magic academy in isla

Professor snape professor and co founder of royal magic academy in isla

Professor Hagrid professor in royal magic academy in isla

Professor oak professor and Co founder of the royal magic academy in isla

Professor nura professor and Co founder of the royal magic academy in isla

There are more characters are comming in story

Main villain???
 
Last edited:

VAJRADHIKARI

Hello dosto
1,237
13,279
144
Bhai bahot hi badiya update he...

Aese hi likhte rahe...

To kya Rudra ki family kisi powerfull background se he jis ko koi dusman unhe marna chahta tha...
Samay bahut balwan hai sare sawalo ke jawab sahi samay pr de hi deta hai
 

VAJRADHIKARI

Hello dosto
1,237
13,279
144
Update 15

Jab rahul ka sapna tuta toh usne khudko khandar me pake shock ho gaya jab dimag shant hua toh pata chala ki woh sapna tha lekin ab rahul ki baicheni badhti ja rahi thi baar baar uske aakhon ke samne rudra ka kata hua sir aa raha tha jo chikh chikh kar kah raha tha ki "agar tu meri madad karta toh shayad me aaj jinda hota. Meri maut ka jimmedar sirf tu hai"
Jis wajah se use kuch samaj hi nahi aa raha tha ki kare kya
Wahi jab rudra ka sapna tuta toh woh toh jaise phirse tut gaya uska pura pariwar uske samne tha lekin woh kuch na kar saka woh abhi bhi sapne ke baare me hi soch raha tha us sapne ke wajah se uske dil me 2 chije sath chal rahi thi
1 taraf sine me uth rahi uske badle ki aag toh wahi dusri taraf rahul ka woh udas chehra jaise woh kah raha ho ki ab mujhe bhi nahi jina is duniya me rahul ka aisa chehra uske samne aate hi usne turant rahul ke taraf daud lagadi
Wahi jab rahul ke saamne woh manjar aata hai jab rudra use bachane ke liye asuro ki sena se ladte hue jaan gawa deta hai wo manjar yaad aate hi uski tej rulayi chut jati hai aise hi rote rote wo kab behose ho jata hai use bhi nahi pata lagta
Jab rudra rahul ke kamre ke pass pahuchta hai toh dekhta hai ki rahul behose pada hua hai toh use ajib si baicheni hone lagti hai woh turant rahul ke pass pahuch ke use uthane ka try karta hai lekin jab woh nahi uthata toh wo pani dhoodhne ke liye aaspas dekhta hai toh use pass me hi pani ki bottel dikhti hai jo shayad bade papa(igris) ne rakhi thi
Phir turant woh pani ki bottel uthake usmese pani leke rahul ke uper kuch bunde gira deta hai jisse thodi der me rahul ko hosh aajata hai
Rahul (hosh me aate hue) :- bhai…. bhai mujhe maff kar do mujhe maaf kar do
Rudra (rote hue) :- nahi bhai tujhe maafi mangne ki koi jarurat nahi
Rahul ko ab puri tarike se hash aa gaya tha jab wo rudra ko dekhta hai toh kaske uske gale lag jata hai jaise agar use choda toh kahi bhag na jaye rudra ne bhi use apne se alag karne me koi jaldbazi nahi ki pahle use ji bhar ke rone diya aur jab rahul shant hua toh rudra ne use khud se alag karte hue kaha
Rudra :- kya baat hai aaj is mard ke aakh me aasu kaise tu toh bada kahta tha mard rote nahi
Rahul :- nahi bhai aaj ro lene do kya pata kal ho na ho
Rudra :- aisa bola toh dekh me bhi tujhe chod kr chala jaunga
Rahul (phir se gale lag ke) :- nahi bhai aap se pahle me marunga lekin aapko marne nahi dunga
Rudra :- nahi dono mese koi nahi marega aur agar kabhi aisa din aaya toh jisne jyada sase li hai woh pahle jayega theek hai
Rahul :- nahi chahe jo bhi ho pahle me hi jaunga
Koi kahi nahi jayega
Abhi hum baat hi kar rahe the ki bade papa(igris) aa gaye
Unhe dekhte hi hum dono jake unke gale lag gaye
Rudra :- aap kaha chale gaye the bade papa aap
Bade papa :- tumhare bhavishya ke baare me vichar kar raha tha
Rudra :- ha ye sahi kah rahe ho aap ek kaam kijiye rahul ka kisi ache college me admission kijiye aur mujhe aapse kuch akele me baat karni hai
Rahul :- kyu bhai aap college me admission nahi lenge
Rudra :- lunga lekin abhi mujhe thoda kaam hai
Rahul :- kaisa kaam
Rudra :- woh mat puch bas me jaisa bol raha hu waisa hi kar samjhe
Rahul :- nahi aap batao kya kaam hai nahi toh me bhi aapke sath chalunga
Rudra :- dekh mujhe sakhti dikhane pr majboor mat kara
Rahul :- jo karna hai karo lekin me bhi apni baat pe atal hu
Rudra (sakht aawaj me) :- rahul
Rahul :- nahi aaj nahi phir kabhi
Rudra :- dekh rahul ye kaam koi majak nahi hai isliye meri baar maan nahi toh
Rahul pas hi pada ek kach ka tukda uthake
Rahul :- toh mujhe mat dosh dena aapne majboor kiya
Rudra :- kya karga tu
Rahul :- ya toh aap mujhe sab sach batao ya me abhi apni jaan de dunga aur ye me aapki kasam khake bolta hu me piche nahi hatunga
Rudra :- (jor se) RAHUL!!!! Dekh jindagi majak nahi jo tu aise hi khatam kar dega dekh aisi jidd mat kar
Rahul :- jidd me nahi aap kar rahe ho aur aap bhi jante ho aapse jaruri jo bhi tha mere liye woh khatam ho chuka hai ab ya me aapke sath rahunga ya khatam ho jaunga
Ab rudra ne bhi haar maan li rahul ke jid ke aage
Rudra :- theek hai hum hamesha sath the hai aur rahenge
Rahul :- mujhe sach janna hai
Rudra :- dekh me ek aisi jung me ja raha hu jaha se wapas aaunga ki nahi pata nahi ye ek aisa yudh hai jo aaj nahi to kal hokar rahega me hamare pariwar ka badla lene ja raha hu
Rahul :- theek hai hum ek sath ye yudh ladhenge aur hum jitenge aur woh hamara pariwar tha toh woh badla bhi hamara hoga na kisi akele ka
Rudra :- theek hai woh tukda niche rakh ab aur kuch kha le
Phir rahul apne gale pr lagaya hua kach ka tukda niche pheck deta hai aur phir hum teeno milkar khana kha lete hai tab bade papa bolte hai
Bade papa :- mujhe tum dono se baat karni hai
Rahul :- boliye na badepapa is jung me aapko sath rakhne ka wachan chodke kuch bhi milega
Rudra :- boliye bade papa aap sirf humare bade papa nahi toh humare guru bhi hai aur apko guru dakshina dena hamara kartavya hu nahi hamara dharm bhi hai boliye hum aapko kya de sakte hai jo bhi hamare bas me hoga wo denge
Bade papa :- mujhe tumhari jivan ke 2 varsh chahiye woh bhi abhi se hi
Rahul aur rudra :- kya
Wahi dusri taraf mr. X apne ho(head office) me baita tha ki uske office ka gate open hota hai aur waha se Choudhary andar aata hai
Mr. X:- aao Choudhary bolo yaha aane ka kaise irada hua
Tabhi Chaudhary ka sharir dheere dheere kala hone lagta hai jo dekh ke mr. X pahle confused hota hai lekin jab use samajh aata hai woh turant khada hoke uske samne jhuk jata hai aur jhukne ke saath hi uska sharir bhi kala padne lagta hai
Wahi kisi dusre grah par jaha har taraf andhera chaya tha waha achanak do roshniya chamaka uthti hai aur usike saath ek bhayanak aawaj hoti hai jo jor jor se chikh rahi thi ki

~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Aaj ke liye itna hi
~~~~~~~~~~~~~~~~~~
 
Last edited:

parkas

Prime
22,825
52,544
258
Update 14


Ab tak aapne dekha ki kaise 4 logone milkar rudra aur rahul ke pure pariwar ko khatam kar diya wahi khandar me rudra ke sapne aakar uske pariwar ne usse wachan liya,
Ab aage
Jaha rudra apne pariwar ke sath sapne me bate kar raha tha wahi rahul ke sapne me bhi kich ajib ho raha tha
In rahuls dream
Jab rahul ki aakh khulti hai toh wo khud ko kisi jagah dekhta hai jaha harctaraf khoon hi khoon tha aur uske samne ek aadmi ek saath kai sare log jo dikhne me imsaan nahi asur dikh rahe the usse yudh kar raha tha ki tabhi rahul ki nazar us yodha ke chehre par padhi toh use shock hi laga kyunki wo koi aur nahi rudra tha
Rahul as pass kuch dekhta hai toh use ek talwaar dikhti hai jab wo use uthane ki koshish karta hai lekin uska hath us talwaar ke aarpaar nikal jata wo bahut prayatn karta hai lekin talwaar nahi utha pata jab wo phir se koshish karta hai ki tabhi use ek chikh sunayi deti hai jo ki rudra ki thi jab wo us chikh ke direction me dekhta hai toh pata hai ki rudra kisi ko gher ke khada tha aur tabhi rudra ke pith me ek asur apni talwaar ghusa deta hai aur dusra asur uski gardan kaat deta hai
Ye dekh ke rahul ke toh hosh hi ud jate hai jab uski nazar rudra jise gher ke khada tha uske uper jati hai toh use wishwas hi nahi hota kyunki waha par rahul hi tha jab wo dekhta hai ki use protect krte hue rudra ki jaan gayi toh achanak uske uper kuch aake gira jo kuch aur nahi rudra ka sir tha jab woh sir dekhta hai ki tabhi jaise uske aas pass ki jamin hilne lagi har tarf dhua hi dhua tha achanak us dhue dher sari parchaiyan dikhai de rahi thi jinke lal aakhe andhere me bhi chamak rahi thi

images

Jab woh sab rahul ke saamne aaye toh sare apne ghutno pe baith gaye lekin unke aakhon me gussa saaf dikh raha tha lekin kyu woh kisi ko pata nahi
Jab sare parchai ghutno pe baith gaye tabhi rahul aur unke bich me aasman se ek jordaar bijli aa giri jisme se black colour ki ek spirit nikli jo rahul ke saamne jhuk gai lekin uske aakho me bhi gussa dekha ja sakta tha





images

Abhi black sprit nikli hi thi ki ek aur bijli giri jo pahle wale se jyada chamak dar thi jab wo shant hui toh us mese ek white parchayi bahar aayi jo dikhne me ek bahut bade wear wolf jaise thi lekin uske pass pankh bhi the kuch aisa tha


images

Jab woh rahul ke samne pahucha toh woh nhi sab ki tarah ghutno pe baitha gaya lekin uski aakho me na gussa tha na khushi balki uske aakho me dard tha gum kisi ko khone ka dukh tha

Wahi dusri taraf
Chaudhary :- ab bataye mr. X ki aapka kya swarth hai
Mr. X :- mera swarth chodiye khud ke baare me sochiye kyonki aap mese koi bhi humara sath nahi chod sakta
Balbeer :- kyu me nahi karne wala koi kaam tumhare sath

Mr. X :- kyon ki aapko pata nahi aapne kis ko mara hai
Pandey :- kisko mara hai humne
Mr. X apne bag me se ek file unke traf badhate hue
Mr :- agar unko pata chala ki tum logo ne kya kiya hai toh 24 ghanto me tumhe patal se bhi khojke aasman me bhej denge samjhe
Itna bolke mr. X bahar ki taraf chal pada lekin jate jate achanak ruk kar
Mr. X :- tum ko nahi pata ki tumne kiske saath milkar kiske khilaf maut ki sazish rachi hai agar jaan pyari hai toh chupchap baithe raho yu samjho ki tum log ek bomb ke uper baithe ho aur uska remote mere hath me hai baki tum log samajhdaar ho
Itna bolke mr. X haste hue bahar nikal jata hai aur reh jate hai pasine se bhige hue woh mr. X ke teen bandar
Wahi unknown place me
Sura :- ek hafta gujar gaya lekin nahi lord gum se bahar nikle aur nahi master kya kare hum log agar wo niyati ki is pariksha me fail ho gaye toh kya kare
Aacharya :- yaha dharti par 2 kahawat boli jati hai 1 dheeraj ka fal hamesha meetha hota hai aur 2ri(sura ke taraf dekh ke) jinki shakkal achi na ho wo baate toh achi kare
Sura :- kehna kya chahte ho aap
M. M :- aap dono shant baitho igris aane wala hoga tab pata chalega ki kya ho raha hai waha
Abhi ye log bol hi rahe the ki igris entry marta hai
Igris :- ek khush khabri hai aur ek buri khabar hai pahli konsi sunenge
M. M :- buri khabar sunao taki baad me achi khabar sunne ke baad man halka ho jaye
Igris :- buri khabar ye hai ki asuron ko sandeh ho gaya hai ki kuch gadbad hai dharti par isliye hume lord aur master ko leke kisi aur grah pe jana hoga
M. M :- aur achi khabar
Igri :- pariksha purn ho gayi aur natija humare paksh me hai ab hume jald se jald lord aur master ko training dekar unki taakat ka pratham hissa dena hoga
Aacharya :- agar hum unka abhyas dharti par lete toh hum do varsho me kamyab ho jate lekin agar ab hum unhe kisi dusre grah pe le gaye toh kitne varsh lagenge
Sura (calculate karte hue) :- mere hisab se 10 varsh toh lagenge hi
M. M :- kya itna samay nahi hai humare pass
Aacharya :- lekin ek samadhan hai
Igris :- kya acharya
Aacharya :- is brahmand me kahi aise grah hai jinka samay kaal dharti ke hisaab se alag hai aisa hi ek grah hai isla grah jiske samay ko agar hum dharti ke samay kaal se jodenge toh yaha ka do varsh waha ke 10 varsh ke barabar honge
Igris :- aur waha ke log master ko apna bhagwan mante hai toh hume kuch samasya nahi hogi
M. M :- nahi agar unhe pata chala toh humare liye samsya hogi
Sura :- kaise
Aacharya :- woh aise ki agar unhe pata chala toh woh har waqt master ke as pass rahenge aur is me master ki yaddasht samay se pahle wapas aane ke chances badh jayenge jisse bhut bure parinaam honge
Sura :- lekin hum unhe aise hi ratorat dharti se nahi le ja sakte asuron ko sandeh ho jayega
M. M :- toh hum unke raktansh ko yaha rakh skte hai jisse jab woh 2 saal baad yaha aaye toh unhe yaha rahne ke liye parshaani na ho
Aacharya :- igris aapko bhi apna rakansh yaha chodna hoga kyunki undodno ke saath bahut logone aapko yani sujit singh sodhi ko dekha hai
Igris :- ha iska dhyan hai mujhe
M. M. :- chalo ab sidha isla pe mulakat hogi
Igris :- theek hai
In rahul's dream
White spirit :- lord aapko is gum se nikal na hoga nahi toh jo aapne abhi dekha woh sach hone me der nahi lagegi
Black spirit :- bahut bada yudh sameep hai lord aur is yudh me master par bahut sare prahar honge agar aap unke sameep nahi honge toh lord ko surakshit rakhna hoga nahi toh uske baad jo hoga wo behad khauf naak hoga
White beast :- lord jab tak master ko unki yade nahi mil jati tab tak master ko aapko hi sambhalna hoga
Black beast :- nahi toh phir wahi hoga jo sadiyon pahle hua tha aur aaj aapke sapne me hua hai
White beast :- aapko har halaton me unke saath rehna hai aapko unka kawach banna hai jab tak unki sase chal rahi hai tab tak kisi bhi beast ki sase ruk nahi sakti lekin agar woh mare gaye toh hum sab bhi bas ek saadharan jiv bankar rah jayenge
Itna bolke woh sare gayab ho gaye bache toh sirf rahul aur uske hath me sir kata rudra
Rahul ke kano me aur aankhon me aur dilo dimag me aaj ki ghatna ne ghar bana liya hai jaise hi uske aankho me phir se rudra ki gardan katne wala scene aaya tabhi uska sapna ek jordaar chikh ke saath tut gaya
Rahul :- NAHIIIII mere hote hue bhai ko kuch nahi ho sakta me bhai ko kuch nahi hone dunga
~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aaj ke liye itna hi

~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Nice and beautiful update....
 

VAJRADHIKARI

Hello dosto
1,237
13,279
144
Hello friends
Good evening dosto
Kya hua story pasand nahi aa rahi kya ya koi aur problem hai jo ab tak sirf 4 hi reviews aaye
Please bataiye agar story me problem hogi toh me apni aur se use theek karne ki puri koshis karunga
Thank you
 
Top