• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller Raghav

StarDust

Active Member
976
302
63
Update: -

Police siren ki aisi tez awaaz aaj tak kabhi Hatti ki hawaaon mein nahin gunji thi, Raichur, Karnataka rajya mein ek chhota sa zilaa lekin na sirf Karnataka, pure Bharat desh ke liye yeh zilaa utna hi mahatvapurn hai jitna ki Mumbai ya Delhi, police Vans ki afra tafri ke beech 2 Ambulance bhi apne siren se wahan fele hue shor ko badhava de rahi thi

"toh ab kya karein" Constable ne wahan khade Inspector ko pucha jo Ambulance walon ko apna kaam karte hue dekh raha tha

"ab kya kar sakte hain" Inspector ne ek niraasha bhari awaaz mein kaha, woh shayad itna sharminda tha ke woh apne saath khade constable se bhi nazrein nahin mila paa raha tha

"Solanki" ek kadak awaaz inspector ko peeche se sunai di, usne turant hi apni aankhon mein faili hui niraasha ko chhupane ki koshish ki aur peeche palat ke commissioner ke paas chala gaya

"Well Done Solanki" commissioner ne Solanki se haath milate hue kaha aur apni aankhon ke saamne drashya ko dekhne laga

"this is unbelievable" Commissioner ne Solanki ko dekh kaha aur fir stretcher pe rakhi hui dead body ko dekha, saamne aag ki laptein badhti jaa rahi thi jise fire department puri tarah se kaabu mein laane ki koshish kar raha tha, Solanki ne koshish toh kaafi ki thi ki uski maayusi commissioner ke saamne bahar na aaye, lekin woh kar na saka, commissioner ne bhaanp liya uski aankhon mein uske bhaav ko dekh

"dekho Solanki" commissioner ne aagey chalte hue kaha aur Solanki bhi uske saath aagey nikal gaya

"main samajh sakta hun tumhari maayusi, lekin kuch cheesein hain jo hamare haath mein nahin hain, chaah ke bhi hum kuchh nahin kar sakte us baare mein, aur yeh sthiti bhi waisi hi hai, tumne bahut koshish ki ke"

"ke yeh aadmi zinda pakda jaaye" Solanki ne commissioner ko beech mein kaat ke kaha aur apni jeep ke paas aake ruk gaya

"Well, it is what it is, hamare haathon ke bahar hai, isse zyada mein kuchh nahin keh sakta, behtar hoga tum bhi is baare mein zyada nahin socho, main is case ki file officially close karwa deta hun, MHA ko report chahiye, main use sambhaal lunga, tum 1 hafte ki chhuti le lo, uske baad milte hain" Commissioner ne Solanki ko apna faisla sunaya aur wahan se nikal gaya

"Sir, Ambulance nikal rahi hai, yeh kuch documents hain jahan pe aapka signature chahiye" Constable ne aake Solanki ko ek file thamaayi

Solanki ne file pakdi aur jahan jahan uske signature chahiye the wahan wahan woh apni sign karne laga, file wapas karne se pehle Solanki ne fir se file ke pehle panne pe nazar daali

"teri kismat bahut acchi thi ke tujhe itni aasaan maut mili, agar mere haath zinda lagta toh teri zindagi narak ban jaati, na toh tu achhe se saans le paata aur naa hi" kehte kehte Solanki ruk gaya aur usne file constable ko thama di, jab tak wahan ki aag nahin thami, Solanki aur uske 4 constable wahin ruke hue the, aag tham jaane ke baad Solanki ne ek baar fir us jagah ka muayena liya, woh log jahan khade the woh koi chhoti jagah nahin thi, woh log ek sone ki khadaan ke paas the jahan pe 10 ghante pehle blast hua tha, us blast ki wajah se kitna nuksaan hua tha woh andaaza lagaane ke liye wahan ASI ki team maujood thi, lekin in sab se badh kar jo baat Solanki ko satta rahi thi woh thi aisi information ka haath na lagna jisse naa ki sirf India, lekin pura South East Asia khatre mein jaa sakta tha

"ASI ne apni report mein likha hai, gold mine mein blast ki wajah se jo nuksaan hua hai, agar Police time pe pahunchti toh woh nahin hota, ASI ke aanklan ke hisaab se, takreeban 1000 crore rupees ka, is blast ki wajah se nuksaan hua hai" ek hafte baad jab Solanki wapas Mumbai pahuncha, toh subah subah commissioner ne Solanki ko ek meeting mein bulaya, commissioner ke saath wahan Maharashtra CMO, Maharashtra ATS aur IB ke log bhi maujood the

"iske liye tum kya jawaab doge" Commissioner kuch keh paata usse pehle wapas ATS ke officer ne Solanki pe sawaal daaga

"IB ya ATS ki team ke pahunchne ka intezaar kyun nahin kiya tumne" fir se room mein kisi ne Solanki pe nishaana saadha

"agar main wahan kisi ka wait karta toh"

"Maatre" Commissioner ne Solanki ke bachaav mein aake ATS ke officer ko roka

"hamari taraf se jo findings hain, aur jo hamara conclusion hai, woh ek hafte ke andar main tumhare chief ko mail kar dunga, aur rahi baat Solanki ki, he is my best officer, hum yahan usko grill karne ke liye ikatthe nahin hue hain, behtar hoga hum jis kaam ke liye aaye hain wohi karein" Commissioner ne apni baat kahi aur wahan se Solanki ko wapas bahar jaane ka ishaara kiya

Solanki apni office jaake baith gaya, pura din na toh kisi se milna, na toh kisi se baat, bas apni kursi pe bethe bethe aagey aane wale khatre ke baare mein sochta raha, raat hone se pehle usne ek baar apna drawer khola aur usme padi file nikaal ke dekhne laga

"Raghav urf Raghu" naam padh ke Solanki fir apne khayalon mein chala gaya jahan sirf maayusi hi maayusi chhayi hui thi
 

Neo from the Matrix

Living in Simulation
Supreme
3,539
1,637
159
:congrats: for new story
A good start to the story
The only feedback is to keep up the good work:claps:
 
  • Like
Reactions: Black water

Black water

Vasudhaiv Kutumbakam
5,872
21,052
188
:congrats: for new story
 

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,642
8,370
219
Wah.. Firt update always kahani ki disha deta hai user ko ki vo anuman laga sake ki kahani kitni judgei use aur apki itni clean writing hti hai ki ankhon ke aage visual create hote hain :bow: :bow:

Plot seems to be tensed and thrilled, maza ayega why don't you try in script writing :D
 
Top