update no :- 231
Darukasur ka ant k baad asuro m hahankar mach gayi or apne senapati ki mot de unke hosle past ho gaye , jinka moka utha devo ne pure jor shor se unpe humla bol dala , jis kaaran unhe sambhalne ka moka na mila or asuro ki sankhya kam hone lagi or devo joro shoro se unka vadh kerne lage.
Jis kaaran asuro k pas bachne ka bas ek hi rasta dikha , wo tha waha se bhagne ka , or unhone wesa hi kiya badi hi mushkil se unhone jaan bacha ker vaha se bhagne m kamyab hue.
Danvo ko yu ran chod k bhagte dekh devo me harsholas ki lahar cha gayi .
Devraj :- hum vijayi hue.
Har har mahadev
Devraj k sath baki sab bhi har har mahadev k nare lagate h , wahi dusri or Sonam bhi khush or heran thi , ki achanak se ye kya hua.
Sonam :- di ye achanak se kya hua , us balshali daitya ka ek shan m ant , kya ye aapne kiya.
Jyoti :- ni sona mujhme itna samarthya kaha , ye mahan karya to unhone hi kiya jin k liye unka janm hua h , or jinko hum dono ne hi sab kuch mana h .
Sonam :- apka matlab ye bhaiya ne kiya per ye kese sambhav h di , wo to dhyan samadhi m Lin h.
Jyoti :- sona humare bhai swayam kfd k ansh h unke liye kuch bhi asambhav ni.
Sonam uperi tor p to Jyoti se agree ker leti h , per uske man me shanka to abhi bhi thi.
Wahi dusri or
Chaliye jab karan ka jikar Aya hi hua h tha to aaiye dekh lete h ki wo kya ker raha h.
Karan jis sthan pe dhyan samadhi m Lin tha us sthan p achanak ek roshni chamakti h or Rohan prakat hota b apne kaal roop me.
Rohan karan ki banayi divar k pas aaker :- kamine ye sab natak kerke bhahano ko bevkuf bana sakta h per apne bhai ko ni , chup chap mujhe ander aane de....
Tabhi ander se aawaz aayi
Karan :- sab janta h to baap se permission kya mang raha h sale Aja.
Karan ki aawaz sun ker Rohan diwar ko paar kerte hue ander ki or aata h to pata h ki karan apne dhanush per pratyancha chada raha tha.
Karan :- aao dost mujhe tumhara hi intezaar tha, mujhe tumse baat kerni thi.
Rohan :- baat to mujhe tumse kerni h bhai , ye sab kyaa h , humari bahano samet sare sansaar pe vritrasur namak mahasankat chaya hua or tum yaha ye kyaa luka chupi ka khel khel rahe ho.
Karan :- khel to m khel raha hu dost , per luka chupi ka khel ni balki dusht vritrasur ka mrityu ka khel or jo us khel ki main khiladi h wo mahashakti jiske hatho aaj dusht vritrasur ka nirdharit tha.
Kaal :- or aap jara batane ki kripa karenge dandnayak ji wo khiladi ya yu kaho vo mahashakti kon h.
Karan :- vahi jo keval is yudh ki nayika banne balki is dandnayak ki bhi shakti h.
Rohan :- Jyoti ? Per kese bhai , vo to bhi nirbal h or yadi ager uske hatho hi vritrasur ka ant nishchit h to tum uski sahayata kyu ni kerte is yudh m.
Karan apne dhanush ki prtyancha khichta jiske sath uske dhanush p ek tir aajata h .
Karan :- tir ko yadi lakshay tak pahuchana ho to , pratyancha ko piche khichna hi padta h , ese hi Jyoti ka aatmvishvas lotane or is sansaar ko nari shakti ki mahima dikhane k liye mera yudh se piche hatna jaruri h Rohan , isliye mane khud ko yudh se vilag ho ker bhi apne kartvya ka nirvahan ker rahha hu .
Mane na keval doot banker yudh k niyamo ka palan kerte hue is vritrasur ko antim chetawani di , balki sath hi sath pita kfd ki yojna ka pahala padav bhi purn kiya.
Rohan :- m sandeh ni ker raha Jyoti per kya humari gudiya is haal m yudh ker payegi , jab wo sabse kamjor halat m h.
Karan :- meri gudiya shakshat shaktiswaroopni h mere dost or shakti kabhi kamzor ni hoti.
Is baat ka praman tumhare samne hi abhi ghatit hua h mere dost , jis darukasur ko devta tak prajit n ker pa rahe the use Jyoti ne apni ek hunkar matra se yamlok pahuncha dala.
Ji ha dosto darukasur ka ant kisi or ne ni balki Jyoti ne hi ker dala tha anjaane m , uski ek hunkar bhari garjana tak ko na sah paya darukasur.
Wahi dusri or
Jese hi ye khabar vritrasur ko mili ki uska senapati mara ja chuka h or uski sena dum duba k bhag k aagayi to wo gusse se aagbabula ho utha
Vritrasur :- lajja ni aayi namardo yudh bhumi se yu pith dikha ker or lanat h us vritrasur per ek hare hue devraj ki sena ko bhi prajit na ker paya.
Lagta h ab ye karya mujhe swayam hi kerna hoga , humara Rath sujj hi kiya jaye..
Ye bol vritrasur yudh m jane ko saj hi ho raha tha ki tabhi ek aawaz uske kaano m padi.
Aager humare hote hue aapko ek mamuli ladki k liye yudh m jana pade to dhikkar hum chote bhaiyo p bhaiya.
Ye aawaz vritrasur k bhaiyo ki thi , jinke naam the , lobhasur , bhandasur or shitasur.
Or ye baat lobhasur ne ki thi
Shitasur :- ha bhaiya lobhasur bhai sahi kah rahe h , humare hote hue aapko jane ki koi avashyakta ni , un devo ko hum chote bhai dekh lenge or us ghmandi ladki ko balo se ghasitte hue aapke charno m patkenge.
Aap to bas hume aagya dijiye bhaiya.
Vritrasur kuch sochte hue :- thik h jao mere sher bhaio or dikha do un devo ko do asuro ki shakti or sath m humari puri sena bhi ke jana.
Jo aagya bhaiya.
Ye bol 3no bhai nikal pade yudh bhumi ki or ya yu kaho apne ant ki or.
Vritrasur ne apne bhaio ko yudh m bhej to diya tha lekin vritrasur ki mot ki khabar sunne k baad usse bhi ab thodi chinta hone lagi.
Vritrasur :- kahi us dandnayak ki baat sach to ni hone , kahi mera ant...
(Agle hi pal khayal jhadakte hue) ni esa hona sambhav ni trilok vijeta vritrasur ko koi ni mar sakta , mujhe koi ni maar sakta , mata adishkti ka vardan jo h mere sath.
Ye bolte hue vritrasur waha se gayab ho sidha pahunch gaya usi karagrah me jaha usne navgraho ko rakha tha.
Kfd :- aao vritrasur aao putri Jyoti jis swarg ki swamini h , us lok k is chote se bhag m swagat h tumhara, lagta h apni bhul swikar ker prayaschit kerne aaye ho
Vritrasur gusse se :- band ker apni bakwas kfd , mere gulamo ko chal se marwa ker tera wo putra kya sochta h ki wo mujhe swargadhipati vritrasur ko prast ker dega .
Haaaatt, use to m esi mot dunga ki mot bhi aagosh m lene se ghabrayegi use.
Devguru. :- swargadhipati ! Iska matlab tumne ye maan hi liya h ki swarg p tumhara Adhikar h .
Vritrasur :- isme manna kya devguru , purn roop se ye swarglok per adhikar h mera.
Swarbhanu :- iska matlab to ye bhi hua ki ye swarglok or iska har ek kona ye bandigrah bhi tumhara ghar hua.
Vritrasur chilate hue :- ha haa , ye pura swarglok or iska har ek kona chahe udhyan ho ya ye bandigrah sab mera h or tum sab mere bandhi .
(Chutki )Or tum kfd apne putra k mrityu ka shok abhi se manane lag jao , kyuki shighra hi mere bhrata uska ant ker dene wale h.
Ye bolte hue vritrasur waha se chala gaya.
Kfd :- mrityu to avashya hogi vritrasur , parantu shok ni utsav hoga , kyuki vo mrityu mere putra ki ni balki apitu tumhari hogi.
(Sabhi graho se ) hey adarniya graho k adhipati , vritrasur ne apni murkhta se humari yojna ko swayam swikriti dedi .
Ab samay aagaya h humari yojna ka aarambh kerne ka , samay aagaya h paap k ant ka yog banane ka.
Samay aagaya h papi vritrasur k mrityu yog banane ka
Kfd k itna kahane k sath hi bandi grah p ek kundli ka nirman ho gaya or shani dev k ishare p sabhi grah apne apne sthan p jaker khade ho gaye or is tarah arambh ho gaya vritrasur k ant ka .
Aaj k liye bas itna hi
Stay tuned.