• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Pyare Rishte - Bhai Bahan Ki Pavitra Prem Ka Ek Safar (part 1 and 2 completed) part 3 in running

Kya story m threesome hona chahiye


  • Total voters
    212
  • Poll closed .

Iron Man

Try and fail. But never give up trying
37,616
94,826
304

Bunny..

🅒︎🅞︎🅞︎🅛︎
1,188
5,107
143
Waiting bhai kitne bje aayega
 
  • Like
Reactions: Aakash.

Iron Man

Try and fail. But never give up trying
37,616
94,826
304

Harry rocks

Well-Known Member
6,912
18,331
189
update no :- 181

Sonam ki prathna sun govind bole


Govind ;- tathastu


Ye bolne k sath hi govind k charo or ek itna alokik or prakashaman tez fel gaya ki mano jese dharti p ek ni balki kayi surya ek sath uter aaye ho.


Or jab wo prakash hata to sonam k samne wo khade the , jiski ek jhalak pane ko gopiya tarasti thi, surdas, mira or raskhan jese kayi mahan atmao ne jin k liye apna purn jivan ka samarpan kiya, jo darshan devo k liye bhi durlabh h, wo parbrahm bhagwan jagdishwer aaj sonam k samaksh the.


Sunder pit varn vastra dharana kiye hue, mor mukut jinka abhushan or unke wo kajarare naino k to kya kahane, or uper se ek madhur muskan jise dekh pathar bhi pighal jaye, esi muskan k dharak apne ishver apne kanha ko apne samkaksh dekh sonam ki khushi ka thikana na tha.


Uske netro se ashru ki dhara thamne ka naam ni le rahi thi or jo uske nishchal man ka pratik the.


Sonam ne bhagwan ki prathna shuru kerni shuru ki.


Sonam :-


Narayanam namaskritya
Naram chaiva narottamam
Deveem sarasvateem vyaasam
Tato jayamudeerayet
Narayanam namaskritya
Naram chaiva narottamam
Deveem sarasvateem vyaasam
Tato jayamudeerayet


Sonam ne jese hi prathna shuru ki to brahamdev samet sabhi dev waha Aasmaan me aagaye aaj sonam k sath bhagwan k darshan or stuti k liye, kyunki aaj yugo baad sabko shri krishna k darshan ka aanand milne wala tha.


Sonam :-




Krishna Krishna hare Krishna hare hare
Sachidananda rupaya, bishwarpatya chiihetave
Napataya binasaya shrikrishnaya Bayam namaha


Srikrishna govinda hare muraari
Hey Nath Narayana basudeva
Pitmat swami sakha hamare(2)
Hey Nath Narayana basudeva
Srikrishna govinda hare muraari
Hey Nath Narayana basudeva


Tum main waas kare jag saara
Tum janani ke udar majhara
Nath chaturbhuj antarjyami
Laghu virat rupon ke swami
Sukhma roop dhar garv padhare
Hey Nath Narayana basudeva
Srikrishna govinda hare muraari
Hey Nath Narayana basudeva


Bandigriha ke tum avtari
Kahin janme kahin pale muraari
Kisike jaye kisike sahaye
Hey adbhut har baat tihari
Gokul main chamke Mathura ke taare (2)
Hey Nath Narayana basudeva
Srikrishna govinda hare muraari
Hey Nath…


Sonam k sath sath sabhi dev bhi bhagwan ki stuti gane lage, aaj sonam ki khushi ki koii sima hi na thi, wo isi drishy se pata chal rahi thi ki wo ek shan bhi ni ruk rahi thi or ab to usne bhajan k sath nachna bhi shru ker diya.


Sonam :-


Din jano ki aas tumhi ho


Bhakto ka vishwas tum hi ho


Hey shrasti sari


Tumhi pe nirbhar


Namami krishnam


Namami krishnam


Bhajo re man hari hari


Mohan murari


Mohan murari


Govind jii giridhari


Sakal dukhari.


E bhajo re man hari hari.


Krishna murari


Sonam ka sath dete hue devo ne bhi gan shuru kiya


Brahama :-
govind anmol h


Gopal anmol


Sab dev :- hari hari bol


Naradji :-


hari bhakti ras k pyase


Tu bhakti ras ghol


Hari hari bol


Indra :- mohan ko dekhna h


to tu anterman khol


Hari hari bol.


Shani apne lok se gate hue :- Bandhe dinanath h bhavna k mol


Hari hari bol, har


Sonam tali bbajate hue


:-


Krishna mururai
Govindmurari
Krishna murari
Hare Mohan murari


Hey bhajo re man hari hari mohan murari × 2



Hare Krishna
Hare krishna
Krishna Krishna hare hare


Hare Krishna
Hare krishna
Krishna Krishna hare hare


Re bhajo re man hari hari
Krishna murari
Krishna murari
Govind giridhari


Re bhajo re man hari hari Krishna hari
Re bhajo man hari hari mohan murari.



Sonam jab tak gati rahi jab tak wo thak ker girne wali na ho gayi.


Lekin govind apne bhakto ko bhala girne kese dete, vo bhi apni us param bhakt ko jo janmo janmo se unki seva ker rahi ho.


Krishna Ji ka sparsh pate hi sonam ki sari thakan shan m. Dur ho gayi.


Tab Shri Krishna bolne lage.


Krishna :- hey putri sonam hum tumhari stuti sun tript or dhany dono hue putri.


Sonam :- dhanya to m hui prabhu, jin chavi ki ek jhalak pane ko bade bade rishi muni , gandarbh yaha tak ki devo ko bhi durlabh h, aaj aapne apni is tuch sevika ko apne pramand us parmand swaroop k darshan kerwa kritarth ker diya prabhu kritarth ker diya.


Krishna :- putri ek baat sadev smaran rakhna koi bhi bhakt kabhi tuch ni hota putri, vo bhakt hi to hota h putri jo apni bhakti se mujhe yani parmeshwar tak ko apne adhin ker leta h .


Ye bhakt ki yani tumhare prem ki hi to shakti h putri jo hum tumhare liye ek baar fir mrityu lok m dode aaye


Putri aaj tumhari prathna se keval hum hi ni brahmlok. Samet pura devlok bhi prasan h kyunki mera ye Swaroop jo. Devo k liye bhi durlabh h, aaaj tumhare kaaran hi unhe bhi mere is swaroop k darshan prapt hue


Ye tumhari hi bhakti ka prabhaav h putri ki aaj pura devlok bhi mrityulok m uter aaya tumhari madhur vani se humari stuti ka shravan kerne hetu.


Shrikrishna ki baat sun sonam heran ho idher udher dekhne lagi, jese wo bakiyo ko khoj rahi ho, tab Shri Krishna muskurate hue bole.


Shrikrishna :- putri manushya lok m janm hone k kaaran humari maya ne tumhare netro p ek parda dal diya h jis kaaran tum un sab ko dekh ni parahi.


Parantu humare is swaroop k darshan matra se hi manushya p se humari maya ka prabhv nasht ho jata h.


Isliye hey putri hum tumhe divydrishti pradan kerte h, jisse tum bhi is alokik drishya ka aanand le sako.


Ye bol shri Krishna ne apna hath var mudra m kiya, jisse ek roshni nikal sonam k netro m samane gayi.


Krishna :- ab pryatn kero putri


Sonam ne Krishna k kahane pe ek bar fir apni drishti ghumati h to uski khushi or herani ki sima na rahati kyunki unhe brahma ji samet sabhi dev najar ane lage jo shri Krishna k samksh hath jode khade the.


Sonam. Ne sab ko pranam kiya, sabhi devo ne sonam ko aashirvaad diya


Sonam krishna charno m gir :- hey govind hey dinanth aaj mere pass shabd ni h prabhu apni khushi ko vyakt kerne ka prabhu, jin sachidanand ki mane sadev puja ki, jinki vandana ki aaj vomere smaksh h, aaj mera jivan sarthak ho gaya Prabhu, sarthak ho gaya, ab mere man me koi bhi icha koi bhi moh ni raha prabhu.


Yu pratit h prabhu jese mera samay purn hua, mere prabhu mujhe moksh dilane aaye h


Tabhi waha shami dev prakat ho bole.


Shani :- manushya ko jab hi moksh prapt hota h putri jab vo apne karmo ko nishkam bhav se purn ker le, yahi prabhu ka aadesh or gita ka saar h


Yah bol shani ne shrikrishna k sath baki sab devo ko pranam kiya, karmfal data ko bhi sab devo ne pranam kiya.


Sonam :- bhagwaan karmfal data aap, sevika ka pranam swikar kare prabhu.


Shani :- sada sobhagywati bhavah putri, tumhare man me jo moksh ki icha ki kanna uth rahi h putri wo swabhavik h putri, parantu satya yah bhi h h ki putri abhi uska samay ni aaya.


Shrikrishna :- shaneshwer ne uchit kaha putri, is sansaar m sabse mahan or sabse balvan karm h putri, or karmo se vimukh ho moksh ki prapti ni ho sakti putri.


Shani :; unhi karmo ka bhan kerwane aaj fir ek bar kokilavan ki bhumi per tumhe yaha prabhu laye, taki jaha se ye ghatna karm ka aarambh hua vahi se tumhe tumhare jivan ka rahasya gyaat ho putri swarna.


Shrikrishna :- ha putri swarna, samay agaya h tumhare pichle janm me praapt hue vardano k purn hone ka.


Sonam khushi se :- kyaa


Krishna :- ha putri jesa ki tumhe shani dev ne vardaan diya tha, shani dev ka ansh manav roop m avatar le chuka h, jo or koii ni putraa karan hi h, jise humari khi lila k kaaran tumhari bhet hui or tum swatah hi unhe apna ardhang man li.


Sonam ye sun khush ho gayi ki karan hi vo h jiska chunaav usne pichle janm m kiya tha, lekin uske man m shankaye bhi utpann hui.


Sonam :- prabhu, hey krunanidhan, aap satya m hi daya k sagar h, apne bhakto p aapka prem usi bhanti rahata h jese ek pita ka apni. Santaan pe, aaap satya m dayasindhu h jinhone apni is bhakt na ki keval sadev laaj rakhi, apitu apni kripa se uske prem ko bhi mila diya


Hey dayanidhan aapke darshan or margdarshan k kaaran aaj aapki is bhakt k sabhi sanshy dur ho gaye , m kitni murkh thi jo apne us sobhagya se sirf is bhay se bhag rahi thi ki bhawishya m mera prem bat jayega ya unka mere prati prem khatam ho jayega.


Parantu satya to ye h ki ye bhay to bilkul nirarthak tha, kyunki jo prem jo jivansathi mujhe saksat swayam prem swaroop govind k aashirvaad se praapt hua vo bhala kese khatm ho sakta h.


Hey dayanidhan aapne apni is putri k sabhi sanshyo ka nivaran ker use jo dhany kiya uske liye use koti koti naman prabhu.


Parantu prabhu ek shanka sbhi bhi h jiska nivaran kerne ki kripa kare kripa sindhu, yadi ye sab aapki icha se hi hua to aapne unko mere jivan me unko us rishte k roop m kyu laye prabhu jis roop me humara milan samaj k niyamo k vitudh bhi h or or shastrath anusaran anuchit bhi.



Shrikrishna :- tumhara ye prashna uchit h putri ye niyam virudh h parantu kabhi kabhi sthiti esi utpan ho jati h k swayam ishwer ko bhi niyati k anukul evam dharm ki raksha k liye niyamo ko todna todna hi padta h.


Esa hi kuch is samay hua h, dharm ki raksha k liye hi bhagwan mahakal ki icha or niyati ki mang k kaaran hi na keval tumhari apitu karan k jivan m aane wali pratyek kanyao ka yahi bhagya nirdhaarit hua h.


Esa kyu wo hum tumhe abhi gyaat kerwate h.


Ye bol shrikrishna ne ek baar sonam. K sir p hath phera, jiske sath hi sonam ko sab gyaat hone laga, kis prakar karna ka janm hua or kyu uska yahi bhagya h, jo hume aage pata chalega.


Jiske gyaat hote hi sonam K sab sanshy dur ho gaye or use ab apni galti ka bhi ahasas hone laga ki kese usme karan se rude behavior kiya or kese karan K ganva jate samay usne usse thik se baat bhi ni kari .


Jis kaaran ab uske man me paschatap or karan ki yaad m aansu aane lage.


Shrikrishna :- royo mat putri jo hua use bhul jao or aane wale apne navin or ujval bhavishya ka swagat kero.


Sonam ansu pochte hue :- ji, ab mere liye kya aagya h prabhu.


Shrikrishna :- Hey putri sonam ab samay aagaya h us wardaan K purn hone ka jo tumhare pichle janm me humne diya tha, hey putri tumhari bhakti keval tumhari hi shakti ni parantu tumhare premi or usse jude pratek priyjan K lie ek abhedya kavach h, jise swayam kaal bhi ni tod sakta.


Shani :- ha putri, or aane wale samay m putra karna p ek bahut hi bada sankat aane wala h putri jisse raksha keval ab tumhari ye bhakti roopi kavach hi ker sakta h


Sonam dar K :- kya mere bhaiyaaa pe sankat.


Shani :- ha putri isliye hi to prabhu ne ye lila ki h taki tumhara tumhare satya se prichay ho or tum apne bhai K pas pahuch sako unki raksha hetu.


Sonam :- yadi esa h to mujhr jald hi yaha se prasthan kerna hoga prabhu


Shrikrishna :- jesi tumhari icha putri.


Ye bol krishan muskurane lage, sonam k man m ek icha abhi baki thi, jise kahane se wo hichkhicha rahi thi, jise shrikrishna jan gaye or bole.


Shrikrishna :- sankoch mat kero putri, man m koi or icha h to mang lo.


Sonam :- bhagwaan yu to aapke darshan K baad koi kam na shesh rahana asambhav h, per is manav hriday ka kya kare, ye to apke prem ko apna adhikaar hi samjh betha h.


Krishna :- yahi to ek adhikaar h putri jiske hum bhi adhin h, mango putri nisankoch mango.


Tab sonam ne apni icha vyakt ki jise shrikrishna ne haste haste swikar kiya or bole


Or fir ek baar prakash fela, or fir saamne aaya narayan ka wo swaroop jisko dekh sakshat yogmaya bhi vashibhoot ho gayi thi, jin darshano K liye to sakshat mahadev bhi dode dode yashoda K ghar aaye the, bhikshuk K roop me

images


Vahi bal gopal ladoo gopal k swaroop m giridhari aaj sonam k samksh the, jiski aaj tak sonam ne seva ki.


Yahi prathna sonam ne shrikrishna se ki thi ki vo unhe us roop ka darshan de jis roop m usne unki seva ki.


Sonam K muh se aapne aap surdaas K bade hi sunder pad nikle.


Sonam :-


सोभित कर नवनीत लिए।



घुटुरुनि चलत रेनु तन मंडित मुख दधि लेप किए॥



चारु कपोल लोल लोचन गोरोचन तिलक दिए।



लट लटकनि मनु मत्त मधुप गन मादक मधुहिं पिए॥



कठुला कंठ वज्र केहरि नख राजत रुचिर हिए।



धन्य सूर एकौ पल इहिं सुख का सत कल्प जिए॥

Isi prakaar nana bhanti ki stuti ki sonam ne shrikrishna ki tab shrikrishna ne unse kaha


Krishna :- hey putri tum dhany ho humare baar bar kahane per bhi keval tumne bhakti hi mangi, fir bhi hum tumhe kuch dene ki icha rakhte h, parantu samjh ni aata ki hum tumhe kya de.


Akhand sobhagywati or ajarta ka var to tumhe prabhu shiv se pahale hi praapt h , or maa sarswati ki kripa se tum sarvgun sampan ho, lekin hum tumhe ye vardaan dete h ki jab tum apne karmo ko purn ker is mrityu lok ka tyag krogi, tab na dandnayak K sath tumhara naam bhi amar ho jayega is mahan katha m apitu, marnouprant tum. Humare hi prem swaroop golok m nivas karogi humari priya sakhi ban ker.


Ye sun sonam ki aanand ka varnan ka kerna mere liye bhi sambhab ni tha aaj sonam. Ko wo pad mil gaya tha jo kisi virle ko hi prapaat hote h, swayam. Prabhu K lok m nivas vo bhi Krishna ki gopi uski sakhi K roop m.


Sonam ne prathna K sath dhanyavaad ker prabhu ko naman kiya.


Shani :- putri pichli baar ki bhanti hum bhi tumhe ek vardaan dete h


Tab shani ne ek var dete hue usko dene ka kaaran bhi sonam ko bataya jise sun ek baar sonam. Gambhir hui per fir shani dev ko bhi usne dhanyavaad kiya or shani samet fir sab devo ko pranam ker vida di.


Fir shrikrishna bhi wapas gawale K roop m aagaye or reema K samne wahi sab natak kerne ko sonam se kaha kyunki wo khud sonam ko apni nagri se vida kerna chahte the.


Fir govind samet sonam wapas waha pahunche jaha reema thi, usne sonam se pucha ki wo kaha chali gayi thi, tab sonam ne use koi bahana bana diya or fir govind samet tino jan waha se nikal gaye.


Wahi duri or


Karan or rohan ki baat K baad kuch khas na hua, raat ko sab dinner ker rahe the tab karan ne dekha ki rohan table p mojud ni h.


Kavya :- are riya beta rohan kidher h.


Riya :- aunty wo bhai aaj apne room m hi khana khayega uski tabiyat sahi ni h.


Mane uska dinner kamre m pahuncha diya h.


Kavya :- are ye bhala koi baat hui, or tum bhi beti mujhe ab bata rahi ho, ruko m doctor ko bulati hu.


Riya :- ni aunty iski koi jarurat ni h, mane use medicine to dedi or bola bhi ki wo niche aajaye, per wo mana hi ni.


Rajiv :- koi baat ni beta uska man ni h or tabiyat sahi ni h to use aaram kerne do


Rohan ki achanak se tabiyat ko kya hua ye soch sab pareshaan the, lekin sach baat to karan hi janta tha, wo bhali bhanti janta tha ki rohan esa kyu ker raha h per wo kuch na bola.


Lekin karan K manobhavo ko bhi waha mojud ek shaks samjh rahi thi jo or koi ni uski shakti uski jyoti hi thi.


Dinner K baad karan jab apne room m aaya to dekhta h ki ye kya jyoti muh fulaye dusri or muh kerke leti hui h.


Jise dekh karan chonka fir pyaar se jaker bola.


Karan :- are kyaa bat h bhai, aJ to meri gudiya itni jaldi so gayi, bina mujhse baT kiye.


Jyoti :- mujhe nind aarahi h, sone dijiye, or mujhe aapse baat ni kerni.


Karan :- are baap re ita gussa, acha meri jaan mujhse kyu gussa h bhala.


Ye baat kerkerte hue usne pyar se jyoti ko apni or ghumaya ,


Jyoti :- aPki gudiya aapse isliye gussa h , kyunki aapne bina vajah mere rohan bhaiya ko danta.


Karan :- mane rohan ko kab


Jyoti :- bhai, aap fir se mujhse jhut bole ye jante hue bhi ki aap mujhse kuch ni chupa sakte, or wese bhi aaj chat per jab aap rohan bhai pe gussa ker rahe the mane sab suna bhi or dekha bhi.


Ji ha dosto un char ankho m se 2 ankhe jyoti ki thi, rohan or karan K piche piche wo bhi aa gayi thi.


Karan :- oh to tumne sab sun hi liya, fir bhi tum mujhse ye bol rahi ho gudiya ki m bevajah gussa hua, jabki aaj rohan ki jara si asavdhani K kaaran kitni badi anhoni ho sakti thi.


Jyoti :- ha manti hu bhai jo hua vo bahut bada sankat tha, lekin usne rohan Bhai ka kya dosh bhai, aapne suna ni chalawa bahut hi chalak or chal ka maharathi h, uska chal ko samjhna bahut hi durbhar h or uski koi urja bhi ni h jisse uska bhan ho jaye.


Karan :- per


Jyoti :- per wer kuch ni bhai, so baat ki ek baat jo hua usme rohan bhai ki koi galti ni, aapko unpe gussa ni kerna ni chahiye tha.


Or ese to jo galti aap ke hisab se rohan bhai ne ki wo mane bhi to ki na bhai, mere hote hue bhi chalawa komal ko leker chala gaya, to mujhe bhi datiye.


Jyoti yaha apna vo roop m thi, jo vo jab dharn kerti thi, jab karan se jane anjane m koi galti ho jati thi, tab wo use ek badi bahan ki tarah samjhati thi, yani ek badi bahan K roop m.


Karan :- hmm, tumne bilkul sahi kaha gudiya m kuch jyada hi gussa ker gaya rohan per.


Per fir bhi rohan ko kamse kam chalawe ki jo information mili thi, wo to hume deni thi na taki hum satark ho sake.


Jyoti pyaar se karan gal sahalate hue :- mere pyaare bhaiya ha manti hu yaha unki gyi thi thodi, per is vishay m bhi unhe puri tarah se doshi taharana uchit ni.


Aap khud hi sochiys bhai ki jabse hum yaha aaye tab se hume moka hi kaha mila unse ekant m baat kerne ka, balki wo to puri kosis bhi ker rahe the hume batane ki lekin family problem ki vajah se kya hume wo moka mila.


Karan galti ka ahasas kerte hue nam ankho se:- tumne sahi kaha gudiya jo bhi ho mujhe rohan p chilana ni chahiye tha, mana ki mujhe komal ki chinta thi, per m itna swarthi kese ho gaya ki apne bhai jese dost p chila betha yaha tak ki uske ansuo ko najarandaaj ker betha.


Jyoti pyar se :- ssssh bhai rote ni shant ho jaiye, galti sabse hoti h, lekin jo galti ko swikar kare wahi to mere bhai jesa mahan hota h.


Jo hua use bhul jaiye bhaiya or subah unse mafi mang lena.


Karan :- ni gudiya subah ni m abhi usse mafi mangne jaunga, m. Us pagle ko janta hu, usne riya di ko bevkuf to bana diya hoga per mujhe ni bana sakta, us pagle ne ab tak khana bhi ni khaya hoga.


Ye bol karan uth ker rohan k room p jaker knock kerta h.


Riya gate kholte hue :- are bhai tum is waqt koi kaam tha.


Karan :- ha di wo darasl jyoti aapko bula rahi thi.


Riya :- ok bhai,


Ye bol riya waha se chali gayi, tab karan rohan k pas jata h to pata h ki rohan udasi k sath chat ko ghur raha h use bilkul abhas na hua ki karan aaya h.


Karan :- rohan


Karan ki pukar sun rohan hosh m aata h or karan ko dekh.


Rohan :- are bhai tum, aao khade kyu ho betho naa.


Karan rohan k side m bethste hue


Karan :- rohan mujhe tumse subah hui ghatna k baare m baat kerni h


Rohan subah ki baat sunte hi phir se rone laga or wo karan se mafi. Mangte hue uske per pakadne laga.


Karan use rokte hue :- are bhai ye kya ker raha h Tu pagal ho gaya.


Rohan :- bhai please manta hu please maaf ker de, hey swami apne apne is sevak ko maf ker do, chahe dand dedo mujhe hey dandnayak parantu apne is sevak se apna muh mat modi swami muh mat modo


Karan use chup kerwate hue :- chup bilkul chup, pahale meri baat to sun.


Rohan shant ho gaya.


Karan nam ankho se :- bhai tujhe mafi mangne ki koi jarurat ni jo hua usme tera koi dosh ni.


Balki m tujhse mafi mangne aaya hu bhai, m kuch jyada hi tum per gussa kiya, ye jante hue bhi ki mujhse jyada glani to tumhare dil m ho rahi hogi jab tumhe komal k sath hui ghatna ka pata chala hoga.


Fir bhi mane apne bhai pe chilaya use kya kuch ni kaha, please mujhe maaf ker de bhai.


Ye bol wo rohan k hath jodne laga, lekin rohan ne use esa kerne se rokte hue apne sine se laga liya.


Fir dono bhaiyo ne kafi der yu hi milker gile shikwe dur kiye.


Karan ne apne megic se khana mangwaya or bola.


Karan :- ab to khana kha le mere bhai


Rohan :- mane khana kha liya h bhai.


Karan :- chal chal abe tu , mathe pe c likha h kys mere, chupchaap khana kha verna meri mar khayega.


Ye bol karan rohan ko apne hatho se khana khilata h or fir kuch der k baad riya wapas aajati h or karan bhi khusi khusi apne room m lot ker sari bate jyoti ko batata h jise sun jyoti bhi khush hoti h


Or fir thodi der dono bhai bahan pyaar bhari baate ker so jate h.


Agli subah karan or sabhi breakfast ker rahe the tabhi Kaya karan se boli.


Kaya :- karan ji, jara jara namak to pas kerna.


Karan :- ha lo na Kaya ji.


Kavya :- are Kaya beta, aapse ek baat puchu.


Kaya :- ji puchiye.


Kavya :- beta karan or tum dono almost ek hi age K lagte ho to tum unhe ji kahke kyu bulati ho.


Or ye karan bhi esa hi kerta h.


Kaya abhi kuch bolti tabhi jhumki ko ek sharart sujhi.


Jhumki :- aunty didi ni batauegi unhe sharm aayegi aap kahe to m batau.


Kavya :- are isme sharmane wali kya baat h.


Karan samjh gaya ki ye jhumki koi karamat karegi.


Karan usko chup karane K liye :- jhumkiiiiii, chupchaap apna breakfast kero.


Kavya :- are kyu batane do na use jara hum bhi to jane


Jhumki karan ko jibh chidate hue :- ab to m pakka bataungi.


Jhumki :- aunty darasl baat ye h na ki humari Kaya didi h na wo karan bhaiya ko like kerti h bahut jyada , isliye wo humesha ji lagake hi unhe bulati h.


Kaya or karan ka ye sunke to muh khula ka khula rah gaya.


Kavya :- kyaaa


Jhumki haste hue :- aajkal bhai ko dekh ker lag raha h unka bhi same hal h


Kavya haste hue pyaar se :- are wah lalla tu to bada chupa rustam nikla mere liye bahu dhund li or mujhe bataya bhi ni.


Karan :- choti maa esa kuch ni h


Kavya :- tu to ab kuch bhi mat bol, mujhe jara apni bahu se baat kerne de.


Kyu beti ye sach bol rahi h kya jhumki


Kaya to bichari pani pani ho gayi thi use samjh ni aaraha tha ki wo kya bole .


Kavya :- vese mamna padega jyoti tumhare bhai ne kitni sunder bhabhi dhundi h tum sab k liye.


Radha majak me :- aapne sahi kaha mami, hume kaya didi uoh sorry Bhabhi pasand aagayi h.


Kyu bahano


Sabhi hate hue ek sath.


Yessss


Shivani :- ha mumma aap to jaldi se ab pandit ji ko bula ker muharat niklwa hi lo , hum to kabse exited h bhaiya ki shadi m dance kerne k liye.


Isike sath karan ki sari bahan kaya kaya bhabhi ker use chidane lagi.


Karan:- bhabhi ki bachiyo Tumhe m batata hu.


Ye bol karan unki or doda per sabhi use chidate hue bhag gayi.


Karan kaya se :- maaf kerna kaya meri bahane bahut masum h wo yu hi sabse majak kerti rahati h.


Kaya sharmate hue :- koi baat ni karan ji, mujhe bilkul bura n laga.


Kavya :- are wah lala abhi se apni wife ki itni care


Karan :- kya choti maa aap bhi, humare bich esa kuch ni h kaya bas meri ek bahut hi achi friend h .


Kavya :- or bahut pyari bhi (kajal ka tika kaya k lagate hue) najar na lage kisi ki itni pyari bachi ko.


Vese Kaya beta aapke mummy papa kya delhi hi rahate h, kya kaam kerte h vo.


Mummy papa ka naam sun kaya udas ho gayi, tab karan ne kavya ko kaya k anath hone ki baat batayi or ek jhuti kahani bhi ki wo use delhi mili thi, jaha use job ki talash thi tab karan ne use job di or use apni best friend bana liya taki use akelaapan mahasus na ho.


Kavya ko bhi kaya k bare m jan bahut dukh hua or usme ko sahanubhuti di.


Kavya lunch k baad kaya ko apne sath le gayi, or aman bhi jhumki k pas chala gaya, rohan ko karan ne kuch pata lagane bahar bhej diya tha or fir wo gaya komal k room m


Komal karan ko apne room m aaya dekh bahut khush hui.


Komal :- are bhaiya aap.


Ye bol wo uthne ko hui per karan ne use roka or uske hal chal liye .


Karan :- kesi h meri gudiya, ab dar to ni lag raha na.


Komal :- bilkul ni bhaiya, or aapne hi to kaha tha ki ache logo ko kabhi darna ni chahiye.


Karan :- very good mera bacha.


Karan se fir komal firse uski shaktiyo k bare m puchti h to karan ne kuch bate jese uski bahano se sambandh ko chupa sab batata h.


Komal :- to bhaiya aap is brahamand k rakshak ho, aap bhagwan ji ho.


Karan :- ni beta m bhagwaan ni unka ek doot hu.


Komal :- bhaiya aap bhagwan ji ko jante hom na or unse mile bhi ho to kya mera ek msg aap untak pahuncha doge please.


Karan komal k bholepan ko dekh muskurate hue :- ha kyu ni beta bolo.


Komal :- bhaiya aap bhagwaan ji se please bol do na ki wo mummy ki ko samjhaye ki wo roye na


Karan chonk k :- kya chachi roti h kab or kyu.


Tab komal batati h ki kabhi kabhi nidhi uske sath soti h to kayo bar usme apni maa ko rote hue dekha h


Karan man hi man :- chachi taklif me h or mujhe is baare m pata hi ni kesa beta hu m, m jarur kuch karunga komal, ab unka beta unhe kabhi rone ni dega.


Karan :- ha pakka beta or kuch bolna h.


Tab jo komal bolti h use sun karan ko rona
Aagaya.


Komal :- bhaiya or bhagwaan ji se ye bhi bolna na please mere per thik ker de.


(Nam ankho se) bhaiya meri vajah se mummy papa ko bahut taklif hoti h, wo kahi aaja bhi ni sakte or to or mujhe sab school m bhi chidate h bhaiya, please bhagwaan ji ko bol do ki mere per thik ker de taki m bhi apne mummy papa ka sahara ban saku.


Rote hue karan ne jhat se komL ko gale laga bola :- jarur bolunga meri gudiya dekhna m bhagwaan ji se karke jaldi tumhe thik kerwa dunga, fir hum. Milker ek sath khub khelenge.


Komal :- bhaiya aap please mat ro na, verna m bhi ro dungi.


Karan :- ni meri bachi ab rone ka ni ab to khushiyo ka waqt aame wala h, ab dekhna apke bhaiya kese firse is ghar ki sari khushiyaan wapas late h


Ye bol karan kuch der komal k sath bitata h or fir use sula ker apne room. M aata h jaha koi ni hota, kyunki jyoti baki sabhi bahano k sath thi.


Karan :- meri gudiya tera bhai apna vada jarur nibhayega, ishwer ko tumhe thik kerna hi hoga, uske liye tera bhai kuch bhi karega.

or komal ko thik keval wahi ker sakte h, jinki is vishay m maharath hasil h , or to is vishy m gyan k mamle m ve braham dev samman h, or unke liye koi bhi rog ka upchar na hi asadhya h


Ye bol karan ne apni ankh band ki or kiskika ahavahan kerne laga.


Karan k avhan k sath hi wo shaks prakat hote h jinka nam h..........




Aaj k liye bas itna hi


Stay tuned

note :- friends manta hu aaj ka update thoda chota h per ek chota sa challenge h aap sabko , ager karan ne kiska vaahan kiya h, ye kisi ne sahi guesss kiya to kal hi rat ko ek or update dunga ye promise h mera

tab tak k liye stay tuned
 
Last edited:
Top