• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Pyare Rishte - Bhai Bahan Ki Pavitra Prem Ka Ek Safar (part 1 and 2 completed) part 3 in running

Kya story m threesome hona chahiye


  • Total voters
    212
  • Poll closed .

Harry rocks

Well-Known Member
6,912
18,331
189
Update no :- 140
Jese jese samay bit raha tha , karan ka krodh bhadte hi ja raha tha , jiske kaaran ab rasatal me pralay jesi sthithi utpan ho gayi thi.

Jwalamukhi fatne lage the ,dharti me dararare aane lagi thi , nadi ja jal star itna bad gaya tha ki baad aagayi thi.

Jhumki rote hue :- bhai please shant ho jaiye ,ni to apko kuch ho jayega.

Karan :- to ho jane do , ni chahiye mujhe esa jivan jisme mere sath meri jan ,meri aatma, meri bahan jyoti mere sath ni , ho jane do is sansaar ka ant jisne aaj mujhse meri jyoti ko china h.

Ye bol karan ne ek jordar garjana ki ,jisse ek bhayanak tufan sa waha aagaya.

Jhumki or kaya to us tufan ki chapet me aaker ud jati ,lekin tabhi aman ne ek hath se jhumki to dusre hath se kaya ko pakad unhe sambhala.

Aman ashyay mahasus kerte hue :- kitna abhagi hu m , jisne pahale apne mata pita ko kho diya or aaj us dost ne jiske kaaran mujhe or meri Bahan ko nayi jindagi di , aaj m uski bhi raksha ni ker paya .

Isliye m rasatal ka raja aman ye pran leta hu ,Yadi aaj mere dost or meri muh boli bahan jyoti ko kuch hua to m bhi apne pran tyag dunga.

Aman k is pran se jhumki ghabra gayi or aman k gale lag k rote hue boli.

Jhumki :- ni bhai kamse kam aap to esa na boliye , jo kuch hua usme aapki koi galti ni thi.

Aman :- jhumki galti to meri h , ek raja or ek dost hone k nate jyoti ki suraksha ka dayitv mujh per tha ,jise m na nibha saka ,jiski saja yahi h.

Jhumki or kaya ne aman ko bahut samjhaya ,lekin aman ab pran ker chuka tha

Wahi dusri or


Location :- karan house.

Radha ki sachai janne k baad sabka mood off ho gaya tha , isliye sabhi apne apne ghar ko lot aaye the jald hi , shivani or kavya ko raste m kuch kaam tha isliye wo ruk gayi thi or sonam ko rohan ne ghar chod diya tha.

tabhi yaha karan k krodh ka parinam dikhna aarambh ho chuka tha.

Kyunki achank se hi bahut hi tez barsat k sath yaha toofan aana shuru ho gaya tha.

Jiske kaaran charo or hadbadi si mach gayi thi , log bhage bhage gharo m ja rahe the.

Kavya jo abhi abhi shivani k sath ghar loti thi vo bhi achanak se aaye mosam me is badlav ko dekh chonk gaye.

Kavya :- hey bhagwan achanak se ye mosam ko kya ho gaya , abhi to bilkul suhavana mosam ho raha tha or achanak se ye tufan

Tabhi achank se ek bijli kadki jiski aawaz se shivani dar gayi or apni mummy se chipak gayi.

Kavya pyar se uske sir p hath pherte hue :- are mera bacha itna kyu dar rahi ho jara si bijli hi to h.

Shivani apni maa k chipke hue hi sahmi si boli.

Shivani :- mumma mujhe dar lag raha h , kayi achanak se esa mosam change hona kisi anhoni ka to ishara ni ker raha.

Shivani ko dil se lag raha tha ki kuch to jarur bura hua h , esa hi kuch haal kavya ka tha, use bhi kisi anhoni k hone ka ahasas ho raha tha or sath me hi use apne dono bacho (karan or jyoti) ki chinta bhi sata rahi thi.

Lekin shivani k samne wo sab in baato ka jikra ni kerna chahti thi , isliye wo boli .

Kavya :- ni beta esa kuch bhi ni h , ye to bas mosam me change hua h , or ye dar wagerah sab aap jo horror movies dekhti ho na usika natija h , kitni baar bola h ye sab mat dekha kero per Tum ho ki manti hi ni .

Chalo ab aap jaldi se jaker fresh ho jao m dinner ready kerti hu itna .

Shivani ko apne kamre me bhejne k baad kavya sonam k kamre m jati h ye tasali kerne ki uski dusri beti to sahi salamat h na.

Lekin ye kya sonam to apne kamre m h hi ni, jiske kaaran kavya thodi si ghabra gayi.

Lekin tabhi use ghar k puja ghar se kuch aawaz sunayi di , jab kavya ne waha ja ker dekha to sonam wahi per thi or apne kanha ki puja me lagi hui thi.


Kavya :- are sonam beta aap is samy yaha ,aapki sham ki puja to kafi der pahale hi ho chuki thi na.

Sonam :- ji maa , per na jane kyu man ashant sa ho raha h or meri bachpan se yahi aadat h jab bhi mera man ashant ho ya ghabraye to m apne kanha se baate ker leti hu .

Kavya :- acha man to mera bhi ashant h , chalo esa kerte h dono maa beti mil ker baate kerte h.

Ye bol kavya bhi sonam k sath beth gayi.

Sonam ko bhi baar bar kisi anhoni ki aashanka ho rahi thi , use baar bar esa aahasa ho raha tha ki uske bhiya or di kisi musibat me h, lekin vo ye baat choti maa ko bata ker pareshan ni kerna chahti the.

Sonam man hi man :- kanha ye bar bar mujhe kese manhus ahasas ho rahe h , kyu baar baar esa lag raha h ki mere bhaiya or didi kisi bahut badi musibat me h.

Ager esa h to kanha please mere bhiya or didi ki raksha kerni hogi kanha , kyunki tere bhakt ka un dono k alawa koi ni h kanha.

Tumhe apni is bhakt ki bhakti ki kasam kanha , tumhe mere prem ki raksHa kerni padegi kanha , raksha kerni padegi.

Esa hi kuch haal radha , ridhima or shivani samast sabhi karan ki bahane or uske apno ka tha , sabhi ko kese n kese kisi anhoni ka abhas ho raha tha ,Unka dar is baat se or bhi jyada bad raha tha ki karan or jyoti dono ka hi phone ni lag raha tha ,isliye sabhi apne bhai or di ki salamati ki dua ker rahi thi.




Sonam or karan ki baki sab bahano ki ye sachi pukar shayad ishver ne sun li thi , kese aaiye dekhte h.




Location :- yam lok

Jyoti ka ant samay nikat aachuka tha , isliye yamraaj ne apne 2 doot bheje the jyoti k praan harne , or unhike lotne ka intezaar ker rahe the yam ki tabhi....

Wo dono yamdoot bhagte hue unki halat esi thi ki jese unhe kisi ne marker bhagaya ho.

Yamraj :- tum log yaha khali hath , tumhe to humne jyoti k praan harne ko bheja tha , or tumhari ye hahalat kisne ki.

Tab un yamdooto ne bataya ki jese hi unhone jyoti k pran harne k liye apna fash feka to unko bahut hi bhayanak bijli ka jhatka laga , jinse un logo ki ye halat ho gayi or agle hi pal jyoti k charo or itna tez fel gaya ki ager wo kuch der or waha rukte to andhe ho jate.

Yamraaj krodh se :- ye jarur us karan ki maya hogi , mana ki wo is sansar ka rakshak h , parantu usne yam k karya me badha dalne ka dudusahas kiya h .

Ab to hum swayam khud uski jyoti k pran harne jayenge.

Ye bol yamraaj waha se gayab ho gaye.

Wahi vaidya k ghar me jyoti besudh padi hui thi , tabhi waha ek laal roshni chamki or usike sath waha prakat hue sakshat kaal dev yani ki yamraaj.


Yamraaj jo apne kaal swaroop me aachuke the , vo bhaise pe swar the or unke ek hath me gada to dusre hath me unka yampash tha.
20-23-05-images.jpg


Yamraj jyoti ki atma se :- utho jyoti , tumhara ant samay achuk h , isliye hum yani ki swayam kaal tumhe lene aaye h , ye sansar ka moh tyag humare sath chalne ko sajj ho jao.

Lekin jyoti k sharir m koihal chal na hui , yamraj ne apni baat baar bar dohrayi, per kuch na hua to yamraj gusse se bole.


Yamraj :- hum antim baar kah rahe h jyoti utho , anyatha hume apne yampash ka upyog kerna hoga.

Kuch na hota dekh yamraj krodh se bhar gaye or unhone jyoti ki aatma ko khichne k liye apna yam padh uski or pheka.

Per ye kya jese hi yamraj ka pash jyoti k nikat pahuncha to usse kuch door pe wo atak gaya.

Yamraj herani se :- asambhav ye kesi maya h , jisne humare pash ko bhi rok liya , ye rakshak ki shakti to bilkul ni ho sakti kyunki rakshak ki purn shakti jagrit hone me abhi samay h , fir ye kese sambhav h.

Yamraj ne apne pash ko khichne ki kosis ki to tabhi waha kuch esa hua ki jisse yamraj ki ankhe fati ki fati rah gayi


Yamraj ne dekha ki jyoti k charo or ek bahut hi shaktishali kavach bana hua h , jiski shakti k aage yamraj ki puri shakti bhi kuch ni thi.

Or tabhi achanak wo hua jiski yamraj ki kalpana bhi ni ki thi , jyoti ka wo kavach achanak se chamka or us kavach ka roop badal gaya ,jise dekh yamraaj ki halat kharab ho gayi .

Kyunki kavach apne asli roop me achuka tha ,jo or kuch ni is brahmaand ka sabse shaktishali ashtra me se ek shri hari narayan ka amogh sudarshan chakra tha .
19-59-04-giphy.gif


Yamraj chonkte hue :- asambhav ye kese sambhav ho sakta h , is ladki ki suraksha swayam sudarshan chakra ker raha h , ese me to mera jyoti k pran haran kerna asambhav h.

Tabhi yam k man me shri hari ki aawaz gunji.

Narayan :- yamdev

Yam man hi man :- pranam prabhu.

Narayan :-. Yamdev ye aap kesa anarth kerne ja rahe the , kya aap bhul gaye the ki jyoti kon h .

Yamraj :- parantu prabhu m to keval apne kartavya ka palan ker raha tha , jyoti ka ant samay aachuka h , to mujhe unke pran haran to kerne hi honge na.

Narayan :- kisne kaha Apse ki jyoti ka ant samay nikat aachucka h ,abhi to jyoti ko apne bhai k sath mil ker is prathvi ko paap mukt ker apne jivan ka udeshya purn kerna h .

Ager in sab bato ko bhi darkinar ker diya jaye to fir bhi kya aapke bhrata karmfal data shani ne aapko sanket diya ki jyoti ki aayu purn ho chuki h ,jinka karya h manushya ki shwaso ki ginti kerna.

Ni na fir aap kese itni shighra is nirnay per pahunch gaye.

Yamraj ko apni bhul ka ahasas hota h or wo narayan se shama mangte hue antardhyan ho gaye.

Wahi baikunth lok me

Ye sab najara dekh lakshmi ji nd narayan se pucha.

Lakshmi :- swami ye kesi lila h aapki jo aapne sonam ki ek pukar pe jyoti ki raksha k liye sudarshan ko bhej diya.

Ha manti hu swami ki jyoti koi sadharan kanya ni h , parantu fir bhi aaj se pahale to aapne esa kabhi na kiya fir aaj kese.

Narayan :-. Devi bhagwan to apne bhagat k vash me hote h , bhakt chahe to apni bhakti k madhyam se kya kuch ni kerwa sakta .

Vesa hi aaj sonam k sath hua , usne sache hriday se humse apne bhai bahan ki raksha ki guhar ki to hum kese ansuna ker sakte the .

Or rahi baat aapke is prahn ki ki humne pahale ese kyu ni kiya uska uttar to bhavishya me mil hi jayega aapke samet pure sansaar ko .

Parantu ek baat na to aapne na hi humari is katha k pathko k dhyan me aayi ki mahadev ne karan or jyoti se kaha tha ki karan k jivan me jitni bhi uski premika aayegi , unka karan se koi na koi sambhandh avashya hoga .

Parantu sonam jo khud karan se asim prem kerne lagi h , wo to khud anath h , fir uske man me karan k prati prem bhav kese uttpan hua.

Lakshmi :- hmm apka kathan to uchit h swami , thahriye m abhi apni shakti se is rahasya ka pata laga humari or pathako ki shanka ka nivaran kerti hu.

Narayan :- ni ni devi esa kerke kyu pathako k aanand ko kharab kerte ho aap , vese bhi jo anand katha k tathyo ko dhire dhire janne me h , wo ese khatam ho jayega.

Lakshmi :- hmm uchit kaha swami , parantu ab ye titholi chodiye swami or jo is samay brahmaand pe sankat chaya hua h uske nivaran ka upaay kijiye swami .

Kyuki abhi to aapne yam k pash se jyoti ki raksha ker li , parantu bone pishachon ka vish jyoti k tan me abhi bhi samahit h , jo.uske tan ko bahut adhik hani pahuncha raha h , ager esa hi chalta raha to kahi esa na ho jyoti yadi jivit bach bhi gayi to uska jivan mrityu tulya ho jaye.

Narayan :- uska upaay bhi shighra hi ho jayega devi , aap to keval is katha ka aanand le.



Location :- shani lok

Karan ke krodh ka asar shani lok me bhi dikhna shuru ho gaYa tha , shani lok me bhi bhukamp k jhatke aane lage the.

Lekin shani dev abhi dhyan me lin the , jis dhyan ko ye bhukamp bhi prabhavit na ker saka.

Indra samet sabhi dev shani lok me bhage aate h shani dev ki sharan me.

Indra :- trahi mam , karmfal data , trahi mam , raksha kiji bhagwan raksha kijiye.

Sabhi dev :- raksha kijiye shani dev , raksha kijiye.

Devo ki karun pukar sun shani apni ankhe kholte h , tab narad ji bole

Narad ji :- narayan narayan , yaha itna bada anarth ho chuka bhagwan , vo dusht vp ek baar fir apni yojna me safal ho chuka h , aapke dono hi ansh k pran sankat me h bhagwan.

Putri jyoti bone pishachon k pran ghati vish k prabhav se grasit ho jivan or mratyu k bich jhujh rahi h .

Or apni bahan ki ye halat dekh karan ka mahavinashak krodh jagrit ho chuka h jiske sath karan puri shristi k vinash ko aatur ho chuka h bhagwan .

Fir bhi aap is maha sankat ki ghadi me kese shant rah sakte h prabhu

Shani :- sankat ki ghadi me humare sayam or humara shant man hi humare sankat k nivaran ka pratham charan hota h devrishi.

Sankat chahe kitna bhi bada kyu na ho yadi shanti or sayam se kaam liya jaye to esi koi vipda ni esa koi sankat ni jiska nivaran na ho sake.

Isliye m aap sabko bhi yahi sujhav dunga ki aap bhi adhirta tyag dhairya dharan kare.

Indra :- per kese shani dev ye jante hue bhi ki jo samsya humare samne uttpan hui h uska koi upaay ni.

Yadi is sansaar me halalhal vish k baad koi ghatak vish h to vo bone pishachon k rakt me bahane wala wish hi to h karmfal data.

Jis vish ka koi tod ni , or yadi h to keval ek ki jyoti ko amrit paan kerwa diya jaye, jo ki asambhav h , kyunki sharsti k niyamo k anusaar jisne mrityu lok me janm liya h uski mrityu bhi vidhata ne usi samy nishchit ker di h.

Vayu dev :- devaraj uchit kah rahe h shani dev , chahe ye anhoni hi kyu na ho , lekin satya to yahi h ki jyoti ki mrityu nishchit h or is satya ko hum sabke sath aapko or karan ko swikar kerna hi hoga or use apni vinash lila ko yahi rokna hoga.

Agni dev apne swabhav k anukul garam swar me :- vayu dev ne uchit kaha shani dev , karan ko khud ko rokna hi hoga.

Anyatha sharsti ko hani pahuchane k apradh me hum sab dev use mrityu dand denge.

Narad ji :-. Narayan narayan ! Shant agni dev shant ye kesi baat ker rahe h aap , mat bhuliye ki karan is sansaar ka rakshak h , jiska janm aap sab k udhar k liye hua h.

Agni dev :- fal dene k liye ugaya gaya vriksh yadi kante barsane lage to us vriksh ko kaat dena hi uchit hota h devrisi, isliye karan ka ant hume kerna hi hoga.

Is tarah devo me aapas bahas chid jati h , jisme kuch dev karan k paksh me the to kuch virodh me.

Devo ko yu jhagadte dekh shani dev ka dhairya tut gaya or vo krodh se tez aawaz me bolne lage.

Shani :- bas mon ho jaiye sab ke sab

Shani k krodh bhare swar sun sabhi devo ki bolti band ho gayi kyunki sabhi shani k krodh or uske parinaam se bhali bhanti parichit the.

Shani :- abhi aap sab hi mujhe prishtiti ki gambhirta samjha rahe the na , ab swayam hi yu balako ki tarah aapas me kad rahe ho.

Or agni dev aap , kya bol rage the aap fal dene wala vriksh yadi kante barsane lage to use kaat dena chahiye .

Pahali baat aap sabko ye adhikar diya kisne , bhut kal me jab swarg samet aap sab ki dusht asuro se jab usi karan ne ki thi , aap sabki pida hari thi , jab to aap sab uske gun gaate ni thak rahe the.

(Halki nam ankho se ) Or aaj jab vahi karan , jab swayam kasht or pida me h , kyunki uske jivan jine ka ek matra kaaran , uski bahan uski jyoti k praan sankat me h , jis kaaran wo aahat ho apne marg se bhatak gaya h , to uski sahayata kerne k bajaye , apne usi rakshak ka ant kerne ki yojna bana rahe ho.

Tanik bhi Lajja ni aayi aapko esa vichar bhi man me late hue , panchmahabuto me se ek dev hote hue bhi ese asuri vichar kyu agni dev .

Ni agni dev ni ager hum bhi un asuro jese swarthi ho gaye to hume or unme kya fark bachega bataiye.

Or dusri baat aapme se yaha mojud kisi bhi dev me itna samarthya ni h vo guru mahadev or bhagwan narayan k ansh ka ant to chodo , use chu bhi ni sakte ,yadi meri baat ka vishwas na ho to puch lijiye bharata yam se , aaj kya ghatit hua unke sath

Yam jo apne shish jhukaye khade the , unhone sari ghatna vistar purvak bata di.


Shani dev ki dant sun agni dev samet sab dev sharminda ho gaye or shani dev se mafi mangte hue indra bole

Indra :- hey shiv priya uchit kaha aapne , or hum sab apne kiye gaye vyavhaar k liye aapse shama bhi chahte h .

Parantu hum yu shant bhi to ni bethe rah sakte na bhagwan , karan ko rokne ka koi to upay kerna hoga na , anyatha srashti ka ant nishchit h .

Narad ji :- narayan narayan ! Parantu kese devraj , kese hoga ye , karan ko shant kerne me jo smarth h , wo karan ki shakti yani ki putri jyoti swayam mrityu shaiyya per h or usko bachane ka koi upaay bhi ni bacha h.

Shani dev :- kisne kaha devrishi jyoti ki pran raksha asambhav h.

Shani dev ka yeh kathan sun sabhi dev chonk gaye or narad ji herani k bhav se bole.

Narad ji :- narayan ! Narayan ye aap kya bol rahe h prabhu , putri jyoti k tan me fela wo vish itna ghatak h ki is sansar ka koi vaidya iska upchar ni ker sakta , na hi hum devo ki shaktiya kaam ker sakti h.

Shani :- koi vaidya ni ker sakte parantu vo to ker sakte h na devrishi jo vaidyo k bhi vaidya h .

Narad ji :- narayan ! Narayan kahi aapka ishara mahadev ki or to ni.

Shani :- ha devrishi m bhagwaan vaidyanath mahadev ki hi baat ker raha hu, unhone mujhe is samasya ka samadhan bhi bata diya h.

Indra :- ye aap kya kah rahe h katmfal data, mahadev to mahasamadhi m lin h , to unse aapki charcha kab or kese hui.

Tabhi sabhi k kaano m ek aawaz padi.

Apke is prashna ka utter m deti hu devraj .


Is aawaz k sath waha devi chaya prakat hui.

Devraj or sabhi dev ;:- pranam devi

Chaya devi :- dev raj samet sabhi devo ko mera pranam.

Devi chaya fir boli :- hey devraj aap bhul rahe h ki mera putra swayam mahadev ka hi srijan h , mere putra ka mahadev se keval guru shishya ka hi ni , apitu srijan or srijak ka bhi sambhandh h , shani mahadev k hi ansh h.

Isliye mahadev or putra shani dono ek dusre se jude hue h , unhe ek dusre se varta kerne k kiye ek dusre k pas hona avashyak ni .

Isliye jab shani ne is samasya ko dekh apne guru yani mahadev ka dhyan kiya tab mahadev ne mahasamadhi avastha m hote hue bhi ek guru ka dayitv nibhate hue apne shishya ka margdarshan kiya , dhyan k madhyam se.

Uchit kaha na mane putra.

Shani kuch ni bolte bas muskura dete h

Devraj :- yadi esa h to vilamb kesa karmfal data , shighra hi mahadev k bataye upay ko sidh kijiye.

Shani :- avashya devraj , parantu uske liye hume sabse pahale karan ko shant kerna hoga , jo keval putri jyoti hi ker sakti h.

Mata chaya :- yadi esa h to putra , ye kese sambhav hoga.

Shani muskurate hue :- mata kya aao bhul gayi ,ese hi samay ki akansha k kaaran gurudev ne uska srijan kiya tha .

Mata vish ko keval vish hi kaat sakta h , ab vo samay aachuka h , or is karya k liye mujhe aapki sahayta ki aavashyakata hogi mata.

Ye bol shani dev apni mata ko yojna batate h , jise sun sabhi dev chinta mukt ho vapas prasan ho jate h or devi chaya boli.

Devi chaya :- tum chinta mat kero putra tumne jesa kaha h vesa hi hoga .

Ye bol devi chaya waha se anter dhyan ho gayi.

Back to the hero.

Karan ka krodh ab itna jyada bad chuka tha ki ab uski shakti use hi hani pahuchane lagi thi , jiske kaaran uske sharir per ghav padne lage the.

Tabhi karan ki najar jyoti p gayi , jo besudh bistar p padi thi , karan k krodh ki shakti k kaaran vadiya ka ghar to nash ho hi chuka tha , lekin narayan k kavach ki vajah se wo malba jyoti pe ni gira tha .

Wo abhi bhi bistar pe ese besudh leti thi , jese koi badi gahari nind me soraha ho.

Karan apni jyoti ki ye halat dekh ro utha or bola.

Karan :- mujhe maaf ker de gudiya ki tera ye bhai teri raksha na ker saka ,lekin tumhare is karan ki aatma tum hi to ho or bina aatma k koi ji sakta h kya.

Isliye aaj tere sath tera ye bhai bhi apna jivan tyag ker dega.

Karan ki ye baat sun ker aman kyunki or kaya ki to mano dhadkane ruk gayi.

Wo log khub chila chila ker karan ko rokne ki koshis ker rahe the lekin karan ko to jese kuch sunayi hi ni de raha tha

Usne apni ankhe band ki or bola

Karan :- m aarahu gudiya.

Ye bol karan ne apne sharir se nikal rahi jwalao ko apne uper lena hi aarambh ker diya , jisse karan ka sharir jalne laga , agni bahut hi prachand thi , lekin fir bhi karan k sharir ko vo bahut dhire dhire hi nuksan pahuncha rahi thi , jiske kaaran usko asahaniya pida ho rahi thi.

Jhumki se karan ki ye halat dekhi na gayi or wo turant besudh jyoti k pas gayi or rote hue boli.

Jhumki :- di please uth jaiye , dekhiye na bhaiya kya kerne ja rahe h , please uthiye or rokiye unhe .

Lekin jyoti to besudh padi tas se mas ni hui.

Jhumki :- di please uthiye or bhaiya ko rokiye , dekhiye wo kya pagalpan ker rahe , aap uthiye or unhe datiye, please didi uth jaiye , ni to hum bhaiya ko kho denge.

Jhumki ese hi roti bilakhti jyoti ko uthane ki kosis kerti rahi , per jyoti k koi asar na hua or tabhi rote rote jhumki ko chakkar aagaye or vo bhi behosh ho gir padi.

Jhumki ko behosh hote dekh aman ghabrate hue :- choti


Or kaya or aman jhumki ki or dode or use sambhalne me lage.

Wahi karan rukne ka naam hi ni le raha tha tabhi achanak wo hua jiski ummid kisi ne bhi shayad ki ni hogi.

Kyunki achanak se ek roshni jyoti se kuch dur chamki or tabhi vaha ek tabhi ek aakriti ya yu kaho ek vyakti prakat hui.

Jo dikhne me or bheshbusha se to ladki hi lag rahi thi , kyunki usne vese hi kavach jese vastra pahane the , jese jyoti k hote the apne dandnayika k roop me , lekin unka rang alag tha.

Lekin ye kya uska chahra to dikhayi ni de raha tha , uske chahre pe ghana andhkar chaya hua tha jese ki vo koi ladki ni balki koi parchayi ho.

Wo jo koi bhi thi dhire dhire jyoti k paas bhadne lagi ,or jese hi wo jyoti k pas pahunchi to mano samy ruk sa gaya or aman kaya jhumki, jaha the wahi sthir ho gaye.

Tabhi us ladki me jyoti k ek hath ko apne hath me liya or apne dusre hath ko jyoti k sir p rakha.

Esa kerte hi us ladki k dono hatho se ek nili roshni nikal jyoti k sharir me samane lagi , jiska prabhav bhi turant dikhna shuru ho gaya.

Jyoti ka tan jo goblin k jahar k kaaran hara padne laga tha , achanak se wo harapan gayab hone laga or last me wo harapan bas wahi rah gaya jaha goblin ne jyoti ko dasa tha.

Or usike sath jyoti ki chetna lotne lagi or use man hi man aahasas hone laga ki uske bhai k pran khatre me h .

Jiske kaaran wo chikte hue uth gayi.

Jyoti :- bhaiiiiiiiiiiii.....

Jyoti kuch der to samjh ni payi ki ye sab kya hua tha , tabhi usko dhire dhire sab yaad aane laga.

Or jyoti k josh m aane k sath hi aman jhumki or kaya bhi normal ho gaye.

Unhone jese hi jyoti ko hosh me dekha unki khushi ka thikana na raha or vo uski or dode.

Jhumki dod kr jyoti k gale lag gayi , pahale to kuch der wo roti rahi , tabhi use karan ka dhyan aaya or usne saari baat jyoti ko batate hue karan ko rokne ko kaha.

Jyoti ne jese hi ye suna ki karan k pram sankat m h , vo turant uth khadi hui , lekin jyoti abhi tak swasth na hui thi , usme abhi bhi bhut kamzori thi.

Lekin usne apni parwah na kerte hue karan ki or bhadne lagi , kamzori k kaaran uske muh se aawaz bhi ni nikal rahi thi , fir bhi vo karan ko pukarte hue karan ki or badh rahi thi.

Karan ki ankhe to band thi , isliye use ye sab najar na aaya.

Jyoti atakte hue :- bbbhai rruk jaiye.

Tabhi jyoti ka per ek pathar se takraya , jiske kaaran wo gir padi or uske muh se tez chikh nikal gayi


Jyoti :- bhaiiiiiiiiiiiiii...........


Jyoti ki ye chink karan k kaano tak pahunch gayi or usne apni ankhe herani k sath kholi or uske muh se pahala shabd nikla jyoti.

Tabhi uski najar jyoti pe gayi ,jo niche giri padi thi , fir bhi use hi pukar rahi thi.

Karan ne jese hi jyoti ko hosh me aaya dekha to uski khushi ka thikana na raha.

Uska sara krodh apne aap gayab ho gaya or uski agni bhi shant ho gayi.

Karan turant apne normal size me aaya or jyoti ki or doda or turant ghutne k bal beth pahale jyoti ko sine se lagaya or fir usko thoda sa khud se alag ker uske pure chahre ko chumne laga.

Karan khushi k ansu rite hue :-. Tu thik to h na gudiya , tu ni janti meri jaan tujhe us dasha me dekh meri kya halat ho gayi.thi.

Jyoti muskurate hue ;- jiske paas aap jesw bhaiya ho , uska to mot bhi kuch ni bigad sakti mere bhaiya.

Per m aapse naraj hu , ye kya kerne ja rahe the aap , jaiye m aapse baat ni kerti.

Karan :- meri gudiya to m.kya kerta , tere bina is jindagi ka kya matlab tha , tu to ja rahi thi mujhe chod ker to m kese rah pata tere bina , isliye m aatmdah..

Tabhi jyoti ne karan k muh pe hath rakh use ese words bolne se mana kiya or fir se uske sine se lag gayi.

Karan ne bhi jyoti ko itna kas ke gale lagaya tha ki jese yadi usne jyoti ko choda to wo use chod k chali jayegi.

Tabhi karan ki najar us ladki per gayi , jisne jyoti ko thik kiya tha, karan ko bhi us ladki ka chahra dikhayi na diya , parantu na jane kyu karan ko usko dekh esa pratit ho raha tha ki jese wo uske liye koi anjan ni h , balki bahut hi gahara sambhandh h usse .

Karan jyoti ko gale lagaye hi usse kuch bolne ko hua ki tabhi wo ladki gayab ho gayi

Tabhi achank se jyoti ki tabiyat bigadne lagi or use khasi k sath chakkar aane lage , jisse karan fir se ghabra gaya.

Tabhi karan k kandhe pe kisi ne hath rakha , or jab karan ne piche mud ker dekha to paya piche mata chaya thi.

Karan unhe dekh khud ko rok na paya or rote hue unke gale lag ker bola.

Karan :-. Dekhiye na mata kya ho gaya meri gudiya ko , mata m aapke aage hath jodta hu meri bahan ko bacha lijiye , verna m bhi ni ji paunga.

Tab mata chaya karan k shish ko sahalate hue boli.

Chaya :- mat royo putra , ishvar ki kripa se ab tumhari jyoti mrityu k mukh se bahar aachuki h or uske prano ko to koi sankat ni h, jo keval tumhare prem or satkarmo k kaaran sambhav hua , parantu.

Karan :- parantu kya mata.

Chaya :- parantu un pishacho k jahar ne putri jyoti k sharir ko khokla ker dala h putra , jiske kaaran jyoti ka swasth bahut kharab h , or ab jyoti ko purntah swasth kerne ka ek hi upay h putra , jo keval tumhe hi kerna hoga.

Karan :- aap aadesh dijiye mata , m apni gudiya k liye kuch bhi ker gujarne ko saj hu.

Chaya :- abhi ni putra ratri bahut ho chuki h or abhi jyoti ko bhi tumhari aavashyakata h , hum is bare m kal baat karenge.

Ye bol mata chaya karan or jyoti ko apne sath leker mahal me chali jati h


Aaj k liye bas itna hi

stay tuned




 

Harry rocks

Well-Known Member
6,912
18,331
189
Nice update bro
Toh jo sab rasatal mein hua woh sab vp ki chaal thi taake rakshak aur uske asthiyon ka dhyan bhatkaya ja sake aur jisme woh kamyaab bhi hua
Jhumki ka yoddha ki tarah ladna qabil e tareef hai aur jyoti ka uski raksha ke liye aana bhi
Pr yh kaala saaya kaun h bhai jisne jyoti ko maranasann kr diya khin yh vp ka koi khas ghulam toh nahin na?
Ek sawal h bhai jb jyoti ki body pr suraksha kawach laga hua tha toh woh saaya kaise jyoti ko ghaayal krne mein safal raha?
Karna kaise bacha payega ab jyoti ko? Iska asar naina pr kitna hoga qki jb bhi karna ya jyoti pr musibat aayi uska utna hi impact naina par bhi hua h aur woh bhi immediate one
Thanks for your support bhai
Stay tuned and keep reading
New update on page no :- 1053
 

Harry rocks

Well-Known Member
6,912
18,331
189
Nice update bro
Toh jo sab rasatal mein hua woh sab vp ki chaal thi taake rakshak aur uske asthiyon ka dhyan bhatkaya ja sake aur jisme woh kamyaab bhi hua
Jhumki ka yoddha ki tarah ladna qabil e tareef hai aur jyoti ka uski raksha ke liye aana bhi
Pr yh kaala saaya kaun h bhai jisne jyoti ko maranasann kr diya khin yh vp ka koi khas ghulam toh nahin na?
Ek sawal h bhai jb jyoti ki body pr suraksha kawach laga hua tha toh woh saaya kaise jyoti ko ghaayal krne mein safal raha?
Karna kaise bacha payega ab jyoti ko? Iska asar naina pr kitna hoga qki jb bhi karna ya jyoti pr musibat aayi uska utna hi impact naina par bhi hua h aur woh bhi immediate one
Thanks for your support bhai
Stay tuned and keep reading
New update on page no :- 1053
 
Top