• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Pyaar Ya Nafrat ( Completed)

Story achhi hai aur aage likhna chahiye

  • Haa

    Votes: 93 96.9%
  • Naa

    Votes: 3 3.1%

  • Total voters
    96
  • Poll closed .

Jaguaar

Prime
17,679
60,240
244
Update 40
Aryan dheere se bolta hai. Kya baat hai Mrs. Malhotra. Aaj bahot hi jyaada khubsoorat lag rahi ho dono. Lagta hai kisi ka qatal hone waala hai aaj.

Meera: Sambhal ke rahiyega Mr. Malhotra. Aaj se aapki nayi life start horahi hai. Humare saare nakhre nahi uthaaye toh aisa naa ho sach mein hi qatal hojaaye.

Aryan: Aree aapke haath se agar qatal bhi hojaaye toh sukoon hai.

Ritika: Bas bas time aane do tab dekhenge kitna sukoon milta hai.

Tabhi waha Sameera apni maa ke saath aati hai.

Sameera: Congratulations Aryan Meera and Ritika.

Aryan ne pahle hi bol diya thaa sabke saamne as a friend behave kare. Kisi ko company ke baare mein pata nhi chalna chahiye.

Teeno: Thank you. Aap kaisi hai.

Sameera: Ekdum first class.

Yash: Yeh kaun hai Aryan. Pahle kabhi nhi dekha.

Aryan: Yeh humari common friend hai. Ms. Sameera.

Preeti: Maine aapko kahi dekha hai. Kaha dekha hai yaad nhi aaraha hai.

Sameera: Aapne mujhe apne papa ke saath meeting mein dekha hoga Ms. Preeti.

Preeti: Haa yaad aaya. Aap toh India ke top company AMR GROUP OF COMPANY se hai. Jiske saare shares unke hi paas hai 1% share bhi kisi aur paas nhi hai.

Mere papa jab aapke paas meeting ke liye gaye thee tab mein bhi unke saath hi thi. Tab dekha thaa.

Sab log Sameera ka intro sunn shock hogye thee. Sivaay Sanjay Sanjana Sangeeta Raghav aur Harish ke kyo ki unko sab pata thaa.

Nandini Aunty: Itni badi company mein tum kya kaam karti ho.

Sameera: Main company ke owner ki personal secretary hu. Saara kaam main hi dekhti hu. Woh toh bahot hi kam office aate hai.

Nandini: Oo. Aryan tum itni badi hasti ko kaise jaante ho.

Aryan: Yeh hum teeno ki comman friend hai. Ek baar humlogo ne inko kuch gundo se bachaya thaa tab se humlog friends hai.

Meera, Ritika, Sanjay, Sanjana, Sangeeta Raghav aur Harish man hi man haste hai.

Ritika Aryan ke kaan mein

Ritika: Kya baat hai Mr. Malhotra shaadi ke pahle hi baat ghumana sikh gaye.

Aryan: Mrs. Malhotra abhi se practice kar raha hu future kaam aayega.

Meera: Humse jhooth bolke toh dekhna. Tum bhul rahe ho hum bhi supergirl hai. Taange todne mein time nhi lagega.

Aryan: Aree yeh kaise bhul sakta hu. Aap taange kya jo marzi ho woh todd dena.

Phir pandit unko shaadi ke liye bulata hai.
Dono jan shaadi ke liye baith jaate hai.

Yash: Bhai bahot jaldi tu gulaam ban raha hai. Tujhe dekh kar humko experience milega. Kyo Karan.

Karan: Bilkul bhai.

Preeti: Kuch kaha tumne.

Yash: Hadbada kar. Nhi maine kaha kuch kaha. Yeh toh Karan kuch bol raha tha. Bol Karan kya bol raha thaa.

Sonal: Haa Karan bolo kya bol rahe thee. Maine thik se suna nhi.

Karan: Main kaha kuch bola hai. Main toh Aryan ko bol raha thaa thik se baithne ko.

Sonal: Shaadi hojaane do phir tumko theek se baithati hu.

Preeti: Tum kuch gulaam bol rahe thee. Jara phir se bologe.

Yash: Aree woh toh main bol raha thaa kal maine ek movie dekhi thi jiska naam Gulaam thaa wahi bol raha thaa kyaa movie thi.

Preeti: Shaadi ke baad main tumko movie dikhaungi.

Yash: Kaunsi.

Preeti: Langda Lulaa Boyfriend.

Inlogon ki nok jhok sunn sab hasne lagte hai.

Aryan: Experience toh mujhe tumlogo se mil raha hai.

Meera aur Ritika: Kuch kaha.

Aryan: Pandit ji aap kya baate sunn rahe hai jaldi se Shaadi karwaiye naa.

Sab log phir se hasne lagte hai.

Phir thodi der mein shaadi hojaati hai. Aryan Meera aur Ritika sabhi bado ke aashirwaad lekar ghar ki taraf nikal padhte hai. Meera aur Ritika apni maa ke gale lag kar rone lagti hai.

Warden: Jaa beti ab tu apne ghar jaa. Bahot rehliya tune aashram mein.

Meera: Mere liye toh wohi humesha mera ghar rahegaa.

Warden: Tera jab bhi man ho waha aajana. Ab main chalti hu. Kal se aashram se bahar hu.

Meera: Aap apna dhyaan rakhiyega.

Warden: Bilkul. Tu bhi apna dhyaan rakhna aur bilkul bhi dukhi mat hona.

Aryan: Kabhi bhi koi bhi problem ho toh aadhi raat ko bhi call kardijiyegaa hum aajayenge.

Warden: Bilkul.

Phir Warden waha se aashram chali gayi. Sangeeta aur Raghav bhi ghar chale gaye kyoki woh beti ke sasuraal abhi nhi jaa sakte the. Aur baakilog Aryan aur Meera ke saath ghar ki taraf aagaye. Sameera aur uski maa bhi aayi thi.

Sanjana aur Nandini jaldi se aarti ki thali leke aate hai aur unka grah pravesh karate hai.

Meera aur Ritika ka toh iss ghar mein aana jaana laga rehta hai. But aaj woh officially iss ghar ki permanent member ban gayi thi. Phir sab log hall mein baith jaate hai. Waha aise hi baat chal rahi thi. Phir thodi der baad Lunch taiyaar hochuka thaa. Phir sablog lunch karte hai. Meera aur Ritika ko upar Aryan ka kamre mein jo ki ab unka thaa usme bhej dete hai aaram karne ke liye. Thodi der baad Sameera uss kamre mein aati hai.

Meera: Aayiye Sameera ji baithiye.

Sameera: Once again congratulations Meera Ma'am Ritika Ma'am. Ab aapdono officially itne bade business empire ki owner hogyi warna aap humesha bolti thi owner sirf Aryan Sir hai.

Meera: Thank You Sameera ji. But owner toh Aryan hi rahega. Aur bataiye Company mein koi problem toh nhi hai naa. Sab kaisa chal raha hai.

Sameera: Nhi ma'am koi problem nhi hai. Kuch din pahle hi humne Delhi mein ek branch ka inaugration kiya hai aur usme employee ka selection bhi start hochuka hai.

London ke branch jo kuch mahine pahle hi start hua thaa woh bhi bahot achha chal raha hai.

Australia wale branch mein ek choti si problem hui thi woh bhi solve hochuki hai.

Ritika: Achha ek kaam kariye har branch ke employees ki salary badha dijiye aur iss baar ka Diwali bonus bhi double kardijiyega. Saare employees ko humari shaadi hone ki taraf se ek chota sa gift.

Sameera: Waah ma'am saare employees isse bahot khush hongee.

Meera: Achha woh Hyderbad wale contract ka kya hua. Uska kaam kaha tak pahoncha

Sameera: Ma'am lagbhag kaam complete hochuka hai. Aur shayad 10 din mein pura complete hojayegaa.

Meera: Okk. Ab bataiye humare liye koi jijaji khoja ya nhi.

Sameera yeh sunke sharma jaati hai.

Meera: Aree sharma kyo rahi hai aap. Aap humlogo se age mein bhi badi hai. Ab toh humlogo ki shaadi bhi hogyi. Aap kab karengi.

Sameera: Ma'am kabhi koi aisa mila hi nhi. Jisse main shaadi kar saku.

Meera: Aree toh jaldi khojiye.

Tabhi door pe knock hota hai.

Sameera jaake door kholti hai toh saamne Aryan thaa.

Sameera: Aaiye aaiye sir. Kya kuch der biwiyon ke bina raha nhi jaata.

Aryan: Ab kya kare Sameera ji. Jiske itni sundar biwiyan ho. Koi bewakoof hi hogaa jo durr rahe.
Waise hogyi aaplogo ki business talk.

Ritika: Tumhe kaise pata humlog business talk kar rahe the.

Aryan: Madam shayad aap bhul rahi hai hum aap dono ko achhe se jaante hai. Aaplog itni der se upar hai. Aur aaplogo ne business talk naa ki ho aisa ho hi nhi sakta.

Sameera: Humlog chahe jitna bhi chippa le. Yeh thik jaan lete hai.

Meera: Sahi kaha. Waise tum yaha kis liye aaye ho.

Aryan: Shayad aap bhul rahi hai yeh mera kamra hai.

Meera: Hai nhi thaa. Abse yeh humara hai aur yaha pe aane ke liye humari permission leni hogi.

Aryan: Dekha Sameera ji shaadi hue 2 ghante nhi hue boss ne kamre mein hi kabza karliya. Aage pata nhi kya hoga. Waise main yaha change karne aaya thaa. Agar aapki permission ho toh karlu.

Ritika: Haa haa karlo. Washroom uss taraf hai.

Aryan: Oo thank you mujhe toh pata hi nhi thaa.

Ritika: Your Welcome.

Phir Meera Ritika aur Sameera jor jor se hasne lagte hai.

Kuch der baad Aryan change karke bahar aata hai aur Sameera se bolta hai

Aryan: Sameera ji aap humare sabhi branches ki employees ke salary increase kardijiye humhari shaadi hone ki taraf se unke liye ek gift.

Yeh sunte hi teeno ladkiyan hasne lagti hai.

Aryan: Maine koi joke maara kya.

Sameera: Sir Ritika Ma'am ne pahle hi bol diya hai karne ko.

Aryan Ritika ki taraf dekhta hai toh Ritika ek smile de deti hai.

Aryan: Nice job Mrs. Ritika Malhotra.

Ritika: Ab main sabki tarah late lateef toh nhi hu naa Mr. Aryan Malhotra.

Aryan: Mujhe aisa kyo laga yaha pe abhi mujhe kuch bola gaya.

Meera: Yeh tumhari sahifehmi hai. Yeh bol woh hasne lagi.

Sameera: Achha sir ma'am ab main chalti hu. Once again Happy Married Life.

Teeno: Thank you Sameera ji.

Phir Sameera aur uski maa chale jaate hai. Aryan ke dost toh pahle hi chale gaye thee.
 
Last edited:
Top