• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Pyaar Ya Nafrat ( Completed)

Story achhi hai aur aage likhna chahiye

  • Haa

    Votes: 93 96.9%
  • Naa

    Votes: 3 3.1%

  • Total voters
    96
  • Poll closed .

Jaguaar

Prime
17,679
60,240
244
nice update ...aryan ne meere ko sabkuch sach bata diya apne past ke baare me aur meera ko koi problem nahi hai ..
lagta hai sanjay ne meera ki id bhi daal di car me isliye baithte hi uska welcome ho gaya ..
Thank You
 

Jaguaar

Prime
17,679
60,240
244
Aryan ne sab kuch sach sach bata diya meera ko..
yeh achha kiya usne ki relations k suruwat sach batake kiya...
Khair let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skills :applause: :applause:
Thank You
 

mashish

BHARAT
8,032
25,905
203
Update 16
Sanjana sabse pahle Meera ke paas jaake uske kaan khinchti hai aur bolti hai. Mil gayi dil ko aur aankho ko shanti.

Warna ro ro ke pura samandar hi bana diya tha.

Meera ka chehra sharm se laal hogya thaa woh Sanjana ke gale lag apna muh chupa leti hai. Bas bas bahot hogya sharmaana. Ab kya saara din yehi rehna hai college nhi jaana kyaa.

Meera: Par Aryan ko iss halat mein chorke kaise.

Sanjana: Dekho padhai bahot jaruri hai uska nuksaan nhi karna chahiye. Aur waise bhi Aryan ka khayal rakhne ke liye yaha pe Doctors hai Nurse hai aur main bhi toh hu. Aur phir Thodi der mein Iske baba aur Yash ki mom bhi aajayengi. Isiliye tum chinta mat karo. Aaram se college jao. Humlog tumhare Aryan ka pura khayal rakhenge isko kisi bhi tarah ki koi takleef nhi hone denge.

Meera bhi man maarke haan keh deti hai.

Phir Yash bhi andar aake Aryan se milta hai aur Meera ko leke chala jaata hai. Pahle Meera ke ghar jaata hai waha se uska bag leta hai phir apne ghar jaake apna bag leke woh college chale jaate hai.

Unke jaane ke kuch der baad hi Sanjay aajata hai.

Sanjay: Ab kaise ho.

Aryan: Ekdum fit.

Sanjay: Chalo achha hai.

Aryan: Mujhe aapse kuch bolna aur puchna thaa.

Sanjay: Tum yehi bolna chahte ho naa ke tum Meera se pyaar karte hai. Aur usse sab kuch sach sach batana chahte ho. Formula ke baare mein,humare baare mein,apne baare mein sab kuch.

Aryan: Aapko kaise pata.

Sanjay: Sanjana ne jab mujhe tumhare aur Meera ke baare mein bataya mujhe tabhi andaza hogya thaa tum usse dhokhe mein nhi rakhoge.

Aryan: Toh aapka kya faisala hai.

Sanjay: Meera ke bahot hi achhi ladki hai. Mera bhi yehi manna hai tumhe usse sab kuch bata dena chahiye. Par dhayan rahe kahi koi problem naa hojaaye.

Aryan: Ji main dhyan rakhungaa.

Sanjay: Thik hai ab main chalta hu mujhe lab bhi jaana hai.

Aryan: Ji thik hai.

Aryan soch leta hai woh Meera ko sab kuch bata ghar mein jaane ke baad bata degaa.

College mein woh log jaise taise apne classes khatam karte hai phir wahi se direct hospital chale jaate hai.

Hospital mein jab woh log aate hai tab waha pe Sanjana aur Nandini baithi hui thi.

Meera aur Yash unke paas aate hai.

Sanjana: Hogya college.

Yash: Haa hogya. Aap tabse yehi hai ghar nhi gayi.

Sanjana: Nhi.

Meera: Toh ab aap ghar jaakar thoda rest karle. Hum hai yaha par.

Yash: Haa aunty Meera sahi keh rahi hai.

Sanjana: Achha thik hai. Phir Sanjana aur Nandini waha se chale jaate hai.

Phir dono room ke andar jaate hai jaha Aryan aaram se TV dekh raha hota hai.

Yash: Yeh lo yeh toh yaha mast aaram se TV dekh raha hai.

Aryan: Toh aur kya karu.

Meera: Kaise ho.

Aryan: Jaisa chorr ke gayi thi. Bilkul waisa.

Meera: Khana khaya.

Aryan: Bas abhi Nandini ne laya tha wohi khaya.
Tumlogo ne khaya.

Yash: Kaha yaar. Teri madam ne ek glass paani tak nhi peene diya. College khatam hote hi sidha yaha taan ke laayi hai.

Meera: Tu phir bola.

Yash: Main kaha kuch bola. Main toh bola mujhe toh bhuk lagi hai chalke canteen mein kuch khaa lete hai.

Meera: Tu jaa aur mere liye yehi pe le aana.

Yash: Yes Madam.

Phir Yash waha se chala jaata hai.

Aryan: Kaisa gaya aaj ka din.

Meera: Tumhare bina ekdum boring. Kuch bhi achha nhi lagraha thaa.

Aryan: Bas kuch din. Uske baad toh main bhi college jaana start kardungaa.

Meera: Haa. Bilkul.

Aryan: Achha mujhe tumse kuch jaruri baat karni hai.

Meera: Haa bolo.

Aryan: Yaha nhi. Mere ghar pe karenge.

Meera: Aisi kaunsi baat hai.

Aryan: Bas aisa samajlo uss din main tum apne baare mein har ek chiz bataungaa. Main kaun hu kaha se hu kya hu sab kuch.

Meera: Thik hai.

Phir Yash waha aajata hai. Woh Meera ke liye coffee aur kuch snacks le aaya thaa.

Meera woh khaa leti hai. Phir woh log idhar udhar ki baate karne lagte hai. Tabhi waha Sanjay aajata hai.

Sanjay: Chalo bachho. Ab tumlog bhi ghar chalo. Subah se nikle hue ho. Jao jaake rest karo. Waise bhi kal subah iska discharge mil jaayega. Toh kal college ke baad sidha ghar mein hi aajana.

Issbaar Meera bina kuch bole man jaati hai.


Phir Woh log waha se chale jaate hai.
Yash Meera ko drop kar apne ghar nikal jaata hai.

Idher hospital mein

Sanjay: Bata diya sabkuch.

Aryan: Nhi. Yaha nhi yeh sahi jagah nhi hai. Usse kal ghar mein sab kuch bata dungaa.

Sanjay: Chalo achhi baat hai.

Phir Sanjay bhi waha se chala jaata hai. Waise bhi Aryan ab bilkuk thik thaa but sabko dikhane ke liye aaj extra rukha thaa woh isiliye aaj raat kisi ko rehne ki jarurat nhi hui.

Agle din Aryan ka discharge hojaata hai woh ghar aajaata hai. Woh waha se sidha apne room mein jaata hain apna mobile leta hai toj dekhta hai usme sirf bank se message hota hai jisme uski last fight ka amount aaya hua thaa jo ki pure 112 crore thee. Matlab abhi Aryan ke paas pure 200 crore rupees thee. Isiliye usne socha ab woh kuch time tak fight nhi ladegaa.

Phir Aryan lunch karke wapas apne room aake sochne lagta hai ke woh Meera ko kaise sab kuch batayegaa.

Sham ko meera bhi aajati hai. Aryan ko dekhne.

Sanjana usse sidha uske room mein bhej deti hai.

Meera room mein enter karti toh dekhti hai Aryan bed pe baith kuch soch raha hota hai.

Meera: Kya soch rahe ho jaan.

Aryan: Kuch khash nhi aao baitho. Isse apna hi room samjho.

Meera: Samajna kya hai abse yeh room mera hi hai. Bas kuch saal tak isme reh nhi sakti.

Aryan: Roka kisne hai. Tum chaho toh kuch saal baad ka kaam abhi kar lete hai phir tum iss room mein aaram se rehnaa.

Meera: Jyaada naa udho mat. Pahle padhai complete karenge phir settle honge. Phir aage ka sochenge.

Aryan: Chalo thik hai woh tab dekhenge. Abhi tum meri baat dhyaan se sunno main jo bhi tumhe batane jaaraha hu.

Meera: Haa bolo.

Aryan: Mera naam Aryan hai Aryan Malhotra. Yeh tum jaanti ho. Main yaha se nhi hu main Delhi se hu yeh bhi jaanti ho.

Meera: Haa yeh sab toh main jaanti hu. Isms alag kya hai.

Aryan: Main koi normal insaan nhi hu. Matlab maim tumlogo ki tarah koi normal insaan nhi hu. Aur yeh dono mere mata pita bhi nhi hai.

Meera: Kyaaa. Yeh kya mazaak hai Aryan.

Aryan: Yeh koi mazaak nhi hai. Phir Aryan usse sab kuch bata deta hai. Matlab apne past,formula sab kuch.

Meera yeh sab sunn aankhe phaade usse dekh rahi thii.

Meera: Matlab tum ab ek Superhuman ho. Tumhari physical strength,mental strength sab kuch humlogo se bahot jyaads hai.

Aryan: Haa.

Meera: Aur tumne unlogo ke baare mein kya socha hai.

Aryan: Mujhe unlogo se sirf nafrat hai sivaay ek ko chorr ke Meri gudiya,Meri Soniya. Pata nhi itne mahine mere bina kaise rahi hogi.

Ab faisla tumhe karna hai kya tum ek aise insaan ke saath reh paogi jiski family ne uske saath aisa kiya aur ab woh unlogo se sirf nafrat hi karegaa. Jo tumlogo ke jaisa normal insaan nhi hai.

Meera: Maine pyaar tumse kiya hai. Tumhare past se nhi. Aur agar uss formula ke lagne se tum Superhuman ban gaye toh kya ho ek being human hi naa.

Toh problem kya hai. Aur yeh toh mere liye khushi ki baat hai ke meri jaan iss duniya sabse anokha aur taqatwar insaan hai.


Mujhe insab se koi problem nhi hai. Aur tum befikr raho tumhara yeh raaz kisi pata nhi chalegaa.

Par mujhe ek promise karo abse jo bhi karoge mujhe bolke karoge. Mujhe bole bina tum kuch nhi karoge.

Aryan: Main promise karta hu. Aaj se har ek chiz tumse puch ke karungaa.

Meera: Good Boy.

Chalo toh phir ab main chalti hu kal phir college meim milte hai.

Aryan: Chalo main chorr aata hu.

Meera: Matlab abhi se hi driver banne ki practice kar rahe ho haa. Achha hai lage raho. Yeh bol hasne lagti haiii.

Aryan: Ab agar kisi ki madam itni khubsoorat ho toh woh driver kya kuch bhi ban jayega unke liye. Toh chale madam.

Meera: Chalo.

Phir Aryan usko leke garage mein aata hai. Toh boliye madam aap kaunsi sawari mein jaana pasand karengi.

Meera: Main car se jaana pasand karungi.

Aryan: Toh chaliye.

Phir woh log car mein baith jaate hai.

Jaise hi woh car mein baithte hai. Thik tabhi awaaz aati hai WELCOME ARYAN SIR , WELCOME MEERA MA'AM.

Meera yeh awaaz sunke chaunk jaati hai

Woh bolti hai yeh awaaz kaha se aayi.

Aryan: Yeh awaaz iss car se aayi hai.

Meera: Car se. Par kaise.

Phir Aryan usko sab kuch bata deta hai car bike,watch,mobile,chashmah sab kuch.

Meera: Waah kya baat hai. Meri jaan toh ekdum hi- tech chizo se ghira hua hai.

superb update
 

Jaguaar

Prime
17,679
60,240
244
Update 17
Aryan: Ur ab meri jaan bhi insab chizon se ghirr jayegi.
Meera: Nhi Aryan mujhe insab chizo ki koi jarurat nhi hai. Tum mere saath ho toh mujhe innsab chizo ki koi jarurat nhi hai. Yeh sab tum hi use karo.
Aryan: Tum mujhse judd chuki ho. Ab mujhse juddi har chiz tumse bhi judd chuki hai.
Meera: Phir bhi Aryan. Mujhe innsab chizo ki jarurat nhi hai.
Aryan: Thik hai tum use karna par tum jab chaho yeh sab access kar sakti ho. Kuch din baad se tum jab chaho yeh sab access kar sakti ho. Ab use karna naa karna yeh tumhare upar hai. Meri saari chizo mein sirf mera aur tumhara control hi hogaa.
Meera: Toh thik hai. Main apni marzi se use kar sakti hu toh. Mujhe innsab ki jarurat nhi hai. Yeh sab aise hi rahenge. Inhe sirf tum hi use karoge. Dekh lena.
Aryan: Jaisi tumhari marzi.
Aise hi baat karte karte yeh log Meera ke ghar aagaye. Phir Meera bye bolke andar chali gayi Aryan bhi apne raaste se jaana laga.
Woh apne Raaste se jaa raha thaa tabhi woh dekhta hai ki ek container ke pichhe police lagi hui hai. Aryan ko kuch ajeeb lagta hai. Woh apne chashme se uss container ko scan karta hai toh usse uss container mein bahot saara powder dikhta hai. Matlab KGs mein hogaa. Aryan sochta hai itna powder kis liye. Aur police kyo iske piche padhi hai. Tabhi uska matha thankaa woh samaj gaya ke yeh powder nhi hai. Yeh drugs hai.
Aryan apni car jaldi se uss container ke pichhe laga deta hai. Aur car ko uska pichha karne ko bol ke apna Black Beast getup le leta hai aur chalaki se apni watch uss container ke upar phek deta hai. Jisse agar woh container gayab bhi hojaaye toh Aryan uss tak pahonch sakee.
Phir bhi Aryan apni car side mein rokh deta hai. Thodi baad woh apni Watch ka gps track kar uss container ke paas pahonch gaya. Usse iss baat ka yakin thaa police unhe nhi pakad payegi. Isiliye usne apni Watch ko container ke upar fek diya thaa.
Aryan jab uss container ka pichha karte hue waha pahoncha toh woh ek godown thaa. Aryan chup ke dekhne lagta hai.
Thodi der baad uss godown ke ek office se 3 log bahar aate hai. Aryan unn teeno ko dekh kar bahot buri tarah se shock aur gussa hojaataa hai. Usse yakeen hi nhi horaha thaa yeh log iske saath attach hai. Waha kul 8 gunde the aur woh 3 log.
Phir Aryan chup ke unki baate sunne lagta hai.
Aadmi: Le aaye saara maal koi garbar toh nhi hui.
G1: Nhi Boss koi garbar nhi hui. Har baar ki tarah police pichhe padhi thi par issbaar woh kuch nhi kar paaye.
Aadmi: Achhi baat hai. Tumlog sab kuch set kardo. Abhi police alert hogi. Kuch din baad maal bahar nikalenge.
G1: Thik hai boss.
Aadmi apne saath khade ladke aur ladki se bolta hai chalo ab ghar chalte hai.
Jaise hi woh log waha se nikalte hai Aryan andar jaata hai.
Gunde usse dekh kar usko bolte hai kaun hai tu yaha kya kar raha hai. Chal nikal warna yehi maara jayegaa.
Aryan kuch nhi bolta. Bas wahi chup chap khada rehta hai.
Gunde apne paas khade ek aadmi ko bolta jaake dekh toh kaun hai.
Toh woh Aryan ke paas aata hai toh dekhta hai Aryan me mask pehna hua thaa.
Woh mask utarne wala hota hai. Toh Aryan apni puri taqat se ek mukka uske pet mein maarta hai. Toh woh durr jaake girta hai. Aur wahi padh jaata hai. Yeh dekh kar baaki ke gunde bhi form mein aake chuke thee. Woh bhi hatiyaar liye Aryan ko maarne aate hai. Aur Aryan ko charo taraf se gherr lete hai.
Aryan ke bagal se ek Iron rodd leke maarne aata hai toh Aryan uss rod ko pakad ke uske seene mein ek jordaar laat maarta hai jisse woh wahi dherr hojaata hai.
Phir dusri side se ek aadmi hockey stick leke maarne aata hai toh Aryan uss hockey stick ka war apne wrist pe leta hai jisse woh hockey stick toot jaati hai. Aryan uske sirr pe iron rod se jor se maarta hai toh woh wahi dherrr.
Aise hi ek ek gunde aate hai aur wahi dherr hote hai.
Unn gundo ka boss darr ke maare gun nikal leta hai.
G1: Rukh jaa nhi toh main goli chala dunga.
Aryan: Chala goli. But aaj tu nhi bachegaa.
G1 goli chala deta hai jisse Aryan duck karta hai.
G1 aise hi goli chalata rehta hai but Aryan har ek goli ko duck karne lagta hai. Aise hi saari goliyan khatam hojaati hai. Tab tak Aryan uske saamne jaake khada hojaata hai.
Woh Aryan ki aankho mein apni maut saaf dekh sakta thaa. Phir bhi woh himmat karke puchta hai.
G1: Kaun ho tum. Aur kya chahiye tumhe.
Aryan: Maut hu main teri aur tere jaise logo ki.
G1: Humne kya kiya hai jo tum humhe maar rahe ho.
Aryan: Tujhe nhi pata tune kya kiya hai aur kya karne jaa raha thaa.
Humare desh ke youth ko iss nashe se marna chahta thaa naa ab tu marega iss nashe se.
Aryan uski gardan pakad kar usko Container ke saamne laata hai aur uske lock pe ek mukka marta hai jisse lock toot jaata hai phir bhi uss container ko khol uske andar padhe drugs ko uss aadmi ko nasha karwata hai. Itna nasha karwata hai. Ke woh wahi dum todd deta hai.
Phir woh Harish Uncle ko call karta hai ek private number se. Yeh wohi number hai jo bookie ke pass thaa.
Harish Uncle: Hello.
Aryan: Kyaa aap janna chahte hai aaj sehar mein jo drugs aaya hai woh kaha hai.
Harish Uncle: Kaun ho tum.
Aryan: Main kaun hu. Yeh choriye. Maine jo pucha hai woh boliye.
Harish Uncle: Tum jaante ho tum kisse baat kar rahe ho.
Aryan: CBI cheif Mr. Harish Verma se.
Harish Uncle: Batao kaha hai woh drugs aur tum kaun ho.
Aryan: Drugs toh ab Raakh ban chuka hai. But yaha pe kuch gunde padee hai. Mujhe nhi lagta woh zinda honge. But agar koi bach gaya toh unhe Hospital le jayiyegaa shayad kuch information mil jaaye.
Harish Uncle: Kaun ho tum aur kaha se bol rahe ho.
Aryan: Andheri ke paas jo band padha godown hai wahi pe hai drugs ka Raakh aur woh gunde. Aur mera naam hai Black Beast.
Yeh bol Aryan call cut karke usne media ko bhi inform kardiyaa
Phir usne waha pade paint se Container mein Black Beast bolke likh diya aur drugs ko jalakar waha se nikal gaya.
Harish Aryan ka call sunne ke saath saath apne team ko aur waha ke local police ko waha pahonchne ko bolte hai.
Thodi der CBI,Police aur Media teeno waha pe thee.
Drugs abhi bhi jal raha thaa. Gundo ki laashe padhi hui thi. Ek gunde ki laash ko toh drugs mein dubaa hua paya.
Media yeh sab record kar rahi thi. Aur Container pe jo Black Beast likh thaa usse bhi record kiya gaya.
CBI aur police ne milkar investigation start ki forensic ko bulwa ka drugs ke raakh ki jaanch karwayi gayi. Unhone bola thaa yehi drugs bahot jyaada matra mein thaa agar yeh drugs market mein aajata toh Desh ka youth barbaad hojaata. Jisne bhi yeh kiya hai woh achha kiya hai.
Agle din har news channel pe ek hi breaking news thii.
Woh teen logo ne bhi news dekhi thii. Unke toh pairon tale zameen hi khisak gayi thi. Kyoki woh barbaad hochuke the aur jiska maal barbaad hua tha woh unhe nhi chorne wala thaa.
Aryan ke ghar mein bhi sab yeh news dekh rahe thee.
Sanjay: Tabhi tumko kal aane mein late hogyaa.
Aryan bas muskura deta hai.
Sanjana: Bahot achha use kiya tumne apni powers ka.
Sanjay: Tumne bahot achha kaam kiya. Humhe garv hai ke humne apni barso ki mehnat ko galat haatho mein nhi diya. Balki ek bahadur aur sachhe insaan ke haatho mein diya hai.
Aryan: Maine toh wahi kiya jo uss waqt ek insaan ko karna chahiye tha. Par phir bhi 3 log jo inke pichhe hai abhi unko saza dena baaki hai. Unse toh waise bhi mera personal panga hai aur ab yeh wala. Unko toh thodi alag kisam ki maut deni hogi.
Sanjana: Mauttt.
Aryan: Haa maut. Unhone desh ke future ko barbaad karna chaha aur naajaane kitne barbaad bhi kar chuke hai aur unhe iss baat ka koi pachtawa bhi nhi hai. Isiliye aise insaan ke liye ek hi saza hai woh hai maut.
Sanjay: Dekh lo jo tumko thik lage.
Aryan: Mujhe aapse kuch jaruri baat karni hai.
Sanjay: Haa bolo.
Aryan: Abhi nhi. Abhi mujhe college ke liye late horaha hai. Sham ko karenge.
Sanjay: Thik hai.
Phir Aryan breakfast karke college nikal jaata hai.
College pahonch ke woh dekhta hai Meera aur Yash abhi tak aaye nhi thee. Aryan bhi aaj 2 din baad college aaya thaa.
Woh sidha canteen mein jaata hai. Waha jaake ek table pe baith ke Meera aur Yash ka wait karne lagta hai.
Tabhi waha Neha aajati hai. Usko dekhte hi Aryan dusri side jaake baith jaata hai. Neha ko apni yeh beizaati se gussa toh bahot aata hai but woh control karti hai.
Thodi der mein Meera aake sidha Aryan ke gale lag jaati hai. Yeh dekh ke college ki canteen ki aadhe se jyaada ladkiyan shock mein aur jalan se Meera ko dekhne lagti hai.
Neha bhi yeh dekhti hai aur uski aankhe toh gusse se laal hochuki thi.
Idher Meera Aryan ke gale lagi hui thi abhi tak. Phir woh usse chor.
Meera: Tumne toh kal kamaal kardiya jaan.
Aryan: Maine kya kiya.
Meera: Jyaada bano mat. Pure sehar mein tumhare hi charche horahe hai.
Aryan kuch bolta nhi bas muskura diya.
Meera: Tumne yeh sab kab kiya.
Aryan: Tumko kal ghar chorke aaraha tha tab.
Meera: Bahot achha kiya. Aisa hi hona chahiye thaa.
Aryan: Chalo class mein chalte hai. Waise yeh Yash nhi aaya aaj.
Meera: Aree usne kal bola thaa woh aaj nhi aayegaa. Usko apne kisi relative ke yaha jaana hai.
Aryan: Oo thik hai chalo.
Phir woh log class mein jaake baith jaate hai.
Phir Recess tak classes hoti rehti hai. Recess mein yeh log College canteen mein jaake baith jaate hai aur Aryan chala jaata hai coffee lene.
Jab Aryan coffee lene gaya tha tabhi Meera ke paas Neha aake baith jaati hai. Jisse dekh Meera bolti hai Aap please kahi aur jaake baith sakti hai yeh chair occupied hai.
Neha: Mujhe toh yaha koi occupy ka board ya sign nhi dikh raha.
Meera kuch bolti nhi hai. Kyoki Aryan ne usko pahle hi boldiya thaa kisi se naa ulajne ke liye khash kar innlogo se.
Meera ko kuch naa bolte dekh Neha ke chehre pe ek jung jitne wali muskaan aajati hai.
Usse lagta hai Ab Aryan ko uske bagal mein hi baithna padegaa.
Par uski woh khushi kuch hi der mein khatam hojaati hai.
Aryan aaya toh sahi par woh uss table pe naa baith Meera ko leke dusre table pe baith jaata hai aur coffee peete hue baate karne lagte hai.
Neha ka gussa ab bardaast ke bahar horaha thaa.
Woh jaake unke table ko gira deti hai. Jisse unki coffee girr jaati hai Aryan ko bhi gussa aagaya tha but woh kuch karta uske pahle hi Meera ne usko ek laga diya khinch ke.
Aryan yeh dekh kar Shock hogyaa. Usse nhi pata thaa ek bholi bhaali si ladki bhi kisi ko aise maar sakti hai.
Neha bhi usko maarne ke liye haath uthati hai toh Aryan uska haath pakad leta hai. Aur Meera usko ek aur laga deti hai. Aur Aryan bolta hai aisi galti kabhi mat karna. Warna tumhara woh haath kisi kaam kaa nhi rahegaa. Yeh bol woh Meera ko leke waha se chala jaata hai.
Neha ko aaj tak kisine aankh utha kar bhi nhi dekha thaa aur iss ladki ne usko 2 thappad laga diye. Usne Sidhe Rahul ko call karke sab bataya aur Rahul ne kuch students ko college mein bula liye Aryan ko maarne ke liye.
Aryan: Kya baat hai meri sherni ne toh kamaal kardiya.
Meera: Uski himmat kaise hui humare bich mein aake apni taang arane ki.
Aryan: Aree bas bas meri sherni usne jo kiya tumne uski saza usko de di hai. Ab shant hojao
Phir woh log jaake baaki ke class karte hai.
 
Top