• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Pyaar Ya Nafrat ( Completed)

Story achhi hai aur aage likhna chahiye

  • Haa

    Votes: 93 96.9%
  • Naa

    Votes: 3 3.1%

  • Total voters
    96
  • Poll closed .

Vipul

Well-Known Member
2,242
7,300
143
Update 7
Meera: Aree woh aaj main late hogyi thi isiliye pahli class miss hogyi aur main canteen aagyi aur yaha yeh sab hogya.
Aryan: Coffee piyogi
Meera: Okkk.
Phir Aryan uske liye bhi phir coffee order karta hai. Coffee peete peete Aryan usse puchta hai
Aryan: Kal ki tarah phir jaldi mein kisi bike ke saamne toh nhi aagyi thi naa tum.
Meera: Matlab.
Aryan: Shayad tumne mujhe pehchana nhi. Yaad karo kal sham ko tum achanak kisi ke bike ke saamne aagayi thi.
Meera jab Aryan ko dhyan se dekhti hai tab usse woh pehchan leti hai. Aur Hasti hui bolti nhi nhi kal galti se hogya thaa. Phir aisa kuch nhi huaa.
Yash jo itni der se inki baate sunn raha tha woh bolta hai
Yash: Tumlog kya ek dusre ko pahle se jaante ho aur yeh kis baare mein baat kar rahe ho.
Aryan: Nhi pahle se nhi. Kal sham ko ek incident mein humlog ek dusre se mile the. Phir usse kal ka pura incident suna deta hai.
Yash yeh sunke hasne lagta hai. Usse dekh woh dono bhi hasne lagte hai.
Yeh log abhi baate kar hi rahe the ke utni der mein Canteen mein peon aake bolta hai tumlogo meim se Aryan kaun hai.
Aryan: Main hu Aryan. Aryan Malhotra. Kya baat hai.
Peon: Chalo tumko Principal Sir bula rahe hai.
Aryan: Achha lekin kisliye.
Peon: Tumne abhi abhi jo kiya hai uske liyee.
Yeh Yash toh thik thaa but Meera jyaada tension mein aajati hai. Usse lagta hai uski wajah ab first day hi Aryan ko punish kiya jayegaa.
Aryan: Thik hai chaliye.
Yash: Chal main bhi aata hu.
Meera: Main bhi aaungi.
Aryan: Aree tumlogo ko aane ki jarurat nhi hai.
Meera: Nhi main toh aaungi. Aakhir meri wajah se hi toh tumhe bulaya gaya hai. Naa main waha hoti. Naa tum mujhe bachane ke liye unlogo se bhidte aur naa tumko Principal sir bulate.
Aryan aage kuch nhi bolta. Woh teeno peon ke saath chal dete hai. Wahi durr khada koi inko dekh kar muskura raha thaa aur bol raha thaa. Bahot hero banne ka shock hai naa. Ab jab tum iss college mein hi nhi rahoge tab maza aayegaa. Aur iss ladki ka toh woh haal kiya jayegaa ke yeh sochegi aakhir iss college mein usne kyo addmission liyaa. Aur jor jor se hasne lagta hai.
Aryan jab Principal office ke bahar aata hai toh unko wahi rukhne ka bolke andar jaata chala jaata hai.
Principal Aryan ko dekh kar usse waha baithne ke liye bolke uski bina koi baat sunne uske saamne Rustication certificate rakh dete hai. Aryan ko iska andaza ho hi gaya tha pahle hi.
Principal Sir: Tum college mein padhai karne aate ho yaa gundagardi karne. Iss college mein yeh sab allow nhi kiya jaayegaa isiliye tumhe Rusticate kiya jaata hai.
Aryan: Sir yeh aap mujhr kis basis pe kar rahe hai. Main maanta hu maine marpit ki. Par kyo ki kya aap yeh jaante hai.
Principal Sir: Tumne apne senior Rahul Kapoor ko maara hai jo mera beta bhi hai. Isiliye yeh kiya jaaraha hai.
Aryan: Achha toh mujhe Rahul Kapoor ko marne ke liye rusticate kiya jaaraha hai yaa apne senior ko marne ke liye.
Principal Sir: Usse kya fark padhta hai. Hai toh dono ek hi.
Aryan: Sir kya aapne yeh jaanne ki koshish ki ke maine unko kyo maara. Jisne aapke paas meri complaint kiya hai kya usne aapko yeh nhi bataya ke maine unko kyo maara. And I am sure aapke paas meri complaint aapki beti ne ki hogi.
Principal Sir: Haa usi ne ki hai. Usi ne mujhe bola tumne canteen mein uski aur uske bhai ki beizaati ki aur unko maara bhi. Bas ab aur koi baat nhi sunna mujhe yeh lo tumhara rustication certificate aur jao yaha se.
Aryan: Sir aapne unki aadhi baate sunke direct decision le liya. Kya aap puri baat nhi sunenge ke maine unko kis liye maara.
Principal Sir: Tumko college mein hero banne ka shock chadha tha isiliye tumne maara hogaa.
Aryan: Kya aap 2 mins meri baat sunenge.
Principal Sir: Kaho jo kehna hai.
Aryan: Sir aapko bola gaya maine canteen mein usse maara. Par kyo maara yeh nhi bola gaya. Toh main batata hu. Phir Aryan unko puri baat batata hai. Toh woh yeh sunke apna sirr jhuka lete hai. Lekin aakhir the toh woh Rahul aur Neha ke pita hi.
Principal Sir: Tumhare paas kya proof hai iss baat kaa. Ke jo tum bol rahe ho woh sach hai.
Aryan: Aapke paas kya proof hai ke maine unhe maara hai.
Principal Sir kuch bol nhi paate kyoki woh bhi jaante thee ke Rahul ne aisa kiya thaa aur woh apni beti ki baat pe yeh sab kar rahe thee.
Aryan: Sir toh main jaa sakta hu. Meri class ka time horaha hai.
Principal Sir: Haa. Issbaar toh main tumhe chorr raha hu aur yeh tumhari last warning hai. Agli baar aisa nhi hona chahiye.
Aryan: Phir toh aapke bete aur beti pe bhi apply hona chahiye. Bhale hi woh Principal ke hi bete beti kyo naa ho hai toh woh iss college ke hi student. Aur rules toh sab ke liye same hona chahiye.
Principal Sir: Main unko warn kardungaa. Ab tum jaa sakte ho.
Aryan: Thank You sir. Yeh bol Aryan waha se nikal jaata hai.
Bahar Yash aur Meera ab bhi khade the. Meera ab bhi tension mein khadi thii.
Aryan ko bahar aate dekh woh dono uske upar questions ki gun daag dete hai.
Aryan: Aree pahle shant hojao. Phir batata hu.
Phir wohlog shaant hote hai.
Meera: Ab bolo kya hua andar.
Aryan phir unhe sab batata hai ke andar kya kya hua.
Meera: Once again I am very sorry. Meri wajah se aaj tum rusticate hote hote reh gaye.
Aryan: Isme tumhari koi galti nhi thii. Yeh sab undono ka kiya hua hai. Aur bhale hi andar jo hai woh principal hai but woh undono ka baap bhi hai aur unki baate sunke mujhe itna toh pata lag gaya thaa ke unhe sab malum thaa but woh kaise bhi karke mujhe rusticate karna chahte thee. But nhi kar paaye. Kyoki agar mujhe rusticate karte toh unsab ko bhi karna padhta jo woh kabhi bhi nhi karenge.
Isiliye tension chodho aur class mein chalo time horaha hai.
Phir woh log class mein chal dete hai. Jaha sab Aryan ko hi dekh rahe hote hai. Kyoki canteen wala kaand inlogo ne bhi dekha aur suna thaa.
Wahi jab Neha ko yeh pata chalta hai ke Aryan bach gaya toh woh bahot gussa hojaati hai. But woh jaanti thi isme woh kuch nhi kar sakti.
Yash Verma- Yash ek bahot hi decent ladka. Hasi mazak karna jyaada pasand hai. Dikhne mein bhi achha hai. Padhai mein bhi average hai. Iske papa CBI officer hai. But yeh bahari duniya ke liye. Asal mein woh kuch aur hi thee jo baad meim pata chalega.
Meera-(Heroine) Yeh ek anath hai. Bachpan mein iske parents ki ek car accident mein maut hogyi thi. Tab se ek anath aashram mein hai. Waha ki warden bahot achhi hai isiliye unhone isko apni beti banaliya. Aur yeh 18 years ke baad bhi waha pe rehti hai. Kyoki yeh wahi pe aashram mein kaam bhi kar hai isiliye. Isko bhi scholorship mili hai isiliye yeh bhi ussi college mein apni study kar rahi hai.
Principal Sir- ( Ashok Kapoor) Yeh shakal se dikhne mein shareef lagte hai but hai nahi. Inke bachhe inke hi nakshe kadam mein chalte hai. Inke bachhe inke hi dum par college mein apni awaragardi karte hai. Isliye unke khilaf aaj tak koi action nhi hua. Yeh college mein bahot se gairkanooni kaam bhi karte hai. Jisme iske bachhe iska pura saath dete hai.
Aise hi aur classes ke baad aaj college over hojaata hai kyoki aaj first day tha isiliye.
Class se nikal woh parking ki taraf jaate hai toh waha pe pahle se hi Neha aur uske saath kuch ladkiyan inka wait kar rahi thii.
Neha: Yeh mat samajna tum bach jaoge. Tum nhi jaante tumne kisse panga liya hai. Tumhe yeh bahot bhari padegaa. Aur tu( Meera) tujhe bhi. Teri toh woh halat hogi ke tujhe afsos hoga ke kyo tu iss college mein aayi. Just wait and watch. Yeh keh ke woh waha se chali jaati hai.
Meera toh thoda darr gayi thi but Aryan gusse mein thaa but usne apna gussa shant kiya aur bola chalo ghar chalte hai. Woh jab karegi tab dekha jaayega.
Yash: Haa chalo chalte hai mere pass toh bike hai main usse chala jaungaa. Tum log kaise jaoge.
Aryan: Mere pass car hai main. Aur tum Meera.
Meera: Main auto ya bus se chali jaungi.
Aryan: Agar tum chaho toh main tumhe drop kar sakta hu. Shayad tumhara ghar bhi mere ghar ke raaste mein hi padegaa.
Meera: Aree nhi nhi tumhe pareshan hone ki jarurat nhi hai main chali jaungi.
Aryan: Isme pareshani kaisi. Ab hum sab dost hai. Chalo main tumhe chorr deta hu.
Meera: Achha thik hai chalo.
Phir wohlog apne car and bike ke pass aate hai.
Yash aur Meera car dekh kar shock hojaate hai. Kyoki car thi ekdum latest model ki. Aur thi sports car. Isiliye woh shock the.
Yash: Yeh teri car hai.
Aryan: Haa.
Yash: Aree yeh toh ekdum latest hai. Shayad 2-3 din pahle hi launch hui hai.
Aryan: Haa. Aaj subah hi maa baba( Sanjay and Sanjana. Aryan unko maa baba hi keh kar hi bulata hai) ne gift ki thi.
Yash: Wow yaar kya baat hai yaar.
Meera: Haa Aryan tumhari car sach mein bahot achhi hai.
Aryan: Thank You guys. Chalo ab chalte hai.
Yash apni bike se chala jaata hai. Aryan aur Meera car se chale jaate hai.
Car mein Aryan aur Meera baate karte hue jaa rahe thee.
Meera: Tum kaha par rehte ho.
Aryan: Andheri mein.
Meera: Ookkk. Waise tumhare ghar mein kaun kaun hai.
Aryan: Bas maa baba aur main.
Meera: Waise tumne body toh mast banayi hai. College mein aadhi se jyaada ladkiyan tumhe hi ghurr rahi thii. Jaise abhi kachha khaa jaaye.
Aryan: Yeh toh bas roj gym jata hu toh usee ban gayi. Waise yeh ladkiyon wali baat comment thi yaa compliment.
Meera: Tumhe kya laga.
Aryan: Mujhe toh compliment hi laga. Yeh keh ke woh hasne lagta hai.
Meera bhi uske saath hasti hai.
Meera: Waise kitni girlfriends hai tumhari.
Aryan: Main pure single hu. Meri koi girlfriend nhi hai. Aur waise bhi main Mumbai mein naya hu. Toh yaha pe kisi ko jaanta bhi nhi.
Meera: Tum itne smart ho,handsome ho,body bhi mast banayi hai kehte ho girlfriend nhi hai. Ajeeb hai. Mumbai mein naye ho toh pahle kaha the.
Aryan: Main pahle Delhi mein rehta tha. Aur ab Mumbai mein hu. Bachpan se Delhi explore karliya. Aur ab Mumbai ko explore karna hai.
Meera: Oo achha hai.
Aryan: Waise tum bhi dikhne mein khubsoorat ho. Tumhare kitne boyfriend hai.
Meera: Mera bhi bilkul tumhari tarah hai. Pure single. Kabhi koi aisa mila hi nhi jisse dekh kar dil kahe ki haa yehi hai woh jiska mujhe intezar thaa.
Aryan: Oo. Nice.
Aise hi baate karte karte woh Meera ke ghar pahonch jaate hai.
Meera car se utar kar
Meera: Thanks for lift.
Aryan: Its my pleasure. Okk Byeee kal milte hai college mein.
Meera: Haa byee.
Yeh bolkar woh apni car aage badha deta hai aur Meera bhi apne raaste chal deti hai.
Kamal ka update tha bhai


Waiting for new updates bhai
 

Vipul

Well-Known Member
2,242
7,300
143
Update 8
Aryan ghar pahochta hai toh ghar mein sirf Sanjana thi. Sanjay lab mein gaye huye thee.
Sanjana: Kaisa gaya college ka first day.
Aryan: Achha thaa.
Sanjana: Jao fresh hojao main khaana laga deti hu
Aryan: Apne kamre jaake fresh hota hai aur lunch karke thodi der sojaata hai.
Sanjana ko lab se call aata hai isiliye woh bhi lab mein chali jaati hai.
Sham ko Aryan so ke uthta hai. Phir woh apni fights ki practice karta hai. Phir woh internet mein check karta hai Mumbai mein kaha kaha Underground aur street fights hoti hai. Woh waha ke thode information leta hai.
Phir woh ghar ke bane lab mein chala jaata hai. Waha jaake woh sab chiz achhe se dekhne lagta hai. Ab uska dimaag toh koi normal insaan ka thaa nhi. Isiliye woh sab kuch samaj bhi jaata hai kaun si chiz kis kaam mein aati hai.
Phir woh kuch soch kar apne kamre jaakar ek chashmah le aata hai. Phir uske upar kisi tarah ka experiment karne lagta hai. Uska experiment har baar fail horaha hota hai.
Kuch der baad Sanjay aur Sanjana bhi aajate hai. Sanjay lab mein aakar dekhta hai Aryan kuch kar raha hota hai. Woh puchta hai
Sanjay: Kya kar rahe ho Aryan.
Aryan: Kuch khash nhi bas apne iss chashme mein ek experiment kar raha hu but woh baar baar fail horaha hai
Sanjay: Kis tarah ka experiment.
Aryan: Mere dimaag mein aaya ke main ek aisa chashmah banau jo deewar ke aarpaar dekh sake aur kisi bhi human ke body ko uske kapro ke upar se scan karke yeh dikha sake ke usne koi weapon yaa aur kuch chupaya hai yaa nhii. Aur yeh chashmah tabhi kaam kare jab yeh mere retina ke access mein aaye aur sirf mere voice command mein kaam kare. Nhi toh ek normal chashme ki tarah hi rahe.
Sanjay: Aree waah bahot achhe. Achha experiment kar rahe ho. Chalo mujhe dikhao kya problem horaha hai.
Phir dono jan experiment karne lagte hai aise hi bahot koshisho ke baad unka experiment success hota hai.
Par Sanjay ne isme recording ka feature bhi de diya thaa chahe retina ka access ho ya naa ho. Woh Aryan ke voice command,mobile aur watch se start kar sakta thaa.
Aur recording sidhe uske mobile mein save hojayegaa.
Phir woh log lab se bahar aake dinner karte hai tab Sanjay Sanjana ko Aryan ke experiment ke baare mein batata hai woh bhi bahot khush thii.
Phir sab sone chale jaate hai. Agle din Aryan subah jaldi uthh ke thoda workout karta hai phir ready hoke breakfast karke college ke liye nikal jaata hai. But aaj woh bike se jaane ka sochta hai. Isiliye usne apne watch se apni bike ko bulata hai.
Aryan jab bike baithta hai tab usme se bhi waise hi awaaz aati hai jaise car se aayi thi. WELCOME ARYAN SIR.
Phir Aryan bike se college chala jaata hai but woh apna chashmah pehene rakhta hai.
College pahoch ke woh bike park karke woh canteen chala jaata hai. Jaha Yash pahle se hi baitha thaa.
Yash: Good Morning.
Aryan: Good Morning. Kaisa hai.
Yash: Thik. Tu bata. Main bhi ekdum fit.
Yeh log baat kar rahe hote hai. Tabhi Meera bhi waha aajati hai.
Meera: Good Morning Aryan. Good Morning Yash.
Dono: Good Morning.
Aaj bhi Rahul aur Neha durr se inko dekh rahe thee aur plan kar rahe thee kaise inko sabak sikhaya jaaye. Par unko kuch sooj nhi raha thaa.
Waha Woh teeno thodi baate kar rahe hote hai. Tabhi class ka time hota hai. Aur woh class mein chale jaate hai. Aaj bhi first period Kunal Sir ka hi thaa.
Woh aate hai. Padhai start hoti hai. Unka period khatam hota hai.
Aise hi recess tak classes hoti rehti hai. Phir woh log canteen mein jaake baith jaate hai aur coffee order karte hai. Jab Aryan coffee leke aaraha hota hai tab jaanmuzz ke pass ke table pe baithi Neha Aryan ke raste mein taang ara deti hai jisse Aryan toh nhi girta but uska balance bigad jaata hai aur coffee girr jaati hai.
Yeh dekh kar unka group hasne lagta hai but Aryan kuch nhi karta. But koi thaa jisne yeh harqat dekh li aur usko gussa toh bahot aaraha thaa but woh kuch kar naa saki. Yeh thi Meera.
Aryan jaake dusri coffee order karta hai aur woh teeno baith kar peete hai.
Yash: Tune kuch kiya kyo nhii. Usne janmuzz ke yeh kiya thaa
Meera: Tumne kuch kiya kyo nhii.
Aryan: Raste mein haathi chalta hai naa toh kutte bhokte rehte hai. Toh kya haathi unko kuch karta hai nhi naa. Woh apne chalta rehta hai. Thik waise hi yeh harqat hai.
Meera: Lekin agar kutta pagal ho toh uska ilaaz karna chahiyee.
Aryan: Agar kutta pagal ho aur woh haathi ko kaatne aaye tab haathi apna ek pair bhi agar kutte ke upar rakh de toh woh wahi dherr hojayegaa. Aur abhi apna pairr rakhne ka time nhi hai. Jab hogaa tab dekhenge.
Phir bhi unka mood off thaa. Toh Aryan bolta hai chalo aaj tumlog mere ghar chalo waha mere maa baba se bhi mil lenaa. Isse tumlogo ka mood bhi thik hojayegaa.
Woh log bhi chal dete hai kyoki ab unka bhi aur class karne ka mann nhi thaa.
Woh log waha se sidha parking mein jaate hai.
Meera: Tumhari car kaha hai. Dikh nhi rahi.
Aryan: Aaj main bike se aaya hu.
Meera: Oo.
Phir Yash apne bike mein Meera Aryan ki bike mein chal deti hai. Thodi der baad woh log Aryan ke ghar aajate hai.
Waha pe Sanjay aur Sanjana baithe hue hi thee kyoki aaj unki lab se chutti thi.
Sanjana Aryan aur uske dosto ka Welcome karti hai. Phir woh waha se Aryan ke room mein jaate hai. Waha baith ke baate karne lagte hai. Tabhi Sanjana unke liye nashta leke aati hai. Woh log wahi baith ke nashta karne lagte hai. Aryan unka intro karwata hai. Sanjana baar baar Meera ko hi dekh rahi thi aur muskura rahi thi.
Thodi der baad woh log chale jaate hai. Yash ne Meera ko drop kardiya thaa.
Phir Aryan thodi der baas lunch karke sojaata hai.
Wahi Durr kahi ek ghar mein ek aurat ek tasveer ko haath mein liye roye jaa rahi thii. Aur bol rahi thii. Tu kaha chala gaya. Wapis aajaa aur humhe maaf karde. Humse bahot badi galti hogyi hai. Yeh bolke woh rone lagti hai. Wahi ek aadmi uske paas mein hi khada thaa woh bhi apni patni ki halat dekh raha tha par kuch kar nhi sakta hai.
Aurat: Aap itne bade aadmi hai. Aap abhi tak mere bete ko dhund kyo nhi paaye. Please mere bete ko wapas laa dijiye.
Aadmi: Main apni puri koshish kar raha hu. Pata nhi woh kaha hai. Main pure Sehar mein aadmi lagwa diye hai. Par uska kuch pata nhi chal raha. Maine toh dusre seharo mein bhi uski tasveer bhijwa di hai but abhi tak koi khabar nhi aayi.
Aurat: Woh humse bolta raha. Usne kuch nhi kiya. Woh bekasoor hai. But humne uski ek naa sunni. Uske saath kya kuch naa kiyaa. Usko kitna kuch bola. Uske saath ek apradhi se bhi bura behave kiya.
Aur ab jab humhe humari galti ka aihsaas hua toh woh hi humare paas nhi hai. Pata nhi kaha aur kaisa hoga mera betaa. Yeh keh ke woh phir rone lagti hai.
Wahi usi ghar mein kisi dusre kamre mein ek ladki ek picture ko haath mein leke pls mujhe maaf karde bhai. Maine tere saath bahot galat kiya. Tujhe kya kuch nhi bolaa. Tere upar haath tak uthaya. Kaha tere aankho mein ek aansu bhi bardaast nhi thaa wahi tujhe kitna rulaya. Pls wapis aajaa main tere bina nhi reh sakti. Kitne mahine hogye tujhe dekhe hue. Pata nhi tu kaha hai kaisa hai kya kar raha hai. Yeh sab bol woh bhi rone lagti hai.
Yaha Aryan jab so ke uthaa tab uske dil mein ek bechani si horahi thi. Usko aaj baar baar uski yaad aarahi thi. Aur isiliye uski nafrat uska gussa badh raha thaa. Aur isiliye woh sand bag mein punches marne lagta hai but uska gussa shant nhi hota hai. Isiliye woh aaj underground fight mein jaane ka sochta hai aur waha jaake apna gussa shant karne ka sochta hai.
Woh jaake Sanjay se baat karta hai. Toh Sanjay usko leke lab mein jaata hai aur waha uske liye ek special mask deta hai jo usne kuch din pahle hi bana thaa.
Aryan dekhta hai woh ek devil ka mask thaa jisme skull ka bahot hi darawana picture bana hua thaa.
Aryan woh mask leta hai aur waha se apne room mein jaake ek suitcase mein thode paise rakhta hai( Paise kaha se aaye yeh baad mein pata chalega) aur ready hota hai. Usne ek black jeans skin tight black t-shirt aur ek black hoodie pehen leta hai aur mask ko apne saath rakh leta hai. Phir woh apni car leke waha chala jaata hai jaha underground fight hoti hai.
Waha jaake woh thodi der dekhta hai kaise ladh rahe hai sab.
Waha pe ek match chal raha thaa. Sab koi Undertaker ke naam ki hooting kar rahe thee. Woh yaha ka best fighter thaa. Naa jaane kitno ko behrami se jaan se maara hai. Uske record hai aaj tak koi bhi uske saamne 3 minutes se jyaada nhi tikk paya. Aur abhi jo match chal raha thaa usme bhi samne wale ko 2 mins mein hi dherr kar diya thaa usne.
Aryan ko apna gussa shant karne ka option mil gaya thaa.
Woh waha se bookie ke paas jaata hai aur waha jaake bookie se bolta hai mujhe uss undertaker se ladna hai.
Bookie: Aree bachhe pagal hogaya hai kyaa jo uss saand se bhidne jaa raha hai. Aree woh yamraaj hai. Hosakta hai tune body banayi hai phir bhi woh tujhe chutkiyon mein masal dega. Khud ke jaise kisi se ladh lenaa.
Aryan: Tujhe jitna bola hai utna kar. Mere naam uss undertaker ke saath announce karwa.
Bookie: Agar tujhe marne ka itna hi shock hai toh thik hai. Mujhe kya. Waise bhi woh toh tujhe chutkiyon mein masal dega.
Aryan: Kitna amount jama karna hai jaldi bol.
Bookie: Bachhe waise bhi aaj death to death match chal raha hai. Ring mein se kisi ek ko aaj marna hai. Jab tak samne wala marega nhi match khatam hoga nhii. Aur Undertaker toh tujhe aaj maar hi dega. Isiliye tujhe paise nhi lungaa.
Aryan: Tujhe bahot vishwaas hai naa. Toh ek kaam kar aaj uss Undertaker ke liye ek arthi ka intezaam karle. Aaj woh Zinda wapas nhi jayegaa.
Bookie: Sapne dekhna achhi baat hai. Lekin sapne bhi wohi dekho jo kabhi pure ho.
Aryan: Tujhe jitna bola hai utna kar.
Nice update tha bhai


Waiting for new updates
 

Jaguaar

Prime
17,680
60,210
244
Update 9
Bookie: Thik hai chal agar aaj tune uss Undertaker ko maar diyaa toh aaj yaha ki jitni bhi kamayi hogi woh sab teraa.
Aryan: Manzur hai. Chal ab jaldi naam announce karwa.
Bookie: Rukh jaa bachhe mujhe pata hai tujhe marne ki jaldi hai abhi 1 match baaki hai uske baad tera naam aayegaa. Tab tak ke liye apne bhagwan ko yaad karle aur bol de ke tu unke paas jaaraha hai. Tab tak ke liye aakhri baar apna naam bata de.
Aryan: Likh Black Beast.
Bookie: Naam toh achha hai. But kisi kaam ka nhi hai. Yeh naam aaj pahli aur aakhri baar main hi bolungaa. Uske baad humesha ke liye yeh naam kho jayegaa. Meri taraf se best of luck.
[ Aryan jab se yaha aaya thaa tab se usne apna mask pehna hua thaa isiliye bookie ne uska chehra nhi dekha hai ].
10 minutes baad Aryan ka naam announce hota hai.
Aryan ring ke andar jaata hai toh usko dekh kar Undertaker hasne lagta hai aur chilla kar uss bookie ko bulata hai.
Undertaker: Kyo be tere paas aadmi khatam hogye hai kyaa jo iss bachhe ko aaj death to death khelna bhej diya hai.
Bookie: Bhai maine isse bahot samjhaya par ise hi marne ka shock chadha hai toh main kya karu.
Aryan jo itni der se inki baate sunn raha tha woh bolta hai
Aryan: Suna hai koi bhi tere samne 3 mins se jyaada tikk nhi paaya hai. Chal main tujhe aaj 5 mins deta hu. Mujhe maar ke dikha. Agar tune mujhe 5 mins ke andar maar diya toh thik warna uske agle hi min mein main tujhe maar dungaa.
Waha lagbhag hazaro aadmi thee jo Aryan ki yeh baate sunke jor jor se hasne lagte hai. Koi bolta hai yeh pagalkhane se bhagg aaya hai toh koi bolta hai yeh aaj apna aakhri din yaha pura karne aaya hai.
Undertaker uski baate sunke jor jor se hasta hai. Aur bolta hai
Undertaker: Are bachhe 3 mins toh durr ki baat hai. Main toh tujhe 1 min mein maar dungaa. Tujhe aaj marna hi hai toh chal aaja
Phir match start hota hai.
Undertaker Aryan ke muh pe ek jordaar punch marta hai. Aryan durr jaake girta hai. Yeh dekh waha sab Undertaker ke naam ki hooting start kardete hai.
Undertaker: Abhi bhi time hai wapas chala jaa bachhe. Main tujhe chorr deta hu.
Aryan khada hote hue 4 mins 10 sec.
Undertaker yeh sunn gusse mein uske pet mein ek laat mar deta hai jisse woh wapas udd ke durr jaa girta hai.
Aryan phir khada hote hue 3 mins.
Issbaar Undertaker usko punch marne aata hai toh Aryan uske punch ko block kar usko punch maar deta hai( Jorse nhi)
Punch lagte hi Undertaker thoda pichhe hojaata hai. Jisse uska gussa bahot badh jaata hai. Woh bolta hai
Undertaker: Abhi tak toh tere saath bachha samaj ke khel raha thaa. Par ab aur nhi.
Yeh bol woh Aryan ko marne aata par Aryan uske waar ko duck kar uske peeth mein ek mukka marte hue aaj tera recore toot gaya aur kuch der baad tu humesha ke liye toot jayegaa.
Waha khade hazaro log shock mein thee jab maine Undertaker ke record ko todd diya. Ab waha pe unki taraf se koi awaaz nhi aarahi thii.
Undertaker apne record tootne se bahot jyaada hairan aur gusse mein hota hai.
Woh aake Aryan ke gardan ko pichhe se apne bazuyon mein jakar leta hai. Aryan apne sir ko jor se uske chest mein marta hai. Toh uska balance bigadta hai aur Aryan uski pakad se azaad hojaata hai.
Aryan usko dekhta hai aur bolta hai tere paas aur 40 second hai maar sakta hai toh mar le.
Woh daud ke aata hai toh Aryan uske right ribs mein apni aadhi taqat se ek punch marta hai toh uske ribs ke tukde hojaate hai.
Phir woh uske left ribs ke saath bhi same karta hai.
Phir pichhe se uske spinal cord ke upperside ke saath bhi same karta hai aur uske saamne aake uske aankho mein dekh kar bolta hai Time Up
Undertaker ko Aryan ki aankho mein ab apni maut nazar aati hai.
Aryan apni puri taqat se uske heart wale hisse mein ek waar karta hai jisse Undertaker ke muh se khoon nikalta hai aur uska dil wahi pe dhadkna band kardeta hai. Aur wahi pe humesha ke liye girr jaata hai.
Kuch der baad koi aata hai aur Undertaker check karta hai toh usko shock lagta hai. Aur woh usko death finalize kar deta hai. Waha saare log shock mein khade hote hai kisi ke muh se koi awaaz nhi nikal rahi hoti hai.
Aryan chup chap ring se bahar aake uss bookie ke paas jaata hai.
Bookie usse shock aur darr se dekhne lagta hai. Uski toh ab bolti hi band hochuki thii.
Aryan: Kya bol raha tha tu. Mujhe uss waqat samaj nhi aaya thaa jara phir se bolna.
Bookie: Mujhe maaf kardo bhai. Maine aapko kam samaj liya. Mujhe chorr do. Mere parivaar mein mere alawa aur koi mard nhi hai agar mujhe kuch hogya toh woh raste mein aajayenge. Pls mujhe chorr do.
Aryan: Chal bata kitni kamayi hui hai aaj.
Bookie: Bhai pure 120 crore ki kamayi hui hai.
Aryan: Itna kaise huaa.
Bookie: Bhai yeh Undertaker ek match ka crores leta thaa aur aaj usne kul 10 fights ladhi thi. Toh uske hue 80 crore. Aur jitne bhi uske opponents the uske mila hue 40 crore.
Aryan: Samjha. Chal ab bata isme tera commission kitna hua hai.
Bookie: Rehne do bhai. Mujhe kuch nhi chahiye.
Aryan: Black Beast kabhi kisi ka hakk nhi marta. Kitna hua hai bol.
Bookie: Darte hue. 2 crore.
Aryan: Thik hai. Apna commission le lena aur baaki ka amount tujhe iss account mein transfer karna hai. Usko ek page dete hue kaha. Aur haa yeh mera mobile number hai. Jab bhi aisi koi fight ho toh mujhe call kar lena aur tum log jo betting karte ho fight pe uski puri details isme message kardena. Jab bhi mujhe jarurat padegi main boldungaa.
Bookie: Ji bhai. Yeh bol woh page le leta hai.
Aryan apne car ki taraf aake usne apna mask nikala aur dekhta hai uske chehre pe koi bhi chott ka nisaan nhi hai. Yeh uske liye bahot hairaani wali baat thi. Kyoki maar toh usse bhi padhi thi.
Woh jaldi se ghar aata hai aur Sanjay se uski chott ke baare mein baat karta hai toh Sanjay bolta hai
Sanjay: Yeh sab uss formula ka kamaal hai. Uski wajah se tumhari healing power badh gayi hai. Tumhari koi bhi chott jald se jald thik hojayegi.
Sanjana: Waise tum kaha gaye the aur yeh chott ki kya baat horahi hai.
Aryan phir usse saare baate batata hai.
Sanjana: Achha toh kitna amount jitaa tumne.
Aryan: 118 crore.
Sanjay aur Sanjana: Kitnaa.
Aryan: 118 crore.
Dono: Itna amount kaise hua.
Aryan unko bolta hai kaise itna amount hua.
Sanjana: Ooo. Toh phir itne amount ka kya karne ka socha hai.
Aryan: Maine socha hai yeh paise stock market mein invest karu. Kya aap log kisi achhe investor ko jaante hai jo yeh kaam karta hai aur mujhe achhe deal karwa sakta hai.
Sanjay: Yeh stock market bahot risky hai. Isme paise khone ka khatra jyaada hai.
Aryan: Pata hai. Par yeh saare paisa ek tarah se black money hai. Aur agar paise dubb jaate hai toh dukh nhi hogaa waise bhi kisi ko maar kar hi kamaya hai.
Sanjay: Jaisi tumhari marzi. Tumhare paise hai. Aur tumhari baat bhi sahi hai. Kal tumhare college ke baad tum mujhe call karlena main tumko le chalunga ek investor ke paas. Meri jaan pehchan ka bhi hai woh.
Aryan: Thik hai.
Sanjana: Chalo jaldi se fresh ho jao. Main dinner laga deti hu.
Aryan fresh hoke dinner karke apne room mein aake apna mobile check karta hai toh waha unknown number se 2 missed call aaye hue thee aur ek message bhi thaa. Jo bank se thaa ke saare paise transfer hogaye hai.
Aryan itni raat ko uss number pe call lagana thik nhi samajta isiliye woh aaj college mein jo padhaya thaa woh ekbaar dekh leta hai. Ab uska brain ek super brain thaa isiliye ek baar dekh lene se hi usko yaad hojaata thaa.
Phir woh sojaata hai.
Subah roj ki tarah Aryan jaldi uth kar apna workout finish kar ready hoke breakfast kar apni car leke college ki taraf nikal jaata hai.
Raaste mein usse Meera khadi dikhayi padhti hai. Toh woh uske paas jaake car rokhta hai aur puchta hai.
Aryan: Good Morning. Kya baat hai yaha khadi ho.
Meera: Good Morning. Haa woh college ke liye bus ka wait kar rahi thii.
Aryan: Main bhi college hi jaaraha hu. Chalo saath chalte hai.
Meera bhi bina kuch bole uske saath baith ke college nikal jaati hai.
Meera: Thanks for lift.
Aryan: Aree isme Thanks kaisa tum meri dost ho. Dosti mein No Thank You No Sorry.
Meera: Achha okk. Jara mujhe bataoge kal tum kaha thee maine call kiya thaa par tumne uthaya hi nhi.
Aryan: Main toh ghar par hi thaa. Tumne kab call kiya thaa.
Meera: Raat ke taraf.
Aryan: Oo. Tab mein thoda kaam se bahar gaya thaa aur mobile ghar meim bhul gaya tha. Aate aate late hogya tha maine mobile mein dekha tha 2 missed calls the but number save nhi thaa isiliye pehchan nhi paya aur itni raat ko call karna bhi thik nhi samajha.
Meera: Okkk koi baat nhi.
Aryan: Waise koi kaam tha kya jo raat mein call kiya.
Meera: Nhi koi kaam nhi thaa bas aise hi baate karne ke liye hi call kiya thaa.
Aryan: Achhaa.
Aise hi yeh log baate karte karte college pahonch jaate hai. Jab Aryan ki car college mein enter karti hai tab saari ladkiyon ko pata chal jaata hai ke Aryan ki car hai isiliye woh usi taraf nazare kare hue khadi thii
Jab Aryan car se utarta hai toh sab usse dekhte rehte hai. But jab dusri side se Meera ko utarte dekhte hai. Sabki aankho jalan saaf nazar aarahi hoti.
Saari ladkiyan Meera ko Aryan ke car se utarte dekh jalan mein naa jaane kya kuch bolne lagti hai.
Phir woh dono waha se Canteen mein jaate hai. Jaha aaj bhi Yash baitha hua tha.
Dono: Good Morning Yash.
Yash: Good Morning. Kya baat hai aaj dono saath mein.
Aryan: Haa. Actually main aaraha tha toh raaste mein isse khade dekha toh saath le aaya.
Yash: Oo achha kiya. Aaj first lecture off hai kyoki Kunal sir aaj nhi aaye hai isiliye class mein jaake koi faiyda nhi yehi pe baithe raho.
Aryan: Chalo thik hai. Main coffee leke aata hu. Tumlog piyoge
Dono: Haa jarur.
Phir Aryan Coffee leke aata hai aur teeno peene lagte hai.
Tabhi Yash bolta hai.
Yash: Aree tumlogo ne suna kal Kisi Black Beast ne famous underground fighter Undertaker ko maar diya hai fight mein.
Aryan ko yeh sunte hai khashi aajati hai.
Meera: Aree ab tumhe kya hua aaram se piyo.
Yash: Pata nhi kaun tha sirf 5 mins mein hi usko maar giraya. Main toh uska fan hogya.
Meera: Haa maine bhi suna hai. Waise achha hi hua jo usko maardiya naa jaane usne kitne logo ko behrami se maara tha.
Yash: Haa sahi bola tumne. Are tu kyo itna chup hai.
Aryan: Ab main jinhe jaanta nhi unke baare mein kya baat karu.
Yash: Kya tu Undertaker ko nhi jaanta. Mumbai ke underground fight ka famous fighter tha woh.
Meera: Tum bhi kamaal karte ho Yash. Woh kaun sa Mumbai se hai jo usse janegaa. Yeh toh kuch mahine pahle hi yaha aaya hai.
Yash: Aree haa main toh bhul hi gaya thaa.
Yeh log aise hi baat karte rehte hai.
 
Top