• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Adultery PYAAR KI BHOOKH ( COMPLETE)

Ankitshrivastava

Well-Known Member
3,946
11,123
144
Mera ek dought tha madan jab apni flashback story suna raha tha usme usne bataya ki sarita ka asli nam sohni hai aur uske pariwar walo ko azaad ne mara hai lekin jis hisaab aazad ne yesa kuch kiya nahi hoga ab to na sarita rahi na madan fir jisne sarita k pariwar ka raaz clear nahi hua unko kisne markar ye dushmani paia ki

Hmm..aapka doubt clear jaroor hoga......

Maine ye baat pahle bhi comment me batai thi ek dost ko...but wo comment 13-14 apr ka tha to udh gaya....chaliye batata hu....

Sarita ke pariwar ki asli story wo batayga....jo mar chuka hai.....

Kaise aur kab....iske liye thoda wait karna hoga....

Filhaal to MH7 ka chepter chalu hai.....uske baad dekhna ...ok

Thanks buddy.....
 
Last edited:

Iron Man

Try and fail. But never give up trying
37,530
94,695
304

Iron Man

Try and fail. But never give up trying
37,530
94,695
304

Ankitshrivastava

Well-Known Member
3,946
11,123
144
Update - 319


Last me aapne padha ki ek taraf ankit rajni ki gaand maarta hai aur fir sanju ka sach jaan leta hai....ait teena ka naam sunte hi gusse me ghar aa jata hai......

Fir ankit ko akram aur alok ki help se MH7 ka pata laga kar un dono ke sath waha nikal jata hai....

Wahi dusri taraf wo aourat sarad se baat kar ke usko bhaagne ka bol deti hai......

Yaha ankit jab MH7 me pahuchta hai to apne saamne teen laasho ko dekh kar toot jata hai.....khas kar poonam ko dekh kar.....


Ab Aage.........


MH7 ke andar is waqt 3 laashe padi hui thi....ek sonu ke papa ki...dusri sadiya ki aur teesri poonam ki......

Lashe dekhne ke baad se hi mera aur akram ka dil dukh raha tha.....akram ko apni sadiya aunty ka dukh tha to mujhe poonam ka.....

Aisa nhi ki mujhe sonu ke papa ka dukh nhi tha.....par poonam se mera lagaav bahut jyada tha......

Khair....alok sir ne saari body hospital bhijwa di thi...aur wo apne shipahiyon ke sath pure banglow ki bareeki se jaanch kar rahe the........

Main rote huye baar-baar yahi soch raha tha ki poonam ki mout ka jimmedaar koun....???

Aur har baar mere sawaal ke jawaab me...mere dil se ek hi aawaaz aati.....

'"' Poonam ki mout ka jimmedaar tu hai ankiit....sirf tu..""

Ye sochte hi main jor-jor se rone laga...aur meri aawaaz sun kar akram apni soch se baahar aa gaya....

Akram ne mujhe aise rote dekha to apna dukh bhool kar mujhe sambhalne me lag gaya.......

Akram- nhi bhai.....bilkul nhi....chup ho ja.....

Main(rote huye)- kaise bhai....wo poonam....kya galti thi....kya galti thi uski....(rone laga)

Akram- nhi yaar....dekh....tu aise toot jayga to.....

Main(beech me)- ye meri wajah se hua....sirf meri.....

Akram- nhi bhai.....isme teri kya galti....ye to us kameene sarad ka kaam hai.....

Main- par wajah to main hi hu na......main,...mera pariwar...in sabka jimmedaar hai....sadiya ki mout ka bhi....

Akram- bilkul nhi....main nhi manta.....har insaan ki kismat uperwala likhta hai.....aur mujhe pura yakeen hai ki bina uski marji ke duniya me patta bhi nhi hilta....to tu apne aapko gunahgaar manna band kar....aur uth...ye waqt toot kar rone ka nhi....ye waqt hai inki mout ko insaaf dilane ka......

Main - akram...tera dil bada majboot hai....par saayad mera nhi.....

Akram- ye teri hatasha bol rahi hai...tu nhi...kyoki main jis ankit ko janta hu...wo to mout ke saamne bhi na toote....to ye to bahut chhoti si baat hai....

Main- kya...ye chhoti baat...chooti baat hai ye....ek ladki....jisne abhi jindagi ke saare rang bhi na dekhe ho...wo maar di gai.....wo bhi bina kisi galti ke...ye chhoti baat hai...

Ek aadmi....jo apne baccho ki jindgi banane ke sapne dekh raha tha...usko maar diya.....bina kisi galti ke....ye chhoti baat hai....

Ek aourat....jiska in logo se door-door tak koi lena-dena nhi...use maar diya gaya...bina kisi baat ke......ye chhoti baat hai.....ye sab chhoti si baat hai......

Akram- mera matlab aisa nhi tha bhai....par inki mout ke liye apne aapko ko jimmedaar maanna....kya ye sahi hai....haa...

Main(joor se)- haa hai....bilkul hai....ye sab isliye maare gaye kyoki ye kahi na kahi mujhse jude the....aur mere dushman ne mujhe maat dene ke liye hi in par hath dala....to galat koun....wajah koun...main hi na....bol...main hi hu na.....

Akram(kheej kar)- kya bol raha hai...aisa kuch nhi....

Main(joor se)- nhi...nhi akram....ye sab mujhse hi juda hai....mujhse...mere dad se...mere dada se...haa.....ye humari karni ka hi natija hai jo aaj in masoomo ki mout ban kar saamne aa raha hai...ye humari galtiyon ki saza hai...jise ye masoom bhugat rahe hai.....ye sab humari hi galti hai....humari......

Alok(aate huye)- nhi...bilkul nhi....

Akram(alok ko dekh kar)- sir aap hi ise samjha....

Alok(hath dikha kar)- akram...dekho kichen me pani hai kya....ho to le aao.....

Akram ja kar pani le aaya aur alok ne mujhe pani pila kar shant kara diya.....

Fir alok ne akram ko bahar bheja aur khud mere baju me baith gaye......

Alok(thodi der baad)- ab theek ho.....

Main(sir hila kar)- hmm.....

Alok- dekho ankit....tum ye mat samjhna ki main tumhara sath sirf isliye de raha hu kyoki tum alka ke bete ho....

Alok ki baat sun kar maine uski taraf garden ghuma kar dekha.....

Alok- haa... waise alka to ek wajah hai hi...aur uske liye main kisi bhi had tak ja sakta hu...ye sach hai.....

Par yaha baat kuch aur bhi hai...wo hai tumhara sach.....

Sach ye hai ki jo bhi tumhe apna dushman samjhate hai....wo galat hai....kyoki ye dushmani ka beej tumhare pariwar ne nhi boya.....

Ye dushmani unki hi banai hui hai....unka laalach...unki hawas....aur unka adhura sach hi unki dushmani ki jad hai....

Aur unme se kai to ye bhi nhi jante the ki aakhir unke sath jo hua hai...ya ho raha hai...uski asli wajah kya hai....

Kai to aise the...jinhe dusron ne apne matlab ke lite bahlaya hua tha....ya fir apne jaal me fasa liya tha....haa....

Main(dheere se)- pata nhi...

Alok- par mujhe to pata hai na.....main acchi tarah se janta hu ki tumhare dada, tumhare pita....aur inse kahi bad kar khud tum...tum teeno ek number ke aiyaash ho....

Ladki ho ya aourat....tum mouka milne par kisi ko nhi chhodte....na hi tumhare pita ne chhoda aur na dada ne...

Maine chounk kar alok ko dekha aur bina kuch bole sir jhuka liya......

Alok- lekin tum teeno me is ek buraai ke alawa....aur bahut si acchaai bhi hai.....

Jaise tumhare dada....unhone gaon ka bhala karne ka ek mouka nhi chhoda....factory lagaai.....school banwaya.....gareebo ke liye hamesha apne dil aur ghar ke darwaje khol kar rakhe....na jane kitne gareebo aur majboor logo ka bhala kiya....

Saayad unhi ki duaaon ki wajah se wo baar-baar apne dushmano ke hatho bach jate the......

Fir tumhare pita....use jab ahsaas hua ki jawani ke josh me wo ek galat raste par bad raha hai..to usne turant khud ko sambhal liya.....

Sarita....jo uske liye jaan bhi de deti...use tak chhod diya....aur usko chhodne ki keemat badi mahgi chukaai....jante ho na....

Fir wo alka se mila....aur usne sirf alka ke liye us aiyaashi ki duniyan ko hamesha ke liye alvida kah diya.....

Aur fir koi aisa kaam nhi kiya jo galat ho....fir bhi bechare ne bahut kuch kho diya....apna gaon...apna pariwar.....jaan se pyaari behan...aur...aur alka...jiske jane se uski jindagi bilkul bejaan ho gai.....

Maine fir se alok ko dekha aur bina kuch bole bapis apna sir jhuka liya.....

Alok- ab tum batao....kya sirf aiyaashi ke liye itni badi keemat chukana jayaj hai...kya ye sahi insaaf tha....mujhe to nhi lagta....fir bhi....sacchaai yahi hai....

Ab tumhari baat....to tum hi batao...kya tumne kabhi kisi majboor ko paresaan kiya....uski majboori ka fayda uthaya....haa...bolo ankit....

Main(sir hila kar)- nhi....

Alok- tum aiyaashi pasand karte ho...ye sab jante hai...par kya tumne kabhi galti se bhi kisi ke sath jor-jabarjasti ki....

Main(na me sir hila kar)- um hu....

Alok- kya tumne kisi ko mara...kisi ka paisa khaya...ya kisi ko jaan kar dukh diya....

Main- nhi...kabhi nhi....

Alok- to jab tumne kuch galat nhi kiya to tum apne aapko gunahgaar kyo mante ho....aur haa...rahi baat tumhari aiyaashi ki...ki to wo rasta tumne khud nhi chuna tha...tumhe us raste par dhkela gaya tha.....par fir bhi...tumne uski bhi keemat chukaai hai...jiski bharpasi is janm me hona to namumkin hai....

Main(alok ko hairani se dekh kar)- aap ye sab....

Alok(beech me)- meri najar tum par kafi pahle se hai....main aisa bahut kuch janta hu jo dusre nhi jante....isliye ab meri baat dhyaan se suno.....

Main- hmm......

Alok- ab utho...ye aanshu pochh dalo....aur socho ki un masoomo ki mout ko aise hi jaya jane dena hai...ya unki mout ka badla lena hai....

Ab ye faisla tumhe karna hai....ya to apne aapko koste huye rote raho....ya aage bado aur unko unke kiye ki saza do....jinhone in masoomo ki jindgi chheen li.... bina kisi galti ke....soch lo....kya karna hai....ab ye tum par hai.....

Alok apni baat khatm kar ke baithe hi the ki unke ek sipahi ne unhe uper bula liya.....

Alok- mujhe lagta hai tumhe ghar jana chahiye.....baki hospital ka main dekhta hu....aur haa....abhi kisi ko kuch mat batana....main call karuga tab batana.....ok

Main- hmmm.....main ghar jata hu....

Alok- hmm....par meri baat yaad rakhna....faisla tumhe hi karna hai...ye lo chabhi...meri car le jao...ok...chalo bye....

Fir alok uper nikal gaye aur main muh saaf kar ke baahar aa gaya...jaha akram kisi se baat kar raha tha....

Main- koun hai....

Akram- ruhi....

Maine use call rakhne ka isara kiya....

Akram- hmm..ok main baad me baat karta hu..bbye....

Akram(calk cut kar ke)- tu theek hai....

Main- haa...waise tune ruhi ko kuch...

Akram(beech me)- nhi...kuch nhi bola....

Main- hmm...chal....ghar chalte hai....(key de kar) ye le....tu drive kar.....

Akram- hmm...

Fir hum dono mere ghar aa gaye.....gate par aate hi hum dono ne decide kiya ki andar bilkul normal hi rahege....kisi ko bhanak bhi nahi lagni chahiye.....

Paru(hume dekhte hi)- bhaiya....aap log kaha chale gaye the....nasta bhi nhi kiya....

Main- are wo...wo akram ko office me kaam tha...to wahi....

Parul- hmm..nasta karege na....

Main- nhi...wo humne office me samose kha liye...tu...tu coffy bana de....waise ye mamta aur renu di kaha hai....

Parul- didi to uper hai...aur mamta didi market gai hai sonu ke sath...kuch raashan ka saamaan lene....

Main- hmm..chal ab coffy bana....jaldi....

Thodi der baad parul hume coffy de kar uper nikal gai aur main akram ke sath shanti se coffy pine laga....

Hum dono hi koi baat nhi kar rahe the...kyoki abhi dono ke dimaag me bahut kuch chal raha tha......

Tabhi rony ki aawaaz ne hall me pasri khamoshi toodi....

Rony- hello sir....good morning.....

Main(chounk kar)- huh...hey...rony....morning...aao....

Rony(paas aa kar)- kaise hai sir...aur akram sir...aap....

Main- sab theek hai....tu baith....aur bata ki is waqt kaise aana hua....

Rony- are aapka hi kaam tha.....ek minute.....

Fir rony apne beg me kuch doodne laga....aur beg ka saaman ek-ek kar ke bahar rakhne laga....

Tabhi rony ne beg se signal detector nikala to wo beep-beep karne laga....

Rony- ohh..ye chalu rah gaya...band karta.....ek minute.....

Itna bol kar rony mujhe dekhne laga.....

Main- kya....aise kya dekh raha hai...kya hua....

Rony ne detector mere paas ghumaya aur fir mujhe aur akram ko isaare se chup rahne ka isara kar diya.....

( Rony mere aur akram ke beech me hi tha....matlab hum sofe par baithe the aur wo saamne khada tha....)

Rony ki harqat se main aur akram hairan the....par hum uski baat maan kar shant rahe....

Aur fir rony ne mujhe khada kiya aur meri body per detector ghumata raha.....(beep ki aawaaj aati rahi )

Main rony se isaare se pucha... ki ye kar kya raha hai....par rony se fir se chup rahne ka isara kar diya....

Mujhe check karne ke baad rony ne akram ko khada kiya aur use check karne laga....(ab beep ki aawaaz jaldi-jaldi se aane lagi...)

Aur jaise hi rony ne detector ko akram ki kalaai ke paas kiya to beep-beep ki aawaaz bahut fast ho gai aur sath me dectector par laga bulb tej chamakne laga.......

Ye dekh kar mere sath-sath akram bhi hairaan ho kar apni kalaai ko dekhne laga....

Akram ne kalaai me ek kada(kangan) pahna hua tha....jis par 4 nag jade huye the....

Rony ne akram se kada nikalne ko kaha....air fir kada le kar rony door chala gaya....

Aur bapis humare paas aaya to us detector se aawaaz aani band ho gai thi....

Main(hairani se)- ye sab kya....

Rony ne apne muh par ungli rakh kar mujhe chup rahne ka isara kiya...aur fir ja kar kada check karne laga...

Ek baar fir se beep ki aawaaz bad gai.....ye dekh kar main aur akram ek-dusre ko dekhne lage....kyoki hume jyada kuch samjh nhi aa raha tha.....

Waha rony ne kada uthaya aur kichen me rakh kar aa gaya.....

Rony(paas aa kar, dheere se)- ye kada aapko kisne diya....

Akram- kyo....kya hua....

Rony- sshh..dheere bolo...

Main(dheere se)- par kyo...hua kya hai...aur ye kya bala hai....(detector ko dekh kar bola)

Rony(muskura kar)- sir...ye bala nhi...ye bala ko pakadne wala hathyaar hai....

Main- kya matlab....

Rony- sir ye SIGNAL BUG DETECTOR hai......

Main- hoga...to iska kya...

Rony- are sir...ye signal pakad kar bata deta hai ki koi device chhupaai gai hai...jaise yaha microphon chhipa tha...to isne pakad liya......

Main(hairani se)- microphon....yaha......

Rony(dheere se)- ha sir...us kade ke andar microphon chhipaya gaya hai....

Main aur akram(hairaani se)- kyaaa.....

Rony- sshh..dheere....wo microphon abhi active hai....

Main- ok...par tumhe kaise...i mean tumne kaise socha ki yaha koi microphon ho sakta hai....

Rony- ye to kismat se ho gaya.....i mean..batata hu..

Asal me ye detector chaalu hi tha...aur aise hi maine ise beg me daal liya tha....fir yaha main sab saamaan nikaal kar ek pendrive dekh raha tha....to ise jaise hi nikala to ye aawaaj karne laga...wo beep-beep....

Main- ha suna tha.....fir...

Rony- fir kya....mujhe aawaaz aate hi shaq hua...to maine socha ki sayad koi aur cheej ka signal hoga.....isliye aap logo ko check kiya...kyoki aawaaz isi taraf se aai thi...aur fir ye microphon mil gaya....

Main- to microphon us kade ke andar tha...

Ye bol kar maine akram ko dekha to akram ne kandhe uchka diye.....

Main akram ko dekhte huye soch raha tha ki aakhir microphon akram ke paas rakhne ki wajah kya ho sakti hai.....

Wahi akram mujhe dekh kar soch raha tha ki mujhe us oar koi shaq ho raha hai.....

Akram- kya...aise mat dekh...mujhe kuch pata nhi....

Main- to fir aaya kaise....kada to tera hi hai na.....

Akram- haa...par...kya tu mujh par shaq....

Main(beech me)- bilkul nhi...par pata to karna hoga na.......

Akram- ha bilkul.....mujhe bhi janna hai....par kaise....

Rony- aap log chup rahe to main kuch bolu....

Main- hmm...bol....

Rony- akram sir....ye kada aapne kaha se khareeda tha....

Akram- maine nhi khareeda...ye to mujhe.....(meri taraf dekh kar) - ruhi......

Main(hairani se)- ruhi...kya ruhi ne diya.....

Akram(sir hila kar)- haa....

Akram ka jawaab sun kar main bhi akram ki tarah hairaan ho gaya......
 
Last edited:

Ankitshrivastava

Well-Known Member
3,946
11,123
144
Update - 320


Mujhe hairani is baat ki thi ki ruhi jaisi ladki aakhir itna sab soch kaise sakti hai......??

Aur maan lo ki jaise-taise soch bhi liya ho....to sawaal ye hai ki use iski jaroorat kyo padi.......??

Kya wo akram par najar rakhna chahti thi.....par kyo...???

Akram- ankit.....kya soch raha hai....kya tujhe mujh par....

Main(beech me)- nhi yaar.....ye baat teri nhi....balki ruhi ki hai.....

Akram(gusse se)- sahi kaha....main abhi puchhta hu......

Ye bolte huye akram ne jeb se phon nikaal liya....

Main(hath pakad kar)- are nhi....abhi nhi.....

Akram- par kyo.....mujhe pata to karna hi hoga....

Main- to kar lena.....par aise nhi.....dekh....abhi use call karega to saayad hume sach pata hi na chale.....

Akram(hairani se)- kaisa sach.....

Main- yahi ki ye kada ruhi ne khud se tumhe diya...ya kisi ke kahne par...ya ho sakta hai ki use bhi kuch pata na ho...wo bhi anjaan ho is sab se.....

Akram- tu ye....aakhir aisa koi kyo karega....wo bhi mere sath.....ye us ruhi ka hi kaam hai...lagta hai mujh par shaq hai use...isliye....

Main(beech me)- nhi...ye nhi ho sakta.....balki mujhe ye lag raha hai ki tere kisi dushman ne badi chalaaki se ye sab ruhi ke hath se karwaya hai....

Akram- ye kya bol raha hai....aur mere dushman....mera koun sa dushman hai...koi nhi....

Main- haa...par mere to hai na....aur tune mera sath diya...to saayad tere piche bhi pad gaye ho...aur ye kyo bhool raha hai ki tu sarfaraz ka beta hai....i mean wo dad hi ban gaya tha tera....to ho sakta hai ki uska koi panga ho....saayad usi ne ye sab....

Akram- tab to mujhe ruhi se baat karni hi hogi na....wahi hai jo sach bata sakti hai...

Main- nhi...abhi nhi....ek kaam kar...hum uske paas chalte hai...aur bina bataye....nhi to sach pata nhi chal payga...ok

Akram- ok...chal fir....

Tabhi akram ka phon ring hone laga....ye ruhi ka call tha....

Akram(mujhe dekh kar)- ruhi....ab....kya karu....

Main- use pata to nhi chal gaya ki microphon....ek kaam kar....tu us microphon ko utha la...fir baat karna.....ok

Rony- main lata hu....

Par jab tak rony kada le kar bapis aaya....ruhi ka call cut ho gaya....

Main- akram...ab tu call kar...aur bol dena ki so gaya tha thoda...ok...

Akram- hmm.....karta hu....

Par tabhi ruhi ka call bapis aa gaya.....

Main- ruhi ka hai....

Akram- ha...

Main- ok...loudspeekar par daal kar baat karna....main aur rony chup rahege...aur bol dena ki so raha tha....

Akram- hmm...

( Call Par)

Akram(aalas dikha kar)- uummm...ha ruhi...kya hua....

Ruhi- tum kaha ho.....

Akram- main...main ankit ke ghar...kyo....

Ruhi- mera call kyo nhi liya.....

Akram- yaar so gaya tha thoda...kyo kya hua....

Ruhi- kuch nhi....bas aise hi...tum kab tak aaoge.....

(Akram ne isaare se mujhe pucha to maine bhi isaare se bol diya ki der hogi )

Akram- umm...der ho jaygi....

Ruhi- kitni der....

Akram- are aa jauga yaar...wo....ha...wo ankit so raha hai......wo jaag jaaye ...fir aata hu...ok

Ruhi- ok...main intzaar kar rahi hu....

Akram- hmm..aata hu...bye....

Maine call cut hote hi rony ko isara kiya to wo kada le kar bapis kichen me rakh aaya....

Akram- ye sab tha kya...samjhaoge....

Main- tu samjha nhi kya....

Akram- sab to nhi....batao....

Main- mujhe lagta hai ki ruhi is kade ki help se humari baaten sun rahi thi....fir achanak humari baaten use sunaai dena band ho gai...to saayad usne socha ki humne uska microphon pakad liya......isliye usne check karne ke liye turant tujhe call kiya.....

Akram- wah...kya socha hai...acchi story hai....par mujhe yakeen nhi....ruhi aisi nhi...wo to is sabke baare me janti bhi na hogi....

Main- janta hu...tabhi to mujhe shak hai ki iske piche koi dusra hi hai.....

Akram(kheej kar)- par koun ho sakta hai....

Main- ab ye to ruhi hi bataygi....

Akram- to abhi chal....sab clear karte hai....

Main- haa...par pahle is microphon ka kuch karna hoga....

Rony- wo mujh par chhod do....main use handle karta hu....

Main- par karoge kya....use band karoge to saamne wala samjh sakta hai...

Rony- nhi ...aisa nhi hota.....aap mujh par chhod do...bas 10 min do mujhe....

Main- ok....karo fir......

Rony ne apna kaam niptaya aur akram ko uska kada de diya...aur hum pahuch gaye ruhi ke ghar.....,

Ruhi ne jaise hi gate khola to hume saamne dekhte hi uske paseene chhoot gaye.....

Ruhi- akram...ankit....tum yaha....

Akram- kyo...yaha aana mana hai.....

Ruhi- nhi...nhi to....aao na....andar aao......aur ankit...kaise ho...

Main- mast.....

Ruhi- accha bolo....kya loge.....chai ya cooo.....

Akram(joor se)- ye sab chhod.....mujhe sirf ek jawaab chahiye.....

Ruhi(ghabrati hui)- kkk..kya...koun sa jawaab....

Akram(kada dikh kar)- ye kaha se laai thi....

Ruhi(chounk kar)- kya....wo...bataya to tha.....wo peer baba ne diya tha....

Akram(ghoor kar)- fir se puchhta hu.....kaha se laai thi.....

Is baar ruhi saham gai,...aur akram ko dekhne lagi.......

Akram(gusse se)- bol.....

Ruhi- wo....wo.....market se ......

Akram- hmm....aur....

Ruhi- aur..aur kya.....

Akram(gusse se)- isme khas kya hai....

Ruhi- kk...khas....matlab...

Akram(full gusse me)- tu janti hai....bol.....iske andar microphon kisne lagaya......tune.....

Ruhi ne chupchap gardan jhuka li.....

Akram(chilla kar)- yaha dekh.. .aur sach-sach bata....warna wo haalat karuga ki teri rooh bhi kaamp jaygi.....

Ruhi kuch nhi boli....bas sir jhukaaye sisakne lagi.....

Akram- saali ye naatak band kar....main tujhe.....

Ye bol kar akram ne ruhi ko ek thappad jad diya.....to ruhi sofe par ja giri...aur maine akram ko pakad kar piche kar diya....

Main(joor se)- ye kya kiya.....aaraam se nhi puch sakta ...haa....

Akram(chilla kar)- to tu hi puch...nhi to main...

Main(beech me)- bas....tu shant rah...main baat karta hu....

Fir maine ruhi ko sambhala aur use baitha kar khud uske saamne baith gaya....ruhi abhi bhi sisak rahi thi....

Main- dekho ruhi....main ye bilkul nhi chahta ki tumare aur akram ke rishte ke beech koi bhi daraar aaye...isliye hume sab saaf-saaf bata do.....ok

Ruhi(aanshu pochh kar)- hmm..

Main- to batao.....ye kada tum laai thi....

Ruhi ne naa me garden hila di....

Main- ok...accha tum janti thi ki isme microphon fit kiya gaya....

Ruhi haa me garden hila di....aur tabhi akram aage badne ko hua...par maine use rukne ka isara kar diya...

Main- ruhi....tumne ye baat akram ko kyo nhi batai....kya tum.....akram par najar rakhne wali thi....

Ruhi- hmm...

Main- par kyo.....

Ruhi(akram ko dekh kar)- wo...wo mujhe shaq tha ki akram ka....koi chakkar.....

Akram(joor se)- kya bakwas hai....saali jhooth mat bol...sach bata....

Ye bolte huye akram aage aaya aur ruhi ke uper hath uthaya hi tha ki....

Ruhi(saham kar)- nhiiii...batati hu....batati hu....

Main(akram ko rok kar)- tu kyo aaya....door rah...aur ruhi tum.....tum ab sach bologi ki ya fir main akram ko bolu....

Ruhi(hum dono ko bari-bari dekh kar)- wo...wo mujhse ....ye sab karwaya gaya....

Akram- kisne....

Main- akram...tu shant rahega.....ha ruhi...kisne karwaya....kisne...

Ruhi(sahmi hui)- wo ...wo....

Akram(gusse se)- ye aise nhi manegi....iski to main....

Akram fir boukhla kar aage bada....par ruhi ki baat sunte hi tham gaya.....

Ruhi(joor se)- tumhari mom ne....

Akram(mujhe dekh kar)- kya...ye kya boli...haa....

Ruhi- haa...tumhari mom ne bola tha....unhi ne ye kada diya tha....

Main(hairani se)- kya....

Akram- ye bakwas kar rahi hai....

Ruhi- nhi....yahi sach hai ...bilkul sach....

Maine akram ka gussa dekha to use pakad kar piche kar diya...aur bapis ruhi ke paas pahucha....

Main- ruhi...tum janti ho na ki tum kya bol rahi ho....

Ruhi(sir jhukaaye)- hmm...par sach yahi hai....unhone hi mujhe ye sab karne ko kaha tha.....aur ye kada bhi unhone hi diya.....chahe to unse puch lo.....

Akram- wo to puchege hi ....par yaad rakhna.....agar ye baat galat nikli...jo mujhe galat lag hi rahi hai.....to fir tu gai....pakka.....

Main- akram...shant ho ja.....dekh....agar ye bol rahi hai to.....

Akram(beech me)- ankit....kya tujhe bhi....

Main- nhi...bilkul nhi....main kuch nhi bol raha....main bas itna bol raha hu ki hum sab shanti se baat karte hai.....ek kaam kar....hum ruhi ko le kar sabnam aunty ke paas chalte hai....fir sab clear ho jayga....haa...

Akram(ruhi ko ghoor kar)- theek hai....le chalo....ab mom ki baat hi iska future decide karegi....le aao ise....

Ye bol kar akram gusse me bahar nikal gaya aur maine ruhi ko apna huliya theek karne ka bol diya.....

Thodi der baad hum sab akram ke ghar me khade the.....jaha humare saamne ziya thi....

Akram(joor se)- mom....mom....

Ziya- kya hua bhai.....aise kyo chilla rahe ho....

Akram- aap chup rahegi thoda....mom kaha hai....

Sabnam(gate se)- main yaha hu....

Sabnam ki aawaaj sun kar hum sabne palat ke dekha to sabnam saamme khadi thi....kahi bahar se aai thi.....

Akram- mom...aap kaha gai thi....

Sabnam(andar aate huye)- market...par tumhe kya hua....chilla kyo rahe the....aur ye...ruhi...ankit....ankit beta....kaise ho....

Main(muskura kar)- theek hu aunty....

Akram- mom...ankit ki khairiyat baad me puch lena....pahle meri baat ka jawaab dijiye....

Zoya- par baat kya hui bhai....kya hua....

Akram- kuch nhi....kuch business ki baat hai....tum tention na lo.....

Sabnam(ruhi ko dekh kar)- theek hai....chalo room me chalte hai.....are ziya.....coffy nhi pilaogi mehmaano ko...hmm...

Ziya(muskura kar)- kyo nhi....main abhi laai...

Sabnam(ziya ke jate hi)- room me chalo.....

Akram(room me pahuchte hi)- mom...kya ye kada aapka hai....

Akram ne hath aage kar ke kada dikha diya....jise dekh kar sabnam ne ruhi ki taraf dekha....

Sabnam- hmm..mera hi hai....

Akram(hairani se)- kya....matlab aapne ye ruhi ko diya....mujhe pahnane....aur iske andar.....wo...wo ....

Sabnam(beech me)- microphon....haa...wo bhi maine hi lagwaya tha....

Sabnam ki baat sun kar akram ke sath main bhi hairaan tha.......

Akram(daant pees kar)- aapne aisa kyo kiya....kyo....

Sabnam- tum par najar rakhne ke liye.....

Akram(hairani se)- najar rakhne...mujh par...apne bete par....are aap meri mom ho kar.....

Sabnam(beech me, joor se)- mom hu isi liye....isi liye najar rakhi....samjha.....

Akram(sir hila kar)- nhi...nhi samjha....kuch bhi nhi samjha....(akram joor se bola)

Sabnam(akram ka chehra pakad kar)- beta...maine ye sab tere liye kiya....sirf tere liye.....

Akram(sabnam ke hath thaam kar)- accha...mere liye....ok....to ab ye bhi bata do ki aisi kya wajah thi... jo mere liye aapko itna bada kadam uthana pada....khud ke bete ki jasoosi karni padi....haa....

Sabnam(sir hila kar)- nhi beta....nhi....ye koi jasoosi nhi thi....ye to maa ki fikr thi....bas....

Akram- fikr....fikr...........are ye kaisi fikr hai jo ek maa ko uske bete ki jasoosi karne ko majboor kar de....haa..

Sabnam- beta meri baat to sun le....

Akram(hath jhatak kar)- to jaldi se bolo....kya jaroorat pad gai thi aapko....

Sabnam- beta...mujhe teri fikr thi....aur tu hai ki mujhe kuch batata hi nhi tha....to maine socha....

Akram(beech me)- haa...socha ki chalo...bete ki jasoosi kar lo....kaha jata hai..kya karta hai...sab pata chal jayga...yahi na...are mom....aapko pata bhi hai ki har insaan ki kuch personal life bhi hoti hai...aur uske baare me janne ka haq insaan ke alawa aur kisi ko nhi hota....maa ko bhi nhi.....

Sabnam(subakte hute)- janti hu beta...par main majboor thi.....

Akram(chilla kar)- majboor...majboor....majboor.....haa....aisi kya aafat aa gai jo aap itna majboor ho gai....

Sabnam(subakte huye)- tu sune to batau na....tu to bas....(sabnam rone lagi )

Main- akram....dekh...saayad mera beech me bolna sahi nhi....par tu thoda shaant ho ja....aunty ko apni baat to kahne de....

Akram- ok bhai.....ab tu hi puch le...ki inhone apne hi bete ki jasoosi kyo ki....

Main- hmm..tu baith....main puchhta hu....ruhi...tum bhi baitho......
 
Top