• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest Pyaar - 100 Baar

Status
Not open for further replies.

Mahesh007

Well-Known Member
3,351
5,770
158
Enigma sir ji mene update kabhi nahi maga kyo ki aap apne hisab se update de te ho uski lambai bahut hoti he jisko likhne me aap ke 8 se 10 ghante chale jate he sir khud ka kam bhi hota he aap ka kal ka laghu update bhi 6 ghante ki mehanat he is liye update ka khud dekho thanks
 

eternity

Member
497
1,876
123
Wah bahut khoob. Aaj ka update kahani mai ke aur gyan de gaya,Tiwari_baba ne bilkul thik hi to kaha hai. Prem mai shart nahi ho sakti. Aur Shart bhi kaisi jaha Apana Pyar ko dhokha dena ho. Lata ko keval ek hi matlab hai dominance. abhi bhi wo chahati hai wahi Dominance. Mai aage ki kahani par koi guess nahi karunga lekin Shankar Keval Shankar hi nahi Bhola bhi hai. Wo Bhasmasur ko bhi jante huai vardan de daite hai. Dekhate hai aage kya hota hai. Kahi Sankarji hi alag-thalag naa ho............
 

Ahsan00

Member
195
486
78
Sir ap na jo ise last update main 1974 ka raza dekhya bht he dard he bahar hua hai. arjun singh ise ka sath kya hua kesy hua plzzz ho ska to jaldi un ka likha de. Dil bht he zayda bechain hogya hai last update ka bad ab arha nai jata itne acha insan ka sath itne bura kesy or kyun hua waiting Arjun Singh ka update ka liye. Thanks alot sir. Khush rhe sada. Apna khyal rkhna sir.
 

Krish007

Member
247
1,062
138
Mukaam - hashil ya pryash namak is update ki paanchavi kadi ki suruaat aapne bhutkaal ke us adhyay se ki he jaha ye sapst kiya gya he ki wo kaun si wajah thi jisake chalte 8vi kaksha se sath rehne wale 2 premiyon ko juda hona pada. Jaisa ki dikhaya gya he madhulata jubaan ke sath 2 dil ki bhi koi itani achhi ladaki na thi. Warna usake kahe mutabik jab shankar ji ne apne mata puta ko usaki chaukhat par bhej diya tha madhu ke pita se shankar ke liye uska haath mangne ke liye tab bhi usane shart rakh di shankar se saadi karne ke liye. Ab ye usane kisi majburi me kiya he ya jaan bhujh kar isame 30 70 ke ratio se mujhe doubt he. 30 percent majburi me aur 70 percent jaanbujhkar. Kyuki present me bhi wo chandro dadi ke hote hue bhi apni manmaani karti rehti he fir bhi aise behave karti he jaise usase sidhi koi bhi na ho. Agar usane wo sab majboori me kiya tha to ab tak wo raaz jise pandit ji aur thanedarni ji ne aaj tak apne seene me dafan kar rakha he wo bata deti shankar ko. Lekin shankar ke vyavhaar se to nahi lagta ki use is sachhayi ka pata bhi he. Dusara ab mujhe pura yakeen ho gya he ki shanker ke ajju ki maut ke peeche ka sach lata jarur jaanti he ki use kisane, kaise aur kyu mara. Balki mujhe to lagta he ki lata ki saadi ke baad ajju ko lata ki shart ke bare me pata chal gya hoga jiska jawab mangne wo lata ke paas gya hoga aur bola hoga ki wo uska aach shankar ko bata dega lekin jase ki lata ne sundi ke bare me kaha tha ki usane to use peshab karte hue dekhte hi apna kachha ganda kar diya tha to apni jism ki aag ko bujhane ke liye saadi ke baad bhi wo shankar se milti rahi he jiska sabut he richa. To isis dar se ki kahi shankar usase dur na chala jaye usane ajju ko ya to sundi aur fateh ke hato dhoke se marwa diya hoga aur isiliye ajju ne kisi ka naam bhi nahi bataya tha shankar ko ki use kisane aur kyu mara.

Ab baat karte he present ki jaha himani ko chodne ke liye gaye hue arjun ke sath himani bahut khus dikhayi de rahi thi. Aur wo pakka arjun ki taraf attracted he. Himani ko ghar drop karne ke baad aaj arjun bahut dino baad stadium gya jaha usaki mulakat chandani se hui jo ki vasna aur badale ki bhavna se lipt ek baigairat ladki he. Manju ki saheli ho kar bhi usase jalan rakhne wali chandani galat jagah par apni taang ada rahi he jiska kya anjaam hoga sayad use bhi nahi pata he ya fir use usaki harkato ka fal milna suru bhi ho gya he jaisa ki dimpi ne bataya. Suman ne bhi use sahi ayena dikha diya. Waha balbir bhai ke sath bhi arjun ki baat hui. Aur lautate waqt ek aur gf mil gayi charul ke ruo me jisane khud samne se aaker use bf banane ke liye bola.

Udhar daleep ji ke waha to tufan aya hua tha. Jise hum samajh rahe the ki wo shankar ji he jisane arjun aur manju ko dekha tha wo to daleep ji hi nikale. Aur jab unhone isaki sikayat sujata ji se ki to unhone unke khud ke kaando ka pitara kholte hue ye khe diya ki agar shankar ji kahenge to wo manju ko mana kar degi. Lekin jab daleep ji ne shankar ji ko fon laga ker is sthiti se awgat karaya to unhone bhi saaf keh diya ki in sab ke beech me na hi pado to achha he. ""Agar arjun humare peeche aa gya to mujhe to bachane wali ma he lekin tujhe kaun bachayega."" Shanker ji ka jawab sunkar to daleep ji ki saari himat hi tut gayi.

Idhar aaj bahut dino baad komal didi ne arjun ko pakad hi liya jiska mauka wo madhu bua ke jane se baad se dekh rahi thi aur khol diya arjun ke samne apne sawalo ka pitara jisame sabse pehla sawal arjun aur bua ke riste ko leker hi tha. Iske javab me arjun kisi ratu tote ki tara unko sab batata chala gya lekin mujhe ye nahi samajh me aya ki usane bua aur shanker ji ka rista kyu chupa liya komal didi se.
Agla sawal tha bimla ke bare me jisake bare me unhone usi kaam wali se pata karwa liya hoga jo arjun tak bimla ka sandesh leker aayi thi. Usake bare me bhi arjun ne sab sach 2 bata diya. Aur bimla ke bare me bhi.
Jab arjun ne savita ke bate me bata to komal ne ye kyu kaha ki wo komal ya savita me se kisi ek ko chun le. Kya use arjun par itna bharosha nahi tha ki agar wo use savita se milne se mana kargi to unki baat nahi manega. Yaha mujhe komal di thodi rude lagi.

Komal didi ke dwara Himani, Richa aur Vinita ke bare me arjun ki rai puchi to usane saf sabdo me bata diya ki wo jlkisake bare me kga sochta he. Usane saaf kaha ki Himani ko wo ek nayi jindagi dena chahta he lekin apni sabhi behno ki madad se aur is dauran himani usaki taraf attached bhi ho sakti he.

Richa ka sach bhi bata diya ki wo usake aur usaki ma ke bare me bhi bahut kuch janta he. Aur us par baat karke wo apna waqt kharab nahi karna chahta.

Vinni ko to usane komal ka hi dusara rup bata diya aur bol diya ki usake bare me komal waise hi jaan le jaise ki tara aur priyanka ke bare me jaanti he.

Lekin mujhe nahi lagta ki ya arjun ka sawal he jo usane pucha he ki mujha se sadi karlo. Paka uska sawal richa se hi sambhandhit hoga.

Waiting 4 next update
Bhai jis tarah lata ka character iss update me àya usss khayal se lagta hai rameshwar ji aur kaushalya ne theek hi kiya jo isse bahu nahi banaya
Jis tarh uski belagaam jubaan hai
Aur usne jab *#shankar Main tumhe barbaad kar dungi yahi wo line hai jisase puri kahani judi hai.
Itihaas gawah hai mahabharat aur ramayan aurat ki wajah se hua iss rameshwar ji ke sansar ka khatm hone ki wajah mere khayal se ye munni hi hogi
Jis tarah chodna vagaira shabd bole hai sab ke usase uske vyaktitva ka pata chala
Sombir singh ka dhritarashtr sambodhit kiya wahi mujhe bhi laga
Yaha bete ki galat jid ko sath deke usne khud ki hi kabra khod di
Abhi uske bete ka jiqra hua
1) fateh jo sushila ka pati tha
2) sundi jo munni ka pati banega
3) to guddi ka pati kaun jo sudarshan choti ka baap hai
4) bindu England wali uska pati kaun
Ab rammehar ke do betoka ka ullekh hua
1) bhawani 2) mohar
Mohar ko 2 betiya shankar se hui. To fir bhawani ka pariwar kaha hai
Ajju bhai iska to 100% pith par war hua hoga
Hona ho ho munni hi hai jo sab kand kar ke uske kabr par fun faila ke baith gayi
Mujhe yaha lagta shankar kitna bhi sharir kyun na ho yaha wo chutiya tha chutiyahai aur chutiya rahega
Ye jo 8vi ka pyar bol raha hai na wo pyar tha hi nahi wo ek aakarshan tha jo ye yeda pyar samaz kar baitha hai
Richa ke bare me ye kyu kaha ki ritu se compare karti hai khud jaise maa ka kuch to ansh aye hi hoga
Rekha - mystery character
Yeda ban ke pada kha rahi hai
Ek baar arjun ki progress report dekhane school gayi tab hi arjunn ko dought ho gaya tha ghar se nikalti nahi fir yaha kaise wo sabkuch janti hai magar dikhati nahi
 
Last edited:

Fâķîřă

Banned
1,207
6,114
143
Bhai jis tarah lata ka character iss update me àya usss khayal se lagta hai rameshwar ji aur kaushalya ne theek hi kiya jo isse bahu nahi banaya
Jis tarh uski belagaam jubaan hai
Aur usne jab *#shankar Main tumhe barbaad kar dungi yahi wo line hai jisase puri kahani judi hai.
Itihaas gawah hai mahabharat aur ramayan aurat ki wajah se hua iss rameshwar ji ke sansad ka khatam mere khayal se ye munni hi hogi
Jis tarah chodna vagaira shabd bole hai sab ke usase uske vyaktitva ka pata chala
Sombir singh ka dhritarashtr sambodhit kiya wahi mujhe bhi laga
Yaha bete ki galat jid ko sath deke usne khud ki hi kabra khod di
Abhi uske bete ka jiqra hua
1) fateh jo sushila ka pati tha
2) sundi jo munni ka pati banega
3) to guddi ka pati kaun jo sudarshan choti ka baap hai
4) bindu England wali uska pati kaun
Ab rammehar ke do betoka ka ullekh hua
1) bhawani 2) mohar
Mohar ko 2 betiya shankar se hui. To fir bhawani ka pariwar kaha hai
Ajju bhai iska to 100% pith par war hua hoga
Hona ho ho munni hi hai jo sab kand kar ke uske kabr par fun faila ke baith gayi
Mujhe yaha lagta shankar kitna bhi sharir kyun na ho yaha wo chutiya tha chutiyahai aur chutiya rahega
Ye jo 8vi ka pyar bol raha hai na wo pyar tha hi nahi wo ek aakarshan tha jo ye yeda pyar samaz kar baitha hai
Richa ke bare me ye kyu kaha ki ritu se compare karti hai khud jaise maa ka kuch to ansh aye hi hoga
Rekha - mystery character
Yeda ban ke pada kha rahi hai
Ek baar arjun ki progress report dekhane school gayi tab hi arjunn ko dought ho gaya tha ghar se nikalti nahi fir yaha kaise wo sabkuch janti hai magar dikhati nahi

Aur shayad main kuch dhamaka type likhnewala hu
Mujhe lagta hai ye apna arjun singh hi rekha ka ashiq hoga aur arjun singh se marte hue vachan liya hoga shankar rekha ko achi jindagi dega

Lekin bhole to munnni e esharo pe hi dole
Maaf karna flow flow me edhar udhar nikal jata hu
Arey krish bhai aapke kehne ka mtlb hai ki rekha aur arjun singh ne komal didi aur ritu ke paida hone ke baad bhi sambhand rkhe

Kya he soch ke likh rhe ho bhai
Komal aur ritu shankar ki betiyan hain toh arjun singh bich me aane ka mtlb he nhi bnta
 

Krish007

Member
247
1,062
138
Arey krish bhai aapke kehne ka mtlb hai ki rekha aur arjun singh ne komal didi aur ritu ke paida hone ke baad bhi sambhand rkhe

Kya he soch ke likh rhe ho bhai
Komal aur ritu shankar ki betiyan hain toh arjun singh bich me aane ka mtlb he nhi bnta
Kshama mitra jo abtak shankar ji ka rekha ke sath sambhadh ek samjhota laga baki unke rishte me kuch khas nahi laga
Main ye nahi kehta ki rekha aur ajju ke bich jismani sabandh the
Maine ye kab kaha ki arjun singh ka beta hi arjun sharma hai
Mera sirf tukka mara tha aisa kuch hai kya kshama kare kuch galat bol diye ho to wo
Kar diya maine edit
 
Last edited:

Enigma

Well-Known Member
4,125
57,656
173
Update 120
Fainsle - Faansle


"Shaadi. Sunn ne me toh bas ek lafz hai Arjun lekin iske maayne itne vishal hai ke tum samajh nahi sakte. Aur main thodi khudgarz hu, pyaar ki dor se he bandhe rehne do bhai. Waise bhi tumhari raahein pehle he badi mushkil hai. Toh sawaal karo jo tum poochna chahte ho?", Komal didi ka ye jawaab sachmuch gehra tha aur inkaar karna apne aap me ek rehasya sa. Arjun bhi bas unhe dekhta reh gaya.

"Aap chahti hai ke main wo sab karna band kar du toh main aisa kar sakta hu didi.", Arjun ne ek aur koshish ki lekin saamne kaun hai ye jaise is pal me wo khud bhool raha tha.

"Kya band karne ko keh rahe ho tum Arjun? Agar tumhara matlab sharirik sambandh banane se hai toh woh ek na ek din khud band ho jayega. Samajhdari se ya fir durghatna hone ke baad. Lekin Ritu, Alka, Tara, Manju-Preeti ya khud mere sath tum bhavnatmak aur aatmik taur par jude ho, ye kaise ruk sakta hai? Sehan toh tum Renuka se algaav he nahi kar paaye the. Wo vaade kabhi mat karna Arjun jinka poora na hona pyaar ko galat roop de de. Tum mere ho, ye sach hai lekin main tumhari rahungi ye bhavishya he fainsla kare toh sahi hoga. Agar kuch kar sakte ho toh itna karo ke jab jism me wo alag se garmi tumhe bahar le jaane lage, apne kadam wapis andar le aana.", Komal didi ne Arjun ke chehre ko bade pyaar se sehlate hue kaha.

"Kadam ghar me le aau? Aur ye garmi lagti he kyu hai didi? Sach kahu toh main aisa kuch karna he nahi chahta aur jab saamne se he koyi hath pakad leta hai toh main khud sath chal deta hu. Aap kehti hai ke vaada poora nahi hota toh main itna he kahunga ke isko koshish samajh lijiye meri. Lekin ghar aane ka matlab bhi bata dijiye."

"Tumhe maine kaha tha na ke Savita aur mere me se ek ko chun lo. Tumne mujhe chuna toh wo dard bhi main he dur karungi. Tum Ritu ya Tara ke bhi pas ja sakte ho ya fir baaki kisi ke bhi jo sirf tumhe waisa he pyaar karta ho jaisa tum. Aaj rokna shuru karoge toh shaadi tak sambhal he jaoge. Jaanti hu ke ye sab itna asaan nahi hoga tumhare liye lekin mujhe yakeen hai ke tum dard bardasht kar sakte ho. Bas jaise hamesha savdhan rehte ho waise jarur rehna, ghar hai ye.", Komal didi ne is baar jaise Arjun ka sar apne peit par lagate hue sehlaya tha usme kahi se bhi premika-behan wala sparsh na tha.

"Ye badlaav kaise aa rahe hai didi?", Aakhir Arjun ne apna sawaal pooch he liya tha is sneh se bhare divya-sparsh me abhibhut ho kar. Komal didi waise he uska sar sehlati khadi thi. Wo bhi kya jawaab deti us sawaal ka jiski asli wajah toh khud unhe bhi pata na thi. Arjun ka prem toh unke sath duniya se pare he tha, jismani kya ruhani kya.

"Kaise aa rahe hai iska toh main bhi kya jawaab du Arjun. Bas itna jaanti hu ke jo badlaav la raha hai toh usko he inhe jhelna hoga. Tu hamara hai aur hum sab tere lekin tum hamesha wahi masoom se pyaare bhai rehne wale ho jisko maine apne seene se lagaye rakha tha. Aaj maa ke pas so jana Aaru, main chalti hu niche.", Komal didi ne jawaab bhi aisa diya jisme kitne he sawaal the lekin Arjun agla sawaal nahi kar sakta tha.

"Didi, Renuka."

"Maa ke pas Arjun. Renuka apne ghar he rahegi kuch din.", Komal didi ne koyi aadesh na diya tha, parwah thi apne chhote bhai ki jiska dard wo us se bhi jyada samajhti thi. Arjun ke sharir me aane wale badlaav bahari aur maansik toh sabhi kareebi logo ko dikhte the lekin shayad kuch aisa tha jo Kaushalya ji ko bhi na dikha aur Komal se na chhupa. Komal didi ke jaane ke baad Arjun bhi niche apni maa ke kamre me chala aaya. Rupali didi ke sath khana karke wo dono he padhte rahe jabtak raat na gehra gayi. Vinni ne bhi koshish ki thi Arjun se baat karne ki lekin Alka ek bahari kavach thi jo unhe apne sath he le gayi. Aaj sahi maayne me Arjun kisi chhote bache sa Rekha ji ki chhaya me sukoon se so gaya tha.
.
.
Saal 1973

"Arre Bhole bhai, tum na dimag wali baat dil se aur dil ki baat lund se sochte ho. Tabhi tumhe Rameshwar ji me bhi woh Ishwar kaka na dikhe jo bandhe hath the.", Ye Ajju he tha jo haveli ki chhat par Umed, Shankar aur Narinder ke sath sabke liye jaam bana raha tha, andhere me. Aaj yahi log the kuch kaam karne walo ke siwa yaha. Inke mata-pita Shillu aur Shalini ko apne sath le gaye the Rameshwar ji ke ghar.

"Haan toh ye baat sabko pata hai siwaye Shankar ke. Hahaha", Umed ne hanste hue kaha toh Ajju ne apne bade bhai ko ghoor ke dekha jaise woh mahol ko thik rakhna chahta ho. Lekin Shankar toh wo saand tha jisko kuch aur dikhai na deta tha jab baura jaye.

"Kya dikha tumhe Ishwar kaka me jara batao prabhu? Hamare aadarniya SHO Rameshwar Sharma ji ne beda garak karne ka thaan liya ho toh fir mata Kaushalya ji bhi kaise rok sakti thi? Aur main doctori ki padhai kar raha hu, dimaag hai mujhme.", Shankar ne ye motte kaanch ka gilas ek baar me he halak se niche utaar liya tha. Bahot dukh tha dil me aaj apni Lata ko khone ka aur iska dosh bhi apne pita ko dete hue sabse jyada bura lag raha tha.

"Atcha Bhole ek baat bata, Kauve aur Hanse me kya samanta hai?", Ajju ne bhi apna gilas uthaya aur baaki dono ki taraf dekhne ke baad ghoont ghoont peene laga. Isne ek poora jug nimbu ki shikanjvi bana rakhi thi apne liye. Beshak mahol thanda tha lekin swaad-swaad ki baat hai.

"Dono pakshi hai. Ab tu chutiyo jaisi baatein kyu kar raha hai Ajju? Main us Fateh aur Sundi ki gaand maar lunga.", Shankar khud he wo plastic ki bottle se rum daalte hue apna agla jaam banane laga lekin Ajju ne gilas aur bottle ek taraf rakh diye. Inder aur Umed abhi pehla he pee rahe the.

"Dekh teeno baat galat kahi aur fir kehte ho ke tumhare dimag me lund nahi hai. Kauva aur Hans dono viprit rango ke hai lekin unka prem jo hota hai na wo ek samaan hota hai. Hanso ka pariwar hota hai na usme pramukh Nar ek jawan hans ko tabhi shamil karta jab woh jawaan hans ko apni beti ke liye mehnat karte dekhta hai. Phir bhi maada ki marji hoti hai nar ko pasand karne me. Joda bann jaye toh fir ye dono alag ho jaate hai. Hans saari zindgai ek hansini ke sath bita deta, ek marr jaye toh dusra bhi zinda nahi rehta. Aise he nar-kauva apni premika ke sath ek aashiq jaisi shuruwaat karta hai. Maada ko kabhi pathar bhent karega, kabhi lakdi toh kabhi bhojan. Woh maada bhi na Bhole iska maja leti hai jabtak woh us par vishwas na karne lage. Phir dono apna jiwan sath gujarte hai, zindagi bhar. Tum na toh kauve ho aur na he Hans, Bhole.", Ajju hamesha he apni baat kahani ke hisaab se kehta tha. Lekin sabko pasand aati thi uski baatein jinme gyaan aur sachhai hoti thi.

"Ye saand hai Ajju, tu kya iske saamne cheel-kauve-bagule ke baatein kar raha hai.", Umed ne bhi apna khali gilas beech me rakhte hue kaha.

"Isne bagula cheel kab kaha Gajju? Hans aur Kauve ka sateek udaharan diya hai. Aur agar Shankar kisi pakshi sa hai toh woh mor he hona chahiye ya fir baaj.", Ye Inder urf Narinder bola jo hubahu Shankar jaisa he tha, thoda sa lamba lekin.

"Haan kaise bhool gaya tha ke yaha toh pehle he param gyaani dhyani Umed ji hai aur unke sath Inder dev. Bhiaya iski sangat me jyada na raha karo, kisi din taav me aake aag laga dega ye Bholenath. Mor, kaha se mor dikhta hai tumhe ye Medi bhaiya? Desi murga hai Shankar woh jhund ka sabse tagda wala, jo apne baade me kutto ko bhi na aane deta. Har murgi par chadh jata hai, chahe uski marji ho ya na ho. Lekin wo hoti hai na ek safed tagdi murgi jo gaand pe chonch maarti rehti hai us aashiq-bhogi murge ke wahi iski jaan basti hai. Hum kehna chah rahe the kuch aur le aaye kahi aur.", Ajju ne pehle Gajju ka jaam banaya fir Inder ka aur aakhir me Shankar ka gilas aage kar diya. Dabe mooh Inder hans bhi raha tha Shankar ki tulna Murge se karne par.

"Gajju yar iska radio band karwa. Khud shikanji pee kar bhai ka gum karne ki baatein kar raha hai. Lekin kora gyaan dene ke siwa kuch keh nahi raha."

"Bhole bhai, suno ab gor se. Tumhari murgi koyi gale pe talwar laga ke toh leke na gaye Sombir tauji apne ghar. Thanedar kaka toh tumhare liye jaan de sakte hai ye rishta maangne wali baat bahot chhoti bhala. Gaye toh pita ji bhi the na kaka ke sath? Waha sabko yahi dikha ke ladki ka rishta udhar ho gaya, Shankar se Lata bhabhi dur ho gayi ya biradari beech me aa gayi lekin kisi ne ye nahi poocha ke waha Sombir kaka aaye kaise? Lata bhabhi ne Rameshwar kaka tumhari tarah he kabula hoga ke woh tumse pyaar karti hai? Aur ye baat ki ab woh byaah hone tak ghar me he rehne wali hai koyi purush mil nahi sakta unse?", Shankar aur Inder ke toh jaam jameen par he aa gaye. Ajju ki baat jara bhi kori na thi aur ab Umed bola.

"Dekh Bhole, baat me dum hai. Chacha ji sabse jyada tera he karte hai aur wo itni jaldi Ishwar kaka ke ghar bhi aa gaye. Lekin baat sirf 2 he jagah kharaab hui hogi. Biradari se kaka ke bahar hone ke andeshe par ya fir Lata ki taraf se. Hone ko Sombir tauji bhi is sabke peeche ho sakte hai kyunki Sheela bhi sath thi."

"Hone ko toh aisa bhi ho sakta hai ke papa ne Sombir tauji ke waha hone aur rishtey ki pehal karne par khud he kadam peeche le liye ho. Sab jaante hai wo bade hai aur sab par hukum chalate hai, Sundi shuru se meri Lata ke liye pagal hai aur papa jhagda nahi chahte jo ki ho he jaata agar Sombir tau ki baat taal di jaati. Matlab mere papa ne prayas toh kiya lekin fir ghutne tek diye.", Shankar ke is bayaan par baaki teeno hairaan the. Wo Madhu ka toh jikar he nahi kar raha tha.

"Dekh Bhole tujhe vachan deta hu bhai ke agar kahi bhi aisa kuch hai toh Lata bhabhi ko main hath pakad kar unki haveli se leke aaunga aur fir mandir me hath rakhwa kar sach bahar nikalwaunga. Lekin byaah hone tak Ishwar kaka ki ijjat nahi uchalni bhai. Woh poore gaanv ko pariwar maante hai. Rahi baat Rameshwar kaka ki toh agar unse jubaan ladai toh fir main tere se baat nahi karunga.", Ajju ne jaise haq se kaha tha Shankar kuch shaant ho gaya.

"Dekh bhai Bhole, Banwari mama aur maine kaha tha na ke tu Lata ko leke bhaag ja. Tab baat sirf Ishwar kaka aur chacha ji ko manane se hal ho he jaati lekin teri Lata ko toh ye bhi pasand nahi aaya tha. Aur ab agar kuch bhi aisa waisa kiya toh bhai mooch ke naam par talware-banduke nikal jayengi aur aisa Rammehar ke badmash ladke chahte bhi hai. Hum kisi se darte nahi Bhole aur ye un sabko pata bhi hai lekin ek galat kadam aur sab apne khilaf ho jaane wale hai bhai.", Umed ne apne daleel pesh ki toh Inder ne bhi uska sath diya.

"Shankar tum kahoge toh main ye bhi kar sakta hu, Gajju-Ajju ki bhi jarurat nahi padegi agar Lata ko utha kar he leke aana. Lekin bhai papa ne sabke saamne kaha hai aur unki baat matlab unke he khilaf jana. Chal bhai kal college wapis chalte hai vijaydashmi toh ho gayi apni. Tu college khatam kar aur apna wo sapna poora kar jo teri mehnat par nirbhar hai. Pyaar karna hai toh ab is se he kar le."

"Lata ko nahi bhool sakta Inder aur papa ke khilaf jaane ka soch bhi nahi sakta. Ajju tu college he aa jana Gajju ke sath, main shaadi me toh aaunga nahi jo ki Sombir tauji pakka aamantrit karne wale hai. Lekin Lata se itna kehna ke woh mujhse ek baar jarur mile. Baat karna jaruri hai bhai.", Shankar ne gilas khaali kiya aur uth khada hua. Taja taja cigrattee ki aadat lagi thi apne college ke he ek dost se toh ekmatra cigrattee jeb se nikaal kar jalate hue chatt ki munder se bahar dekhne laga.

Is raat ke baad Shankar aur Inder is haveli laut kar naa aaye the. Kaushalya ji bhi bebas thi aur Rameshwar Sharma toh the he aise insaan so apne pariwar ke se pehle bahar ki suraksha ka dhyaan rakhte the, unki dharampatni bahot thi pariwar ko sambhalne ke liye. Wo din bhi aa gaya tha jab Sombir Singh ki haveli se Surender aur uske chhote bhai ki barat nikli aur Lata ko byaah kar haveli ki teesri bahu bana diya gaya, wahi sabse chhote bete ka vivah bhi Bindiya namak yuvti se ek he mandap me hua. 10 gaanv nimantrit the aur bade bade mantri-santri bhi. Sab khush the is vivah se lekin agar koyi dukhi tha toh woh 4 log the. Chandro devi jo haveli ke pramukh Sombir Singh ki pehli biwi thi, Kaushalya Devi jinka beta ab gehre dard me tha aur diwali bhi ghar manane na aaya tha, Ishwar Singh (Panch) jo jaanta tha ke ye galat hua hai aur Shankar Sharma.

Yaha Rameshwar Sharma apni dharampatni aur beti Madhu ke sath padhare the toh is khoobsurat ladki par gandi najar padd he gayi thi Mohar Singh naamak is vyakti ki. Apni biwi ki madad se usne jaan liya tha ke ye ladki kaha padhti hai aur fir khamosh raha byaah hone tak. Sab atche se nibat gaya tha aur pehli bar Sombir Singh ne Kaushalya Devi ke saamne hath jode the. Bata bhi diya tha ke unke liye unke bete ki chahat kitni jaruri thi. Lekin samay hamesha ek sa nahi rehta. Lata se byaah ke 10 din baad Ajju milne aaya tha.

Sombir Singh ki haveli me aisa nahi tha ke kisi bhi bache se koyi bair bado ne rakha ho. Shankar bhi yaha Fateh ki biwi Sushila ke bacho se milne khelne aata tha, Umed ka bhi judaav tha aur Ajju ko toh khud Sombir Singh pasand karta tha. Teeno yuvko ko bharpoor prem milta tha yaha Chandro Devi se. Inder he ek tha jo yaha aana pasand nahi karta tha.

"Lata bhabhi, kuch baat karni thi aapse.", Ajju ne haveli ke pichle aangan me dhoop sekne baithi Lata se kaha. Hatho par mehndi ka rang utar chuka tha aur chehre par bhi koi khaas chamak na thi Lata ke. Ajju ko apne kareeb baitha dekh jaha ek taraf usko khushi hui thi wahi dil me dard bhi.

"Haan to bolo na devar ji. Baat karne ka haq toh sabko hai."

"Bura na maan-na lekin Bhole ek aakhiri baar aapse milna chahta hai. Ab toh byaah ko hafta poora ho gaya, bahar jaane se toh na rokne wala koyi aapko. Dopahar me nikal lo kal.", Abhi wo dono he khusar phusar kar rahe the ke andar se Lata ke jeth Fateh ne dono ko dekhne ke baad khidki band karte hue waise he awaaj lagai.

"Munni, jara paani ka jug dena. Sushila shayad Zile ke ghar gayi hui hai.", Awaaj aise sunai di thi jaise dur se pukara gaya ho.

"Bhabhi, aap ho aao andar. Main intjaar karta hu.", Ajju bhi khada ho is pichle aangan me he ek taraf khel rahe chhote ladke ke sath masti karne laga. 5-6 saal ka ye ladka bhi Ajju ko pasand karta tha.

"Chacha, main na naya laatu laya hu aap yahi ruko fir dono ghumayenge usko. Kamre se abhi aaya main.", Bacha teji se daud kar saamne wale hisse se haveli me dakhil ho gaya aur Ajju is mitti ke aangan me baitha apne he vicharo me uljha raha. Lata ko paani deke aane me 15 minute lag gaye the aur woh chhota bacha bhi wapis na aa kar bade dhyaan se apni nayi chachi ko Ajju chacha se baat karte dekhne laga.

"Dekh Ajju, main bahar toh nikal lungi lekin milna khule me na hoga. Main dopahar me 3 baje sabki roti ke baad bahar niklungi. Lekin tu lene aayega aur purane school me milungi main Shankar se. Abhi woh band hai aur kamre hai toh koyi dekhne wala nahi hoga. Baat kuch hui toh tera naam le dungi, sath wali jameen tumhari he hai aur beri todne gaye the.", Lata ne jaisa kaha Arjun ko samajh aa gaya tha. Mulakaar ke liye woh jagah bilkul uchit thi aur gaanv se pare bhi.

"Thik hai, main Bhole se baat karke usko bata deta hu. Woh shehar wale ghar he hai aur chacha ji bhi udhar aaye hue hai. Tadke woh duty chale jayenge aur phir Bhole bhi scooter leke aa jayega aadhe ghante me. Bas dhyaan rakhna bhabhi, jo hua so hua lekin bhai ko sab sach sach bata dena kal.", Ajju yaha se nikalta hua Chandro devi ke bhi paanv chhu gaya tha aur ab idhar wala darwaja kholte hue ye 4 vyakti Lata ke paas aa gaye. Fateh, Bhawani, Mohar aur Surender.

"Dekh Munni, tu kitni samajhdar hai ye humko maloom hai. Aur agar koyi gadbad hoyi toh phir anjaam pata he hai tujhe. Mohar bhai, Shankar idhar nahi aana chahiye. Baaki gherabandi main aur Bhawani bhai sambhal lenge.", Fateh ne jo bhi kaha tha wo jaise pehle bhi sabkuch Lata ko bata chuka tha.

"Jeth ji, baat bahut badi ho rahi hai. Dekho meri ek galti ki wajah se mujhe Shankar ko chhodna pada lekin ab aap mujhe itne bade shadyantra ka hissa bana rahe hai. Meri bhi maut pakki hai isme, chahe Ajju mara jaye toh bhi aur zinda bach gaya tab bhi.", Lata ki baat ko in logo ke alawa 3 log aur bhi sunn rahe the lekin woh dakhal na de sake ya shayad unme se kisi ko ye sab manjoor bhi tha.

"Wo ek galti kaha hui Munni? Pehle Shankar ne tujhe aurat banaya, phir tu apne he mama ke ladke se gaand marwa rahi thi aur ab is haveli ki bahu bann kar sati savitiri bann rahi hai. Saboot dono ke sath sambandh banate waqt ke hai hamare pas. Ye kaam poora ho gaya toh maa kasam, tu apne hatho se jala diyo aur phir tujhe kabhi zindagi me pareshan na karenge. Chahe toh Sundi ko hath bhi na lagane diyo.", Fateh Singh ne jo bhi kaha sunn kar Lata ki aankhon me halka paani aa gaya.

"Shankar ke sath kuch nahi karoge? Chandar (mama ka beta) ke sath sambandh kuch majburi me hua jeth ji, lekin Shankar se mera pyaar sirf dil se hai."

"Pakki baat. Uske sath hum kuch nahi karenge aur tu chahe toh chudwa liyo us se. Koyi rokne wala bhi nahi. Aur teri maa bhi chudwati hai Chandar se ye humko pata hai, maine bhi kayi baar milkar pela hai kaaki ko.", Fateh ne apni jeb se kuch nikal kar Lata ko diya aur hanste hue aage bola. "Sahi jagah aur sahi samay par bas wahi karna jo kaha hai.", Aur sabhi idhar se nikal gaye siwaye Surender ke jo ab har ghadi apni biwi ke sath he rehne wala tha.

"Bhole bhai, Lata bhabhi milne ko maan gayi hai kal tum yaha aa jao.", Phone par aahista se baat batate hue Ajju idhar udhar bhi dhyaan de raha tha ke kahi uski maa ya chhoti behan na sunn le.

"Ajju, aa toh jaunga lekin pehle Guddu (Madhu) ko college se leke aana hai. Uska parcha 2 baje khatam hoga.", Shankar bhi ehtiyaat se idhar udhar dekh raha tha.

"Inder le aayega yar bebe ko. Waise bhi 3 baje main usko leke sarkari school pahuchne wala hu, purane wale me."

"Bhai, badi bhabhi peit se hai toh Inder aur Maa ja rahe hai unhe bhaiya ke pas se laane. Main ghar par hu toh papa ne sakhti se mujhe he kaha hai ye karne ko. Naraaj hai thode college wali ghatna pe toh main in sabke baad tere pas poore 3 baje pahuch jaunga. Chal rakhta hu.", Shankar ne aas-pas jayja liya toh waha koyi nahi dikha. Raat jaise taise kati aur savere Rameshwar ji koyi 8 baje he nikal gaye the, sabhi ko hidayat dene ke sath. Shankar ke bade bhai Rajkumar ji apne kaam ki wajah se ghar se bahar rehte the lekin jald he woh is ghar me wapis aane wale the. Dharampatni Lalita garbhvati thi aur unhe bhi aaj leke aana tha.

"Maa main Guddu ko college chhodne ja raha hu. Aap log chabi aale me he rakh jana kyonki main iske paper ke baad isko sath leke he aaunga.", Shankar ki baat sunn kar Madhu alag he tarah muskura rahi thi. Aur Kaushalya devi ne bhi sehmati de di. Shankar apni behan ko liye scooter par nikal gaya toh Kaushalya ji ko yaad aaya ke beti dahi-cheeni toh khaa kar he nahi gayi. Idhar chulhe par ubalta doodh bhi gir gaya tha.

"Bas yahi baaki tha hona. Bhagwan sabko surakshit rakhna.", Kaushalya ji ka dil thoda sa khatta ho gaya tha anjane bhaye se. Lekin jaise taise woh bhi tayaar ho kar nikal gayi Inder ke sath car me. Bahu ko leke aana tha toh uske liye ye car he uchit thi. Madhu ko college ke bahar chhodte waqt Shankar ne hidayat di.

"Guddu, yahi gate par milna 2 baje. Main lene aaunga aur jabtak na aau intjaar karna.", Shankar tab tak college ke bahar khada raha jab tak behan andar na chali gayi. Mahol alag tha aur gaanv-shehar ke ladke manchale bhi the. Shankar bas ye na dekh saka tha ke koyi aur unse bhi pehle yaha najar rakhe hue tha. Apne college ke dost ke ghar samay vyatit karke Shankar 1:55 par he is mahila mahavidhyala wapis aa gaya tha.

"Bhaiya, Madhu toh abhi abhi nikal gayi. Wo us car me, koyi Sheela aunty thi aapke pariwar ki.", Shankar ke kaano me pighalta hua seesa daal diya tha is Madhu ki sahli dwara kahe lafzo ne. Shankar ne scooter ki kick lagai aur is khuli sadak par sarpat jaati car ke peeche apna scooter dauda diya. Car ke andar Madhu behosh thi aur usko thaame Sheela devi alag tarah se hansti hui Mohar Singh se batla rahi thi.

"Kar di na tere mann ki Mohar? Ab tu jee bhar ke masaliyo is bagad-billi ko. Namastey kaaki keh ri thi, ab karwati hu Rameshwar ki namastey.", Sheela Devi aurat ke roop me ek haivaan he toh thi. Kaise din dahade ye ghatna anjaam de di thi usne aur Mohar Singh toh josh me gaadi ko hawa me dauda raha tha.

"Kuch bhi keh Sheela, tu aur Bhavani bhai na mera poora khayal rakhte ho. Sala Shankar waha khada behan ko dhoond raha hoga aur idhar main iska naada todd ke choot khol dunga. Phir Rameshwar bhi waise he mutthi me hoga jaise Munni hai.", Unhe ye nahi pata tha ke Shankar peeche he hai, beshak faansla jyada ho chuka tha lekin jis raste par gaadi daud rahi thi woh Shankar ki pehchan ka he tha.

"Chal meri madad kar Mohar. Utha ke le chal saali ko kamre me, pher main karti hu iska cheer-haran.", Car se Madhu ko nikal kar dono ne is nirjan char-diwari ke bheetar kiya aur Sheela apna jaruri samaan laane wapis chali gayi.

"Aaj aayi mere hath asli jawani. Behanchod aisi gaand marunga na... aahh..kaun hai... shankar...", Pajama kholte Mohar Singh ki gaand par jordar laat padte he woh ludhakta hua aage ja gira. chardiwari ke bahar Shankar ka scooter jameen par gira tha aur ab Shankar gusse me fufkarta Mohar Singh par kaal ki tarah khada tha.

"Teri ye majaal kutte, meri behan ki ijjat par hath daalega.", Shankar ne iske baad tassali se Mohar Singh ke chehre ka naksha bigada. Uski cheekhe sunn kar Sheela Devi dabe paanv he waha se gayab ho gayi thi. Hath-paanv lagbhag todd he diye the Shankar ne aur jaise he jaan se maarne ke liye kassi uthai ye pativrata naari uske pairo me aa giri.

"Shankar, hath joddti hu inko jaan se matt maro. Inhone jo bhi galat kiya uski saja tum mujhe de do. Inki jaan matt lo.", Ye komal-hridya mahila apna rota chehra liye Shankar ke paanv me mooh tikati baith gayi aur toote-foote sharir ke sath Mohar Singh bas khoon se lisde apne chehre se dekhta raha. Sachmuch uska sharir itna toot chuka tha ke hath se woh aankho ke saamne aate khoon ko bhi saaf na kar pa raha tha.

"Saja toh main deke he rahunga aur woh bhi aisi ki ye har roj tadapta rahe. Kapde kholo apne tum. Aur aisa mere har baar aane par hona chahiye.", Mohar Singh ki biwi bilakhna bhool kar bas apne pati ko geeli aankho se dekhti rahi. Aaj pati ke kukarmo ki wajah se bhala devar shaitaan bann kar uske sharir ko raund raha tha. Shankar ka sara krodh lund se nikal kar is aurat ki kokh me ja gira toh usne dhyaan diya. Nirjiv si ye aurat nirvastra jameen par padi thi. Jism par anginat daag aur nishaan bana diye the vehshipan aur sambhog ke. Mohar Singh dard se behosh ho chuka tha, lekin dekha usne bhi tha apni biwi par sawar Shankar ko.

"Ye jail jayega aur tum abse meri ho. Yaad na dilana pade.", Aurat ki taraf kapde bhadate hue Shankar ne usko apni behan ka dhyaan rakhne ko kaha aur bahar nikal gaya. Usko pata tha ke Rammehar ke ghar ki ye bahu atche se jaan gayi hai usko. 10 minute baad he woh wapis aaya toh police ki jeep uske sath he thi.

"Ye padi meri behan, wo raha apradhi aur ye gaadi jo istemaal hui is apraadh me. Mere papa sambhal lenge sabkuch, tumne agar isko bahar aane diya toh yahi haal main tumhara karunga.", Shankar ne dono sipahiyo ko bedhadak he dhamka diya tha. Mohar Singh ki dharam-patni ne mooh par paani daal daal kar mehant se Madhu ko hosh me laaya toh dari sehmi se woh kuch waqt har taraf dekhti rahi aur fir apne bhai ke gale lag kar dahade maarti hui rone lagi.

"Chal Guddu, sab thik hai. Ghar chalte hai bas.", Sheela devi is beech nikal gayi thi aur Shankar ko jaise uska dhyaan bhi na raha. Khamoshi se scooter chalata hua apni behan ko liye jab ghar pahucha toh baap ki gaadi pehle he khadi thi. Samay 4 bata rahi thi ghadi.

"Aap is waqt?", Shankar ke is sawaal ka jawaab na dete hue Rameshwar Sharma ne apni beti ko gale laga liya.

"Beta kapde badal kar araam karo, Shankar ko abhi mere sath hospital jana hoga.", Shankar ko apne pita ke is jawaab me dard he dard najar aaya. Pados ke ghar ki ek mahila aur uski beti Madhu ke sath yaha thi. Rameshwar ji apne bete ko liye turant nikal liye yaha se.

"Hua kya hai papa? Maine kuch nahi kiya, galti Mohar ki he thi. Haan uske baad mere se galti hui lekin main kya karta.?"

"Shankar, tum ek atche bete ho ye main jaanta hu. Lekin ab tum khud ko thoda majboot kar lo.", Rameshwar ji ki bheegi aankhen kuch aur he bata rahi thi. Shehar ke is bade hospital ke bahar tak anginat gaadiya khadi thi. Kitne he policewale the yaha aur fir bhi sannatta sa pasra tha. Ek anhoni ki aashanka se Shankar ke kadam andar badh gaye. Kaushalya devi ki car bhi yahi dekh kar Shankar ki aankhon se apne aap he aansu tapakne lage. Is galiyare me har chehre par maatam tha aur aakhiri kamre ke bahar bilakhti Purnima chachi ko dekh kar Shankar khud ko sambhal he na paya.

"Mera sab ujad gaya Shankar mera sab kuch ujad gaya beta.", Dahade maar kar roti Purnima toh jaise is ladke ka he intjaar kar rahi thi jiske gale lagte he woh behosh ho gayi. Kitni cheekh-pukaar kaano me gunjti rahi Shankar ke aur woh bas dekhta raha apni baaho me achet apni chaachi ko.

"Doctor bulao koyi.. meri chachi.. meri chachi ko dekho koyi. Papa kya ho gaya hai yaha..? Maa kaha hai .. maa dekho chachi ko kya ho gaya... Sab ro kyu rahe hai?", Kamre se roti hui Kaushalya devi bahar nikli aur 2-3 log turant he Purnima devi ko le kar ek kamre me chale gaye.

"Shillu is duniya me na raha Shankar.", Bilakhti hui Kaushalya devi apne bete se lipat gayi thi. Aur Shankar toh bas baraf sa thanda ho gaya tha.

"Kaushalya, doctor inhe leke jao.", Rameshwar ji ne rote hue apni biwi ko pakda aur Inder apne bhai ka hath pakde is kamre me aa gaya. Buri tarah kata hua ek jism nirjiv sa bister par pada tha. Ye Dalsher urf Shillu na tha. Oxygen mask ke peeche us chehre ko dekh Shankar kisi chhote bache ki tarah fafak kar rota hua diwar se ja laga.

"Dekh Shankar, doctor ne jawaab de diya hai. Ye aakhiri baar tujhe dekhna chahta hai bhai.", Narinder ne bhai ko hath se pakad kar Ajju ke kareeb kiya toh Shankar rote hue Inder se he lipat gaya.

"Main nahi dekh sakta Inder. Agar iski saansein chal rahi hai toh koyi isko bachata kyu nahi?"

"Isliye nahi bacha sakte?", Narinder ne chaadar hatai toh Shankar ka raha saha dum bhi nikal gaya. Ajju ka ek hath nadarad tha, silai ki hui chaati bhi saksham na thi sharir ko jodne me. Narinder ne wo mask hataya toh sharir me hulchal si hui. Jaane kaise abhi bhi si sharir me kuch baaki tha. Ajju ke hontho par dardbhari muskaan aayi toh dheemi awaaj bhi nikal aayi.

"Inder... teri bahot yaad aayi yar, chachi maa... ko kehna... ke Bhole ko meri maa.... aahh bhaiiiii.. se milwati rahe. Aam todne... ab akele jana padega..', aur iske sath he Ajju hamesha ke liye khamosh ho gaya. Inder ne bhi bheegi aankhon se uske sharir ko dhankne ke baad maatha choom liya. Wo khuli aankhen band karte hue uske hath tharthara rahe the. Is kamre me ab jaise kisi ka bhi dil zinda na raha tha. Rameshwar ji ke sath Raghubir Singh bhi andar aaye toh dono ladko ko behal paaya. Narinder toh bagal me he leta hua jaane kya kya badbada raha tha, wahi Shankar ghutno me mooh dabaye bas roye ja raha tha. Raghubir ji kareeb aaye toh suna Narinder apne bhai ke kaan me Bhagwad Geeta ke shlok uchaaran kar raha tha, uski aatma ki shaanti ke liye.

"Rameshwar, inhe sambhal bhai.", Raghubir Singh ne is kathin samay bhi himmat dikhai.

"Inder, beta apne bhai ko le jao. Tumhari maa aur chachi ko tum dono ki jarurat hai. Kam se kam Umed aur Shalini ka he khayal karo, tumhe un dono ko bhi dekhna hai.", Rameshwar ji ne jaise taise ye lafz kahe. Narinder bhi 1 minute baad dhime kadmo se apne bhai ki taraf aaya aur hath thaam kar uthane laga.

"Ajju meri wajah se mara hai. Maine mara hai Ajju ko. Ye sab meri wajah se hua hai, mujhe jeene ka koyi haq nahi hai papa. Meri wajah se mera bhai mara gaya.", Shankar ki garjna sunn kar Narinder aur Rameshwar ji bhi aankhe faade usko dekhne lage jo ab ek toota hua insaan tha bas. Baar baar sookhe patte sa hilta Shankar kaamp raha tha.

"Arjun Singh ko sirf Arjun Singh he maar sakta hai beta. Wo rail ke sath takraya tha aur baaki toh main pataal se nikal kar bhi dhoond lunga jo wajah hogi. Lekin usne khud bayaan diya hai.", Raghuvir Singh ke itna kehne ke sath he Narinder apne bhai ko lagbhag ghaseet kar yaha se le gaya.

"Raghubir, ye haadsa nahi hai bhai. Madhu ko bhi agwa kiya gaya tha aur ek he waqt Shillu ke sath sath Arjun par humla hua. Main kuch na kar saka mere bhai. Main kuch bhi na kar saka.", Rameshwar ka rudan bhi bata raha tha ke vyakti kitna saral aur aatmik taur par juda tha sabke sath.

"Bhai, Arjun ne saboot chhode he kaha? Baaki 12 laash tumne dekhi nahi. Aur Shillu ko maarne ke sath sath mere 15 log bhi zinda jala diye gaye factory me. Mera wo masoom bacha toh khud rota hua waha gaya tha ke koyi uske bhai ko maar raha hai. Aurat thi sath.. aurat thi sath... bas yahi sunn paya jo jakhmo ki taav sehta marne se pehle bata gaya Shillu ke baare me. Inke sanskaar ke baad Sombir Singh ke ladke haajir karo Rameshwar. Aurat ke sath wahi log gherenge ek sher ko. Mere pas khone ke liye ab jyada kuch nahi hai aur Shankar-Inder is sab se dur rahe itni gujarish kar sakta hu.", Inki baatein khatam bhi na hui thi ki Sombir Singh, Rammehar aur SP Rathod kamre me dakhil hue.

"Raghubir, mere bhai is dard ko main samajh sakta hu lekin tum par jo beet rahi hai woh koyi aur nahi jaanta.",Sombir Singh ke aansu alag he kahani keh rahe the.

"Raghubir ji, kanoon aapke sath hai aur har mumkin chhanbin ki jayegi. Koyi apradhi nahi bachega jo is case se juda ho.", Rathod ne apni topi kakh me dabaye aashwasan diya aur shok prakat karke wo log bahar chale gaye. Aanan fanan me he sabkuch kiya gaya aur sandhya ke samay he kuch logo ki maujdgi me dono beto ka sanskaar kar diya gaya.

Purnima aur Kaushalya ji ke liye toh sabkuch asehniya he tha, unhe gaanv ki haweli me he rakha gaya tha. Rameshwar Sharma ne bhi khud ko pariwar se darkinaar karte hue poori gehraai se jaanch shuru kar di thi. 3 din me he unke hath pukhta saboot the jo gherte the Rammehar ke bete Bhawani, Sombir Singh ke laadle Surender, Fateh ko. Bhaade ke kaatil UP se aaye the, Bhawani ke sampark se. Lekin ye baat aage badhti us se pehle he unke tabadle ke kagaz khud SP Rathod ne pakda diye the Rameshwar ji ke hath.

"Raghubir bhai, aaj bacho ka chautha hai aur mera kaam poora hua. Ab is case se mujhe hata kar #### transfer kiya ja raha hai. Ye hai jo apraadh me shamil the aur ye diya hai mujhe Rathod sahab ne puruskar."

"Muneem ji, Sombir ko hajir karo aur sath he Rammehar ko.", Raghubir Singh ne hunkaar bhari toh dekhte he dekhte ye bada jamghat sa lag gaya tha is bade aangan me. Aadhe he ghante me dono baap yaha hajir the, apne beto ke sath.

Raajiname ki sharto par Sombir ke mohar lagane se pehle he Fateh ne goli daag di thi Raghubir Singh par jo takrai Rameshwar ke kandhe se. Dusri goli Bhawani ne chalai thi rivolver nikalte Rameshwar par aur apne upar le gaya unka ye anjaan sehyogi jo saare case me Rameshwar ji ko suraag de raha tha. Jawaab me chali 10-12 goliyo ne 6 sharir neeche gira diye the jinme se ek toh Rammehar ka naamjad beta Hukum Singh bhi tha. Palbhar me he Sombir-Rammehar yaha se nadarad ho chuke the.

"Ye galat hua Raghubir. Bahot badi galti kardi inhone, koshish karne se bhi shayad ab ye anhoni na ruke.aahh.", Khoon me lathpath Rameshwar apne dost ki baahon me behosh ho gaye the.

"Umed, gaadi nikal beta. Aur tum sab haveli ki suraksha karna, dekhte he goli utaar dena jo najdeek aaye.", Raghubir Singh ne achet bhai ko gaadi me daalte hue hospital ka rukh kiya.

"Ab beech me na padna papa.", Umed ne hadd par karke car bhagai thi lekin agli seat par he bandook rakhe tha.

"Tu ek he bacha hai Medi mere pas. Main sambhal lunga tu bas ghar dekh. Inhe kuch ho gaya toh main jeete jee marr jaunga beta.", Itni he jaldi ek baar fir sablog hospital the aur is baar Shankar ki aankhon me koyi aansu na tha. 3 din tak mahol shaant tha aur is beech Sombir Singh ne sab samjhute nakarte hue Mandir par kabja jama liya tha. Sarkar, prashashan sab uski pakad me tha.

Aur ek hafte baad Rammehar-Sombir Singh ki dono haveliya mard viheen kar di gayi thi aur ab Ajju ki tehravi par Shankar ne mundan karwa liya tha. Un sabhi ko Ajju ke pas pahucha kar jo uski maut ke peeche the. Naye saal ke pehla din kaal bann ke aaya tha un sabhi ke liye jo mehnat aur pyaar ki jagah Shadyantra aur taqat ke guroor me andhe ho chuke the. Pariwar ki taqat ka jo najara Shankar-Umed-Narinder ne dikhaya tha usko dekhne wale koyi zinda na rahe the, wo raajneta bhi nahi jinko gumaan tha.

Phir bhi kuch mujrim bach he gaye the, jinka suraag Rameshwar ji ka wo khaas dost na laga paya tha case se hatne ki wajah se. Bas sone ka ek kangan jo kisi mahila ka tha Ajju ke kate hue hath me. Rameshwar ji ne woh kangan kuch soch kar ek bakse me band kar diya tha bajaye us agyaat ko pakadne ke. Waqt ka prahaar kuch aisa hua tha ke Raghubir Singh ne apne dharam-bhai ko chhod kar sabse kinara kar liya tha. Umed ne bhi jald vivah karte hue sab jimmewariyan apne kandho par le li thi, haveli se Ajju ki har yaad dafan karte hue.

Sombir Singh ki haveli se bhi Kaushalya devi ne sashart sandhi ki thi, Chandro devi baagdor apne hath me le aur Sheela Devi ko yaha se rukhsat kiya jaye. Kuch log naraaj bhi hue the is sandhi se. Badi bahu Sushila apne maayke chali gayi thi aur sabse chhoti Bindiya ne kuch aur he fainsle liye the, jo bas uske seene me dafan the aur Narinder wajah tha. Mohar Singh ekmatra vyakti tha jo zinda bacha, 1 saal karawas ki wajah se. Sitara devi ne duhai dete hue Rameshwar ji ke paanv pakad liye the apne bache eklaute bete ki zindagi ko bakhsne ke liye. Apni doodh-moohi bachiyon ke sar se maa ka saya khatam karke Mohar Singh bhi 14 saal ke liye wapis andar chala gaya tha, Shankar ne itna pratadit jo kar diya tha usko.
.
.
1998

Raat ke kisi pehar Vinni Tara aur Alka ke sath dhero baatein karne ke baad araam se wahi so gayi thi unke sath. Komal didi bhi aaj upar wale pichle hisse me, hamesha band rehne wale kamre me Ritu ke sath soyi thi. Baatein yaha bhi hui thi lekin wo ladkiyon wali swabhavik baaton se kuch alag he the. Rupali ne jaha aaj Aarti ke sath Komal didi wale kamre me he sona behtar samjha tha wahi Madhuri-Priyanka unke bagal wale kamre me hamesha ki tarah thodi masti majaak ke baad araam se so gayi thi. Takriban 12 baje Shankar ji laut kar aaye the, aaj ghar ke he kaam se bahar the toh maa ki daant toh padne ka sawaal he na tha.

"Ye yaha so raha hai?", Pichle ek hafte me teesri baar woh raat me apni patni ke darwaje khade hue the.

"Haan, wo kabhi kabhi jab der tak baatein karta hai toh yahi so jata hai. Aapka khana lagati hu main.", Rekha ji ki tabiyat ab bilkul thik thi. Arjun kisi chhote bache se ghutne maude viprit disha me soya hua tha jiski peeth ke tarah 2 takiye lagate hue Rekha ji kamre se bahar aa gayi, darwaja wapis lagati hui. Shankar ji hath-mooh dho kar table par baithe toh unhe paani dene ke baad Rekha ji ne khana parosa. Komal ne sabse baad me apne papa ka khana tyaar kiya tha unke phone aane par.

"Wo bada ho raha hai, ab toh usko ye aadat nahi honi chahiye.", Roti ka niwala todte hue unhone saamne wali kursi par he Rekha ko baithne ka ishara kiya.

"Haan, wo shayad 8 mahine ka tha tabhi bada ho gaya tha.", Rekha ji ne shaadi ke itne saalo baad ye aisa jawaab pehli baar diya tha. Ek pal ko Shankar ji ko bhi ye baat chubhi lekin galat baat toh nahi kahi thi unki biwi ne.

"Tab halat kuch aur thi Rekha. Krishna ko jarurat thi us bache ki lekin ab woh 18 paar kar chuka hai.", Shankar ji plate ki taraf dekhte hue he bol rahe the.

"Krishna ke liye toh maine aisa nahi kaha. Baat ek maa aur bete ki hai ji. Wo 8 mahine ka tha tab dur hua tha aur aaj 18 ka hone par bhi woh khudko wahi samajhta hai. Lekin usko ye nahi pata ke itne saal gaye kaha. Ek saal Komal usko seene lagaye sulati rahi phir ye jimmewari Ritu-Alka par aa gayi aur aage toh usko akele he sona pada us chhoti umar me. Maa ke pas raha he kab woh?", Samandar si shaant Rekha ji ke shabdo me behad narmi thi, viyog ke sath sath.

"Baat vartmaan ki ho rahi hai Rekha. Jo us samay uske liye sahi tha wahi kiya gaya, dekhti ho na ke wo kitna samajhdar ho gaya hai."

"Usko samajhdar keh kar aap khud ko atcha pita sabit kar rahe hai. Aur ye galat bhi nahi hai kahi se. Main bas atchi maa nahi bann paayi kyonki mere bete ko main kabhi woh saaya na de paayi jo har maa deti hai. Neend me wo aaj bhi darta hai, uske mooh se aaj bhi soye hue waqt maa nikal jata hai. Kitne he saal ye wo akele jhelta raha hoga. Wo kami toh poori nahi kar sakti lekin is samajhdar ladke ko kabhi kabhi ehsaas karwa sakti hu ke woh akela nahi hai.", Rekha ji ne plate me ek aur roti rakhte hue apni baat ko khatam kiya.

"Jo bhi hua us waqt halaat aise he the Rekha. Ye ziddi bhi tha aur beshak gussel bhi. Agar samay rehte ye sab nahi kiya jata toh natija kuch aur he hota. Aaj woh ek behtar naujawaan hai. Maa-papa ne us par itni mehnat ki hai, sahi shiksha di hai aur sabse badhkar usko akele ko he waaris banaya hai. Tumhari mamta apni jagah hai aur ek jiwan ko sudhar kar behtar banana us se kahi jaruri. Tumne bhi is ghar ka poora khayal rakha jo tumhe atchi bahu aur maa sabit karta hai.", Shankar ji ke paas seedha jawaab na tha lekin apni biwi ka bolna unhe thes pahucha gaya tha.

"Ji. Main usko utha kar bol deti hu, wo apne kamre me sone chala jaayega.", Rekha ji ke chehre par koi khaas bhaav naa tha. Unhone ek pal bhi ye na dikhaya ke unhe kitna bura laga tha apne pati ki is baat ka.

"Rehne do abhi. Wo so raha hai toh aaj sone do lekin usko samjha dena ke is kamre me uske mata-pita sote hai.", Shankar ji ne teesri roti ka niwala todte hue apni biwi ko abhi ke liye mana kar diya.

"Ji keh dungi."

"Tumhe iske baare me pata hai ye kya karta hai, kaha jata hai ya kaun dost hai iske? Maa ho toh ye sab pata he hoga.", Shankar ji jaise kisi aur he dhun me ja rahe the.

"Ye seedha samajhdar he ho gaya aur ye sab mere saamne toh nahi hua. Ek saal me iske jo dost hai woh mujhe pata hai. Jaha jaata hai aur jo bhi karta hai uske baare me sabse jyada toh maa ji ko pata hai. Yaha mere he pas kayi kayi din baad aata hai toh iski mujhe behtar jaankari nahi hai.", Rekha ji ka jawaab waisa he tha jaisa Shankar ji chahte the.

"Phir tum iska poora dhyaan kaise rakhti ho? Ye sab tumhe behtar pata hona chahiye.", Shankar ji ki ye muskaan jaise ek tanz tha apni biwi ke prati.

"Haan. Yahi toh baat mujhe khalti hai. Main atchi maa nahi bann paayi iski.", Rekha ji uth kar rasoi me chali gayi thi apne pati ke liye doodh garam karne ke liye. Wahi Shankar ji ke pas ab aur koyi aisa sawaal na tha jis se woh apni biwi se behas kar sake. Pehli baar Rekha ne saamne se sawaal kiya tha aur ye katai ganwara na hua Shankar ji ko. Lekin ekaek sab dhyaan me aaya toh aakhiri niwala wapis thaali me rakh diya.

Wo khud apni maa ke pas abhi tak sote rehte the jis par kabhi unke pita ne aapatti na jatai thi. Sabse jyada ziddi aur gussel hone ke bawjood wahi maa ke ladle the jinhe Kaushalya ji ne khud kabhi apne se dur na kiya tha. Unke pita, wo toh jyada kuch kehte bhi na the beshak kaisi bhi galti ho. Unka bachpan atulniya tha jaha dhero dost, shararte, mauj-masti thi. Kya wo khud ye sab apne bete ko de paaye? Kya Rekha ke sath nyaye kiya? Wo kyo atchi maa nahi hai jo aaj bhi apne bache ke liye itni aas rakhti hai. Apne aap par he sharmindgi ka bojh badhne laga toh ghutan si hone lagi thi Shankar ji ko.

"Ji doodh. Aapne kaha sona hai, main bister tayaar kar deti hu.", Rekha ji ne hamesha wale bhaav se kaha.

"Dekho Rekha, mera irada tumhe thes pahuchane ka bilkul nahi tha. Kisi aur baat ki wajah se maine ye galat baat shuru kar di thi. Wo jaha sona chahe waha so sakta hai, main kuch nahi kahunga. Main abse baithak me soya karunga.", Shankar ji ne doodh gilas hath me le kar khade hote hue kaha. Rekha ji apne pati ke itni jaldi palat jaane par thoda hairan thi, chehre par sthir bhaav ke sath.

"Mere sath Ritu, Komal, Rupali bhi sote hai. Aapne ek Arjun ko he chuna, wo koyi bhi baat thi lekin judi Arjun se he thi.", Shankar ji ke kadam wahi rukk gaye the.

"Haan wo baat us se judi hai lekin koyi gambhir baat nahi hai. Bas usko thoda samjhao ke wo bacha hai aur waise he mahol me rahe."

"Wo bada hai aur samajhdar bhi. Aapne he kaha tha abhi. Aapne jo bhi baat kehni ho wo spasht kaha kijiye, khaastaur par Arjun se judi hui baat."

"Tumhe nahi lagta ke hadd par kar rahi ho tum Rekha? Wo bhi apne pati ke sath.", Shankar ji ka ye kehna shayad khud ke eham par lagi thes ka natija tha.

"Ji maine sirf aapki he baat dohrai hai. Aapko lagta hai ke isme koyi hadd par hui hai toh main maafi chahti hu. Fir bhi ye jarur kahungi ki mere bacho ka mujh par adhikar hai. Maine aapki beti se koyi farak nahi kiya aur aap toh hum dono ke bete ko alag kar rahe hai. Ye hadd kaun par kar raha hai?", Sara eham ek he pal me chaknachoor karke rakh diya tha Rekha ji ne sirf ek shabd me. 'Aapki beti'

"Wo.. wo baat.. us baat ka tumse koyi sarokar nahi hai."

"Mera bhi yahi jawaab hai ji. Mere bache hai aur mere sath he rahenge, chaaro ek samaan.", Is baar Shankar ji ko ehsaas hua tha ke Rekha ne khud unki beti ke sath itna apnapan dikhaya tha, maloom hote hue. Aur woh bematlab kheench-taan kar rahe the.

"Sorry. Tumhe jo thik lage woh karo. Aur Richa ke sath atche bartaav ke liye dhanyawaad. Main aur koyi baat nahi karna chahta.", Shankar ji ko yahi behtar laga kyonki unki biwi ne apna bada dil dikha diya tha. Narajgi jaayaj thi kyonki ye baat Shankar ji ne kabhi na bataai thi aur ulta wahi apne bete ko dosh de rahe the. Biwi ko uksa rahe the. Ek jawaab ne unhe najre milane laayak na chhoda.

"Vartmaan aur bhavishya ko thik kiya ja sakta hai. Ateet sirf sawaal aur sahi-galat se bhara milega. Shubhratri.", Rekha ji ne jaate hue vinamrata se apne pati se vida li aur sabhi bartan saaf karne ke baad apne kamre me chali aayi. Jaha unka beta bade araam se nischint soya hua tha.

"tu he mere jeene ki wajah hai beta. Aur teri maa hamesha tera dhyaan rakhegi, phir saamne jo bhi ho.", Peeche se takiye hata kar usko baahon me leti hui Rekha ji kuch der bete ke baare me sochti rahi aur thode samay baad he neend ke aagosh me chali gayi.
 

Enigma

Well-Known Member
4,125
57,656
173
Lajawab story
Very nice update
Waiting for next
FABULOUS UPDATE BHAI ??
Superb update bhai......!
Enigma SIR,

LAZAWAB UPDATE

AB 1973 UPDATE PURA HOGA TABHI KUCH BAAT BANEGI !!!
बंधुवर आज की कड़ी में हमारे लिए मात्र अर्जुन सिंह जी का बलिदान ही महत्व रखता है,जो अपने स्वर्णिम भविष्य को ताक पे रख कर अपनों के लिए न्यौछावर हो गए।
धन्यवाद ???????
Bhai Enigma bhai ne shayad Muskaan (4th girlfriend) ki baat ki h
yaar kayii vaar ta Enne naam Te enni family da padh ke confusion ho jaanda.. Pandit ji di family Te raghubir di family(udam de dad) de baare ta pata... Hun is update toh sombir Singh Te onna de 2 munde... Fateh Te Sundi bare v pataa lag gayaa but onna da 1 hor bro hai na I mean guddi da gharvaala odda ki naam hai Te rammehar Singh de 1 munda bhawani Singh c right...

enigma Bro oh Kehda update c... Jidde vich Pandit je te goli challi c Te fir shankar Te inder NE saareya Nu maarya c..
Awesome lajawab update bhai
Bind blowing bro kya ajj raat me ek aur mile ga ham log lalchi ho gaye hain
Waiting bro
Kash ye 50% 100%me badal jaye :DD:
Besabri se Intzarr rahega
Matlab pori update arjun Singh py hogi ???
eee bhai arjun ke lene pe tule ho ke. Ab toh komal ka naya kand kar diye.
Enigma sir ji mene update kabhi nahi maga kyo ki aap apne hisab se update de te ho uski lambai bahut hoti he jisko likhne me aap ke 8 se 10 ghante chale jate he sir khud ka kam bhi hota he aap ka kal ka laghu update bhi 6 ghante ki mehanat he is liye update ka khud dekho thanks
Sir ap na jo ise last update main 1974 ka raza dekhya bht he dard he bahar hua hai. arjun singh ise ka sath kya hua kesy hua plzzz ho ska to jaldi un ka likha de. Dil bht he zayda bechain hogya hai last update ka bad ab arha nai jata itne acha insan ka sath itne bura kesy or kyun hua waiting Arjun Singh ka update ka liye. Thanks alot sir. Khush rhe sada. Apna khyal rkhna sir.
Update page number 953 par post kiya hai dosto. Aage kahani saral rahegi. Stay blessed and happy. Goodnight
 
Status
Not open for further replies.
Top