• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Parivaar aur Pyaar

Jaguaar

Prime
17,679
60,240
244
बढ़िया अपडेट।

तो अब एक राजदार और हो गया।

बढ़िया है, लगता है आगे आप ऋषि और माहिरा की लव स्टोरी भी दिखाएंगे। फिलहाल तो हम आर्यन और मेघा वाली का ही शुरू होने का इंतजार कर रहे हैं।
Thank you
 
  • Like
Reactions: parkas and Riky007

Jaguaar

Prime
17,679
60,240
244
Update 16
Shalini – Hogayi shanti.

Mahira – Jab tak mujhe mere sawaalo ka jawab nhi milta tab tak nhi.

Shalini – Tumhe sabhi sawaalo ke jawaab jald milenge.

Mahira – Aapko sabkuch pata hai naaa. Phir kyo nhi bataya.

Shalini – Hai kuch reasons. Aur ab issbaare mein koi baate nhi hongi. Naa ghar mein aur naa bahar mein. Kisi ko bhi iss baare mein kuch nhi pata chalna chahiye.

Mahira bina kuch bole waha se chali jaati hai.

Aryan – I am sorry. Meri wajah se....

Shalini – Tumhe maafi maangne ki jarurat nhi hai. Yeh toh achha hua tumhari baate Mahira ne suni agar iski jagah koi aur hota toh problem hojaati. Bas aage se dhyaan rakhna.

Aryan – Jiii.

Phir Aryan bhi waha se chala jaata hai.

Idher Mahira apne kamre mein aake aaj jo kuch bhi hua uske baare mein sochne lagti hai. Usse kuch samaj nhi aaraha tha ke aisa kyo horaha hai. Aakhir yeh sab kisliye horaha hai. Woh jitna soch rahi thi utna uska sir ghum raha thaaa.

Thodi der baad dinner ka time hojaata hai toh sab dining table mein baith ke dinner kar rahe the. Sabki nazar apne apne plate mein thi. Par Mahira ki nazare Aryan ko hi ghuree jaa rahi thi jo Aryan ko saaf samaj aaraha tha par woh usse ignore karke apne khaane mein hi busy rehta hai.

Dinner ke baad sab apne apne kamre mein chale jaate hai par Mahira sidha Aryan ke kamre mein aake sofa mein baith jaati hai aur apna mobile use karne lagti hai.

Aryan – Yaha kyaa kar rahi ho.

Mahira – Baithi hu. Dikhai nhi de raha.

Aryan – Woh toh mujhe dikh raha hai. Par iss waqt yaha kyo baithi ho.

Mahira – Meri marzi. Mera jaha mann karega main waha baithungi.

Aryan Mahira ki baat sunke chidh jaata hai par woh kuch kar nhi paata.

Aryan – Tum niklo yaha se. Mujhe sona hai.

Mahira uski baat ko sunke bhi ansuna kar deti hai aur baithe baithe mobile chalane lagti hai.

Thodi der waise hi baithe rehne ke baad Mahira dekhti hai Aryan bed mein baithe baithe hi so raha hai.

Mahira – Achha suno. Mujhe Rishi se milna hai.

Aryan uski yeh baat sunke chauk jaata hai.

Aryan – Kyaaa bola tumne.

Mahira – Mujhe Rishi se milna hai.

Aryan – Usse kyo milna hai tumhe. Usse tumhara kyaa lena dena.

Mahira – Mujhe usse milna hai matlab milna hai.

Aryan – Nhi hosakta.

Mahira – Kyo nhi hosakta.

Aryan – Meri marzi.

Mahira – Mujhe tumhari marzi se koi lena dena nhi hai. Maine jo boldiya so boldiya. Mujhe Rishi se milna hai matlab milna hai.

Aryan – Nhi hosakta.

Mahira – Mujhe naa sunne ki aadat nhi hai. Maine jo bola hai wih karo. Warnaaaaa.

Aryan – Warnaaa. Kyaaaa. Haaa warnaa. Tum mujhe dhamka rahi ho.

Mahira – Abhi toh sirf dhamka rahi hu. Agar meri baat nhi maane toh dekh lena main kyaa karungi.

Aryan – Kyaa karogi.

Mahira – Tumhara jeena mushkil kardungi. Tum jaha se aaye ho naa wahi wapas jaane pe majbur kardungi.

Aryan – Dekhte hai.

Mahira – Dekh lenaa. Yeh bol Mahira waha se nikal jaati hai.

Aryan bas Mahira ko jaate hue dekhte rehta hai aur uski kahi hui baat ko utha seriously nahi leta. Par woh nhi jaanta tha uske jeevan mein ab kis tarah ka toofan aane wala thaa

Woh Mahira ki baat ko ignore karke aaram se sone chala jaata hai. Agle din woh gehre neend mein so raha tha tabhi woh sapne mein dekhta hai ke woh ek tsunami mein dubb raha hai aur woh chikh ke uth jaata hai.

Apne hosh ko sambhalne ke baad woh saamne dekhta hai toh usse Mahira haathon mein balti liye khadi milti hai. Usse uss waqt kuch samaj nhi aaya phir usse kuch gila gila sa mehsus hota hai aur jab woh khud ko dekhta hai toh sab samaj aajata hai.

Aryan – Tumm kyaaa pagal ho. Subah subah aisa kaun karta hai.

Mahira – Meri marzi main jo bhi karu. Agar meri baat nhi maani toh har din ki suruaat aise hi hogi. Yeh bol balti mein jo paani bacha hua tha woh bhi uske upar udhel ke nikal jaati hai.

Aryan bechara thaga sa wahi baitha reh jaata hai aur usse jaate hue dekhne lagta hai.

Kuch der baad sablog dining table pe breakfast ke liye baithe hue the. Sabka dhyaan apne khaane pe thaa par raat ki tarah issbaar bhi Mahira Aryan ko hi ghuree jaa rahi thi.

Shalini – Mahira. Kyaa baat hai. Kuch pareshani hai.

Mahira – Nhi mummy koi pareshani nhi hai.

Shalini – Hmm thikk hai. Breakfast ke baad mujhse mere kamre mein aake milo. Kuch baat karni hai.

Mahira – Jiiii. Yeh bol woh khaane lagti hai aur mann mein sochti hai. Kahi isne meri complain toh nhi kardi Mummy se. Agar isne aisa kiya naa toh chorungi nhi main isse.

Kuch der baad sabka khaana hojaata hai aur sab apne apne kaam mein nikal jaate hai aur Mahira Shalini ke kamre mein chali jaati hai.

Shalini – Mahira ab bolo kyaa problem hai.

Mahira – Mujhe koi problem nhi hai mummy.

Shalini – Achhaaaaa.

Mahira – Nazre churate hue. Kyaa kisi ne aapse kuch kaha hai kyaa.

Shalini – Mujhe kisi ne kuch nhi bataya hai. Aur main tumhe achhe se jaanti hu. Tumhare mann mein aur dimaag mein kyaa chal raha hai. Innsab baaton ka andaaza hai mujhe. Main kal raat se sab dekh rahi hu. Ab sach sach batao kyaa problem hai.

Mahira – Koi problem nhi hai mummy.

Shalini – Dekho beta abhi jo kuch bhi ho raha hai uske baare mein batane ka sahi waqt abhi nhi aaya hai. Mujhe pata hai tumhe jo pata chala hai uske baad tumhare mann mein bahot se sawaal hai par thoda wait karo tumhe tumhare saare sawaalon ke jawaab mil jaayenge.

Mahira – Thikk hai.

Phir Mahira waha se chali jaati hai.

Idher Suraj ke kahe mutabik uss ladke ko jab police ne pakda tha tabse hi woh ACP ke nazaro mein aagaya tha. ACP ko uss ladke pe shakk hogya tha ke kahi na kahi yeh wohi ladka hai jisne usse saari information di hai.

Isiliye ACP khud uss ladke pe nazre rakhe hue tha aur ek saaye ki tarah uska pichha bhi kar raha thaa jiska pata uss ladke ko bhi thaa. Aise hi ek din ACP uska pichha kar raha tha ke achanak woh ladka uski nazaro se gayab hojaata hai.

ACP uss ladke ko idher udher dekhta hai par woh kahi nhi milta tabhi ACP ke kandhe pe koi haath rakhta hai. ACP jab uss insaan ko dekhta hai toh hairaan hojaata hai kyoki haath uss ladke nhi rakha hua thaa.

Ladka – Kyaa baat hai ACP sahab. Dekh raha hu kuch dino se aap mera pichha kar rahe ho. Kuch baat karni hai aapko.

ACP – Kaun ho tum.

Ladka – Main kaun hu yeh jaanke aap kyaa karenge. Waise aapne bataya nhi aap mera pichha kyo kar rahe thee.

ACP – Woh tum hi ho naa jisne mujhse phone mein baat ki thi. Uss Ranjeet ko barbaad karne waale.

Ladka – Kyaa ACP sahab phir se wahi baat. Maine kaha tha naa usse maine nhi uske Karmo ne usse barbaad kiya hai. Main toh bas ek zariya hu.

ACP – Aur uss Suraj Verma ko bhi tumne hi maara thaa naaa.

Ladka – Kyaa baat karte hai aap ACP sahab. Aapke hi department ne mujhe pakda tha aur bekasoor release bhi kiya thaa. Aur main kyo usse marne jaungaa.

ACP – Mrs. Shalini Singh Rajput ke liye.

Ladka – Hasta huaa. Inse mera kyaa lena dena.

ACP – Yeh toh mujhe tum hi bataoge.

Ladka – Kamaal karte hai aap ACP sahab. Jab mera inse koi lena dena hi nhi hai toh main kyo unke liye kisi ko maarunga. Waise ek baat bolu ACP sahab. Aap galat jagah apna dimaag laga rahe hai.

ACP – Dimaag toh mera sahi jagah lag raha hai. Mujhe pata hai Ranjeet ko barbaad karne mein aur Suraj ko maarne mein tumhara hi haath hai. Bas ek baar mujhe tumhare khilaaf koi saboot mil jaaye.

Ladka kuch nhi bolta bas hasta hua waha se jaane lagta hai.
 

Riky007

उड़ते पंछी का ठिकाना, मेरा न कोई जहां...
13,943
28,978
244
एसीपी को किस गधे ने एसीपी बना दिया, खुद ही सब करने चला जाता है??
 
  • Like
Reactions: Jaguaar
Top