- 3,335
- 4,477
- 144
Mast update hai bhaiUpdate 86
Aryan jab sana se baat kar raha tha toh vicky sab sun raha tha aur muskra raha tha tabhi aryan apna phone rakhta hai
Aryan- apko kis baat par hasi hai aa rahi Vicky bhaiya aur kya jan se dekh raha hun mere sar par charkar naach rahe ho
Vicky- kuch nhi bas aise hi tum dono ki baatien sunkar hasi aa gyi lipistic launde
Aryan- dekho pehle toh mujhe yeh ghatiya naam se mat bulao aur apko thodi si bhi tamiz hai are privacy naam ki bhi koi chiz hoti hai
Vicky - thik hai bhai gussa kyo karta hai waise mukesh bhai baat suniyo
Mukesh - han bolo bhaiya
Vicky- dekho Mukesh gazab ki baat hai humne suna tha ki shadi ke baad saala sab romance khatam ho jaata hai par hamare launde ka toh shadi ke baad asli Romance shuru huya hai
Mukesh - ek dum sahi
Aryan- ate ab bas karo jab se dekho mere piche pade ho
Vicky - are piche toh bhai teri biwi padi hai aur mein toh soch raha hun isko jaldi ghar bhej du kahi isne dusre gaal par bhi lipstick lagani hogi
Aryan- personal mat ho yaar
Mukesh - han personal mat ho vicky bhaiya personal toh iske sath iski biwi hogi
Aryan- tum bhi mukesh bhai
Vicky - waise mein toh soch raha hun is sale lipistic launde ki kismat kitni achhi hai iski biwi abhi naraj hai toh gaal par chuma de deti hai agar soch khush ho toh kya karti hogi bechare ke sath
Mukesh - sahi baat hai
Aryan- kya sahi baat hai dekho bahut ho gya ab mein ghar chala jaunga
Vicky - kya hua raha nhi jaata
Mukesh - lgta hai jaldi hi bahut hai bhabhi se milne ki bechare ko lagta hai phir kahin lipstick lagwani hogi kyun
Aryan- dekho ab tum dono mujhe gusse dila rahe ho
Vicky - achha be sale agar tujhe gusse aa jayega toh kya ho jayega
Mukesh - are bhai kya hoga ek kiss ho jayega aur kya
Vicky ab hasne lgta hai par aryan dono se tang aakar kaam mein apne earphone laga kar kaam karne lgta hai aur dono ko ignore karta hai
Dusri taraf sana abhi bhi udas hokar apne room mein leti hui thi par aryan ke baad uska mood thoda thik ho gya tha aur woh soch rahi thi ki woh aryan ke sath aaj bahut maze karegi bas aditi un dono ke bich Naa aa jaye par tabhi neha sana ke room mein aakar uspar hi let jaati hai aur sana thodi der jaati hai
Sana- tu tu yahan par kya kar rahi hai yaar tune toh dara hi diya
Neha- dekha Mera kamal
Sana- tu mere room mein aayi kaise chal nikal ab jaa apni aditi ke gale lag mere paas kyun aayi hai
Neha- dekho bhabhi mein pehle keh du ki ab tum bahut rude ho gyi ho aur kya ho gya ki mein uske gale lag gyi are woh hamari guest hai toh itna toh bnta tha na
Sana- nhi ji tum kuch zyada hi kar rahi thi
Neha- achha thik hai chalo ab gussa chorro na meri pyar bhabhi
Neha ab sana ko kas ke gale laga leti hai
Sana- hath mat laga mujhe jan dekho chipak hi jaati hai mujhe chorr neha
Neha- tumko toh mein kabhi nhi chorrungi meri pyari bhabhi
Sana- aey pagal dekh mujhe gussa mat dila
Neha - are ek toh tumko bahut hi gussa aata hun itne pyar se aaye hain tumko manane ahe tum abhi bhi nakhra karti ho pta nhi Mera bhai tumko kaise jhelta hai
Sana- achha tera bhai hmm woh toh khush kismat hai ki uski shadi mujhse huyi hai nhi toh kon puchta usko upar se mein tere bhai ko jhelti hun sath mein tujhe bhi
Neha- thik hai ji par yeh gussa thuk do ab please aur tum tension mat lo yeh aditi ko toh aryan kabhi fasa hi nhi payega
Kahan yeh aur kahan woh
Sana- aey tere kehne ka kya matlab dekh mere pati ke baare mein faltu mat bol are tumko nhi pta handsome hai woh
Neha - han han bilkul dekha hai kitna handsome are gali ki auntiya bhi isko bau nhi deti
Sana- chal kuch bhi mat bol aryan dikhne mein thik thak hai par uski body dekhi hai tune hai nhi ek dum kamal ki
Neha- achha toh tum uski body par madti ho
Sana - han par tu nikal idhar se tere se toh mein koi baat nhi karungi
Neha ab sana ko gaal par ek kiss karti hai
Neha- chorro bas karo ab mein tumhari nanad tum meri nhi thodi toh ijjat rakho meri tumne mujhe nagin tak bol diya phir bhi mein tumhare paas aayi hun yaar itni zid kyun karti ho .
Sana - chorr mujhe tum log mujhe hurt karte ho hamesha aur jab us kamini ne mujhe aunty kaha toh tu bhi toh has rahi thi
Neha- are tum serious kyo ho jaati ho mein ab tumse hasi mazak bhi nhi kar sakti
Sana ab chup kar jaati hai aur koi jawab nhi deti .
Neha- tum na bhabhi bematlab ka stress le rahi ho thik hai mera bhai tumko bahut pyar karta hai tum kya us Aditi ke chakkar mein udas ho rahi ho .
Sana- par woh bahut hot hai yaar
Neha- are tum bhi toh hot tumhe pta nhi kaise mera bhai tumko dekh kar pagla gya tha par tumhari problem pta kya hai tum tab bhi gussa kar rahi thi aur ab bhi gussa karti ho
Sana- toh mein kya karu jab Tera bhai mujhe dekhne aaya toh kaise tharkiyon ki tarah dekh raha tha are yaar thodi toh decency dikha deta mujhe upar se koi baat bhi nhi ki mere sath suhagrat ko sidha main kaam chalu kya admi hai phir jab mein isko pyar karne lagi toh jhuth or jhuth
Neha- thik hai na manti hun iski galti hai par ab toh aisa nhi hai suno uske sath thoda sa gussa kam karo woh sach mein tumhari care karta hai
Sana- pta hai
Neha- achha tumhe ek baat btau hina ji ne kya kiya
Sana- kya
Neha- jab tumne aryan ko gall par kiss kiya na toh tumhari lipstick ka nishan aryan ke gaal par lag gya par hina di ne usko nhi btaya aur aise hi woh nikal gya kaam par
Sana ab has deti hai
Sana- kya sach mein ohh teri ki bechara kitna embarassed ho gya sab ke samne yeh hina bhi na badi Kamini hai
Sana- kya khabar sunayi yaar tune
Neha- woh hi toh par ab mere ko btao ki tumhara jhagda khatam kab hoga
Sana- khatam ho gya hai aur mein ab usse naraj nhi hun par abhi bhi thodi akad toh dikhani bnti hai ke nhi
Neha- nhi
Sana- par kyun
Neha- kyunki subah tumne bahut baatein sunayi hai usko bas karo na ab aayega toh pyar se baat karna uske sath
Sana - thik hai waise uska phone aaya tha
Neha- kya kaha usne
Sana- bola ki kahi aaj sham ko ghumne chalte hai pehle toh maine thode nakhre dikhaye phir mein bhi Maan gyi ab hum dono jaa rahe hai sham ko bahar
Neha- are wah suno kya pehnogi sham ko bahar Jaane ke liye
Sana- woh hi toh samjh nhi aa raha hai tu bta na
Neha- Saree pehan Lena yeh tumko dekh kar ek dum pigal jayega aur isko thodi si apni adhaye bhi dikhate rehna phir toh yeh gya
Sana- superb advice di hai tu ne
Neha- achha ek baat btao jab pehli baar jab tum mere baat soyi thi toh
Sana ab thodi hesitate karti hai aur usko thoda awkward bhi feel hota hai
Sana- toh kya
Neha- toh tumne enjoy kiya tha
Sana- dekh neha ab tu zyada khul rahi hai thik hai agar aise boli na toh ek thapad padega
Neha- achha agar tum mujhe thapar marogi na toh mera bhai tumhari marega
Sana - ohh kash Teri baat sach ho uske sath bahut maza aata hai
Neha- achha
Sana- hmm tu puch mat ek min tu kya bakwas kar rahi hai hatt besharam kahin ki chal nikal idhar se
Neha- are par pehle toh tum khud bta Rahi thi
Sana- are woh toh flow flow mein nikal gya chal nikal idhar se baat karne ki tamiz nhi hai bado se kaise baat karte hai
Neha- dekho ab drama bnd karo tum hi boli thi pehle
Sana - han thik hai mein hi boli thi par ab jaa yahan se
Neha- thik hai ok bye
Sana- waise jaa kahan rahi hai
Neha- kachori khane chalogi
Sana- are kyun nhi meri darling sath mein chalte hai ruk mein abhi thode kapde sahi kar leti hun
Sana aur neha ab bahar chale jaate hai aur bas aryan bhi ghar par aane hi wala tha

Ab dekhta hai kya hog jab Aryan Ghar aayega maja aayega aane wale updates mai
