• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest My Life @Jindgi Ek Safar Begana ( Action , Romance , Thriller , Adult) (Completed)

This story is...........


  • Total voters
    90

Iron Man

Try and fail. But never give up trying
37,641
94,874
304
Bhai hinglish ma likho
Bhai hinglish me likh to duga pr shayd story slow ho jayegi
Daily update nhi de pau hinglish
Dosto esi hinglish me likhu ya hindi me hi chale du
Aap comment krke btaye
Uske bad tay krte hai
 
Last edited:
  • Like
Reactions: DEVILWANTED

Iron Man

Try and fail. But never give up trying
37,641
94,874
304
Kya is story me magic bhi hai?
Yh story me action deshbkhti jung sb milega magic nhi h pr story kafi achhi h a hi hero college me jane lgege to kafi achhi lgegi
 

Iron Man

Try and fail. But never give up trying
37,641
94,874
304
Update(1 to 6)

Ye kahani hai pashchimi uttar paradesh ke ek gaon ki jiski 60 ke dasak mein kul abaadi hogi lagbhag 2000-2500, jismein 1/3 brahamin, 1/4 thakur, baaki ke lagbhag sabhi anya jaatiya rahti thi.

Krishi ke mamale mein ye ilaka poore desh mein uttam tha, ganga-yamuna ke doab ke iss ilake mein aisi koi fasal nahi thi jo na ugai jati ho,

mukhya roop se yahaan ki sinchai ka sadhan ganga nadi ki nehar thi, iss gaon ke purv mein lagabhag 800 meter door ek badi nehar thi aur pachim mein bhi lagbhag 1 km door ek chhoti nehar thi,

kul milakar iss ilake mein fasalon ki sichai ke liye paryapt matra mein neharon dwara ganga ka paani uplabdh tha, sabhi ko saman roop se unke jameenon ke maap ke hisaab se.

Issi gaon mein ek khush-haal brahman sanyukt pariwar tha, jinke paas bharpoor matra mein jameen thi, inki jyadatar jameen chhoti wali nehar se lagi hui thi.
achha khasa bahut bada sa ek ghar tha jismen chaar bhaiyon ka bharpoora pariwar sanykt roop se rahta tha. charon bhaiyon ke hisaab se hi ghar char hisson mein bana hua tha ...

Ghar bilkul gaon ke paschimi chhor pe hai, ghar ke theek peechhe se hi lagbhag 8-10 acre jameen isi pariwar ki hai.

Jaisa ki pahle bhi bataya jaa chuka hai, ki iss pariwar ki khaiti 3 mukhya jagahon par hai, jismen se ek ye ghar ke pichhwade wali hai
ARUN SHARMA KE PARIWAR KA PARICHAY….

1) Sabse bade bhai…. Ram kishan: inke char bete aur ek sabse badi beti thi, patni ka dehant sabse chhote bete ke janm se kuchh saalon baad hi ho gaya tha. Dhrutrashtra kism ke pita apne beton ka hamesha aankh band karke pachh lete they jiski vajah se bin maa ke bachche biagad gaye aur manmani karne lage, natija pariwar mein kalah hone lagi.

Sabse badi beti jo iss pure pariwar mein sabhi bhai bahanon mein sabse badi thi, jiski umra shayad apne sabse chhote chacha ke barabar rahi hogi, apne sasural mein chain se rah rahi hai.

Bada beta bhoore lal, double MA paas, gaon se kuchh 25-30km door ek collage mein padhata hai. sadi-suda hai, iske bhi char bete hain.

Dusra beta Jimi pal primary teacher tha, lekin saadi ke kuchh samay baad hi usi ke sathiyon ne uski hatya kar di thi, karan batane layak nahi hai. ab uski bewa hai bas, koi bachcha nahi ho paya tha.

Teesra beta Chet ram, ye bhi primary teacher hai, bahut hi kanjoos kism ka insan, iski bhi sadi ho chuki hai aur char bachche- 2 bete, aur 2 betiyan hain.

Chautha beta Ajay pal - police mein hai, ye apne dono bhaiyon se ek dum bhinn hai iski bhi sadi ho gayi hai aur 2 bete aur 1 beti hai. shahar mein shift ho chuka hai.
……………………………………………………………………………….

2) Doosre Bhai… Janki lal Sharma : lambe-chude kad kaanthi ke vyakti, bade hi sajjan aur saral pravrati ke malik, paropkari itne ki chahe khud ke bachche apni jaruraton ke liye rote rahen, lekin agar koi gaon ka garib inke darwaje pe aagaya to usko khali haath nahi janedenge.

aisa lagta tha jaise inhen iss yug mein paida karke bhagwan ne koi galti kardi ho.

Janki lal shuruati 50 ke dasak mein, apne gaon ke sabse jyada padhe-likhe vyakti they. Padhai ke turant baad hi inko adhyapak ki naukari mil gayi, isliye inka pet naam hi panditji pad gaya tha. Sabhi budhe-bachche inko issi naam se sambodhit karte they, lekin kuchh hi samay baad unhone wo naukari chhod di aur anya bhaiyon ke sath kheti wadi mein lag gaye.

Uttam dimag ke malik Janki Lal itne tej the ki 10th-12th ke math ke sawal ungliyon pe gadna karke hi hal kar dete they.

Inke bhi char bete aur do betiyaan hain,

do bade bete- Roshan lal, aur Brij lal, uske baad do betiyan- malti aur falguni, dono sadi-suda hain aur apne-apne pariwaron mein sukhi aur sampan Jeevan vyateet kar rahin hain. uske baad do chhote bete- Shyam Bihari aur Arun.

Chunki iss kahani ka mukhya patra Arun hai isliye ussi se sambandhit patron par charcha bhi swabhavik hai jyada hi hogi.

Dono bade bhai, Roshan lal aur Brij lal apni-apni shiksha purn karke ache padon par hain, alag-alag shahron mein bas chuke hain. Bade bhai gov collage mein lecturer hain, to dusare agriculture univ mein professor hai.

Bade bhai ke 3 bete hain, Jinmen sabse bada beta to Arun se matra 8 mahine hi chhota hai aur civil engg se diploma karke railway mein job karta hai.
Vaki donon bhi ache job kar rahe hain..

Dusre bhai ke donon bete bhi set hain, ek 5 star hotal mein manager hai, to dusra desh ki bahut badi electronic co. mein manager hai. dono sadi suda hain.

Arun ke teesare bhai Shyamji- inke bhi 3 bachche hain, 2 bete aur ek beti. aajkal dono bete job kar rahe hain, beti graduation kar chuki hai, sadi kisi ki nahi hui hai abhitak.

Arun chunki iss kahani ka mukhya patra hai, isliye uske aaj ke baare mein hum kahani ke uss padav tak pahuchne par hi charcha karenge to hi uchit hoga….
3) Ab number aata hai Arun ke chacha no 1 Ram Singh ji ka, Lambe tagde Ram singh ji apne sabhi bhaiyon mein tagde they, naam ke mutavik ye vastav mein hi singh they, apni jawani mein inke dar se inke sathiyon ki gaand fatati thi. Anpad hote hue bhi court-kachahri aur anya bahri vavasthon ke kamon mein dakchh they.

Janki Lal aur Ram Singh Jeevan pariyant tak ek sath milkar hi rahe, lekin in dono bhaiyon ki mrtuparant, inke pariwar alag-alag hue.

Arun ke liye Ram Singh ji vakai mein chacha no.1 they, kyonki usko nidar aur sahasi banane mein inka bahut bada yogdaan raha tha.

Inke 3 bete aur ek chhoti beti, bade dono bhai school teacher aur teesare bhai hariyana mein agriculture officer hain. teenon ke pariwar ache se set hain. beti bhi sadi suda hai aur apne pariwar ke sath sukhi Jeevan vyatit kar rahi hai.

4) Iss pariwar ke sabse chhote bhai aur Arun ke chacha no.2 ..Raman lal, bachapan se hi wangadu kism ke they, lekin kismat ke dhani,

inki sadi ek aisi ladki se hui, jiske pita ko uske alawa aur koi aulad nahi thi, aur lagbhag 100 bigha jammen thi unki, fir kya tha ban gaye ghar jamai,

halki fulki kad kanthi ke 55 kilo vajani Raman chacha apni quintle bhar ki Shivpyari ke satha ho gaye set apni sasural mein, aur apne mukhya pariwar se kat se gaye. Isliye aage inka koi role iss kahani mein nahi hoga. Lagabhag….

to ye tha iss bhare-poore pariwar ka parichay… buaon ka iss kahani mein koi jyada mahatva nahi hai..agar kuchh aaya bhi to samay aur ghatna ke hisab se bua no. 1,2,3 aur 4 hongi.

Vaki anya kahani mein samay samay par jo naam aayenge… wo unke mahatav ke hisab se parichit karaye jayenge…


Yahaan Chacha Ram Singh ke pariwar ka parichay karana bahut jaruri hai, kyonki unke Charon bachchon ka Arun ke shuruati jeevan mein bada hi mahatavapurn yogdan raha…

Inke sabse bade bete Premchand, school teacher, ye Arun ke sabse bade bhai Roshan lalji se takriban 4-5 saal aur Tau ke bade bete bhoore lal se 3 saal chhote hain.

Lambe aur ikahare badan ke premchand (masterji) ka vivah apne gaon se kareeb 20km door dusare gaon ke school teacher ki beti se hua…

Lambe kad ki kamini Bhabhi, ek dum gori chitti lekin bhai saab se thodi bhari bharakam, shuruaati samay mein unko mota to nahi kaha ja sakta tha par apne patidev se tagadi dikhti thi, swbhav ki tej, apne ghar mein sabko control karne ki ichha rakhne wali aurat thi, aur apni saas ke mradul aur shant swabhav ke karan ye sambhav bhi ho gaya,

Chunki, apne ghar ke bade bete ki bahu hone ke karan malkin ban baithi, yahaan tak ki unki saasu maa, yani ki Arun ki chachi bhi unse darne lagi..

Chacha ke dusare bete: Megh Singh, medium height, lekin pahad jaisa majboot sharir, mehanti itne ki koi bhi majdoor khaiti ke kaamon mein inki kabhi barabari nahi kar paya.

Ramayan, mahabharat, geeta, jaise sabhi granthon ka adhayayan niymit roop se karna inka shauk tha, issi karan inka naam Swami hi pad gaya.

Ye bhi bagal ke gaon ke school mein teacher the, jiski vajah se dono hi kaam ache se sambhal lete they. Saral swabhav lekin agar gussa aa jaye to kisi bade-se-bade adhikari ka inki dahaad se moot nikal jaye.

Inki patni kamla rani, aha..hhaaa…. Kya hushn tha, halki si sawali, ikahare badan ki malkin, swabhav…. kisase upma den ? kyonki gai (cow) bhi kabhi-kabhi marne ko aati hai… unko apne jivan mein kisi ne kabhi gussa hote nahi dekha,

apni hitlar jethani ke saamne to ye kabhi bhool ke bhi nahi padti thi, sirf apni saasu maa ke paas hi jyadatar samay rahti.

Inki ek badi beti, aur chhota beta, bete ko janm deke 6 mahine ke baad hi bhagwan ko pyari ho gai, shayad unki achchhai bhagwan ko bhi achhi lagi hogi.

Chacha ke tisare bete aur Arun ke sanrakshak cum Sakha, Yashpal Sharmaji, ye MScAg karke Hariyana ke ek chhote se shahar mein Agriculture officer hain, hamesha field work rahta hai inka, yathasambhav kisanon ki madad karte rahte hain, achhi khasi salary hai.

Inki sadi, apne gaon ke najdik ke town se hui, ye Bhabhi bhi apni badi jethani ki tarah lambi-chaudi hain, lekin nature ek-dum opposite, wo purav to ye paschim.

Yashpal ji ke teen betiyon ke baad ek beta hai, to swabhavik hai, sabka ladla hi hoga, lekin bigdel nahi.

Chacha ki beti Ninu apne tinon bhaiyon se chhoti hai, sabhi usko bahut pyar karte hain, labma kad ikhara sharir, thodi si sawali lekin sundar dikhti hai, umra mein ye Arun se 4 ya 5 saal aur Shayam bhai se 1 saal badi hai.

To ye tha Arun ke chacha ki family ka parichay,…

Dosto…. Jyada bore to nahi ho rahe, soch rahe hoge kya ye poori barat ka bahi khata leke baith gaya…

khair mein ab aur jyada bore nahi krunga, yahaan se kahani ab Arun Sharma ki jubani chalegi…

………………………………………………………………………………..

Mein bhoori ko vida karke, tubewell ke kamre mein charpai par leta hua kafi der tak sochon mein dooba raha, samay bhi bahut ho gaya tha, dopahar ke karib 2 baj rahe the,

Subah se kuchh khaya bhi nahi tha, pet mein choohe daud laga rahe they, ghar jaane ka mood nahi tha, maine socha aisa hi kuchh khake kaam chala leta hoon,

Bahar jaake ganne ke khait se do tagde se ganne tode aur khane laga, do ganne khake kuchh aram mila, fir saamne wale khait mein sabjiyaan lagi thi, to chalo dekhte hain ismen kuchh khane layak hoga hi.

Sabjiyon ke khait mein gobhi, tamatar, kakdi, gajar ye sab thi, shuru se hi kachhi sabjiyan khane ki adat thi, so thoda-thoda sabmein se tode-todke wo khali, mera pet itna to bhar hi gaya ki mujhe ab ghar jaane ki jarurat nahi lagi.
2-3 ghante, jo kaam pada tha wo niptaya, tab tak sham ke 5 baj gaye, shardiyon ke din they, to sham jaldi bhi ho jaati hai. power bhi chali gai thi to pump ke chalne ka koi sawal hi nahi tha, mene kamre ko lock kiya aur ghar ki taraf chal diya.

Ghar pahuncha to aur kisi ko to meri parwah hi nahi thi, lekin maa ka dil, chillane lagi jore-jore se…

Kahaan tha sare din…. Khana khane bhi nahi aaya, mene kaha mein tubewell par hi tha, aur kisi ko agar meri parwah hoti to khabar leta meri, kuchh nahi to khana hi bhijwadete,

Maa boli… yahan teri koi fikar karne wala nahi hai, sab ko apna-apna dikhta hai, tujhe apni khud fikar karni chahiye, ab khana khale bhukha hoga, subah se kuchh nahi khaya.

Mene kaha… nahi mene khaiton se thoda-thoda kuchh khaliya hai, mein abhi aata hoon 1-2 ghante mein tab kha lunga, itna bol ke bahar nikal gaya aur pahunch gaya apne adde pe mandir ke pichhe wale room mein.

Yahaan to mehfil jami hui thi, unmen koi shahar se charas leke aya tha, chilam mein dalke sutte lag rahe they, mene bhi 2-3 sutte kas ke lagaye, dimag ek dum jhund ho gaya….bole to maza aagaya. Iss tarah do-teen round aur chale, sabki aankhen nase ke vajah se surhk ho rahi thi.

ek -dedh ghante baad ghar aaya aur chup-chap maa se khana liya, khaya, dibbe mein 1 liter doodh aur 50gm ghee, boore ke sath dala aur chal diya apne khaiton ki ore latake dibbe ko. Aaj ek desi egg lena bhool gaya tha, ye uske roz ka routine tha itna…..

Ghee wala hlaka garma-garam dood fenta mara, chada liya aur tan ke chadar let gaya charpai par, aur koshish karne laga sone ki, lekin need aankhon se koson door thi…. aaj na jaane rah-rah kar subah bhaiyon ke sath hue kalah ko lekar uska mann kuchh ashant sa tha…


Hinglish me purane update post kr diye gye h
Ab dono language me daily sham me ek update duga
Mera thread nhi h friends support kre
Waiting for your response
 
Last edited:

Iron Man

Try and fail. But never give up trying
37,641
94,874
304
Bhai hinglish ma likho zyada log parhe ga zyada tar logon ko hindi nhi ati
Update posted in hinglish
Abhi thread new support kre
Thanks
 

Iron Man

Try and fail. But never give up trying
37,641
94,874
304
Update 7
Der raat tak pada-pada sochta raha apni beeti jindagi ke baare mein, jise uske sage pita aur bhaiyon ne to kabhi samajha hi nahi, lekin dusron ne kabhi bhulaya nahi uski achhaiyon ko…

Dimag mein uske janm se sambandhit baaten, jo uski maa aur anya gharwalon se pata chali thi, ghoomne lagi ki kin visham paristhitiyon mein uska janam hua tha….? aur kyon…?
Roshan bhaiya jab 12th standard mein the tabhi unki sadi kar di gayi, us vakt Shayam bhaiya ki umra kareeb 1 saal thi,

bete ki sadi ke 2 saal baad maa fir se garbhwati ho gayi, ye baat jab unhone apne pati ko batai to sanskaari Janki lal dukhi ho gaye….

Ye theek nahi hua Padma… bahu kya sochegi hamare baare mein, log kahenge ki budhape mein bhi inko chain nahi hai….

Abhi to bahu ke bachche hone wale hain aur saas abhi-bhi bachche paida kar rahi hai…

To ab kya karen ji…. Padmavati pati ki baat se sahamat hote hue boli…

Ek kaam karo, tum garam cheejen khana shuru kardo, abhi jyada samay nahi hua hai, ho sakta hai garbh-paat ho jaaye…

Theek hai koshish karte hai…

gaon se 35-40 km se pahle koi bada shahar hi nahi tha jahaan uchit doctor ki salah li jaa sake, sabhi log dehati nuskhe ya vaid-hakim ke paas hi ilaj karate they jyadatar,

aur gaon ke vaidh ji bhi Janki Lal ke gaon ke riste ke bade bhai lagte they, lekin sharm ki vajah se unhone unhen bhi puchhna uchit nahi samjha aur jo uchit laga wo salah de di…

Udhar maa apne patidev ki salah dhyan mein rakh kar ulti-seedhi garam cheejen kut-kut ke khane lagi, halanki unhen uska dushprabhav bhi hua, lekin kya kar sakti thi wo.

Din niklte gaye koi natija nahi nikla, ab to ye bhi sambhavna nahi thi ki bachcha jinda bhi hai ya nahi ?

lekin garbh-pat to nahi hua. Lihaja unhone wo sab cheegen khana band kardiya, lekin uska dushprabhav to ho chuka tha..

Sasu ji ke garbhadhan ke lagbhag 4 mahine baad hi bahu ke paav bhi bhari ho gaye, jaise hi ye baat sas-sasur ko pata lagi, wo dono baichain ho gaye, lekin dikhane ke liye khushiyan manani bhi jaruri thi,

majburan apne garbh ki baat bhi maa ko ujagar karni hi padi, aur na chahte hue bhi sabhi logon ko swikaar bhi kar lena pada…

khaskar unke donon bade beton ko bada bura lag raha tha…

Antatah wo samay aa hi gaya jab us un-chahe jeev ko iss darati par ana tha..

Jyeshth (may-june) ka mahina tha subhah ke pone teen ya chaar baje bachche ( arun) ka janm hua, bahut der tak bachche ke muh se koi awaj nahi nikli, bas thodi si sharir mein halchal hui, aur fir band ho gai….

Sharir kya? bas ek pona-ek kilo ka halke peele kathai rang ka bahut hi patla sa jaise ki koi khilona ho aur uspe sharir ke ang sketch kar diye hon bas…

Thodi der tatol-tatal ne ke baad dai ko jab koi pratikriya bachche ki taraf se nahi dikhi, to usne use mrut ghosit kar diya…
 
Last edited:

Iron Man

Try and fail. But never give up trying
37,641
94,874
304
  • Like
Reactions: DEVILWANTED
Top