• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest My Life @Jindgi Ek Safar Begana ( Action , Romance , Thriller , Adult) (Completed)

This story is...........


  • Total voters
    90

Iron Man

Try and fail. But never give up trying
37,604
94,805
304
  • Like
Reactions: Tiger 786

Iron Man

Try and fail. But never give up trying
37,604
94,805
304
Update 23

Kapil ke sath monu, aur mohan ki bike par chintu baitha tha, chunki hamara hostel just opposite side mein tha, hamane city ke bahar ka rasta chuna, jisase city ki street light me bora dekh kar kisi ko shaq na ho.

Hostel se 1km pahle bikes roki aur kapil ko apne pass bulaya,

Me- kapil tum dono bike leke jao hostel aur hum apne thikane pe chalte hain, monu-chintu kuchh puchhein to gol-mol jabab deke samajha dena.

Kapil- konse thikane pe, ..?

Me- Wo tum Jagesh aur Rishabh ke sath aana, unhein pata hai..

Aur haan mere drawer mein ek tool box hai, usmein se metal cutter (kainchi jaisa) hai wo, ek torch aur ek botel paani leke wahin aana fatafat, ab jaldi jao.

Wo charon jab nikal gaye, uske baad bike start ki aur daldi jungle ki or, kachhe ubad khabad raste se hote hue, dhhere-2 hum pahunch gaye apne gupt adde par.

Hamare hostel ke peechhe se hi jungle jaisa shuru ho jaata hai, jise mein pahle hi describe kar chukka hoon,

usi jugle mein takariban ek-dhed km andar jake koi bahut purani imarat jo ab ekdum jarjar khandhar mein tabdil ho chuki thi, uski ek bhi diwar ya chhat sahi salamat nahi bachi thi,

ek din hum charon room mate aise hi bhatakte hue, idhar nikal aaye they, utsuktavas hamne usko thoda bariki se charon or andar-bahar sab jagah ghum fir ke dekha, uske sabse pichhale hisse mein koi bahut bade area me shayad koi assembly ground raha hoga, uske ek side ki diwaar se hamein ek hole jaisa dikhai diya, jo neeche jamin ki or jaa raha tha.

hamane jab aur wahaan se patthar vagairah hataye, to hamari aakhein khuli ki khuli rah gayi, ye koi 5 feet chuada rasta jaisa tha, jiske aage neeche ko jaati hui seediyan najar aayi.

“Athato ghumakkad jigyasa” wali baat, seediyan uatrte gaye hum charon, to koi 15-20 feet neeche jake hum ek hall numa kamre mein they, tamam dhul, makdi ke Jalon se ata pada tha wahan,

Seediyon ke just samane ki diwar mein ek aur gate tha, jo ab sirf patthar ke frame mein rah chukka tha, kiwad uske tut-tutkar latak rahe they.

Jab hum us gate men ghuse to ye ek surang jaisi thi, jo lagbhag 10 feet chaudi aur koi itani hi unchi hoti. Jigayasa vas hum surag ke raste chalte gaye… karib 500-600 meter chalne ke baad surang khatam hui, uske dusare chhor par bhi ek darwaja jaisa hi tha jo pattharon dwara band kiya gaya tha.

Pattharon ko hatane ke baad hum jab bahar nikale, wow !! ye to koi purni nadi rahi hogi, jo ab sirf rasta jaisa rah gaya tha, aur charon or ghane jungle they.

Hamne yahi jagah chuni thi apne shikar ko rakhne ke liye.

Asharaf ko hamane wahin khandahar mein bahar hi patak diya, aur wait karane lage apne doston ka.

D- iska kya karne wala hai tu arun ..?

Me- achar dalenge saale ka aur kya karenge…

D- Mazak nahi yaar…! batana kya karne wala hai tu iske sath…?

Me- dhannu..! tere andar ye bahut galat aadat hai yaar…!

D- kya…,

Me- tu har baat mein yahi kyon bolta ki ab tu kya krega, tu ye kaise karega..vagairh-2.. arey bhai ye mera akele ka kaam thodi na hai, jo me hi karunga.

D – ohh.. sorry yaar… bata na ab hum kya karne wale hain iske saath..?

Me- ye hamein is raste par aage badhane me madad karega..

D- wo kaise… ??

Me- dekhta ja…!
Tab tak Kapil ke sath Jagesh aur rishabh bhi aagaye, torch ke jariye, hum ashraf ko leke neeche hall mein pahunche.

Ashraf abhi tak behos tha, hamne use ek khambe ke sahare biyhaya aur uske hath khambe ke done or se peechhe le jakar apas mein bandh diye, tangon ko aage lamba karke apas mein bandh diya.

Botel se paani leke uske muh par mara, thodi der mein use hosh aa gaya, usne hath pair hilane ki koshish ki lakein kamayabi nahi mili, fir usne hum logon ko dhayan se dekha, aur bola-

kon ho tum log ? aur mujhe yahan kyon laye ho..? kya chahte ho mujhase..?
me- arey! arey! Asharaf miyaan…. Sans to lo yaar !, hamein tum apna dost hi samjho, basarte hamare kuchh sawal hain unka sahi-2 jabab do to.

A- Kya janana chahte ho mujhase…??

Me- ye jo tum drug ka dhanda karte ho wo kahaan se aata hai ? mera matalab tum to paida karte nahi hoge to tumhare pass bhi to kahin se aata hi hoga na..

A- Kya karoge jaan kar..?

Me- hum bhi soch rahe hai, yahi dhanda karne ka.. achhi-khasi kamai hoti hogi ismein kyon..?

A- to iske liye mujhe uthane ki kya jarurat thi..?

Me- hamne socha ekaant mein baith kar shanti se achhi baatein ho jayengi isliye tumhein yahan le aaye, ab hamare dimaag me to yahi tarika aaya so kar liya.

A- to yahan bandh ke kyon rakha hai, doston ke sath aisa bartav kiya jata hai ?

Me- arey wo to bas aise hi, hamane socha pata nahi tum hamein dekhte hi bhadak na jao, aur kuchh ulta pulta ho gaya to, bas isliye…! vaise abhi tak bataya nahi tumane kahaan se mall aata hai tumhare pass..

A – mujhe tum logon ki baat ka bharosa nahi hai, aur vaise bhi me to yahan ka bahut chhota sa dealer hoon, to bas aise hi idhar-udhar se intejam ho jata hai.

Me- lekin tumne monu ko to bataya tha, ki tumhare pass bahut bada stock hai, jitna chahiye milega..!

A- wo to bas aise hi grahak banane ki trick hoti hai..

Me- to iska matalab tum nahi bataoge..! humane socha ki yaari dosti se kaam nikal aaye to achha hai, lekin ab lagta hai ki seedhi ungali se ghee nahi nikalega.

A- kya karna chahte ho..? dekho me tum logon ko bataye deta hoon, aag mein haath mat dalo,varna jal jaoge.

tum log padhne likhne wale bacche lagte ho to apni padhai par dhyan do, in sab jhamelon mein mat pado varna….?

Me- varna kya..?? wohi to janana chahte hain ki varna hai kon ? aur rahi baat padhane ki to wo tum log wo karne hi nahi de rahe ho, drugs ki lat jo laga di hai hum students ko.

A- m.mm..mein kuchh nahi janta, dekho m..mujhe chhod do, me vada karta hoon ye sab dhandhe chhod dunga..ab.

Me- arey wah fir to badi achhi baat hai, hum bhi to yahi chahte hain, tum bhi chhod do aur dusare logon ke naam bata do to unse bhi chudwa dete hain.

A- mein kisi aur ke baare mein kuchh nahi janta..?

Me- pakka ! nahi jaante..? dhannu, wo cutter to dena jara…! dhananjay ne cutter nikal ke diya.,. cutter hath mein lekar usko 2-3 baar kainchi ki tarah uski aankhon ke samne chalaya aur mene uske pair ki ek ungli pakad li aur uski aankhon mein dekhte hue kaha…!

Asharaf miyaan, jante ho ye kya hai ? isase lohe ki sheet bhi aise kat jati hai jaise Darji kapda katata hai. ab ek sawal aur uska jawaab ! na milne par ek ungli.

A – tt..ttumm.. Mazak kar rahey ho.., mere sath aisa nahi kar sakte..!

Me- ab tum hamein sahyog nahi karoge to fir kuchh to karna padega na ! Ab jaldi bolo… kahan se milta hai tumhein mall.

Asharaf ke dimag me pata nahi kya chal raha tha, shayad wo soch raha tha ye kal ke launde padne likhne wale aisa kuchh nahi kar sakte, khali-peeli dhamki de rahey honge.. so chup raha,

Mene fir use puchha to uski mundi na me hili…! Aur fir “khachak”…ek ungali shahid ho gayi uski…aur uske gale se ek dil dahlane wali cheekh uss tahkhane jaise hall mein goojne lagi.

Wo fati aankhon se hay-tauba machete huy mujhe ghur raha tha…! me bola ab bolo… ya dusari ka number loon, aur itna bolke mene uske ek hath ki ungli ko pakad liya..

A- batata hoon !!! please aur kuchh mat karna mujhe.. aur wo tote ki tarah shuru ho gaya,

Is shahar ka main dealer hakim lukka hai, bahut hi khatarnak hai wo, yaha ke bade-bade netao se uske ache sambandh hain, aisa koi thana nahi hai shahar mein jahaan uske yahan se commission na jata ho.

Me- good, ab ye batao, tumhare pass wo police wala aaya tha, uska kya naam hai, kya ohda hai, konse thane ka hai, aur kon-kon hain uske sath.
Usne bataya ki wo hamare ilake ke thane me sub inspector hai, us thane ka incharge aur uske sath jo do constable aaye they wo bhi hissedar hain.

Aur kon-kon dealer hain is shahar mein.. mene agla swal kiya, usne wo bhi bata diya..

Usne un dealron ke bhi naam aur pate bata
diye, by luck asharaf hamein aisa mohra mil gaya tha jiski seedhe taur par Hakim Lukka se dealing hoti thi aur chhote-mote dealer uske dwara hi deal karte they, shahar mein kon-kon thaana, konsa police wala mila hua tha.

Saare detail leke use paani pilya, aur use wahin bandha chhod kar hum chalne lage, to wo mimiyate hue bola..

Dekho jo tumne puchha wo sab mene bata diya ab to mujhe chhod do..

Me- chhod denge payare, hamein konsa tumhara achar dalna hai? bas kuchh urgent kaam niptake milte hain ek chhote se break ke baad… ok. Don’t worry !!

Asharaf ko wahin bandha chhod kar hum hostel laut aaye, room mein jaane se pehle, mene dhananjay ko sath liya aur baki ko room mein bhej diya, hum dodno principle ke ghar pahunche jo ki campus mein hi tha.

Raat ke Karib 10 baj chuke they, hamein itni raat gaye, apne ghar dekh kar wo bole—

Kyon bhai, itni raat gaye kaise aana hua ? kya karte fir rahe ho tum log..?

Me- ab sir okhali mein sar rakh hi diya hai, to musal to jhelne hi padenge.

P- thahaka lagate hue…. Aisa kya hua.. batao bhi..?
Mene unhein sari ghatana detail mein batai, to wo ekdum shock ho gaye.. aur bole…

P- to fir ab agala kadam kya hoga tumhara.. ??

Me- sir ab aage aapka kaam hai, SP aur uske upar ke adhiakiyon ki is mamle mein position kya hai ye pata lagana hoga.

P- hum.m.. sahi kahte ho kahin upar ke log bhi mile hue na hon..? kyonki jis tarah se political log mile huye hain, fir to kuchh bhi ho sakta hai..?

Unhone turant SP ka personal phone lagaya.. thodi der bell jane ke baad ek janana awaj aayi…

Hello.. kon..?,

P—SP saab hain, me NEC ka principle singh bol raha hoon..!
Thodi der shanti rahi fir line par SP ki awaj sunai di..

SP- hello principle saab good evening… kaise yaad kiya..?

P- SP saab, drugs wale mamle mein aapki rai janani thi..! kyonki hamein pata laga hai ki ye hamare hi college tak seemit nahi hai, aur college bhi isase affected hain, infact pura shahar iss jahar ki chapet hai, lekin apke prashasan ki taraf se koi karyawahi abtak dikhi nahi..!

SP- principle saab I am really very sorry, lekin aap to jante hi hain, ki mein akela to kuchh nahi kar sakta, karne wale to thanon ke incharge aur unke neeche ka staff hi hota hai, unse report li thi, lekin usmein kuchh serious laga nahi, vaise apke college wale case se is Vishay par commissioner saab bhi chinta vyakt kar chuke hain.

P- kya really aap aur commissioner saab is mudde ko solve karna chahte hain ?

SP- kya baat kar rahe hain sir aap ? kya apko humari neeyat par koi shak hai..?

P- to fir aap commissioner saab ke sath hamara appointment fix kariye, aur ye jitna jaldi ho utna achha hai.

SP- theek hai sir, mein aapko jaldi hi batata hoon, shayad abhi..! aur line kat gayi.

Me- aapko kya lagta hai sir..?

P- SP ki baton se to lagta hai, ki upar ke log asamarth hain, aur baat bhi sahi lagi unki ki karne wale to neeche ke hi adhikari aur unka staff hai, wo to unki report par hi action le sakte hain.

Hum is tarah ki discussion kar hi rahe they ki koi 15-20 min mein hi SP ka phone aa gaya, hamari samajh mein aagaya ki unhone is mamale ko seriously liya hai.
Phone uthate hi SP ne bataya ki unki baat commissioner saab se ho chuki hai, unhone bhi chinta jatate hue meeting ka samay de diya hai, ab hamein kal subah 10 baje unke office pahunchna hai.

Hum principle saab ko good night bolke hostel aa gaye, mess mein khana khaya aur bistar pe let gaye, thakan ki vajah se jaldi neend aa gayi.

Subah me aur principle sir unki jeep se commissioner office pahunche, SP wahan pahle se maujud they.

Commissioner ke samne principle ne mera parichay diya, mujhe dekhkar wo bade khush hue, aur hath milaya.

Baitho aap log, aur batao kya situation hai..? commissioner saab bole.

P- sir ye sab arun hi bataye to jyada uchit hoga.
Commissioner ne meri or dekha aur bolne ka ishara kiya..humm..

Mene unhein sari details naamon ke sath di, wo kuchh chintit ho gaye, kuchh der shanti chhai rahi.. fir SP ki taraf rukh karke bole..

C- SP , kya kahna chahoge is mamle me, dekho pahle hi hum samaaj sewiyon ki vajah se pressure mein hain, media bhi peechhe laga hai, ab agar iss mamle mein bhi kuchh nahi kiya, to jawab dena mushkil ho jayega.

SP kuchh bol hi nahi paye, kuchh der intezar karne ke mene kaha- sir me kuchh kahoon..?
C- haan-haan bolo kya kahana chahate ho..?

Me- sir police ka aap dekho, gundon se hum nipatat lete hain.

C- itana asan nahi hai young man..! wo gunde bahut powerful hain, unke pas men power, money power, poltical power sab kuchh hai.. kar paoge unka mukabala..?

Hamare mehkame ne kai baar hakim lukka par hath dalne ki koshish ki hai, lekin na to koi thos sabot mila aur upar se political pressure aur jhelna pada so alag.

Me- uska karan bhi aapki police hi hai sir, jin logon ko aapne karywahi ke liye bheja hoga, wo ya to usase pahale se hi mile honge ya usane kharid liya hoga.
Aur rahi baat pawer ki, to sir hamare pass sacchai ki power hai, desh ke liye kuchh kar gujarne ke jajbe ki power hai, aap police ko sambhalo, hamare beech mein na aaye, jahaan ek baar ye mamla sadak pe aagaya, neta bhi apni saakh bachane ke chakkar mein muh chhipake baith jayenge ek kone mein chhip kar.

Commissinor muh baye meri taraf dekhne lage…! kahin tum chandrashekhar azad ka punerjanm to nahi ho..? wo bole..to principle aur SP thahaka lagaye bina nahi rah sake unki baat sunkar..

Me- muskarate huye..! nahi sir me us divyatma ke pairon ki dhool ke barabar bhi nahi hoon, haan ek jajba jarur hai kuchh achha karne ka.

C- dekho bacche, hum tumse sahamat hain, aur iski ijaajat bhi de sakte hain, parantu ye mamla sadkon tak na pahuche to hum sabke liye achha rahega.

Me- nahi pahunchega sir..! lekin usase pahle jitney crupt polcewale ismein involve hain, unhein aapko side line karna hoga.

C- SP, shahar ke sabhi thanon ki list nikalo, aap khud control room se force lekar unpar dabish do, jo naam arun ne bataye hain un sabhi harami pulasiyon ke khilaf action lo aur second line ko temparary charge dedo, baad mein update kar lenge.

SP- yes sir, aaj sham 4 baje tak report aapke table par hogi..!

C- good.. , to arun ab bolo tumhara kya plan hai..?

Me- sir meri report kal subah ke news paper ke jariye aap tak pahunch jayegi…!

C- chonkte huye…! kya matalab..? kya karne wale ho..?

Me- abhi sir me kuchh nahi kah sakta.., apne doston ke sath plan bana ke hi kuchh final karunga..

haan itna kah sakta hoon, ki hakim lukka kal ya to eshwarpuri pahunch chukka hoga ya mentle hospital mein.

Teeno adhikari gehri nazaron se meri or dekhte rah gaye, me apni seat se uth khada hua… aur principle se bola.. chalein sir.

Principle jaise neend se jage.. aann.. haan chalo, chalte hain.

Me- ruk kar..! Ek minute !, SP saab ek favoure karenge..? wo bole- haan bolo..

Me- mujhe 8 un authorized guns chahiye ! milengi..? me vada karta hoon vapas kar dunga..

Wo bole- nahi-2 iski koi jarurat nahi hai, lekin unka bhavishya mein galat istemal na ho…bas.

Me- promise sir..! galat istemal galat log karte hain, aur viswas kariye, hum mein se koi bhi galat nahi hai.

C- hamein tum par pura bharosa hai my boy, aur fakr bhi. Tum jaise agar 5-10% log bhi is samaj mein hon to iss tarah ki buraiyan panap hi na sakein, kyon principle saab mein sahi kah raha hoon na..

P- bilkul sach kaha sir aapne, is ladke ne hamare college ko barbad hone bachaya hi nahi, apitu naam roshan kiya hai.. pura campus iska kafi dinon tak abhari rahega, aur shayad ye shahar bhi.

SP office se gun leke hum nikal pade campus ki or..

Raaste mein mene principle saab se jeep use karne ki permission mangi, to unhone free of hand kuchh bhi assets use karne ki anumati mujhe dedi.
Principle saab apne office chale gaye, me apne class room me chala gaya, wahan se apne doston ko pakda, fir dusre charon ko bulwaya aur sabhi hostel mein aagaye.

Me- be serious dosto, ab mein jo kehne jaaraha hoon, wo shayad aap logon ko pasand na ho, lekin ab peechhe mudne ka chance nahi raha, ab sirf aage hi badha ja sakta hai.

Mujhe pata hai ki hum agar apni purn iccha Shakti ka upyog karen to hum 8 jane 20 logon ke barabar hain, aur yahi confidance hamein aaj dikhana hai, mene apne drawer se 8 khukri (Katar) myan ke sath nikali aur sabko 1-1 pakdadi,

Fir 8 moneky cap nikaale wo bhi baant diye..

Mere plan ke mutabik, vaise to hamein in khukriyon ki shayad hi jarurat pade, fir bhi agar use karni pade, to aap log mauke ke hisaab se khulkar use kar sakte ho… dhyan rahe, jarurat pade to.

Ab hamein jaldi se lunch leke nikalna hai, ho sakta hai ab hum der raat ya kal subah hi laut paayen.

Sabhi log mere muh ki taraf hi dekhe jaa rahe they mano me koi ajuba hoon ya dusare gruh ka prani..

Fir bhi kapil se raha nahi gaya, to wo bola- Arun vaise to hum sab vachan baddh hain, tumhare kandhe se kandha milakar chalne ke liye, fir bhi mein chahta hoon ki jo bhi hamein aaj ke din mein karna hai, use ek baar detail discussion karlein to kaisa rahey..

Bilkul ! aur ye baat mujhe tumse expected thi, dhyaan se suno, hamare pass 4 addon ke address hain, un charon se hamein mukhya apradhi ko uthana hai, mujhe nahi lagta ki is kaam mein hum mein se 4 se jyada logon ki jarurat pade.

Thodi sa samay ke hisab se trick lagake kaam kiya jaye to do group mein, do-do ke hisaab se ye kaam shanti purvak 5-6 baje tak nipat sakta hai.

Police ki hamein parwaah karne ki jarurt nahi hai, logon ko sirf tamashe se matalab hai, jaisa hum sab jante hain public ke baare mein.

Rohan – police ki parwaah kyon nahi hai..?

Me- police kahin bhi kisi mauke par hum logon ko nahi milegi, aur agar by chance koi ek-aadh mil bhi jaye, to use bolna SP se baat karo.. bas.

Aaj sham 4 baje se pehle-2 saare crupt pulasiye SP office mein remand par pahunch chuke honge, ye sab secrate plan hai jo shayad shuru bhi ho gaya hoga.

Sabhi ek sath—kya…??? Kya bol raha hai yarrr… sach mein…?

Me- smile ke sath.. haan.. bilkul sach..!

Un charon mukhya badmasho ko 5 baje tak hamein apne gupt thikane tak pahuchana hi hoga kisi bhi surat mein,

Fir hamne luch liya aur 4-4 ke do group banaye, 1st group-Dhananjay, sagar, Mohan, Jagesh.

IInd group- Kapil, Rohan, Rishabh aur Arun.

Uske baad apne-2 shikaar baant kar hum nikal liye...,
campus mein do Mahindra jeep thi, dono ki chabi office se li,
aur group wise chal diye alag-alag dishaon mein
 

Iron Man

Try and fail. But never give up trying
37,604
94,805
304

Iron Man

Try and fail. But never give up trying
37,604
94,805
304
Last edited:
  • Like
Reactions: Tiger 786

Iron Man

Try and fail. But never give up trying
37,604
94,805
304
  • Like
Reactions: John Cena
Top