• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest My Life @Jindgi Ek Safar Begana ( Action , Romance , Thriller , Adult) (Completed)

This story is...........


  • Total voters
    90

Iron Man

Try and fail. But never give up trying
37,640
94,866
304
  • Like
Reactions: Tiger 786

Iron Man

Try and fail. But never give up trying
37,640
94,866
304
  • Like
Reactions: Tiger 786

Iron Man

Try and fail. But never give up trying
37,640
94,866
304
Update 21

Ek mahine baad final exam shuru ho gaye, sab usmein busy ho gaye..

Ek saal kaise beet gaya, pata hi nahi chala, kuchh khatti-meethi yadon ke beech kahna padega ...it was not bad.

is ek saal ke college ke anubhav ne mere self confidance ko aur badha diya tha, bachpan se chacha ke sath beete mere dino ki vajah se jo dileri aa chuki thi, wo aaj kargar siddh ho rahi thi.

exam gujar gaya, LY wale chale gaye, hum SY mein aa gaye, naye admission shuru hue, raging ki pratha fir ek baar shuru hui, mere doston ne bhi kaha, ki yaar chalo kisi ki raging karte hain, mene mana kardiya, ki dekho bhai, mein koi aisa kaam nahi karana chahta jisase kisi ko kasht ho.

LY students jo drug addict ho gaye they, wo college chhodne se pahle persionally milke gaye, aur mujhe unhone sacche mann se thanks kaha aur accept kiya ki aaj jo unhen degree mili hai, wo meri vajah se hai, varna kya pata wo exam de bhi paate ya nahi, aur dete bhi to kaise?

Un char ladkon ko mene committee membership to di, lekin unka naam gupt rakha aur unhen secrately kaam karne ke liye kaha, jisase information nikalne mein jyada mushkil pesh na aaye.

Classes start ho chuki thi, sab apni-2 study me busy ho gaye.

udhar har hafte rinki ka letter mujhe milta rahta tha, wo intermediate kar chuki thi aur koshish mein thi ki uske papa, aage bhi padhne ki permission de dein.

Is beech, kuchh bahri asmajik tatwa campus mein ghusne ki koshish karte rahte they apne dhandhe ko aage campus mein failane ke liye, chunki hamari team satark thi to unhen chance nahi mil paa raha tha,

Fir bhi darr to rahta hi tha, ki kabhi na kabhi ye fir panpenge aur bacchon ke bhavishya se khilwad karenge. Iska koi parmanant solution to dhudana hi padega.

Mene is babat principle sir se mulakat ki, aur unko request ki agar aap police ka back-up support agar dila sakein to iss samasya ka samadhan nikalne ki koshish ki jaa sakti hai.

Unke sambandh shahar ke SP se ache they, unhone unse milne ke liye request ki, to unhone hamein milne ka samay de diya.

Mein principle ke sath SP office pahuncha, aur unhein is samsya ke nidan ke liye baat ki.

Profl- SP saab, aapko to gyat hi hoga, beete saal hamare college mein ek drug dealing ka case pakda tha, jismein 8 student en mauke par pakde gaye they dealing karte hue..

SP- haan sir mujhe pata hai, aur un aathon par abhi bhi case chal raha hai.

Prof- unko range hathon pakdwane ka shrey, is bacche aur iske 3 anya sathiyon par jata hai..

SP -prashansa bhari nazron se mujhe dekhte hue bole- well did young man.. kya naam hai tumhara…

Me- sir ! Arun…

Profl- tabse leke aaj tak, bahri drug dealers ne kai baar koshish ki hai ghusne ki, lekin arun jaise hamare kuchh aur bhi students hain, jo in cheejon par nazar rakhe hue hain, aur unhen nakam karte rahe hain.

Lekin kab tak,,? Isliye hum chahte hain, ki is burai ka koi sthayi hal khoja jaye, aur is shahar ko bhi isase mukti mil sake. Iske liye arun ke pass ek yojna hai, lekin wo tabhi kargar ho sakti hai, jab usmein police ka support ho.

SP- sure sir hamara mehkama aapki har sambhav madad karega, infact hum bhi is burai ka ant chahte hain. batao arun tumhari kya yojna hai ?

Mene apni yojna unhein samjhai, aur apne 8 naam unhen likh ke diye aur kaha, ki agar in naamon mein se kisi ko bhi police ki jab bhi madad lage unhein turant mile.

Hum SP ke office aur unka personal phone number leke college laut aaye,

Ab mujhe laga ki agar is burai se logon ko nijat dilani hai, to maidan me bina kude ye sambhav nahi hai, ye bhi sambhavna thi ki shayad isme police ke kuchh adhikari bhi shamil hon.

Hostel aakar mene apne committee members ko bulaya, aur unse slah-mashvira karne laga..

Updated SASS members:
active members :- (SY) - Arun, Dhananjay, Rishabh, Jagesh
secrat members :- (LY)- Sagar, Mohan, (TY)- Rohan, Kapil.

Me- doston ab samay aa gaya hai drug mafia ko is shahar se ukhad fenkane ka, jisase na rahega baans, aur na bajegi bansuri.

Ye lo shahar SP ka office aur ghar ka phone number, jab bhi kabhi tum logon ko police ki help ki jarurat lage, turant phone kar sakte ho, hum sabhi ke naam unke office mein hain, aur apna naam batate hi wo har sambhav madad karenge.

Ab dhyan se suno, kal se hi hamein jaldi subah 5 baje uthke gym mein pahunchana hai, aur yatha sambhav jitni jaldi ho sake apne ko is kabil kar lena hai, ki koi bhi tumhen halke me lene ki galti na kar sake.

Sharirk majbuti hamein apne kaam mein safalta dilayegi. Ek hafte baad hum fighting ki practice shuru karenge.

Ek mahine ke baad hum is par action shuru kar denge, kisi ko ismein koi kuchh dikkat lage to abhi bata do.

Sabhi ladke meri shakl is taraf dekh rahe they maano mein koi ajuba hoon.

Jagesh – par yaar arun, hum apne campus par to focus rakhe hue hi hain, fir ye sabse hamara kya matalv? aur humein padhai bhi to karni hoti hai, to in sab baton ke liye samay kahan se milega.

Me- kitne ghante padhai karta hai Jagesh..? 2-4 ya aur jyada. Me teri baat se sahamat hoon ki hum apne campus mein focus rakhe huye hi hain, lekin kab tak? kal ko hamein yahan se jana hoga, uske baad..?

Rohan – to kya jindagi bhar ka hamne koi theka le rakha hai,..?

Mohan – aur in sab chakkron mein padne se hum gundon se seedha-2 panga le rahey hain yaar, hamari jaan ko bhi khatra ho sakta hai aise to.

Me- aur kisi ko kuchh kehna hai is bare mein..?

Thodi der shanti chhai rahi jab kisi ki koi aur pratikriya nahi mili to me bola.

Dekho bhai ! tumhein lagta hai ki ye sab kaam mein kuchh pane ke lalach me, ya mera koi nihit swarth siddh ho raha ho uske liye kar raha hoon, to aisa bilkul nahi hai.

Drug addiction ek samajik burai hai, jo hamare samaj ko sharirk aur arthik dono hi drishti se khokhla kar raha hai, kuchh mutthi bhar log apne swarth purti ke liye ise samaj mein faila rahey hain, lekin ache log aankh band kiye baithe hain, koi iske khilaf kuchh karna hi nahi chahta hai.

Hum logon ne ek chhote se prayas se is burai ko kisi had tak apne college se ukhad fenka hai, jiska natija hum sabke samne hai, is saal ke result ke roop mein.

Socho ab agar hum aur thodi si koshish karen to is shahar ko bhi is burai se mukti dila sakte hain.

Rahi baat gundon se panga lene ki, to agar wo bure kaam ke liye apni jaan ka risk le sakte hain, to kya hum ek ache kaam ke liye risk nahi le sakte ?

Vaise bhi chor ke paav kitne hote hain dost ? ek baar ukhde, to unhen khadedne me jyada waqt nahi lagega.

Socho agar is kaam mein hamein safalta mil jati hai, to hamara hi nahi hamare college ka naam bhi swrnim aksharon me likha jayega, is shahar ke itihas mein.

Aur na jaane kitni hi maaon ki duyaein milengi hamein.

Is chhoti si jindagi me agar kuchh achha karke jaayein to uparwale ke yahaan bhi seena chauda karke jaa sakte hain.

Mere bhai, jindagi to kutte-billi bhi jite hain, lekin sher ke jeene ka andaj hi nirala hota hai.

Mein to bhai gumnami ki jindagi jee nahi sakta, aur mene faisla kar liya hai, ki jahaan tak mere bas mein hoga mein is burai ke khilaf ladta rahunga, ab agar jisko mere sath aana hai, most welcome, aur nahi aana hai to bhi welcome.

Kabir ne kaha hai “Jo ghar funke aapno chale Hamare sath”

bas mujhe aap logon se itna hi kehna hai ki “jillat ki jindagi se izzat ka ek pal hazar baar behtar”

jisko mere sath aana hai, wo subah dot 5 baje gym me mile, itna bol kar mein kamre se bahar nikal gaya, aur peechhe chhod gaya ek gahan sannata.

Dinner ke baad hum apne kamre mein aagaye, mene is Vishay par apni taraf se fir koi baat nahi ki thi, me thodi der apni book leke study karne mein laga tha, ki dhananjay mere pass aake baith gaya.

Mene swaliya nazaron se uski ore dekha.. usne mere hath par apna hath rakh diya aur meri aankhon mein jhankte hue bola..

Dhananjay – arun tu kya hai..?

Me – matalab…? Ye kaisa sawal hai…?

D- itni unchi soch matra 19 saal ke ek sadharan se ladke ki to ho nahi sakti na yaar !!

Hamari baton ko sunkar Rishabh aur Jagesh bhi hamare pass aakar baith gaye..

R- tere jaisa kaleja har kisi ka nahi hai dost !

Mein un logon ki ore dekh kar muskarate hue jagesh se bola…

Jagesh ! sach batana, tune kya soch kar workshop me us laude ko jabab diya tha ki tameez se baat kar..jabki wo 8-8 jane they, aur tu akela...bol kahan se aayi itni daring tujhmein.

J – kya baat karta hai yaar tu bhi…? Me akela kahan tha, tum log bhi to they mere sath..

Me- tujhe kaise laga ki hum tere fate mein taang adayenge..?

J- jhenpte hue… he he he…ab tu meri khinchai kar raha hai, hai na !

Me- nahi me seriously puchh raha hoon, tujhe kaise laga ki hum tere sath hain…

Jagesh- tune hi to kaha tha ki tere rahte hum logon ko koi chhu bhi nahi sakta... to itna to bharosa tha tum logon par mujhe..

Me- humm.. iska matalab tujhe meri baat par bharosa tha…

J- bilkul ! Aur kyon na ho ! tu yaaron ka yaar hai arun ! itna to mein samajh chukka hoon tujhe is ek saal mein.

Me- to fir ab wo bharosa kahaan chala gaya tera..? jo tune sham ko bola tha usase to nahi lagta ki tu mujh par aankh band karke bharosa karta hai..?

D- wo apne college ke andar ka mamla tha bhai, ab jo hum karne ki soch rahe hain wo ek tarah se bahri taqton se seedhi takkar lene jaisa hai, aur wo kitne taqatwar hain hamein ye bhi nahi pata.


Kahani jaari hai.....
story read karke apne amulya sujhav jarur dijiyega ...thanks
 

Iron Man

Try and fail. But never give up trying
37,640
94,866
304
  • Like
Reactions: Tiger 786

Iron Man

Try and fail. But never give up trying
37,640
94,866
304
Update 22

Me- ek minute bhai ! soch rahe hai.. matalab ? jung shuru ho chuki hai mere bhai. Tu kya sochta hai.. ! wo log chup baithe hain? nahi wo hamari taak mein kabse ghaat lagaye baithe hain, tumhein andaja hi nahi hai.

Hamne unke is shahar ke bahut bade market ko block karke rakha hai, is baat se tilmila gaye hain wo log, ab agar hamne apni taraf se kuchh nahi kiya to ismein hamari hi galti hogi mere bhai.

isase pahle ki wo log ye jaan payen ki hum unke khilaf kuchh karne wale hain, hamein puri taqat se unhen dabochna hoga, aur ismein police hamari yatha sambhav madad karegi.

lekin yaar isme . to bada jokhim hai.. kaanpte hue bola rishabh..

me- rishabh ke kandhe par hath rakhte hue… tu ghabrata kyon hai, kuchh nahi hoga hamein, viswas rakh mujh par,

aur ek baat ganth bandh lo tum log, maut jindagi ka ek matra satya hai, jo ek din sabko aani hai, koi pade-2 uska intezar karta hai, to koi usase samana karke,

bhagat singh, azad jaise desh ke veer saputon ko aaj bhi badi Shraddha se yaad karte hain deshvasi, wo bhi to pade-2 apni maut ka intezar kar sakte they lekin unhone uska dat kar samna kiya aur aaj pura desh unko yaad karta hai.

D- teri badi-2 baatein hamare jaise chhote dimag mein ghusne wali nahi hain, lekin me tere sath hoon dost ! aankh band karke tere sath aag me bhi kudane ko taiyar hoon. Ab jo hoga so dekha jayega.

R & J- hum bhi… ye jindagi ab tere hawale hai bhai, jivan mein kabhi bhi iski jarurat pade, bas awaj de dena, sar ke bal hazir ho jayenge tere sath mar katne ko.

Aur hum sabne ek dusare ke hathon ko ek sath pakda aur ek nishchay karke apne-2 bistar par sone chale gaye.

Subah thik 5 baje hum charon gym mein they, aur apni-2 choice ke hisaab se exercise me jut gaye, vaise hum roj college attend karne se pahle apne desi tarike se kasarat to karte hi they, to aise koi khas dikkat to nahi, bas gym ke special tarikon se muscles thode well shape karne they.

Abhi hamein sirf 5 min hi huye they exercise shuru kiye, ki wo charon bhi aa gaye… dhananjay ne unhein welcome kiya,

Kapil- arun hum charo tumhare sath hain, aur is ladaai mein marte dum tak sath denge.

Rohan – agar humari vajah se samaaj mein faili kuchh buraiyan kam ho jati hain, to dil mein ek sukun to rahega ki kuchh achha kaam kiya apne jivan mein.

Mohan- bahut socha raat ko, theek se so bhi na saka, ant mein ye nischay liya ki mujhe bhi is nek kaam mein bhag lena chahiye, yahi soch ke sath to me committee ka hissa bana tha, to ab peechhe hatane ka koi matalab nahi hai… ab jo hoga so dekha jayega.

Sagar – mere to baap dade bhi is desh ki sewa mein rahe, dadaji swatantrata senani they, pitaji bhi fauj mein hain, to mera khoon bhi safed to nahi ho sakta na? aur fir bhagyavas, ye ek mauka hath aaya hai kuchh achha karne ka to isi se shuruat karte hain. kyon..?

Me- dosto ! is tarah ka jajba har kisi mein nahi hota, kuchh khas hi log hote hain, jo dusaron ke kaam aate hain,

apne liye to har koi jeeta hai, auron ke liye jo jiye usko sare jahaan ka pyar aur duayen naseeb hoti hain.

haan ek aur baat ! Ye hamare tumhare bas main nahi hai ki tum jo kar rahe ho ya karne wale ho ismein tumhara koi apna sahyog ya sahmati hai, ye to purv nirdharit tha, hamein is college mein hi kyon bheja aur milaya, ismein bhi niyati ki koi suniyojit chaal hai.

K – shayad tum sahi kah rahe ho arun, mene bhi ye anubhav kiya hai ki hamara ye milna koi sanyog nahi hai..ye attraction anayas nahi hua.

D- pata nahi tum dono kya ghood gyan ki baatein kar rahe ho, meri to kuchh samajh mein nahi aaraha…??

Me- abbey saale tu thahra Thakur aadmi, bahubal se sochta hai, adhyatmik batein teri samajh se bahar hain.

Aisi hi batein karte-2 hum sabhi dost exercise karte rahey, paseena bahate rahey, aur thak kar apne-2 room mein fresh hone chale gaye.

Hafte ke baad se hi hamne fighting ki practice shuru kar di, kuchh books ka sahara liya, kuchh movies se tip lete rahe,

1 mahine tak hamne apni padhai ke sath-sath apne sharir ko itna to chust-durust bana liya tha ki normal conditions mein 2-4 ke haath ham mein se koi aane wala nahi tha.

Mene kaha ye ant nahi hai, ye practice continue rehni chahiye…

Ab shuru hona tha hamara mission, uske liye hamne wo list nikali jo drug use karne wale students they, aur baad mein sudhar liye gaye they.

Kuchh seniors ke namon par tick kiya, aur unse baat ki. chunki college se official circular tha ki hum kisi se bhi kuchh bhi puchh-tachh kar sakte hain, koi sawal ya junior-senior ka level nahi chalega.

do ladkon (monu aur chintu) ko kaam mein lane ka socha jinhen shahar mein drugs kahan-2 milta hai, ye pata tha. fir kya tha, lag gaye ek aur nek kaam par….

Sham ko thoda andhera hote hi un ladkon ko lekar ek thikane par pahunce jo hamare college se sabse jyada dur tha, jisase kisi ko hamari yojna ka guman bhi na ho aur hamare matalab ka banda bhi mil jaye.

Monu aur chintu ke sath, Jagesh aur rohan ko us adde par bheja aur hum thodi dur aad mein bikes lekar khade rahe, wahan jaake unhone unki apni style me drug demand ki…

Chintu- asharaf bhai, maal hai kya ?

Asharaf – arey monu- chintu bade dinon ke baad dikh rahey ho kahin chale gaye they kya…?

Monu- haan bhai, exam ke baad gaon chale gaye they, fir kuchh din dusre adde se kaam chalaya, aaj idhar pass mein hi aaye they socha aapse mulakat bhi ho jayegi aur kuchh sutte ka bhi jugad ho jayega… hai kya kuchh ??

Arey tere ko kya mangta hai bol, bahut kuchh hai apun ke pass.. bol charas, hashis, cokin kya mangta hai tere ko.

Bhai do-do dose dedo….

Ashraf- Ye dono chikne kon hain..?

Monu- Ye naye aaye hain bhai… inko bhi shauk hai iska..

Le ! maal nikal aur fut le yahaan se, aate rehne ka kya ?? Ekdum kadak mall milela hai idhar, dusare addon ke mafik milavat wala nahi rakhta apun.

Wo charo wahan se drugs leke laut liye, aur wahan aagaye jahan pedon ki aad mein hum teen bike liye khade they.

ye ek kholi numa jagah thi, aage ki taraf tyre punchar ki dukan khol rakhi thi aur peechhe ki side mein ye sab dhandha chalta tha. shahar ke dusari taraf tha ye adda, wahan se koi 1-2 km par hi dusara college tha, jiske ladke yahaan se drugs lete honge.

Ab sala sochne ki baat thi, ki itna khuleaam sab kuchh hota hai wo bhi colleges ke aas-pass hi, aur prashasan soya pada hai.?? kuchh to chakkar hai ? iski to tah tak jana padega, ye sab baaten mere mann mein chal rahi thi

Mein bike par baitha ye soch hi raha tha, ki dhananjay bola- dekh arun udhar adde ki taraf, jaise hi mene dekh to ek police jeep usi kholi numa jagah ke aage ruki, jismein se ek sub inspector aur do constable utre aur kholi ke andar chale gaye.

Mera matha thanka, mene apne doston se kaha- mein sala abhi yahi soch raha tha, aur ye to itni jaldi praman bhi mil gaya.

D- kya..? kya soch raha tha...tu.?

Me- yahi ki itna sab kuchh khule aam hota hai gair kanooni taur pe, aur prashasan ko koi fikar hi nahi, aur ye fikar karne wale itni jaldi aa bhi gaye.. wow!

D- kis tarah ki fikar..?

Me- tu abhi bhi nahi samajha..? arey ye police ki mili-bhagat se ho raha hai sab. Aur ye apna aaj ka commission lene aaye hain..! pakka.

M- to ab kya plan hai..?

Me – ab action lena hai aur kya? chintu..! is bande ka naam kya hai, jo yahaan drugs bechta hai aur uske sath aur kon-2 hai abhi, kitane log hain yahan..?

Chintu – iska naam asharaf hai, aur abhi yahan uske alawa ek 12-14 saal ka ladka aur hai, jise chhotu ke naam se bulate hain sab log.

Itne mein apna hissa leke wo police wale wahan se chale gaye, ab hamara action lene ka samay aa chukka tha.

Mene chintu se us kholi ka khaka liya, aur apna plan samjhaya, me aur dhananjay kholi ke peechhe se jaake chhip jayenge, hamare sath monu hoga, wo peechhe se asharaf ko awaj dega.

Asharaf jab peechhe ki or aayega to dur se hi ye jaan ne ki koshish karega ki wo fir se yahan kyon aaya hai, aur peechhe se kyon?

Monu usko bolega, ki maal kam pad gaya, hum char log they isliye, aur kuchh der pahle police jeep ko khada dekha, iski vajah se koi dekh na le peechhe se aana pada, samajh gaye monu bhai.

Monu ne haan mein garden hilayi..

Mene kaha yaar ek bori jaisa kuchh hota to kaam ban jata, mere bolte hi naturally sabne idha-udhar nazar daudai, thodi dur pe kabad sa pada tha, usmein ek fata sa ganda sa lekin kafi lamba-chauda plastic ka bora sa mil gaya, jo shayad koi kabad ikattha karne wala fata hone ki vajah se fenk gaya hoga kachare ke sath.

Mene use dekha aur kaha chalega, apna kaam chal jayega isase. Hum dono monu ko sath leke kholi ke pichhwade jaake chhip gaye.

Plan ke mutabik monu ne use awaj di, theek sab kuchh vaise hi hua, jo mene socha tha.

jaise hi ashraf maal leke monu ke pass aya, me chup-chap uske peechhe se nikal kar
uske muh pe ek hath se dhakkan laga diya aur dusre hath se uske kaan ke peeche ek karat maari aur wo mere hathon mein jhool gaya.

Dhananjay bore ka muh khol.. jaldi.., asharaf ke behosh sharir ko fatafat usmein dala, muh bandh kiya aur laad liya use apni peeth par, jaise palledar bora dhote hain..

Lake patka ek bike ki seat par khud use pakad ke baith gaya, dhananjay driving seat pe, beech mein bora. fatafat bike start ki aur chal diye apne hostel ki taraf.

______________________________
friends...aap sirf story padhte ho!!
story pasand aa rhi hai ya nahi?
comments ya like bhi kar diya karo , agar pasand aayi ho to
thanks to all readers ,
_______________________________
Iron Man
 
Last edited:
Top