• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest My Life @Jindgi Ek Safar Begana ( Action , Romance , Thriller , Adult) (Completed)

This story is...........


  • Total voters
    90

Iron Man

Try and fail. But never give up trying
37,650
94,894
304
  • Like
Reactions: Tiger 786

Iron Man

Try and fail. But never give up trying
37,650
94,894
304
Update 19
[ A hero is born ]



Dusare din CR ko chunana tha, jo 3-4 log CR ka election ladna chahte they, jinmein hamari or se dhananjay bhi tha, un sabhi ne milke elaan kar diya ki hamare section se koi chunav nahi ladega aur na hi koi voting hogi.

Hum sab ki taraf se ARUN hamara CR hoga, mene kaha nahi bhai mujhe kisi pad ki laalsa nahi hai, meri taraf se dhannu CR hai, to wo bola nahi yaar, hamein ek aisa representative chahiye jo hamare hiton ke liye nidar hokar bina paksh-paat ke awaj utha sake, aur hum sab logon ne dekh bhi liya hai ki wo tujhse achha koi nahi kar sakta, kyon bhai logo, kya bolte ho..?

Sabhi ek swar mein- haan hamara CR arun hi hoga aur koi nahi…

Dhananjay – to fir sabhi log ek paper par likh ke signature karke de-dete hai, ki hamara CR arun nirvirodh chun liya gaya hai.

Aur fir jaisa tay hua tha, sabne likh ke sign karke section head ko pakda diya aur iss tarah se mein nirvirodh CR chun liya gaya.

Hamare pure section ki ek khas image pure campus mein khastaur se FY mein ban chuki thi, yahan tak ki election ke baad ki apni speech mein Principle ne kai baar hamein appreciate kiya.

Lekin jaisa hamein bahar se mahaul shanti purn lag raha tha, ander se aisa nahi tha….

Shrivastav aur uske jaise dusre seniors ko ye baat hazam nahi ho rahi thi, ki ek FY ka ladka na hi bazi mar le gaya apitu, pure campus mein hero ban gaya…

Wo mauke ki talash mein lag gaye ki kab wo mujhe lapeten, mujhe ye bhi pata lag gaya tha, ki shrivastav ke sath kuchh TY aur LY tak ke gunde type ke student bhi hain aur wo usko full support kar rahe hain.

Mene bas ek hi baat seekhi jindagi mein, ki maut sirf ek baar hi aati hai, koshish har safalta ki kunji hai.

Darr ke jeena na to mere khoon mein tha, aur na hi mere sanskaron mein. Isliye me har sambhav bindas rahne ki koshish karta rahta.

Samay apni raftar se gujar raha tha, finals ka samay najdik tha, hamara adhiktar samay workshop me hi vyatit hone laga project complete jo karne they..

Ek din hum charon dost worshop mein kaam kar rahey they, kafi time ho gaya tha sham ke lagbhag 7 baj rahey they.

Tabhi wahan shrivastav aur uske sathi aagaye, ye unka der sham ka adda tha roz ka, chunki sham 6 baje ke baad work shop band ho jata tha, isliye wo log isi samay yahaan aake drugs lete they, wahin par wo drugs ka apna stock rakhte they chhupa ke aur dusre students ko bhi supply karte they, ye hamein baad me pata chala.

Ye baat hamein pata nahi thi, wo log hamein ignore karke hamare pass se gujarte hue andar ki or jahan sabke drawars bane hue they udhar chhipke drugs lete rahe aur thoda sa stock liya aaj ki supply karne ke liye.

Me aur dhananjay thoda hatke dusri row wali machine pe kaam kar rahey they aur Jagesh & rishabh us side they jidhar se unka paasage tha.

Wo log 8 jane they, loutate me wo log jaise hi wahan se gujare, unmein se ek LY ka banda nashe ki pinnak me apni senior wali tone mein, Jagesh ko bola,

Kyon be salo ek hi saal mein engg karne aaye ho kya? behenchod raat me bhi lage ho, bhago yahan se ab…

Jagesh – sir thoda project baaki hai, to complete kar lete hain..

Wo- Abbey to bhosadi ke kal nahi kar sakta kya? aaj hi maa chudana jaruri hai tum logon ko.

Jagesh- sir tameez se baat kariye, gaali galauj karne ki kya jarurat hain, unki vartalap sunke rishabh bhi wahan aagya.

Wo- bhosadi ke hamein tameez sikhayega… teri maa ko chodu, hamse panga loge tum log,

salo tumhari aukat hi kya hai, hamse juban chalata bhosdi ke, aur wo uski taraf maarne ko badha, uske sathi bhi uske peechhe hi they.

Mujhe kuchh awajein sunai di, machine ki awaj mein clear nahi tha, mene dhananjay ko bola - dhannu, dekhna kya ho raha hai udhar..?

Dhananjay ne jab jhaank ke dekha, aur bola arey yaar, ye to saale Jagesh aur rishabh ke sath mar-peet kar rahey hain bhai, jaldi aa..

Mene machine band ki aur udhar dauda, dekha ki ek LY ka ladka Jagesh ka coller pakad ke use mar raha tha aur do ne rishabh ko pakad rakha tha.

Jaise hi hum wahan pahuche, do ladke dhananajay ki or lapke aur shrivastav aur do bande meri or..


Dhannu action, aur kehte hi mene aage badhte-2 ek sedhe pair ki kick ek ke muh pe rasid kardi, wo wahi peechhe ki taraf machine ke upar gira, ek to safety shoes ki kick itni tej lagi, upar se uski kamar lathe ke bed par lagi, dhadam se wo wahin dher ho gaya.

baaki ke dono jab tak mere pass tak pahunchte mene lapak ke apna pasandida pentra use kiya aur dono ke gale ek-ek se pakad liye.

Ek majdur kisan ke sakht hathon ki pakad itni majboot hoti hai, lakh koshishon ke bawjud wo chhuda nahi paaye dekhte-2 unki aankhein bahar ko ubalne lagi, nashe ki halat mein aur jyda ghabrahat jaisi mehsoos hui unko, upar se mene unke sar aapas me takra diye. Kadak.. aur dher ho gaye.

Mene un dono ko dhakka deke peechhe ki or fenka, wo dono peechhe rakhi tools table joki lohe ki thi uske upar jaake gire.

Dhananjay bhi majbut kasarati sharir wala ladka tha, usne bhi un dono ko sambhal liya, aur wo unhen achhi khashi takkar de raha tha, un par puri tarah hawi tha wo.

Mein lapak ke rishabh ke pass pahucha, aur un dono laundon ko peechhe se baju gale me lapet ke kas diya, turant unki pakad rishabh se dheeli pad gyi aur wo hath pair maarne lage apne ko meri girft se chhudane ke liye.

Mene rishabh ko kaha, tu jaldi se dhannu ki help kar.

Udhar Jagesh ne bhi apne shikar ko chitt kar diya tha aur wo uski chhati par baith kar tabad-tod uspar thappad barsa raha tha chillate hue, bhosadi ke ab gaali deke dikha madarchod kyon nahi deta ab gaali.. dena...!!

Maar-maar ke usne uske thobde ka faluda bana diya aur wo behosh ho gaya,

Shabaas mere sher, mene chillake use encourage kiya aur apne shikaar ke gallon ko aur jore se kas diya,

Itne me wo pehle wala jo meri kick se gir gaya tha uth chukka tha aur meri taraf aane laga, to use beech mein hi rishbh ne lapak liya, aur aisi pilaai ki us bhosdi wale ki, naani yaad aa gayi.

Jagesh use behosh chhod meri or aaya to uski nazar un dono mere shikar ke cheharon par padi to cheekh pada…

Arun jaldi chhod inhen nahi to mar jaayenge saale.

Mene jaise hi un dono ko chhoda, wo dono cement ke bori ki tarah dhadam se jamin par gir pade, wo behosh ho chuke they.

Nazara ye tha ki wo aathon jamin par pade they, kuchh achet, to kuchh karah rahe they….

Hamne un sab ko rassi se hath pair bandh ke wahi dala aur unki talasi li to unke pass se dher sare drugs nikale.

Turant office jakar hamne principle ko phone kiya, aur sari baat batai, wo turant apne sath do-char teachers aur workshop incharge ko lekar aadhe ghante mein hi workshop mein pahunch gaye,

Hamne unhen sari baat detail me batayi, unke pass se mile drugs dikhaye, mene kaha sar inke drawers bhi check keejiye, wahan aur stock ho sakta hai, kyunki mujhe lagta hai ye campus mein drug dealing ka dhandha karte hain.

Jab unke drawers khole to principle ki aankhen fati ki fati rah gayi, unke drawers drugs se bhare pade they.

Principle ne workshop incharge ko latada, ye kaisa administration hai aapka? aapki naak ke neeche drugs ka dhandha ho raha hai campus mein, aur aapko pata hi nahi chala ? ye kaise sambhav hai?

Workshop incharge mimiyane laga…. Wo..wo.. s.ss saab, ab kaise pata chalega hum logon ko ki ye log kya-kya rakhte honge apne drawers mein? Hum to ek baar drawer allot kar dete hain uske baad thodi dekhte hain.

Turant police ko phone lagaya aur unsabko uthwaya, tab tak unlogon ko hosh aa chukka tha.

Un aathon ladkon ko rusticate kar diya gaya, unpar drug dealing ka charge lagake hawalat mein daal diya gaya.

Iss tarah se ek bade gunah ka bhandafode hua hum logon ki vajah se.

Principle ne hum logon ki peeth thapthapai, aur vishesh admin committee gathan karne ka faisla hua, jiska hum charon ko member bana diya jayega, jo seedhe principle ki adhyakshta mein kaam karegi,

Ye ek vishuddh “student admin sewa samite” hogi isliye iska naam (SASS) rakh diya gaya, jismein hamein vishesh adhikaar diye jayege, ki agar kuchh bhi campus me galat hota dikhe, hum apni taraf se decision leke uchit karywahi kar sakte hai, chahe wo kisi teacher ke khilaf hi kyon na ho.

Aur nikat bhavishya me agar aur koi yogya student judta hai to us committee ka aakaar bhi bdhaya ja sakta hai, jiska adhikaar bhi hamein hi hoga. is sabka prayojan sirf ye tha ki nikat bhavishya me is taraf ki aur koi ghatna na ghatit ho jisase hamare college ki reputation kharab ho.

Ye sab faisla principle ke office mein baith kar liya gaya tha, jiska vastwik roop kal subah hi taiyar kar lena tha.
 

John Cena

Well-Known Member
5,472
7,008
188
Wah bhai wah kya kamal kar dikhaya hero or us ka doston na mujhe laga raha ha ab koi bara tofan ayega hero ki life shrivastav ki shakal ma
 
  • Like
Reactions: Iron Man

Iron Man

Try and fail. But never give up trying
37,650
94,894
304
  • Like
Reactions: Tiger 786

Iron Man

Try and fail. But never give up trying
37,650
94,894
304
Last edited:
  • Like
Reactions: Tiger 786

Iron Man

Try and fail. But never give up trying
37,650
94,894
304
Wah bhai wah kya kamal kar dikhaya hero or us ka doston na mujhe laga raha ha ab koi bara tofan ayega hero ki life shrivastav ki shakal ma
Thanks for review and liking
Shrivastav to bachha h abhi bde villans baki h
 
  • Like
Reactions: Tiger 786

Iron Man

Try and fail. But never give up trying
37,650
94,894
304
Update 20
["SASS" on action✓ mode]

Ye baat raat ko hi aag ki tarah pure campus me fail chuki thi ki shrivastav & co. drug dealing karte pakde gaye hain, subah sabhi students hamein appreciate kar rahe they, jaise jiska milna ho paaraha tha.

Hamare dwara kiye gaye is saahsik karya ki sarahana college ke board of directors ne bhi ki, aur hum logon ko purskrit kiya gaya, sath hi nirdharit committee ko bhi board of directors ki taraf se swikriti mil gayi.

Dusri subah hi SASS committee ka draft taiyar kar liya gaya, aur usko principle ki seal sign karke circulate kardiya, jisase sabhi students ko bhi iske baare mein pata chal gaya.

Saare college mein hum charon ke hi charche they, jidhar dekho students group bana ke baatein kar rahe they ki kaise hum char logon ne un aath logon ko dhool chatadi aur unke kale karnamon ki pol khol ke rakh di.

Kuchh students ne individualy contact kiya aur apni ichha jatayi samiti mein participate karne ki, mene bhi unko ashwasan de diya is shart par ki tum un logon ka pata lagake do jo campus ke andar drugs lete hain.

Ek-do ne to turant kuchh ke naam bhi bata diye, mene aur do smart se students ko select kiya aur in charon ko kaam de diya ki tum log ek list tayar karo, apne sutron se, kon-kon drugs leta tha inse aur ab unki source kya hai.

Tum jitni jaldi ye kaam karoge, utni jaldi hamari samiti me shamil ho jaoge. Wo charon lag gaye kaam par.

Mera iraada tha drugs ki outsource ka pata lagana, aur apne college ke bhatke hue students ko seedhe raste par laana.

Mujhe aasha thi, ki hum is karya me jaldi safal ho jayenge….

Ek hafte baad hi un char ladkon ne jo list di, meri to khopdi hi ulat gayi…

Lagbhag 100 students they jo drugs ke aadi ho chuke they, jab current source ke baare mein pata kiya, to do char kuchh chote-2 adde they shahar mein jo students ko in logon ke dwara drugs supply karte they.

Mene principle ko jab wo list dikhayi to wo bhi sakte me aagaye, wo bole arun ye ho kya gaya hai, aaj ki generation ko..?

Me- sir ismen in students ka dosh nahi hai, inhen to jaise bahakaya jaye, ye bahak jaate hain, ye ek bahut bada racket hai jiski jadein bahut gehri hain.

Khair sir unhen chhodiye, ab hum ye chahte hain, ki in sabhi students ki ek secrat meeting bulai jaye, aur inka aap brain bash karne ki koshish karein, jisase ye apni padhai shanti purvak karke nikal jayen, ismein unki aur college dono ki bhalai hai.

Principle –humm… tum sahi kahte ho, me aaj hi ek secrat note in sabhi ko bhejta hoon, aur kal hi inki meeting lete hain, me chahunga ki tum bhi wahan maujud raho.

Me- sir me akela nahi hum charon member rahenge, jisase un logon ko bhi encouragement milega.

Principle- brilliant arun tum bahut door ki sochte ho..

hamein garv hai ki hamare college ko pahli baar ek achha student mila hai, jiski soch samaj ki bhalai ke liye hai. dhanya hain tumahare parents jinhone tum jaisi santaan paida ki.

Mere chehare par anayas hi ek rahasyamayi muskan aa gayi, jise dekh kar principle Rustam Singh uska karan puchhe vagair nahi rah sake…..

Meri baat par tum muskaraye kyon..? puchha principle ne.

Me- sir aapne baat hi aisi ki thi …

p- konsi baat..?

me- santan paida karne wali sir..

p- kyon mene kuchh galat kaha…?

Me- nahi sar aapne kuchh galat nahi kaha lekin ye galat hai ki mere mata pita ne mujhe aisa paida kiya..

p- kya matalav…?

Me- sir unke liye to me ek unchahi Santan tha, jise unhone puri koshish ki iss dharti par aane se rokne ki..

fir mene unhen apne janm se judi har baat batai, to wo ashcharya chakit rah gaye…

prof- to ye hai tumare is tarah ke nature ka raaj… god gifted ho..

me- ji sar, aur isliye mein maut se bhi khauf nahi khata kabhi. Kyonki usi maut ne mujhe punar-jivit kiya hai, to usase kya darna… aur fir wo to sabhi ko kabhi na kabhi to aani hi hai…

p- great ! arun.. you are simply great.… god bless you my child, aur itna kah kar bhawuktavas unhone mujhe gale se laga liya.

Principle ka note milte hi dusare din 10 baje wo sabhi students darte-2 ek meeting hall me ikattha hue, jo unhen note me hi bata diya gaya tha.

Hum charon Principle sir ke sath enter hue, sabne ek swar mein good morning kaha,

Principle sir ka ishara paa kar mene un logon ko sambodhit kiya…

Me- good morning friends… jaisa ki parson ki ghatna ne hum sabhi ko chahe wo teachers hon ya students, shock me daal diya hai, ki itna bada galat kaam hamare campus mein chalta raha aur kisi ko pata bhi na chala.

Iska jimmedar kon hai ?

hum sab itne to samajhdar hain ki apna khud bhala-bura soch sakein, aap sab mein se shayad hi koi aisa ho jinke maa baap is tarah ki aadton ko sahi thahrayein,

wo to hamein in sab cheejon se dur rakhne ki bharsak koshish karte rahe hain ab tak kyon?

Kya mein sahi kah raha hoon?? Mene sawal kiya, to sabne samvet swar mein haan kaha..

Iska matalv aap log galat hain… sabki mundi neeche ko jhuk gai..

Mene fir kaha… ismein aap logon ko guilty feel karne ki jarurat nahi hai.. hum teenage me hi college me aajate hain, uska galat fayda kuchh swarthi log utha jaate hain, aur hamein narak mein jhonk dete hain.

Mein chahta hoon, ki aap sabhi abtak jo hua use bhool kar, apni anjane me hui galtiyon se sabak lein aur vapas apne mata-pita ke ladle bete ban kar ek achha nagrik banane ki koshish karen.

Mein Principle sir se request karunga ki wo aap sabhi ko sudharne ka ek mauka aur dein jisase aap apne parents ke khwabon ko pura karke hi yahan se jaayen… dhanyabad.

Principle sir aur mere anya sathiyon ne tali baja kar meri baat ka anumodan kiya.. fir principal bole…

P- dear students.. ye campus aap logon ke aane wale bhavishya ke nirmaan ka ek aisa shrot hai, jiski hum jaisi kadra karenge, ye hamein vaisa hi marg darshan dega.

Agar hum ise buraion ka adda bana denge, to kal ko hamare sansthan se nikle hue student ki samajik pratistha bhi dhumil pad jayegi, log hamein izzat ki nazar se dekhna band kar denge.

Aap sabka naam dekh kar ek baar ko mere dimag me aaya tha ki agar mujhe apne college ko saf-suthra karna hai to aap sabhi ko yahan se nikal dena chahiye. Lekin…

mere kandhe par hath rakhte hue… hamein really proud feel karna chahiye.. ki hamare college mein arun jaisa student maujud hai.

Jante ho jab mene aap sabhi ko rustricate karne ka faisla kiya to isne kya kaha…?? Sabhi unke chehare ki taraf utsukta se dekhne lage..

Isne kaha- sir in sab students ki nadaniyon ka inke mata-pita ko dand dena theek nahi hai, ismein unki kya galti hai? bade arman sanjoke un becharon ne apne bachchon ko yahan bheja hai, jinmein se kuchh to aise bhi ho sakte hain ki do waqt ki roti ka sadhan jutane mein bhi asamarth hon, lekin mehant majduri karke inhein yahan padha rahe hain.

Aur fir isi ke sujhav ko madde nazar rakhte hue ye faisla liya ki aap sabhi ko ek mauka aur diya jaye to mein chahta hoon, ki aap sabhi ye vada karein ki aaj ke baad aisi koi bhi galat aadat mein nahi padoge, agar koi bhi student dubara aisa karte hue paya gaya, to fir college use kisi bhi keemat par aage nahi rakh payega.

Kya aap sabhi ek mauka aur chahte hain ? apne-2 haath khade karke sahmati dein.. sabne apne haath khade kar diye..

Prof- aasha karta hoon, aap sabhi mann laga kar apni padhai mein lagenge, aur aanewale exam mein achha kar ke dikhayenge, all the best boys…and take care…

Jaise hi principle meeting hall se gaye, hum bhi unke peechhe-2 nikalne lage, to sabhi students ne hamein awaj de kar rok liya..

Hum log mude aur un logon ki taraf dekha. Unmein jyadatar seniors hi they. Un sabhi ne mujhe thaks bola aur sachche dil se apni galti swikar karte hue, sudharne ka vada kiya.

Kuchh ek to mere pairon mein pad gaye, aur rote hue kahne lage…

Sach mein arun tune hamein bacha liya, varna hamare nikale jaane ke baad hamare maa-baap shayad jinda nahi bachte.. wo kaise-2 karke hamein yahan padha rahe hain, aur hum ye neech kaam mein lage hai… apne aap par hi ghin si aa rahi hai hamein.

Me- beeti baat bisar ke aage ki sudh lo… sahi raste ko follow karo aur apni galtiyon se sabak leke aage badhte raho, safalta tumhare Kadam chumegi, so please don’t be shy and move forward…

Update posted
Aapko Story kaisi lg rhi comment krke btaye!
 

Iron Man

Try and fail. But never give up trying
37,650
94,894
304
Story boht khoob ja rahi ha dost keep posting ahista ahista tumhare readers bhi kafi zyada ho jaenga

Thanks for review review and suggestion
Keep supporting.....
 
  • Like
Reactions: Tiger 786
Top