• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Mohabbatein... (Completed)

Adirshi

Royal कारभार 👑
Staff member
Sr. Moderator
35,703
47,495
304
Update 53

undono ne omkar ko sath chalne kaha par omkar nahi mana aur wo teeno ek dusre ko buy karke chale gaye.......

omkar ghar aaya apne joote ek kone main feke aur bed par pasar gaya...kuch 10 minute hi bite honge to uske phone par ek message aaya...message ragini ka tha

'can you pick me up from koregaon park....agar cinema hall main na ho aur busy na ho to please call'

omkar ne phone lagaya

"kaha ho om??" kuch ghabraye awaj main ragini ne kaha

"ghar aa gaya hu kyu? kya hua?" omkar

"please mujhe pich kar sakte ho?? main koregaon park main hu.."

"ha main aa raha hu par peter kaha hai?"

"wo mujhe raste main chhod kar chala gaya please tum jaldi aao main yaha akeli hu" ragini

omkar ne ghadi par najar dali..raat ke sadhe bara baj rahe the...koregaon park shahar ke bahar ka nirjan bhag tha aur is samay ragini akeli raste par wo bhi aise kapdo main..

"ragini dekho raste par mat kadi raho..aaju baju main koi jagah hai kya??"

"nahi yaha kuch nahi hai..ek minute..waha aage...shii.....sulabh shauchalaya hai.." ragini ne kaha

"very good wahi jakar ruko main aa raha hu" omkar

"pagal ho kya..arre wo public toilet hai kitni gandagi hoti hai waha.." ragini

"dekho ragini main jaldi pahuch raha hu aise raste par akeli mat ruko please meri baat mano aur mujhe whatsapp par apni location send karo aur waha ruko main nikal gaya hu" itni baat karne omkar nikal gaya aur jte huye apne sath usne 3-4 perfume ki bottles bhi le li aur gadi ragini ki location ki or badha di

raat ka samay hone ki wajah se traffic kam tha 20 minute main omkar waha pahuch gaya aur use dekhte hi ragini usse aakar chipak gayi

"mai..maine ander ulti kardi" rote huye ragini ne kaha

"its ok...its perfectly ok.." uski pith sehlate huye omkar ne kaha usne gadi main se pani ki bottle aur perfume ragini ko diye..ro rokar uske eyeliner ki vaat lag chuki thi galo par kali lines umat gayi thi baal bikhar gaye the..jab ragini thodi normal huyi tab usne usne gadi main bithaya aur gadi badha di

"kya hua tha??" omkar

"hamesha ki tarah hamara jhagda hua..mujhe nahi jana tha om uske dosto ke group main usme usne jis taraah tum logo ke sath behave kiya uska mujhe gussa aa gaya tha... humj dono ka para chadha aur maine use gusse main usse kaha ki mujhe yahi utar de to usne sach main mujhe gadi se utara aur chala gaya" ragini

"kya chutiyagiri hai....fir? tumne kya kiya?" omkar

ragini ne apna phone on kiya aur usme se ek message omkar ko dikhaya

"peter I am breaking up with you..please kal se apni sadi huyi shakal mujhe mat dikhana"

wo message dekh kar omkar ki aankhon main chamak aa gayi waise hi ragini ne kaha " maine tumhari wajah se usse break up kiya hai aisa mat samajhna "

"chhe...maine aisa kab kaha" omkar

ragini ne omkar ke gadi ke dashboard panel par najar dali

"kya hua?" omkar

"dekh rahi hu petrol kitna hai "

" bahut hai..kyu?" omkar

"fir jaha chalna hai chalo meri abhi ghar jane ki bilkul icha nahi hai " itna bol kar ragini ne gane ka awaz badhaya seatbelt lagaya aur aankhen band karke aaram se baith gayi

"your wish my command mam...driver omkar at your service" aisa bol kar omkar ne gadi city exit ki or ghuma di...
 

Adirshi

Royal कारभार 👑
Staff member
Sr. Moderator
35,703
47,495
304
Update 54

"your wish my command mam...driver omkar at your service" aisa bol kar omkar ne gadi city exit ki or ghuma di...

"bhai kafi mushkil hai yaar ye baat pacha pana aisa bhi koi karta hai kya " omkar se pichli raat ka kissa sunne ke baad ashish bola

"abe haa be....use aise hi akele chhod ke chala gaya wo agar kuch ulta sidha ho jata to?" omkar

"fir baad main tum logo ne kya kiya, kaha gaye ghumne?" ashish

"khapoli tak gaye the bhai ghumne fir ekdum kas ke bhookh lag gayi waise to icha thi kisi dhabe pe jake mast khana khane ki par ragini ke kapdo ki wajah se waha na jake food mall chale gaye the" omkar

"to uska break uo ho gaya tum to kafi khush hoge isse?" ashish

"ha..par mujhe na uska behaviour thoda immature laga..I mean peter ne jo kiya wo to galat tha hi par itna jaldi break up" omkar ne kaha

"to, aisa faltupan kaun sehan karega bhai aur tumhe kaise pata ki isi baat ki wajah se breakup hua hoga shayad pehle bhi kai bate huyi hogi ye ye baat breakup ka karan ban gayi..bas.." ashish

"hoga par wo thodi alhad immature lagti hai mujhe"

"ha ha aur tum to kafi mature ho khud ko hi dekho pehle rima ko...."ashish

"ek minute maine rima ko nahi chhoda usne mujhse breakup kiya tha" omkar ne kaha

"ok aur radha..."

"usme bhi meri galti nahi hai radha ne hi koi rishta age badhane se mana kiya " omkar

"main kaha mana kar raha hu yaar par ab radha ke sath sath tumhe ragini bhi pasand aane lagi hai" ashish

"to....tum aisa kehna chante ho ki main radha ko pasand karta hu to kisiko dekhubhi nahi
aur jab radha ne mana kar hi diya hai to kya ab main jindagi bhar uski raah dekhte akele rahunga aur ye natural hai yaar tumhare sath bhi hota hoga" omkar ne kaha

"thik hai bhai gussa mat karo ye bate band karte hai aajsham ko publisher ke sath meeting hai sadhe char ke kareeb comfirm karu na??" ashish

"ok final kar do" laptop main dekhte huye omkar ne kaha

----------------

4-5 din beet gaye uske baad ragini ka omkar ko phone aaya

"saturday ko subah kya kar rahe ho?" ragini

"kuch khas nahi...kyu?" omkar

"ghar aaoge?"

"tumhare?"

"ha aur nahi to kiske?"

'kyu?"

"aise hi hum ekdusre ko itne dino se jante hai aur main generally apne dosto ko ghar bulati hu"

"theek hai sadhe gyarah baje theek rahega" omkar

"ok main rah dekhungi"
----------------

jaisa decide hua tha us hisab se omkar ragini ke ghar pahuch gaya...denim ki short aur halke gulabi rang ka t-shirt aise sadhe ghar ke kapdo mainragini ne darwaja khola "good morning" chehre par smile ke sath ragini ne kaha "welcome"

omkar ne apne hath ka pile phoolo ka bouquet ragini ke hath main diya

"om main tumhari sabse pehchan kara deti hu..ye mere mom-dad hai aur mom-dad ye mera dost omkar hai" ragini ne ek hi line main sabki pehchan karwa di aur omkar khurchi par baithe tab tak pani le aayi

"sorry omkar humne to tumhari books padhi nahi hai par ragini se tumhare bare main kafi suna hai....wo kafi bate karti hai tumhare bare main seems you are a good author" ragini ke pitaji ne kaha

"thank you sir" omkar ne kaha

"omkar, ragini ne hame us raat ke bare main bataya..thanks to you tum waha pahuch gaye"

"oh not a big deal meri jagah dusra koi hota to wo bhi yahi karta "

"anyways, ragini jao omkar ko apni room dikhao"

"kya yaar papa ye room dikhane ki baat kaha se aa gayi wo kya mujhe shadi ke liye dekhne aaya hai"

"nahi??to ab dekh lega" ragini ke dad ne haste huye kaha aur ragini omkar ko lekar apne room main aayi

ragini ki room ekdum uske jisi thi ekdum colorful jiski sajwat dekhne main om kho gaya tha

"tumne kafi badhiya decorate ki hai room" omkar book rack main books dekhte huye bola

"thanks, tum baitho na" ragini ne khurchi ki or ishara karte huye kaha

"gaane lagau? tumhe kaunse pasand hai" ragini

"apne ko sab pasand hai ekdum metallic-hard rock se lekar hindustani shastriya sangeet tak aur tumhe?' omkar

"a..main bahut choosy hu gaano ke mamle main arijit singh ka laga du koi?"

"bilkul"

ragini gaane ki CD lagane lagi tab tak uski mom juice aur kuch khane ke liye lekar aa gayi

"ragini mainaur tumhare papa market ja rahe hai wahi se khana khakar natak dekhne jayenge chalega na??"

"ha ha jao aap log" ragini

"omkar khana kha kar jana..ragini kafi acha khana banati hai subah se kitchen main thi" itna bol kar ragini ki mom waha se chali gayi

gane baj rahe the aur unka sangeet vatavaran main ghul raha tha tab tak adha paun ghanta beet gaya...omkar itna kho gaya tha ke use samay jagah iska koi bhas nahi tha ab ye kamal gaano ka tha ye us room main ragini ke sath ka par itna shant apne aap ko usne kabhi mehsoos nahi kiya tha

jab omkar ne aankhen kholi to ragini uski taraf dekh kar muskura rahi thi

"kyu hua??" omkar ne pucha

"kuch nah, tum kaha kho gaye the" ragini

"shayad gaano main kahi........mom dad gaye tumhare" omkar ne pucha

"kabke.." ragini ab bhi uski taraf dekh rahi thi

uski najro main kuch to tha jo omkar samajhna chahta tha

"om..ek baat puchu?" ragini

"hmm pucho na.."

"par iskakuch waisa matlab mat nikalna ..ek simple sawal hai par sach sach jawab dena"

"arre baap re aisa kya puchne wali ho?"

"tum rima ke sath live-in main rehte the?"

"haa.."

"kabhi uske sath sex.."

"ha..par sach kahu to mujhe nahi lagta usme romance jaisa kuch tha it was one of those crazy nights...romance ki meri paribhasha kafi alag hi"

"matlab kaise?"

"matlab aise jordar barish main hath main hath leke ghumna....bijliyo ki kadkadahat..tez hawa main kiss karna mujhe jyada passionate lagta hai" omkar

"fir rima ke sath rehte huye kabhi aisa experience nahi aaya" ragini ne haste huye kaha jispar omkar has diya

"aur radha ke sath?" achanak gambhir hote huye ragini ne pucha

"nahi.." bagair ek pal gawaye omkar ne kaha

"par kabhi waisa laga to hoga na?" ragini

"par tum ye kyu puch raho to"

"pehle tum jawab do"

"nahi...par ahar jordar barish hoti to shayad..."

"to kya om"

"anyways ye baat yahi khatam karte hai" omkar thoda uncomfertable hote huye bola

"theek hai....khana khaya jaye?? tumhe aise hi jane diya to mom kafi gussa karengi.." ragini ne kaha

"acha mom gussa karengi tum nahi?" omkar ne kaha

"agar main naraj huyi na bacchu to manate huye nani yaad aa jayegi tumhe" ragini ne kaha

omkar ne khidki se bahar dekha may mahina khatam hone wala tha aasman main badal ghirne lage the

"lagta haijordar barish hogi.." kuch samay pehle ki barish ki baat karne omkar bola ragini ko uske bolne ka matlab samjha aur wo hasne lagi

"fir kya hoga om..jordar barish huyi to.." ragini ne room ke darwaje ke paas se pucha

"to..dam bhar jayenge, har taraf hariyali chayegi" omkar

"aur..."

"aur garmi thodi kam hogi"

"aur tumhe kya kya hoga.." ragini

ragini ke awaz ka wo tone omkar samajh raha tha wo ragini ke paas jakar ruka..uske sharir ka har ang ragini ko apne bahupash main lene ke liye machal raha tha...agar wo aage badhta to ragini use rokti nahi...is baar omkar 100% confirm tha wo ragini ko pasand karta tha par ab bhi radha uske man se nikli nahyi thi aur wo ragini ko dhoka nahi dena chahta tha

omkar ne khud ko sambhala

"anyways chalo khana khate hai" omkar

ragini ne ekbaar avisswas bhari najro se omkar ko dekha aur khana parosne kitchen main chali gayi....
 

Adirshi

Royal कारभार 👑
Staff member
Sr. Moderator
35,703
47,495
304
Update 55

omkar jab se apne ghar wapas aaya tab se uske dimag main kayi khayal aa rahe the 'apan ne jo kiya kya wo sahi kiya' 'ragini ko kya laga hoga' 'apan ne ek acha chance gawa diya?' 'par ragini koi chance nahi hai abhi agar bhavna ke aaveg main kuch karke bhavishya main om ragini ko takleef nahi dena chahta tha'

"apan ne khud ko rok liya iska ekmev karan radha hai kya? apan ab bhi usse pyaar karte hai? ab bhi uske aane ki raah dekh rahe hai? kyu? kisliye?"

aise kayi sawal is waqt omkar ke dimag main ghoom rahe the...uski tandri bhang huyi uske phone ke awaj se ...omkar ke pitaji ka phone the

"parnaam babuji...boliye" omkar

"om is monthend ko main aur tumhari maa aa rahe hai waha"

"badhiya...par achanak kaise plan ban gaya?" omkar

"arre tumhari cousin shreya ki shaadi pakki ho gayi hai"

"yre kab hua? itni jaldi?"

"ha..arre uska hone wala pati IT field ka hai.america main rehta hai use jyada chhuti nahi hai...wo yaha tha to milne aaya dono ne ekdusre ko pasand kar liya aur shadi pakki ho gayi"

"fir baki log kaise aayenge?'

"hum sabhi aa rahe hai sidhe tumhare hi paas aayenge"

"ok..!"omkar

"omkar..!"

"ha babuji"

"everything alright..?" omkar ki awaz main shadi aur un sab se milne ka koi utsah nahi tha ye uske pitaji jaan gaye

"hmm..everything alright..."

"arre baap hu tumhara...kya hua hai..koi ladki wagaire.."

"hmm...ek nahi do.." omkar ne kaha

"ye to badi samasya hai koi nahi mere paas samay hai baat kare is bare main...?"

agle 10-15 minute main omkar ne radfha aur ragini ke bare main sab bata diya

"ab mujhe samajh nahi aa raha hai mujhe kaun jyada pasand hai radha ya ragini? aur agar wo radha hai tab bhi uske man main kya hai mujhe nahi pata...wo wapis aayegi nahi aayegi koi bharosa nahi aur agar ye maan lu ke radha nahi ayegi aur ragini ka hath tham lu aur radha a jaye tab kya hoga ye bhi main nahi janta" omkar

"dekho bete mera to ye manna hai ke bhagte ke piche na bhag kar jo apne paas hai use apnana chahiye...radha ki news humne bhi TV par dekhi thi matlab isme pura decision tumhara hoga....ek kaam karo shadi main ragini ko bhi le aao..."

"theek hai...rakhu phone.."

"hmm...bye..aur devdas ban ke mat baith jana...book ke agle part par kaam chalu karo..yaha bhi sab puch rahe hai agla bhag kab aayega.." omkar ko cheerup karte huye uske pitaji bole

"likh to lunga babuji par uska ant mujhe hi nahi mil raha hai uska kya" omkar ne khud se kaha aur phone rhk diya..

idhsr naples main kuche huye sunder photos upload karne ke liye radha ne kayi dino baad apna facebook open kiya..pehle kuch posts scroll karne ke baad ek photo par radha ruk gayi...ragini ne uska aur omkar ka nikalahua ek selfi omkar ko tag karke facebook pe post kiya tha

"kaun hai ye ragini aur omkar uske bedroom main kya kar raha hai?" photo enlarge karke dekhte huye radha apne aap se boli

"daal main kuch kala hai.." piche se poonam ne kaha

"chup chudail..kala wagaire kuch nahi hai" radha

"come on radha...you are a woman...ragini ke chehre par ke...uski aankhon ke bhav tum pehchan rahi ho kam se kam khud se to jhooth mat bolo" poonam

"anyways hum waise bhi month end tak india ja hi rahe hai na..waha jakar sab pata chal hi jayega" radha

"aur agar ye sab sach hua to.....to kya karogi aur agar ye sach na hua to kya karogi?" poonam

"pata nahi" radha

"accept it radha tum omkar ko pasand karti ho aur yaha jal rahi ho use dusri ladki ke sath dekh kar"

"shayad..par poonam mere sapno ka kya? meri life ko lekar jo apekshaye hai unka kya? omkar ke proposal ko haa karke main uske aur apne dono jindagiyo ko nyay nahi de paungi aur compromise karke milne wali relationship mujhe nahi chahiye" radha

"is bare mainj socho hamare paas do hafte hai filhal aur india jane ke baad decide kar lena is paar ya us paar tumbhi is main atki huyi ho aur shayad omkar bhi"

radha ne laptop band kiya aur aankhen band karke table par sar jhuka kar khayalo main kho gayi......
 

Dev rathor

Active Member
1,849
2,165
159
Awesome story hai bhai
Aaj mene ek famous writer ki love story par based novel padha Kasam se aapki yeh story usse kayi guna acchi lagi
Bus ek request hai ki update jaldi se do
 
Top