• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Mohabbatein... (Completed)

Adirshi

Royal कारभार 👑
Staff member
Sr. Moderator
36,049
47,986
304
Update 26

Rima-thnak you ashish..thankyou very much

Utne main ashish ko samne se omkar aata hua dikhai diya to ysne phone kaat diya aur khudse hi bola
" devdas re yaar sahime devdas....sala do do ladkiya line de rahi hai lekin ye ab bhi akela hai "

Aur fir wo dono nikal liye apni tehrayi huyi jagah ki or...........
--------------------------------------
us ghatna ko ab ek hafta beet cha tha lekin ek pal ko bhi radha omkar ke dimag se nahi nikli thi..aur dono bhi ek hi shahar main the to omkart bas yahi dekhta rehta tha ke radha kahi dikh to nahi rahi hai.. lekin radha use kahi nahi dikhi.rah ane un 7-8 din main apne aap ko us ghar main band karke rakh liya tha...anurag frace ko chala gaya tha aur us bade se villa main wo akeli hi thi apni jarurat ke liye hi o apne room se bahar nikalti thi ..ghar ke naukaro ke samne jane ki bhi uskiicha nahi hoti thi...anurag aur uski family ke liye kayi salo se kaam karne wale aur usne loyalnaukar radha ko ghrina ki najro se dekhte the..

omkar-ashish..

ashish-om agar radha ke bare main nahi bolne wale ho to bolo

computer par apna kaam karte huye ashish bola to omkar piche palat kar jane laga to ashish ne use rok kar fir baat puchi

ashish-acha thik hai bolo..

omkar-ashish-mujhe radha se milna hai bas sirf ek baar fir bhalehi wo mujhe na pehchane ya fir mujhse baat karne se mana karde ya kuch or lekin bas ek baar...

ashish-acha acha thik hai yaarruk kuch sochte hai..tum hyper mat ho

itne main omkar ka phone bajne laga to usne screen par number dekha aur phone kaat diya

ashish-kya hua?? kiska phone tha..?

omkar-ye rima yaar pareshan kar diya haiu isne din main 4-5 baar phone karke

ashish-kyu?

omkar-kuch nahi aise hi

ashish-ye dekho om.....

omkar-ab agar tu rima ke bare main baat karke dimag khane wala hoga to mat bol.............acha chal thik hai sorry.....shayad jaisa tum keh rahe wo waise mera future rima ke sath hoga bhi lekin jab tak main radha se nahi mil leta usse baat nahi kare leta tab tak main rima ke bare main nahi soch sakta ...I want that door closed..radha mujhe sidhe sidhe keh de tab hi main use bhulne ki koshish karunga..meri aur uski aakhri mulakat..kuch na kehte huye bhi bohot kuch kehne wali uski najar main nahi bhul sakta ashish.....I know jaisa main use pasand karta hu waise wo bhi mujhe pasand karti hai..

ashish-ha toi thik hai na lekin tab halat alag the om tab wo akeli thi free thi

omkar-agreed aur isiliye mujhe usse milna hai lekin kaise ye samajh main nahi aa raha...

ashish-ok suno radhja ne tuymhe kaha tha ke wo tumhari book publish hone ke bad jaroor padhegi

omkar-ha kaha to tha...

ashish-acha to fir ek kaam karo book ke akhir main ek note likho ki ye kahani ka ant nahi hai kahani ka nayak ab bhi mira ki rah dekh raha hai..aur book ke end main tumhara number to hota hi hai ..agar radha ye book padhti hai to jaroor samajh jayegi ki ye tumharui kahani hai aur jaroor phone karegi

omkar-wow...thats great idea ashish....

ashish-baki apan publicity main koi kasar nahi chodenge book launch ho gaya hai ye baat radha tak pahucha kar hi rahenge..

omkar ki book ashish ke bole huye andaz main hi launch huyi is baar launching ke liye bhi kafi bhid jami thi par omkar ki najar to bas radha ko dhund rahi thi...

publicity main koi kasar nahi chodi gayi thi..hordings...leading news paper main add..even asish ne omkar ka FM par interview bhi ayojit kiya tha aur uys interview ke dauran omkar kafi nervos tha kyuki use lag raha tha ke kahi na kahi radha use jaroor sun rahi hai...

"the hero of story is still waithig for mira..hoping to get call from her one day...." show khatam hote huye om bola....

jo kuch ho sakta tha wo omkar aur ashish ne mil kar kiya ab sab kuch naseeb ke hath main tha..........
 

Adirshi

Royal कारभार 👑
Staff member
Sr. Moderator
36,049
47,986
304
Update 27

"the hero of story is still waithig for mira..hoping to get call from her one day...." show khatam hote huye om bola....

jo kuch ho sakta tha wo omkar aur ashish ne mil kar kiya ab sab kuch naseeb ke hath main tha..........
----------------------------------------------------------------
book launch hone ko 2 hafte beet chuke the ashish kuch papers lekar khushi se omkar ke cabin main dakhil hua

ashish-om ek good news hai hamari pehli edition bik gayi hai....you rock man...second edition is on way...

lekin omkar ke chehre par koi jyada utsukta nahi aayi...

ashish-kya ho gaya bhai aisi sadi huyi shakal kyu banayi hai itni badi news di hai kuch to reaction de..

omkar-kya bolna hai tera... kya karu main.....do hafte ho gaye bhai.......

ashish-aur fir bhi radha ka koi phone nahi aaya ..aisa hi na??mere bhai usko book padhne ka time to de..ye bacho jaisi harkat to mat kar..teko kya lagta hai usne pehle din hi book kharidsa hoga aur ek hi din main padh kar tujhe phone karegi...

omkar-to fir baki logo ke kaise phone aa rahe hai mujhe....ab tak kai mitra mujhe phone kar chuki hai bolti hai main hi tumhariu kitab ki tumhari mira bol rahi hu.....are ek sawal ka sahi jawab nahi dete aaya kisiko......kya timepass lag raha hai kya logo ko.....

ashish- ha ha ha abe bawle khush ho jka celebraty ban gaya tu...

itna bol kar ashish waha se nikal gaya..ek ke baad ek din ka rahe the aur har din ke sath omkar ki nirasha aur frustation badhte ja rahe the aur ek din dophar main uska phone baja......ek to wo pehle hi chidhe huye mood main tha aur rima ko har baar milne ke liyena bolna use mushkil ho raha tha aur haar kar usne shaam ko hotel main use milna kabool kiya tha...

omkar-(ab agar ye phone jhuti mira ka hua na to uski khair nahi) hello....kaun bol raha hai..?

"MIRA" dusrio or se awaz aaya aur ka kise pata lekin omkar ke sare sharir ke rongte khade ho gaye aur blood dugni gati se daudne laga kaan garam ho gaye aur kuch sashank adaz main wo bola

omkar-RADHA..??

dusri or bhi kuch pal shanti main bite

radha- hmm..radha bol rahi hu...

omkar ko kya bolna hai wo bhi nahi sujh raha tha wo bas kaan ko phone laga kar baitha raha

radha-hello..tum ho na..?

omkar- ha..ha hu na..

shayad radha ko bhi kya bolna hai sujh nahi raha tha isiliye kuch pal aur shanti main bite....

omkar-kaisi ho..?

radha- TV dekhte ho na..fir pata hi hoga ki maine kya kya kand kiye hai

omkar-galti tumhari hi haiu kya jarurat thi aise achanak ghar se bhagne ki mujhe thoda time to diya hota...

radha- look om ab purani bato ko bolne se kya matlab hai jo hona tha ho gaya lets move on...

omkar-radha mujhe milna hai tumse...please na mat bolna...tum kahogi waha kisi bhi hotel main

radha-mujhe public attension nahi chahiye om milenge lekin hotel main nahi..

omkar-alright..fir kaha..?

radha-..tumhare ghar? chalega??

omkar-are daudega kab?

radha-aaj sham?? kareeb 7 baje??

omkar-done main rah dekhunga

radha-ok den map mujhe whatsapp par message kar do..milte hai sham main....ok bye

omkar-bye

phone cut ho gaya tha fir bhi kafi samay tak om phone apne kaan ko laga kar baitha raha usne ghadi main dekha to 3.30 baj rahe the aur usko apne ghar ka living room yaad aaya..prachand pasara..astavyast kapde books chargers...pura ghar mano kachra kundi lag raha tha.... usne laptop band kiya aur tadka fadki ghar par pahucha aur ghar saaf karna chalu kiya..use achanak ghar main ki har chiz ka gussa aane laga tha

"ye...ye kursi ye kya kursi hai..pichle mahine main exhibition main se nayti le leta to acha hota"
kisi time par rima ke liye huye sofa aur coushion covers use ab kafi bhadak lagne lage the.....
diwaro par ki modern arts ki paintings ke frames ab ekdum chiller lag rahe the.....
been bag ke thrmacol dab kar chapte ho gaye the aur center table to au bhi purna lg aha tha...

omkar ko sab saman fek dene ki icha huye lekin ye sab karne ke liye samay nahi tha ...jitna ho sakta tha usne living room saaf kiya bahar kone ke flowerist ke paas se jerbera ke phool la kar center table par rakhe flower pot main sajaye...kai dino se bagair use ke pade room freshner ka fawara mara..CD player main jagjeet singh ki gazlo CD lagayi aur mast tayar ho kar radha ka intajar karne laga..

samay kaisa bita pata hi nahi chala..ghadi main 7 baj chuke the aur vatavaran main jaise ek prakar ka dabav tha aisa om ko lag raha tha aur use to ghadi ke second kate ka awaz bhi spasht sunai de raha tha

"hath chute bhi to...rishte nahi chuta karte....waqt ki shakh se.....lamhe nahi tuta karte..."

jagjeet singh ke magical awaz se wo ekdum khush ho gaya tha aur railing chair par baith gane ka anand lene laga...

sadharan 7.20 ke kareeb darwaje ki bell baji waise hi om kursi par se utha aur darwaje ki or badha....uske dil ki dhadkane is waqt bullet train se bhi jyada speed se daud rahi thi....usne ek gehri saas li aur darwaja khola to samne khadi thi RADHA......
 

Adirshi

Royal कारभार 👑
Staff member
Sr. Moderator
36,049
47,986
304
Update 28

sadharan 7.20 ke kareeb darwaje ki bell baji waise hi om kursi par se utha aur darwaje ki or badha....uske dil ki dhadkane is waqt bullet train se bhi jyada speed se daud rahi thi....usne ek gehri saas li aur darwaja khola to samne khadi thi RADHA......
-----------------------------------------------------------------------
omkar ne jaise hi darwaja khola to samne radha khadi thi laal-safed rang ka chex ka shirt aur halke neele rang ki jens aise sade kapde usne pehne huye the lekin wo omkar ko utni hi sundar lagi jitni us din goa ki hotel main lagi thi apne hath main pakda hua buke wo om ko dete huye boli

radha-tumhari book ki safalta ke liye congratulations......

tabhi un fulo ki dekh kar haste huye om bola

omkar-jarbera...

radha-ha..hasne ko kya hua

tab darwaje se baju hokar om ne center tabl ki or ungli dikhayi jaha usne pehle hi jarbera ke phool rakhe the aur radha ko ander le aaya..tab omkar ke ghar ko ache se dekhte huye radha boli...

radha-tumhara ghar badhiya hai yaar...mujhe laga writer ka ghar matlab sahitya se sambandhit myurals ya kai famous writer ke quotes lage honge..

omkar-tum baitho yaar aur batao kya logi..

radha-kya hai?? skotch??

omkar-hai..soda chalega..

radha-nahi ek 60 on the rocks.

omkar frige main se barf do glass aur skotch ki bolttler le kar aaya aur radha ke samne ki kurci par baith gaya...

omkar-kaisi lagi book??

radha-ekdum badhiya mjhe bohot pasand aayi aur mukhya baat yane tumne bohot ache se likha hai jada shabdo ka istamal na karte huye bohot acha varnan kiya jisse padhne main acha laga....

omkar-hmm aur mira..?

radha-tum kuch jyada hi dhayan nahi rakhe huye the mujh par matlab meri choti se choti adat ko bhi tumne notice kiya mujhe to aisa laga mano main apne aap ko kisi dusre ki najar se dekh rahi hu....

omkar-ab writer bolne ke baad wo to hoga hi na...

radha-ha jo hua wo to tumne ache se likha hi hai balki jo nahi hua wo bhi..matlab wo kissing scene sahi main intense tha...

omkar-ab story ke liye kuch to romantic dalna hi tha na ..nahi to waha to kuch romance tha hi nahi...

radha-ye taunt tha kya....

tabhi rocord par jhuki jhuki si najargana chalu hua aur wo dono kuch pal tak us gane ka anand lene lage

omkar-kya awaz tha yaar absulutely magical...you know what is gane ke sath meri kuch memories main...college ke time holi ko rang khelne ke baad main mera dost hamari girlfriend aur kuch aur dost ek dam par gaye the...mere dost ki girlfriend solid hot thi aur uska awaz bhi utna hi madhur tha gane ache gati thi...to pani main masti hone ke baad sare dost usne bolne lage gana gane ko aur main us waqt kuch shy type ka tha jyada bate nahi karta tha main apna sar niche daal kar khada tha atb usne mujhe dekh kar kaha 'thik main lekin sirf iske liye' aur usne ye gana gaya jhuki jhuki si najar....

radha-waa...matlab ek to hot ladki ka tumhare liye gana gana aur wo bhi dost ki girlfriend ne ...tum to ekdum satve asman par honge....

omkar- ha na jab bhi ye gana lagta hai wo kissa jaisa ka waisa aankho ne samne aa jata hai....anyway so us din......

tabhi omkar ka phone baja aur usne wo cut karke baju main rakh diya

radha-kyu kya hua..le lo phone dekho kisi mira ka na ho...

omkar-are yaar kya batau tumhe itne phone aa rahe the aaj tumhara phone baja main to soch hi raha tha ki agar jhuti mira ka hua to uski khair nahi....

radha-hmm waise tum kuch keh rahe the

omkar-ha to us din......

itne main uska phone fir baja aur is baar usne phone cut karke switch off kar diya....

radha---are koi impotant call hoga na..

omkar-nahi ye basaise hi hai sapm calls to us din un chali gayi ho ye dhayan main aane ke baad man bus stand par jakar aaya.......

radha-tum bus stand tak gaye the..oh god...I was so right...

omkar-matlab??

radha-matlab main janti thi tum mujhe dhundne ki koshish karoge aur isiliye main pehle bus stand tak gayi auyr waha se taxi badal kar dusri or.....by the way sofie aunty kaisi hai tumne mera letter diya unhe ...

omkar-hmm diya maine letter par wo ok hai shayad unhe pata tha ke tum ek din aise achanak chali jaogi

radha-hmm unhe phone karungi main...

omkar-anyways baki?? anurag kuch bola milne par.

radha-haa..bola na..direct kuch nahi bola lekin.....

omkar-lekin kya...

radha-wo abhi france main hai aur usne wakeel ke hath se notice bhijwyi hai

omkar- kaisi notice?? divorce??? I don't know what to say par abhi usne tumhara sath dena chahiye tha matlab thoda gussa lajmi hai lekin aise ekdum extreme hona...

radha-om actually divorce ka karan alag hai....

omkar-tum use chd kar gayi police case wagaire yahi na...

radha-wo to bas ek bahana hai ab chodo na baad main kabhi bataungi Its bit more personal...

omkar-waise ye sab hua kaise...

aur fir radha ne om ko sari kahani sunayi.kabhi khushi kabhi exitement kabhi daar kabhi chunta..radha ke chehre ke haav bhav badalte ja rahe the aur om?? wo to aur hi uske pyaar main dube ja raha tha.

anurag ke ghar par aane ke baad uske sath kaisa bartav hua ye bhi radha ne use bataya aur hath main ka glass niche rakh kar om apni jagah se utha aur ekdum se radha ko gale laga liya

omkar-stop radha please stop main or nahi sun sakta....please stop...

kareeb ek mahine baad radha ko kisi ne apne kareeb liya tha..uska pati uske maa baap..usne so called high society friend sabne use rishte tood liye the wo sach much akeli pad gayi thi aur aise main wo omkar ka wo sparsh dur nahi kar saki aur uski aankhon main se aansu behne lage aur tabhi thik usi waqt living room ka darwaja khulne ka awaz aaya u dono ne bhi piche mud kar dekha to darwaje main olive rang ka party wear pehne khubsurat ladki khadi thi..

omkar-RIMA??...........
 

Adirshi

Royal कारभार 👑
Staff member
Sr. Moderator
36,049
47,986
304
Update 29

kareeb ek mahine baad radha ko kisi ne apne kareeb liya tha..uska pati uske maa baap..usne so called high society friend sabne use rishte tood liye the wo sach much akeli pad gayi thi aur aise main wo omkar ka wo sparsh dur nahi kar saki aur uski aankhon main se aansu behne lage aur tabhi thik usi waqt living room ka darwaja khulne ka awaz aaya u dono ne bhi piche mud kar dekha to darwaje main olive rang ka party wear pehne khubsurat ladki khadi thi..

omkar-RIMA??...........
-----------------------------------------------------------
rima ne ekbaar radha ki or dekha aur fir om ki or dekh kar boli

rima-Oh sorry lagta hai maine disturb kar diya

lekin om kuych nahi bola

rima-waisa bata dena chahiye tha na atleast main tumhari rah to na dekhti

omkar-tum mera wait kar rahi thi??

rima-cool..so aaj hamari date thi ye bhi shayad tum bhul chuke ho hai na?? wo wo bhi iske liye....bloody junky and criminal bitch...

omkar-stop it rima you only know half truth...

rima-wohi to isiliye tum phone band kar ke baithe the....you really don't deserve me om....good bye....aur ha....ye tumhaeri flat ki chabi jo itne salo se maine sambhal kar rakhi hai aur ab shayad lagta hai mujhe iski jarurat nahi hai.....

aur fir om ke kuch bolne ke pehle hi rima darwaja band karke chali gayi..

radha-tumhari girlfriend???

omkar-thi...kuch salo pehle hum live-in main the den wo broke up...

radha-par abhi tumhari date thi na??

omkar-meri waise bhi jane ki icha nahi thi aur sach kahu to main bhul bhi gaya tha...

radha-thats not good om jao use roko main ja rahi hu bye...

omkar-ruko radha..rima gayi hai to use jane do waise bhi ab hamare bhic waisa kuch nahi hai aur aage future main hoga bhi nahi so its good for her actually....

radha-let me clear om ab baat nikli hi hai to bata rahi hu ke humare beech bhi waisa kuch nahi hai aur aage future main hoga bhi nahi so..its good for you also tu know it...

omkar-par kyun radha??? tum aur anurag to waise bhi alag ho rahe to fir problem kya hai....

radha-om in sab bato ka abhi waqt nahi hai mujhe lagta hai tumhe rima ko rokna chahiye...its not not to keep a girl waiting and den cancle the date..be a gentleman...may be wo tumhe maaf kar degi.....ya shayad tum ek ho jao...meri wajah se tumdono ke beech jhagde nahi hone chahiye hum baad main baat karenge....

itna bol kar omkar ko koi baat bolne ka mauka diye bina radha bhi waha se chali gayi omkar ko kya karna wo samajh main hi nahi aa raha tha rima ke piche ja kar use roke ya radha ke??lekin cone ke bar par rakhi scotch ki bottle use jyada akarshit kar rahi thi mano keh rahi ho'come to me dear you need me more than anything' aur omkar ke wo bottle uthayi aur sidha apne hotho ko laga li.....strong scotch uska gala jalate huye uske pet main utar rahi thi lekin waha koi aur chiz bhi thi jo uske gale se jyada jal rahi thi aur wo tha uska dil....

omkar-good morning ashish

office main aate hi omkar bola lekin ashish ne koi jawab nahi diya wo bas apna kaam karnemain magn tha to om dobara bola

omkar- ashish.....good morning....

ashish-good morning..

omkar-kya ho gaya bhi itna udas kyu hai??

ashish-kuch nahi aise hi

omkar-tabiyat thik hai na tumhari....

ashish-hmm

omkar-ha to bhai apne book ke sales ka regional report lekar cabin main aa ja na dekhe to jara aur kaha kaha kaam baki hai waha waha promote karna padga....

ashish-main mail kar deta hu file....

omkar ne ek pal ashish ko dekha aur fir thik hai bolke cabin main chala gaya.ashish ko kya hua tha samajh main nahi aa raha tha lekin use routine main aane ke liye do din lage aur family problem hoga bolke om ne bhi use jyada cheda nahi...aise hi ek din omkar bas office main dakhil hi hua tha ke uska phone baja..radha ka phone dekh kar ek pal ko to use ashcharya hua aur usne jaldi se phone uthaya...

omkar-hii...pleasent surprise...

radha-hii kya kar rahe ho....

omkar nothing as usual...office main aaya hu

radha-umm do din free ho kya tum...

omkjar-do din??

radha-ha matlab koi kaam na to to general aaj aur kal

omkar-tum batao kaam kya hai main hu free

radha-mujhe gokarn jana haiu offoicial identification ke liye un logo ke safar lamba hai matlab driver hai sath main par agar tum chalte ho acha hota agar tumhari icha ho to....

omkar-why noot..mujhe bhi tumhara sath mil jayega

radha-om please no flirting please

omkar-thik hai bolo kab chalna hai....

radha-ek ghante main ?? kaha pick up karu thumhe...hum abhi nikle to 4 baje tak waha pahuch jayenge aur waha ka kaam karke lets head to goa sofie aunty ke paas waha aaj ki raat ruk kar kal sham tak wapas

omkar-fantastic...I m in mere ghar ke paas aa jao main tayar milunga

radha-ok den see u at 10..

omkar-10 is fine

radha-bye...

omkar-bye............
 

Adirshi

Royal कारभार 👑
Staff member
Sr. Moderator
36,049
47,986
304
Update 30

omkar-fantastic...I m in mere ghar ke paas aa jao main tayar milunga

radha-ok den see u at 10..

omkar-10 is fine

radha-bye...

omkar-bye............
-----------------------------------------------
phone rakhne ke baad to omkar ko kya karu wo hi samajh main nahi a raha tha pure do din use radha kasath milne wala tha usne laptop band kiya ashish ko do din ka plan bataya aur sidha ghar ki or bag pack karne bhaga

kareeb 10.20 ko radha ka om ko phone aaya ki wo uisne ghar ke niche gadi main uski rah dekh rahi hai..om ne apni hand bag uthayi aur niche aaya to dekha ke darwaje ke samne ek black colour ki C class mercedes khadi hai jiske kaanch black film se dhake hone ki wajah se ander ka use kuch nahi dikh paya usne dikki khol kar usme apni bag dali aur piche ka gate khol kar ander ghusa..

piche ki seat par radha baithi thi. blak colour ka satin ka shirt black colour ki hi formal pant aur uspar cream colour ka overcoat, high heals shoes aur aankhon par goggle aur bagal main leopard skin ki mehngi purse in short uski har baat main amiri jhalak rahi thi omkar jaise hi uske baju main baitha to uski naak main halke perfume ki mehak aayi aur usne radha se pucha

omkar-tum police station main ja rahi ho ya kisi ceeb party main ??

radha-ofcourse police station main ..lekin waha empression padna chahiye na they should know who I am! main koi raste par ki cheap sult nahi hu ye unhe pata chalna chahiye,ye radha aur wo radha alag hai

omkar-ok ok par atleast goggle to nikal mujhe akward lag raha hai yaar

radha-ok wo kya hai na dusro ke liye to main ab bhi anurag ki biwi hi hu

radha ekdum dhime swar main baat kar rahi thi jisse driver uski baate na sun le

omkar-radha..agar hum meri gadi main chale to kaisa rahega.

radha-kyu mercedes pasand nahi aayi

omkar-nahi wo baat nahi hai par agar aise hi dhime awaz main baat karna hoga to thoda mushkil hai

ye baat radhake bhiu dhayan main aa gayi ki wio aise itne dhime to nahi bol sakte to unhone driver ko bola aur use to waise bhi radha ke sath jane main intrest nahi thaisiliye wo gadi ki chabhi radha ko saup kar chala gaya aur radha aur om samne ki seat par aakar baithe

omkar-should we??

omkar ne gadi suru karte huye pucha

radha-yes please...

radha ne AC chalu kiya aur seat piuche kar ke relax hote huye boli aur om ne accelarator do teen baar daba kar firing ka anand lene ke baad gadi gear main dali aur dono nikal pade gokarn ke liye....

shahar ko piche chodte huye gadi express way par hawa ki rftar se daud rahi thi 100-120-140-160

omkar-super yaar matlab main pehle bhi mercedes main baitha hu par chalane ki baat hi alag hai 160ki speed aur kya gazab ki stble hai gadi

radha-crusecontrol on karo sare control auto set ho jayenge......paisa sabkuch nahi hota manya par kuch cheezo ka maja paise ke bagair nahi aa satha hai na?

omkar-actually..thank you anurag for this....

radha-om us din kya hua fir? tum mile rima se?

omkart-nahi..

radha-kyu ?? maine kaha tha na tumse

omkar-aur maine bhi to bata diya tha ki hamare beech waisa kuch nahi hai

radha-fir date kyu kabool ki thi uske sath..how mean of you om...

radha omkar se khafa thi aur omkar ko uske gussa bada acha lag raha tha agar radha uski hoti to shayad wo use baho main bhar kar manane k koshish karta lekin radha uski nahi thi...shayad abhi to nahi

omkar-wo maan hi nahi rahi thi 10 baar mana kar chuka tha main

radha-to gyarahvi baar bhi mana kar dete

omkar-jane do na chodo na jo hua acha hi hua

radha-goa main tumne bata nahi ki tumhari girlfriend hai

omkar- kab batata?? do din min to aap farar ho gaye the madam aurdusrio baat tab wo meri girlfriend nahi thi hamara bohot pehle breakup ho gaya tha

radha-ok ok thik hgai tum na taunting ka koi mauka mat chod na waise batao na tumhare relation ship ke bare main

aur fir agla ek ghanta omkar use rima ke bare main batata raha

radha-tumne to use love letters wagaire solid likhe honge

omkar-ha matlab thode likhe the

radha-wow yaar batao na kya likha tha jo yaad aata hai wo hi batao matlab koi poem wagaire likhi thi kya

omkar-hmm na...

ab gadi mumbai goa highway par aa chuki thi aur radha aur omkar bato main itne khoye huye the jaise mano unki kitne salo ki pehchan ho chalte chalte omkar ne gadi main apna pehdrive laga kar use play kiya aur sabse pehle unke kano maon padi gulzar ki shayari..gulzar sahab ke awaz main

bebas nigaho main hai tabahi ka manjar
aur tapakte ashk ki har bund
wafa kja ijhar karti hai....
duba hai dil main bewafai ka khajnjar
lamha-e-bekasi main tasabur ki duniya
maut ka deedar karti hai.....
e hawa unko kar de khabar meri maut ki...aur kehna
ke kafan ki khwahish main mneri lash
unke aanchal ka intajar karti hai.........

radha-uff kya awaz hai yaar ytuou know what my turn on point is?

omkar-what??

radha-awaz agar kisi insan ka awaz acha ho na to mujhe patane ki adhi ladayi to usne jeetli samjho

omkar-so you turn on by gulzar

radha-why not? gulzar....jagjeet singh..amitabh bacchan even naserudin shah..what about you tumhe ladkio main kya pasand main

omkar-aankhen aankhon main agar kashish ho to kya kehne

omkar ki adhi baat adhuri reh gayi aur wo radha ki aankhon main dekhne laga tokuch samay bad radha ne apni najre hata li...

aise hi bate kartehuye wo ab gokarn aa pahuche the radha ne apne kapde chehra thik kiya aur wo police station main chali gayi aur usi ke piche piche om bhi gadi lock karke police station main chala gaya................
 
Top