• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Mohabbatein... (Completed)

Adirshi

Royal कारभार 👑
Staff member
Sr. Moderator
36,042
47,954
304
Update 1

ujjain shahar mahakal ki nagri jaha 12 hi mahine bhole ke bhakto ka dera jama hua rehta hai. shahar se behti huyi shipra nadi apne aap main hi bhartiya sanskruti ki dharohar hai. to aaiye chalte hai isd shahar ke wasi gajendra singh chauhan ke ghar jinke purwaj jo the wo maharaj vikramaditya ke darbari the isiliye purvajo ka kamayahua man samman aaj bhi gajendra singh ji ne tikaya hua hai. ye apne ghar se bhi kafi sampann hai itne ke agar kuch na bhi kare to bhi bhar pet kha kar apni jindagi basar kar sakte hai magar inhone aisa nahi kiya balki IAS bane aur apni naukri ke dauran inka kafi jagah transfer bhi hua jinme mukhya roop se main mumbai ka naam lena chahunga jaha we kafi samay rahe aur isi ke chalte inke vichar bhi kafi adhunik hai filhal to ye retair ho chuke hai aur ujjain main hi apne purvajo ka karbhar sambhalte hai to aaiye milte hai inke pariwar se.........
is waqt subah ke kuch saat baj rahe hai aur gajendra singh ji jo hai wo mahakal ke darshan kar kar apne ghar main aa rahe the
"aa gaye aap aaiye main abhi apke liye chai nashta lagwat hu"[inse miliye janab ye hai is ghar ki home minister shanti devi gajendra singhji ki dharm patni inka swabhav bhi bilkul inke naam jaisa hi hai ekdum shant]
shanti devi-rashmi bete tumhare pitaji aa gaye hai mandir se uske chai nashta bana ya nahi
"bas maaji ban hi gaya abhi lati hu"[inse miliye ye hai is ghar ki badi bahu rashmi jo ki apne ghar ke sath sath apna kaam bhi badi bakhubi se sambhalti hai. Sahi samjhe rashmi apne pati ke business main unka hath batati hai]
"Rashmi mera bhi chai nashta lagwa do"[lo bhai naam liya banda hajir ye hai aloknath is ghar ke bade bete aur rashmi ke pati par inke naam par mat jaiye inka naam sir aloknath hai halanki bande ka swabhav bilkul viprit hai inki ujjain main bahut badi jewellery shop hai jise ye aur rashmi mil kar sambhalte hai]
Rashmi-ji bas abhi lagwati hu
Alok-pranam pitaji
Gajendra singhji-khush raho aur batao kya karyakram aaj ka
Alok-ji aisa to kush khas nahi hai pitaji roj ka hi routine hai bas naha kar dukan jana hai
Tb tak rashmi ne alok aur gajendra singhji ka nashta unki haweli ke lawn main hi lagwa diya tha aur wo dono nashta kar hi rahe the ke ek chahchahati huyi chanchal si college ki ladki bahar aayi
"Good morning pitaji, Good morning bhaiya"[ye hai gajendra singhji ki sabe choti aur sabse pyari santan nandini jo ki abhi college main padhti hai]
Gajendra singh, alok- good morning
Gajendra singh- princess kaha jane ki tayari hai subah subah
Nidhi-aur kaha jayenge pitaji college ja rahe hai
Alok-waise tera bhai neend se jaga ya nahi
Nidhi-hame nahi pata bhaiya chalo bye hum chele hamare college
Fir alok bhi nashta khatam karke rashmi ko sath le kar apne bhai ke kamre ki or chal diya .
Jaise hi wo dono kamre main paguche to un dono ke kano main jagjeet singh ki madhur awaz sunai padi aur kamre main ek table alok ka bhai kuch likh raha tha to alok uski or chal pada
Alok-kya likh rahe ho omkar
"Kisi ki yaado ko bhulane ki koshish jari hai bhaiya"inse miliye janab ye hai hamare kahani ke nayak omkar singh peshe se ye janab lekhak hai wo bhi crime oriented books ka waise to omkar mumbai main rehta hai par filhal apne ghar ujjain aaya hua hai aur ye janab kitab likhne ke sath sath har sunday times of india ke liye articals bhi likhte hai par haal hi main breakup hua hai isiliye dimag ki shanti ke liye ghar par aaye huye hai]
Rashmi-aise kyu bolte hai bhaiya jo bhi hua usme aapki galti to nahi thi na wo aapko chod kar gayi hai aapne use nahi choda
Omkar-hmm aap sagi keh rahi hai bhabhi aapko pata hai same yahi khayal mere dimag main bhi aaya tha aur isiliye to jagjeet sahab ko sun raha hu
Alok- chalo acha tum batao tumhari agli kitab kab aa rahi hai market main
Omkar alok ko jawab dene hi wala tha ke uska phone bajne laga usne phone dekha to phone uske media manager aur khas dost ashish ka tha
Omkar-ha ashish bolo
Ashish-kaha ho bhai wapis kab aa rahe ho tumko pata hai na ke tumhari pustak ka vimochan (book inauguration) hai 2 din baad
Omkar-ha bhai humko yaad hai hum pahuch jayenge thik hai chalo rakhte hai
Omkar-lijiye bhaiya aa gaya aapke sawal ka jawab 2 din baad book ka inauguration hai
Alok-are wah ye to bahut badhiya baat hai
Omkat-aur usike liye mumbai ke liye nikalna hai
Alok-main tumhari plane ki tickets book kiye deta hu
Omkar-nahi bhaiya uski jarurat nahi hai main car se jane wala hu by road
Rashmi-are par.....
Omkar-bha hi aap kyu chinta karti hai mujhe adat hai
Aur fir omkar bahar aa gaya aur phone par huyi puri baat apne pitaji aur maa ko batayi
Gajendra singhji-are waah bete tumhari chauthi kitab aane wali hai badi achi baat hai kab nikal rahe ho mumbai ke liye
Omkar-kal subah pitaji
Shantidevi-plane se hi ja rahe ho na
Omkar-maa aap to janti hai mujhe by road jana hi acha lagta hai main meri car lekar hi jaunga
Shantidevi-acha thik hai par aaj shaam ko mahakal ke darshan jaroor kar aana
Omkar-bilkul jaisa aap kahe
Shaam ko omkar apni maa ke kahe anusar mahakal ke darshan kar aaya aur jab shaam ko ghar lauta to use nandini ki khilkhilati awaz aayi
Nandini-aur lekhak mahoday suna hai aapki chauthi book aa rahi hai market main
Omkar-ha sahi suna hai
Nandini-kya yaar bhaiya aap hamesha crime books hi likhte ho kabhi koi romantic tale bhi likho
Omkar-sochenge....
Halanki omkar sabse to has kar bate kar raha tha par asal baat to ye thi ke uski pichli kitab puri tarah flop ho gayi thi par wo kahani aapko aage pata chalegi

Agle din omkar sabse vida lekar apni car se mumbai ke liye ravana ho gaya...........
 
Last edited:

Akki ❸❸❸

ᴾʀᴏᴜᴅ ᵀᴏ ᴮᴇ ᴴᴀʀʏᴀɴᴠɪ
26,727
30,992
304
Update 1

ujjain shahar mahakal ki nagri jaha 12 hi mahine bhole ke bhakto ka dera jama hua rehta hai. shahar se behti huyi shipra nadi apne aap main hi bhartiya sanskruti ki dharohar hai. to aaiye chalte hai isd shahar ke wasi gajendra singh chauhan ke ghar jinke purwaj jo the wo maharaj vikramaditya ke darbari the isiliye purvajo ka kamayahua man samman aaj bhi gajendra singh ji ne tikaya hua hai. ye apne ghar se bhi kafi sampann hai itne ke agar kuch na bhi kare to bhi bhar pet kha kar apni jindagi basar kar sakte hai magar inhone aisa nahi kiya balki IAS bane aur apni naukri ke dauran inka kafi jagah transfer bhi hua jinme mukhya roop se main mumbai ka naam lena chahunga jaha we kafi samay rahe aur isi ke chalte inke vichar bhi kafi adhunik hai filhal to ye retair ho chuke hai aur ujjain main hi apne purvajo ka karbhar sambhalte hai to aaiye milte hai inke pariwar se.........
is waqt subah ke kuch saat baj rahe hai aur gajendra singh ji jo hai wo mahakal ke darshan kar kar apne ghar main aa rahe the
"aa gaye aap aaiye main abhi apke liye chai nashta lagwat hu"[inse miliye janab ye hai is ghar ki home minister shanti devi gajendra singhji ki dharm patni inka swabhav bhi bilkul inke naam jaisa hi hai ekdum shant]
shanti devi-rashmi bete tumhare pitaji aa gaye hai mandir se uske chai nashta bana ya nahi
"bas maaji ban hi gaya abhi lati hu"[inse miliye ye hai is ghar ki badi bahu rashmi jo ki apne ghar ke sath sath apna kaam bhi badi bakhubi se sambhalti hai. Sahi samjhe rashmi apne pati ke business main unka hath batati hai]
"Rashmi mera bhi chai nashta lagwa do"[lo bhai naam liya banda hajir ye hai aloknath is ghar ke bade bete aur rashmi ke pati par inke naam par mat jaiye inka naam sir aloknath hai halanki bande ka swabhav bilkul viprit hai inki ujjain main bahut badi jewellery shop hai jise ye aur rashmi mil kar sambhalte hai]
Rashmi-ji bas abhi lagwati hu
Alok-pranam pitaji
Gajendra singhji-khush raho aur batao kya karyakram aaj ka
Alok-ji aisa to kush khas nahi hai pitaji roj ka hi routine hai bas naha kar dukan jana hai
Tb tak rashmi ne alok aur gajendra singhji ka nashta unki haweli ke lawn main hi lagwa diya tha aur wo dono nashta kar hi rahe the ke ek chahchahati huyi chanchal si college ki ladki bahar aayi
"Good morning pitaji, Good morning bhaiya"[ye hai gajendra singhji ki sabe choti aur sabse pyari santan nandini jo ki abhi college main padhti hai]
Gajendra singh, alok- good morning
Gajendra singh- princess kaha jane ki tayari hai subah subah
Nidhi-aur kaha jayenge pitaji college ja rahe hai
Alok-waise tera bhai neend se jaga ya nahi
Nidhi-hame nahi pata bhaiya chalo bye hum chele hamare college
Fir alok bhi nashta khatam karke rashmi ko sath le kar apne bhai ke kamre ki or chal diya .
Jaise hi wo dono kamre main paguche to un dono ke kano main jagjeet singh ki madhur awaz sunai padi aur kamre main ek table alok ka bhai kuch likh raha tha to alok uski or chal pada
Alok-kya likh rahe ho omkar
"Kisi ki yaado ko bhulane ki koshish jari hai bhaiya"[inse miliye janab ye hai hamare kahani ke nayak omkar chauhan peshe se ye janab lekhak hai wo bhi crime oriented books ka waise to omkar mumbai main rehta hai par filhal apne ghar ujjain aaya hua hai aur ye janab kitab likhne ke sath sath har sunday times of india ke liye articals bhi likhte hai par haal hi main breakup hua hai isiliye dimag ki shanti ke liye ghar par aaye huye hai]
Rashmi-aise kyu bolte hai bhaiya jo bhi hua usme aapki galti to nahi thi na wo aapko chod kar gayi hai aapne use nahi choda
Omkar-hmm aap sagi keh rahi hai bhabhi aapko pata hai same yahi khayal mere dimag main bhi aaya tha aur isiliye to jagjeet sahab ko sun raha hu
Alok- chalo acha tum batao tumhari agli kitab kab aa rahi hai market main
Omkar alok ko jawab dene hi wala tha ke uska phone bajne laga usne phone dekha to phone uske media manager aur khas dost ashish ka tha
Omkar-ha ashish bolo
Ashish-kaha ho bhai wapis kab aa rahe ho tumko pata hai na ke tumhari pustak ka vimochan (book inauguration) hai 2 din baad
Omkar-ha bhai humko yaad hai hum pahuch jayenge thik hai chalo rakhte hai
Omkar-lijiye bhaiya aa gaya aapke sawal ka jawab 2 din baad book ka inauguration hai
Alok-are wah ye to bahut badhiya baat hai
Omkat-aur usike liye mumbai ke liye nikalna hai
Alok-main tumhari plane ki tickets book kiye deta hu
Omkar-nahi bhaiya uski jarurat nahi hai main car se jane wala hu by road
Rashmi-are par.....
Omkar-bha hi aap kyu chinta karti hai mujhe adat hai
Aur fir omkar bahar aa gaya aur phone par huyi puri baat apne pitaji aur maa ko batayi
Gajendra singhji-are waah bete tumhari chauthi kitab aane wali hai badi achi baat hai kab nikal rahe ho mumbai ke liye
Omkar-kal subah pitaji
Shantidevi-plane se hi ja rahe ho na
Omkar-maa aap to janti hai mujhe by road jana hi acha lagta hai main meri car lekar hi jaunga
Shantidevi-acha thik hai par aaj shaam ko mahakal ke darshan jaroor kar aana
Omkar-bilkul jaisa aap kahe
Shaam ko omkar apni maa ke kahe anusar mahakal ke darshan kar aaya aur jab shaam ko ghar lauta to use nandini ki khilkhilati awaz aayi
Nandini-aur lekhak mahoday suna hai aapki chauthi book aa rahi hai market main
Omkar-ha sahi suna hai
Nandini-kya yaar bhaiya aap hamesha crime books hi likhte ho kabhi koi romantic tale bhi likho
Omkar-sochenge....
Halanki omkar sabse to has kar bate kar raha tha par asal baat to ye thi ke uski pichli kitab puri tarah flop ho gayi thi par wo kahani aapko aage pata chalegi

Agle din omkar sabse vida lekar apni car se mumbai ke liye ravana ho gaya...........
Jai mahakaal ??

Bdiya update bhai ji,,,,

Omkar hero --- writer ?

Waiting for next update
 
Last edited:

Adirshi

Royal कारभार 👑
Staff member
Sr. Moderator
36,042
47,954
304
Update 2

omkar usi din raat tak mumbai pahuch gaya tha drive karke kafi thaka hua hone ke karan wo apne ghar main guste apne kamre main jakar so gaya kuki kal ka din uske liye kafi bada tha...
agle din..
south mumbai main ek bade se book store ke samne ek metallic grey color ki honda city car aakar ruki uski car main se ek 26-27 saal ka ladka bahar aaya.usne gadio ke color se hi mel khata hua ek grey color ka jacket pehna hua tha pair main crocodial shoes the usper barik frame ka goggle aur balo main gel. wo koi or nahi balki apna omkar tha. omkar aage badka aur boy ko valle ko gadi park karne ke liye gadi ki chabi di aur aage badha.
waha us book store main ek kone main 10-12 log jame huye the jinhe dekh kar omkar ke chehre par ki smile thodi kam ho gayi. omkar ko dekh kar gale main ek bada sa I-card dale huye ek banda uski taraf badha usko dekhne se lag raha tha ke usi ki taraf is program ko sambhalne ki jimmedari ho
"wel come omkar sir, welcome"wo banda omkar se hath milate huye bola
omkar- are ye kya hai chandan bas itne hi log
omkar kuch naraj sa lag raha tha.
omkar ek naya naya famous hua writer tha ek hi saal main publish huyi huyi uski do book ek dum super hit sabit huyi thi. crime stories ka naya ugta hua tara bol kar faomus publisher chandwani ka award bhi use mila tha.pahile bank robbary aur dusre kidnaping par based omkar ki dono book hato hath bik gayi thi. omkar ki book akhri moment tak pathako main utsah banaye rakhte the par us hisab se omkar ka tisra book hona utna hit nahi hua tha aur aaj uska chautha book launch hone ja raha tha.
lekin is baat ke liye waha jama 10-12 logo ko dekh kar omkar kuch nirash ho gaya tha
omkar-chandan....bas itne hi log hai?
chandan-I m sorry sir advertise to bahut ache se kiya tha ....lekin...aayenge sir aur bhi log aayenge
chandan thoda utsah dikhate huye bola
omkar-ok anybody from media?
chandan-no sir
omkar- ok where is ashish
chandan- sir wo aa rahe hai maine unko bata diya hai aap aa gaye ho wo wo secone flore par hai bas aate hi honge.
omkar-well den should we proceed??
chandan-one second sir
aisa bol kar chandan ne kisi ko phone lagaya
chandan-omkar sir is making entry spot light and claps please
aur kuch 2 second ruk kar usne omkar ko chalne ko kaha aur isi ke sath ek bada spot light omkar par aakar ruka jiske sath sath neeli sadi main khadi ek ladki ne announcement ki aur kuch gini chuni taliyo ke awaz ke sath omkar stage par chadha.
samne baithe logo main jada koi utsahi nahi dikh raha tha pehli line main to 2-4 pensionner hi aakar baithe huye the jinhe dekh kar omkar ko ek wakya yaad aaya jaha aise hi ek budhe insan ne use uski book main ke hotr scenes ke bare main kuch bate sunai thi aur usse kuch bhi sabak liye bagair uske is book main bhi hamehsa ke hot scenes dale hi the. jaise jaise omkar hi najar aage badhi to aage kuch college friends ka group baitha hua tha bas itne hi log the
omkar- thank you my friends
omkar ne mic apne hath main lekar bolna chalu kiya
omkar-mujhe pata hai ke mujhe aane main thodi der ho gayi hai uske liye dil se sorry. meri pichli teno book ko jo aaplogo ne pyaar diya hai is book ke sasth bhi waisa hi hoga yahi asha hai meri is book main aapko murder ,kidnapping romance sab kuch dekhne ko milega............
omkar bhar bhar ke apni book ki tarif kiye ja raha tha tabhi uske phone par ek sms aaya usne sms khol kar dekha to wo ashish ka tha
"om jyada samay mat lagao warna jo jame hai wo log bhi chale jayenge ye sab jaldi khatam karke uper aao chandwani saab tumhari rah dekh rahe hai"
omkar ne message padh kar uper ki or dekha tyo second folr ki lobby purane ajay devgan ke jaise hairstyle wala ashish khada tha
.
ab ashish bologe to omkar ka sabse karibi dost jo dost hone ke sath satrh omkar ka maneger bhi hai jo om ki sari publications,meetings media connections sab handel karta hai usne omkar ko jaldi uper aane ka ishara kiya aur fir omkar ne apne sane jama logo se kaha
omkar- so friends here wo go......
aur fir usne apne book ko launch kiya
omkar- fiends sirf aaj ke din ke liye is book par 30% discount hai aur sath hi jo log abhi is book ko kharidte hai unhe meri sined copy milegi iski bhi vyavasta hai main abhi yahi hu
launch khatam, karke omkar kone main ek table par jakar baith gaya. waha jama logo main se sirf do ladkiyo ne book kaharida aur chup chap omkar ki sign lekar waha se chali gayi jiske baad usne ashish ko phone lagaya
omkar-hello...ashish....are ye kya hai bhai......itna thanda response....sirf ek book bika hai
ashish-tu wo chod aur uper aa chandwani saab wait kar rahe hai
omkar-par kyu maine to unko pehle hi bata diya tha ke mujhe unke offer main koi interest nahi hai.
ashish-ye dekh om tu please chidna mat . apna tiska book kuch khas nahi chala aur chauthe se bhi mujhe koi khas asha nahi hai
omkar- are par kyu pehli dono books kityna badhiya profit dekar gayi thi
ashish-kyu?? are ek tisre insan ki najar se padh kar dekh pura type-cast ho gaye ho tum. wohi khoon wohi mara-mari wahi sab kuch are predictable ho gaya hai ye aur tumko pata hai agar ye book nahi chali to humlogo ko kitna bada loss hoga
omkar- ha t wo tab ki tab dekhenge na abhi to us chandwani ko bhej de
ashish-dekho om adha ghanta ho gaya hai unke jais abada aadmi tumhari rah dekh raha hai ek baar mil to lo
omkar-par yaar mujhe love story likhne main koi interst nahi hai wo mera genre nahi hai
ashish-ye sab bate aamne samne bhi ho sakti hai tum uper aap pehle

ab to samne maujud log bhi chale gaye the omkar ne ek lambi saas li aur wo chandwani se milne ke liye second floor ki or badh gaya.....................
 
Bdiya update tha bhai ji

Omkar ki is book ke launching ke mauke par thanda response mila ??

Shuru me apne likha ki omkar thaka hone ke karan ghar me gusa aur let gya to kya omkar ka mumbai me ghar h ??

Yaa phir omkar ke pita naukri ke samay mumbai the, tab ghar liya tha vha

Ab ye chandwani ki new entry hui hai

Waiting for next update
 
Last edited:
Top