• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Meri Manorma.......... A Vintage Tale.....1913-1938

asadjee

Well-Known Member
8,144
17,661
174

Update....No:17

****************




maheshgadh ki do sides me jungle tha .. ek side me jahan race hui thi, us side me aage chal kar firse pahadon ka silsila shuru ho jaata.. ek side bachi thi, jahan door door tak verana hi verana tha.. usi verana se guzar kar aage bohut si bastiyan aur riyasten thee.... usi raste par chalte hue kuch mile ke faasle par rajkumari kanwal ki riyasat thi.....

main george ke sath usi disha me aage badhne laga.. ye rasta saaf tha.. kuch mile aage chal kar 3-4 chhoti chhoti pahadiyan thee.. side se guzar kar bhi rasta tha wahan.. par shortcut k liye log aksar unhi pahadiyon ko istemal me laaya karte the

jab hum un pahadiyon tak pohnche to mujhe manorma ne bataya tha... main bhi george ke sath pahadiyon ke beech me se bane hue raste se guzarne laga.....

wo rasta tang tha... paidal ya fir ghode parse yahan se guzra ja sakta tha... koi yakka yahan se nahi guzar sakta tha..

aisa ilake aksar dakuon k liye hua karte the.. wo ghaat laga kar logon ko loota karte the... hum koi preshani nahi thi. hum dono ghodon par sawar wahan se guzarne lage..

ek pahadi ke beeche me se guzar kar jab hum dusri pahadi ke beech bane raste se guzarne lage.. to kuch daku achanak se hi saamne aa gaye.. manorma mujhe pehli hi bata chuki thi..... fir bhi maine isi raste aane ka soch lia tha..

george ko bhi maine saabdhan rehne ko bol dia tha.. george hath me talvar aur ek rifle liye puri tarha se ready tha, sab ko bhoonne k liye

dakuon ke paas bhi rifles aur talvaren thee... daku total 9 the.. khud ko zayada jaan kar wo sher bane hue the.. saale geedar the abhi kuch der me hi wo pairon me gire pade hote

ek daku:- rifle aur talvaren phenk kar ghodon se neeche utar aao.. warna jaan se jaaoge.........

george:- badi daleri hai bhai tumme... humen dara na dekh kar bhi tum bol rahe ho, mere hathon me rigle aur talvar dekh kar bhi tum hamare tevar nahi samjhe ho...

bolne wala daku shayad sardar tha.. wo firse bola

sardar:- hahahaha bohut se bolne wale hum hamesha k liye chup karwa chuke han.. tu bhi bol le, jitna bolna hai.. fir tu bhi unhi ke sath aatma lok me hoga..

hahahahahhahahahahahahhahahahahahahhahahahahahahhahahahahahahhahahahahahahhahahahaha


saare daku hassne lage... george bhi abb purane wala george nahi raha tha.. wo sara hi badal gaya tha.. manorma ne george ko badal dia tha.. george me darding to pehle bhi thi, par wo ladna nahi jaanta tha.. parr abb

abb to wo qahar dhaa kar rakh deta

hum dono ne apne hathiyar nahi phenke, waise hi ghodon parse utar kar thoda sa side me ho gaye

arjun:- main jaanta tha k tum jaise aise hi raston par naka laga kar aam janta ko pareshan karte rehte ho... bohut se ghar ujad diye honge tum sabne milkar..

sardar:- oye bol matt aur hathiyar phenk kar thoda sa aage chal kar khada ho jaa

hamara fasla 20 feet kar tha..........

george ko dekh kar maine ishara kar dia.. wo samjh gaya.. hum dono hi ek dusre ki mukhalif side me ekdumm se jump laga kar gir pade........ mere paas bhi ek rifle aa gai thi manorma ki badolat......

girte hi hum dono ne dakuon par fire khol diye...... tad...tad...tad...tad...tad...tad...tad...tad...tad...tad...tad...tad...tad...tad...tad...tad...tad...tad...tad...tad...tad...tad...tad...tad...tad...tad...tad...tad...tad.

ki awaz verane me goonj uthi aur sardar ko chhod kar baaki ke sare daku dher hone lage


der nahi lagi aur sardar ko chhod kar baki sare khun me lat pat pade hue the.. sardar jo achanak badli situation se statue ban gaya tha.. wo kuch kar paata... george utha aur chal ke sardar ke saaamne ja khada hua... sardar ke hath me talvar thi

george:- abb hosh me aa bhi jaao moorkh.. tum jaise gareebon ka khun choosne wale, kahan jaante honge k kisi mard se ladna, chal kar mera saamna, utha tlavar aur kaat de mujhe.. ya tu khud ko kayar samjhta hai

sardar george ki baat sunkar puri tarha se hosh me aa gaya.. koi bhi jaisa bhi ho, apni mardangi par jab baat aaye to sehn nahi kar pata.. sardar bhi george ki kadwi baaton se seekh paa ho gaya tha..

wo talvar liye geroge par pal pada tha.. main side khada george ko ladte hue dekhne laga..... george kahi se bhi pehle wala george nahi dikh raha tha.. talvarbazi me puri tarha se mahir ho chuka tha wo... talvar bhi uske paas khaas thi, jo use manorma ne di thi..........


sardar badh chad kar geroge par war karne laga.. geroge peeche hatta hua sardar ke war ko apni talvar par rok raha tha.. fir george ne sardar par war karne shuru kar diye. abb ki baar sardar ki baari thi peeche hatne ki.. george ki talvar ki kaat aur power bohut badhkar thi.. sardar k liye george ke saamne tik pana mushkil hone laga.. george kabhi round me talvar humata to kabhi straight, to kabhi sardar ke sar par war karta.

sardar abb bokhlaya hua lag raha tha.. george ke war ki power aur talvar ki kaat ne use khaufzada kar dia tha......

fir george ne ek zor ka war kiya aur sardar ki talvar toot gai.... fir george ne dusra war kiya aur sardar ki gardan kaat di.. khun ka ek fawara sardar ki kati hui jaga se nikal pada..... george ne laat maar kar sardar ke dhad ko gira dia

arjun:- manorma tum mere saamne nahi aa sakti kya

manorma:- kyun saamne aane k liye kyun bol rahe ho

arjun:- mera mann ho raha hai tumhe choomne ko.

manorma buri tarha se sharma gai..fir wo arjun ke kandhe par khadi hui aur arjun ke gaal kar kiss kar dia....... arjun jhoomne laga

arjun:- manorma tum mujhe kiss kar rahi ho, jabke kiss karna mera banta tha

manorma:- hehehe baat ek hi hai arjun, kiss tum karo ya mai

arjun:- baat ek kahan hui, tum jab chahe mujhe chhu sakti ho, aur main chah kar bhi tumko chhuu nahi sakta, choom nahi sakta

manorma:- uske liye abhi time hai

arjun:- kitna time hai

manorma:- wo bhi bata dongi, abb chalo aage nahi jana kya, george bhi aa chuka hai..

manorma to har baat ko suspense me hi chhod deti thi, aksar baat puri nahi karti thi


fir main aur george ghode par sawar hokar manzil ki or badhne lage....... rajkumari kanwal ki riyasat ke paas se guzar kar hum aage badhne lage.. dil me kuch hulchal si hone lagi thi. jab hum rajkumari kanwal ke ilake se guzar rahe the..

manorma hassne lagi thi.. aur mujhe chhedne lagi thi...

3 ghante ke safar me humne kai chhoti badi bastiyan cross ki thee.. fir hum apni manzil par jaa pohnche........


manorma ne mujhe bata dia tha k anita ka ashiq kahan milega... sabse pehle main george ke sath uske ghar ja pohnchaa...

6 marle ka bana hua ghar tha anita ke ashiq ka.. maine darwaza khatkhaya to ek jawan ladki ne darwaza khola

ladki:- ji bhai kisse milna hai aapko..... ladki dukhi chehra liye hue mujhse poochne lagi..... khubusrat thi, lekin mele kapdo me thi.. doodh jaisa rang tha, par jaise wo kisi pareshani me thi, isliye khud ko apni aise banaye hue thi

arjun:- dheeraj se milna hai mujhe

ladki:- main unki behen hon, is time to bhai ghar me nahi hai, wo bahar gaye hue han.. ladki usi tone me boli..

arjun:- ghar me aur kaun kaun, tumhare pita to honge naa ghar me

ladki:- ji wo han

arjun:- mujhe unse hi milwa do.. bohut zaruri baat karni hai mujhe...

ladki:- main baithak ka darwaza kholti hon

ghar ke darwaze ke sath hi baithak kar darwaza bhi tha, jald hi wo khul gaya main george ke sath andar dakhil hua to saamne ek chaapayi aur do kuriyan padi hui thee.. hum dono kursiyon baith gaye.... ladki andar chali gai thi

kuch der me 50 ki age ka ek admi andar dakhil hua, wo dikhne me kisi pehlwan se kamm nahi tha

main aur geroge khade hogaye

arjun:-ram ram chacha ji

chacha:- ram ram beta

arjun:- chacha ji hum dheeraj ke maamle me baat karne aaye han

chacha:- pehle aap dono baith jaao.. hum baith gaye to wo bhi charpayi par baith gaye

chacha:- dheeraj ke baare me kya baat karni aap dono ko..... chacha thandi saans chhodte hue bole

arjun:- bohut dukhi lag rahe han aap chacha ji

chacha:- kya bataon beta.. hamara ek hi beta hai. jaane use kya ho gaya hai.. wo jo har dumm khush raha karta tha, sabko hassaya karta tha, wo jo uske jaisa is ilake me koi mard nahi tha.. abb wo dukhi rehne laga, hassna bhul gaya hai.. sookh kar kaanta hone laga hai..

chacha ji apna dukh chhupa nahi sake the.. shayad wo har kisi ke saamne apna dukh keh dia karte the.. samay bhi to bohut beet chuka tha..

arjun:- main jaanta hon chacha ji aapke bete ki ye halat kaise hui hai..

chacha:- kya sach me hi tum jaante ho beta.. hum to usse poochh poochh kar thak gaye han, parr wo kuch batata hi nahi ha..

arjun:- chacha ji wo ek ladki se prem karta hai, aur wo ladki abb uski zindagi se door ja chuki hai, dheeraj sehn nahi kar paya, jis bina par uski aisi halat ho gai hai

chacha:- kyaaaaaa.. par humne to kabhi kuch suna hi nahi

arjun:- kaise kuch sun paate, wo ladki yahan ki nahi door ki ek basti ki ladki thi.. isliye yahan ka koi bhi nahi jaan paya

chacha:- beta tum bhale ladke dikhte ho, hamara ek hi sahara hai, use mitne se bacha lo.... chacha ne dono hath mere aage jod diye.... main utha aur unke dono hath tham liye

arjun:- chacha hum yahan aaye hi isi liye han k aapki aur aapke bete ki madad kar saken.......

"beta ye karke tum ek dukhi pariwar ko umar bhar ki khushiyan de doge"

awaz aayi to maine udhar dekha to ladki ke sath dheeraj ki maa bhi andar dakhil ho rahi thi.. ladki ke hath me tray tha, usme hamare liye kuch peene ko tha..

main aur george khade ho gaye

main aage badha aur aurat ke paaon chhuu liye

arjun:- main bhi aapka dheeraj hi hon maa.. aapka dusra beta ghar ki khoi hui khushiyan firse lautane aaya hai maa

maa:- jug jug jio mere laal.. dheeraj maa ne mere mathe ko choom liya.. ladki bhi aansu bahane lagi thi. maine ek glass tray parse utha liya aur maa ko pilane laga.. ye dekh kar chacha aur ladki aur bhi aansu bahane lage.. koi paraya aa kar pyar aur hosla de, khushiyan de, to aansu nikal hi aate han..

ye teeno to fir bhi jaane kitne samay se aansu baha rahe the.... maa ne bhi mere hath se glass me maujud sharbat adha pi liya,.... fir wo apne hath se mujhe pilane lagi

ajnabi the hum.. pal bhar me hi ghar ke fard ban gaye the

feorge khada muskura raha tha.. manorma jhoom rahi thi.. dheeraj ki maa baba aur behen khushi ke aansu baha rahi thee..

kuch der me wo teeno cahrpayi par baith gai aur hum kursiyon par

arjun:- maa abb mujhe batayen k dheeraj hum kahan milega..

maa:- wo basti ke bahar baagh me hota hai..kahi jata bhi nahi hai.. shaam tak wahi rehta hai. for laut aata hai


arjun:- to fir hum bhi wahi chalte han.. abb se aap sabb khush rehna, abb se dheeraj bhi aapko pehle jaisa hi milega.. ye mera aap sabb se wada hai


fir sabse milkar main aur george nikal pade

geroge:- arjun tum kitne achhe insan ho, har kisi ki madad karte rehte ho

arjun:- main achha hon k nahi, ye to mujhe nahi pata geroge.. par ek baat main jaanta hon k agar tum kisi k liye achha kar sakte ho to fir kabhi bhi peeche matt hato. kuch bhi kar guzro.. agar tumhare kuch kar guzarne se kisi ko khushiyan milti han, kisi ki zindagi me asaniyan banti han to humen zayada nahi sochna chahiye.. zindagi ka kya hai, aaj hai to kal nahi ka pata nahi.. is liye jitni saanse han wo dusron k liye waqf kar do

george:- sahi kah tumne yaar, tumhare aane se pehle zindagi ke 40 saal maine aise hi bita diye.. bohut kuch kar sakta tha main bhi, par kuhd ke andar se ghulami wali soch ko main nikal nahi paya.. par abb

abb mere andar ka sab badal chuka hai yaar.. ye sabb tumhari waja se hua hai..

maine geroge ke kandhe par thapki di aur paidal hi ghodon ke sath chalte hue basti se bahar jaane lage

kuch der me hum basti se bahar the.. saamne hi ek bada baagh tha, wahi dheeraj maujud tha........ hum baagh me pohnche.. wahi mali se poochha to usne bata dia k dheeraj kahan hai..... dono chatle hue wahi ja pohnche


dheeraj ek aam ke darakht ke neeche baitha hua zameen kured raha tha.. majnu bana hua tha wo... mele se kapde pehne hue the usne.. baal bhi mitti se bhare hue the

manorma:- dekha arjun aisa hota hai pyaar, aur aisa haal ho jata hai jab kisi ko dil ka rog lag jata hai..... fir thandi aah bharti hui...jaane tum kab mere liye aise banoge...hehehe.. fir manorma hassne lagi

arjun:- aisa ashiq main to kabhi nahi ban sakta

manorma:- aur banna bhi matt.. aise ashiq to kayar hote han, jisse prem karte han, use khud se door jaate dekh kar himmat haar dete han, prem k liye bohut badi badi kurbaniyan deni padti han, aur ye stupid apne hi ghar ko barbad karne par tula hua hai

arjun:- haan par iska prem to sachha hai naa

manorma:- haan wo to hai. anita ke maamle me ye bohut aage nikal chuka hai..

arjun:- geroge dheeraj ko hilao, kuch hosh me aaye

george dheeraj ke paas pohncha aur use jhanjhod dia.. hilane se wo kaha hosh me aane wala tha.. dheeraj hadbada gaya aur sar utha kar geroge ko dekhne laga... fir uski nazar mujhpar aur hamare ghodon par padi to sarr ko jhatkate hue wo uth khada hua

dheeraj:- ji babu ji, kahiye kaise aana hua

george:- pehle tum khud ko theek kar lo

dheeraj:- main theek hon bhai aap batayen koi kaam tha mujhse kyaa.?

arjun:- haan dheeraj hum tumhare paas kaam se hi aaye han

dheeraj:- main kis kaam aa sakta hon aapke bhai.. main to khud ke kisi kaam ka nahi raha.. dheeraj firse khone laga tha...

arjun:- main wahan se aaya hon jahan tumhari anita rehti hai..... anita ke naam par dheeraj ko ek jhatka laga, uska khoya pann kahi rafu chakkar ho gaya aur mere paas aa kar mere hath thaam kar mujhe dekhne laga

anita ke naam kar hi wo khil utha tha..

dheeraj:- anita.. kaisi hai wo.?

arjun:- kaisi ho sakti han wo dheeraj. yahan tum sog me ho, to wahan wo sog me hai.. tum to kahi bhi akele reh kar use yaad kar sakte ho.. par wo to kahin bhi akeli nahi reh sakti

dheeraj:- haan jaanta hon, abb to wo mehlon ki rani ban gai hai.. kahan use fursat milegi mujhe yad karne ki

arjun:- tum kitna perm karte ho anita se dheeraj

dheraj hassne laga

dheeraj:- nahi jaanta mai kitna prem anita se karta hon, parr itna pata hai k uske bina abb kuch yaad nahi rehta.. har dumm wo khayalon me rehti ha.. sone bhi nahi deti mujhe uski yaaden..

arjun:- abb to wo tumhari zindagi se door ja chuki hai, to kyun khud jo apne ghar walun ko barbad karne par tule hue ho

dheeraj:- main chah kar bhi yaadon se bahar nahi aa paa raha bhai.. bohut koshish kar li maine, mujhe bhi apni maa, apne baba apni behen ki chinta hai.. par anita mere andar bohut gehrayi tak utar chuki hai.. use jitna bhulane ki koshish karta hon, wo utna hi yaad aati hai


arjun:- to abb agar kuch aisa ho jaaye k anita firse tumhari zindagi me laut aaye, to tum kya karoge

dheeraj ke chehre ki chamak bohut badh gai thi meri is baat se

dheeraj:- main ji uthonga firse, meri saaanso me basi hai anita.. mujhe wo mil gayi to samjho mujhe puri kainat mil gayi, itni khaas hai anita mere liye

arjun:- parr abb wo shadi shuda hai, ek rani hai, abb wo kunwari nahi rahi hai, abb tum wo khalis nahi mil sakti.. is halat me bhi tum use qubool kar loge

hahahahaha..... meri aatma hai wo.. mujhe uske jism se garz thi hi kabb, main to bass har pal use apne saamne pana chahta hon..

arjun:- to tumhe abb bhi agar anita milti hai to kya tum abb bhi usse utna hi prem karoge, jitna pehle karte the, ya abb karte ho

dheeraj:- nahi utna prem to mai anita se nahi kar sakta.. mera perm to anita se har din badhta hi chala jaa raha hai.. agar wo mujhe mil gayi to main to fir uske saamne bitha kar uski puja kiya karunga..

maine dheeraj ko apne seene se laga lia.. dheeraj ko bhi ek aas dikh gai thi.. par abhi wo puri baat jaanta hi kahan tha, abhi wo mere dil ki baat nahi jaan paya tha.. fri bhi anita k milne ki baat par hi wo bohut khush ho gaya tha..

hum alag hue

arjun:- to fir chalo hamare sath, sabse pehle tumhare ghar chalte han, maa baba aur behen tumhara intezar kar rahe honge..

george;- usse pehle ise kisi hamaam wale ke paas le chalte han, insan ban kar ghar jaayega to ghar wale aur bhi khush ho jaayenge


geroge ki baat bhi sahi thi... dheerej ko lekar hum firse basti ja pohnche.. ek hamaam wala bhi tha basti me.. wahi pohnche aur dheeraj ka huliya badalne lage

1.5 ghante baad jab dheeraj ke ghar pohnche to sab dheerej ko dekh kar cheekh pade.. khushi hi sabko badi hui thi, ek muddat ke baad unhe unka beta mila tha..

maa ne apne bete ko choom kar gale se laga liya.. behen ne bhi apne bhai ko apne gale se lagaya, baba ka iklota beta tha, wo bhi dheeraj ko insan bane dekh kar khush ho gaye..


arjun:- chalo sab hamare sath hi chalo... wahi ek ghar bhi hai, wahi sab rahenge.. abb se aap sabb ko hamesha wahi rehna hoga..

maa:- par beta yahan ka sab kaise chhod kar jaa sakte han hum

baba:- haan arjun beta, bhare pure ghar ko chhod kar jana sahi nahi hai

arjun:- maa, baba samaan ko kya sochna.. samaan to aur bhi aa jata hai.. bass sab sath me rahen ye achhi baat hai..



fir sab wahan se nikal pade.. unke paas bhi ghode the.. zaruri saman lekar wo hamare sath nikal pade


shaam se pehle hum apne ghar me the

sab ghar dekh kar bohut heran hue.. aise ghar me rehne ka to kisi ne socha bhi nahi hoga...... socha to maine bhi nahi tha..... sabko khush dekh kar manorma bhi bohut khush ho gayi thi


manorma:- hmmmmmmha jio harazon saal tum arjun.. aise hi sabme pyaar bant'te firo..

arjun:- ek to main tumhari kiss se bada pareshan ho jata hon manorma

manorma:- kya matlab meri kiss se tum pareshan ho jate ho.... manorna dono hath kamar par rakh kar mujhe ghoorne lagi

arjun:- mere dil ko kuch kuch hone lagta hai.. mera dil bhi karta hai, main bhi tumhe pakad kar choomne shuru kar dun

manorma sharmane lagi..

arjun:- abb sharmane se kaam nahi chalega samjhi tum.. ya to mujhe choomna chhod do.. ya fir mujhe bhi khud ko chhune diya karo..... abhi tak to main apni marzi se tumhe chhuuu bhi nahi saka.. jab mannn karta hai, tum mujhe touch kar leti ho.. mera bhi mann karne lagta hai tumhe chhune k liye



manorma:- haaye mera romeo to mujhpar puri tarha se fida hi ho gaya hai..

arjun:- pata nahi mai fida ho raha hon k nahi, parr mann me zarur kuch hulchal si hone lagi ha


abb to sabb aa gaye han to abb kya karne ka irada hai

arjun:- tum bataao kya karna sahi rahega..

manorma:- main bataaon

arjun:- haan tum bataao

manorma:- do din yahi rehte han, fir rajkumari kanwal ke mehal chalte han, wahan kuch maze karenge, fir laut aayenge.. fasla hi kitna hai.. kuch time mila to yahan wapis aa jayenge.. abhi to nelson se bhi panga ho gaya hai hamara, to sab taraf dhayan rakhte hue maze marenge

arjun:- mere to maze han, tumhaze maze kaise honge

manorma apne honto par zuban ferte hue ankhon me chamak liye mujhe dekhne lagi.....

arjun:- kitne din khun k bina reh sakti ho

manorma:- mujhe 48 hours me khun ki zarurat mehsus hone lagti ha.. 1 week ke baad meri power kamm hone lagti hai.. 1 mahine k baad meri halat aise ho jaati hai, jaise kisi sehraa me koi piyasa admi ghanton se safar kar raha ho, aur suraj bhi sarr par ho..
uske baad main bhi kisi registan k musafir ki tarha se aediyan ragadne lagti hon...

arjun:- agar tumhe koi kaid kar le aur peene k liye khun bhi naa de

manorma:- aisa ho nahi sakta koi mujhe kaid nahi kar sakta

arjun:- agar fi bhi koi aisa kar paaye to

manorma:- to uske bhi kai conditions hoti han, halat bhi fir usi hisab se mujhpar asar andaz hote han.. abb chhodo is topic ko.. jenny tumhare liye sochne lagi hai

arjun:- kya baat karti ho :shocking: main to uske dad ko uske ghar me zaleel karke aaya hon ๐Ÿค”

manorma:- tumhare jaisa mard use bhi to kabhi mila nahi hai naa.. ๐Ÿ˜€

arjun:- achhaa ye baat hai :smile:

manorma:- haan ji yahi baat hai, is time bhi wo apne dil par hath rakh kar suhane sapne dekh rahi ha :dream:

arjun:- abhi to dinner time bhi nahi hua aur wo sapne dekhne lagi

manorma:- love me aisa hi hota hai arjun :smile:

arjun:- chal theek hai use bhi dehk lete han.. lagta hai shakuntla ke baad uska number lagne wala hai'

manorma:- shakuntla se yaad aaya, us raat jaisi aur kai raaten tumhare sath bitane k liye wo aaj kal mehal ke mandir me bohut chakkar lagane lagi

arjun:- usse kya hoga

manorma:- tum mehlon ki dunya ko nahi jante arjun.. mehlon me bane hue mandiron me aksar pandit apna pet bharne k liye maujud rehte han.. kai sadhu bhi wahi mandir me maujud han.. kai rajkumar, rajkumariyan aur raniyan apna ek khas pandit mandir me rakhe hue han, wo kala jadu bhi jaante han.. uske apne matlab ke kaam karwati hai


manorma ki bat sunkar main heran reh gaya :shocking:

arjun:- sach me hi aisa hota hai kya.โ“

manorma :- haan bohut kuch hota hai mehlon me .. tum jab wahan rehne lagoge to dekhna kya kuch dekhne ko milta hai tumhe.. abhi to tum apni zindagi baare bhi kuch nahi jaante.. abhi to tumhari zindagi me hungame shuru hue hi nahi han.. abhi to bohut kuch dekhna baaki hai arjun


"arjun bhai arjun bhai"

dheeraj ki behen radha ki awaz mujhe sunaayi di.... maine use dekha to naye kapde jo manorma ne uske liye uske room me arrange kar diye the.. unhi kapdon me se ek ko pehn kar wo mere saamne aa gai


main use dekhne laga.....

radha:- kaise lag rahi hon main bhai

arjun:- bohut paayri lag rahi ho tum meri behen..

radha khush ho gai

radha:- arjun bhai mujhe yahan aa kar bohut achha lag raha hai..

manorma:- arjun iske mann me kuch aur bhi tumhare liye chalne laga hai

arjun:- achhhaa, parr ye sahi nahi hai manorma, kaise bhi karke iske dil ko palat do

manorma:- pagal ho kya, kisi ke dil se nahi khelna chahiye. dheere dheere use samjhane ki koshish karna, agar baat bani to theek, warna basanti ki tarha use bhi thoda sa pyar de dena

radha khushi khushi chali gai thi, sabse pehle wo mujhe hi naye kadpe dikhane aai thi, ab baaki sabko wo apne kapde dikhati.. wo pehle mere paas hi aai thi, uske dil me kuch tha, tabhi wo mere paas pehle aai thi

main ek lambi saans lekar reh gaya.... pata nahi kahan jaa ke break lagne wali thi meri aisi life ki

na bilkul bhi nahi lagne wali.... basanti ko chod kar jo shuruaat hui thi wo jaane kahan tak ka safar mujhse karwati


vaise radha bhi ek nayab piece thi, mele kapdo me bhi wo doodh ke jaisi dikh rahi thi, parr abb naye kapdon me wo kisi rajkumari se kamm nahi dikh rahi thi. kapde bhi to uske liye manorma ne arrange kiye the, kaise wo fir katil na dikhti..

dheeraj ko yahan laane ka maksad tha is mehal ke raja ko badal kar dheeraj ko raja banana.. jab rani anita thi to anita k dil ka raja bhi dheeraj hi tha, to fir wo mehal ka asli raja kyun nahi ban sakta tha... bohut khun behne wala tha is mehal me....

jaisi zindagi raja aur rajkumar jiya karte the.. unke sath to main rehm nahi kar sakta tha.. raja mere liye achha tha, use mere jaisa nahi mila tha naa, isliye mere sath wo achha bartaao kar gaya tha.. yaa wo ab budha ho gaya tha, isliye bhi aisa ho gaya tha.

bohut si zindgiyan to usne bhi ujaadi thi.. bohut se gharon me matam to uski waja se bhi bichh gaya tha.. badi rani ke baad jitni bhi raniyan thee, dasiyan thee, wo sabb bhi kisi shareef ghar se thee.. gareef ghar se thee.. par raja ne apni daulat ki power se, apni manpower se har us ladki ko apne mehal me laa chhoda jis par bhi uski nazar pad gai thi.. sala ek rat me bhi ek ko chode to ek mahine me 30 banti han..

raja ki patniyon, dasiyon ki tadaad 50+ thi.. 4-6 mahine aish karke use kachre ki tarha se side me phenk deta tha.. aison ke sath narmi karne ka koi fayda nahi tha

har ek ladki ke apne sapne hote han, sab ke sab adhure reh gaye the.. koi bhi chah kar kuch bol nahi sakti thi.. warna use aur uske pariwar ko cheer dia jaata

anita ke sath bhi aisa hi hua tha.. wo gareeb nahi thi, parr pyar karne wale pariwar se thi wo.. uske ghar wale chah kar bhi inkaar nahi sake.. inkaar kabhi kisi raja ke saamne koi bhi nahi kar sakta tha.. warna us ghar ko shamshan bana dia jata tha

abb se mehal me raja bhi badlega aur rajkumar bhi wahi rahega is mehal me jo dheeraj ke liye, anita k liye sahi hoga.. baaki sabb ko maar dia jaata.. ya kaid kar dia jaata


.
.
.
.
.
Aaj k liye inta hi



 
Top