• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Naughtyrishabh

Well-Known Member
9,647
28,945
218
Update 105
----------------------


jiya news chanel ke office se sidhe apne office pahunchi. aur baha par divya ki help karne ki kosis karne lagi. par uska man kaam me lag hi nahi raha tha. divya kaafi der tak jiya ko notice karti rahi. aur fir achanak se boli

divya- kya baat hai jiya????? koi problam hai kya????

divya ki baat sun kar jiya ko hosh aaya, aur wo chonk kar boli....

jiya- hannnn..... nnnahiiiii.... to.... koi baat nahi hai.....

divya- to fir ye file ulti pakad kar kya padne ki kosis kar rahi ho?????

divya ki baat ko sun kar jiya ko apni galti ka yehsash hua. usne turant file ko sidha karte huye kaha

jiya- kkkuchhhh bhi to nahiii... wo to bus yun hi...

divya- kya yun hi??????? tabiyat to theek hai tumhari??????

ab tak jiya kaafi had tak samhal chuki thi... is liye muskura kar boli

jiya- haan baba sab thik he... wo to bus aaj thodi thakan ho rahi thi.... isliye sayad...

jiya ki baat sunkar divya apni chair se uthi, aur jiya ke sir par haat rakhte huye boli...

divya- are tumhe to bahut tej feaver hai....

divya ko yun pareshan hota dekhkar jiya ne baat ko taalti huye kaha

jiya- are kuchh bhi to nahi hua hai mujhe... mene kaha to hai thodi si thakan ho rahi hai bus.

par divya kaha manne baali thi. wo jiya ki baat ko kaatte huye boli

divya- thakhan me itna tej feaver nahi hota. baat jaroor kuchh aur hai.....

divya ki baat sunkar jiya kuchh der divya ko dekhti rahi, aakhir kaar usne divya ko news chanel ke office me hui ghatana ke baare me divya ko batane ka nirnay kar hi liya. aur fir wo boli

jiya- wo wo wo baat dar asal ye hai ki, mujhe nahi laga ki hum log nisha di ko yese dhund payenge. hame apne plane ko change karna hoga. kyun ki.....

nisha ka naam sunte hi divya samajh gai ki nisha ko lekar jiya kuchh jyada hi serious ho gai he. jiska asar na keval mentally ho raha he. balki ab physically bhi jiya par uska asar hone laga he. isliye jiya ki poori baat sunne se pehale hi divya ne use bich me hi tok diya. aur lagbhag use dantte huye boli....

divya- chup.... ek dum chup... pehale hospital chalo... uske baad baat karenge....

jiya- par.....

divya- koi bar bar nahi..... bahut sun li tum sab ki bate.... aur bahut dekh li sab ki notankiyan.... pata nahi sab ko kya hota ja raha he????? sabhi ko mahaan banne ka bhoot sawar hota ja raha he.... mahaan banne ke liye nisha di kya kam he???? are pehale inshan to ban jao..... jab tum apna khud ka dhyaan nahi rakh sakte, to fir kya khak kuchh aur kar paoge???? bese bhi agar nisha di yaha hoti, to kya tumhe is haal me bardast kar paati???? ya fir agar unhe ye pata chalega, ki unki bajah se tumhari ye haalat ho rahi he. to unhe kesa lagega??????

divya ki baat sunkar jiya khamoshi se sir jhukaye bethi rahi. jiya ko khamosh dekh kar divya fir boli

divya- ab chalo utho jaldi se, hospital chalte hai...

is baar jiya bina kuchh kahe chupchap uth khadi hui. aur fir dono hospital ki taraf cal diye. hospital me aaj jyada bheed nahi thi. isliye manju unhe free mil gai thi. manju ne jiya ka checkup kar ke use feaver aur stress ke liye kuchh tablets di aur aaj rest karne ke liye bol diya.

--------------------------------------------------------

jiya ka checkup karane ke baad divya jiya ko sidhe ghar par le aai. ghar par maa aur uncle hi the. divya ne maa ko jiya ki tabiyat ke baare me bata diya tha. isliye maa un dono ko cofee banane ke liye chali gai. jabki divya ne jiya ko uske room me le jakr lita diya. hospital jaate samay aur bapis aate samay divya aur jiya ke bich koi bhi baat nahi hui thi. aakhir kaar divya ne hi baat ki suruaat ki aur boli

divya- i am sorry jiya... wo mene kuchh jyada hi over react kar diya tha.

divya ki baat sunkar jiya muskurati hui boli

jiya- tum pagal ho kya????? mujhe tumhara dantna bilkul bhi bura nahi laga. balki achchha hi laga. tumhe pata he???? jab kabhi mai koi galti karti, ya apna dhyaan nahi rakhti thi, to nisha di bilkul yese hi mujhe dantti thi. kaafi samay ho gaya tha kisi ki dant sune bina. tumne mujhe danta to nisha di ki yaad aa gai. are mujhe to tumhe thanks kehana chahiye....

jiya ki baat sunkar divya bhi muskura uthi... aur boli...

divya- bus bus bahut ho gai makkhan baaji.... ab batao kya baat hai???? tum to renu se milne gai thi na???? aur ye nisha di kaha se beech me aa gai??????

divya ki baat sunkar jiya serious ho gai. usne ek lambi sansh li. aur fir wo divya ko sab kuchh batati chali gai. aur jab wo saari baat bata chuki to boli

jiya- ab tum hi batao hum yesi sthity me nisha di ko kese khoj payenge?????

apni baat khatam kar ke jese hi jiya ne divya ki taraf dekha, to wo divya ke reaction ko dekhkar hairaan reh gai, kyun ki divya par is poori baat ka koi khash asar nahi hua tha. yesha lag raha tha jese divya pehale se hi sab kuchh janti ho. aakhir kaar jiya ne poochh hi liya

jiya- divya tumhare reaction ko dekhkar to yesha lag raha he, jese tum ye baat pehale se hi janti ho!!!!!!

jiya ki baat sunkar divya thodi serious hote huye boli

divya- nahi.... mujhe ye sab nahi pata thi. par mujhe yesha hi kuchh hone ka sak jaroor tha.... pichhle 3 saalo me renu ne kabhi bhi apni personal life ke baare me kisi se bhi discus nahi kiya he. sayad maa se bhi nahi.... par mai bhi ek aurat hun... itna to dushri aurat ko dekh kar samajh me aa hi jata he. mene ek do baar usse poochha bhi, par usne taal diya tha.

jiya- to fir ab jab tumhe poori baat pata chal gai hai... to kya ab bhi tumhe vikash par gussa nahi aa raha???????

divya- bilkul aa raha he... balki jise bhi ye sab pata chalega use bhi gussa aayega hi... par mai ye bhi janti hun ki vikash me bhale hi kuchh kamiyan ho. par wo dil ka bura nahi hai. aur ye baat bhi sach he, ki wo renu ko baakai me pyaar karta he. usne renu ke saath jo kuchh bhi kiya, wo us drug ki bajah se kiya tha. par ab jabki usne us drug ka antidose le liya he. to mujhe yakeen he ki, kuchh hi samay me wo apni galtiyon ko bhi sudharna suru kar dega.

jiya hairani se divya ko dekhe ja rahi thi. use yakeen hi nahi ho raha tha. ki divya ye sab keh rahi he. aakhir kaar wo bol hi padi

jiya- aakhir tumhe ho kya gaya he???? tumhe vikash par gussa aa raha he, par use bhala bura kehane ki jagah tum uska paksh le rahi ho....

divya- iski do bajah he... pehali bajah to ye hai ki mujhe poori baat sunkar jitna vikash par gussa aa raha he, usse kai guna jyada renu par garv ho raha hai.... jitna shadi se pehale mai renu ko janti thi. wo ek chulbuli aur mashoom si ladki hua karti thi. usse itna sab kuchh bardast karne, aur use itni samajhdaari se handle karne ki ummeed koi bhi nahi kar sakta tha. par aaj dekho usne sab ko galat sabit kar diya. khud saari problam face karti rahi, par aaj tak kisi ko bhanak iski bhi nahi lagne di. aur aaj bhi itna sab sehane ke baad bawjood, wo vikash ke saath kuchh bhi bura hote nahi dekh sakti. isliye vikash par gussa aane par bhi, renu ki ichchha ka dhyaan rakhna hamara farz he.

divya ki baat sun kar jiya boli

jiya- sayad tum sahi keh rahi ho.... hame renu ki ichchha ka bhi dhyaan rakhna chahiye... tumhari baato ko sunkar aur ab tak ke renu ke prayasho ko dekhkar yesha hi lagta he ki wo khud hi is situation ko handle kar sakti hai. par dushra karan kya hai?????

jiya ki baat sunkar divya kuchh palao tak khamosh rahi. aur fir usne ek gehari sansh lekar bolna suru kiya

divya- dushra karan hai hamare parivaar ka ek ek karke bikharna....

divya ki baat sunkar jiya hairani se use dekhti hui boli

jiya- matlab????????

divya- matlab ye ki jab se nisha di gai hai, hum sab ke aapsi risto me duriyan aani suru ho gai hai. aur ab sthity poore parivaar ke tootne ki banne lagi he. tum dhyaan se ab tak ki saari sthity par nazar dalogi to tumhe bhi meri baat par yakeen ho hi jayega. suruaat ajju aur nisha di ke jhagde se hui thi, jiske baad nisha di ka hum sab se door jana, maa aur renu ka tum dono se door jana, renu aur vikash ke beech ki duriya, mama ji ki wo harkat, tum logo ka mama ji se door jana, aur agar kuchh din se tumne dhyaan diya ho to, tumne dekha hoga ki ravi bhai sahab bhi ab bina kisi baat par ajju se naraj hone lage hai. aur ab renu aur vikash ke baare me sach jaankar tumhara vikash se saare sambandh khatam kar lena..... ye hamare poore parivaar ke ek ek kar ke bikharne ke sanket hi to hai. koi mere baare me kuchh bhi soche, par mai ab aur yesha hone nahi de sakti. isliye mene sab kuchh janne ke baad bhi koi reaction nahi diya.

divya ki baat sunkar jiya ek baar fir uska samarthan karte huye boli

jiya- tum sach hi bol rahi ho.... mene to kabhi is baat par dhyaan hi nahi diya he.... ye bakai me bahut buri sthity ban rahi he. ab tum hi batao hame kya karna chahiye.

divya- bese to ye kaam hamare bado ko karna chahiye tha. jese mama ji, maa, papa ji. par mama ji ne nisha di ke saath jo kiya, uski bajah se filhaal wo apne hi gum me itna doob chuke he ki unse iski koi ummeed karna bekaar hi hai. jabki maa nisha di se itna jyada pyaar karti he, ki unhe nisha di ke alawa kuchh dikhai hi ahi de raha he. jabki papa ji to jese in sab mamlo se sanyash hi le chuke he. unhone to saare mamlo ko hum sab logo par hi chhod rakkha he. isliye hame hi kuchh karna hoga.

jiya- wo to mai bhi samajh rahi hun par kya karna chahiye??????

divya- filhaal hame nisha di ko dhundne ka prayash band karna hoga.

divya ki baat sunkar jiya hairan hote huye boli

jiya- whatttttt??????? ye tum kya bol rahi ho divya??????

divya- mai sach bol rahi hun.... is bikharte huye parivaar ke saath nisha di ko dhundne ka koi fayda nahi hai. nisha di jab yaha se gai thi, to sara parivaar ek saath tha. wo tab tak bapis nahi aayegi, jab tak ki hum sab fir se pehale ki tarah ek nahi ho jaate. isliye nisha di ko dhundne se pehale, hame na keval hamare parivaar ko aur jyada bikharne se rokna hoga. balki sab kuchh pehale jesa hi karana hoga. par ye sab keval hamare bus ki baat nahi hai. iske liey hame kisi aur ki bhi awashyakta padegi.

jiya- kis ki???????

divya- maa ki..... hum maa ke bina ye sab kar hi nahi sakte.... jab tak maa hamara poori tarah se saath nahi deti. hum kuchh bhi nahi kar payege.

divya ki baat sunkar jiya nirash hote huye boli

jiya- par mami ji to mujhse naraj hai.... mujhe nahi lagta ki wo....

jiya apni baat poori keh bhi nahi paai thi, ki tabhi un dono ko maa ki aawaj sunai di

maa- kis ne kaha ki mai tumse naraj hun jiya????? haan mai tumse pehale naraj thi. par jis din tumhe apni galti ka yehsash hua. usi din mene tumhe maaf kar diya tha. lekin nisha ke yun achanak sabse door jaane ka asar mere swabhav par bhi pada hai. par aaj divya ki baat sunkar mujhe meri galti ka yehsash ho chuka hai. divya sach hi to bol rahi hai, ki is parivaar ko bikarne se rokna hi hoga.

maa ki aawaj sunkar divya aur jiya dono hi buri tarah se chonk gai. dono ne palat kar gate ki taraf dekha, to paya ki maa gate ke pass apne hatho me cofee liye khadi hui hai. pata nahi wo kab se baha par thi. jiya to ye soch kar hi dar gai thi, ki kahi maa ne renu baali baat sun to nahi li he. isliye wo na chahate huye bhi poochh bethi.

jiya- ma ma mami ji aa aa aap??????? aap kab aai...

jiya ki baat sunkar maa andar aate huye boli

maa- tab..... jab tum renu ke baare me divya ko bata rahi thi

maa ki baat sunkar jiya buri tarah se dar gai. maa se uski halat chhipi nahi reh saki. is liye wo un dono ko cofee dekar khud bhi cofee ka cup haath me lekar bahi beth gai. aur boli

maa- daro mat.... mai is baare me kisi ko kuchh nahi batane baali. aur na hi tumhe aur vikash ko mai koi dosh dene baali hun.... divya ne jo kuchh bhi kaha he wo sach hai. renu se itni samajhdaari ki ummeed kisi ko bhi nahi thi. par usne jis tarah se poori situation ko handle kiya he. use dekhkar lagta hai, ki wo apne faishle khud le sakti hai. aur hamara ye farz hai ki hum uske faishle ka samman kare. halanki mai ek maa hun, aur apne bachcho ko dukhi nahi dekh sakti. par renu ne mujhe us par garv karne ka moka diya hai. ek maa ko isse jyada aur kya chahiye??????

maa ki baat sunkar divya aur jiya ne rahat ki sansh li. aur fir divya boli

divya- maa wo wo mai....

divya ki baat beech me katte huye maa boli

maa- ab tujhe kya hua he????? bese garv karne ka mouka to tumne bhi mujhe diya hai. aksar maa baap apne bachcho ko unki galti ka yehsash karwate he. par aaj tumne mjhe meri galti ka yehsash karwaya hai. tum bilkul meri nisha ki hi tarah ho... aaj se aur abhi se tum mujhe apne saath hi samjho. mai tumhari baat se poori tarah se sehamat hun. sabse pehale hame in bikharte huye halato ko sudharna hoga. par kese???? ye samajh me nahi aa raha. ab tum hi batao ki hame kaha se suruaat karni hogi.

maa kis baat sunkar divya muskura kar boli

divya- maa suruaat to ho hi chuki hai. aap ne jiya ko maaf kar diya to aapke aur jiya ke riste sudharne ki suruaat ho hi chuki he. udhar jiya aur renu ke ek dushre se baat karne par unki duriya bhi kam ho gai he. ab baaki logo ke liye hum milkar koi na koi upay dhund hi lenge.

divya ki baat sunkar jiya boli....

jiya- baat to tumhari theek he divya, par hum yun hi nisha di ki talash beech me hi to nahi rok sakte na. baaki log bhi to hai jo mere plane ke anusar nisha di ke baare me jankari ikatthi kar rahe he. agar hum un sabhi ko filhaal ye sab karne se rokenge to kai saare sawal khade ho jayenge.

jiya ki baat sunkar maa boli

maa- divya jiya bhi sach bol rahi he.... hame nisha ki talash, aur is parivaar ko ek karne ka kam, ek saath karna hoga.

maa ki baat sunkar divya kuchh der khamosh rahi, aur maa ki kahi baat par sochti rahi. fir achanak se boli

divya- to thik hai maa... yesha hi karte he. par mere plane ke anushar...

divya ki baat sunkar jiya boli

jiya- kya????????

divya- is samashya ka filhaal mere pass ek hi samadhan hai, aur wo ye hai ki tum aur maa dono milkar poore parivaar ko ek karo. jabki mai baaki logo ke saath milkar nisha di ki talash karti hun.

jiya- par tumhara hamre saath hona jaroori he

divya- nahi hai... mera is kaam me tumhare saath hona utna jaoori nahi he, jitna tumhara aur maa ka saath me milkar ye kaam karna he. rahi baat meri to jaroorat padne par mai to saath hun hi. bese bhi maa hamare saath hai to is kaam me jyada problam nahi hogi. par tumhara maa ke saath hona bahut jaroori hai. kyun ki samasya ki suruaat tumse aur ajju se hi hui hai.

divya ki baat sunkar maa boli

maa- mujhe laga he ki divya theek hi keh rahi hai.

aakhir kaar jiya bhi sehamat ho hi gai. aur boli

jiya- theek hai..... jese aap kahe. mai taiaayr hun

par divya ne to jese jiya ki baat par dhyaan hi nahi diya aur boli

divya- ek baat aur he... aur wo ye hai ki kal se office ka saara kaam tum akele hi handle karogi. bese bhi mene tumhara lagbhag saara pending kaam poora karwa diya hai. ab kal se mai tumhare saath office nahi jaa rahi hun.

divya ki baat sunkar maa aur jiya dono hi chonk gai. aur lagbhag ek saath boli

"what..... par kyun?????"
To is update me Divya chhayi rahi.
Bada hi badhia update raha ye to.
 

Naughtyrishabh

Well-Known Member
9,647
28,945
218
Update 106
----------------------


divya kuchh der tak khamosh hi rahi, aur fir usne bolna suru kiya.

divya- wo isliye kyun ki mere dimag me nisha di ko khojne ka ek naya tareeka aaya he. halanki plane bahi purana he. par use anjaam dene ka tareeka mera naya hai

jiya- mujhe kuchh bhi samajh me nahi aa raha he, ki tum kya bol rahi ho divya????

divya- are baba.... baat ekdum simple si hai. hame nisha di ka pata lagane ke liye IT orgnizations ka pichhle 2 saal ka data chahiye. halanki baaki sabhi log apni apni tarah se iski kosis kar rahe he. par mujhe lagta hai ki ye kaafi nahi he. hame sahi sahi jaankari ke liye kisi na kisi ek IT orgnization ke andar apni pakad banani hi hogi. agar hum kisi ek orgnization ke andar bhi apni pahunch banane me kaamyab ho gaye, to baaki orgnizations se bhi hum apne matlab ka data ashani se prapt kar sakte he. isi liye mene ab office na jane ka fiashla kiya hai

jiya- matlab?????

divya- matlab ye hai ki kal se mai alag alag IT orgnizations me job ke liye apply karne baali hun. i hope mai jald hi kisi na kisi orgnization me job prapt kar hi lungi. uske baad ka kaam hamare liye ashan hoga. par ek problam he

maa- kya?????

maa ki baat sunkar divya bahut jyada serious ho gai. aur kuchh der tak khamosh hi rahi. divya ka ye reaction dekh kar maa aur jiya bhi kaafi serious ho gai. unhe laga ki jaroor koi bahut badi problam hogi. maa aur jiya ko bhi serious dekhkar divya boli.

divya- wo wo wo problam ye he ki.... iske liye mujhe aap sab ki ijajat chahiye....

itna bolkar divya muskura di. jabki divya ki poori baat sunkar maa aur jiya bhi muskura uthi. aur fir maa divya ke gaal par pyaar se ek chapat lagate huye boli....

maa- achchha.... mere saath hi ye notanki... are mene bhala aaj tak tumhe kisi kaam ke liye mana kiya hai kya??????

maa ki baat sunkar divya muskurate huye boli

divya- nahi maa... aapne kabhi bhi mujhe kisi bhi kaam ke liye mana nahi kiya he, balki hamesha mera saath hi diya he. par mere hote huye aap ko ghar ke kaam karne pade ye mujhe achchha nahi lagta he. mujhe job karne se jyada aapke aur papa ji ke saath ghar par samay bitana jyada pashand he. aap dono ke saath rehane par mujhe apne mummy papa ki yaad hi nahi aati.

divya ki baat sunkar maa ne divya ko apne gale laga liya. aur uske maathe par pyaar se kiss karte huye boli

maa- are re re mera bachcha... jab sab kuchh theek ho jayega, to jesa tera dil kare wo karna. par abhi ke halat tujhe pata hi hai. abhi hame bahi karna hoga jo ki jaroori hai. bese tera plane to achchha he. meri taraf se tujhe ijajat hai.

divya- theek he maa... mai kal se hi apne kaam par lag jaati hun. aur aap dono apne kaam par lag jaiye.

divya ki baat sunkar kuchh der tak baha khamoshi rahi. aur fir achanak se jiya boli

jiya- par hum log suruaat kaha se kare?????

jiya ki baat sunkar divya kuchh der tak sochti rahi aur fir boli

divya- apne aur ajju ke riste ko sudhar kar

divya ki baat sunkar jiya hairan hote huye boli

jiya- matlab?????? aakhir tumhe yesha kyun lagta he ki mere aur ajju ke riste me koi problam hai????

divya- keval mujhe hi nahi lagta... balki jyadatar logo ko yahi lagta he.

jiya- par kyun??????

jiya ki baat sunkar divya thodi serious ho gai. aur fir boli

divya- dekho jiya sach kadwa hota hai... ho sakta he ki meri baat sunkar tumhe bura lag jaye. isliye is baat ko mere muh se sunne ke sthan par, tum khud hi iske baare me vichaar karo to behatar he.....

isse pehale jiya kuchh keh pati unhe ajju ki awaj sunai di...

ajju- haan ye sahi hai ki sach kai baar kadwa hota he. par koi apna jab sach bolta hai to wo achchhe ke liye hi hota hai. aur jo sach achchhe ke liye hota he uska kabhi bhi bura nahi mana jata. isliye mai bhi ab sach janna chahata hun. mai janna chahata hun ki mere apne aakhir mere baare me soachte kya hai.

ajju ki awaj sunkar jiya, divya aur maa ne lagbhag ek saath gate ki taraf dekha, to baha par ajju aur monu khade huye paya. jiya ajju ko baha dekh kar poochh hi bethi

jiya- aaapp.... aap kab aye?????

ajju- bus abhi abhi.... manju ne mujhe call kar ke tumhare baare me bata diya tha. monu mere saath hi tha. isliye hum dono chale aaye.

itna bolkar ajju aur monu dono hi room ke andar aa gaye. aaju ne jiya ke sir par haath rakh kar uska feaver check kiya. to use sab normal laga. sayad daba ka asar jiya par ho chuka tha. isliye wo bola

ajju- thanks god tum theek ho.....

ajju ki baat sunkar jiya muskura kar boli

jiya- mai to pehale hi keh rahi thi ki mai theek hun... par divya maan hi nahi rahi thi...

jiya ki baat khatam hote hi maa uth khadi hui, aur boli

maa- tum log beth kar baate karo, tab tak mai sabhi ke liye cofee lekar aati hu.

maa ki baat sunkar ajju bola

ajju- are maa rehane do.... hum dono just abhi abhi monu ke office me cofee pee kar aaye he. ab thodi der baad hi piyenge.

ajju ki baat sunkar maa fir se bahi unlogo ke saath beth gai. kuchh der baha khamoshi rahi. jise aakhir kaar ajju ne hi bhang kiya

ajju- to divya bhabhi ji... aap ne bataya nahi ki aakhir aapki mere aur jiya ke baare me kya raay hai. aur kyun hai.... kahi aapko jiya ki tarah mere bhi naraj hone ka dar to nahi lag raha....

ajju ki baat sunkar divya muskura kar boli....

divya- nahi devar ji..... tumse mujhe bilkul bhi dar nahi lag raha. tumhe mai bachpan se janti hun. hum saath pade he. achchhe dost bhi rahe hai. aur upar se ab hamare beech ye devar bhabhi ka rista bhi hai, to bhala tumse kuchh bhi kehane me mujhe kyun dar lagega. par haan jiya ke naraj hone ka thoda dar jaroor hai. kyun ki jiya kuchh jyada hi sencetive hai. wo har baat par bina soche samjhe turant react kar deti he.

divya ki baat sunkar jiya muskura kar boli

jiya- mujhse darne ki jarurat nahi he divya... mai tumhari kisi baat ka bura nahi manungi. mujh par yakeen karo....

jiya ki baat sunkar divya kuchh der khamosh rahi, aur fir wo ajju ki taraf dekhte huye boli

divya- mera manna hai ki pati patni ke risto ke bich kai baar achchhe aur bure dono prakar ki paristhitiya aati hai. ye un dono ki aapsi samajh par nirbhar karta hai ki wo unko kese handle karna chahate he. tum dono ki tarah sabke saamne apne riste ka majak banana chahate he, ya fir nisha di ki tarah khud se hi use suljhana chahate he.

ajju divya ki baat sunkar bola

ajju- aakir aapko yesha kyun lagta hai, ki hum dono apne riste ka majaak banba rahe he....

ajju ki baat sunkar ek baar fir divya kuchh der khamosh rahi, aur fir wo boli

divya- asal me pichhle 3 saal se jyada samay se tum dono yahi karte aaye ho.... mujhse sawal karne ke sthan par tum dono pichhle 3 saal ki apni harkato par najar daloge to tum dono ko khud hi jabab mil jayega. par agar fir bhi tum log mere muh se hi sunna chahate ho to suno... pichhle 3 saal me yese kai mouke aaye he, jab tum dono ke bich ki problam sabke saamne khul kar aai ho. tum dono chahate to use apne star par bhi suljha sakte the. par nahi suljhaya... balki use sabke saamne laakar apna tamasha hi banwaya hai. ajju ko roj raat ko sarab peeni hi peeni hai. ye baat sab jante he. kai baar saraab peete peete ajju ko ye bhi hosh nahi rehata ki raat jyada ho gai hai. ab ghar chalna chahiye. ghar par bhi koi uska wait kar raha hoga.

itna bolkar divya jiya ki taraf dekhte huye boli

divya- aur agar ajju ko ghar bapis aane me samay jyada ho jaye, to jiya turant vikash ko call, inhe call, ravi bhai sahab ko call... matlab ki poori duniya ko pata chal jata hai ki aaj fir ajju ghar nahi aaya he. mai ye nahi kehati ki jiya ne galat kiya. mai keval itna keh rahi hun ki is situation ko aur bhi jyada achchhi tarah se handle kiya ja sakta tha. agar jiya aur tum chahate to.... ajju agar ek din ghar nahi aaya to koi baat nahi.... agle din to aayega hi..... agle din bhi nahi aaya to uske agle din aayega.... tab uske saath beth kar baat karni chahiye thi. agar nahi sune to jhagda bhi karna chahiye tha. par jitna ho sake is baat ko apne aap tak hi seemit rakhna chahiye tha. hum sab tum dono ke apne hai. par pati patni ke beech ki kai saari bate yesi hoti he jo keval un dono tak hi rahe to achchha lagta hai. par tum dono ke case me yesha kuchh bhi nahi hai. agar pichhle 3 saal me tum dono ne yesi kisi problam ko khud se hi suljhaya hota, to aaj tum dono ka rista aur bhi jyada majboot hota.

divya ke khamosh hote hi jiya bol padi

jiya- sayad tum theek hi keh rahi ho???? hum dono yesi situations ko aur bhi jyada achchhi tarah se handle kar skte the. par nahi kar paye. sayad hum dono me hi bachpana he. aur kisi bade ne hame ye samjhaya hi nahi ki ye galat he. kyun ki mami ji to hum dono se naraj thi. jabki nisha di ja chuki thi, aur papa ko to jese matlab hi nahi tha, ki hum dono ke beech aakhir chal kya raha he???? wo to bus radha ke saath hi bussy the. to bhala kon samjhata hame

jiya ki baat sunkar maa boli

maa- bachche jab apne faishle khud karne lagte he, to maa baap ke samjhane ka asar bhi unpar nahi hota he jiya. agar mere samjhane par tum dono samajh jate, to na to tum us wakt nisha ke parati apne andar jalan ki bhavna laati. aur na hi ajju nisha se wo sab kehata.

maa ki baat sunkar ajju aur jiya ne apna chehara sharm se jhuka liya. kyun ki wo dono hi ye baat jante the, ki maa ne jo kuchh bhi kaha he wo sach he, isliye kuchh der tak baha par khamoshi chhai rahi. jise ek baar fir se divya ne hi bhang kiya. wo ajju ki taraf dekhte huye boli

divya- ajju ab baat karte he tumhari aur nisha di ki. chalo pehale tumhari hi baat karte he... hum sab log jante he ki tum nisha di se bahut jyada pyaar karte ho. itna jyada ki unke liye tum apni jaan tak de sakte ho. par kya apne pyaar ka ye tamasha banana jaroori hai????? ye paglo ki tarah saraab peekar kahi par bhi dale rehana..... aakhir kya he ye sab????? nahi ye tumhara pyaar nahi he. balki pagalpan hai.... pyaar kabhi bhi inshan ko is tarah barwad nahi karta hai. haan theek he tum dono ka jhagda hua tha. isliye nisha di tumse naraj hokar chali gai. to iska matlab ye to nahi ki tum unki yaad me baaki sab kuchh bhula do... nisha di ke jaane ke baad tumne aaj tak apna kon sa farz theek se nibhaya he???? koi bhi to nahi.... tum na to ek achchhe pati ban paye ho, aur na hi achchhe pita..... aur jab sarab peene se roko to apne hi ajeeb ajeeb tark dene suru kar dete ho, jinka koi matlab nahi nikalta he...

ye sab bolte bolte achanak divya ruk gai aur jiya ki taraf dekhti hui dobara boli

divya- yesha hi kuchh tumne tab bhi kiya tha na jab jiya ne nakli shadi ki thi???? tab bhi tumne apne pyaar ka majak hi banbaya tha. lekin nisha di ke kehane par ek hi baar me sarab se door nhi ho gaye the. to fir ab kyun nahi?????? tum kya sochte ho ki tumhe is halat me dekh kar nisha di khush hoti hongi????? kya unhe ye lagta hoga ki tum unse bahut pyaar karte ho????? are murkh ho tum jo yesha sochte ho.... ho sakta he us wakt jiya ko tumhara uske liye ye sab karna achchha laga ho. par nisha di yeshi bilkul bhi nahi he. aur ye baat tum sabse achchhi tarah se jante ho. nisha di ne jis cheej se tumhe door rehane ke liye kaha tha, tum usi ke nashe me doobe huye ho. tumne nisha di ke saath jo kuchh bi kiya ya unse jo kuchh bhi kaha, uske liye nisha di shayad tumhe maaf bhi kar deti. par pichhle 3 saalo me tumne jo kiya he, uske liye wo tumhe kabhi bhi maaf nahi kar sakti he. jis jiya ko khush rakhne ke liye wo hum sab se door ho gai. tumne usi ko sabse jyada dukh diya he. ye bhala apne pyaar ka tamasha banana nahi he to aur kya hai????

divya ki baat sunkar ajju aur jiya ko pichhle 3 saalo ki, apni har wo chhoti badi baat yaad rahi rahi thi, jise wo dono apas me milkar suljha sakte the. par nahi sujhaya. balki uska tamasha hi banaya he. un dono ko khamosh dekh kar ek baar fir divya boli

divya- bahi dushri taraf nisha di he. unhone har choti badi baat apne star se hi suljai he. chahe jiya ka unhe comments karna ya insult karna ho. ya fir mama ji ka unki insult karna. sidha sa tareeka apnaya unhone, "suna aur ignore kiya". baat bahi ke bahi khatam. kisi teesre ko kuchh kehane ka mouka hi nahi mila. ya fir baat tum dono ke bich ki ho. kabhi bhi tum dono ke beech ki baat kisi teesre ko tab tak pata nahi chali, jab tak ki nisha di yaha thi. tum dono ke beech ke jhagde baali baat bhi sayad kisi ko pata hi nahi chalti. wo to maa thi us wakt ghar par. aur tumne unke saamne hi ye sara tamasha kiya tha. isliye nisha di ke jaane ke baad baat khul kar sabke saamne aa gai. varna ye baat bhi kisi ko pata nahi chalti. tum us wakt unse baat karne ke mood me the hi nahi. problam ko bhi solve karna tha. to jo us wakt unhe theek laga bahi kiya. aur jab unhone faishla kar hi liya tha. to fir unke faishle ka hum sab ko samman karna chahiye tha. mai ye nahi keh rahi hun ki unhe talash karna band kar do. mai keval itna keh rahi hun ki, unhe sammaan purvak talash karo. na ki unke jaane ka duniya ke saamne tamasha banao.

itna bolkar divya kuchh der fir ruki, aur is baar wo maa ki tarf dekhte huye boli

divya- i am sorry maa.... aap hum sab se badi hai, isliye aap se kuchh kehane ka adhikar to mere pass nahi he. par fir bhi in sab halato me aap ki bhi kahi na kahi galti rahi he. ajju aapko maa kehata hi nahi he, balki dil se maanta bhi hai. jab ajju ne pehali baar sarab pee thi, agar aapne usi din ajju ke gaal par ek khinch ke lagaya hota, to shayad aaj ajju ki ye halat nahi hoti. aapne ajju se naraj hokar poore 3 saal usse baat nahi ki. par ek baar bhi use dant kar aapne ye nahi kaha, ki ye saarb ke nashe me tamasha kyun kar rahe ho. aapka itna hak to ajju par banta hi hai. bachche agar galti karte he to maa baap unhe dantte he. saja dete he. par unhe kabhi unke halato par yun hi nahi chhodte. i am sorry maa agar mai kuchh galat bol gai hu to. par mere man me jo tha wo mene bol diya. ho saketo mujhe apni bahu nahi balki ek beti samajh kar maaf kar dena.

divya jab khamosh hui to maa ko chhod kar baaki sabhi logo ki najre jhuki hui thi. sayad sab ko apni galti ka yehsash tha. maa ne divya ki taraf dekha aur muskura kar boli

maa- tujhe sorry bolne ki jaroorat nahi he divya. tune jo kaha sach hi kaha he. mujhse ye galti to hui he. aur ab mai ise sudhar kar hi rahungi. par mai aaj tujhse bahut khush hun. tumne aaj wo kar diya, jo mai pichhle 3 saalo se karna chah rahi thi. tumne in dono ko hakikat ka aaina dikha diya. kash mene ye kaam bahut pehale hi kar diya hota. to sayad aaj nisha ki mahanta ka itna tamasha na bana hota. usne jo kuchh bhi kiya sabki khushi aur bhale ke liye hi kiya tha. par uske tyaag ka na keval in dono ne balki hum sabhi ne majak bana kar rakh diya he. tumne sahi kaha he ki wo ajju se jhagde baali baat ko sayad bhool bhi jaati. par uske jaane ke baad ajju aur baaki logo ne jo uska tamasha banaya he, use wo kese bardast kar sakti hai. tumne ek dum sahi kiya divya.... ye hum sabke ke liye bahut jaroori tha. aur haan khabardaar jo aaj ke baad kabhi bhi ye kaha ki tum meri beti nahi hai. mere liye tujhme aur renu me koi antar nahi he. na to mene kabhi nisha ko apni bahu mana aur na hi tujhe. tum dono mere liye bahu nahi balki meri beti hi ho. is liye dobara ye khyaal apne man me kabhi mat lana.

itna bolkar maa ne divya ke maate par pyaar se kiss kiya aur kamre se bahar chali gai. jabki baaki log sir jhukay bahi bethe rahe. kuchh der baad divya bhi baha se uth kar bahar chali gai.
Badi hi kathin h dagar panghat ki ....
 

Iron Man

Try and fail. But never give up trying
37,529
94,693
304

parkas

Prime
22,363
51,789
258
Update 120
------------------


vikash ke theek hone ke agle hi din, vikash ki hospital se chhutti kar di gai thi. chunki vikash aur renu ke beech sab kuchh theek ho chuka tha, isliye vikash ke saath renu bhi uske ghar par hi chali gai thi. aur fir agle kuchh dino me sabhi logo ka bandhavgd jaane ka program set ho gaya. saari taiyari kar li gai thi. bus unke jaane bhar ki der thi. isi silsile me monu ajju se baat karne uske office gaya hua tha, par baha jakar pata chala ki ajju baha aaya hi nahi, jabki ajju monu ke hi sath office ke liye ghar se nikla tha.

monu ne ajju ko kai baar call karne ki kosis ki, par uska phone unreacheable aa raha tha. monu ko kuchh bhi samajh me nahi aa raha tha, ki yun achanak ajju kaha gayab ho gaya. kaafi der tak is baare me sochne par monu ko yaad aaya, ki indore se bapis aane ke baad achanak ajju ke vartav me antar aa gaya tha. kyun ki jab bhi unki ek dushre se koi baat hoti to unke bich me nisha ke baare me baat karte karte achanak agent zero aa jati, pata nahi kyun par ajju ko ye yehsash ho raha tha, ki unki bajah se agent zero khatre me pad gai he. kai baar to ajju apne muh se ye bol bhi chuka tha.

ye sab yaad aate hi monu ko yakeen ho gaya, ki RAw operation se pichhe hatkar ajju ke man me guilty ki bhavna janam le chuki he, aur ho na ho ajju is guilty ko door karne RAW office gaya hoga. isliye wo bhi chal diya RAw office ki taraf. jaha par aakhir kaar monu ki mulakaat ajju se ho hi gai, jo ki bahut jyada dukhi dikhai de raha tha. use dekh kar monu se raha nahi gaya, aur wo poochh betha

monu- abe tujhe kya ho gaya???? jo is tarah devdash ki tarah muh latkaaye huye he, aur tu yaha aakhir kar kya raha he???? tujhe pata he na kal hame bandhavgad ke liye nikalna he???

monu ki baat sun kar ajju ne monu ki taraf dekha, aur isse pehle wo kuchh kehta ajju ki aankho ne monu ko jabab de diya. ajju ki aankho se aanshun ki bunde ludak kar uske chehare par aa gai. jinhe dekh monu ke sabra ka bandh toot gaya. use kisi anhoni ki asanka hone lagi thi.

monu- ajjjjjuuuuuu!!!!!!! kya baat he?????

ajju monu ki baat ka koi jabab deta usse pehale hi monu ke pichhe se mr. prabhu ki awaj aai

mr. prabhu- me batata hu mr. manoj kya hua he ajay ko.....

mr. prabhu ki aawaj sunte hi monu unki taraf mud gaya. jabki mr. prabhu ne bolna jaari rakkha.

mr. prabhu- tum ye to jante hi ho, ki jis operation par tum log jaane baale the, tumhare na jaane ki bajah se agent zero us operation par chali gai thi. ye jante huye bhi ki ye specially uske liye ek trap he. bese to mujhe ye ummeed thi ki ye operation thoda lamba chalega, tab tak tum log bhi apni manjil par pahunch hi jaoge. isliye mene tumhari help karne ki kosis bhi ki thi. tum logo ko bandhavgad jaane ki link mene hi avilable karwai thi.

mr. prabhu ki baat sunkar monu hairan hote huye bola

monu- matlab aap jante he ki nisha di kaha he??? to fir aap sidhe sidhe hame kyun nahi bata dete?????

mr. prabhu- sorry manoj mujhe jitni jaankaari thi utni mai tum logo ki help kar chuka hun. haan ye baat sahi he ki nisha ke baarte me RAw ke pass kuchh jankariyan he, par ye saara record agent zero ke pass hi he, RAw apne agents ke sabhi family members ka record rakhti he. par chunki tum log agent zero ki special team ke members ho, isliye tumhari family ka saara data agent zero ke pass hi he.

monu- samajh gaya, par mujhe ajju ki is halat ki bajah ab tak pata nahi chali he.

mr. prabhu- bahi bata raha hun, jab mene tumhe nisha se related jankari avilabe karwai, to ye baat agent zero ko pata chal gai. use laga ki mai tumhari help kar ke, tum logo ko kisi bhi tarah is operation me uski help ke liye bhejna chahata hun, tum logo ke is operation par aane se inkaar karne ke baad, ab wo bilkul nahi chahati ki tum log kisi bhi tarah uski help karo, ya is operation ka part bano. sach kahun to tum dono ne jo bhi kiya kahi na kahi isme uski hi marzi samil thi. wo suru se hi khud hi is operation par jana chahati thi, kyun ki wo apne kisi bhi agent ki jaan khatre me nahi daalna chahati thi, mout se khelna to jaise usk souk ban gaya he. mene hi use is operation par kisi aur ko bhejne ke liye force kiya tha. par mujhe ye nahi pata tha ki wo tum dono ko operation chakraview par bhej rahi he. mai to is galat fehami me tha ki wo tumhe kisi dushre operation par bhej rahi he. warna sayad mai tumhe 3 mahine ki mohalat nahi deta.

mr. prabhu ne kuchh der ruk kar lambbi lambbi sanshe li, aur dobara bolna suru kiya

mr. prabhu- khair jo bhi hua so hua. par jab agent zero ko laga, ki mai tumhari help kar ke uski help karne ki kosis kar raha hun, to usne bina kisi khash planning ke, is operation chakraview ko suru kar diya. halanki wo hamare neuclear scientest ko dusamano se chhudane me kamyab rahi he, parantu wo khud bhi bahut jyada gambheer roop se ghayal ho chuki he, dushamano ne uspar acid bomb se attack kiya he, wo to usi wakt dusamano ke haath lag jati, ya maari jaati, lekin agent 10 kisi bhi tarah use baha se nikalne me kaamyab raha. par khatra abhi tala nahi he, wo log ab bhi dushamano ke ilake me hi kahi chhipe huye he. aur filhaal hamara unse koi contact nahi ho paa raha he. agent 10 bhi buri tarah se ghayal he, pata nahi ki kab tak wo log apne aap ko bacha payege.

mr. prabhu ka ek ek sawd monu ke kaano me pighale huye sishe ki tarah andar gaya tha, jisne monu ke wajood ko hi hila kar rakh diya tha. usne acid bomb ke baare me sun rakkha tha, aaj tak usse koi nahi bacha tha. india ke bade bade scientistt acid bomb ka tod nikaalne me na kaamyab rahe the. yahan tak ki 3 saal pehale jab ajju aur monu ne RAW join ki thi, tab ek baar ajju ne acid bum ka experiment apne liye kiya tha. wo janna chah raha tha, ki agar dushmano ne uspar acid bom se hamla kiya to iska us par kya asar hoga, aur us samay na keval monu balki ajju ke bhi hosh usd gaye the, ye jaankar ki acid bomb ke saamne ajju ki powers lagbhag bekaar he.

kyun ki acid bomb apne area me moujood har bastu, har jivit prani ko gala kar liquid me convert kar deta he, aur fir bah liquid steam ban kar hawa me gayab ho jata he. chand minto me hi sab khuchh khatam. jis jagah us bomb ka prayog kiya jata he, wo jagah ek dum banjar ho jati he. yesha lagta he jese kuchh hua hi nahi. koi nishan nahi bachta he. yesha lagta he jese wo jagah varson se yun hi banjar padi hui he.

filhaal monu ki haalat bhi ajju ki tarah hi ho chuki thi. uske dimag ne kaam karna ekdum band kar diya tha. uski aankho ke saamne to keval aur keval us din ki saari ghatnaye revise ho rahi thi, jis din un dono ne operation chakraview par jaane se inkaar kar diya tha. jabki ajju ko is samay keval agent zero ke latter ke ant me likhe sawd yaad aa rahe the.

"ho sakta he aap kamyaab bhi ho jaye, ya ho sakta he ki aap ki talash kabhi bhi na ruke, jo bhi ho par itna tay he, ki jab aapne apne liye 3 mahine ki jo mohalat maangi he, to ab aapko uska pura sammaan karna chahiye. i hope aapke safal hone ya asafal hone ki dono hi condition me aap apni jid chhod denge, aur is desh ke liye apna farz poora karenge, aapke saath kaam karke mujhe khushi hoti, par filhaal ab iski ummeed bahut kam he, kyun ki ho sakta he ki jab tak aap bapis aayen, tab tak tak agent zero ki position aapka intjaar kar rahi ho."

ajju jitna jyad agent zero ke baare me janta ja raha tha, utna hi wo uske prati akarshit hota ja raha tha, pata nahi kyun???? par is wakt wo nisha ya fir apni baaki saari personal problams ko poori tarah se bhool chuka tha, use kuchh yaad tha to wo tha to wo tha keval kuchh din pehale RAW office me hua ghatna kram, aur agent zero ka wo letter. aakhir kaar ajju ne faishla kar hi liya, ki wo ab aur apni personal problam ki bajah se apne farz se nahi bhagega.

us hall me kaafi der tak khamoshi chhai rahi, jese agent zero ki special team ke baaki members ne aakar thoda. kyun ki unhe bhi agaent zero aur agent 10 ke gambheer roop se ghayal hone ki jaankari lag chuki thi.

gagan- sir kya ye sach he ki agent zero aur ikram operation chakraview ke douran gambheer roop se ghayal ho gaye he????

mr. prabhu- haan ye sach he, par tum logo ko is baat ki jankari kese lagi?????

gagan- sir queen ne hame bataya.

mr. prabhu- par kyun???? aakhir queen ne tumhe ye sab kyun bataya?????

gagan- sir aap to jante hi he, ki jab agent zero field operation par hoti he to mai, kapil, priya aur sonal milkar is team ko lead karte he. bese to agent zero apni specil team ke sabhi members se queen ke madhyam se hamesha connect rehati he. par pichhle kuchh dino se agent zero ne hum me se kisi se bhi contect nahi kiya he. hame keval queen se hi regular instractions mil rahe the. humne aaj jab usse agent zero ke baare me janna chaha to queen ne bataya ki use agent zero ke regular signal prapt nahi ho rahe he. kyun ki operation chakraview ke douran agent zero aur agent 10 acid bomb se gambheer roop se ghayal ho chuke he.

gagan ki baat sun kar ajju aur monu bhi hosh me aa chuke the. aur gagan se ho rahi bato ko sabse pehale monu ne hi aage badaya. kyun ki monu gagan ke saath pehale bhi RAW ke liye kaam kar chuka tha, isliye wo gagan ko achchhi tarah se janta bhi tha

monu- ab iska kya matlab he ki queen ko agent zero ke regular signal nahi mil rahe he?????

monu ki awaj sunte hi special team ke sabhi members satark ho gaye. kyun ki un sab ki nazar ajju par pad chuki thi. jo ki filhaal unke liye ajnabi hi tha. halanki 3 saal pehale sonal ajju ke andar chipe inject karte samay usse mili thi. par 3 saal ka wakt lamba hota he, isliye sonal ko filhaal ajju ke baare me kuchh bhi yaad nahi tha.

parantu wo sabhi monu ko achchhi tarah se jante the. monu kai baar operations me unke saath reh chuka tha. suruaat me to wo sabhi ek dushre ko unke code name se hi bulate the, par dhire dhire wo log ek dushre ko vyaktigat roop se bhi janne lage the. isliye wo ab ek dushre ko unke vastvik naam se hi bulate the. par ajju unke liye ajnavi tha, isliye gagan ko apni galti ka yehsash ho gaya, aur wo monu ke sawalon par khamosh hi raha. gagan ko khamosh dekh kar monu ke sabalo ka jabab monika ne diya, jo ek docter bhi thi

monika- iska matlab to bahut sidha sa he manoj, ki agent zero apni aakhri sanse gin rahi he.

monu pehale se hi kuchh din pehale ke apne vartav se sarminda tha, upar se monika ka ye sab bolna use bilkul bhi achchha nahi laga, isliye wo thoda bhadkte huye bola

monu- monika ye tum kya bakwash kar rahi ho???

is baar monu ke reaction par monika ke sthan par mr. prabhu bole

mr. prabhu- monika sahi keh rahi he manoj

monu- par sir yesha bhi to ho sakta he ki filhaal jaha ye log chhipe huye he, baha hamari setelight ke signal nahi pahunch rahe ho

monu ki baat sunkar kapil bola

kapil- yesha nahi ho sakta, kyun ki ikram ke signal queen ke pass regular aa rahe he. par wo behosh hone ki bajah se koi responce nahi de paa raha he.

monu ko ye baat hajam hi nahi ho rahi thi, ki agent zero apni aakhri saanshe gin rahi he. isliye usne ek baar aur kosis ki,

monu- to fir agent zero ki chipe me koi kharabi aa gai hogi.

par monu ki is kosis ko sonal ne bekar kar diya

sonal- yesha bhi nahi ho sakta he manoj. kyun ki hamari chipe ko har condition me check kar ke hi agent me inject kiya jata he. use kharab karne ke liye hamare agent ki body me se pehale use nikalna padega. jab tak wo hamare agent ki body ke andar he wo kharab nahi ho sakti he.

monu- to fir agant zero ki chipe regular signal kyun nahi bhej rahi he.

monika- agent zero ka mind dhire dhire kaam karna band kar raha he. isliye chipe ko proper signal nahi mil rahe he.

ab tak khamosh ajju aakhir kaar bol hi pada

ajju- iska matlab to ye he ki.....

ajju apni baat poori bhi nahi kar paya tha ki mr. prabhu ne khud hi uski baat poori kar di

mr. prabhu- "sayad hind ki serni ki dahaad" ab hame kabhi bhi sunne ke liye na mile

mr. prabhu ki aankho me is wakt aanshu, par chehare par garv ke bhav the. jo ki sabko ye jatane ke liye kaafi the, ki unke chief ko agent ki is halat ka bahut jyada dukh he, par unhe agent zero par garv bhi he.

ajju- par sir hum yun nirash nahi ho sakte. yun haar maan kar haath par haar rakkhe agent zero ko marne nahi de sakte. koi to upay hoga?????

monika- bese to acid bomb se ghayal inshan ko aaj tak bachaya nahi ja saka he. par fir bhi me ek kosis karna chahungi.

monika ki baat sunkar monu bola

monu- tum bhi had karti ho monika.... jab aaj tak uska koi ilaj bana hi nahi he, to tum kya khak kosis karogi.

monika- mujhe 3 saal pehale ajay pharmecy ke head mr. ajay se acid bomb ke side effect ke kuchh sample mile the. jin par alkali arthat chhariy chemical ka use karne par mai acid bomb ke chemical structure ko break karne me kamyab ho gai thi. par uske baad mr. ajay se mera dobara contact......

monika bolte bolte achanak ruk gai, kyun ki usne ajju ko apni taraf ghoorte huye paya, aur fir achanak se monika ajju ko pehchan gai. jabki ajju bhi monika ko pehchan chuka tha. aur use 3 saal purani ghatna bhi yaad aa chuki thi.

monika- oh my god..... mr. ajay aap yaha???? what a surprise???? aaj to aap ki hame sabse jyada jaroorat thi, aur aap hame mil gaye.

monika ki baat sunkar baaki sabhi log hairan reh gaye. isse pehale koi kuchh reaction kar pata, mr. prabhu ne ajay ka parichay un sabko dena hi thik samjha.

mr. prabhu- tumne ek dum thik pehchana he monika, ye ajay sharma hi he, ajay pharmecy ke head aur RAW me agent zero ki special team ke member, inka code 1 hai. ab baaki ke formalty tum sab baad me poori karte rehana, pehale mujhe ye batao kya bakai me tumhe acid bomb ka tod mil gaya he?????

monika- sir mai poori tarah se sure to nahi hun. par mujhe yesha lagta he. i think agar mr. ajay help kare to hum log yesi daba bana sakte he, jo acid bomb ka 100% ilaj kar sake.

ajju- par isme kaafi samay lag jayega. aur filhaal hamaare pass usi ki kami he

gagan- to fir ham kya kare????

ajju- mere khyaal se filhaal hame monika ji ki theory par hi chalna chahiye. kam se kam ek ummeed to he.

monika- par mai poori tarah se sure nahi hun ki ye kaam karega.

ajju- par ummeed to hai na

monika- haan par alkali ki matra ka mujhe koi anumaan nahi he.

ajju is wakt monika se science par aur jyada discuss karne ke mood me nahi tha, isliye wo monika ki baat ko bahi khatam karte huye bola.

ajju- wo tum mujh par chhod do. use mai dekh lunga. i hope hum agent zero ko bacha le.

ajju aur monika ke beech huye discus se sabhi ke chehare par umeed ki ek kiran dikhai dene lagi thi. ab sabhi log mr. prabhu ka faishla sunne ke liye unki taraf dekh rahe the.
Bahut hi shaandar update diya hai bhai.. superb and awesome update....
Jiska dar tha wahi hua . Khair Nisha ke bachne ki umeed abhi kayam hai .
Ajju bhi der se hi sahi par sahi raste par hai .
Dekhte hai kya hota hai?
 
Top