• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Naughtyrishabh

Well-Known Member
9,659
28,954
218
Update 065
-------------------------


RAW ke secreate head office par, is samay emargency meeting haal me teeno sena pramukh, NSA, RAW cheaf mr. prabhu ke alawa nisha apni team ke saath thi, jisme priya, sonal, gagan evam kapil the.

NSA- agent zero kya tumhe lagta he ki hum taiyaar he

nisha- jee sir

NSA- to thik he fir suru karo ....

NSA ke itna bolte hi nisha apne laptop me bussy ho gai. aur fir usne apni teem ki taraf ishara kiya. jise samajh kar sonal, gagan aur kapil bahar chale gaye jabki priya bahi nisha ki help ke liye ruki reh gai.

asal me nisha aur uski teem ne pichhle 2 saalo me kaafi mehnat kar ke ek server design kiya tha. ye vastavme ek super computer tha jo ki ab tak banaye gaye sabhi computers se kai guna jyada powerfull tha. is super computer ko operate karne ke liye nisha ne ek operating system design kiya tha, jiska naam usne "Queen" rakkha tha. vastav me ye ek highly advanced AI(artificial intelegence) technique se less tha.

iske alawa nisha ne is operating system ka ek portable version bhi banaya tha, jo kisi bhi system par run ho sakta tha, wo ek client model tha jo ki queen se connected rahta tha. nisha ne iska naam "King" rakkha tha.

chunki nisha ke kehne par ISHRO dwara ek highly advanced satelight pehle hi launch kiya ja chuka tha. aur us satelight ka use na keval RAW balki defance se related sabhi jagah pehle hi suru kar diya gaya tha.

kaam karte karte nisha achanak ruk gai aur boli

nisha- sir humne ek highly advanced server banaya tha jo ki vastav me ek super computer he. isi server par humara apna server operating system load kiya gaya he jiska naam queen he, aur baaki sabhi devices par king ko run kiya gaya he. sabhi devices ko queen se connect kar diya gaya he. aur ab wo saare kaam khud se hi karti he. par agar hame koi dushra kaam karna ho, ya koi jankari chahiye ho to wo queen ko command dekar kar sakte he. queen par humne alag alag categary me access permission ke code set kiye he. matlab ki aap log milkar koi bhi data access kar sakte he par agar koi chhota agent koi data serch karna chahe to keval use utna hi deta queen deti he, jitni us agent ko honi chhahiye baaki ki information wo nahi deti. iska matlab hamara data poori tarah se safe he

aur tabhi achanak meting hall ki light off ho gai aur prjector ke madhyam se server ki process displaya hone lagi. takreeban 15 minute ke baad process samapt hui aur ek window open hui. iske baad us hall me lage 3D projector auto matic on ho gaye. aur projector ke pass hi ek ladki ki image dikhai dene lagi, ye bese to ek cartoon image thi par fir bhi bahut jyada khoobsoorat
lag rahi thi. wo is samay princess ki dress me thi.

chunki wo 3D form me thi is liye yesha lag raha tha ki wo un sab ke saath hall me hi moujood he, jise dekh kar army chief aakhir kaar bol hi pade
army chief- ye aakhir he kya??? aur "queen apne saare kaam khud hi karti he" isse tumhara kya matlab he???

army chief ke sawal ka jabab priya ne diya

priya- sir hame jo image dikh rahi he yahi queen he, ye asal me ek 3D presentation he jise queen hame dikha rahi he. humne queen me AI technology daali he jo ki ise inshano ki tarah sochne samajhne ki chhmta deti he. is liye ye hame apne aap ko ek inshan ke roop me show
kar rahi he.

army chief- matlab ye apne aap ko inshan samajhti he kya

army chief ki baat sun kar nisha boli

nisha- are nahi sir. ye to bus apne aap ko inshano ki tarah dikhane ki kosis kar rahi he. taaki usse hum log behtar tareeke se communication kar sake. rahi baat khud hi saare kaam karne ki to wo keval itna he ki iske pass jo bhi data aata he ya jo bhi data isse manga jata he uski saari process ye khud hi kar sakti he, iske liye hame alag se operaters ki jaroort nahi he. ek tarah se
humne iski help se kaafi jyada man power bacha li he.

NSA- ye to kamal ho gaya. par agar ye khud hi saare commands deti aur leti he to fir hum ise band kaise karenge

nisha- sorry sir ise band nahi kiya ja sakta

NSA- matlab????

nisha- sir ise is prakar design kiya gaya he ki ek baar start karne ke baad iske saare controlls iske haath me aa jayenge, uske baad keval ye khud hi apne aap ko shut down kar sakti he, wo bhi tab jab ise shut down karna awashyak ho, jaise koi techniqaly falt hone par

NSA- par ye to khatarnaak he aur tabhi queen ki image bolne lagi

queen- nahi sir ye khatarnaak bilkul nahi he, ye mere data base aur meri surakchha ke liye jaroori tha

NSA- agar kabhi koi gadbad hui to....

nisha- sir mai aap ka ishara samajh rahi hun, par jab tak hum ise apne private network par rakhte he ye poori tarah se safe he, par fir bhi koi gadbad hui to ise emergency termination ki command di ja sakti he. jiski bajhah se ise iski marji ke khilaaf bhi band kiya ja sakta he, par yehsa karne par iska apna khud ka data base reset ho jayega. par hamara data safe rahega

NSA- emergency terminate kaise karenge ise

nisha- uske liye aap pancho ko ek saath iske terminatan ki comaand deni hogi aur ye command biomatric process se hi di jayegi. iske liye voice aur fingerprint varificatin kiya jayega

iske baad nisha un sabhi ko queen ki emergency termination ki poori process batane lagi. aur jab nisha unhe saari process bata chuki thik tabhi sonal andar aai. uske pichhe gagan bhi tha

nisha- sir ab agar ijajat ho to hum hamari us khoj ke baare me baat kare jiske liye hum aaj yaha ikattha huye he.

chunki sabhi ke man me chal rahe sawalon ke jabab unhe mil gaye the is liye sabhi log khamosh ho gaye. fir nisha ne bolna suru kiya

nisha- sir humne ek yesi chip taiyaar ki he jo ki hamare agents ko hamesha hum se connect kar ke rakkhegi. ye chip hum apne sabhi agents ke andar inject karenge. aur fir wo chipe hamre agnet ke mind ko queen se connect kar degi. hamara agent jo bhi dekhega, sunega, ya sochega, wo saari information queen ke pass aati rahegi, aur satelight ki bajah se hum apne agent ki live
location bhi pata karte rahege. hame apne agents se contact karne ke liye kisi transmeater ya cell phone ki jaroorat nahi he. hame jo bhi information apne agent ko deni he queen us chip ke
madhyam se hamare agents ke mind me wo information de degi. aur agar hamara agent hum se contect karna chahta he to wo bhi direct communication kar sakta he

navy chief- tumhara matlab he ki tum logo ke dwara banai chipe inshan ko ek robot bana dega

nisha- nahi sir yesha nahi he. hamara agent poori tarah se apne niyantran me hoga. wo apne faishle khud kar sakta he. queen ka usme koi roll nahi hoga queen keval usse communicatin ka kaam karegi

navy chief- par ek baar chip humne apne agent me transplante kar di to fir us agent ki personal life personal nahi rahegi.

nisha- nahi sir yesha bhi nahi hoga. queen me iske liye yesi codding ki gai he ki keval bahi data agent ke mind se liye jaye jo ki hamare liye jaroori he. uska personal data bilkul bhi share nahi hoga. asal me sabhi agents ko ek password diya jayega jo ki unka secreate hoga. jab wo us password ko bolega tabhi wo chip activate hogi aur hamare pass data aana suru ho jayega. aur jab kaam khamta ho jayega to agent dobara password bolkar chip ko deactivate kar sakta he. par us douraan hamare agent ki location hum tak pahunchti rahegi. aur queen koi bhi information us agent ko de sakti he. par us agent ki koi information le nahi sakti.

NSA- aur kisi agent ne hum se gaddari ki, usne chipe ko deactivate kar ke hamari koi personal informatin kisi ko de di to

nisha- sir yahi hamari chipe ki khasiyat he. asal me humne kapil ki electro magnate baali khoj ka use bhi isme kiya hua he. raw se related saari jankari hamare agent ke mind me nahi balki us chip me store hogi. aur wo information keval tabhi use milegi jab wo chip ko activate karega. chip deactivate honi ki condition me agent ko keval itna yaad rahega ki wo ek RAW agent he
aur chip ko activate kese karna he. matlab ki koi bhi inshan RAW ki khufiya jaankari chah kar bhi kisi ko nahi bata sakta.

NSA- par wo chipe ko nikalwa to sata he na

nisha- nahi sir, is chip ko sonal ne design kiya he aur uski codding mene ki he. aap to jante hi he sonal neno technology expert he. wo chipe bahut choti he. aur use hum agent ki gardan ke pichhe reed hi haddi ke ek dum upar inject karenge. jaha se wo sidhe uske mind ko controll karegi. aur agar use nikalne ki kosis ki gai to agent ki jaan bhi ja sakti he.

meeting hall me nisha ki baat sunkar ek sannata chha gaya tha. kaafi der khamosh rehne aur sochne ke baad NSA ne kaha

NSA- thik he suru karo

nisha ne gagan ko ishara kiya aur wo ek baar fir meeting hall se bahar nikal gaya. kuchh hi der baad wo kapil ke saath ek agent ko andar lekar aaya. sonal ne use ek chair par betha diya aur fir dekhte hi dekhte use chair se achchhi tarah bandh diya gaya. iske baad nisha us agent ke pass gai aur boli

nisha- tum jante ho na ki tum yaha kyun aaye ho

agent- jee mem

nisha- ab hum ek chhoti si chip tumhare mind me inject kareng. jiske baare me tumhe bata diya gaya he. par sayad tum ye nahi jante ki is process me tumhe kaafi dard hoga

agent- mem agar dard ki chinta karta to RAW join hi nahi karta, RAW se pehle army me tha, kashmeer me kai baar atankiyon se aamna samna ho chuka he, aur kai baar goliyan kha chuka hun, dard se to puraana nata he mera, aur RAW ke liye bhi kai field operation kar chuka hun,

nisha ne ek gehri najar se uski aankho me jhanka aur fir sonal se boli

nisha- sonal suru karo

aur fir sonal apne kaam me laga gai. kuchh hi der me us hall me us agent ki dard bhari cheekhe gunjne lagi. takreeban 15 minute ke baad sab sant ho gaya. wo agent dard se kraah raha tha ki tabhi nisha ne priya se kaha

nisha- priya chipe ko activate karo aur use queen se connect karo

itna sunte hi priya apne kaam me lag gai. aur fir ek baar fir us agent ki cheekhe gunjne lagi. kareeb 15 minute ke baad ek baar fir se khamoshi chha gai par is baar khamoshi us agent ke behosh hone ki bajah se hui thi jise dekh kar army chief bhadak gaye

army chief- agent zero ye kya kiya tumne, kya hua he use, kahi tumhara experiment fail to nahi ho gaya, ya tumne kahi galat jagah wo chip laga di ho jisse uski jaan chali gai ho

nisha- relax sir yesha kuchh bhi nahi he. is experiment ko hum pehle hi bandaro par aajma chuke he. ye ek dum safe he

army chief- to fir ise kya hua he

nisha- asal me ye behosh he. queen ne ise behosh kar diya he. wo iske mind se RAW se releted saari jankar chipe me daal rahi he aur uske mind se wo jaankari mita rahi he. iske baad wo. hamre agent ke mind ke un hisso se connect hogi jaha inshan ke sochne samajhne ki chhamta, dekhne ki chhamta aur sunne ki chhmtaye hoti he.

nisha ke sant hote hi hall me queen ki awaaj gunj uthi

queen- saari jankari chipe me transfer kar di gai he,

kuchh der ki khamoshi ke baad ek baar fir queen ki awaaj gunji

queen- connection ho chuka he aur chip ka temprary password agent ke mind me store kar diya gaya he jise agent jab bhi chahe change kar sakta he. mai agent ko hosh me laa rahi hun

itna bolkar queen ek baar fir khamosh ho gai, jabki agent dhire dhire hosh me aane laga. uske hosh me aate hi nisha ne queen se kaha

nisha- queen hame dikhao ki ye kya dekh raha he.

nish ke itna bolte hi project ki screen par meeting hall dikhai dene laga.

nisha ne sonal ko ishara kiya jise samjhte hi sonal meeting hall se connect dushre hall me chali gai uske pichhe pichhe gagan aur kapil us agent ko chair ke saath utha kar us hall me chale gaye. andar jate hi sonal, gagan aur kapil ne apne chehre ko ek kaale kapde se dhak liya. jo ki bahaar screen par dikhaai de raha tha

army chief- ye sab kyun kiya

nisha- abhi pata chal jayega sir

itna bolkar nisha khamosh ho gai aur screen ki taraf dekhne lagi jis par dikhai de raha tha ki sonal us agent ke pass gai aur boli

sonal- ab kaisha mehsoos ho raha he

agent- ab pehle se behtar he bus sir thoda bhaari bhaari ho raha he

andar ho rahi saari baate bahaar dikhaai aur sunai de rahi thi.

sonal- tumhe yaad he na ki tum kon ho

sonal ke itna bolte hi screen par wo saari images dikhne lagi jo ki wo agent soch raha tha aur fir wo bola

agent- haan mai RAW agent hun aur mujhe sab kuchh yaad he

sonal- tumhe chipe ko activate aur de-activate karna pata he na

agent- haa

sonal- to use abhi deactivate karo

agent ne koi code apne man me dohraaya aur screen par kuchh bhi dikhna band ho gaya aur andar ki awaaj bhi sunai dena band ho gai.

Screen off hote hi hall me light on ho gai. sabhi logo ne lagbhag ek saat nisha ki taraf dekha jo muskurate huye apni jagah par khadi hui thi. Hall me poori tarah se khamosi thi jise NSA ki taliyon ki aawaaj ne bhang kiya, aur fir laghbhag ek saath hi sabhi log apne chair se khade ho gaye aur taliyan bajane lage. Is celebration ko sabse pehale NSA ne hi bhang kiya

NSA- well done agent zero. Tumne to kamala kar diya, hamari taraf se tumhe is chip eke use karne ki parmission he.

Nisha- thanks sir, par is poore experiment ki safalta ki hakdaar m ai nahi balki meri poori team hai. Ham sabhi ki samoohik mehanat ka hi ye natija hai.

NSA- bilkul ye ek team work he aur tumhari poori team tareef ki hakdaar he. Tum sabhi ki mehanat ki bajah se ab hum future me aur bhi jyada secure ho jayenge.

Iske baad NSA Mr. Prabhu ki taraf mud kar bole

NSA- bese prabhu kya agent zero code hamesa field agent ho hi diya jata he. Technical ability to agent zero ne sabit kar di, par kya field ka experience bhi hai ise ya nahi.

Mr. Prabhu- sir abhi tak agent zero lo koi bhi field operation par nahi bheja gaya he. Par mai iski chhmtaon se achchhi tarah se parichit hun. Aur ye mai daabe se keh sakta hun ki agent zero kisi bhi field operation ko bakhoobhi poora kar sakti he.

Ab is charcha me army chief bhi samil ho gaye the

Army chief- to fir agent zero ko koi field operation assign karo taaki ham sabhi log bhi iski chhamtaon dekh sake,

Mr. prabhu- agar NSA sir permission de to mai agent zero ko operation cobara assign karna chahunga.

Mr. prabhu ki baat sun kar hall me sannata chha gaya jise NSA ne hi bhang kiya

NSA- are you serious???? Mere khyaal se operation cobara ke liye kisi experienced agent ko bhejna hi sabse safe hoga, filhaal to agent zero ko koi chhota mota field work hi do taaki ye behatar tareeke se field work sikh sake.

Mr prabhu- par sir agent zero is operation ko handle kar sakti he

NSA- prabhu me tum par ya tumhare kisi bhi agent ki chhmtao par sawal nahi utha raha hun. Par tum ye bhi achhi tarajaante ho operation cobara kitna khatarnaak he. Agent zero abhi is prakaar ke operation ke liye taiyaar nahi he.

Is baat chit ko lamba khinchta dekh nisha bich me hi bol padi

Nisha- sir taiyaar to me janam se hi hun. Is liye mujhe is baat se koi farak nahi padta ki koi operation kitna khatarnaak he. Bese bhi chunoti jitni badi hoti he uska mukabla karne me utna hi jyada maja aata he.

Army chief nisha ki baat sun kar bhadak uthe

Army chief- tum jaanti bhi ho kit um kya keh rahi ho. Are operation cobara ke bare me kuchh pata bhi he ya yun hi josh me aakar kuchh bhi bole jaa rahi ho

Nisha- sorry sir mera uddesh aap ka apmaan karna nahi he par ek baat mai aapk sabhi ko clear kar dun ki mene bhale hi on record koi field operation na kiya ho par off record mujhe iska achchha khasa anubhav he.

Mr. prabhu ne bhi nisha ka samarthan kiya

Mr. prabhu- sir she is right. Operation cobara ke liye agent zero ek dum perfect he.

NSA ne nisha keg our se dekha aur bole

NSA- are you sure????

Iska jabab nisha aur mr. prabhu ne lagbhag ek saath diya

“100% sir”

Army chief- par mai sehmat nahi hun, operation cobara Indian army aur RAW ka joint operation hai, aur me iski ijajat nahi de sakta.

Nisha- sir aap nischint rahiye mai aap ko nirash nahi karungi. Aap ek baar mujhe moka dekar to dekhiye

Army chef- tum ek dum pagal ho, operation cobara ke bare me tum janti hi kitna ho

Nisha- sorry sir mujhe uske bare me kuchh bhi nahi pata par mujhe yakeen he me use poora kar sakti hun

Army chief- koi bhi faishla karne se pehale ek baar operation cobara ke bare me achchhi tarah se jaan lo.

Army chief kuchh pal ruk kar bole

Army chief- itna to tum janti hi hogi ki hamre kai agent alag alag desho me alag alag pehchhan ke saath rehate he, aur samay samay par hame information bhejte rehate he, yese hi hamare kuchh agent china me bhi he, kuchh din pehale hi unme se do agents jo ki COK(china occupied Kashmir) me tainat the ko pehchan liya gaya he, aur wo is wakt china army ki giraft me he, wo hamre kai saare secrete jante he. China un par har prakar ka torchar aajmayega, ho sakta he wo ab tak khamosh ho, par jyada din tak nahi reh paayenge. Jo ki hamare desh ki suraksha ke liye khatarnaak ho sakta he. Is liye operation cobara taiyaar kiya gaya jiske antargat yaa to unhe baha se surakchhit india bapis lana ya fir khatam kar dena samil he.

Army chief ek baar kuchh palo ke liye ruke aur fir nisha ko ghoorte huye bole

Army chief- ab bolo. Kya ab bhi tum ye operation karna chahati ho

Nisha ne army chief ke ankhon me dekhte huye kaha

Nisha- jee sir, mai taiyaar hun

Ek baar fir haall me khamoshi chha gai, jise NSA ne hi bhaga kiya

NSA- aal right prabhu agent zero ko operation cobra ki detail de do

Iske baad kisi ke pass kehane ke liye kuchh bhi nahi tha. Is liye meeting khatam ho gai. meeting ke baad mr. prabhu ne nisha ko operation cobara ki file de di aur use apne saath apni marzi ka koi bhi patner chunne ki ijajat mil gai.

Nisha ne operation cobara ko samajhne me jyada samay nahi liya, aur turant hi uski taiyaari me lag gai. sabse pehale to usne apne andar ek micro chipe inject ki jo use sidhe queen se connect karti thi.

Nisha ke andar jo micro chip inject ki gait hi wo baaki chip se alag thi. jiske bare me nisha kisi ko bhi nahi bataya tha. Asal me woe k master chip thi, jo dekhne me baaki chip ki hi tarah hi thi par uski khasiyat ye thi ki uski codding aam chip se alag thi. nisha ne is chip ki codding khash apne liye alag se kit hi. Jiski sahayta se nisha kahi se bhi queen ko direct control kar sakti thi. matlab ki jaha ek taraf sabhi agents ka control queen ke pass hoga, bahi nisha ke pass queen ka controll hoga.

Iske baad nisha ne apne patner ke roop me usi agent ko chuna jisko aaj meeting ke douraan chipe inject ki gai thi. jiski 3 bajah thi. pehali bajah ye ki wo Kashmir se tha. Isliye wo us ilake ke bare me parichit tha. Dushri bajah uska Indian army se hona. Jo uske bahaddur aur desh bhakt hone ka sboot tha, aur tishrei bajah ye thi ki nisha filhaal kisi aur agent par is chipe ka prayog nahi karna chahati thi. pehale wo is chip ke result ko dekhna chahati thi.
Behad hi shandar or jabardast update bhai.
Bahut khoob superb.
 

Sakti

New Member
46
231
33
Ajju ko story ka hero kis adhar par bna diya bhai apne abhi tk ki story m sirf ghochu hi sidh hua h na to kabhi khud ko bcha paya or na hi pyar ko fir power man kese hua or nicha ka bhi samjh ni aya ki apne pyar ko kushi de rhi h ya dukh.hiro to vo hota h pariwar ko ek sath laye pr yha to ajju khud hi pariwar ko tod rha h or power man ka kam hota h ki pariwar par ane wale khatre se pahle hi upay khojna par aaju ka role to puri stroy m nakam rha h sirf sex sacane ko chod kar story m kuch sudhar ho to dekh lena
Or bhai m story m kami ni nikal rha bas man m aya to bol diya koi bat galt bol di h to dil se sory
 

Mahesh007

Well-Known Member
3,350
5,769
158
Redhat bhai aaj ka kya program he bhai ji rest karna he to bhi koi bat nahi he sir ji ya lat me dena ho hame to dono hi bst manjur he sir ji ho sake to ek msz dede na plz
 
  • Like
Reactions: redhat.ag

redhat.ag

Member
340
1,982
123
bahut khubsurt story hai apki iss story ko xp par bahut padha aur apka bahut bada fan bhi hu par apki personal problem ke karan story puri nhi ho payi yaha apko dekh kar bahut khushi huyi i hope ke aap iss story ko ab jarur puri karo gye
bilkul dear
 
Top