* Update 6 *
unke waha se jane tak pawar unhe dekhte rahe aur jaise hi wo najro se door huye pawar ne fir se waha rakhi file uthayi aur padhne main kho gaye............
--------------------------------------
bhausaheb ke jane ke baad waha sub inspector sawant aa pahuche aur sawant ke aane ki khabar milte hi pawar ne sawant se pucha
"bolo sawant kya pata chala" Pawar
"sir gadi ke malik ka pata chal gaya hai wo gadi kisi dusre ki hi thi, Mr. Mohite us gadi ke malik hai gadi band ho gayi thi isiliye wo ek car wale se madad lekar bagalwale gaon main gaye the, ye insan jisne ye khoon kiya hai usne band gadi ka fayda sirf us bus se lift lene ke liye kiya hua lagta hai" sawant
"us mohite ke sare referance check karo.konse gadi se wo gaon main pahucha pata lagao waha ke garage walo se baat karo aur uski batayi huyi har baat ki jaanch karo" pawar
"ha sir ye kaam chalu hai, ye mohiy=te kareeb 40 ki umra ka aadmi hai iska to description bhi us insan se nahi milta" saant
"hmm thik hai uska contact number le lo aur jarurat padne par phone karenge aisa batado" itna bol kar pawar fir se apne kaam main magn ho gaye
"ok sir" itna bol kar sawant bhi waha se chala gaya
*****************
yaha dusri or shweta ke ghar par dukho ka pahad gir pada tha..uske budhe maa-baap akele pad chuke the...jabki unhe pata tha ke unki beti kya 'kaam' karti hai fir bhi unhone us baaat ko jaan bujhkar najarandaj kiya tha...akhir kuch bhi ho unka ghar uski kamai par hi chalta tha...
ab shweta ke marne se unhe milne wala paiso ka ekmatra rasta bhi band ho chuka tha....usme bhi har do char din main police aur patrakaro ke rounds chalu the aur unke sawalo ne unhe pareshan kar choda tha....kisi insan ke charitra ko uchalne main unhe kyta maja aa raha tha kise pata??
un budhe maa baap ko is waqt ek hi majboot sahara lag raha tha wo tha anitatai ka.....kareeb tees ki umra wali 'anitatai' tarwade gaon main ki ek samaj sevika thi...garibo ki pichde logo ki madad ke liye wo hamesha tayar rehti thi....usme ye ghatna bhi koi apvad (exception) nahi thi....apne samarpak jawabo se aur chatur sambhashan kaushaliya se unhone patrakaro ka mu band kar diya tha.....apne NGO se kuch rakam nikal kar unhone shweta ke pariwar walo ko arthik adhar diya tha.....unke jakhmo par halke se phook mari thi...
"anita tai aapka ye ehsaan hum kaise chukayenge...sach main agar aap nahi hoti to kya hota hamara" shweta ki maa ka gala bhar aaya tha aur wo anita tai se baat kar rahi thi
"isme ehsaan manne wali konsi baat hai main bhi aapki beti jaisi hu aur beti ka konsa ehsaan..jitna ban pade utna karna mera kartavya hai" anitatai
"jaisi bhi thi fir bhi shweta hamari beti thi usi ne roti khilayi thi....gaon wale kuch bhi bole hame hamari beti ke marne ka gum to hai hi..."
shweta ki maa ki aankhon se lagatar aansu beh rahe the..mand diye ki roshni main ujale se bhari wo room ekdum sunn ho gayi thi shabd tham se gaye the
kuch pal shanti main beetne ke baad anita tai boli
"acha main chalti hu ab, kafi samay ho gaya hai...aapko kabhi bhi kisi bhi cheez ki jarurat ho to aap haq se mujhe awaz de sakti hai"
itna bol kar anita tai ne unke pair chuye aur waha se bahar nikal gayi....hamesha tarwade gaon ke bhale ke liye jeene wali anita tai ke man main is samay aise hi kisi ke bare main vichar chalu tha....andhere main jaldi jaldi pair dalte huye wo chal rahi thi....achanak unko laga ke koi unke piche hai....unhone do pal ruk kar dekhne ki koshish ki lekin koi nahi dikha
wo fir se aage badhne lagi lakin koi to tha jo unka picha kiye ja raha tha..........