• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller Mastermind... (Completed)

Adirshi

Royal कारभार 👑
Staff member
Sr. Moderator
35,695
47,484
304
* Update 6 *

unke waha se jane tak pawar unhe dekhte rahe aur jaise hi wo najro se door huye pawar ne fir se waha rakhi file uthayi aur padhne main kho gaye............
--------------------------------------
bhausaheb ke jane ke baad waha sub inspector sawant aa pahuche aur sawant ke aane ki khabar milte hi pawar ne sawant se pucha

"bolo sawant kya pata chala" Pawar

"sir gadi ke malik ka pata chal gaya hai wo gadi kisi dusre ki hi thi, Mr. Mohite us gadi ke malik hai gadi band ho gayi thi isiliye wo ek car wale se madad lekar bagalwale gaon main gaye the, ye insan jisne ye khoon kiya hai usne band gadi ka fayda sirf us bus se lift lene ke liye kiya hua lagta hai" sawant

"us mohite ke sare referance check karo.konse gadi se wo gaon main pahucha pata lagao waha ke garage walo se baat karo aur uski batayi huyi har baat ki jaanch karo" pawar

"ha sir ye kaam chalu hai, ye mohiy=te kareeb 40 ki umra ka aadmi hai iska to description bhi us insan se nahi milta" saant

"hmm thik hai uska contact number le lo aur jarurat padne par phone karenge aisa batado" itna bol kar pawar fir se apne kaam main magn ho gaye

"ok sir" itna bol kar sawant bhi waha se chala gaya

*****************

yaha dusri or shweta ke ghar par dukho ka pahad gir pada tha..uske budhe maa-baap akele pad chuke the...jabki unhe pata tha ke unki beti kya 'kaam' karti hai fir bhi unhone us baaat ko jaan bujhkar najarandaj kiya tha...akhir kuch bhi ho unka ghar uski kamai par hi chalta tha...

ab shweta ke marne se unhe milne wala paiso ka ekmatra rasta bhi band ho chuka tha....usme bhi har do char din main police aur patrakaro ke rounds chalu the aur unke sawalo ne unhe pareshan kar choda tha....kisi insan ke charitra ko uchalne main unhe kyta maja aa raha tha kise pata??

un budhe maa baap ko is waqt ek hi majboot sahara lag raha tha wo tha anitatai ka.....kareeb tees ki umra wali 'anitatai' tarwade gaon main ki ek samaj sevika thi...garibo ki pichde logo ki madad ke liye wo hamesha tayar rehti thi....usme ye ghatna bhi koi apvad (exception) nahi thi....apne samarpak jawabo se aur chatur sambhashan kaushaliya se unhone patrakaro ka mu band kar diya tha.....apne NGO se kuch rakam nikal kar unhone shweta ke pariwar walo ko arthik adhar diya tha.....unke jakhmo par halke se phook mari thi...

"anita tai aapka ye ehsaan hum kaise chukayenge...sach main agar aap nahi hoti to kya hota hamara" shweta ki maa ka gala bhar aaya tha aur wo anita tai se baat kar rahi thi

"isme ehsaan manne wali konsi baat hai main bhi aapki beti jaisi hu aur beti ka konsa ehsaan..jitna ban pade utna karna mera kartavya hai" anitatai

"jaisi bhi thi fir bhi shweta hamari beti thi usi ne roti khilayi thi....gaon wale kuch bhi bole hame hamari beti ke marne ka gum to hai hi..."

shweta ki maa ki aankhon se lagatar aansu beh rahe the..mand diye ki roshni main ujale se bhari wo room ekdum sunn ho gayi thi shabd tham se gaye the

kuch pal shanti main beetne ke baad anita tai boli

"acha main chalti hu ab, kafi samay ho gaya hai...aapko kabhi bhi kisi bhi cheez ki jarurat ho to aap haq se mujhe awaz de sakti hai"

itna bol kar anita tai ne unke pair chuye aur waha se bahar nikal gayi....hamesha tarwade gaon ke bhale ke liye jeene wali anita tai ke man main is samay aise hi kisi ke bare main vichar chalu tha....andhere main jaldi jaldi pair dalte huye wo chal rahi thi....achanak unko laga ke koi unke piche hai....unhone do pal ruk kar dekhne ki koshish ki lekin koi nahi dikha

wo fir se aage badhne lagi lakin koi to tha jo unka picha kiye ja raha tha..........
 

Adirshi

Royal कारभार 👑
Staff member
Sr. Moderator
35,695
47,484
304
Update 7


itna bol kar anita tai ne unke pair chuye aur waha se bahar nikal gayi....hamesha tarwade gaon ke bhale ke liye jeene wali anita tai ke man main is samay aise hi kisi ke bare main vichar chalu tha....andhere main jaldi jaldi pair dalte huye wo chal rahi thi....achanak unko laga ke koi unke piche hai....unhone do pal ruk kar dekhne ki koshish ki lekin koi nahi dikha

wo fir se aage badhne lagi lakin koi to tha jo unka picha kiye ja raha tha..........
--------------------------------------------
anita tai ka bura chahne wale kai log the....usna bura karne ke liye kai log tayar baithe the...aise kai logo ko unhone khud ne thik kiya tha..unhi main koi ekhada usne ghabrane ke liye ye sab kar raha hai aisa samajh kar anita tai aage badh rahi thi..aur sath hi sath unke jo banda tha wo bhi unhi ki speed se aage badh raha tha...anita tai ek jagah jakar ruki..lekin piche se kadmo ka awaz ab bhi aa raha tha....kareeb kareeb aur kareeb ..unke ekdum paas main aakar wo awaz ruki

anita tai ko apne ekdum paas main koi hai is baat ki bhanak lag gayi thi..unke gardan par ke baal tight ho gaye the..rongte khade ho gaye the...reed ki haddi mud gayi thi...dil ki dhadkane tezz ho gayi thi ..shabd gale main hi atak gaye the...jor se cheekhne ke liye unhone apna mu khola lekin unki cheekh unke gale main hi atak gayi..unki peeth se ek bada sa chura unke sharir ke aarpaar ho gaya tha..us chure ke thande dhaardar sparsh unke manko ko thodte huye nikal gaya...anitatai piche mudi...samne ke vyakti ne wo chuka bahar kheecha aur fir se ek baar jor dar jhatke ke sath wo unke pet main ghusa diya..ghusata hi raha aur anita tai apne pran tyag kar jameen par gir padi....
******************

shweta ki maut dekh kar abhi tarwade gaon ko ek hafta bhi nahi beeta tha ke unki pyari anitatai ki maut unhe dekhne pad gayi

shweta ki maut se shayad ki kisi ko dukh hua tha lekin anita tai ki maut se pure gaon main hahakar mach gaya tha..

'tarwade' gaon main ek prakar ka sannata chaya hua tha....gaon ke bahar jo bhi schools thi usne apne aap hi chuttiya mil gayi thi...gaon main ka vyahar..vyapar thanda ho gaya tha....har ek insan ek dusre ki or shak bhari nigaho se dekhta tha..gaon main ka koi bhi lodge...hotel... restaurent in jagaho par koi bhi naya insan dikhte hi uski infoemation police station ko di jaye iski vyasta unlogo ne ki thi....gaon main ke sunsan ilake, gaon ke bahar ke khet.... tuti imarate in jagaho par jane ke liye gaon walo ko rok diya gaya tha..... gaon mainj naya bina pehchan ka koi insan dekhne main nahi aaya tha...gaon ke bahar ki sabhi jagah chan mar li gayi thi lekin kisi ke rehne ka koi namo nishan nahi mil paya tha.....

"kon hoga ye khuni?? motive kya hoga uska??? huye huye khuno main dono ka bhi ek dusre se koi sambandh nahi tha?? khuni sach main koi sirfira hoga kya??polico ke dimag main aise kai sawal ghoom rahe the lekin unke jawab unhe nahi mil pa rahe the

jile ke wrather forcast ke andaj se aane wale agkle kuch din barish ki sambhavnaye thi aur uske hisab se vatavaran bhi nirman ho gaya tha....din bhar badal ghire rehne se hawa main ek prakar ki nami faili huyi thi... hawa na hoke bhi ek thandi lehar thi....sara kala aasman tarwade gaon par girne ke liye tayar tha..............
 
Top