• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller Mastermind... (Completed)

Adirshi

Royal कारभार 👑
Staff member
Sr. Moderator
35,701
47,491
304
Update 8



jile ke weather forcast ke andaj se aane wale agkle kuch din barish ki sambhavnaye thi aur uske hisab se vatavaran bhi nirman ho gaya tha....din bhar badal ghire rehne se hawa main ek prakar ki nami faili huyi thi... hawa na hoke bhi ek thandi lehar thi....sara kala aasman tarwade gaon par girne ke liye tayar tha..............
-------------------------------------
tarwade gaon main ek prakar ka kohram macha hua tha..gaon ke bahar lodge main khoon huye ek hafta bhi nahi hua tha ke kal hi gaon main dusra khoon bhi hua tha..police station ke samne gaon main ke reporters aur news pane ke liye aaye huye shahar kereporters sabhi ki gardi jami huyi thi

"dekhiye aap sab please yaha gardi mat kijiye investigation puri hone par aapko sari information de di jayegi" inspector pawar us gardi ko lotte huye bol rahe the

"kab hogi aapki investigation puri pehle hi do logo ki jaan ja chuki hai aur aage kitne logo ko apni jaan gavani padegi" reporter

"dekhiye hamari chan been chal rahi hai..."

"konsi chan been chal rahi hai kya pata chala ab tak aapko" reporter

"ye kaam kisi sirfire killer ka hai.." pawar

"aap ye kaise keh sakte hai"reporter

"dono bhi khuno maoin khun ka motive samajh main nahi aaya hai aur jis chure se ye khoon huye hai unki banavat bhi ek jaisi hi hai.....issse jada main aako nahi bata sakta thodi chanbeen ke baad hi khulasa hoga" pawar

"to iska matlab aapka kehna hai ke is waqt gaon main ek khuni khula ghoom raha hai aur aapke paas koi surag koi saboot nahi hai aur aapki investigation puri hone tak gaon main kya aise hi khoon hote rahenge" rporter

"main ispar kuch nahi kahunga..jaise hi hame kuch pata chalta hai hum aap logo ko khabar kar denge" itna bol kar pawar ne usne waha se bahar nikalna chalu kar diya.....
********

"hello inspector" apne chehre par hamesha wali impressive smile late huye jhon bola

""hello" kuch ukhde andaz main inspector pawar ne kaha

" I m jhon...detective jhon" apni jeb main se apni detective agency ka card pawar ko pakdate huye jhon bola

pawar ne wo card liya aur jhon ko baithne ka ishara kiya jhon ne baithne huye hui apni file jisme uski agency ka goverment approved certificate....paas ke police station ka certificate aur baki ke kagzat the...

inspector pawar ne wo sab bade dhayan se dekhe aur fir bole

"bolo detective jhon main kya madad kar sakta hu aapki"

"mujhe gaon main huye khoono ke bare main janna hai" jhon

"arre bhai chavhan jhon sahab ko cse ki file dikhao" pawar kuch trast ho kar bole

"mujhe aapke case paper nahi chahiye sir mujhe case ke bare main jaankari news paper ke through mil gayi hai mujhe to wo jaankari chahiye jo aapne kisi ko nahi batayi hai" apne chehre ki smile kayam rakhte huye jhon bola

"sorry mr.jhon par isse jada jaan kari hamare paas bhi nahi hai" ab pawar ka jhon main ka intrest chala gaya tha aur wo fir se apne kaam main lag gaye the

"alright mera kaam tha puchna baki jaankari kaha se aur kaisi nikalni hai mujhe ache se pata hai chalta hu main"

itna bol kar jhon waha se utha aure apne raste nikal gaya...........
 

Adirshi

Royal कारभार 👑
Staff member
Sr. Moderator
35,701
47,491
304
Update 9


"sorry mr.jhon par isse jada jaan kari hamare paas bhi nahi hai" ab pawar ka jhon main ka intrest chala gaya tha aur wo fir se apne kaam main lag gaye the

"alright mera kaam tha puchna baki jaankari kaha se aur kaisi nikalni hai mujhe ache se pata hai chalta hu main"

itna bol kar jhon waha se utha aure apne raste nikal gaya...........
------------------------------------------------------
"arre arre bhausahebv ye kya sun rahe hai hum" nanasaheb tantanate huye bhausaheb ke drawing room main dakhil huye.
nanasaheb ye bhausaheb ke chate bhai lekin unke bilkul opposite....bhausaheb ka swabhav ekdum shant..mitbhashi...man milau....iske ulat nanasaheb garam dimag ke aage piche ka vichar na karte huye jo sahi laga wo karne wale

swabhav ke isi farak k,i wajah se bhausaheb maa-baap aur ab sare gaon ke chahite iske ulat nanasaheb na chahte huye bhi sabke tiraskar ke parta rahe.....nanasaheb bachpan se hi jua, daaru cigarate ke chakkar main sabse door hote rahe aur bhausaheb jimmedariya sambhalte huye aaj gaon main ke ek sammanit vyakti bane

unke pitaji ke maut ke baad in dono bhaiyo ke beech ka jhagda sare gaon ke samne aa gaya tha. pitaji ne apni sari jaydad ka batwara dono bhaiyo main eksa kiya tha lekin ek limited rakkam ke kharche ke baad nanasaheb ko bhausaheb ki permission ke liye bandhankarak kiya tha.... uske baad nanasaheb aur bhausaheb ke beech ka jhagda badhta hi gaya...un dono main kabhi nahi jami aur isi wajah se nanasaheb unse alag hokar dusri haweli main rehne chale gaye.....

"arre nanu.. shanti rakho...baitho" bhausaheb apne ghar ke drawing room main gaon ke dusre sammanit vyaktiyo ke sath charcha main magn the aur nanasaheb ko aise tantanate huye aane se unhe bhari embarassment jhelni padi...."kya hua hai wo jara shanti se bataoge..?"

"bhausaheb maine suna hai ke aap hamari gaon ke dakshin bhag ki 25 acre jamin bhumihino ko dene wale ho?" nanasaheb khade khade hi bol rahe the.

"ha..tumne jo suna wo sahi hai" bhausaheb

"are ye sab kya tumhare akele ka hai kya?? mujhe puchna jaruri samajhte ho ke nahi?? arre main us jamin par ek factory lagane wala hu ye bataya tha na maine tumhe.." nanasaheb

"arre bas 25 acre ka ek tukda hi to de raha hu na baju main itni sari jamin khali padi hai wo le lo na.." bhausaheb

"nahi...ye main nahi hone dunga...mera virodh hai is baat ho......mujhe wo puri jamin chahiye..company wo waisi jaban di hai maine!" nanaasaheb

"ha to maine bhi un bhumihino ko apni jaban di hai nanasaheb" bhausaheb

"arre puchta kon hai teri jaban ko us jamin ka har ek acre mere liye mahatvapurn hai.....aur agar jamin batne ki itni hi haus hai na to apna ye ghar dede par us jamin ki or dekhna bhi mat!" nanasaheb

"dekh nanu wo jamin nadi ke paas haigaareeb logo ko agar wo jamin mil gayi to unki pani ki samasya hal ho jayegi maine apni jaban di hai aur ab main piche nahi hat sakta" bhausaheb

"thik hai to fir...aajtak bada bhai ho isiliye tumhari har baat sun ke li lekin ab naahi maine bhi dekta hu ke us jamin par factory kaise nahi banti" nanasaheb

"agar meri jaan chali jaye to bhi chalega lekin apni jaban khali nahi jane dunga main" bhausaheb ko ab gussa aane laga tha

"thik hai...agar tumhari lash pe hi is factory ki neev likhi hai to mujhe bhi koi harkaat nahi hai" itna bol kar nanasaheb jaise aaye the waise hi tantanate huye nikal gaye....................
 

Adirshi

Royal कारभार 👑
Staff member
Sr. Moderator
35,701
47,491
304
Update 10


"agar meri jaan chali jaye to bhi chalega lekin apni jaban khali nahi jane dunga main" bhausaheb ko ab gussa aane laga tha

"thik hai...agar tumhari lash pe hi is factory ki neev likhi hai to mujhe bhi koi harkaat nahi hai" itna bol kar nanasaheb jaise aaye the waise hi tantanate huye nikal gaye....................
-------------------------------------------------------------
'tarwade' gaon ke ek saste se saste hotel main jhon ne ek room leli thiaur jeb ki halat dekh kar to use lag raha tha ki wo hafte bhar se jyada waha reh nahi sakta...usko jaldi se jaldi kuch hulchal karna jaruri tha....

apne hath main ki cigarate ke kash khichte huye jhon sabhi ghatnao ka suru se vichar kar raha tha....

'jaha wo aadmi bus main ghusa tha wo jagah bastoi se waise to door hi hai..matlab wo aadmi waha kisi gadi se aaya tha ya fir usne waha apni hi gadi layi ho...

agar wo banda guneh gar hua aur khoon karne ke hetu se hi aaya hoga to waha tak pahuchne ke liye wo kisi pe dependent nahi raha hoga ya kisi se lift nahi mangi hogi matlab wo khud ki hi gadi se waha aaya hoga aur agar aisa hai to usne ho na ho apni gadi wahi kahi chupayi hogi'

jhon jaldi hi apni jagah se utha..tarapur exit par jab jhon pahucha tab bara baj chuke the..jhaon ne aajubaju main ek najar daudayi lekin aaspaas basti kahi nahi thi bas lambi lambi ghas hi badhi huyi thi...jhon ne andaje se aaspaas maon dhundne ki surwat ki....lekin ek dedh ghante baad bhi kahi kuch nahi mila..kareeb 1 kilometer ander jane ke baad jhon ko raste ke sside se car ke tyres ke nishan dikhe...jhon un nishano ka picha karte huye ghas main ghusa to ek jagah par ghas dabi huyi lag rahi thi aur ho na ho waha ekhadi car aakar gayi thi waha ki ghas puri tarah dab gayi thi jaise koi bhari gadi kafi samay tak waha khadi ho....

"shayad yahi wo jagah hai jaha us aadmi ne apni car chipayi thi" wild guess lekin baat sochne layak thi aur jhon ko apne intincts par pura bharosa tha...

"matlab hua aisa hoga ki us gunehgar ne raste ke side main band padi huyi gadi dekhi hogi aur apni car yaha is ghas main lakar chipa di aur us baand car ke paas khada ho gaya...bus driver ko aisa laga ki usi ki gadi hai aur isi baat ka fayda lekar wo bus main chadha....jaha bus band huyi waha kisi karan se us ladki ko lekar gaya aur uska khoon kiya...fir wapas yaha aaya aur apni gadi lekar chala gaya.....lekin kaha??jaha se aaya tha waha?? ya jaha ja raha tha waha???" jhon apne aap se hi baat kiiye ja raha tha..

jhon ne fir se ek baar dabe huye ghas ka nirakshan chalu kiya tyre marks jis disha se ander aaye the usi disha se bahar gaye the.."matlab aisa ki gunehgar taraapur se tarwade ya aage kahi ja raha tha aur use band gadi dikhi to usne apni gadi reverse lekar yaha ghar main chupayi isiliye tyre markas baye or se ander gaye hai.

gadi ki direction thi tarapur ki or....aur usi disha main gadi reverse main bahar nikli hai...matlab gadi ki disha ab bhi tarapur ki or haiiska matlab aisa ho sakta hai ke wo jidhar se aaya thausi or gaya tha.."

basss...isse jyada jhon ko kuch nahi mila.....usne kuch saboot dhundne ki koshish ki lekin jise clue kaha ja sake aisa use kuch nahi mila...

"chalo aaj ka din waste to nahi hua jaha se surwat ho sake aisa kuch mila to hai" aisa sochte huye jhon wpas aane ke liye ravana ho gaya........
 

Adirshi

Royal कारभार 👑
Staff member
Sr. Moderator
35,701
47,491
304
chaar update post kar diye hai dosto manta hu ke bahut der se kiye hai lekin samay ka kafi abhav tha kuch mahino se isiliye forum par nahi tha lekin baki updates bhi ready hai aise hi roj 3 se char updates post kar ke story jald hi khatam ho jayegi bas aaplig sath dena
dhanyawaad
 
  • Like
Reactions: Nevil singh
Top