• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Adultery Manhoos se mahan tak

Story kaisi lagi

  • Best

    Votes: 894 85.0%
  • Good

    Votes: 135 12.8%
  • Bad

    Votes: 23 2.2%

  • Total voters
    1,052
Status
Not open for further replies.

Ajay

Well-Known Member
6,895
33,103
218
Hame batate huye atyant harsh ho raha hai ki aapki kahani Google Ranking mein Top 5 kahaniyo me shumar huyi hai..
Is adbhut uplabdhi ka shrey jitna kahani ke Writer ki mehnat ka hai utna hi kahani ke Readers ka jinhone apne support se kahani ko is mukam par pahuchaya hai..
Hum XForum Staff pure XForum ki taraf se kahani ke writer aur sare readers ko is sarahniya uplabdhi ke liye tahe dil se badhai dete hai...


The XForum Scoop - JULY 2021 Edition
Congratulation bhai
 

Krishu89

Banned
478
1,632
123
Well hamne bas aapke pooche gaye sawal ka jawab diya that's all simple!!! Hame isse koi sarokar nahi agar aap kisi character ko serious le rahe I guess most have done that or may be not, aap writer ji se kaheye woh sare ladkiya or aurten hata ke sirf radha ko he poore kahani main rakhen!!! or hamara ye batana ki hamne 3 dafa pada woh isi liyea ki jise kahani ka sabse pahla update he yad na ho toh well you know! Do you think me or anyone care what you think about any character in the story, many had chosen there own characters in the story like you,toh meherbani se apni marji dosron ko dikhana achi baat hay par apni marji thopna galat,so be practical...and enjoy the story
Good boiii... Radha he rahege😆
 

aalu

Well-Known Member
3,082
13,028
143
gaon dehat mein yahee hota hain ...... paas pados ke logo ko agal bagal kee har khabar hoti hain... kabhi kabhi toh yeh bahut annoying hota hain.... lekin kabhi mushibat mein wo kaam bhi aate hain... sahar mein toh bagal ke falt mein koi mar jata hain toh maloom na chalta hain... khair...

boodhe baba kee anubhawi ankhon ne andaaja laga hi liya kee kuchh garbar jaroor hain... lekin maar peet mein kab kahan se aa ke lag jaye andaaja na lagta hain... chot jyada gehri na thee na toh dono bhai bister pe hi milte.... lekin vijay mama kee baare mein andaja lagate der ho chali... aur inhone ne dono jagah pe ek saath hamla kiya... khair baaki toh nikal liye... lekin jo ghayal hain wo haath aata hain keee nahin... akhir baljeet ka raaj idhar se hi khulega...

ab jab pehla waar usne kar hi diya hain... toh satarkta aur doobara hamle ke liye tayaar hi rahna hoga... lekin baat kab tak chhupati rahegi manju bua... aaj yeh hamla hua kal koi aur hoga.... aur agar baljeet ko amit kee wastavikta maloom chala toh baat jaan tak bhi aa jayegi... ab wo chhupa toh shakti na hain.... aur kab tak ritu ke bharose rahegi... agar uska transfer ho gaya toh....

afra-tafri mach gayee iss hadse se... akhir sp ka rutba bhi koi cheej hota hain... naam lene bhar se shab vyavasthit ho gaya... kitne bhi paise kama lo power ka maja hi alag hain...

mohit khud ko barbad kar lega aise mein... amit idhar pariwar mein uljha hain oopar se yeh nayee mushibat.... karishama baat kar bhi legi toh hal kya hain uske pass... akhir minal kisi kee sunne kee halat mein na hain... jahir hain aise halat mein uske paksh mein kuchh bhi na hain... aur galti na hote hue bhi mohit galat hain... ek doosre ko jalane kee chakkar mein itne door nikal gaye kee dooriya hi badh gayee... samay rahte amit pahuncha nahin toh aaj minal kee halat kisi bazaru ladki jaisi ho chuki hoti....

amit ko mohit se sach bata dene se bhi kuchh na badalne wala... kya mohit uspe illjam lagayega.... aise mein toh rishta aur tootega,,, yehan toh jorne kee baat ho rahi hain.. jab tak asliyat un logo kee bahar na aayegi shayad hi wo maaf kare....

thrilling update...
 

Raja chouhan

Active Member
1,991
28,971
173
Update 258



‘ tujhe apne mata pita k sath hi mar jana chahiye tha . Ab tu mujhse meri daulat cheenna chahta hai ? Is daulat k liye maine kya kuch nahi kiya aur tu mujhse meri daulat cheenne aa gya . Main tumse tumhari zindagi hi cheen lunga ‘ BALJEET rai hath me rivolvar pakde hue tha aur uske aadamiyon ne Amit ko rassi se bandh kar ghutno par bithaya hua tha . Amit ka sara chehra lahuluhan tha . Uski halat aise thi k pata nahi saanse kab sath chhod de.

Amit : main tumse nahi darta , tumne mere mata pita k sath jo kiya hai uski saza to tujhe milegi hi. Tujhe hisab dena hoga meri bua k aasuon ka .

BALJEET rai : mujhse hisab lega tu ? Ye le hisab ,,,,, dhishkyauuunnnn ,,,, dhishkyauuunnnn ,,,, dhishkyauuunnnn….

Ha ha ha ha ha ha ha ,,, mil gya hisab ???? Kuch kam hai to bata de aur de deta hun . Ha ha ha ha ha

Amit BALJEET rai k samne hi tadap tadap kar dam todne laga . Tabhi ek zordar Gagan bhedi cheekh goonji

‘ nahiiiiiiiiiiiiiiiiii ‘ achanak se Manju cheekh uthi thi apni ankhon k samne Amit ko marta hua dekh kar . Uska dil jaise dhadkana hi bhool gya tha . Is zordar cheekh k sath Manju uth baithi jo neend me bura Sapna dekh rahi thi .

Manju bua ki cheekh sun kar main neend se jaga to dekh bua paseene se bheegi hui thi. Unki ankhen aise dikhai de rahi thi jaise unhe koi sadma lag gya ho . Main turant unki taraf lapka

Amit : kya hua bua ?? Aap cheekhi kyun ???? Buaaa ,,,,,, buaaaaaa ,,,, buaaaaa

Manju bua sadme me hi chali gyi thi . Main unki hila raha tha aur pooch raha tha par wo na bol rahi thi na ankhen hila rahi thi . Bas ek jagah ankhen ruk gyi jaise pathar ho gyi thi aur na hi wo kuch dekh pa rahi thi .

Amit : buaaaaa ,,,,. Hosh me aaiye ,,,,, buaaaa ,,, meri taraf dekhiye ,,, main Amit hun. Aaap cheekhi kyun ? Koi bura Sapna dekha kya ???? Buaaaaa

Maine pas pade pani ki gilas se pani le kar bua k chehre par mara tab kahin ja kar unki ankhen jhapki aur unka dhyan meri taraf gya. Mujhe samne dekh pehle to wo aise dekhti rahi jaise main koi chhalaawa hun fir aaspas dekha aur jab hosh aya to mera chehra hathon me pakad ke mujhse chumne lagi aur rone lagi

Manju : tu theek hai ???? Tu theeek hai ,,,, tujhe kuch nahi hua ,,,,, tu theek hai na ,,,,,,

Amit : Han bua main theek hun par aap ko kya hua hai? Koi Sapna dekha kya ?

Manju : wo Sapna tha ??? Han ,, hh han wo Sapna hi tha , Sapna hi tha . Bhagwan kare aisa kabhi na ho chahe to meri jaan le le magar tujhe kuch na ho .

Amit : lagta hai aapne sapne me mere sath kuch bura hote dekha hai. Par wo sirf sapna tha bua main theek hun. Aap aise hi dar gyi. Lijiye pani pijiye , main to dar hi gya tha k aapko kya ho gya . Shayad subah hone wali hai , aap aram karna chahe to kar le main baba ko dekhta hun jakar.

Manju : main bhi sath hi chalti hun .

Manju ( man me ) main tujhe kuch nahi hone dungi. Bhagwan mere amit ko kuch na hone dena . Chahe to meri jan le lena

Hum dono ko aram karne k liye alag kamra diya tha rat ko Dr ne is liye ab hum apne kamre se nikal kar baba k pas gye to wo bhi jaag chuke the . Sir par patti bandhi thi aur chehre par sujan thi sath hi baju par aur hath par bhi pattiyan bandhi thi. Bed se tek lagaye baithe wo kuch soch rahe the aur mujhe dekhte hi unke chehre par raunak aa gyi .

Amit : babaaaa

Vijay : are amit tu aa gya , tu theek to hai na ???

Amit : han baba main to theek hun aap bataiye aao kaise hain ?

Vijay : tu aa gya hai ab main bilkul theek hun. Bas halka sa dard hai . Are Manju tu bhi yahin hai ? Aur kaun kaun hai yahan ?

Amit : bas hum hi hain , Ajay mama aur Kamlesh mama aaye the rat ko tab aap hosh me nahi the to Maine unhe wapis bhej diya dara bhaiya k sath. Aap k liye chai pata hun.

Vijay : nahi rehne de abhi , ye tune acha kiya unko bhej diya . Dr se bat kar le hum bhi wapis chalte hain. Itni chot nahi lagi hai bas sir par hi to hai thodi si .

Manju : bhaiya aap chupchap aram kijiye , Dr ko jyada malum hai ya aapko? Pata bhi hai kitna khoon baha hai aapka ? Rat bhar aapko hosh nahi thi ,, bat karte hain ..

vijay : are gudiya tu to aise hi pareshan ho rahi hai . Main theek hun .

Amit : bua theek keh rahi hai baba , aap bas aram karo . Main dr ko bula kar lata hun.

Fir main Dr ko bulane chala gya aur Manju bua baba k pas baith gyi . Dr ne baba ko check kiya to baba use chhutti k bare me puchne lage . Dr ne bhi bataya k chot jyada gehri nahi thi is liye aaj chhutti mil jayegi . Bas khoon behne se kamzori aa gyi hai jiski vajah se aram karna padega abhi kuch din . Wo chahe to ghar par hi kar le . Dr ki bat sun kar baba bahut khush hue aur mujhe gaon ke chalne ko bolne lage . Itne me gaon se Ajay mama aur Kamlesh mama bhi aa gye. Wo chai nashta sath lekar aaye the . Kuch der me Rama Aunty bhi aa gyi karishma didi k sath . Rama Aunty to humen ghar lekar jana chahti thi par baba nahi mane . Manju bua ko bhi baba ne unke sath hi bhijawa diya . Karishma didi kuch der bad laut aayi aur kehne lagi k wo khud chhodne jayegi gaon . Baba mana kar rahe the par wo nahi mani . Aur fir dopehar hone tak hum wapis gaon k liye nikal liye. Police wale jo rat ko hamari rakhwali par khade the unko bhi sath le jana pada . Maine mana bhi kiya par kehne lage k humen order hain . Warna madam suspend kar dengi . Khair hum dopehar tak wapis ghar pahunch gye . Ghar pahunchte hi ma jo besabri se hamara intzar kar rahi thi baba ko dekhte hi bifar padi

Gauri : ye kya ho gya ,,,,,,,, huhhh ,,, huhh ,,,, aapke sath ye kisne bair nikala hai ,,,,, bhagwan ko zara bhi rehaM nahi aaya ,,,, aag lage ,,, keede paden un logon ko jinhonne aapke sath ye sab kiya hai

Ma Roti hui baba ki halat dekhti aur siskiyan leti hui unki halat par pata nahi kya kya bol rahi thi. Baba ne unhe sambhalne ki koshish ki .

Vijay : main theek hun Gauri bas zara c chot hai. Khud ko sambhalo , dekho aisi halat me tumhara aise rona theek nahi . Bache par kya asar padega .

Gauri : aapko kuch ho jata to kya main zinda rehti ??? Kisse bair liya hai aapne jo aap par aisa hamla ho gya . Aapne to sari zindagi kisi k sath bura na kiya fir kaun aa gya aapki jaan ka dushman

Vijay : aisa kuch nahi hai , pata nahi kaun log the . Police dekh legi , waise bhi main to theek hun na . Amit samay par pahunch gya tha mere pas. Iske hote bhala mujhe kuch ho sakta hai.

Baba ki bat sun kar ma ka dhyan meri taraf gya aur baba ko chhod kar unhone mujhe gale laga liya aur rote hue mujhe chumne lagi .

Gauri : mere laal tu theek to hai na ??? Tujhe kahin chot to nahi lagi ??

Amit : nahi ma main theek hun , dekho apke samne hi to khada hun . Par ye aap acha nahi kar rahi . Baba ghar aaye hain aur aap roye ja rahi ho. Apna kuch to khyal karo , ye na ho k mera chhota bhai rondu ho .

Meri bat sun kar ma ne mujhe chapat mari .

Gauri : sharam nahi aati aisi bat karte hue. Chaliye ji aap pehle andar chaliye , apne kamre me aram kariye aram se .

Ma baba ko lekar kamre me chali gyi. Idhar divya mausi jaise intzar hi kar rahi thi . Ma k hat te hi wo mujhe gale laga li.

Divya : tu theek to hai na ,,, main kitna dar gyi thi. Tu sach me bahut bahadur hai , bade bhaiya ko bacha liya warna pata nahi kya ho jata .

Amit : sab theek hai mausi aap chinta mat karen , mujhe kuch nahi hua aur mere hote baba ko kuch nahi ho sakta .

Divya : tu chal pehle tere liye main haldi wala doodh lati hun .

‘ haldi wala doodh hazir hai didi , pehle hi maine garam kar diya tha . Lijiye khud pila dijiye ‘ Deepika mami hath me doodh ka gilas liye pehle hi aa gyi aur mausi k hath me doodh ka gilas thama diya . Deepika mami ne kuch nahi pucha bas mujhe guar se dekhne lagi jaise scan kar rahi ho. Idhar kamini mami bhi kareeb aa gyi

Kamini : kitne ehsan karega mujh par , tere ehsan to main kabhi chuka hi nahi sakti. Tune apne mama ko bacha kar mujh par ek aur ehsan kar diya hai

Amit : Maine Kya kiya mami , wo to sab aa gye the gaon wale . Ulta mama ko hi chot lag gyi .

Kamini : bas bas , sab janti hun main, sab bata diya hai unhone mujhe . Ab ja kar aram kar le bad me bat karti hun tujhse .

Deepika : mere khyal se Amit ko aram karne dena chahiye , rat bhi hospital me aram to nahi mila hoga . Ab thoda aram kar lega to sham ko akhade bhi jana hoga isne.

Divya : aram ka to theek hai par akhade se aaj chutti karne de . Ek din na jayega to kya ho jayega.

Divya mausi Deepika mami ko jawab dekar mujhe upar le gyi kamre me aur khud hi bed par mujhe lita kar mera sir apni goad me rakh kar sehlane lagi. Mujhe pata hi na laga kab meri aankh lag gyi . Rat ko ache se neend nahi aayi thi shayad isi vajah se turant neend aa gyi.



Udhar Manju jab ghar pahunchi to Rupali aur Rima chinta me thi . Rat ko bhi Manju ne khul kar kuch nahi bataya tha bas itna hi kaha tha k vijay ka accident hua hai .

Rupali : ab kaise hai vijay bhai sahab ? Ye sab hua kaise ?

Manju : ab wo theek hain aur wapis gaon chale gye hain. Par ye accident nahi tha bhabhi .

Rupali : shocked ) kyaaa ?? Tum kehna kya chahti ho ? Fir unhe hua kya hai ?

Manju : un par janleva hamla hua hai wo bhi unke gaon me .

Rupali : par aisa kaun kar sakta hai , unki kisi k sath koi dushmani hai kya ?

Manju : pehle to nahi thi par meri vajah se unka dushman ban gya hai koi.

Rupali : tum kiski bat kar rahi ho ?

Manju : bade bhaiya ki , yad nahi wo dhamki dekar gye the ? Mujhe poora yakeen hai ye unhi ka kam hai . Warna bhaiya ki kisi k sath koi dushmani hai hi nahi. Log to unki itni izzat karte hain. Aur janti ho hamla Amit par bhi kiya gya hai

Rupali : kyaaa ??? Wo theek to hai na ???

Rupali Amit par hamle k sun kar kuch jyada hi adheer ho gyi thi akhir wo use apna damad jo banane ka soch rahi thi aur waise bhi uske sath jo kuch ho chuka tha uski dil me khas jagah thi. In dono ki baten bahar khadi Rima bhi sun rahi thi. Jo Amit k bare me sun kar rone hi lagi thi aur poori bat sune bina hi apne kamre me doad gyi aur jakar apne phone se use phone karne lagi. Par uska phone lagatar ring ho raha tha magar koi response nahi .

Manju : han bhabhi , us par bhi hamla hua tha aur Ajay bhaiya par bhi magar wo dono bach gye bas ajay bhaiya ko mamuli chot aayi hai. Ye sab meri vajah se ho raha hai . Mujhe wahan nahi jana chahiye tha . Meri vajah se bade bhaiya unko nuksan pahunchana chahte hain. Main ye shehar chhod kar kahin aur chali jaungi .

Rupali : kahan jayegi ? Kitna bhagegi ? Itne sal pehle bhi to bhagti rahi hai chhipti rahi hai . Aur kitna bhagegi ? Tujhe samna karna hi hoga Manju , tere sahare to mujh me himmat aayi hai agar tu hi aise kamzor pad gyi to mera kya hoga mari bachiyon ka kya hoga ? Wo insan nahi bhediya hai . Humen uska samna krna hi hoga. Aur fir Ritu bhi to yahin hai .

Manju : nahi bhabhi , mujhe itni himmat nahi hai k main Amit ko kuch hota hua dekh sakun. Aaj subah hi maine ek bhayanak Sapna dekha hai , main nahi chahti mera Sapna sach ho. Main khud mar sakti hun par amit ko marta hua nahi dekh sakti

Rupali : ek Sapna dekh kar tu dar gyi ? Zara hamare bare me bhi to soch , hum kahan jayenge ?

Manju : aap bhi mere sath chalo bhabhi , hum kahin aur chale jayenge jahan wo humen dhoondh na paye

Rupali : itne salon bad jis khoye hue pariwar ko tum wapis mili ho kya unhe aise hi chhod dogi

Manju : meri vajah se unhe kuch ho mujhe ye bhi to manzoor nahi. Door ja kar kam se kam ye to tasalli rahegi ki wo surakshit hain

Rupali : agar door jane k bad bhi unke sath kuch bura ho gya to ???

Manju : aisa kuch nahi hoga , ye sab meri vajah se ho raha hai. Main chali jaungi to kuch nahi hoga .

Rupali : meri man to unka sath de aur samna kar , warna zindagi me baki kya reh jayega . Waise bhi zindagi ka kya bharosa , kab kahan kya ho jaye. Itne saal tu akeli rahi hai ab kya sari Umar akeli hi rehna chahti hai .

Manju Rupali ki baton par double mind ho gyi thi . Kahan wo aate waqt bas yahi soch rahi thi k wo ab yahan se kahin door chali jayegi taki uska bittu aur pariwar surakshit rahe par ab Rupali ne use sochne par majboor kar diya tha akhir itne saal akele reh kar wo bhi to akelapan se tang aa gyi thi



‘ kuch bola isne abhi k nahi ? ‘ gaon me jo billa ka ek sathi kheton me chhip gya tha use subah hone se pehle hi police ne gaon walon k sath mil kar ghera daal kabu kar liya tha . Ritu k order k mutabik police use sidha headquarter hi le aayi aur apne tarike se puchtach kar rahi thi. Subah se use bandh kar latka diya gya tha aur lagatar uski dhunai ho rahi thi. Itni durdasha to uski kabhi na hui thi chahe wo pehle bhi pakda gya tha kai bar. Par ab to chhote se apradh par use aise torture kiya ja raha tha jaise usne kisi bade aadmi ka katal hi kar diya ho . Usne abhi tak muh nahi khola tha par ab Ritu ko samne dekh uski jo thodi bahut himmat bachi thi wo bhi jawab dene lag gyi thi . Ritu bhi rat bhar chain se so nahi payi thi. Ab ek k pakde jane se use tasalli ho gyi thi k ab wo jad tak pahunch hi jayegi .

‘ nahi madam abhi tak isne muh nahi khola ‘

Ritu : koi bat nahi ab ye sab kuch tote ki tarah bolega . ( gunde k pas akar ) to ,, bahut charbi hai tum me ??? Kahan hath daal rahe ho pehle ye jaan lena chahiye tha tum logon ko . Jis par tum logon ne hath dala hai na wo mere apne hain. Aur main kaun hun ye to tumhe ache se pata hi hoga . Kot kacheheri tum jaise logon ko le jana mujhe acha nahin lagta is liye khud hi faisla kar deti hun main. To ab tum mujhe sab kuch sach sach bataoge jo main janna chahti hun ya fir tumhe tumhari is gandi zindagi ki kaid se riha kar diya jaye .

‘ mm ,, main ku ,, kuch nahi janta . Main bas sath gya tha ‘ Ritu ki sard awaz me kahi bat ne us gunde ko andar tak hila kar rakh diya tha . Dar k mare muh se shabd sahi se nahi nikal rahe the .

Ritu : kiske sath gye the ? Kitne log the tum aur kiske kehne se gye the ? Sab kuch batao

‘ mm ,, main kuch nahi janta main to bas ss ,, sath gya tha pp ,, paison ki khatir’

Ritu : hmmm to tum kuch nahi jante . Koi bat nahi main yad dila deti hun .

‘ aaaaaaaaahhhhhhhhh ‘ ek zordar cheekh us gunde k muh se nikli jo bahar tak sab ne suni hogi jab Ritu ne hath me pakda hua pen jaisa chhota sa metal ka tukda poora ka poora us gunde ki jaangh me ghusa diya . Khoon ki dhaara sath hi behne lagi thi . Pas me maujood police wale bhi Ritu k is roop se dang the . Darasal Ritu khud kabhi aise puchtach karne aati hi nahi thi agar koi bahut badi ghatna na ho.

Ritu : kuch yad aya ? Ya abhi isme mirchi bhar dun ?

‘ aaaahhhhh maaaaaa chhod do mujhe main mar jaunga aaaaaahhhh ‘ wo gunda bheekh mangne laga tha dard se chhatpatata. Par Ritu ko jaise ye bhi pasand na aya aur ek hi bar me wo cheez uski jaangh se khinch kar dusri jangh me ghused di. Wo fir se cheekha aur wahin kursi par bandh uchalne laga .

Ritu : aise chhed pata nahi kahan kahan ban jayenge tumhari body par . Aur agar fir bhi na bole to akhiri chhed mathe k bicho bich goli se banaungi . Chal bata jaldi jo kuch bhi pata hai .

‘ aaaaaaiiiiiiiiii maaaaaaaaaa aaaaaaaa billlaaaa ,,,,,, billllllaaaaa k sath gya tha main wahan . Vv ,,, vijay ko hath paon todne aur,,,, aur uske bete k . Hum 7 log the isse jyada mujhe kuch nahi pata madam . Please mujhe chhod dijiye aaaiii ‘

Ritu : billa kahan hai is waqt ?

‘ xxxxx adde par milne ka bola tha madam please madam bahut dard ho raha hai mujhe chhod dijiye . Isse jyada mujhe kuch nahi pata ‘

Ritu ko pata chal gya tha k isse jyada wo nahi janta hoga . Billa k bare me Ritu ko pata tha aur aage sab kuch billa se hi pata chal sakta tha . Ritu ne use wahin chhoda aur rumal se apna khoon se ranga hath saaf karti hui bahar nikal aayi. Uske sath hi 2 inspector bhi the . Jinhe team bana kar billa k thikane par RAID karne ko usne keh diya . Ritu ko shak to tha hi k iske piche BALJEET rai ka hath hai bas ek k suboot chahiye tha fir uski kya durgati wo karegi use khud bhi nahin pata tha . Akhir bat thi amit ki , ye hamla sirf vijay par nahi balki amit par bhi tha aur amit uske liye kya mayne rakhta tha ye koi aur kahan janta tha .



Main aram se bed par soya pada tha jab mujhe apne hath par kisi k aur k hathon ka ehsas hua . Mujhe aisa lag raha tha jaise koi mere hath k sath kuch kar raha hai jisse thoda sa dard bhi mehsus ho raha tha . Meri achanak se aankh khuli to samne Radha ko paya . Jo side me baithi mere hath par malish kar rahi thi.

Amit : Radha tum yahan ? Ye kya kar rahi ho ?

Radha : aram se lete raho thodi der . Tumhare hathon me sujan hai shayad tumne dhyan nahi diya . Zor se mara hoga na un badmashon ko, sujan pad gyi hai. Is par patti nahi karwa sakte the ? Rat bhar to hospital me the .

Amit : ye sab to hota rehta hai. Thodi si to sujan hai . Theek ho jayegi

Radha : maine kaha na aram se lete raho, bahut laparwah ho tum. Apna dhyan hi nahi rakhte . Ye to acha hua Maine aur chhoti mami ne dekh liya . Warna tum to batate hi nahi

Amit : Deepika mami ko bhi pata hai ?

Radha : aur nahi to kya ? Ye haldi jala kar choona tel me garam kar k wahi to bana kar de kar gyi hain. Warna main to pain relief hi lga deti. Keh rahi thi isse jaldi theek ho jayega.

Amit : are yar kuch bhi nahi hai . Ye apne aap theek ho jayega .

Radha : shhhhhh , maine kaha na chupchap lete raho. Bade aaye apne aap theek ho jayega . Aur kahan kahan chot lagi hai dikhao mujhe .

Amit : are kahin nahi lagi hai chot vot mujhe .

Radha : mujhe kuch nahi sunna , chalo apni T-shirt utaro . Mujhe dekhna hai

Amit : tumhe sharam nahi aati mere kapde utarawana chahti ho ?

Radha : Han nahi aati sharam mujhe , tumse to bilkul nahi. Ab khud utaroge ya main utarun ?

Radha ko aise baten karta dekh main thoda hairan bhi tha par acha bhi lag raha tha.

Amit : acha ruko baba main nikalta hun , agar koi aa gya to khud hi jawab dena fir k tum kya kar rahi thi

Radha : uski tum parwah mat karo .

Main uth kar baith gya aur apni T-shirt utar kar Radha ki taraf pith kar k baith gya . Radha ne ache se dekha aur fir mujhe ghumne ko kaha . Main ab Radha ki taraf muh kar k baith gya , mujhe ajeeb sa lag raha tha Radha k samne aise upar se nanga ho kar baithna par Radha ko jaise isse koi farak nahi tha . Wo ache se mujhe check kar rahi thi aur jab meri body par koi nishan nazar na aya to mere kareeb aa kar mere balon me check karne lagi jaise wahan koi chot na chhipi ho. Radha mere bilkul kareeb aa gyi thi . Main bed par baitha tha aur Radha mera sir check kar rahi thi . Be dhyani me Radha ne mera sir jhukaya jo uske seene se lag gya . Hun dono ko hi ek jhatka sa laga kyunki mera sir Radha k naram mans k golon se ja laga tha . Ye ek pal k liye hi tha magar meri dhadkan ek pal me hi tez ho gyi thi. Radha ka hilna bhi mujhe mehsus hua par usne kuch zahir kiye bina aise hi mera sir jhukaye rakha aur dekhti rahi. Meri saanson me Radha ki khushbu mehak rahi thi. Meri ankhen apne aap band hone lagi. Ye pata nahi kaisi Kashish thi jo Radha k paas mujhe hamesha hi mehsus hoti thi . Ek bar fir main us Kashish me khud ko bandhta hua mehsus kar raha tha . Kuch der Radha aise hi mere bal sehlati chot dhoondhne ki koshish karti rahi aur main madhosh sa khoya raha kisi aur duniya me.

Radha : shukar hai sir me chot nahi hai , ab tange check karni padegi .

Amit : kyaaa ???? Main nahi utarne wala kapde pehle hi keh deta hun.

Radha : kapde utarne ko kisne bola ? Main aise hi check kar lungi .

Radha ne jhangon se lekar paon tak ache se daba daba kar check kiya aur sath hi mera face impressions dekhti rahi k kahin main kuchh chhipa to nahi raha .

Amit : ab to ho gya yakeen ?

Radha : Han ho gya , sorry par main kya karti tum har chipate ho . Apne aap batate nahi is liye check kiya tha . Ab kapde pehan lo. Main hathon par garam patti lapet deti hun

Amit : ab iski kya zarurat hai waise bhi mujhe akhade me jana hai

Radha : aaj kahin nahi jane wale tum. Warna main ma se keh dungi fir khud hi jawab dete rehna . Ab ache bachon ki tarah bat mano aur neeche chalo. Sab se mil lo chal k , tum so rahe the is liye koi upar nahi aya

Amit : kaun aya hai ?

Radha : sab aaye hain , badi mausi rita mausi bade mausa ji naina didi karuna didi Kalpana aur thodi der me Sheena didi bhi aa rahi hain Rima k sath

Amit : kyaaa ? Par un logon ko kisne bataya ?

Radha : bataya ??? Neeche chalo tumhari bhi class lagne wali hai. Mausi ko nahi bataya tha na jab hospital me the . Sabki class wo laga chuki hai ab tum bhi parshad le lo chal k .

Amit : lag gye ab to

Radha muskura uthi meri halat dekh kar aur main use muskurata dekh andar hi andar khush ho raha tha . Uski yahi muskan to hamesha se mere dil me basi thi . Magar is waqt use muskurata dekh mujhe shararat sujhi.

Amit : hansi aa rahi hai ??? Mujh par hans rahi ho tum ??? Abhi batata hun .

Radha : he he he nahi nahi main aaaa he he he maaa nahi he he he chhodo

Main Radha ki taraf lapka aur wo hasti hui bhagne lagi to Maine use apni bahon k ghere me daboch liya . Radha Hanse ja rahi thi aur main use utha ke ghumane laga . Main chahe gusse ka dikhawa kar raha tha par Radha bhi janti thi main natak kar raha hun aur wo poora maza le rahi thi. Radha ko gol gol ghumane se usne apni tange ikathi kar li thi aur uski peeth poori tarah se mere seene se lag gyi thi. Foolon ki tarah halki aur komal Radha ko aise jhulne me mujhe bhi acha lag raha tha . Wo khilakhila k hans rahi thi aur mujhe isme aur jyada khushi mil rahi thi.

Radha : chhodo he he maaaa neeche utaro mujhe .

Amit : ab hansogi mujh par

Radha : nahi hansti mujhe neeche to utaro .

Main jaise hi Radha ko neeche utara usne palat kar mujhe fir se jeebh nikal kar chirhaya . Radha fir se bhagne lagi aur maine fir se use pakdane ki koshish ki par is bar Maine use zor se utha kar apne upar girate hue khud bed par gir gya aur Radha mere upar thi par Radha ki hansi ek dam se ruk gyi thi. Jaise hi mera dhyaan apne hathon par gya to mera gala hi sukh gya . Mere dono hath Radha ki chhati par yani k uske naram maans par the yani k uske stano par . Main bed par gira hua tha aur Radha mere upar thi. Hum dono hi ek dam se shant ho gye the bilkul pathar ban gye the . Radha poori kamp rahi thi aur uski kampan mujhe mehsus ho rahi thi . Mere apne hath bhi kampne lag gye the . Magar tajjub tha k hum dono abhi tak hile nahi the aur na hi mere hath Radha k stano se hate the. Tabhi bahar se kisi k sidiyon par charhne ki ahat hui to maine jaldi se Radha ko apni giraft se nikal bed se neeche utar diya . Radha bina piche dekhe bhag kar kamre se nikal gyi . Aur idhar meri fat gyi , pata nahi Radha mere bare me kya sochegi. Sidiyon par hi divya mausi ki awaz sunai do Radha se aram se sidiyan utarne ko keh rahi thi. Mausi ki awaz sun main bhi hosh me aya aur jaldi se apni Tshirt pehen li. Agar mausi aise mujhe dekh leti to pata nahi kya sochti .

Divya : ho gyi neend poori ? Chalo ab neeche chalo , pehle kuch kha lo aur sab se mil bhi lo . Didi naraz hain tumse par darne ki bat nahi hai . Main hun na . Chal ab neeche chal, tu sun bhi raha hai main kya keh rahi hun

Main to abhi jo kuch hua usi me khoya tha , divya mausi ki bat par maine dhyan hi nahi diya .

Amit : hh han mausi wo han hum neeche chalte hain .

Divya mausi k sath main neeche aa gya .

Udhar Radha ki dhadkan mano train k engine se bhi tez chal rahi thi. Uske paon zameen par nahi lag rahe the . Jaise wo hawa me hi ud rahi thi . Sidiyon se uchaalti hui wo neeche to aa gyi magar kisi ka samna karne ki uski himmat nahi ho rahi thi is liye bhag kar bathroom me hi ja ghusi . Uski dhadkan shant hone ka nam hi nahi le rahi thi. Apne seene par hath rakhe wo lambi lambi saanse le rahi thi. Uski ankhon me abhi bhi wo pal waise hi ghoom raha tha. Abhi bhi wo khud ko amit k upar mehsus kar rahi thi aur uske hath apne seene par. Radha k chehre par muskan aa gyi , ye sab apratyashit tha aur Radha ek pal ko ghabra bhi gyi thi par ab use wo sab yad kar k acha lag raha tha jaise koi manchahi khushi mil gyi ho. Aaj pehli bar Amit ka hath uske seene par aya tha . Radha ki nazar deewar par lage sheeshe par gyi to khud ko dekh Sharma gyi. Jaise sheeshe me bhi use wahi manzar nazar aa raha ho . Amit uske peeche khada hai aur uske hath uske seene par.

Radha : gande !!! Ye kya bat hui ,, koi aise karta hai kya ?? Buddhu ho tum , sidha hi wahan tak pahunch gye ?? Pehle bat karo

Mulakat karo fir thoda pyar karo , vo se tumhe to sidha yahi kam karna hai . Gande !!! Chii ,, mar padegi tumhe ma se . Sab tumhara hi to hai par aise thoda na karna chahiye ,,, gande ,,, uuuuuuuu , ab karo

Sheeshe me hi Amit ka chehra dekh use jeebh nikal kar dikhati . Apne stano ki taraf dekh karne ka aise keh rahi thi jaise wo sach me Piche khada hai aur fir se wo dobara uske stano ko pakad lega . Fir khud hi sharmati apne sir par hath marti apna chehra pani se dho wo bahar nikal gyi .
 
Status
Not open for further replies.
Top