• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Adultery Manhoos se mahan tak

Story kaisi lagi

  • Best

    Votes: 894 85.0%
  • Good

    Votes: 135 12.8%
  • Bad

    Votes: 23 2.2%

  • Total voters
    1,052
Status
Not open for further replies.

Raja chouhan

Active Member
1,991
28,964
173
Update 255

‘ aap theek to hain bhabhi ? Main kab se aapko phone kar rahi hun aur aap phone nahi utha rahi . ‘ Manju shehar pahunch kar sidha apne ghar gyi thi. Rupali k bare use phone par koi suchna di gyi thi jis vajah se wo shehar aayi thi. Rupali ko kitni bar wo phone laga chuki thi par wo phone nahi utha rahi thi. Jis vajah se wo chinta me thi. Sheena aur Rima bhi phone nahi utha rahi thi. Har kar wo ab us ghar me jane ka man bana rahi thi jahan wo jana nahi chahti thi par usse pehle ghar ki bell baji aur jab gate khola to samne Rupali hi khadi thi.

Rupali : mujhe to kuch nahi hua , main bilkul theek hun.

‘ hum aapko surprise dena chahte the is liye phone nahi uthaya. Kaisi ho bua aap ‘ Rupali ki bat khatam hone se pehle hi piche se Sheena aur Rima samne aa gyi aur Manju k gale lag gyi .

Manju : aisa bhi koi karta hai , main kitni ghabra gyi thi .

Sheena : sorry bua par main kya karti aapke to darshan hi nahin ho rahe itne dino se. Abhi kuch der pehle pata chala k aap ghar aa rahi hain to maine socha aapko surprise diya jaye .

Baaten karte karte charo hall me aa gyi . Manju k chehre par abhi bhi chinta thi .

Manju : par mujhe to kisi ka phone aya tha k aap ko …..

Rupali : kiska phone ? Aur kya kaha usne ?

Sheena : han bua aap kuch tension me hain . Bataiye kya bat hai ?

Manju : man me ) shayad kisi ne mere sath bhadda mazak kiya hai . Par aisa kaun kar sakta hai ?

Manju : wo ,,, wo tum log mera phone nahi utha rahe the to mujhe tension ho gyi thi . Tum log baitho main chai banati hun.

Rima : rehne do bua aap baitho , wo main kar lungi .

Rima uth kar kitchen me chali gyi. Rupali ko Manju ka chehra dekh kar chinta ho rahi thi .

Rupali : bat kya hai Manju ? Tu aise achanak se aa gyi aur itni tension me lag rahi hai . Tu to gaon me thi na .

Manju : k… k kuch nahi bhabhi . Sab theek hai .

Sheena : waise bua aap wahan kya kar rahi hain Amit k gaon ?

‘ apne bhaiyon ka ghar chhod kar un logon k ghar ja kar reh rahi ho jinhonne humen be ijjat kar k nikala tha wahan se . Ek bar bhi khayal nahi aya tumhe k tum kya kar rahi ho. Hamara na sahi kam se kam Pawan ka hi man rakh leti’ BALJEET rai achanak se hall me aa gya jiski khabar tak na thi kisi ko. Rupali aur Sheena tak hairan thi use yahan dekh kar .

Manju : ab aap yahan kya lene aaye ho ? Bhai hone k farz to aap achi tarah nibha chuke hain. Rahi bat mere wahan jane ki to sachai ab samne aa chuki hai jise aap itne salon tak mujhse chupate rahe. Sharam aani chahiye thi aapko jhooth bolte hue. Akhir kya bigada tha un logon ne aapka . Chale jaiye yahan se main aapki shakal tak dekhna nahi chahti .

Sheena aur Rupali to hairan thi k kis bare me bat ho rahi hai . Magar Manju ka gussa dekh kar dono chup thi.

BALJEET rai : maine wahi kiya jo mujhe sahi laga . Tum un logon ki baten sun kar mujhe jhootha keh rahi ho . Jhooth to un logon me bola hai tumhare samne sache banne k liye . Main bhala jhooth kyun bolunga ? Tumhara bhai hun main . Wo tumhare kya lagte hain?

Manju : bhai ?????? Iska matlab bhi jante hain aap ? Aapne mujhe behan samjha hi kab tha? Bhool gye jab daulat ki khatir aapne pawan bhaiya ko ghar se nikal diya tha . Tab to aapne mujhe nahi roka tha na unhe ghar se jane se . Aur bad me sab kuch lita kar aa gye the rote hue bachon ko sath lekar . Magar bhaiya ne fir bhi bhai hone ka farz nibhaya tha aapko sahara dekar. Badle me aap ne kya kiya ? Akhiri bar mujhe unka chehra tak na dekhne diya . Aur jhooth bol diya k unke sasural walon ne aapko aur bhaiya ko bura bhala kaha . Wo to aaj bhi mujhe apni chhoti behan ki tarah mante hain. Jante ho kitna pyar mila mujhe wahan ja kar? Itne salon me kabhi aapne mujhe behan keh kar gale se lagaya ? Ek bar ,,, ek bar bhi aapko ye laga k main behan hun aapki ? Aapne to mujhe aise aadmi sang byaah diya jo pehle se hi theek nahi tha . Ghar se nikalne ki jaldi thi na aapko . Aur uske bad kabhi mera haal janne tak ki koshish nahi ki. Baat karte ho bhai hone ki , rishte kya hote hain ye samajhne k liye aapko ek aur janam lena padega shayad .

BALJEET rai : maine kya nahi diya tujhe ? Tujhe padaya likhaya , ameer khandan me shadi ki. Aur kya chahiye tha tujhe. Sautela hone k bawajood tere liye itna kiya kya ye kam hai? Duniya me meri izzat hai shauhrat hai , log rai sahab keh kar salam thokte hain aur tum mujhe sharminda karna chahti ho aise akeli reh kar

Manju : jis daulat shoharat par aap itara rahe ho ye bhi mere bhai ki kamai hui hai aapki nahi . Ehsan to unka maniye k aapke itna sab karne k bad bhi unhone aapko sahara diya tha . Aur sharminda main kar rahi hun aapko ? Itne saal aapko mera khayal nahi aya ek bar bhi , main kaise akeli ji rahi thi . Kya kuch nahi Saha maine . Aaj aapko itni chinta hone lagi achanak se . Ye ghadiyali aansoo kisi aur ko dikhaiye ja kar . Jo apka saga bhai tha aapne to usko ho nahi bakhsha .

Manju ne Rupali ki taraf dekh kar ye antim bat kahi . Rupali ki ankhon me bhi aansoo utar aaye the . Sheena bhi apni bua ki ek ek bat gaur se sun rahi thi . BALJEET rai to gusse se aag babula ho gya ye sab sun kar.

BALJEET rai : bakwas band karo apni , pata nahi kya kya baten tumhare dimag me ghusa di hain un haramzadon ne . Ab main tumhe yahan aur nahi rehne dunga . Tumhe abhi mere sath chalna hoga . Tum ab se hamare sath rahogi hamare ghar par .

Manju : main kahin nahi jane wali , us ghar se mera koi nata nahi hai aur na hi aapse. Aap chale jao yahan se .

BALJEET rai : to ab tumhe wo log sage ho gye hain ?

Manju : bachi nahi hun main jo apne paraye ko nahi janti .

BALJEET rai : maine kaha tumhe mere sath chalna hoga to chalna hoga . Apni marzi se chalo to acha hoga warna mujhe zabardasti karni padegi .

‘ aisa sochna bhi mat warna wo haal karungi k Sara shehar thookega tum par mr. BALJEET rai ‘ achanak se in sab k beech Ritu singh aa gyi thi apni policia uniform me . Aur uske sakht tewar dekh kar BALJEET rai ki to bolti band ho gyi . Manju ne jab Ritu ko dekha to bhari ankhon se daud kar Ritu k gale lag kar aansoo bahane lagi . Darasal Manju ne Ritu ko pehle hi phone kar k bula liya tha jab uske phone ka Rupali response nahi de rahi thi. Use dar tha k kahin BALJEET rai ne Rupali k sath kuch galat na kar diya ho. Jaisi k use soochna di gyi thi phone par .

BALJEET rai : ye hamara family matter hai. Tum kaun hoti ho beech me bolne wali .

Ritu singh : ye meri dost bhi hai aur behan bhi , iski family main hun understand? Iski taraf nazar utha kar bhi dekha to apna anjam soch lena aap . Abhi tak chup ho k aapka ek rishta hai iske sath. Agar koi harkat ki to fir mujhse koi nahi bacha payega aapko

BALJEET rai : tumhe to main dekh lunga , aur tum ( Manju ) un haramzado ko iska anjaam bhugatna hoga . Pehle to maine chhod diya tha par is bar nahi. Aur us vijay k sapole ko bhi nahi chhodunga .

Itna keh kar BALJEET rai daant peesta hua tez kadmo se ghar se nikal gya . Jabki Manju BALJEET rai ki akhiri bat par aur jyada ghabra gyi. BALJEET rai ka ishara Amit ki taraf tha ye saaf zahir tha .

Manju : Ritu ,,, Ritu suna tumne . Amit …..

Ritu : shhhhh , chup ek dam chup , kuch nahi kar sakte ye . Uski taraf aankh utha kar bhi dekha to main kya aise hi jane dungi . Tu chinta mat kar inki akal to main thikane lagati hun .

Sheena : ye sab kya tha bua ? Ye vijay kahin Amit k papa to nahi ? Papa unka nam kyun le rahe the ?

Rupali bhi Amit ka zikar hone par Manju ki taraf sawaliya nazron se dekh rahi thi . Vijay na nam sun kar wo itna to samajh gyi thi k wo kaun hai . Ab Amit unka beta hai to matlab wo damini ka bhatija hua

Manju : vijay bhaiya tumhari damini chachi k bade bhai hain . Tum to ja chuki ho na wahan

Sheena : kya sach me wo chachi ki family hai ? Par wo log to itne ache hain fir papa aise kyun keh rahe hain

Rupali : kya tum abhi bhi nahi samjhi beti ? Wo bahut bhale log hain. Main ache se janti hun par ye nahi pata tha k Amit unka beta hai.

Ritu ne Manju ki taraf sawaliya nazron se dekha to usne ishare se chup rehne ko kaha.

Sheena : matlab Amit bhi hamara rishtedar hi hua na

Manju : bhai hai wo tum logon ka. Aur utne hi ache sanskar diye hain un logon ne

Rupali : tumhe kaise pata chala un logon k bare me ? Aur kaise hain wo sab? Itne saal bad milne par unhone kuch kaha to nahi?

Manju : kaha na bhabhi , wahi jo bada bhai kehta hai itne saal ki berukhi k bad . Main to sharmindagi se ro hi padi thi k Maine ek bar bhi unse milne ki koshish nahi ki jabki wo mujhe apni chhoti behan mante the. Ek jhooth k karan Maine itne saal un logon se door reh kar unko nahi khud ko hi saza di hai .

Rupali : kya tum mujhe un logon se milne le chalogi ? Main bhi unse maafi mangna chahti hun. Akhir maine bhi to galati ki hai

Manju : aap ne koi galati nahi ki bhabhi , sach ka aapko bhi kahan pata tha . Wo log aapse mil kar khush honge . Amit se to aap mil hi chuki hain unse bhi mil lijiyega .

Sheena : main nahi janti thi k wo hamare rishtedar hain. Bahut ache log hain main to ja bhi chuki hun wahan . Par jab unhe pata chalega k main kiski beti hun to kya wo mujhe aane denge apne ghar

Manju : jawab to abhi tumne khud hi de diya na k wo bahut ache hain to fir wo bhala kyun tumhe us bat ki saza denge jo tumne ki hi nahi. Par tere papa tumhe wahan jane nahi denge .

Rima : bua coffee , aap bhi lijiye Ritu bua

Ritu : Rima tum bhi yahin ho , lao do mujhe

Manju : tumne sab suna na Rima ? Amit tumhara bhai hai

Rima : han maine sab suna bua , lijiye coffee lijiye. Achi bat hai na wo hamare apne hain. Ab to wo ghar bhi mera apna hi hua

Manju ne jan bujh kar Amit ko bhai keh kar Rima ko ishara karne ki koshish ki thi apni taraf se k wo Amit k bare me wo feeling na rakhe jaisa ki Amit ne bataya tha dono k beech jo rishta hai par Rima ne aage se jo jawab diya wo Rima ki taraf se spasht jawab tha ek kisam se k wo us ghar ko apna sasural man chuki hai .

BALJEET rai k sath hui behas k bad ab vijay aur uske pariwar ka rishta samne aa chuka tha par amit ka sach abhi bhi kewal Manju aur Ritu ko pata tha. Manju ko ye nahi pata tha k Rima ko Amit pehle hi sachai bata chuka hai . Wahin Sheena k man me dohre bhaw the ek to ye k Amit unka rishtedar hai chahe wo use pyar karti thi aur dusra ye k wo pariwar khun na kahin usse juda hai to wo un logon se aur milne ka soch rahi thi par apne baap ki baten bhi use soch me daale thi. Itna to wo jan hi chuki thi k uska baap acha insan nahi hai aur yahan bhi uski hi galat baten samne aayi thi . Rupali bhi double minded ho gyi thi. Amit k sath usne kis had tak rishta barha liya tha aur ab wo us pariwar se hai jisse uska ek rishta hai ye jan kar use sharam bhi aa rahi thi aur apni beti k pyar k liye bhi use ek ummeed thi k ye rishta parwan ho sakta hai par Manju aur unka pariwar ye manzoor kare to. Manju ritu Rupali Rima aur Sheena k sath baten kar k abhi abhi BALJEET rai dwara diye gye aghaat se ubarne ki koshish kar rahi thi . Wahin ghar se aag babula ho kar nikla BALJEET rai ab Ritu k sath sath vijay aur uske bete yani k Amit ko nuksan pahunchane k bare me soch raha tha .

‘ Chalo ab ghar chalte hain , mom bahut khush hongi tum dono ko yahan dekh kar ‘ khane k bad jaise hi hum free hue to karishma didi ghar chalne k liye kehne lagi .

Neha : nahi didi please agar abhi hum ghar gye to rat yahin rukna padega . Time bhi to dekhiye . Mere khyal se humen ghar hi chalna chahiye .

Karishma : thodi der k liye chal padte hain , gaon main khud chhod kar aaungi na .

Radha : nahi didi please , aap bhi janti hain agar hum abhi aapke ghar gye to aunty humen aise hi to jane nahi dengi . Fir baad me agar aap gaon k liye unhe mana bhi le to tab tak bahut der ho jayegi aur fir ghar par sab pareshan honge

Mere kuch kehne se pehle Neha didi aur Radha ne khud hi bat ko sambhal liya tha agar main kuch kehta to pakka didi mere se naraz hoti

Karishma : tum dono itni pathar dil to nahi ho iske jaise . Ab main kya jawab dun , aise to fir main bhi bahana bana sakti hun na.

Radha : didi hum koi bahana to nahi bana rahe . Aap koi parayi thoda na hain jo hum bahana banaye . Par aap bhi janti hain hamari chhuttiyan khatam ho rahi hain to akhir k kuch din ghar me hi rehna chahte hain. Jab wapis yahan aa jayenge to jab chahe aap bula lena main promis karti hun mana nahi karungi .

Karishma : waise to sab tumhe mom ki gudiya bulate hain par ho nahi tum. Sab jawab pehle se hi hain tumhare pas . Acha chalo theek hai gaon hi chalte hain. Par yad rakhna tumne promis kiya hai .

Radha : pakka didi

Karishma : aur yahi promise tumhari taraf se bhi chahiye mujhe Neha .

Neha didi ne sar hila kar sehmati jatayi aur fir hum gaon ki taraf nikal pade .

‘ kya bat hai tum itni khoyi khoyi si kyun rehne lagi ho ? ‘ yahan nidhi Raghav aur kuch staff k sath kisi party k sath project meeting k liye dusre shehar me aaye hue the . WaiSe to nidhi kam ko ache se handle kar rahi thi . Raghav k bad wahi sab kuch dekh rahi thi ya fir karishma ab dekhne lagi thi. Par yahan staff me dusri branch se ek aur ladki thi jo nidhi ki hum Umar thi aur dono me dosti ho gyi thi sath me kam karte hue . Chahe nidhi position me senior thi par nidhi use dost manti thi dono free time me doston ki tarah hi bat karti thi . Abhi bhi meeting se free hone k bad dono sath me baithi thi. Nidhi k chehre par chhaye chinta k badal us ladki ne dekh liye the .

Nidhi : ghar wale mere liye rishta dekh rahe hain Sheetal , mom dad ka phone aya tha bol rahe the k jaldi wapis aaun aur aa kar ek bar ladke se mil lun.

Sheetal : to isme harj hi kya hai ? Waise bhi shadi ki Umar to ho hi gyi hai. Gharwalon ko tension to hogi hi . Tum itni smart aur sexy ho tumhe to ek se ek ladke mil jayenge . Ek bar jakar dekh lo. Pasand na aaye to mana kar dena isme kaun si badi bat hai . Waise yar tum ho badi ajeeb , aaj kal to ladkiyan isharon par ladkon ko bachati hain , koi bhi dekh lo. Teen char bf to hote hi hain. Aur fir jo best option ho uske sath shadi . Maine bhi love marriage hi ki hai. Tum itni perfect ho upar se itni achi job fir bhi tumhara koi bf nahi. Matlab yar tum na ajooba hi ho sachi

Nidhi : main aisi nahi hun , maine kabhi koi bf nahi banaya . Aur na hi main ye shadi karna chahti hun.

Sheetal : Umar bhar kunwari rehne ka irada hai kya ?

Nidhi : ye maine kab kaha

Sheetal : to fir aur kya irada hai , budhi hone par acha rishta nahi milne wala fir .

Nidhi : uski zarurat nahi , bhagwan ne mere liye pehle se hi dekh rakha hai .

Sheetal : kya matlab ,,,, oh teri ki ,, iska matlab tumne apne liye ladka dekh rakha hai . Kaun hai wo kya karta hai ? Kahan rehta hai ? Apni company me hai Kya ?

Nidhi : are ruk ja thehar ja ek bar me hi itne sawal

Sheetal : bata na kaun hai wo , ab itne bhaw kyun kha rahi hai. Tum to badi chhipi rustam nikali yar . Main to soch rahi thi k tumhari zindagi me koi hai hi nahi

Nidhi : hai ek , bahut hi pyara hai wo . Upar wale ne use khud mere nam likha hai . Sach kahun to main use man se apna sab kuch man chuki hun . Bas usse abhi tak apne dil ki bat kahi nahi hai .

Sheetal : kyaaaa ? Abhi tak kaha nahi ? Matlab apne hi dil me ek tarafa pyar k sapne Saja rahi ho. Are you mad? Aaj kal k zamane me aisa kaun karta hai . Are yahan kal ka nahi par aur tum aise soch k baithi ho jaise uski life me aur koi aa hi nahi sakti . Agar kisi aur ne faans liya to ??? Fir bad me roti rehna akeli baith kar

Nidhi : ghabra kar ) aisa mat bol yar , kyun aisi baten karti hai . Wo aisa bilkul bhi nahi hai . Main ache se janti hun use .

Sheetal : wo aisa hai ya nahi par dusron ka kya . Kya pata koi aur bazi mar le aur tu sochti reh jaye . Meri man to jald se jald use apne dil Ki bat bata de warna hath malti reh jayegi

Nidhi : par kaise bataun yar , uske samne himmat hi nahi hoti . Ek to wo mujhse chhota hai Umar me upar se wo abhi parh raha hai.

Sheetal : kyaaaa ? Hey bhagwan , tumhara case bhi ajeeb hai . Tum na duniya ka Enrique piece ho . Pata nahi kis zamane ki ho tum aur kis zamane me paida ho gyi . Upar se ladka bhi dhoondha to apne se chota . Chalo wo bat alag hai ishq me Umar kaun dekhta hai par kam se kam izhar to kar ek bar

Nidhi : tu hi meri ek dost hai jiske sath maine ye bat share ki hai . Warna Maine to apni behan tak ko na bataya . Aur ab tu hi mera mazak uda rahi hai . Uske samne zuban ko tala hi lag jata hai to izhar kaise karun. Pata nahi wo kya sochega mere bare me

Sheetal : kab tak aisa sochti rahegi? Ghar walon ko kab tak mana karegi? Aur dusra bhi to soch k kisi aur ladki ne bazi mar li to ? Dost hun isi liye bol rahi hun k ek bar bat kar le warna der ho gyi to roti rahegi .

Nidhi : par karun kaise kuch samajh me nahi aa raha mujhe .

Sheetal : ek kam kar , tujhe haunsala hi chahiye na ? To use kisi din dance party me kisi pub vagerah me le ja . Wahan ka mahol aisa hota hai k khud ba khud himmat aa jati hai . Agar fir bhi bat na bane to ek do shot vodka k mar Lena . Isse best aur koi rasta nahi hai

Nidhi : chhi , main hath bhi nahi lagati aisi cheezon ko . Aur main kabhi pub nahi jati .

Sheetal : meri jan ishq me to log kya kuch nahi kar guzarte aur tum vodka se dar rahi ho . Ek bar zara khud ko dekh meri jan sar se paon tak qayamat ho . Ek bar sexy dress pehen kar uske samne zara latke jhatke marogi na to wo khud ko rok hi nahi payega . Tum apna ye janalewa husn jo chhupaye rehti ho na zara iske darshan karwao usko .

Nidhi : ye tu kaisi baten kar rahi hai , wo aisa nahi hai aur na mujhse hoga .

Sheetal : mard to hai na wo ya wo bhi nahi hai ? Garmi har kisi me hoti hai , ek bar use jalwa dikha to sahi fir dekhna kya asar hota hai aur kahan hota hai . Meri bat man to der na kar aur ye kam kar le . Tum jaisi ladki ko koi andha hi ignore kar sakta hai aur tune to koi andha dekha nahi hoga apne liye . Ab jald se jald use apna bana aur mujhe khush khabri suna .

Nidhi : mujhse nahi hoga ye sab

Sheetal : fir to bhagwan hi kuch kare to kare . Chal ab room me chal k sote hain . Waise bhi band baji padi hai subah se .

Mohit subah der se utha tha aaj par usne kal k bare me apni ma se kuch bhi nahi kaha bas dosto ka bahana bana kar use tal diya . Rama to pehle se hi uske purane dosto se khush nahi thi is liye usne thoda bahut suna bhi diya . Magar Mohit k dil ka haal to wahi janta tha . Minal ka phone usne aaj bhi kai bar try kiya par usne nahi uthaya balki Bloch list me hi daal diya . Ghar me dil kahan lagna tha is liye beman se thoda bahut khane k bad fir se nikal gya apna dil jalane k liye . Rama ko shak to ho raha tha k jaise Mohit kuch theek nahi lag raha par usne jyada dhyan nahi diya . Waise bhi abhi tak uski apni halat poori tarah se theek nahi hui thi.

Wahin rosy ne aaj Amit k bare me pata lagane ki koshish ki aur Mohit se milne ki bhi kismat se use itna pata chal gya k minal aur Mohit dono ka apas me jhagda ho gya hai aur itna hi kafi tha uske liye. Ab uska ek hi target tha aur wo tha Amit. Asal me use minal aur sunil ki parwah nahi thi . Use to usse koi matlab hi nahi tha . Rosy to soch rahi thi k sunil jaye bhaad me . Use minal mile ya na mile bas use Mohit chahiye tha. Akhir wo itne paise wale baap ki aulad jo tha . Rosy ko wo apne liye best option lagti thi . Magar use dar tha to is bat k kahin Amit sunil k plan me jo kuch jan chuka tha usme wo rosy ko bhi na ghaseet le . Aisa hone par uske Armano par pani fir sakta tha . Ab kaise bhi kar k use Amit ko kabu karna tha . Is liye wo koshish kar rahi thi k koi aisa mil jaye jo use Amit tak pahuncha de .

Jab hum gaon wapis lute to ghar ja kar mujhe bua k shehar jane ka pata laga . Maine jab phone par unse bat ki to unhone mujhe sari bat bataayi . Mujhe sun kar gussa bhi aya par bua ne mujhe shant rehne ko kaha . Bua ne bataya k Rupali Rima aur Sheena unke sath hi hain aaj aur Ritu bhi aaj unke ghar hi rukne wali thi . Is liye wo aaj ghar wapis nahi aane wali thi. Mera man to kar raha tha k main bhi unke pas shehar chala jaun par unhone me mujhe gaon me hi rukne ko kaha tha. Khair jyada aur kuch nahi hua , maine ache se aram kiya aur akhade me kuch der exercise bhi ki. Ghar akar rat ka khana khaya aur apne kamre me sone chala gya . Neha didi aur Radha ne jo shopping ki thi ghar ki sab aurten to usi me lagi rahi . Isi tarah din khatam hua aur main apne kamre me aa kar let gya. Aaj fir se divya mausi mere kamre me aa gyi sone k liye . Kal ki tarah aaj bhi mausi meri baju par sir rakh kar soyi.

‘ mere samne bolne ki aaj tak uski himmat nahi hui aur un logon k ghar ja kar usme itni himmat aa gyi k mujhe aankhen dikhane lagi . Ab to kuch na kuch karna hi padega . Mera dar khatam ho raha hai in sab k mano se . Ab dikhaunga in sab ko k BALJEET rai kya kar sakta hai . Oye phone lga billa ko . Use bol Maine bulaya hai jaldi aa ‘ BALJEET rai apne farm house me sharab k mote mote peg lagata hua gusse ko thanda karne ki koshish kar raha tha us thande tezab se . Magar andar se utna hi kaleja jal raha tha . Ek to Manju pehli bar uske samne aise boli thi aur upar se Ritu ki dhamki . BALJEET rai to beaabaru sa ho kar lauta tha apni hi beti bhatiji aur Rupali k samne jise wo apni ayyashi ka saman hi samajhta tha . Ek gehrara aaghat hi tha ye uske eham par aur ab wo ek pal me shant nahi ho pa raha tha . Gusse aur badle ki aag andar jal rahi thi . Ab ise thanda karne k liye usne khatarnak irade bana liye the .
 
Raja chouhan

Active Member
1,991
28,964
173
Awesome Update

Toh humsab ka shaq sahi tha. Mohit aur Minal ko fasane ka plan unn sabka hi tha. Aur ab woh sab milke Amit ko fasana chahte hai.

Yeh manju achanak sehar kyo aarahi hai. Mujhe toh lagta hai yeh jarur Baljeet Rai ka hi koi plan hai Manju ke liye. Dekhte hai Manju ka kya hota hai ab.
फ़ोन शायद रीमा की माँ का होगा, और उसने बलजीत राय के बारे में बताया होगा।
Acha update tha bhai NOT BAD
Boht hi khoobsurat andaz se update likha h bahi Maza a gia read kr k

Hamesha ki trha behad shandar
nice update and suspense is awesome bro waiting for next update
एक और marvelous update Raja chouhan भाई और आज तो दिव्या ने भी test match खोल लिया अमित के साथ, final match कि बारी है और कही ये phone कि प्लानिंग बलराज कि तो नही।
Awesome updates
Awesome update
राजा भाई

ये फोन कल जरूर मञ्जुको गाव से बाहर लिकाल्नेके लिए बलजीत ने चाल चली है।

अगले अपडेट की प्रतीक्षा मे।
Behad hi shanadar or dilchasp update bhai.
Bahut khoob superb.
Waiting for next update
Maiend blowing soooper amazing update
Awesome update...
Manju ki us sale bhdve ka phone aaya hoga .....

Baki update bohot acha laga

Radha kb prapose kregi
Boht mast update hai bhai
Mast update raja bhai :flamethrower:
Bhut Hi zabardast Update
Bhut Hi Shandar Update Raja Bhai

Or Divya ke sath jab bhi aise achanak Kuch kam jwar Vala seen hota hai to dil ko chu jata hai

Or Radha Ki jab bat ati Hai to kya hi bolu
Story Dil se feel Hone lagti hai
Radha vale seen me to me emotionally attached ho jata hu

Apne bhut hi badiya tarike se suspense me choda hai
Ab next Update me pata chalega ke mnju ko kisne call kiya
Baljeet ne, Sheena Ne, Rupali Ne, ya Phir Rima ne ya phir Ritu Singh Bhi ho Sakti hai
Dekhte Hai Raja Bhai

Isvar apne UPDATE KAFI JALDI DIYA BRO
Isliye Thank You

Ab or Next Upadte ka Besabri Se intejar Hai
Waiting For Next Update
Superb update :claps: :claps:
Nice update...
Bahut badiya update bhai keep posting
Zabardast aur awesome update Raja chouhan bhai...💕💕
Superb Raja bhai......
Shayed ye baljeet rai ka hi koi chaal hoga.....
Waiting for your next update .....
superbb update bro
Awesome update bhai......

Keep posting.....
Shaandar update bhai
Awesome update
Mast update Raja Bhaiya but aap aaj phir wahi purane wale kaam par aa gye ki last me suspence me chhod do
Waise ab intejar rahega agle update ka raja bhaiya
:superb: :good: :perfect: Awesome update hai raja bhai,
Behad hi shandaar, lajawab aur amazing update hai bhai,
ab ye rosy to amit ko fansane ke liye kuch alag hi planning kar rahi hai,
aur idhar karishma didi bhi ab amit ke saath khulne ki koshish karne lagi hai,
Ab dekhte hain ki aage kya hota hai,
Dhasu update bhai❤
Bahut hi shaandaar update tha
Very nice update bro.
Nice update bhai. Nidhi ko bi update kro.
Lajawab update.
Fantastic update
Nice update kahi ye phone Baljeet ne to nahi karya
Zabardast update
Mast update bhai
Superb. Lajawab. Rasprad aur Romanchak. Pratiksha agel update ki
Adbhoot update Raja Bhai.
Kaafi suspense me choda hai aapne har baar ki tarah.
Dekhte hain kiska phone hoga. Ritu ka to nhi hoga kyonki uska to ghar par sabko pata hai to Manju bta ke jaati.Rima bhi Manju ki jagah Amit ko phone karna prefer karti kisi kaam ke liye. Baljeet Rai to usse khud directly phone karega nhi haan usse related call ho skta hai. Rupali ya sheena ho hogi vaise jyada chance Rupali ke honge. Asli jawaab to update me hi pata chalega.
Agle update ki prateeksha rahegi.
Nice Update
Super Duper Hit & Fantastic & Awesome & Gajab & Very Nice Update Bro

Ab lgta h divya ne amit k sath uska ek alg rista bn rha use accept kr rhi h usk hoto pe kiss jo kiya h

Y baljit ki koi chaal h manju ko wapas bulane ki dekhte kese bachata h apna amit

Waiting
Raja Bhai jabardast update that Bhai naye ke intezar me h Bhai bahut dino koi bhi mega update twist Wala nahi aaya h Jo character chal raha h usi ko lekar Naya jabardast mega update de do Bhai aur ha Bhai chotu ko namkaran abhi take nahi hua h jaldi karana kahi Kamini phir se chotu ke papa se naraj na ho jaye
SHAANDAAR AWESOME EXCELLENT LOVELY AND INTERESTING UPDATE BHAI
Bahot behtareen shaandaar zaberdast lajawab update bhai
Awesome update bro
Mohit aur minal ko apne jal main fhashane ke liye bahut badiya plan banaya tha. But amit ne sab ka kabada kara diya. Aab mohit aur minal ke bich jo duri un logo ne banayi hain bo kitni jaldi aur kase katm hoge ye dekhna bada hi Intresting hone wala hain. Rosy jise inshan samjkar apne upar chadhne ki soch rahi hain. Rosy ye nehi janta jise bo apne upar chadana cahta hain vo pura ka pura sand hain. Aur rosy ka kabada kar dega. Bahut mast update diya hain raja bhai.
Fantastic update 👍👍
Lagta hai baljeet ne apna kaam shuru kr diya hai manju ko wapis lany ka
Bahut badhiya update
Nice update :good:
Very nice
Mast update
बेहतरीन अपडेट
Update posted dosto
 
King Lucifer

👑 Rσყαʅ Kιɳɠ 👑
Banned
184
651
93
Bau Rami Update tha bro
Maja i gawa hai BURHBAK hahahah
a
 
ABHISHEK TRIPATHI

Well-Known Member
6,414
28,383
218
Update 255

‘ aap theek to hain bhabhi ? Main kab se aapko phone kar rahi hun aur aap phone nahi utha rahi . ‘ Manju shehar pahunch kar sidha apne ghar gyi thi. Rupali k bare use phone par koi suchna di gyi thi jis vajah se wo shehar aayi thi. Rupali ko kitni bar wo phone laga chuki thi par wo phone nahi utha rahi thi. Jis vajah se wo chinta me thi. Sheena aur Rima bhi phone nahi utha rahi thi. Har kar wo ab us ghar me jane ka man bana rahi thi jahan wo jana nahi chahti thi par usse pehle ghar ki bell baji aur jab gate khola to samne Rupali hi khadi thi.

Rupali : mujhe to kuch nahi hua , main bilkul theek hun.

‘ hum aapko surprise dena chahte the is liye phone nahi uthaya. Kaisi ho bua aap ‘ Rupali ki bat khatam hone se pehle hi piche se Sheena aur Rima samne aa gyi aur Manju k gale lag gyi .

Manju : aisa bhi koi karta hai , main kitni ghabra gyi thi .

Sheena : sorry bua par main kya karti aapke to darshan hi nahin ho rahe itne dino se. Abhi kuch der pehle pata chala k aap ghar aa rahi hain to maine socha aapko surprise diya jaye .

Baaten karte karte charo hall me aa gyi . Manju k chehre par abhi bhi chinta thi .

Manju : par mujhe to kisi ka phone aya tha k aap ko …..

Rupali : kiska phone ? Aur kya kaha usne ?

Sheena : han bua aap kuch tension me hain . Bataiye kya bat hai ?

Manju : man me ) shayad kisi ne mere sath bhadda mazak kiya hai . Par aisa kaun kar sakta hai ?

Manju : wo ,,, wo tum log mera phone nahi utha rahe the to mujhe tension ho gyi thi . Tum log baitho main chai banati hun.

Rima : rehne do bua aap baitho , wo main kar lungi .

Rima uth kar kitchen me chali gyi. Rupali ko Manju ka chehra dekh kar chinta ho rahi thi .

Rupali : bat kya hai Manju ? Tu aise achanak se aa gyi aur itni tension me lag rahi hai . Tu to gaon me thi na .

Manju : k… k kuch nahi bhabhi . Sab theek hai .

Sheena : waise bua aap wahan kya kar rahi hain Amit k gaon ?

‘ apne bhaiyon ka ghar chhod kar un logon k ghar ja kar reh rahi ho jinhonne humen be ijjat kar k nikala tha wahan se . Ek bar bhi khayal nahi aya tumhe k tum kya kar rahi ho. Hamara na sahi kam se kam Pawan ka hi man rakh leti’ BALJEET rai achanak se hall me aa gya jiski khabar tak na thi kisi ko. Rupali aur Sheena tak hairan thi use yahan dekh kar .

Manju : ab aap yahan kya lene aaye ho ? Bhai hone k farz to aap achi tarah nibha chuke hain. Rahi bat mere wahan jane ki to sachai ab samne aa chuki hai jise aap itne salon tak mujhse chupate rahe. Sharam aani chahiye thi aapko jhooth bolte hue. Akhir kya bigada tha un logon ne aapka . Chale jaiye yahan se main aapki shakal tak dekhna nahi chahti .

Sheena aur Rupali to hairan thi k kis bare me bat ho rahi hai . Magar Manju ka gussa dekh kar dono chup thi.

BALJEET rai : maine wahi kiya jo mujhe sahi laga . Tum un logon ki baten sun kar mujhe jhootha keh rahi ho . Jhooth to un logon me bola hai tumhare samne sache banne k liye . Main bhala jhooth kyun bolunga ? Tumhara bhai hun main . Wo tumhare kya lagte hain?

Manju : bhai ?????? Iska matlab bhi jante hain aap ? Aapne mujhe behan samjha hi kab tha? Bhool gye jab daulat ki khatir aapne pawan bhaiya ko ghar se nikal diya tha . Tab to aapne mujhe nahi roka tha na unhe ghar se jane se . Aur bad me sab kuch lita kar aa gye the rote hue bachon ko sath lekar . Magar bhaiya ne fir bhi bhai hone ka farz nibhaya tha aapko sahara dekar. Badle me aap ne kya kiya ? Akhiri bar mujhe unka chehra tak na dekhne diya . Aur jhooth bol diya k unke sasural walon ne aapko aur bhaiya ko bura bhala kaha . Wo to aaj bhi mujhe apni chhoti behan ki tarah mante hain. Jante ho kitna pyar mila mujhe wahan ja kar? Itne salon me kabhi aapne mujhe behan keh kar gale se lagaya ? Ek bar ,,, ek bar bhi aapko ye laga k main behan hun aapki ? Aapne to mujhe aise aadmi sang byaah diya jo pehle se hi theek nahi tha . Ghar se nikalne ki jaldi thi na aapko . Aur uske bad kabhi mera haal janne tak ki koshish nahi ki. Baat karte ho bhai hone ki , rishte kya hote hain ye samajhne k liye aapko ek aur janam lena padega shayad .

BALJEET rai : maine kya nahi diya tujhe ? Tujhe padaya likhaya , ameer khandan me shadi ki. Aur kya chahiye tha tujhe. Sautela hone k bawajood tere liye itna kiya kya ye kam hai? Duniya me meri izzat hai shauhrat hai , log rai sahab keh kar salam thokte hain aur tum mujhe sharminda karna chahti ho aise akeli reh kar

Manju : jis daulat shoharat par aap itara rahe ho ye bhi mere bhai ki kamai hui hai aapki nahi . Ehsan to unka maniye k aapke itna sab karne k bad bhi unhone aapko sahara diya tha . Aur sharminda main kar rahi hun aapko ? Itne saal aapko mera khayal nahi aya ek bar bhi , main kaise akeli ji rahi thi . Kya kuch nahi Saha maine . Aaj aapko itni chinta hone lagi achanak se . Ye ghadiyali aansoo kisi aur ko dikhaiye ja kar . Jo apka saga bhai tha aapne to usko ho nahi bakhsha .

Manju ne Rupali ki taraf dekh kar ye antim bat kahi . Rupali ki ankhon me bhi aansoo utar aaye the . Sheena bhi apni bua ki ek ek bat gaur se sun rahi thi . BALJEET rai to gusse se aag babula ho gya ye sab sun kar.

BALJEET rai : bakwas band karo apni , pata nahi kya kya baten tumhare dimag me ghusa di hain un haramzadon ne . Ab main tumhe yahan aur nahi rehne dunga . Tumhe abhi mere sath chalna hoga . Tum ab se hamare sath rahogi hamare ghar par .

Manju : main kahin nahi jane wali , us ghar se mera koi nata nahi hai aur na hi aapse. Aap chale jao yahan se .

BALJEET rai : to ab tumhe wo log sage ho gye hain ?

Manju : bachi nahi hun main jo apne paraye ko nahi janti .

BALJEET rai : maine kaha tumhe mere sath chalna hoga to chalna hoga . Apni marzi se chalo to acha hoga warna mujhe zabardasti karni padegi .

‘ aisa sochna bhi mat warna wo haal karungi k Sara shehar thookega tum par mr. BALJEET rai ‘ achanak se in sab k beech Ritu singh aa gyi thi apni policia uniform me . Aur uske sakht tewar dekh kar BALJEET rai ki to bolti band ho gyi . Manju ne jab Ritu ko dekha to bhari ankhon se daud kar Ritu k gale lag kar aansoo bahane lagi . Darasal Manju ne Ritu ko pehle hi phone kar k bula liya tha jab uske phone ka Rupali response nahi de rahi thi. Use dar tha k kahin BALJEET rai ne Rupali k sath kuch galat na kar diya ho. Jaisi k use soochna di gyi thi phone par .

BALJEET rai : ye hamara family matter hai. Tum kaun hoti ho beech me bolne wali .

Ritu singh : ye meri dost bhi hai aur behan bhi , iski family main hun understand? Iski taraf nazar utha kar bhi dekha to apna anjam soch lena aap . Abhi tak chup ho k aapka ek rishta hai iske sath. Agar koi harkat ki to fir mujhse koi nahi bacha payega aapko

BALJEET rai : tumhe to main dekh lunga , aur tum ( Manju ) un haramzado ko iska anjaam bhugatna hoga . Pehle to maine chhod diya tha par is bar nahi. Aur us vijay k sapole ko bhi nahi chhodunga .

Itna keh kar BALJEET rai daant peesta hua tez kadmo se ghar se nikal gya . Jabki Manju BALJEET rai ki akhiri bat par aur jyada ghabra gyi. BALJEET rai ka ishara Amit ki taraf tha ye saaf zahir tha .

Manju : Ritu ,,, Ritu suna tumne . Amit …..

Ritu : shhhhh , chup ek dam chup , kuch nahi kar sakte ye . Uski taraf aankh utha kar bhi dekha to main kya aise hi jane dungi . Tu chinta mat kar inki akal to main thikane lagati hun .

Sheena : ye sab kya tha bua ? Ye vijay kahin Amit k papa to nahi ? Papa unka nam kyun le rahe the ?

Rupali bhi Amit ka zikar hone par Manju ki taraf sawaliya nazron se dekh rahi thi . Vijay na nam sun kar wo itna to samajh gyi thi k wo kaun hai . Ab Amit unka beta hai to matlab wo damini ka bhatija hua

Manju : vijay bhaiya tumhari damini chachi k bade bhai hain . Tum to ja chuki ho na wahan

Sheena : kya sach me wo chachi ki family hai ? Par wo log to itne ache hain fir papa aise kyun keh rahe hain

Rupali : kya tum abhi bhi nahi samjhi beti ? Wo bahut bhale log hain. Main ache se janti hun par ye nahi pata tha k Amit unka beta hai.

Ritu ne Manju ki taraf sawaliya nazron se dekha to usne ishare se chup rehne ko kaha.

Sheena : matlab Amit bhi hamara rishtedar hi hua na

Manju : bhai hai wo tum logon ka. Aur utne hi ache sanskar diye hain un logon ne

Rupali : tumhe kaise pata chala un logon k bare me ? Aur kaise hain wo sab? Itne saal bad milne par unhone kuch kaha to nahi?

Manju : kaha na bhabhi , wahi jo bada bhai kehta hai itne saal ki berukhi k bad . Main to sharmindagi se ro hi padi thi k Maine ek bar bhi unse milne ki koshish nahi ki jabki wo mujhe apni chhoti behan mante the. Ek jhooth k karan Maine itne saal un logon se door reh kar unko nahi khud ko hi saza di hai .

Rupali : kya tum mujhe un logon se milne le chalogi ? Main bhi unse maafi mangna chahti hun. Akhir maine bhi to galati ki hai

Manju : aap ne koi galati nahi ki bhabhi , sach ka aapko bhi kahan pata tha . Wo log aapse mil kar khush honge . Amit se to aap mil hi chuki hain unse bhi mil lijiyega .

Sheena : main nahi janti thi k wo hamare rishtedar hain. Bahut ache log hain main to ja bhi chuki hun wahan . Par jab unhe pata chalega k main kiski beti hun to kya wo mujhe aane denge apne ghar

Manju : jawab to abhi tumne khud hi de diya na k wo bahut ache hain to fir wo bhala kyun tumhe us bat ki saza denge jo tumne ki hi nahi. Par tere papa tumhe wahan jane nahi denge .

Rima : bua coffee , aap bhi lijiye Ritu bua

Ritu : Rima tum bhi yahin ho , lao do mujhe

Manju : tumne sab suna na Rima ? Amit tumhara bhai hai

Rima : han maine sab suna bua , lijiye coffee lijiye. Achi bat hai na wo hamare apne hain. Ab to wo ghar bhi mera apna hi hua

Manju ne jan bujh kar Amit ko bhai keh kar Rima ko ishara karne ki koshish ki thi apni taraf se k wo Amit k bare me wo feeling na rakhe jaisa ki Amit ne bataya tha dono k beech jo rishta hai par Rima ne aage se jo jawab diya wo Rima ki taraf se spasht jawab tha ek kisam se k wo us ghar ko apna sasural man chuki hai .

BALJEET rai k sath hui behas k bad ab vijay aur uske pariwar ka rishta samne aa chuka tha par amit ka sach abhi bhi kewal Manju aur Ritu ko pata tha. Manju ko ye nahi pata tha k Rima ko Amit pehle hi sachai bata chuka hai . Wahin Sheena k man me dohre bhaw the ek to ye k Amit unka rishtedar hai chahe wo use pyar karti thi aur dusra ye k wo pariwar khun na kahin usse juda hai to wo un logon se aur milne ka soch rahi thi par apne baap ki baten bhi use soch me daale thi. Itna to wo jan hi chuki thi k uska baap acha insan nahi hai aur yahan bhi uski hi galat baten samne aayi thi . Rupali bhi double minded ho gyi thi. Amit k sath usne kis had tak rishta barha liya tha aur ab wo us pariwar se hai jisse uska ek rishta hai ye jan kar use sharam bhi aa rahi thi aur apni beti k pyar k liye bhi use ek ummeed thi k ye rishta parwan ho sakta hai par Manju aur unka pariwar ye manzoor kare to. Manju ritu Rupali Rima aur Sheena k sath baten kar k abhi abhi BALJEET rai dwara diye gye aghaat se ubarne ki koshish kar rahi thi . Wahin ghar se aag babula ho kar nikla BALJEET rai ab Ritu k sath sath vijay aur uske bete yani k Amit ko nuksan pahunchane k bare me soch raha tha .

‘ Chalo ab ghar chalte hain , mom bahut khush hongi tum dono ko yahan dekh kar ‘ khane k bad jaise hi hum free hue to karishma didi ghar chalne k liye kehne lagi .

Neha : nahi didi please agar abhi hum ghar gye to rat yahin rukna padega . Time bhi to dekhiye . Mere khyal se humen ghar hi chalna chahiye .

Karishma : thodi der k liye chal padte hain , gaon main khud chhod kar aaungi na .

Radha : nahi didi please , aap bhi janti hain agar hum abhi aapke ghar gye to aunty humen aise hi to jane nahi dengi . Fir baad me agar aap gaon k liye unhe mana bhi le to tab tak bahut der ho jayegi aur fir ghar par sab pareshan honge

Mere kuch kehne se pehle Neha didi aur Radha ne khud hi bat ko sambhal liya tha agar main kuch kehta to pakka didi mere se naraz hoti

Karishma : tum dono itni pathar dil to nahi ho iske jaise . Ab main kya jawab dun , aise to fir main bhi bahana bana sakti hun na.

Radha : didi hum koi bahana to nahi bana rahe . Aap koi parayi thoda na hain jo hum bahana banaye . Par aap bhi janti hain hamari chhuttiyan khatam ho rahi hain to akhir k kuch din ghar me hi rehna chahte hain. Jab wapis yahan aa jayenge to jab chahe aap bula lena main promis karti hun mana nahi karungi .

Karishma : waise to sab tumhe mom ki gudiya bulate hain par ho nahi tum. Sab jawab pehle se hi hain tumhare pas . Acha chalo theek hai gaon hi chalte hain. Par yad rakhna tumne promis kiya hai .

Radha : pakka didi

Karishma : aur yahi promise tumhari taraf se bhi chahiye mujhe Neha .

Neha didi ne sar hila kar sehmati jatayi aur fir hum gaon ki taraf nikal pade .

‘ kya bat hai tum itni khoyi khoyi si kyun rehne lagi ho ? ‘ yahan nidhi Raghav aur kuch staff k sath kisi party k sath project meeting k liye dusre shehar me aaye hue the . WaiSe to nidhi kam ko ache se handle kar rahi thi . Raghav k bad wahi sab kuch dekh rahi thi ya fir karishma ab dekhne lagi thi. Par yahan staff me dusri branch se ek aur ladki thi jo nidhi ki hum Umar thi aur dono me dosti ho gyi thi sath me kam karte hue . Chahe nidhi position me senior thi par nidhi use dost manti thi dono free time me doston ki tarah hi bat karti thi . Abhi bhi meeting se free hone k bad dono sath me baithi thi. Nidhi k chehre par chhaye chinta k badal us ladki ne dekh liye the .

Nidhi : ghar wale mere liye rishta dekh rahe hain Sheetal , mom dad ka phone aya tha bol rahe the k jaldi wapis aaun aur aa kar ek bar ladke se mil lun.

Sheetal : to isme harj hi kya hai ? Waise bhi shadi ki Umar to ho hi gyi hai. Gharwalon ko tension to hogi hi . Tum itni smart aur sexy ho tumhe to ek se ek ladke mil jayenge . Ek bar jakar dekh lo. Pasand na aaye to mana kar dena isme kaun si badi bat hai . Waise yar tum ho badi ajeeb , aaj kal to ladkiyan isharon par ladkon ko bachati hain , koi bhi dekh lo. Teen char bf to hote hi hain. Aur fir jo best option ho uske sath shadi . Maine bhi love marriage hi ki hai. Tum itni perfect ho upar se itni achi job fir bhi tumhara koi bf nahi. Matlab yar tum na ajooba hi ho sachi

Nidhi : main aisi nahi hun , maine kabhi koi bf nahi banaya . Aur na hi main ye shadi karna chahti hun.

Sheetal : Umar bhar kunwari rehne ka irada hai kya ?

Nidhi : ye maine kab kaha

Sheetal : to fir aur kya irada hai , budhi hone par acha rishta nahi milne wala fir .

Nidhi : uski zarurat nahi , bhagwan ne mere liye pehle se hi dekh rakha hai .

Sheetal : kya matlab ,,,, oh teri ki ,, iska matlab tumne apne liye ladka dekh rakha hai . Kaun hai wo kya karta hai ? Kahan rehta hai ? Apni company me hai Kya ?

Nidhi : are ruk ja thehar ja ek bar me hi itne sawal

Sheetal : bata na kaun hai wo , ab itne bhaw kyun kha rahi hai. Tum to badi chhipi rustam nikali yar . Main to soch rahi thi k tumhari zindagi me koi hai hi nahi

Nidhi : hai ek , bahut hi pyara hai wo . Upar wale ne use khud mere nam likha hai . Sach kahun to main use man se apna sab kuch man chuki hun . Bas usse abhi tak apne dil ki bat kahi nahi hai .

Sheetal : kyaaaa ? Abhi tak kaha nahi ? Matlab apne hi dil me ek tarafa pyar k sapne Saja rahi ho. Are you mad? Aaj kal k zamane me aisa kaun karta hai . Are yahan kal ka nahi par aur tum aise soch k baithi ho jaise uski life me aur koi aa hi nahi sakti . Agar kisi aur ne faans liya to ??? Fir bad me roti rehna akeli baith kar

Nidhi : ghabra kar ) aisa mat bol yar , kyun aisi baten karti hai . Wo aisa bilkul bhi nahi hai . Main ache se janti hun use .

Sheetal : wo aisa hai ya nahi par dusron ka kya . Kya pata koi aur bazi mar le aur tu sochti reh jaye . Meri man to jald se jald use apne dil Ki bat bata de warna hath malti reh jayegi

Nidhi : par kaise bataun yar , uske samne himmat hi nahi hoti . Ek to wo mujhse chhota hai Umar me upar se wo abhi parh raha hai.

Sheetal : kyaaaa ? Hey bhagwan , tumhara case bhi ajeeb hai . Tum na duniya ka Enrique piece ho . Pata nahi kis zamane ki ho tum aur kis zamane me paida ho gyi . Upar se ladka bhi dhoondha to apne se chota . Chalo wo bat alag hai ishq me Umar kaun dekhta hai par kam se kam izhar to kar ek bar

Nidhi : tu hi meri ek dost hai jiske sath maine ye bat share ki hai . Warna Maine to apni behan tak ko na bataya . Aur ab tu hi mera mazak uda rahi hai . Uske samne zuban ko tala hi lag jata hai to izhar kaise karun. Pata nahi wo kya sochega mere bare me

Sheetal : kab tak aisa sochti rahegi? Ghar walon ko kab tak mana karegi? Aur dusra bhi to soch k kisi aur ladki ne bazi mar li to ? Dost hun isi liye bol rahi hun k ek bar bat kar le warna der ho gyi to roti rahegi .

Nidhi : par karun kaise kuch samajh me nahi aa raha mujhe .

Sheetal : ek kam kar , tujhe haunsala hi chahiye na ? To use kisi din dance party me kisi pub vagerah me le ja . Wahan ka mahol aisa hota hai k khud ba khud himmat aa jati hai . Agar fir bhi bat na bane to ek do shot vodka k mar Lena . Isse best aur koi rasta nahi hai

Nidhi : chhi , main hath bhi nahi lagati aisi cheezon ko . Aur main kabhi pub nahi jati .

Sheetal : meri jan ishq me to log kya kuch nahi kar guzarte aur tum vodka se dar rahi ho . Ek bar zara khud ko dekh meri jan sar se paon tak qayamat ho . Ek bar sexy dress pehen kar uske samne zara latke jhatke marogi na to wo khud ko rok hi nahi payega . Tum apna ye janalewa husn jo chhupaye rehti ho na zara iske darshan karwao usko .

Nidhi : ye tu kaisi baten kar rahi hai , wo aisa nahi hai aur na mujhse hoga .

Sheetal : mard to hai na wo ya wo bhi nahi hai ? Garmi har kisi me hoti hai , ek bar use jalwa dikha to sahi fir dekhna kya asar hota hai aur kahan hota hai . Meri bat man to der na kar aur ye kam kar le . Tum jaisi ladki ko koi andha hi ignore kar sakta hai aur tune to koi andha dekha nahi hoga apne liye . Ab jald se jald use apna bana aur mujhe khush khabri suna .

Nidhi : mujhse nahi hoga ye sab

Sheetal : fir to bhagwan hi kuch kare to kare . Chal ab room me chal k sote hain . Waise bhi band baji padi hai subah se .

Mohit subah der se utha tha aaj par usne kal k bare me apni ma se kuch bhi nahi kaha bas dosto ka bahana bana kar use tal diya . Rama to pehle se hi uske purane dosto se khush nahi thi is liye usne thoda bahut suna bhi diya . Magar Mohit k dil ka haal to wahi janta tha . Minal ka phone usne aaj bhi kai bar try kiya par usne nahi uthaya balki Bloch list me hi daal diya . Ghar me dil kahan lagna tha is liye beman se thoda bahut khane k bad fir se nikal gya apna dil jalane k liye . Rama ko shak to ho raha tha k jaise Mohit kuch theek nahi lag raha par usne jyada dhyan nahi diya . Waise bhi abhi tak uski apni halat poori tarah se theek nahi hui thi.

Wahin rosy ne aaj Amit k bare me pata lagane ki koshish ki aur Mohit se milne ki bhi kismat se use itna pata chal gya k minal aur Mohit dono ka apas me jhagda ho gya hai aur itna hi kafi tha uske liye. Ab uska ek hi target tha aur wo tha Amit. Asal me use minal aur sunil ki parwah nahi thi . Use to usse koi matlab hi nahi tha . Rosy to soch rahi thi k sunil jaye bhaad me . Use minal mile ya na mile bas use Mohit chahiye tha. Akhir wo itne paise wale baap ki aulad jo tha . Rosy ko wo apne liye best option lagti thi . Magar use dar tha to is bat k kahin Amit sunil k plan me jo kuch jan chuka tha usme wo rosy ko bhi na ghaseet le . Aisa hone par uske Armano par pani fir sakta tha . Ab kaise bhi kar k use Amit ko kabu karna tha . Is liye wo koshish kar rahi thi k koi aisa mil jaye jo use Amit tak pahuncha de .

Jab hum gaon wapis lute to ghar ja kar mujhe bua k shehar jane ka pata laga . Maine jab phone par unse bat ki to unhone mujhe sari bat bataayi . Mujhe sun kar gussa bhi aya par bua ne mujhe shant rehne ko kaha . Bua ne bataya k Rupali Rima aur Sheena unke sath hi hain aaj aur Ritu bhi aaj unke ghar hi rukne wali thi . Is liye wo aaj ghar wapis nahi aane wali thi. Mera man to kar raha tha k main bhi unke pas shehar chala jaun par unhone me mujhe gaon me hi rukne ko kaha tha. Khair jyada aur kuch nahi hua , maine ache se aram kiya aur akhade me kuch der exercise bhi ki. Ghar akar rat ka khana khaya aur apne kamre me sone chala gya . Neha didi aur Radha ne jo shopping ki thi ghar ki sab aurten to usi me lagi rahi . Isi tarah din khatam hua aur main apne kamre me aa kar let gya. Aaj fir se divya mausi mere kamre me aa gyi sone k liye . Kal ki tarah aaj bhi mausi meri baju par sir rakh kar soyi.

‘ mere samne bolne ki aaj tak uski himmat nahi hui aur un logon k ghar ja kar usme itni himmat aa gyi k mujhe aankhen dikhane lagi . Ab to kuch na kuch karna hi padega . Mera dar khatam ho raha hai in sab k mano se . Ab dikhaunga in sab ko k BALJEET rai kya kar sakta hai . Oye phone lga billa ko . Use bol Maine bulaya hai jaldi aa ‘ BALJEET rai apne farm house me sharab k mote mote peg lagata hua gusse ko thanda karne ki koshish kar raha tha us thande tezab se . Magar andar se utna hi kaleja jal raha tha . Ek to Manju pehli bar uske samne aise boli thi aur upar se Ritu ki dhamki . BALJEET rai to beaabaru sa ho kar lauta tha apni hi beti bhatiji aur Rupali k samne jise wo apni ayyashi ka saman hi samajhta tha . Ek gehrara aaghat hi tha ye uske eham par aur ab wo ek pal me shant nahi ho pa raha tha . Gusse aur badle ki aag andar jal rahi thi . Ab ise thanda karne k liye usne khatarnak irade bana liye the .
Jabardast update
 
Mr. Nobody

Active Member
1,517
5,268
143

abhishek123409@

Tharki
Banned
371
1,022
123
D

Dhasu update bhai❤❤❤
 
Status
Not open for further replies.
Top