• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Adultery Manhoos se mahan tak

Story kaisi lagi

  • Best

    Votes: 894 85.0%
  • Good

    Votes: 135 12.8%
  • Bad

    Votes: 23 2.2%

  • Total voters
    1,052
Status
Not open for further replies.

Mr. X

New Member
7
47
13
Sab apni apni jagah sahi hai. Ek writer bina kisi paise k apni story yaha post karta hai. Aur ek reader daily usko follow karta hai.
Ab sawal yeh hai k kya writer vakai koi kaam mei vyast hai ya jaanbhuj k story ko late post karta hai taki voh thodi jigyasa badha sake, agar pehli baat hai toh theek hai, agar dusri baat hai toh mera ek sawal hai, isse writer ko milta kya hai, superiority complex k log uske story padh k uski taarif kar rahe hai, aur agle post k liye usse guzzarish kar rahe hai. Ya koi monetary benefit hai jiska mujhe koi idea nahi.

Ab baat readers ki toh hum bhi yaha paise de k toh aaye nahi, free ka manornajan hai, mila toh sahi, nahi mila toh bhi sahi. Par ek reader bhi apna samay se k yaha writers ki kahaniyan padhta hai, unka hausala badhata hai, unke art ki taarif karta hai, uski bhi kuch aakanshayein hoti hai.

Kul mila k yeh ek 2 tarfa relationship hai, ek k bina dusra nahi.

Kuch readers hai jo ummed chodh chuke hai aur apni bhadas nikalte hai comments k zariye, jisse writer ka ego hurt hota hai aur voh agle kuch din aur post nahi karta. Vahi kuch readers hai jinko abhi bhi ummed hai k story jaari rahegi aur voh writer k taraf se ummed chodh chuke readers ko chale jaane k liye bolenge,. Jiske writer ka manobal barkara rahe.

Finally sab kuch writer pe depend karta hai k voh story continue karna chahta hai k nahi. Hum readers k yaha chuhe billi jaise ek dusre ko bolne ka koi fayda nahi, Sab kuch samay pe chodh do agar update aaya toh theek nahi aaya toh koi dusri kahaani dhoondh lenge.
 

odin chacha

Banned
1,415
3,417
143
Sab apni apni jagah sahi hai. Ek writer bina kisi paise k apni story yaha post karta hai. Aur ek reader daily usko follow karta hai.
Ab sawal yeh hai k kya writer vakai koi kaam mei vyast hai ya jaanbhuj k story ko late post karta hai taki voh thodi jigyasa badha sake, agar pehli baat hai toh theek hai, agar dusri baat hai toh mera ek sawal hai, isse writer ko milta kya hai, superiority complex k log uske story padh k uski taarif kar rahe hai, aur agle post k liye usse guzzarish kar rahe hai. Ya koi monetary benefit hai jiska mujhe koi idea nahi.

Ab baat readers ki toh hum bhi yaha paise de k toh aaye nahi, free ka manornajan hai, mila toh sahi, nahi mila toh bhi sahi. Par ek reader bhi apna samay se k yaha writers ki kahaniyan padhta hai, unka hausala badhata hai, unke art ki taarif karta hai, uski bhi kuch aakanshayein hoti hai.

Kul mila k yeh ek 2 tarfa relationship hai, ek k bina dusra nahi.

Kuch readers hai jo ummed chodh chuke hai aur apni bhadas nikalte hai comments k zariye, jisse writer ka ego hurt hota hai aur voh agle kuch din aur post nahi karta. Vahi kuch readers hai jinko abhi bhi ummed hai k story jaari rahegi aur voh writer k taraf se ummed chodh chuke readers ko chale jaane k liye bolenge,. Jiske writer ka manobal barkara rahe.

Finally sab kuch writer pe depend karta hai k voh story continue karna chahta hai k nahi. Hum readers k yaha chuhe billi jaise ek dusre ko bolne ka koi fayda nahi, Sab kuch samay pe chodh do agar update aaya toh theek nahi aaya toh koi dusri kahaani dhoondh lenge.
Bhai ek bat apse puchna chaunga ki agar writer ko sach me problem ho toh.... hum ye sochte rahe ki writer apna ego dikha raha hai aur writer apne problem se free hone ke liye forum pe aaye aur ye dekhega ki uske thread mein aise baat log likhte hain jiss se uska kahani ke likhene ke liye hosla tut jata hai...agar writer ko ego dekhana hota toh pahele bhi dikha chuka hota magar writer sahab ne apna continuity dikhai hai baki kuch samay chod ke jiska unhone sahi reason bhi bataya hai......khair is sab me hum bas ek hi bat kar sakte kahani ke intezar karne ka ya phir is thread se move on kar ne ka .....baki aap sab samjhdar hein:)
 

+BOSS-8055

Member
134
352
63
Bhai
Isse pehle wale site pe kuch writers mahine me 1 update dete the... fir bhi readers wait karte the .. isse pehle wale update me bataya na writer ne ki ab naya mod aane wala hai.. Rahi baat sex ki to jab situation ke hisab se jarurat hogi to utni sex scenes honge hi..

Avi ki story me bhi sex bahot the ..

Baki main bhi chahunga ki sex scene naye characters ke lamba dikhaya jaye baki purano ke sath short me nipta de.. lamba tabhi ho jab kuch khash pal ho ..


Baki writers ki Kya life hai wo wahi janta hai.. agar use sochne ko time chahiye to use milna hi chahiye .. Imagination itni aasan thodi Hoti hai ki kuch bhi naya twist daal de..


Eagerly Waiting for the next update Raja Bhai
Bhai agar Pyar Nafrat aur Kismat story ke writer agar apke contact me ho to plz unhe story complete karne boliye
apki Bhout meherbani hogi
 

Subha

Active Member
980
1,331
123
Bhai

Bhai agar Pyar Nafrat aur Kismat story ke writer agar apke contact me ho to plz unhe story complete karne boliye
apki Bhout meherbani hogi

Sorry bhai.. mere contact me to koi nahi hai.. Kuch purane readers ke paas ho Sakta hai.. but wo bahot dino se offline hai.. sayad moderators ke paas jarur hoga
 

Arman kashyap

New Member
75
208
33
Sab apni apni jagah sahi hai. Ek writer bina kisi paise k apni story yaha post karta hai. Aur ek reader daily usko follow karta hai.
Ab sawal yeh hai k kya writer vakai koi kaam mei vyast hai ya jaanbhuj k story ko late post karta hai taki voh thodi jigyasa badha sake, agar pehli baat hai toh theek hai, agar dusri baat hai toh mera ek sawal hai, isse writer ko milta kya hai, superiority complex k log uske story padh k uski taarif kar rahe hai, aur agle post k liye usse guzzarish kar rahe hai. Ya koi monetary benefit hai jiska mujhe koi idea nahi.

Ab baat readers ki toh hum bhi yaha paise de k toh aaye nahi, free ka manornajan hai, mila toh sahi, nahi mila toh bhi sahi. Par ek reader bhi apna samay se k yaha writers ki kahaniyan padhta hai, unka hausala badhata hai, unke art ki taarif karta hai, uski bhi kuch aakanshayein hoti hai.

Kul mila k yeh ek 2 tarfa relationship hai, ek k bina dusra nahi.

Kuch readers hai jo ummed chodh chuke hai aur apni bhadas nikalte hai comments k zariye, jisse writer ka ego hurt hota hai aur voh agle kuch din aur post nahi karta. Vahi kuch readers hai jinko abhi bhi ummed hai k story jaari rahegi aur voh writer k taraf se ummed chodh chuke readers ko chale jaane k liye bolenge,. Jiske writer ka manobal barkara rahe.

Finally sab kuch writer pe depend karta hai k voh story continue karna chahta hai k nahi. Hum readers k yaha chuhe billi jaise ek dusre ko bolne ka koi fayda nahi, Sab kuch samay pe chodh do agar update aaya toh theek nahi aaya toh koi dusri kahaani dhoondh lenge.
Right
 

Raja chouhan

Active Member
1,991
28,977
173
Update 225



Amit : kahiye didi kya kam tha aapko mere sath ?

Nidhi : itni jaldi kya hai. Thodi der baith to jao. Fir hum chalenge .

Amit : aur uncle ko kya kam tha mujhse ?

Nidhi : han wo main k function hai xxxx shehar me . Koi orphan home hai . Uncle ne kaha hai k us din tumhe khas taur par us function me hona hai.

Amit : kaun sa function? Aur mera hona kyun zaruri hai ?

‘ is liye k wo chacha ji se juda hua hai. Aur papa chahte hain is bar tum wo sab apne hathon se karo .’ Ye awaz karishma didi ki thi jo pata nahi kab office me enter kar chuki thi. Karishma didi k chehre par mujhe dekh kar halki si smile thi. Par ankhon me ek udasi ki jhalak. Office k hisab se wo bhi coat pent pehne hue thi . Karishma didi ko dekh kar main aur nidhi didi apni apni jagah se khade ho gye .

Karishma : ye kya didi ? Maine kitni bar kaha hai k aap aise khade mat hua karo. Aap meri badi behan hain aur tum kyun khade ho rahe ho? Tum to employee bhi nahi ho to fir aise kyun kar rahe ho jaise class me teacher k aane par students khade ho jate hain .

Karishma didi ki bat par nidhi didi bhi has padi aur mujhe khud bhi hansi aa gyi .

Amit : nahi didi aisi bat nahi hai . Aap kaisi hain ?

Karishma : theek hun , tum kaise ho ?

Amit : main bhi theek hun .

Karishma : kabhi tumhara dil nahi karta humse milne ko ? Apne aap to tum aate hi nahi . Lagta hai abhi bhi naraz ho .

Amit : are ye aap kya keh rahi hain . Main bhala kyun naraz hone laga .

Nidhi : karishma tum agar busy nahi ho to tum bhi hamare sath chalo . Main Amit k sath shopping karne ja rahi hun .

Nidhi didi ne muskurate hue karishma didi ko invite kar liya aur main hairan pareshan didi ko dekhne laga . Kyunki hum shopping pe ja rahe hain ye abhi abhi mujhe pata chala tha .

Karishma : meri taraf dekhte hue ) nahi aap dono hi chale jao .

Main samajh gya ki didi meri vajah se aisa keh rahi hain .

Amit : kya abhi bhi gussa ho mujhse didi ?

Maine jab itna kaha to karishma didi ki muskan ek dam se gayab ho gyi aur wo ek tak mujhe dekhne lagi . Fir achanak unhone aage barh kar mujhe gale se laga liya . Karishma didi ki ankhon se aansoo beh rahe the magar wo kuch bol nahi pa rahi thi . Karishma didi ki aisi halat dekh kar nidhi didi ne bhi unhe piche se gale laga liya .

Nidhi : kya hua tujhe ? Aise kyun ro rahi hai? Tujhe acha nahi laga kya ?

Karishma : kaisi bat kar rahi ho didi aap . Main bata nahi sakti mujhe kitni khushi ho rahi hai . Main samajhti thi k ye mujhse naraz hai isi liye main ..... par aaj pata chala iska dil wakai me bahut bada hai .

Nidhi : chal ab apni ye ankhen saaf kar aise bilkul bhi achi nahi lag rahi tu .

Amit : sahi kaha didi aapne . Karishma didi to bas hasti hui hi achi lagti hai . Par meri vajah se ......

Karishma : kya teri vajah se han ? Aaj teri vajah se hi main us narak se Azad hui hun samjhe . Aur main jitna bhi shukriya ada karun utna kam hai . Chalo ab chalte hain . Maine bhi bahut der se shopping nahi ki. Aaj dil khol kar shopping karungi .

Uske bad karishma didi nidhi didi aur main teeno ek bade se mall me pahunch gye . Nidhi didi aur karishma didi itni achi lag rahi thi k har kisi ki nazar un dono par hi thi. Mall me pahunchne par mujhe laga k dono ko shopping karne me waqt lagega to main thoda regal leta hun aur Rima se bat kar leta hun.

Amit : didi aap dono shopping karo main bhi thoda ghoom leta hun .

Nidhi : tumne ab kahan jana hai . Chupchap mere sath shopping karwao .

Amit : par main kya karunga isme ?

Nidhi : kya karunga matlab ? Meri help karoge aur kya

Amit : uske liye to karishma didi hai na

Karishma : to kya hua , tum hamare sath nahi reh sakte ? Waise bhi mujhe bhi tumhari help chahiye .

Amit : meri help ?

Karishma : han wo mujhe Mohit k liye kuch dresses leni hai to tum sath hoge to asani hogi .

Ab main mana kaise kar sakta tha . Khair uske bad shopping shuru hui. Magar shopping pehle gents collection se hi shuru hui. Karishma didi ne Mohit k liye dresses leni thi is liye mujhe dress try karne ko kehti aur fir dono mil kar dress ko final karti . Kuch dresses lene k bad nidhi didi ne bhi kaha k wo karan bhaiya k liye kuch dresses lena chahti hain is liye mujhe unke liye bhi dresses try karne pade. Par mujhe is bat se thodi hairani aur khushi bhi ho rahi thi k itne dino bad nidhi didi aaj khud hi karan bhaiya ka nam le rahi thi jo pehle unka nam sunte hi gussa hone lagi thi . Gents collection se faarig ho kar hum fir ladies collection me pahunche . Karishma didi to aate hi apne liye dresses dekhne lagi par nidhi didi mere sath hi khadi ho gyi .

Amit : kya bat hai didi aap shopping kyun nahi kar rahi? Aap k kehne par hi to hun yahan aaye hain.

Nidhi : maine jo lena tha le liya ab bas .

Amit : ye kya bat hui ? Mujhe kuch nahi sunna. Chaliye pehle apne liye shopping kijiye . Dusron ki fikar rehti hai hamesha aapko par apni nahi .

Nidhi : acha theek hai par meri ek bat manni hogi tujhe . Mere liye dress tu hi select karega .

Amit : chaliye theek hai . Ab to chalo .

Nidhi didi mere han karte hi muskurati hui mere hath pakad kar khinchti hui mujhe apne sath le gyi . Fir maine 2-3 dress didi k liye select kiye aur unko wo sab try karne k liye kaha. Karishma didi thodi door hi apne liye dress dekh rahi thi par unki nazar hum par hi thi aur shayad man me kuch soch rahi thi kyunki unka dhyan dress dekhne me kam aur hamari taraf jyada tha . Tabhi ek ladka unke pass aya aur unse bat karne laga .

Ladka : hye miss beautiful, aap akeli hain ? Kya main koi help karun? Waise to aap par koi bhi dress janch jayegi. Par mere khyal se ye aap par jyada achi lagegi .

Karishma : gusse se ghurte hue ) hey stop it , who are you ? Mind your own business.

Ladka : ohh , itni garmi . Lagta hai kisi ne ache se utari nahi hai. Koi bat nahi main nikal dunga sari garmi .

Karishma : you bastard , teri himmat kaise hui bakwas karne ki .

Karishma didi ne gusse me akar apna hath us ladke par utha diya . Par us ladke ne karishma didi ka hath pakad liya . Main unki taraf hi dekh raha tha par itni door se pata nahi chal raha tha k kya bat ho rahi hai. Magar jab didi ko hath uthate dekha to main bhag ke unke pass pahunch gya . Us ladke ne jis hath se karishma ka hath pakda hua tha maine uski wo kalai zor se pakad kar bheench di aur wo dard se karah utha . Jisse uske hath se karishma didi ka hath chhoot gya .

Ladka : aaaahhhhhh chhod saale chhod mujhe .

Amit : ye kya keh raha tha didi ?

Mere muh se didi sun kar us ladke ki to hawa tight ho gyi pehle hi uski kalai mere hath me pis rahi thi aur wo meri tagdi body ko dekh kar jaise pehle hi surrender kar chuka tha .

Ladka : sorry bhai galati ho gyi , mujhe nahi pata tha unka koi aap jaisa bhai bhi hai. Main maafi mangta hun bhai sorry , sorry didi maaf kardo mujhe dobara galati nahi hogi . Karishma didi : kyun nikal gyi sari garami? Abhi to meri garami nikalne ki bat kar raha tha . Ab bol , ab saanp sungh gya ise dekh kar ? . Chataak chataak chataak . Get lost you son of a bitch .

Karishma didi ne gusse me akar us ladke ko gali dete hue 3 thappad kas kas k jad diye. Main to hairan ho raha tha. Jis tarah us ladke ne maafi mang li thi mera irada to tha use chhod dene ka par didi to poori gusse me aa gyi. Waise to main bhi didi k hath se thappad kha chuka tha is liye jaldi khud ko sambhal liya . Wo ladka turant wahan se uth kar apne gaal sehlata hua bhag gya. Karishma didi to aur use marna chahti thi par maine unhe rok liye . Main to didi ka ye roop dekh kar hairan tha . Karishma didi shayad meri halat samajh gyi thi .

Karishma : aise kya dekh rahe ho ?

Amit : kk ku kuch nahi .

Jawab dete hue mera hath apne aap apne gal par chala gya tha jise dekh didi ko shayad andaza ho gya k main kya soch raha hun

Karishma : haste hue ) tu kyun apne gal sehla raha hai ? Tujhe to maine kuch nahi kaha .

Amit : main soch raha hun us bechare ka kya hal ho raha hoga . Mujhe aapke hath ki mar ka pata hai .

Karishma : aur kitna sharminda karega mujhe ? Mujhe sach me bahut bura lagta hai jab bhi wo sab yad ata hai mujhe. Kya tu use bhool nahi sakta ? Chahe to tu apne hathon se mujhe mar le .

Didi ne mere hath pakad kar apne galon par marke ki koshish ki to maine unke galon ko pyar se apne hathon me le liya .

Amit : ye kya kar rahi ho aap didi ? Itne pyare galon par bhala koi kaise mar sakta hai. Ye marne k liye nahi pyar karne k liye hain. Aur main aapse naraz nahi hun wo to bas kabhi kabhi ye aa jata hai. Ab isme main kya kar sakta hun . Acha wo sab chhodiye . Aap shopping kyun nahi kar rahi ? Main dekh raha hun aapka dhyan shopping me hai hi nahi .

Karishma didi meri bat sun kar man hi man pata nahi kya sochne lagi thi. Maine unhe hilaya .

Karishma : hh han wo ,, wo mujhe kuch samajh nahi aa raha tha k kya lun apne liye . Tum nidhi didi ki help kar rahe the to kya thodi si meri bhi help kar doge ?

Amit : lo isme kaun si bat hai . Chaliye main dekhta hun aapke liye . Par kya apko meri pasand achi lagegi ?

Karishma: bilkul lagegi , main janti hun tumhari pasand bahut achi hai.

Amit : aapko kaise pata ?

Karishma : ma ,,, didi batati rehti hai .

Karishma didi Aunty ka nam lene wali thi par beech me hi ruk gyi aur didi ka nam le liya . Maine unke liye kuch dresses nikali aur unhe try karne ko kaha tab tak nidhi didi bhi wapis aa gyi thi kapde try krne k bad . Yahan abhi jo kuch hua unhe pta nahi chala tha. Thodi der bad karishma didi bhi apne dresses try karne k bad wapis aa gyi . shopping karte karte humen kafi der ho gyi thi aur humen bhookh bhi lag rahi thi to hum kuch khane k liye restaurant me chale gye . Tabhi mujhe Kalpana ki call aane lagi .

Kalpna : kahan ho subah se ? Main tumhara wait kar kar k pagal ho rahi hun .

(Mujhe to bhool hi gya tha k mujhe Kalpana ko leke gaon jana tha aaj .)

Amit : oh sorry sorry , wo kya hai na main didi k sath shopping karne aya tha. Unhe kuch dresses lene the .

Kalpana : ohhh , chal koi bat nahi. Kam se kam bata to dete . Acha free ho k jaldi aa jana main wait kar rahi hun .

Kalpana se bat karne k bad main wapis aya to nidhi didi meri taraf ghoor kar dekh rahi thi .

Amit : kya hua didi ? Aise kyun dekh rahi ho aap ?

Nidhi : mall me kya kiya tha tune ?

Amit : maine kya ,, kuch bhi to nahi .

Nidhi : gusse se ) mujhe sab pata hai .

Main didi ke tevar dekh kar soch me pad gya k didi kyun gusse me hain. Kahin karishma didi ne sab kuch mere upar to nahi daal diya ? Jabki mara to unhone khud tha . Maine karishma didi ki taraf dekha. Tabhi karishma didi jo chup kar k baithi thi ek dam se zor zor se hansne lagi .

Nidhi : kya karishma tum bhi ,,,, thodi der control nahi kar sakti thi ? Mujhe iski class bhi nahi lene di tumne

Karishma : he he he , sorry sorry , sorry didi . Par aapne dekha nahi kaisi shakal bana li thi isne he he he .

Nidhi : chal ab bas kar, kyun hans rahi hai? Teri hi to madad ki na isne aur ab tu hans rahi hai isi par .

Ab mujhe samajh aya k dono mere sath mazak kar rahi thi. Nidhi ko aise mazak karta dekh kar mujhe acha bhi lag raha tha kyun ki wo aisa karti nahi thin. Is liye main bas khamosh unhe hi dekh raha tha . Aur jaise hi unki nazar mujh se mili wo Sharma gyi aur muskura kar boli .

Nidhi : tum naraz to nahi ho na ? Ye sab isi ka idea tha . Ab khud hans rahi hai mujhse fansa kar .

Amit : nahi didi , mujhe to bahut acha laga . Aap aise hi hansi mazak kiya kijiye achi lagti ho aap .

Nidhi Sharma ke nazren jhuka kar baith gyi aur fir se nazren utha kar mujhe dekhne lagi .

Karishma : ek bat to hai didi , Amit na har cheez me perfect hai. Us ladke ki to halat hi jagaran ho gyi thi jab isme uska hath pakad kar marod diya tha . Ise dekh kar hi wo mujhe didi didi kehne laga . Main bhi rakh hi diye 2-4 ab didi kahega to didi ka ashirwad bhi to milega na . Waise wo ladki kismat wali hogi jiske sath iski shadi hogi .

Nidhi : chalo ab khana kha lo kahin nazar na laga dena ise.

Karishma : main kya nazar lagaungi didi ye to waise hi har kisi ki nazar me hi rehta hai . Ghar par bhi mom dad isi ki baten karte hain. Aur karen bhi kyun na main khud bhi iski bat karti hun. Mujhe us narak se Azad karwane wala ye ho to hai. Agar ye na ata to shayad main kabhi us narak se nikal hi na pati .

Karishma didi ko serious hota dekh nidhi didi ne unka hath tham liya aur unhe relax karne lagi .

Amit : kya didi aap bhi , ache bhale mood ki watt laga di . Ab bar bar wahi sab yad karti rahogi kya ? Ab aapko apni zindagi naye sire se shuru karni chahiye jaisa uncle aunty chahte hain . Aur mera kya hai , main to hamesha apke pas hi hun .

Uske bad humne sath me lunch kiya aur nikal pade . Karishma didi to apne ghar chali gyi. Nidhi didi mujhe sath liye rita mausi k ghar aa gyi . Maine kalpna ko yahin aane ko keh diya phone pe. Thodi der me maine apni packing ki aur ghar jane k liye taiyar ho gya . Fir main bari bari se sab se mila aur tab tak Kalpana bhi aa gyi thi. Fir Kalpana bhi sab se mili. Jab karuna didi ko pata chala k Kalpana bhi mere sath gaon ja rahi hai to wo bhi sath chalne ko taiyar ho gyi . Mausi ne bhi parmission de di. Fir main Kalpana aur karuna didi gaon k liye nikal gye . Baton baton me main bhool hi gya tha k aaj mujhe Manju m se bhi milna tha. Mujhe unki yad aa rahi thi to maine unko call laga di .

Manju : to aa gyi yad ? Aur ye kya ? Phone kar kar rahe ho khud kahan ho?

Amit : sorry mam wo didi k sath gya tha to time nahi mila aaj . Acha aap ek kam karna . Kal aap ready rehna main aapko lene aa raha hun. Kal aapko mere sath mere gaon chalna hai.

Manju : kya ? Kal ? Par kal main .....

Amit : main koi bahan nahi sununga mam. Kal aapko mere sath chalna hi padega . Acha ab rakhta hun fir phone karunga .

Manju m ki bat sune bina Maine call cut kar di. Main nahi chahta tha k wo kal ka koi bahana banaye jaisa k mujhe lag raha tha . Isi liye maine unki bat sune bina call kat di.

Kalpna : kisko phone kar rahe the ?

Amit : surprise , kal dekh lena khud hi

Kalpna : janti hun tumhare surprise . Ek hi mam hai jinse tum bat karte ho . Chandarkanta se to bat karne se rahe .

Karuna : Chandarkanta? Iski kya kahani hai darling zara mujhe bhi to batao .

Kalpana : are aapko bataya nahi tha jab aap college me ayi thi? Uska aur iska 36 ka aankada hai . Pata nahi kis bat pe gussa rehti hai . Par bat bat par iski lene ko taiyar rehti hai Matlab isko pareshan karti hai

Karuna : are chill yar . Hum dost hain jaise chahe bol. Waise wo sach me zabardast item hi hogi jo iski lene me lagi rehti hai warna isne kuch kar diya to sab bhool jayegi .

Ye sun kar mujhe aur Kalpana dono ko hi jhatka laga .

Kalpana: didiiiii , kuch to control karo aap

Karuna : meri taraf shararti nazron se dekhte hue ) isse kya sharmana , ye koi begana hai kya?

Kalpana: meri chhodiye par aapka to bhai hai na.

Karuna : acha ! Mera bhai hai magar tu kyun Sharma rahi hai ? Tera to bhai nahi na tu to jhil kar maza le .

Kalpana: tauba didi aap to kisi ko nahi chhod ti. Shukar hai abhi naina didi sath me nahi hain.

Karuna : don’t worry darling wo bhi aa jayengi . Tumne kya socha tha tum akeli akeli maze le logi iske sath? Hum bhi hain maidan me darling .

Karuna didi bat bat me meri taraf kamuk nazron se dekhti aur main unse nazren churata. Kalpana bechari ko to pata bhi nahi tha k karuna didi kahan se bat kar rahi hain. Indirectly wo hamare secret relation ki hi bat kar rahi thi. Jabki kalpna ye samajh rahi thi k wo use ched rahi hai . Khair aise hi sare raste baten karte hue hum apne gaon apne ghar pahunch hi gye. Andhera ho raha tha aur jab gadi aa kar darwaze par ruki to gadi ki awaz sun kar darwaza apne aap khul gya . Gate kholne wale ajay mama the aur muskura kar hamara swagat kar rahe the . Kalpana ne gadi ghar k andar ki aur tab tak Ajay mama gate band kar k hamare kareeb aa gye . Gadi se utarte hi unhone mujhe gale se laga liya .

Ajay : tu aa gya beta , hum sab teri hi rah dekh rahe the chal jaldi chal .

Karuna : gadi se nikalte hue ) kya mama ji , sara pyar isi k liye hi hai ya humen bhi kuch milega ?

Ajay : kyun nahi milega meri shararti bachi. Aa idhar .

Main gadi se apna aur Kalpana karuna didi ka bhi bag nikalne laga . Tab tak karuna bhi car se bahar nikali aur mama ji ne use bhi gale se laga kar pyar diya . Fir hum teeno aage barhe to meri nazar Deepika mami aur ma par padi jo kitchen k pas hi thi. Mujhe dekh kar Dono k chehre par muskan aayi par fir se chehre par narazagi dikhate hue Deepika mami kitchen

Me chali gyi . Jabki ma hamare pas aane lagi . Maine unke paon chhune ki koshish ki to unhone mujhe gale se laga liya .

Gauri : aa gya mera beta , kaisa hai ? Paper to ache se ho gye na ? Ache hi hue honge. Chal aa baith kab se teri rah dekh rahi thi . Tu to subah aane wala tha na.

Amit : wo ma nidhi didi k sath chala gya tha bas wahin time lag gya .

Karuna : o mother India zara ek nazar hum par bhi to mar lo.

Gauri : tujh par nazar marne ki kya zarurat hai. Tu to hamesha sab ki nazron me rahti hai meri bachi idhar aa .

Ma ne karuna didi ko gale se lagaya aur fir Kalpana ko dekh kar use bhi gale se laga liya.

Gauri : to tumhe bhi waqt mil hi gya akhir. Acha hai ab ghar me raunak lagegi tum sab k aane se . Ja beta pehle kamini se mil aa , bada yad ke rahi to tujhe aur bachon ko bhi dekh lena dono usi k pas hain.

Karuna : ise kya keh rahi hain mami hum dono hain na hum dekhte hain. Chal Kalpana .

Karuna didi kalpna ko sath lekar kamini mami k room me chali gyi aur unke piche piche main bhi. Kamini mami bed par hi thi aur apne bete ko goad me liye baithi thi. Shayad unhone abhi use doodh pilaya tha kyunki wo so raha tha aur unke hontho par thoda sa doodh laga hua tha . Karuna didi ne to unki goad se bache ko le liya aur Kalpana bhi mami se mil kar karuna didi k sath bache ko khilane lagi .

Amit : kaisi hain aap mami ?

Kamini : main theek hun aur ab to aur bhi achi ho gyi hun. Badi der kardo aane me , pata hai hun sab subah se tera intzar kar rahe the . Deepika se mila tu? Wo naraz ho rahi hai tujhse.

Amit : unko to main abhi mana lunga . Aap chinta mat karo . Acha main zara pehle un se mil hi leta hun.

Kamini mami ne has k meri aur dekha aur fir karuna Kalpana k sath bachon me busy ho gyi. Main room se nikla aur sidha kitchen me gya . Deepika maami chai bana rahi thi . Mujhe ek nazar dekhne k bad wo fir se chai banane me lag gyi. Main unke kareeb chala gya par wo mujhe dekh nahi rahi thi .

Amit : naraz hain kya mujhse.

Deepika : ......

Amit : to bat nahi karengi ?

Deepika : ......

Amit : acha ye bat hai to theek hai . Main wapis mausi k ghar hi chala jata hun .

Main itna keh kar mudne laga to Deepika mami ne meri jacket ka color pakad liya .

Deepika : tange tod dungi ab ek kadam bhi bahar rakha to. Ek to itne dino bad ghar rehne k liye thodi si chhuttiyan mili hain unke bhi tumhe shehar jana hai. Hamari koi parwah nahi tumhe?

Deepika mami ki bat sun kar aur unke tevar dekh kar mujhe bahut acha laga . Kyunki wo upar se chahe narazagi dikha rahi thi par unke dil me mere liye kitna pyar hai ye dekh kar sukoon bhi bahut mil raha tha .

Amit : ab aap bat hi nahi karengi to kahan jaunga main .

Deepika : acha , main bat nahi kar rahi ? Aur tu jo itne din apne aap phone bhi nahi karta wo ?? Uska kya ? Ek to Sara din bita kar ab ghar aa rahe ho upar se aate hi wapis jane ki bat kar raha hai. Kisi ko gussa karne ka bhi hak nahi hai kya ?

Deepika mami ko muh banate dekh mujhe bahut acha lag raha tha. Maine unhe ek side se hi nahin me bhar kar kas k seene se laga liya .

Amit : acha to aap gussa hain mujh par. Theek hai to pehle aapka gussa hi utarta hun.

Itna keh kar maine mami k gal chumne ki koshish ki to wo mujhse chhutne ki koshish karne lagi .

‘ ahhhhmmmm ahhhmmmm , chhoti chai ban gyi kya ?’ Ye awaz ma ki thi jo kitchen k darwaze par hi khadi thi aur jan bujh kar khans kar humen chetawni de rahi thi. Main unki awaz sunte hi ek dam se mami se door ho gya aur jaldi se kitchen se nikal gya bina kisi ki taraf dekhe.

Gauri : ye abhi kya ho raha tha ? Agar koi dekh leta to ?

Deepika : sharmate hue ) aap ne dekha nahi wo khud hi laga hua tha main to usse bat bhi nahi kar rahi thi .

Gauri : bas bas , sab pata hai mujhe. Subah se kise mari ja rahi thi k kab aayega kab aayega . Aur ab aise nakhara kar rahi hai. Kyun sata rahi thi use? Chal ab chai daal main de kar ati hun .

Deepika : main kar lungi khud aap bas aram karo. Kitni bar kaha hai main kar lungi fir bhi aap manti nahi .

Gauri : are kuch nahi hota . To meri chinta na kar. Aur dekh use batana nahi kuch bhi . Mujhe nahi lagta k use yad bhi hai. Tere bhaiya bhi aane wale hain chupchap sab ache se chhupa dena .

Deepika : aap chinta mat karo mujhe sab yad hai. Chaliye ab apne ladle ko dekhiye kidhar nikal gya hai.



Udhar Ritu apne sarkari aawas par thi jab sham ko inspector Pandey report le kar aya.

Pandey: madam aapne jis Aadmi k nam bataya tha wo ek journalist tha. Teen mahine pehle Ek accident me wo aur uski patni dono mare gye. Kisi truck ne gadi ko kuchal diya tha. Suna hai k wo MLA Narayan daas k khilaf khabren chaap rahe the jis wajah se usi ne ye sab karwat hai par sarkari record me ye ek accident hai.

Ritu : hmmmm to ye bat sahi nikali . Aur uski baki family ? Matlab uske bache ya koi aur ?

Pandey : aur to koi nahi hai. Han ek beti thi jiska kuch pata nahi unke accident k bad se .

Ritu : iska matlab wo ladki sach bol rahi hai

Pandey : kaun si ladki madam ?

Ritu : mujhe ek ladki phone aya tha wo khud ko usi reporter ki beti bata rahi thi aur usi ne bataya k uske mata pita k katal hua hai. Aur ye bhi bataya k wo is waqt Narayan das ki kaid me hai. Uske pas kuch suboot hain jo sirf mujhe dena chahti hai.

Pandey: par aap hi ko kyun ? Wo kisi aur ko bhi to de sakti hai .

Ritu : usne bataya k wahan k policewale Narayan Dass k sath mile hue hain isi liye wo ye sab sirf mere hawale karna chahti hai.

Pandey : par madam ye koi trap bhi to ho sakta hai. Aur waise bhi jis ladki ka pata hi nahi kya pata wo bhi ab tak mar chuki ho ?

Ritu : ho to kuch bhi sakta hai. Aur ye bhi to ho sakta hi k wo sach bol rahi ho. Waise bhi usne ho bataya wo to sach hi nikla. Jo bhi ho risk to lena padega . Warna us kamine k khilaf hamare pas to koi suboot tak hai hi nahi.

Pandey: to apne kya socha hai madam ?

Ritu : usi k bare me soch rahi hun. Mujhe bas is report ka intzar tha. Jo bhi ho main ye mauka ganwa nahi sakti. Is liye main jaungi wahan. Chunki wo hamara area nahi hai aur na hi hum wahan k logon par bharosa kar sakte hain to ye sab humen apne leval par hi karan paega wo bhi bina kisi ki nazar me aaye . Ek kam kar tum apne sath ek team le jao . Us jagah k bare me survey kar k aao . Humen kis jagah jana hai kam se kam ye to pata kar len. Aur han kisi ko kuch pata na chale is liye civil me hi Jana aur gadi bhi personal le kar jana. Kal tak sab kuch check kar k mujhe batao aur fir aage ki taiyari karte hain.

Pandey : ji madam , main kal sham tak aapko sab pata kar report karunga .

Ritu : theek hai ab tum jao

Pandey k jane k bad Ritu sabhi vikalp par vichar karne lagi . Wo janti thi k wo bahut bada risk lene ja rahi hai par jeet k liye risk to lena hi padta hai. Yahi soch kar Ritu ne apni kamar kas li thi Narayan daas ki tabahi k liye .
 
Status
Not open for further replies.
Top